Update 28
Itna keh kar Rahul Isha ke saath ghar chale gaya. Gaurav apne car ke saamne khada tha aur Mohan aur Seema pure parivaar ke saath nikal gaye ghar ki taraf. Rashmi Gaurav ki car me hi baithi thi un sab ke jaane ke baad bahar aayi aur Gaurav ke bagal me aa kar khadi ho gayi.
Rashmi(Muskurate huye)-“Aaj kaafi jyada drama ho gaya Gaurav ji!”
Gaurav-“Haa yaar! Kaafi stressful day tha!”
Rashmi-“So! Ab kya?”
Gaurav-“Chalo tumhe ghar chhod du!”
Rashmi-“Abhi itni bhi raat nahi hui!”
Gaurav(Muskurate huye)-“Aaj bahut tension me hu!”
Rashmi(Gaurav ke gardan me apni ungli ghumate huye)-“Tension? Mai dur kar sakti hu!”
Gaurav ne apne hath rashmi ke maathe par rakha aur use piche kiya!
Gaurav-“Chaliye aaj aapko ek jagah le jata hu!”
Rashmi muskurate huye gaadi me baith gayi aur Gaurav ke saath chal di car me. Gaurav use Mandir ke paas le gaya aur Car se bahar nikal kar khade ho gaya aur Mandir ko dekhne laga, Rashmi paas aa kar khadi ho gayi
Gaurav-“Whenever I feel stressed I come here! I was really happy here, Yaha maine apne sabse ache din dekhe hai aur bure bhi! (Apne haath ko apne chhati ke paas la kar) Ishu itni si thi mere gaud me khelti thi! Hum waha un seedhiyo par rehte the! Roz bheek maang kar humare khane ke liye paisa jama karte! Phir Abhimanyu bhaiya ne hume dekha aur humari madad ki, Hume rehne ki jagah di mujhe meri shaktiyo ko instemal karna sikhaya aur phir wo manhoos din, Na jaane Abhimanyu ke man me kya tha jo unhone humare saath aisa kiya! Unhone meri Ishu ko bhi chot pahuchayi!”
Gaurav ne mud kar dekha Rashmi ki aankho me aansu the, Gaurav ne Rashmi ke chehre ko pakda
“Rashmi ji I am sorry! Mera wo matlab nahi tha!”
Rashmi-“I am sorry Gaurav! Mere bhaiya ke karan...”
Gaurav-“Isme aap ki galti nahi hai Rashmi..!”
Gaurav ne Rashmi ko apne seene se lagaya. Rashmi aur jor se rone lagi
Rashmi-“Mera man kabhi nahi manta, Mere Manu bhaiya aise nahi hai. Wo hum sab ke saath aisa nahi kar sakte!”
Rashmi roti rahi aur apna dukh bayaan karne lagi, Gaurav bas uske sar haath pherne laga, Thodi hi der me Rashmi ki awaaz dhimi hone lagi aur aur wo shaant ho gayi. Gaurav ne dekha Rashmi rote rote uske seene par hi so gayi thi. Gaurav ne rashmi ko dur karne ki koshish ki par Rashmi ne kaafi jor se Gaurav ko jakad rakha tha. Gaurav ne Rashmi ko apne gaud me uthaya aur use Car ke piche seat me litane ki koshish ki But Rashmi ne use nahi chhoda, Gaurav ne Rashmi ko uthate huye hi car ke backseat par gaya aur apne dusre haath se darwaza band kar diya aur let gaya. Rashmi bhi Gaurav ke upar hi so gayi.
Idhar Dusri aur Sayesha ghar par Rashmi ka wait kar rahi thi.
Sayesha(Devarsh ko)-“Guruji kaafi late ho chuka hai! Rashmi abhi tak nahi aayi!”
Devarsh(thoda sochte huye)-“Ek baar Mohan ko call karke dekho! Shayad Rashmi unke yaha hongi.”
Sayesha ne call lagaya aur Mohan se baatein ki, Call ke baad kaha
Sayesha-“Unhone kaha ki Rashmi Gaurav ke saath aa rahi hai!”
Devarsh-“Thik hai! Acha Sayesha! Mujhe lagta hai tumhe tumhare parents se ek baar mil lena chahiye!”
Sayesha-“Nahi Guruji!”
Devarsh-“Par beta!”
Sayesha-“Mujhe is bare me baat nahi karni guruji!”
Itna keh kar Sayesha apne room me chali gayi. Wo Room me ja kar aaine me khud ko dekhne lagi! Sayesha ko apni bachpan ki baatein yaad aane lagi
(“Beta it will be over! Bas kuch minute ki baat hai”
Sayesha-“Papa!! Chhodiye mujhe mera dum ghut raha hai!”
Sayesha ke papa bed par Sayesha ka gala daba rahe the
Sayesha’s Dad(Rote huye)-“Ssshhhh!! Bas do min me tumhara sab dard khatm ho jaega”
Sayesha-“Papa rukiye! Please papa mai jeena chahti hu! Mai aisi harqat phir kabhi nahi karungi”
Tabhi Sayesha ki aankho ki putli upar hone lagi aur Sayesha ke papa ke haatho ki jakad apne aap kam hone lagi aur unhone Sayesha ke gardan se apne haath hata liye, Sayesha ke papa waha se uthe aur ja kar paas hi table par rakhe blade ko uthaya. Tabhi Sayesha ki mummy waha aayi aur unhe samajh aa gaya ki yaha kya ho raha hai!
Sayesha ki mummy ja kar Sayesha ko hosh me lane ki koshish karne lagi.
Sayesha’s Mom-“Beta beta hosh me aao! Chhod do apne papa ko!!”
Sayesha ke papa wo blade apne gale par rakh kar khade ho gaye
Sayesha ki mom ghabra gayi aur waha paas me pade jug se pura paani sayesha ke upar daala
Sayesha’s Mom-“Sayeshaaaaaaaaaa!!!!”)
“Sayesha!!”
Sayesh achanak se apne khayalo se bahar aayi usne dekha khidki par Rahul baitha tha. Sayesha hairani se Rahul ko dekhne lagi, Phir gusse me uske paas aate huye
“Tum yaha kya kar rahe ho?”
Rahul-“Shhhhh!!! Shaant!! Koi sun lega”
Sayesha-“Get Lost! Abhi ke abhi jao yaha se!”
Rahul-“Chale jaunga bas ek question? Kya Aaj garden me tum hi thi??”
Sayesha-“Mai koi sawaal jawaab nahi karna chahti!”
Itna keh kar Sayesha Rahul ko khidki se piche dhakelne lagi!
Rahul-“Arre jaan mai gir jaunga! Ruko to!”
Sayesha “Jaan” sun kar gussa ho gayi aur Rahul ko dhakka diya! Rahul ka balance bigad gaya aur wo piche girne laga, Rahul ko girte dekh Sayesha ne uska collar pakad kar use pakadne ki koshish ki par wo bhi Rahul ke saath khidki se bahar gir gayi.
“Aahhhhhhhhhhhhhhhhh!”
Zameen par girte hi Rahul ki dard ke maare aahhh nikal gayi. Rahul ke upar Sayesha leti huyi thi.
Sayesha-“Ab Maza aaya? Isiliye bolti hu dur raho mujhse!”
Rahul-“Jaan maza to bahut aaya! Tum yu mere upar ho!”
Sayesha uske seene me mukke maarne lagi,
Sayesha-“Samajhte kyu nahi ho tum!”
Tabhi ek goli chalne ki awaaz aayi, Rahul aur Sayesha ne us taraf dekha to paaya ki ek shaks nakaab pehne hua tha aur uske haath me rifle thi! Wo shaks bhaagne laga. Sayesha aur Rahul khade aur us shaks ke piche bhaagne lage Tabhi Rahul ne dekha sayesha ko bhaagne me taklif ho rahi thi. Rahul ne gaur kiya to paaya ki Sayesha ke Pet me goli lagi thi! Par phir bhi wo bhaag rahi thi! Sayesha is halat me jyada dur nahi bhaag saki. Uske kadam ladkhadane lage. Rahul ne use ja kar pakad liya
Rahul-“Jaan! Ruko tumhe goli lagi hai!!”
Sayesha Rahul ki gaud me leti huyi thi!
Rahul(Ghabrate huye)-“Jaan hosh me rehna! Hum abhi hospital chalte hai!! Dont loose me! I am here!! Hosh me raho”
Rahul Sayesha ko gaud me uthate huye bhaagne laga, Sayesha ne muskurate huye Rahul ke gaal par haath phera!!
Rahul-“Jaan.. Stay with me!! Please!!”