ab tak aapne padha ki kaise amu armaan ko bhool jati hai..dom ke chakkar me. fir uske baad armaan amu aur baaki sab ke samne dom ki sacchai laata hai.
ab aage.
update - 21
SHABD....inke prayog me humesha ethihaad baratna chahiye. kyonki ye shabd hi hote hai jo hriday aur mastishk me gahra prabhav daalte hai. ek aisa prabhav jiska asar lambe samay tak insaan ke antarman me rahta hai. shabd chahe acche ho ya bure prabhav jaroor dalte hai. par vyakti inka prayog karne se pahle se sochta kaha hai.
aaj armaan ke sath jo hua usme armaan ki kaha galti thi. aaj puri family ne jo kuch bhi kaha jahar ke jo nastar armaan ke upar chodhe the. kya kisi ne socha ki uska asar kya hoga. nahi socha kisi ne bhi.
armaan ko behosh hue kaafi time ho chuka tha. doctor bhi aaye dekhne aur doctor ne bhi yahi kaha ki armaan ko sadma pahucha hai kuch aise incidence hue hai lagatar beete dino iske sath jiski wajah se iske brain ko shock laga hai. aur usi wajah se ye behosh hua hai.
jab rudra, samara, rubal, kayra, niti ne ye suna to wo aur jyada pareshan ho gaye. unke paas words nahi the. ki doctor ke baato ka kya jawab de. khair doctor aa kar chale gaye unhone bola ki armaan ko hospital me admit karwa de par rudra ne mana kar diya. shayad apne status ki fikra hogi. aur ho bhi sakta hai jab itna kuch bol diya wo bhi apne hi khoon ko aur jiski umra mahaj das saal hai.
armaan ke room me is time amu ko chodh kar baaki ki puri family thi. tab niti ne kuch kaha
niti - aunt mariya aap amy ke paas baithiye. hum log aate hai. aunt maria aaj jinke aankho me bhi aansoo the. aur sirf unki hi aankh me nahi balki pure staff ki aankho me bhi aansoo the. par ye bole bhi to aakhir kya kyonki hai to servants agar kuch bolte to inki job par baat aati. aakhir inki bhi to family hai.
uske baad niti ne kaha ki aap sab mere sath aaiye mujhe kuch baat karni hai. aap sab se.
uske baad niti armaan ke room se nikal gayi pahle gayi wo amu ke room me usko lekar baki member ke sath ghar ke third floor par bane meeting room me chali gayi. us room ka use ye log discussion karne ke liye karte the. room me jaakar.
niti - kya kahu main aap sab se mujhe samajh nahi aa raha. chalo sabse pahle start dad ke sath karte hai.
dad kya kahu main aapko mujhe aaj ghutan lag rahi hai ki main aapki beti hoon. itna jahar wo bhi apne hi bete ke liye. aakhir uski galti kya thi. jo aaj aaone use ye sab bola aaj aapne galat nahi kiya balki isko gunah kahna bhi galat hoga. agar wo aapko itna hi chubhta tha apni aankho me to janm ke baad kisi orphanage me daal dete kam se kam ye to nahi sunna padta use aaj. bataiye mr. rudra malik bataiye niti ki aawaj har pal buland hoti jaa rahi thi. aur jab rudra ne apna naam suna to sab shocked ho gaye kyonki aaj in sab ne pahli baar niti ka ye roop dekha tha.
answer my question mr. rudra just tell me. kyon kiya aapne aisa itni nafrat man to kar raha hai ki jaan de doon. aapki ek baat dhyan rakhna rudra malik agar mere bhai ko kuch hua to mujhse bura koi nahi hoga samajh lena.
aur samara malik tum to use betu betu kahti thakti nahi thi na fir apne bade bete aur beti ke pyar me aapne us nanhi se jaan ko ignore kar diya. tumko pata hai ki use tumhare hath ke alawa kisi aur ke hatho ka khana nahi pasand aur tum aone bade bete aur beti ke pyar me itni andhi ho gayi ki tumhe wo dikha tak nahi. kya kahu aapko aaj god se main yahi wish karti hoon ki yaa to main mar jaao ya fir mera bhai. kash wo janm lete hi mar gaya hota. aur rubal aur kayra tum dono ko ye lagta hai ki uske janm lene le baad wo is malik empire ka hisse dar hai kyon sahi kaha na. for your kind information das saal ki umra me uska IQ tum se bahut aage hai. samjhe usne tumhare sath aaj tak kya kiya jo tumne use itna suna diya. kya gakti thi uski haan.
aur amayra malik tumne kya kiya jo bhai tumhari jaan tha. jise janm ke baad se tumne ek pal bhi akela nahi chodha. jiske khana nahi khane par tum din bhar roti din bhar bhukhi rahti. use halki si kharoch bhi aa jati to tumhari jaan tak nikal jaati. koi use daanta to tum use maar baithi jiski duniya sirf tum thi. tumne uske sath kya kiya. yahi pyar tha tumhara yahi care thi tumhari. aur kal ke aaye hue rishte ke liye tumne apne dil ke us hisse ko bhula diya jo tumhare bina saans tak na le..jiski subah tumhare naam se jiski raat tumhare paas uski har khushi har gam sirf tum. aur tumne ye kiya uske sath aur to aur janwaro ki tarah maara. itni maar khane ke baad bhi usne ek shabd nahi bola tab bhi use amu tumhari fikra thi. na ki apni chot ki aaj tumhari life jo sahi salamat hai wo sirf usi ki wajah se nahi to tum soch sakti ho wo dom tumhare sath kya karta aur to aur usne na sirf tumhari life bachai balki hum teeno ki bhi life bachai us harami se usne rudra malik ki family ko bachaya nahi to hum kahi ke nahi rahte. rudra malik tumne bhi to use utha kar kisi scrap ki tarah fek diya tha. baccha tha wo ek baar bhi nahi socha kisi ne. laato se maara gaya tha wo. amu tumhe jara sa bhi nahi laga ki ye tumhara amy hai. kyon amu kyon ye kahte hue niti apne ghutne par baith kar cheekhte hue rone lagi. jab amu uske paas jaane lagi to usne chillate hue kaha uski siskiya suni jaa sakti thi room me
niti - paas mat aana mere paas amayra malik nahi to aaj wo ho jaayega jiska malal tumhe taumra rahega. aur tum sab hi kyon maine bhi to amy ko ignore kiya kyon uska dard nahi dikha mujhe. kya kiya usne kabhi aajntak uski koi complain nahi aayi. kabhi usne koi jid nahi kari tum logo ne jaisa kaha usne waisa kara. aur ye kiya tum logo ne uske sath itna ghatiya salook itni neechta to koi ghar ke jaanwar ke sath bhi nahi karta aur amu tumne aur rudra malik ne to use kutte ki tarah maara. maine aaj tak kuch nahi bola kya mujhe nahi dikhta tha ki rubal , kayra dad kaisa behave karte hai uske sath aur kare bhi kyon na aakhir unwanted child jo thara tumhara aaj ke baad tum me se koi bhi uske paas nahi jaayega. agar koi bhi gaya to mere arthi ka bhi intejaam kar lena. ye bol kar niti arman ke room ki taraf chali gayi. aur yaha meeting room me sabke chehre aansuo se bheege hue the. ab sab pachta rahe the ki kya kar diya inlogo ne. niti ki kahi gayi ek ek baat inke aatma ko kachot rahi thi. par ab pachtane se kya fayda jo hona tha wo to ho gaya.
idhar armaan ke room me niti armaan se baate kiye jaa rahi thi.
bhai ek baar uth jaa tu jo bolega main karugi jaisa kahega waisa karungi please ek baar uth jaa maaf kar de aoni niti ko mi wo twra dard nahi dekh paayi. aur aaj jo hua wo nahi rok paayi. please uth jaa na baccha. ye kahte hue uske aankho se pani ki dhar nikal kar armaan ka chehra bhigane lagi. par yaha armaan is samay apne mastishk ki gahraiyon me ud raha tha. jaha use sukun tha. ek gahri neend ne tha wo is samay
wahi yaha family ke member apne apne kamro me aaj ke kiye hue gunah par pachta rahe the. chalo dekhte hai.
samara - armaan ki photo ko pakde hue siskiya ke rahi thi. aur bole jaa rahi thi. betu maaf kar de aoni mumma ko main kaise bhul gayi. niti ki ek ek baat sach hai jo bhi usne kaha mujhse main rubal ke aur kayra ke pyar me itni andhi ho gayi ki apne chote se baccbe ko bhool gayi. mujhe to maafi maangne ka bhi hak nahi hai. bas ek baar tu hish me aa ja uske baad main tujhe aoni najro se ek pal ke liye bhi door nahi hone dungi. maaf karega na mumma ko
rubal - ye maine kya kar diya aisa nahi karna chahiye tha sahi to kaha niti ne maine bade bhai hone ka ek farj tak nahi nibhaya aur usko itna kuch oh god kya ho gaya usne aaj tak kuch mahi kaha humesha bhai bahi karta rahta par maine use kabhi pyar nahi diya jab bhi main school se aata to merw paas aata aur mujhse puchta ki ye kya hai wo kya hau. aur maine kya kiya. sahi to kaha ki meri soch jaanwaro se bhi badtar hai. khud se sharm mahsoos ho rahi hai mujhe. please amy maaf kar de mujhe. tu ek baar maaf kar de jaanta hoon mushkil hai. pa jo tu kahega wo main karunga. please yaar.
kayra - maine ye kaise kar diya ek taraf to main khud rubal ko samjhati thi. ki armaan ke sath achha behave karo par maine khud kya kiya maaf kar de bhai.
amu - kya kiya maine apne betu apni jaan ke sath aisa kiya. niti ne jo bhi kaha kal ke aaye rishte ke peeche apni jaan ko bhula baithi. main kaise bhul gayi ki uski duniya sirf main thi. uska dil thi main bachpan se lekar maine aaj tak us ek pal ke kiye bhi door nahi kiya aur dom ke kahne par use bhula diya aaj bhi main aur dad use maar rahe the rubal aur kayra use itna suna rahe the par fir bhi usne kuch nahi bola aur kaha bhi to kya ki ye amu ke liye sahi nahi hai. itni maar khane ke baad bhi use sirf aur sirf humari chinta thi. meri fikra thi use. nahi to main kya hum sab kahi ke nah rahte wo maar khata raha aur ek shabd tak na bola aur humne aaj use jaanwaro ki tarah maara ye bol kar amu khud ko maarne lagi jab maarte - maarte thak gayi tab chillate hue rone lagi. bhai ek baar uth jaa main kasam khati hoon ki aaj ke baad meri life me koi nahi aayega. plese baccha uth jaa na.
wahi rudra meeting room me ghutne ke bal baithe hue rote hue khud se bolta jaa raha tha ki kaisa baap hoon main ki apne bacche ke sath aisa salook kiya. aaj tak pyar se baat tak nahi kari maine aur aaj jahar se bhare teer chubha diye. kaise kar sakta hoon laato se maara tha maine apne bacche ko aur usne uff tak na kiya kaise bhul gaya main ki wo sirf das saal ka hai. bolte hue rudra apne haatho ko jameen oar maarne laga. usne to bete hone ka farj itni si umra me nibha diya. par main ek baap hine ka farj nahi nibha paaya.
par afsos ab ho bhi kya sakta hai. jo hona tha wo ho chuka.. kyon hum gusse me bhool jaate hai ki humare dwara kiye gaya apradh kya prabhav daal sakta hai. kyon hum samajh nahi paate galti sudhari jaa sakti hai par gunah nahi rishte tutne ke baad judte nahi hai balki unme lakeer pad jaati hai jo kabhi nahi bharti. insaan dusro ke diye dard ko bhool sakta hai. par apno ke dwara di gayi peeda ko nahi ye dard naasur ban jaata ta umra ke liye sari jindagi bato ko bhul nahi paata ye dil gutan si hoti hai aur jab ye ghav bachpan ke antarman par padte hai. to saari jindahi andhere me gujarti hai. agar kisi ki galti nahi hai aur fir bhi use nafrat mile to uspar kya beet ti hai. kho jaata hai wo bachpan aur fir bchta hai to bina kisi bhav ka insaan.
armaan us pure din behosh raha behosh kya apne antarman me doob raha tha wo. is din ne malik pariwar ki jindagi nist o naaboot kar di aur usme haath tha to is ghar ke padhe likhe insaano ka jo karne se pahle ye bhool gaye ki jiske sath ye sulook kar rahe hai wo koi aur nahi balki inka hi hissa hai jise inhone kabhi hissa mana hi nahi. agar maana hota ya inke dil me armaan ke liye jara sa bhi pyar hota to ye aisa karte kya nahi karte shayad.
inke liye to armaan sirf ek liablity thi kewal jise inhe nibhani thi kewal..wo ghar ke us furniture ki tarah tha jise hum laate to bade pyar se hai oar laane ke baad wo ek kone me pada rahta hai. bhule bisre kabhi kabar uspar hum kapda maar diya karte hai. aur aaj ke hue incidence ko dekhte hue ye kahna bilkul galat nahi hoga ki armaan bhi inke liye us furniture ki tarah tha.. bas ye aaya tha.
par ye kahna galat nahi hoga ki usne inhe chuna tha aane ke liye. bhake hi wo shaitan ho par tha to inka beta.
aur ye wo acche log hai jinke andar ek haiwan basta hai. ye din bhi beet gaya. niti arman ke kamre me hi so gayi thi. aur baaki sab wahi jaha wo aone gunah ka cinfession kar rahe the.
wahi armaan ke swapn aakash me arman ki aankh waha khuli aur yaha armaan ki aankh khuli wo jaise hi apni chetna me aaya kal ki hui saari ghatnaaye uske mastishk me chalchitra ki tarah chalne lagi. aur aisa hote hi uski aankho se ansoo nikal lage..aasuo ka silsila juch samay tak raha. par phir wo aankh band karke let gaya.
tabhi uske kamre ka gate khula aur ek ke baad ek karke sare family member aa gaye room me. unki aahat se niimti ki bhi aankh khuli jab tak wo unhe kuch bolti tabhi armaan ki chillane ki aawaj aayi. uski aawaj sun kar puri family kya pura fhar hil gaya ghar ke har kone me armaan ke chillane ki aawaj gunj rahi thi.
armaan - wahi ruk jaao tum sab koi nahi aayega mere paas. nikal jaao yaha se nafrat karta hoon main tum sab se tabhi amu uske paas aane ko hui.
amayra malik apne kadam wahi rok lo jaha pe tum is waqt khadi ho in sab se to mujhe koi umeed nahi thi. par tum...tum to meri duniya thi. tumne mere sath aisa kiya dad bhai aur di ne to aaj tak pyar nahi kiya par tumne kya kiya merw sath ek naye rishte ko lekar purane rishte ko thokar maar di. itni jaldi to koi aobe paltu jaanwar se bhi man nahi bharta aur is kadar to bilkul nahi. in sab se jyada main tumse nafrat karta hoon. kya kiya tha maine kya galti thi meri. batao tum sab jya kah rahe the aap dad ki main paida hote hi kyon nahi mar gaya. to aaj se aap mere liye aur main aap ke liye mar chuke hai. aur bhai aap ne kya kaha tha ki main aao sab ki khushiyo ka dusman hoon meri wajah se koi khush nahi rah sakta main najar lagata hoon tum sabki khushiyo par to aaj je baad na main tumhari kisi bhi khushi me najar nahi lagaunga.
so just leave my room right now. wo log kuch bolbe chale ki fir armaan bola i said leave my room right now..kagi aisa na ho ki main kuch aisa kar doon. ki mere paas pachtane ke siwa kuch na rahe.
armaan ki ye baate sab but ban kar sunte rahe. aur aakhir me rote hue chale gaye. aur idhar armaan bhi apne bed par let kar rone laga. aur rote hue bolne laga ki koi mujhe oyar nahi karta kya galti thi meri. jo mere sath ye hua maine to kabhi jid nahi kari kabhi aaj tak kisi ke sath misbehave nahi kiya.