ab tak aapne padha ki kaise rudra ko samara ki unusual pregnancy pata chalti hai.
update 10
rudra apne office me baitha soch raha tha doctor ki kahi gayi baat pe. rudra ne bhi samara ke itni jaldi badhte hue pet ke baare me socha to tha. par usne isliye dhyan nahi diya kyonki doctor ne bhi pahle kaha tha ki kuch cases me aise hota hai par aaj jo doctor ne kaha ki six month me delivery ho jayegi aaj ki condition dekh ke to yahi lag raha hai. halaki rudra bhi doctor se is baare me baat karna chahta tha. par doctor ne usse pahle hi baat kar li.
samara ki condition bhi kuch theek nahi thi. uska bhukh par control nahi tha. wo dinbhar khati par use lagta ki jaise usne kuch khaya hi na ho ab to rudra ko bhi uski chinta hone lagi thi. wo gussa bhi kaafi karne lagi thi. inke beech me normal baat cheet bhi ab kam hoti thi.
aaj 25th december yani christmas tha. waise to har christmas par rudra and samara grand party dete the. party is baar bhi hui bas kewal ghar ke log staff ki family, kuch close friends baccho ke friends and family haa utni grand nahi hui jitni har baar hoti hai.par smara ne mana kar diya ki wo neeche nahi aayegi rudra ne mana bhi kiya ki abhi party nahi karte hai but samara ne kaha ki baccho dukhi ho jaayenge. jispar rudra mana nahi kar saka isliye gine chune log hi party me aaye. par rudra ne samara ko mana kar diya tha party neeche aane ke liye. wahi samara aur rudra ke friends and baaki log samara se milne ke liye aate rahe. party raat ke 11 baje tak chali kyonki samara ko rest chahiye tha and na chahte hue bhi shor ho raha tha. jis pa aaye hue sab logo ne ssmara ki health dekhte hue party jaldi khatm karne me sahmati jatayi.
raat me yahi koi 11.55 ka time ho raha tha. biltmore estate me har koi gahri neend me tha. rubal, kaayra, nitigya, amayra saare staff khud rudra aur samara bhi chain se soye the. lekin fir achanak se samara ne apni aankhe kholi lekin ye aankhe samara ki nahi lag rahi thi. wo kisi insaan ki aankhe nahi balki shatain ki lag rahi thi. kyon...kyonki wo normal na hoke bilkul kaali thi. jaise wo insaan na hok koi aur ho is time samara ke chehre par kaafi gussa tha..fir kuch waqt baad us samara ke pet ke hisse se gahre laal rang ka dhuna nikla aur sanara ke aankho ke upar aawahi st. catherine hospital newyork me theek raat ke 12 baje ek sundar si ladki ne janm hua. khubsurat itni ki maano ki jaise pure universe ki sundarta ko lekar usme daal diya ho neeli aankhe. pyara sa masoom sa cute sa face aur uspar se itni pyari manmohak si hasi. jab doctor ne us baby ko hath me liya tab doctor aur jitna bhi medical staff tha andar operation theatre me wo maano kho se gaye ho uske chahre me aamtaur par babies rote hai after birth par wo maano muskura rahi ho charo taraf dekh kar. wahi doctor and nurses usko niharne me lagi thi. fir us bacchi ne kuch der tak to doctor aur sab ko dekha baad me wo jab royi to tab inlogo ko hosh aaya aur nurse usko lekar chali gayi.
wahi ek nurse ne baahr aake dekha to aadmi idhar se udhar chakkar laga raha tha.
usko dekh kar nurse ne kaha mr. raizada congratulation aapko beti hui hai. bas ye lafz sune hi the raizada sahab ne ki wo to khushi me paagal ho gaye naachne lage sahab aankho me aansu aa gaye unke to aur ho bhi kyon na pita ban gaye wo bhi beti ke. unke kuch puchne se pahle hi nurse ne kah diya...after sometime we'll shift your wife in the ward. after that you can see your wife and daughter. ye kah ke nurse muskura ke chali gayi.
aur fir kuch hi time baad divya ko room me shift kar diya baby ki aankhe abhi band thi. par jaise hi arnav ke kadam room me pade waise hi baby ne apni aankhe kkhol di. jaise use pata ho ki kaun aaya hai.
arnav ne jaise hi baby ko dekha to wo to bas kho sa gaya jaise doctor aur nurse khoye the. aur baby bhi apne papa ko dekh kar smile kar rahi thi.
arnav ne baby ko dekh kar kaha ki..i'm your father my angel. i'm sooooo happpy.. my angel aur bhi na jaane kya kya kahe jaa raha tha. Aur baby bhi uski baato ka jawab smile karke deti. jaise sab kuch samajh rahi ho. arnav ki baat sun kar divya bhi hosh me aa gayi aur uske sath bhi yahi hua jo sabke sath hua tha. wo bhi kho gayi thi baby ko dekhkar.
uske baad arnav be divya se uske haal chaal puche jo main yaha nahi likh raha samajh jaana. kuch der baad arnav bhi wahi ek bed me so gaya idhar divya bhi medicine ki wajah se neend me chali gayi. takreeban aadhi raat me room ki window halke se khuli aur chand se aati hui roshni babay ke chahre par padi jisse uski khubsurati aur bhi nikhar kar aa rahi thi. wahi door universe me koi us baby ko dekh kar muskura raha tha. aur idhar wo baby bhi return me waise hi smile kiye jaa rahi thi.
New introduction:
Arnav Singh Raizada- business tycoon also a billionaire like rudra.
Divya Singh Raizada - wife of arnav
Angel Singh Raizada - Heroine
(ye rahi heroine ki family ka intro. inki age and all jab character par focous hoga tab aayega. and baaki ke intro like arnav ki family, divya ki family unka intro tab hoga jab unki family aayegi. abhi agar bataya to confuse ho jaaoge ya fir kahoge ki log jayada nahi hai. isliye intro character ke according hoga. jinka jikra nahi aayega unka samajh lena ki unki ticket cut chuki hai. jaise rudra aur samara ke parents. baki samara aur rudra ke relative agar aayenge to intro hoga waise chances kam hai..because i hate relatives just hate it..)