ab tak aapne padha ki kaise us jagah par jaha armaan ne apna purna astitva paaya tha. us jagah par armaan apni freedom ko feel kar raha tha.
ab aage..
update 31
armaan ke kahne par lucifer aur sare hell kings waha se chale jate hai. us jagah par andhere aur har pal us jagah ko apni chandandi se prakashit karne wale chand ke alawa aagar koi tha to wo armaan tha. us chand ki roshni me armaan ka gora damakta hua chehra dekha jaa sakta tha. gore chehare me wo hari aankhe jo kisi ko bhi dekhne matra se sammohit karne ke liye kafi thi. gahre laal rang ke honth jinhe dekhkar hi lag raha tha ki in hontho ne jamane bhar ke khoon se apni pyas bujhai hai. motiyo se bhi safed daant gahre bhure rang ke lambe baal uspar se lamba kasrati sharir jo saamne wale ko majboor kar de dekhne ke liye.
tabhi armaan ke andar se kala dhua nikalne laga aur dekhte dekhte usne ek vishalkay tendue ka roop akhtiyar kiya. jamane bhar ki darindagi uske chehrese tapak rahi thi upar re pahiye jitni badi wo laal aankhe dhadkane rukwane ke liye kaafi thi.
tabhi armaan us tendue se kahta hai mere dost mera time aa chuka hai jane ka aur ab tumhare bhi ampheus jane ka time ho chuka hai. jo is time armaan ke samne khada tha aur apni laal aankho se armaan ki ankho me dekhe ja raha tha.
armaan ka ishara pate hi us tendue ne apne sar ko upar neche kiye jaise kah raha ho ki haan main taiyaar hoon. aur pal bhar me hi wo ek black energy me badal kar upar aasman me chala gaya.
chand palo me hi armaan ka pura getup hi change ho gaya is time armaan ko koi dekhe to koi bhi ye nahi kah sakta ki ye ladka lambe samay tak itni gahan kathor tapasya me dooba tha.
armaan is jagah se gayab hokar pahucha london. ye wahi shahar tha jaha se armaan ke safar ki shuruaat hui. janha uske muh se nikla tha. yes i am The 'INHERITOR'. and this is my path to my destiny.
armaan is time jis jagah par tha wo jagah thi brookewood cemetery. jaha black suit me ek ladka sepulchre ke samne khada tha. freya gloden words se ye naam guda hua tha us sepulchre me. armaan ne jaise hi us naam ko chua waise hi uski band aankho se aansoo ki boonde nikal kar us grave ko bhigane lagi. uski band aankho me kisi movie ki tarah scene aage peeche chal rahe the.
armaan baar baar us grave ke charo taraf yaha waha apne hath fira raha tha. tabhi wo rote rote bola main un sabhi ko aisi maut dunga ki unhe afsos hoga apne hone par darindgi ki har inteha paar hogi.
tabhi armaan ke kandhe par kisi ne hath rakkha. armaan ne bina peeche dekhe hi kaha father don't touch me. cause i hate your god and to people like you who believe in that god. so just stay out of me.
father - my child main to tumhe hate nahi karta aur na hi god kyonki hum sab god ke bande hai. ek baat yaad rakhna ki god jo bhi karta hai wo acche ke liye karta hai. bacche bhale hi lita se nafrat kare par pita kabhi nahi karte god bless you mpahucha .
apka time aa gaya hai father apne father se milne ka.
father - matlab my child.
matlab ye father..itna kahta hi armaan ne father ke sar par hath rakkha aur pal bhar me hi jeete jaagte chruch ke father raakh ke dher me tabdil ho chuke the.
us rakh ke dher ko hath me lekar udate hue armaan ne khud se kaha..
armaan- father maine aapke father ka baccha nahi balki unke bhai ka baccha hoon. jise aapje father ne kaid karke rakkha hai. aur unka ye baccha unhe us kaid se free karwane aaya hai. par afsos aap bina sach sune hi nikal liye.
satan bless you...father