Reza
Well-Known Member
- 4,858
- 13,247
- 158
bhai mera bhi man hai dene ka but aaj main thaka hua hoon bhaut..isliye update kal aayega kyonki agar aaj main update deta to wo chota hota aur better nhi hotabhai bahut hi badhiya update tha lekin ek aur update Dena to banta hai aaj
ab tak aapne padha ki kaise lucifer aphorodite ko harm karta hai uske baad commanding angels usko lekar heaven jaate hai.
ab aage..
update - 30
our Father in heaven,
hallowed be your name.
your kingdom come.
your will be done,
on earth as it is in heaven.
and forgive us our sins,
for we ourselves
forgive everyone
indebted to us.
And do not bring
us to the time of trial.
or us into temptation.
but rescue us from the
evil one
for the kingdom and the
power and the glory
are yours forever. Amen
jaise hi inki prayer khatam hui waise hi pura heaven milky white roshani me sama gaya us roshni ne pure heaven ko apne aagosh me le liya tha. tabhi wsha aawaj aayi.
angels ne jaise hi ye aawaj suni unki khushi ka thikana nahi raha ye wo aawaj thi jisko sunne ke liye na jane kitne taraste hai. aur is aawsj ke sath hi oure heaven me ek aise khusbu faili jis khusbu ke aage tamam itra bhi feeke lage. aankho me khusi ka sailab umad aaya tha. kyonki ye presence ye sound unke lord ki thi.
lord - aaj humare baccho ne hume kis liye yaad kiya.
athena - lord aapse kaha kuch chupa hai. is sansar ki aisi kaun si ghatna hai jo aapse chupi rah sakti hai.
lord - fir bhi hum aapse sunna chahenge athena.
athena - lord aap dekh sakte hai. us lucifer ne aphrodite ke sath kya kiya. usne aphrodite ko harm kiya hai lord aur jab humne usko rokne ki koshish kari to usne hume bhi warn kiya aur to aur hum sab kuch nahi kar paaye.
lord - bas itna hi ya aur kuch kahna chahengi aap.
athena - nahi lord bas
lord - aapne ye bataya ki lucifer ne kya kiya par ye nahi kaha ki aphrodite ne kya kiya.
kya usne lucifer ke liye galat shabdo ka prayog nahi kiya tha. kya aphrodite ne jo kiya wo kisi bhi prakar se uchit hai. aur aap sab ne bhi uska sath diya kya aap sab ko milkar aphrodite ko rokna nahi chahiye tha. magar aspne aisa nahi kiya.
kyon, kyonki asp sab ko abhiman tha apne pad ka, apni takat ka, kya isi ke liye aap sab ko ye shaktiya ye pad diya gaya tha. kya aap sab ne apbe pad ki garima ka man rakkha. nahi
jab aap sab hi aise galti karenge to baaki angels par iska kya prabhav padega ye aapne socha. nahi socha.
aur parinam aap ke saamne hai. lucifer devil hoke nahi bhula aap angel hoke kaise bhul gaye. kya lucifer ne aapke liye ya humare liye kabhi bhi apshabdo ka prayog kiya nahi jab lucifer ne aphrodite ko saja di uske kahe gaye shabdo ke prati tab kya usne humare liye kuch bhi bura kaha. is par aap sab kya kahna chahenge. itna kah kar lord khamosh ho gaye aur idhar in sab ke chehre neeche jhuke hue the. kyonki lord ki kahi gayi ek - ek baat satya thi. tab ares ne baaki ke angels ki taraf se kaha
ares - hum maafi ke layak to nahi hai fir bhi ho sake to hume maaf kar dijiye.
jaise hi ares ne apni baat khatam ki theek tabhi roshni se bhara hua safed dil neeche aphrodite ke paas aaya aur pal bhar ke andar hi usme sama gaya aisa gite hi aphrodite ki body ek safed roshani me naha gayi uski chamak itni thi. ki ek vasr to un angels ko bhi apni aankhe band karni padi.
aur aphrodite ne apni aankhe kholi aisa hone par sab angels ke chehre par khushi ke bhav aa gaye.
aphrodite ne bhi lord ka dhanyawad kiya. aur aoni galti ke liye maafi bhi mangi. aur sab angels ne ye pran liya ki bhavishya me aisi galti nahi karenge.
tab glaucus ne pucha.
glaucus - lord meri bhi ek mansha hai. aur aap jante hi honge ki wo kya hai.
lord - par hum aapki mansha aapke muh se sunna chahenge. bina samasya jaabe hum sanadhan kaise kar sakte hai.
galucus - lord is samay ye pura universe jis ajeeb si sthiti ka samna kar raha hai kya ye kisi anhoni ka aagman hai.
lord - samay ke chakra se aap aur hum bhi nahi bach sakte galucus. ab ye to samaybke garbh me hi hai..ki samay par samay apne garbh se kya prakat karta hai.
galucus - par agar hume purvanuman ho to hum behtar tarime se samsaya ko suljha sakenge.
lord - jab tak samasya samne nahi aayegi tab tak aap kaise ye sunishchit kar sakte hai ki aap uske liye pratibaddha hai.
glaucus - par samasya ke aane ke baad hum agar use suljha nahi paaye. ya fir jo ghatna ghatne wali hai usne hume suljhane ka mauka nahi diya to.
lord - niyati se koi nahi bach sakta agar samasya ka aagman hone wala hai to samay uska samadhan bhi le ke aayega bas jarurat hai to use pahchanne ki. bas aap prateeksha kijiye samay ka.
hectus - lord mujhe bhi kuch puchna tha.
lord - yahi na ki tum sab lucifer ko kyon nahi hara paaye. to iska seedha sa uttar ye hai ki lucifer tum sab se jyada shaktishali hai. kyonki wo samarpit tha us andhere ke liye. usme tyag tha anant ki gahraiyon ke prati. agar usko manav jaati se nafrat na hoti to yajeenan wo tum sab ka commanding angel hota. par us nafrat ne usko humare khilaf khada kiya aur usi nafrat ke chalte usko heaven se jaana pada.
aur aap sab ye kaise bhul gaye ki wo mar nahi sakta kyonki wo immortal hai. bas use kaid kiya jaa sakta hai. aur wo bhi hum. itna kahte hi lord chup hogye aur wo roshani bhi gayab ho gayi.
abi inko yahi chodhte hai aur chalte hai. waha jaha wo ladka apni tapasya me leen tha.
is jagah par to humesha hi ghana syah andhera apne purna roop me msujud rahta hai jise roshan chand ki chandni karti hai..aaj us jagah par hawao ka rukh bhaut ugra tha. wo aasman jisme sirf chand apne purna swaroop me sthit tha asj us chand ke sath wo aasman bhi kadkadati hui bijli ki roshni se jagma raha tha. charo taraf jaanwaro ki cheekhe unke chillane ki aawaje aa rahi thi. hawao ka tabahi ke roop me bahna badalo ke fatne ka shor nirantar us jagah ko apni maujudgi ka ahsaas karwa raha tha. par in sab ke bawjood wo ladka waise hi apne tap me leen tha. jo jagah varsho tak mausam ke rang se achuti thi. jis jagah par saalo tak sirf aur sirf kabhi na khatm hone wala andhera tha. aaj us jagah par bhi mausam ka asar tha.
tabhi eka ek aasmaan ki saari bijli chand ki taraf badhne lagi us bijli aur chand ke milan se ek roshni nikal kar upar universe me gayi aur ek laal aur nili bijli neeche us rakshas raj ki murti par giri aisa hote hi do kriyaye ek sath hui pahli teevra visfot ke sath black hole ka nirman jo apne pura veg se ghum raha tha. aur dusri neeche wo murti jo varsho se supt thi. usme aaj pran aa gaye the.
us murti ki aankhe jo ab tak khali thi us jagah par ek laal aur kaala dhuan ghum raha tha. jaise pratiksha me ho uske utne ki jisne kitne tyag kiye kitna dhairya rakkha is pal ka.
aur dusri ye ke jis bkack hole ka nirman upar hua tha. usne apne veg ke sath ghumte hue apne andar ek urja ka nirma kiya. jiski chamak se wo pura hissa jagmaga utha. aur dekhte hi dekhte wo urja apne purna veg ke sath neeche ki taraf aane lagi aur kshan bhar ke andar hi usi veg ke sath usi ke andar samahit hone lagi ye kram aise hi nirantar chalta raha.
is kram ke chalne ke dauran wo ladka aur uske aas paas ki jagah roshni me puri tarah se naha chuki thi. kuch samay baad is kram ke rukte hi usne apni aankh kholi. urja ka wo chakra jo us black hole me bana tha wo ab gayab ho chuka tha chand ab pahke jaisa hi aoni roshni bikher raha raha tha aur us roshni ka sath diya is andhere ne. jisko pata tha ki ye hona tay hai. wo jagah wapas apne purane swaroop me aa gayi thi.
par is baar wo ladka apne tap ne leen nahi balki dhairya purvak us murti ko dekhe jaa raha tha. sur dekhte hi dekhte wo murti ek urja me badal ke us ladke ke andar samahit ho gayi. Jaise hu ye hua waise hi wo ladka apni puri aawaj ne chillaya uski garjana ke phalswaroop do cheeje hui pahli jo
seal uske nirman ke waqt lagai thi. wo ab hat chuki thi. aur dusri uski shield jo paimon aur other hell king ne milkar lagai thi wo ab toot chuki thi.
un kaali aankho ke beech uski laal putli uske astitva ko bhali bhati darsha rahi thi. uske swagat ke liye uske siphesalar apna sar jhukaye khade the. kyonki unko bhi pata tha ki aaj kaun aaya hai.
tabhi waha ek ek karke aath aakrtiya prakat hui ye aur koi nahi balki paimon, balial, beleth, zagan, vine, balam, purson, asmodai the.
inin sab ki khushi ka aaj thikana nahi tha. kyonki inke sadiyo ka intejaar aaj khatm hua.
aur usi ke sath hi leviathan, belphegor, mammon aur na jaane kitne hi evils is waqt maujud the. sur wshi wo ladka apni aankhe band kiye apne dono hath failay apni aajadi ko mahsus kar raha tha. (aajadi matlab us seal sur shield se jo creation ke time lagai thi.)
us ladke ko jaise in sab se koi matlab na tha. wo to bas apne is pal ko jee raha tha.
tabhi waha tej roshni ke sath koi aaya jaise hi hell king ne us roshni ko dekha waise hi wo apne ghutno par aa gaye. tabi us aste hue shaks ne kaha
welcome my friend welcome...!!
to kaisa lag raha hai aajad hoke aur apne purna swaroop me aakar.
tumhe kaisa lag raha hai lucifer. wo aaya hua shaks lucifer hi tha.
lucifer - sadiyo ka intejaar aaj khatm hua. jo chaha tha wo aaj ho gaya to kaun kush nahi hoga.
therk usi tarah na main samjha sajta hoon aur shayad na tum samajh sakte ho.
maine jaldi hi apne friend se milunga..uske aisa kahte hi lucifer ne apni sahmati jatai aur uske sath hi hell kings aur sare evil chale gaye.
tabhi wo ladka bola....hfmmmmmm aa raha hoon. aa raha hai dikhane apne naye roop me naye rang me apne pure astitva ke sath....aa raha hai Arman malik.