ab tak aapne padha ki malik mansion me breakfast ke time rudra kisi project ko lekar rubal se discuss karta hai. wahi hospital me ek ladki je baare me doctor apne junior se discussdiscussion karti hai.
ab aage
update - 27
jaha raat malik mansion me..kisi ki rote hue beeti to kisi ki cigarette phunkte hue beeti. wahi koi beach me baitha ashq baha raha tha. to koi gahri neend me so raha tha.
malik mansion me in beete saalo me kafi kuch badal chuka tha. jaha is ghar se koi gaya tha to koi aaya tha. aane wale logo me rubal ki better half aur nanha sa armaan tha. matlab itna nannha bhi nahi.
ghar me ek chote se mehman ke aane ki khushi to thi. par wo baat nahi thi. rubal ne apne bacche ka naam armaan rakkha tha. ye armaan ghar me sabka ladla tha. par fir bhi us armaan ki kami khalti thi.
wahi dusri taraf raizada mansion me is sab breakfast par baithe hue the. tabhi arnav angel se kahta hai ki
arnav - tumhari trip kaise thi.
angel - awesome dad main bayan nahi kar sakti india ki khubsurati..such a great experience.
arnav - good accha laga jankar ki tumhe india itna pasand aaya. aur tumhari friends ko unko kaisa laga
angel - un sabhi ko bhaut accha laga. and sabhi ne dil khol ke enjoy kiya.
arnav - to ab kya socha hai aage karne ka.
angel - newyork university , stanford, berkeley and university of california inme se hi kisi college me admission lene ka soch rahi hoon.
arnav - i think harvard is good choise.
angel - let us see..abhi to time hai.
arnav - chalo main to chala office. and divya tum
divya - main bhi chal rahi hoon sath me. bye princess to milte hai lunch me.
angel - bye mom bye dad.
inko yahi chodhte hai aur chalte hai. los angeles.
yaha pe wahi beach wali ladki kisi ko call laga rahi thi.
dekhte hai kisko call laga rahi hai.
apple tune bajte hue...
hello haa kayra bolo
ji haan wo beach wali ladki kayra thi. aur call ke us taraf rubal tha.
kayra - rubal kuch pata chala.
rubal - nahi kayra kuch bhi nahi. aur niti se baat hui kya tumhari.
kayra - nahi rubal jab se wo hadsa hua tab se kaha kuch baat hui.
rubal - same here...humne karm bhi to aise kiye hai saja kaise kam ho sakti hai..ye bojh to wo aane ke baad hi utarega. tab tak hum sab ko apne papo ki gathri uthani hi padegi.
kayra - rubal theek ho jaayega..hum bhi kewal bhagwan se pray hi kar sakte hai. aur land ka kya hua.
rubal - hold karna james ka call aa raha hai. main connect karta hoon tumhari call se.
haa james bolo kya hua.
james - it's done sir..
rubal - ufff main bata nahi sakta james tumne kya kiya hai aaj.
james - maine sirf apna kaam kiya hai sir.
rubal - chalo baad me baat karte hai.
james - ok sir
kayra - ye to bhaut accha hua ab project start hone se kou nahi rok sakta.
rubal - haa kayra chalo bye. aur parth kaisa hai.
kayra - he is good ru chalo baad me baat karti hoon.
rubal - ok.
wahi pittsburgh ke hospital me wo doctor apne cabin me chair par gardan tikay kisi gahre chintan me thi. aur kuch kshan baad is chintan ko bhang kiya ek nurse ne.
dr. neeti operation theatre is ready.
wo doctor niti hi thi.
niti - hmm tum chalo main aati hoon. and how's patient.
nurse - you better know.
niti. - kab aaoge amy aakhir kab sab ka kahana hai ki tum ***********par mai n aisa nahi maanti. te dil abhi gawahi nahi deta.
iske baad niti bhi surgery ke liye chali jaati hai.
ab in sab ko chodhte hai aur chalte hai wapas un gahri khaiyon me.
lekin is ghari khai me sirf andhera hi nahi tha. aur bhi bhaut kuch tha. tabhi waha kisi ki aankh khulti hai aur uske muh se chand shabd nikalte hai.
aawaj - aa raha hai wo waqt jab wo batayega kaun hai hum, kya hai hum.