flashback continues:
restaurent me lunch ke time freya itna sara khana dekh ke khush ho gayi thi. aur usko khush dekh ke sophia aur amy bhi behad khush the.
kahir isi tarah lunch bhi ho gaya aur ye log sophia ke ghar ki taraf nikal gaye. ghar pahuchte hi gift bhi deliver ho gaye jo armaan ne freya ke liye khareede the. freya itne sare gifts dekh ke fuli nahi sama rahi thi.
wo kudte hue bolti hai hai ki amy ye gift mere hai
amy - yes bilkul tumhare hi hai. delivery boy se bol kar armaan ne gifts andar rakhwa diye. aur william ko unke sath bhej diya andar freya bhi sath hi chali gayi.
ab yanha bahar armaan aur sophia ke alawa koi nahi tha.
mauka dekh ke jaise hi sophia kuch kahne chali waise hi armaan ne unhe rok diya aur kaha ki aunty aapko thankyou bolne ki jarurat nahi hai.
armaan - manta hoon ki maine bhaut kuch kiya aapje hisab se but mujhe ek baat bataiye ki agar meri jagah aap hoti aur to kya aap nahi karti ye sab. aur fir maine ye sab apni friend ke liye kiya hai atleast mujhe bhi to itni acchi friend mili.
tabhi freya ki aawaj aayi ki andar aao bahar kya kar rahe ho uski aawaj sunte hi dono hanste hue ghar ke andar chale gaye.
uske baad kuch det normally bate hui. fir armaan ne hi kaha ki ab time ho gaya hai mujhe jana chahiye.
ispar freya udas hote hue boli ki tum jaa rahe ho amy ab fir kab miloge.
amy - are isme sad hone wali kya baat hai main to yahi hoon aur main jaldi hi apni friend se milne aaunga.
freya - pakka
amy - pakka
itna bol kar armaan bhi bahar aa gaya.
gahr ka arrangement week ke andar hi kar dena. aur kuch guards inki security ke liye jo bina najar me aaye inki safty kare. aur sabse badi baat sophia aunty ke liye kuch kaam bhi dekh lena.
william - ghar ka arrangement 2 ya teen dion me ho jayega and freya ka school bhi dekh liya hai baat bhi ho gayi hai aur rahi inke work ki baat to ek kaam kar sakte hai yanha pass me ek mall ban raha hai....
william ki baat kaat kar armaan bola ki unke naam par kar do.
itna sunte hi william shocked ho gaya.
aur bola are you sure about this..kyonki wo mall kafi costly hai.
armaan - haa maine bhi suna hai...but mere friend se badhkar to nahi hai hai.
william - tumhe dekh kar kabhi - kabhi to main shocked ho jata hoon ki itni age me itni maturity means how..
uski baat par muskurate hue armaan kahta hai ki martial arts sne mujhe bahut kuch sikhaya hai..
william - matlab
armaan - main jab 4 saal ka tha tab maine ek movie dekhi thi 36 chamber of shoulin usme jis level ka martial arts dikhaya gaya tha aur jo patience usne mujhe kafi inspire kiya..bas tabhi se maine man bana liya ki mujhe sikhna hai..
william ko dubara shocked laga ye sun ke ki armaan itne time se martial arts ki practice kar raha hai.
kuch time baad armaan apne hostel me aur william apne kaam par.
hostel me aate hi armaan aaj ke baare me sochta hua neend me chala gaya.
aur yanha ghar me sab hall me baith ke aaj sham ki planning kar rahe the.
rudra - to sab ne gift le liye
niti - bilkul bhai
kayra - but ek baat to clear hai ki armaan ko mera gift jyada pasand aayega.
samara - aur ye tum kaise kah sakti ho ki tumhara hi gift pasand aayega.
kayra - dekh lena
is baat par yo main shart laga sakta hoon ki fir mera hi gift pasand aayega.
rudra - meri aulado bahas nahi karo to jyada accha hai gift to mera diya hua hi pasand aayega.
niti - ok dekh lenge.
sab - ok
aisr hi inki baate chalti rahti hai. aur yaha rudra kisi soch me duba tha aur baki sab bato me khoye the. tab niti ki najar rudra par padi aur wo boli
niti - dad aap kaha khoye hue hai.
ispar rudra bolta hai ki
rudra - main armaan ke bare me soch raha hoon.
rudra ne jaise hi ye bola waise hi hall me ek lin drop silence.
ssab ke chehre rudra ke taraf the. jaise intejar kar rahe ho ki rudra kya bolna chahta hai.
tab rudra ne bola ki humne armaan ke liye birthday plann kiya hum yaha aaye. but agar armaan ne aane se mana kar diya to kyoni london aane ke baad se hi usne hum me se kisi se bhi baat nahi ki.
humne kitna try kiya but har baar no response. aur yaha sab ye baat sun kar pareshan ho gaye kyonki kisi ne bhi is baare me socha nahi tha.
ab sawal ye uthta hai ki armaan ko bulaya kaise jaaye kyonki party ka agar kahenge to armaan aane ke liye mana kar dega ye to sure hai. ye niti ne kaha tha.
tab kayra boli ki agar hum party ka bolenge to mana kar dega isse accha hai. use call kar ke bolo ki kuch baat karni hai. urgent hai aur hum se aakar mile.
rubal - par call karega kaun.
niti - main karti hoon.
itna bol kar niti ne call kiya aur call uthate hi niti ne kaha ki...
niti - amy call mat cut karna urgent hai. hume tumse kuch urgent baat karni hai aur hum sab is time yahi london me hai. tum ghar par aakar mik lo please. aur jaldi aana.
itna bol kar niti to chup ho gayi. aur wahi armaan ki taraf se sirf silence.
idhar niti hello hello kar rahi thi. tab kafi der baad armaan ne bola ki ok aa raha hoon.
aur thodi hi der baad armaan bhi aa gaya. is time uske face par koi expressions nahi the.
khair wo ghar ke andar aaya pura ghar is time andhere me dooba tha.
armaan jaise hi andar aaya waise hi sare ghar ki lights jal uthi aur sab ne chilla kar kaha HAPPY BIRTHDAY ARMAAN....armaan pahle to shocked hua. par wo kuch kahta usse pahle hi niti ne bola
niti - tum kuch kaho usse pahle i am sorry ki tumhe jhooth bol ke bulana pada par koi aur rasta nahi tha..amy
idhar niti ki baat khatm hui aur kayra boli ki pahle cake cut karo tum fir aaram se baat karte hai.
aur tumhare dress upar padi hai jaldi jaake ready ho jaao.
rubal - ready ho jaao kya main karta hoon apne bhai ko ready.
yaha armaan ko shock par shock mil rahe the. aur rubal usne armaan ko apne kandhe par uthaya aur room ki taraf daud pada usko aise bhagte dekh sab hanse jaa rahe the. aur wahi armaan to shock me hi tha.
wahi room me rubal ne armaan se bola ki tumhe sharm to nahi aayegi mere saamne kapde badalne me.
i think nahi aayegi. tum ek kaam karo jaldi jaa ka naha kar aao.Itna bolte he rubal ne armaan ko bathroom me dhakka de diya aur bahar se chillane laga ki amy jaldi karna.
armaan ne kuch bolne se behtar jaldi nahana hi theek samjha. kuch time baad wo towel lapet kar bahar aaya jaha rubal use ready kar raha tha. rubal ne use tuxedo pahnaya jisme armaan wakai me dashing lag raha tha. aaj kafi time baad uske face par pahle ki tarah innocence aur cuteness dekhne ko mili.
rubal usse bole jaa raha tha. ye evening tumhare liye bhaut hi special hone wali hai mere bhai.
itna bol ke usne armaan ka hath pakda aur use leke apne sath neeche aa gaya. ghar walo ki najre uske upar se hat nahi rahi thi.
tab cake laaya gaya jo ki armaan ki pasand ka tha. armaan ne ek baar cake ko dekha aur fir baki sab ko sabki aankho me is time cake cut karne ki request thi.
khair armaan ne sab ki request ka sammam kiya aur cake cut kiya sab ye dekh ke itne khush hue ki amy ne unki wish ka maan rakkha.
cake khilane ke baad rudra ne bola
rudra - amy tumhare man me kai sawal honge aur tum ye bhi soch rahe hoge ki achanak se ye sab kyon...to abhi dinner kar le uske baad aaram se baat karenge.
armaan ne rudra ki baat par sirf haa me gardan hilai.
dinner ke dauran normal conversation chal rage the sirf do ko chodh kar ek armaan aur dusri amayra. armaan ka dhyan jaha khane par tha. wahi amu ka armaan pe. isi bich bato ke dauran niti ne kaha ki aaj jab main parlour me thi. tab waha ek lady aayi.
kayra - to isme kaun si badi baat hai parlour me sirf ladies hi aati hai.
niti - mujhe bolne to do..us lady je hatho me gardan aur kamar me chilne ne nishan the.
armaan ne jaise hi ye suna uska dhyan khane par se hat kar niti ki bato me aa gaya. aur apna khana rok kar bola
to tumne kya kiya niti us lady ke sath. sabne jaise hi ye suna pahle to sab shocked hue ki aaj itne time baad armaan ne unki baato me apna interest liya hai. sab ko chup dekh kar armaan bola ki aap sab mujhe aise kyon dekh rahe hai..
ispar samara boli ki aaj tumne kaafi time baad humse baat ki hai.
aur niti ki khushi uske face par acchi tarah dekhi jaa sakti thi.
tab niti ne fir bola ki maine pahke uska treatment kiya wo kafi dari hui thi. shayad pahli baar parlour me aayi ho.
naam kya tha us lady ka ye fir armaan bola..armaan ne andaja to laga liya tha but wo confirm karna chahta tha.
niti - i think sophia tha.
bas ye naam sunte hi armaan ke face par rek smile aa gayi jise usne jaldi chupa liya taki koi dekhe na.
dinner bhi khatm ho gaya aur sab wapas hall me.
aur armaan kuch puchta usse pahle hi rubal ne kaha ki tum kuch bolo ya pucho usse pahle mera gift. ayr khol ke dekho kaisa hai.
armaan ne jab rubal ka gift khola tab usme ek psp tha. aur uske andar armaan ki sari favourite games.
armaan ne jab gift dekha to ek pyari si smile aa gayi aur rubal ye dekh ke khush wahi kayra ne iPad, niti ne usko ek puppy aur fish di, amayra ne kaha ki manti hoon maine bhaut galat kiya mafi mangne ke layak bhi nahi hoon. fir bhi ho sake to maaf kar do itna bol kar amayra armaan ke gale lag kar jor se rone lagi..aur kush time baad rona siskiyo me badal gaya aur idhar armaan bhi rone laga halanki wo maaf nahi karna chahta tha. par aaj halat bhi uske bas me nahi the.
armaan rote rote bola ki kyon amu tumne mera trust nahi kiya kyon. kyon tumne aisa kiya mere sath wo amu se akag hua aur bola kya sunu main bataiye aap log..ek baar bhi nahi socha ki kya beetegi mere upar sabki aankho me aansu the sabke sar niche jhuke hue the.
amu - maaf kar de betu...please nahi to mar jaungi main ab sahan nahi hota.
armaan ne jaise hi ye suna waise hi bola chup karo dubara marne ki baat kari to main maaf nahi karunga.
tab rudra ghutne ke bal rote hue bola ki maaf kar de baccha ek mauka to de ki hum apne gunah kam kar sake.
armaan ne kaha ki chup ho jaaiye. maaf karne ki baat par main ye kahunga ki mujhe thoda time chahiye par main koshish kaurnga ki pahle ki tarah rah saku.
samara - humare liye ye bhi chalega...isi tarah se baate bhi khatam ho gayi ab sone ke time par amu ne kaha ki main aur armaan sath me soyenge aaj ispar rubal bola ki kyon hum sab sath me soyenge.
par samara ne hi kuch sochte hue kaha ki aaj amu ko sone do kal hum sab sath me soyenge.
room me jab armaan aur amu aaye tab armasn ne dekha ki pure kamre me gulab ke phool aur sorry cards rakkhe the. ispar armaan ne amu ko fir gale lagaya but kaha kuch nahi shayad jarurat na ho..khair isi tarah raat bhi beet gayi aur tute rishto ki shuruaat bhi dubara se ho gayi..dekhte hai ab aage kya hota hai.
dusre din breakfast me armaan ne rudra se bola
armaan - dad mujhe aap se kuch baat karni thi.
rudra - haa bolo armaan.
armaan - aapko pata hai ki central london me jo mall ban raha hai uske bare me.
rudra - haa pata hai.
armaan - mujhe wo chahiye apne liye nahi apni friend ke liye.
uske baad armaan ne sab ko sophia freya ke baarw me bataya ki kaise wo unse mila and usne kya kiya.
jab sab ne ye suna ki armaan ne apna friend banaya hai is baat par sab khush hue. aur rudra ne bola ki bilkul aisa hoga. tum tension mat lo mall aur ghar ka arrangement ho jayega aur kaise dena hai wo bhi..uske baad rudra ne william ko phone kiya aur sab samjha diya aur wo kya ye aage pata chalega.tab kayra boli ki dad aapne aur mom ne gift nahi diya.
ispar rudra bola ki main deta par kal jo hia to socha ki aaj doon.
rudra - maine hum sab keiye trip plan ki hai wo bhi 15 days ki jaha bhi tum chaho.
ispar samara boli ki copy cat tumne mera idea kyon chori kiya.
rudra - no way ki tumne bhi yahi gift socha hai.
samara - hmm yahi idea hai mera... to basically hum dono ka ye gift hai tum sab ke liye.
gift ka naam sunte hi sab khush ho gaye.