अंत अदभुत लिखा आपने Adirshi भाई।The Mirror..
Update 10
Final Update
Sandhya ne anish ki secretry roma ko call lagaya jo sandhya ki achi dost bhi thi aur use kisi bhi tarah anish ko aaj raat bhar ghar se dur rakhne kaha yaha tak ki usne roma se ye bhi keh diya ke ‘use your charm’, roma ko bhi kuch samajh nahi aa raha tha ke ye sab kya ho raha hai aur sandhya ne uske kuch puchne se pehle use apni kasam dekar phone band kar diya aur ye baat uske aur roma ke beech hi rakhne ko kahi aur phone cut karke wo sidha apni study me aayi aur darwaja band karke aaine ke samne khadi rahi
Sandhya- mujhe pata hai tum mujhe dekh rahi ho, sun rahi ho, to chalo aao aaj kuch baate karte hai, agar tumhari ha hai to samne aao
Kuch nahi hua
Sandhya- mujhe pata ai tum mujhe maarna chahti ho, tumhe mujhe control karne ki koshish ki par maine medittion ke sahare pna bachav kiya, tumhe mujhe bhutkal ki ghatnaye dikhayi jisse mai dipression me jau aur tum mere man par kabja karo par isi ke chalte mujhe sari purani bate pata chalti gayi, mujhe itna to samajh aa gaya ki tum mujhse jhuth nahi bol rahi thi, agar tumne mujhe mara to nuksan tumhara hi hai aur mai tumhe mukt karna chahti hu
Aur isi ke sath jor daar awaj karte huye room ka ceiling fan niche giya, sandhya se thodi dur mano kamini use chetavni de rahi ho.. par ise dekh sandhya thodi muskurayi..
Sandhya-tumhara gussa samajh rahi hu mai.. ye kaun mujhe mukti dilani wale, yahi soch rahi ho na, ha waise sahib hi hai ye, jab tak tum is narakyatna se picha chudana nahi chahogi tab ak koi kuch nahi kar sakta par aaj tumhe meri baat sunni padegi, mujhe maar dalogi to tumhari mukti ka rasta to band hoga hi sath hi jis jalan ki bhavna ne tumhe aaj tak bandhe rakha hai wo bhi khatam ho jayegi, mere sath ye gharana bhi khatam ho jayega, anish ke sath tum thoda samay reh logi par akeli, wo nahi hoga..
Tabhi jor jor se pair patakne ka, jungle jaanwaro ki hunkar ka awaj aane laga, ye ek receipt thi ki sandhya ki baat suni ja rahi hai
Sandhya-ab meri baat dhyan se suno, tumhare sath jo hua wo lanchanaspad thaaur ye hamare gharane ke aadmiyo ne kiya jiski mujhe kafi khant hai, apne premi se dutkarane jana fir uske ki pita ka jabardasti karna, tumhara khun ye sab kafi bhayankar tha, par usse bhi bhayankar tha tumhare samne kiya hua tumhare premi aur uski patni ka pranay uske baad tumhari maa ki majburi ka fayda uthaya jana..
Aaine se ek cheekh sunai di sandhya ko
Sandhya ek pal ruki fir bolna shuru kiya
Sandhya-tumhare man me badle ki bhavna aana swabhavik tha jiske baad wo bhavna badle ki aag me badly par baad me bachi sirf tumhare man me rahi sharir sukh ki icha aur malki haq ki bhavna jisne tumhe bandh kar rakha fir jisne tumpar anyay kiya tum unhe chhod kar ghar ki aurto ke piche lagi, unhe marti gayi aur paap bhi bhagidar banti gayi, unki maut atal thi tum sirf ek jariya banti gayi par tumhara ahankar itna badha ki tumhe lagne laga ki tum kuch bhi kar sakti ho, par jo kismet me likha hota hai wahi hota hai jo unki kismet me tha unlogo ke sath wahi hua fark sirf itna hai ki tum baki aurto ke man ko kabu me kar payi par mere sath aisa nahi hua…
Achanak kamini bhanayak roop me aaise me dikhne lagi aur usne hath baahar nikalkar sandhya ka gala pakadne ki koshish ki par wo isne nakam rahi
Sandhya-pankha me jaan nahi hoti kamini, use control karna aasan hai mujhe nahi, ho sakta hai ki kuch aur shaktiya bhi tumhari madadgar ho par ek samajhdaar insan ko kabu karna mushkil hai.. tumhare is ahankar ne bahut kuch tabah kiya hai ab bas..
Aur kamini gayab ho gayi
Sandhya- man janti hu tum yahi ho, kab tak aise hi rahogi, kabhi na kabhi ye sab khatam hoga, kal ka wada bachega na hum, kuch salo me hum bhi mar jayenge ya tum hi maar dogi, maut atal hai par tum kabtak aise hi bhatakti rahogi jaha na koi tumhe dekh sakta hai na tum apni ichao ka anand le sakti ho, is janm se mukti ka rasta saaf karo aur martya yogi me pravesh ki koshish karo jaha apni ichao ka upbhog le sako, main tumhare liye us sarvavyapi Shakti ka avahan karungi, tumhare liye prarthna karungi, tum sath do to theek warna rukawat mat banna
Itna bol ke sandhya padmasan laga kar baith gayi aur ab kamini ka sabra chhutne laga, aane wale safar ka darr use satane laga, uske paas jo hai wo bas us tak hi simit rehna chahti thi aur usne sandhya ko padmasand se uthane ki koshish shuru ki
Idhar office me anish ek conference call par busy tha aur roma dua kar rahi thi ke wo aise hi busy rahe, usne sandhya ko promice kiya tha par ab soch rahi thi ke anish ko kaise roka jaye, fir usne un logo ko call lagana shuru kiye jo kafi time se anish se milna chahte the aur unki apponintment fix ki aur kuch important logo ke sath dinner meeting fix ki jisse ab wo anish ko kam se kam adhi raat tak rok sakti thi
Yaha ghar me pehle to sandhya ko aisa laga mano uske sare sharir sunn ho gaya hai par wo janti thi ki ye kya hai aur usne dhyan kendrit karna shuru kiya, fir kuch samay baad aneko jaanwaro ka usne aaspaas ghumne ka awaj unke chillane ka awaj use aane laga fir bhi sandhya ka dhyan bhang nahi hua, jiske baad dheere dheere room me pani bharne laga aur wo pani ab sandhya ke gale taka a gaya tha aur sandhya ko aisa laga mano wo dub ke mar jayegi par man nischay se nahi hata kyuki isne jaan ka khatra to hoga ye to usne socha hi tha par ab sandhya ko ekagrata sambhalna mushkil ho raha tha wahi ye sab abhas nirman karne me kamini ki Shakti bhi khatam ho gayi thi aur apna astitva tikane kii tagmag badh rahi thi, raat chadh rahi thi
Idhar ab anish ki dinner meeting bhi khatam hone aayi thi aur wo ye soch raha tha ke itne samay me sandhya ne use ek bhi call kaise nahi kiya.. fir bhi wo roma se bola
Anish-roma raat kafi ho rahi hai chalo main tumhe ghar chhod deta hu taxi safe nahi hogi
Wahi roma bhi yahi chahti thi isse use aur thoda samay mil jata
Adhe ghante baad anish ne roma kousne ghar drop kiya, ab anish ko kaise roke ye roma ke samne sawal tha fir wo anish se boli
Roma-boss, mujhe sandhya ke bare me kuch baat karni hai..
Anish-kya hua..?
Roma-is she alright?
Anish- kya hua hai roma aisa kyu puch rahi ho?
Fir roma ne sari baat use batayi jise sun kar anish ke chehre par chinta gussa jaise hajaro bhav umte
Anish- roma teri dost pagal kar degi mujhe kisi din, pata nahi kya chal raha hai uske dimag me..
Jiske baad wo aur roma anish ke ghar aane ko nikle
Idhar sandhya ab apni ekagrata ke parambindu par pahuchne wali thi aur kamini uska dhyan bhang karne ki koshish kar rahi thi, itne me ghar me kuch bartani ke girne ka awaj aaya jiske sath mano waha bhukamp aaya ho aise diware hilne lagi jaise jaise sandhya ekagrata ke shikhar par pahuch rahi thi kamini ki shaktiya kamjor ho rahi thi aura b kamni ghabrane lagi thi..
Jaisi hi sandhya ekagrata ke charam par pahuchi sab kuch ekdum shant ho gaya kuch nahi badla tha sab shant tha aur kamini bhi, natak khatam hone ke baad jaise nayak aur khalnayak eksath hote hai waisa hi kuch scene tha, aatma kosamay ka bandhan nahi hota hai bhautik bandhan nahi hote hai e ab saaf dikh raha tha, sandhya ke man me kamini ke liye koi nafrat nahi thi tha to sirf prem aur usi samay bhadki huyi kamini ne sandhya ki gardan pakad li aur sandhya ke sparsh se wo shant hoti chali gayi, uska sara gussa jalan sab khatam ho gaya tha
Dheere dheere kamini ki aatna sare bandhan tod kar panchtatva me vilin hote chli gayi, aur ye shayad sanket tha ke uske astitva ka koi nishan baki na rahe isiliye wo aaina bhi tut gaya aur isike sath hi anish darwaja tod kar ander dakhil hua
Anish ne aate hi sandhya ko baitha hua dekha to uske paas gaya, sandhya ne hath upar kiya aur anish ke sahare se uth kar khadi huyi, itn der padmasan ke baithne se uski pair dard kar rahe the par jab anish ne sandhya ke chehre ke khushi aur samadham ke shant bhav to dekha to wo samajh gaya ki ab sab sahi hai use uski pehle wali sandhya mil gayi hai, usne sandhya ko gale laga liya aur sandhya bhi bagair kisi darr ke uski baho me sama gayi
Fir hatho se ishara karke usne roma ko ane paas bulaya aur boli “thank you roma”
Fir achanak anish ke kuch dhyan me aaya to wo bola “yes thank you roma for not using your so called charm”
Anish ki baat sun sab muskurane lage… kafi dino baad aaj sandhya khul kar muskurayi thi
Agli subah pados wali ek bacchi sandhya ke paas aayi aur boli
“aunty hamari chat par chidiya ne gharta bana than a uske ande me se ek baby chidiya baahar aayi hai”
Jise sun sandhya muskura di
The End
Intresting starting he bhauThe Mirror
Update 1
Raosaheb ko gujre huye aaj char mahine se upar ho chuke the aur in char mahino me anish apne pita ke maut ke dukh se ab upar chukka tha aur usne apne aap ko kaam ne puri tarah vyast kar liya tha, apne pita ki sehat ke chalte aur baad me unke jane ke gam me anish kaam ki taraf dhyan nahi de paya tha aur jab usne dhyan dena shuru kiya to kaam kafi badh chukka tha…
Raosaheb patvardhan ek jana mana vyaktitva tha, khandani raees aadmi par utne hi saral swabhav ke, raosaheb ko apne purvajo se dher sari sampatti mili thi, kai acre khet aur ek shandaar wada(bangla) jo unke gaon savargaon me tha, Anish raosaheb ka eklauta beta tha jo bachpan se hi shahar me pala badha tha, raosaheb ne bhi apni jawani ka sara samay shahar me bitaya tha, yaha unka acha khasa business tha par jaise jaise unki umra badhte gayi aur anish sab sambhalne laya hua to wo gaon me hi rehne lage, aur anish apni biwi sandhya ke sath shahar me, baad me raosaheb ki tabiyat me bigad ke baad wo unhe apne sath le aaye aur kuch dino baad raosaheb chal base…
Aaj badi mushkil se anish ne kaam se ek hafte hi chhuti li thi aur jo sandhya ke sath savargaon jane ke liye apni car se nikla tha, chuki anish raosaheb ka eklauta beta tha aur unki maut ko char mahine se upar ho gaye the to raosaheb ka wakil baar baar anish ko property ke legal kamo ke liye phone karke bula raha tha taki wo jald se jald sab anish ke naam transfer kar sake par anish kaam me vyast tha par ab wakil ne keh diya tha ke agar sari formalities puri nahi huyi to sab sarkar ke adhin ho jayega aur kuch hath nahi lagega isiliye jana jaruri tha, anish ke hisab se waha sab unke khet aur us purani building ke alawa aur kuch nahi tha jisme anish ko bilkul interest nahi tha aur wo aaj wakil ko jaldse jald gaon ki property ke liye grahak dhundhne kehne wala tha
Waise to ye sab kaam phone par bhi ho jata ya wakil yaha aa raha par marte time raosaheb ne apni bahu se sandhya se baar baar kaha tha ke wo savargaon jaye uske baad baki ki bate kare isiliye sandhya ke agrah ki wajah se bhi anish gaon jane ko ready hua tha, par adhe raste me hi anish ko kaam ke phone aane lage aur sandhya ne gadi ka control apne hath me liya, sath me google maharaj apna map liye margadarsan ke liye tayar the isiliye jyada dikkat nahi ho rahi thi aur gadi chelate huye hi sandhya ke dimag me khayal aane lage
Saat saal pehle sandhya apna education complete karke jagah jagah naukri ke liye apply karne lagi thi aur kayi jagah uski naukri lag bhi gayi thi par har jagah sandhya ko kuch na kuch khatakta tha isiliye usne kahi bhi naukri join nahi ki aur fir ek din use anish ki company se interview ka call aaya, sandhya interview ke liye gayi aur sidha job join karke hi ghar lauti, jispar uske pitaji ko bhi kafi ashcharya hua, par aisa kyu hua ye janne ke liye unhe jyada samay intajar nahi karna pada, badboli sandhya ne unhe apna dinbhar ka sara kissa sunana shuru kiya, aur sandhya ki baate sunte huye company se jyada company wale ne sandhya ke man me ghar kar liya hai ye janne me sandhya ke pita ko jara samay nahi laga, khair sandhya ne naukri join ki, pehli mulakat ka akarshan hamesha sath rene se kab pyar me badla sandhya ko pata bhi nahi chala aur fir do saal me is pyaar ka rupantar jab shadi me hua tab ye to hona hi tha aisa sandhya air anish dono ko janne walo ka kehna tha, handsome rubabdar anish aur najuk akarshak smart sandhya ekdusre ke liye perfect the..
Wahi raosaheb bahut bade aapni the, gaon me janme hone ke bavjud gaon aur shahar dono jagah unka thkana tha, parampara ke sath adhunikta ko samajhne wala aadmi, jo business ke sath sath kheto ki taraf bhi dhyan dete the aur har saal tarakki hi ho rahi thi par isi beech anish ki maa bas char din ke bukhar me unhe chhod kar chali gayi,
Anish tab shahar me hostal me rehkar padh raha tha. Baadme rosaheb ne dheere dheere apni gaon ki sari sampatti samet kar shahar me hamesha ke liye jane ka man bana liya aur anish ki padhai puri hone ke baad use bhi business me jod liya aur hamesha ke liye shahar me bas gaye par fir bhi wo kabhi kabhi gaon aa jaya karte the..
Anish aur sandhya ki shadi ke baad bhi wo dono kabhi savargaon nahi aaye the, kal-kal karte huye unka savargaon jana hamesha talta raha yay u kahe ki anish taalta raha, shayad uski maa ke waha achanak bukhar se marne ki wajah se anish waha na jana chahta ho aisa sandhya ko lagta tha isiliye usne bhi kabhi waha jane ki jid nahi ki
Raosaheb saal me ek do baar jakar waha ka haalchal le lete kar chhe mahine pehle unhe paralysis ka attack aaya aur dekhte hi dekhte do mahino me raosaheb jaisa hatta kata aadmi maut ke adhin ho gaya, kehne ko sabkuch tha, beta bahut raosaheb ka pura khayal rakh rahe the par raosaheb ne hi jivan se mu mod liya tha to koi kya karta, unhone hi jine ki iccha chhod di thi par inte sab me bhi unhone sandhya ko kayi baar savargaon jane ke liye kaha tha aur unki antim iccha yahi thi isiliye aaj sandhya aur anish savargaon ja rahe the…
Raste jab ek railway crossing aaya to sandhya ne car ek side rok di waise bhi crossing abhi band thi waha se ek train gujarne wali thi aur raste par bhi koi khas gardi nahi thi, anish aur sandhya dono car ne baahar aaye aur apne chehre par pani maar kar apne aap ko fresh kiya fir car me apne sath thermos me layichai ur naste par hath saaf kiya, chuki wo log abhi beech road me the isiliye anish ke phone ka network nahi aa raha tha to uska kaam waise hi ruk chukka tha aura b tak railway crossing bhi open ho chuki thi to anish ne wapis gaadi ka control apne hath me liya aur kuch 1 ghante ke ander wo log savargaon pahuch chuke the…
Savargaon, ek chhota lekin sampan gaon, gaon me jyada tar ghar to purine style ke hi the aur kuch hi ghar the jo do manjila the.. sandhya barkai ke gaon ke gharo ka nirikshan kar rahi thi usne aisa mahol pehle kabhi nahi dekha tha aur dekhte hi dekhte unki gaadi unke wade ke kareeb pahuch chuki thi……..
Finally uski bhi entry ho gayiThe Mirror
Update 2
Savargaon, ek chhota lekin sampan gaon, gaon me jyada tar ghar to purine style ke hi the aur kuch hi ghar the jo do manjila the.. sandhya barkai ke gaon ke gharo ka nirikshan kar rahi thi usne aisa mahol pehle kabhi nahi dekha tha aur dekhte hi dekhte unki gaadi unke wade ke kareeb pahuch chuki thi…
Ab use wada kahe ya chhota kila yahi sandhya ko samajh nahi aa raha tha, aaju baju charo taraf badi diware thi aur us diwar ke saamne ki side 15 foot height ka bada sa darwaja tha jo wade ka main gate tha aur usi darwaje me chhota sa ek aur darwaja tha jo normal height ka tha,
Unki gaadi darwaje ke paas pahuchi, wakeel aur shanbhu jo unka purana naukar tha aur ab wade ka caretaker bhi wahi darwaje ke paas khade th, wakeel ke kehne par unhone gaadi baahar hi khadi kari kyuki itna bada darwaja akele shanbhu se is umra me Khulna mushkil kaam tha, fir shambhu ne wo chhota darwaja khola taki sab ander ja sake jiske khulte hi charrrrr charrrrr ka awaj hua, yaha kisi horror film ka shooting badhiya ho sakta hai aisa khayal sandhya ke man me aaya
Shambhu- chhote malik diwankhana aur niche ke rehne ke kamre kalhich saaf kar diye hai, chhaya bhi aa jayegi abi thode der me wo khane ka bandobast kar degi aap dur se aaye hoge thak gaye hoge, aap aaram karo aur malkin bai ko bhi aaram karne bolo fir dophar me sara wada ghuma dunga aapko ache se chabiya laye hai na aap??
Anish ne ha me gardan hila di, yahi shambhu usko khandhe par bitha kar sara gaon ghumata tha bachpan me ye anish ko yaad aa raha tha,par ab shambhu ki bi umra ho chali thi, kamar jhuk gayi thi, fir anish ne shambhu se uske uske pariwar ke haal chal puche aur shambhu to bas isi me khush ho gaya.. wakeel bhi kal aane ka bol ke nikal gaya aur shambhu bhi “aap aaram karo main hu hi yaha baahar” aisa bol ke baahar aa gaya
Waha kafi purana tha matlab anish ke pehle ki char pidhiyo ka waha basera tha, wo diwankhana (hall) bhi chauras aakar ka kafi bada bana hua tha jisme teen jagah alag alag tarah ki baithak ki vyastha ki gayi thi, ek side bada sa sagwan ka palan tha gaddi, load, takiyo se susajjit jispar 10-15 log aaram se baith sakte the to ektaraf gaddiya bichi huyi thi bhartiya baithak ke liye aur samne bada sa carpet jaha 25-30 log aaram se aa sakte the aur dusri taraf jaha sidhiya thi us taraf ek table laga tha jiske aaju baju char sundar nakkashi ki huyi khurchiya lagi thi ye sirf 3-4 logo ke liye tha
“apne saas sasur yahi baith ke dophar ka chai lete honge..?” aisa khayal ek pal ko sandhya ke dimag me aaya,
Jamin par bicha hua galicha kafi juna ho chukka tha aur uspar dhul bhi kafi ho gayi thi aur shambhu ke saaf karne ke baad bhi wo mehsus ki ja sakti thi, diwaro ka bhi rang uda hua tha, jispar kisi samay me sone ke work wala nakshikaam kiya gaya hoga aisa mehsus hota tha..
Aur in sab me sabse jyada dhyan khich rahi thi to waha diwankhane me lagi taswire, chuki wada kafi purana tha aur anish ke pehle ki char pidhiya waha reh chuki thi isiliye un sab ki badi badi taswire waha lagi huyi thi, ekdum anish ke sabse bade dadaji se leke, kuch painters dwara banayi gayi thi aur kuch photographers dwara khichi huyi,
Ek diwar par pati patni ki jawani ki taswire thi aur dusri diwar par sirf ghar ke purusho ki jisme wo thode budhe dikh rahe the jo sandhya ko thoda ajeeb laga, matlab jitni bhi ghar ki mahilaye thi unke sirf jawani ke photos the to kya raniyo ko budhape me photo khichwane ka hak nahi tha? Aisa khayal sandhya ke man me aaya..ek diwar par sare pariwar ki taswire thi jisme bhi raniya sari jawan thi aur unki god me unke bacche the, ek aur baat yaha alag thi ke anish ke pariwar me pichli 5 pidhio se koi ladki nahi janmi thi har kisi ko sirf ek beta tha…
Sandhya ne shumbhu ko awaj lagaya taki wo un taswiro ke bare me aur jaan sake aur kaunsi tasweer kiski hai ye use pata chale, aur fir shambhu ne us wade ke bare me aur un taswiro ke bare me batana chalu kiya
Shambhu- ye nanasaheb, ye wade ke pahile raja, inhone hi wada banaya tha kuch 150 saal pehle wo time pe kehte hai pure taluke ki sabse badi imarat thi ye aur kai baar angrej bhi aaya karte the yaha, ye jo khrchiya hai yaha par ye angrejo ke liye hi lagayi gayi thi, nanasaheb ki wajah se hi wade ko nana wada bola jata hai, uske baad ye appasaheb, nanasaheb ke bete, ye bhi nansaheb ke jaise hi the par thode dhurt the, uske baad dadasaheb ye aapke dada sasur, ye sab sampatti vaibhav sab inhi ki wajah se hai, vyahar kushal manus jinhone itni badi sampatti khadi ki hai aur utne hi bade daani aur devbhakt , gaon ka bhavani mandir bhi dadasaheb ka banaya hua hai matlab unhone jirnoddhar karaya tha uska, uske baad raosaheb aapke sasur aur ye raha chhote malik ka photo
Shambhi ne ek family photo ki taraf ishara karne bataya
Shambhu- ye chhote malik yani aapke pati ke bachpan ka photo
Anish ka bachpan ka photo dekh kar sandhya muskurayi, shambhu ne use aur bhi wade ka itihas bataya ki kaise baad ke samay me waha se swatantrata sangram ki bhi ladaiya ladi gayi dadasaheb aur appasaheb ke samay, ab tak anish bhi ander aa gaya tha aur shambhu ki bate sun raha tha par itne me use kuch kaam yaad aaya aur wo shambhu ko apne sath lekar baahar aaya aur sandhya waha rakhe ek khurchi par baith gayi aur shambhi ki batayi bato ke bare me sochne lagi aur imagine karne lagi us samay ka mahol aur sochne lagi ye yaha isi table par aise hi ghar ki raniya baithti hongi, aaj sandhya ko bhi yaha aakar kisi rani ke jaisa feel ho raha tha itne me sandhya ka dhyan seedhiyo ki taraf gaya waha ek aurat khadi thi
Gori chitti, badi badi aankhe walo, bade kath ki saari pehni huyi, naak me nath, aankho me kajal, gale me motiyo ki mala, mathe pe kumkum, pairo me payal, yu kahe ki woe k nakhre wali aurat thi jise shringar se prem tha aur wo seedhiyo ke aaju baju bane kathde me se ektak sandhya ko dekh rahi thi…
:wow: ek arse baad Aisa thriller horror padhne ko Mila he bhauThe Mirror..
Update 4
Wo tala kafi purana tha aur use kholne ke liye ek nahi balki 4 chabiyo ka uyog karna padta tha, shambhu ne pehli chabi ghumayi fir dusri fir teesri aur jaisi hi chauthi chabi ghumayi wo tala khat ki awaj ke sath khul gaya.. chuki darwaja kafi samay seband tha to wo jaam ho gaya tha shambhu aur anish ne thoda jor lagaya tab wo darwaja charrrr ki awaj ke sath khula…..
Darwaja khulte hi waha maujud dhul ne unka swagat kiya jise dekh ke sab log t6hoda piche hate aur chhaya ne apne chehre par kapda bandh kar sab saaf karna shuru kiya jiske baad sab log ander aaye,
Upar niche ke diwankhane se adhe size ka hall tha jisme beechobeech ek andakruti table laga hua tha jiske dono side dus dus khurchiya rakhi huyi thi, upar ka sara furniture kapde se Dhaka hua tha aur shambhu ne jaise hi kapda hatana shuru kiya sandhya bas use dekhti hi rahi, us table aur un khurchiyo par bahut hi barkai se nakkashi banayi huyi thi, agar ye tablesize me chhota hota to wo ise apne sath jarur le jati aisa khayal uske man me aaya
Wahi hall me se teen rooms ke darwaje dikh rahe the, anish un rooms ki taraf badh gaya,pehli room office jaisi thi, waha likhne ke liye desk wagaire the aur thodi chhoti room thi wo, dusra room raosaheb ka ya yu kahe ki wade ke pramukh vyakti ka tha, jisme bada sa palang jiske upar sundar par purani macchardani kam parda dala hua tha, pura sharir dikhe aisa aaina, shisam ki teen badi badi almariya, basically wo karma aisa tha jaise kisi raja ka hota hai par usse thoda chhota, ab bari aayi teesre kamre ki aur jaise hi sandhya ne us kamre me kadam rakha uske ek anjana khichav mehsus hua us kamre me,ye karma pehle wale se thoda chhota tha, chota sa palang jispar bhi waisi hi sundar lekin purani macchardani thi, ek chota dressing table aur uspar chota lekin khubsurat aaina, jo badhiya tarke se sajaya hua tha aur lakde ki frame me fit kiya hua tha, wo aaina itna khubsurat tha ke use dekhte hi sandhya mano uske pyaar me gir gayi ho,
Baki kamro ke mukabale is kamre me dhul kafi kam thi aur wo aaina wo to bilkul naya dikh raha tha
“hum ise apne sath lekar jayenge” sandhya ne us aaine ko dekhte hi kaha
“kya…? Matlab kuch bhi, hamare modern ghar me modern furniture ke sath ke aaina odd dikhega sandhya.. au rise rakhogi kaha is itne bade dressing table ko..?” anish ne sandhya ko samjhate huye kaha
“wo mera main dekh lungi ke ise kaha rakhna hai kuch soch lungi par ye confirm hai ki hum ye aaina hamare sath lekar ja rahe hai” sandhya ne bhi mano jid pakad li thi
“acha theek hai dekhte hai” itna bol ke anish waha se nikal gaya aur uske piche shambhu aur chhya bhi par sandhya waha ruk gayi, us aaine ke paas jakar khud ko niharne lagi, us aaine ke ird gird kiye koriv kaam par hath ghumakar use mehsus karne lagi..
Ab kafi samay beet gaya tha, kareeb kareeb sham hone aayi thi par sandhya ab bhi niche nahi aayi thi isiliye anish use bulane ke liye upar aaya to usne dekha ke sandhya ab bhi aaine ke samne hi baithi thi aur kareeb jane par sandhya ka uski or dhyan nahi hai ye anish samajh gaya isiliye usne sandhya ka kandha pakad kar hilaya tab sandhya ko hosh aaya, aap koi behad hi khubsurat khawb dekh rahe ho aur koi aapko neend se jaga de aisi sandhya ki halat ho gayi thi
Aankho me ek alag hi chamak, hotho par muskan ke sath jab usne anish ki taraf dekha tab anish ko shadi ke pehle dekhi huyi aur uske man me basi huyi sandhya yaad aa gayi
“kya madam kaha kho gayi, itna pasand aa gaya ye aaina ke humko bhi bhul gayi?” anish ne haste huye kaha aur uska hath pakad kar use uthaya aur dono niche ki taraf aane lage par room se baahar nikalte samay sandhya ne ek baar fir aaine ki taraf dekha mano keh rahi ho ke wo abhi aayi
Niche aane ke baad jab sandhya ko chhaya dikhi tab use wapis se wo dophar ne dekhi huyi aurat ki yaad aa gayi aur jab usne is bare me chhaya se pucha to chhaya ke paas uska koi jawab nahi tha ya chhaya jawab nahi dena chahti thi usne “bapu se puchiye wo bata denge aapko” bolke baat taal di
Par ab sandhya ko gussa aane laga tha usne shambhu ko bulaya aur jaise hi shambhu aaya usne us aurat ke bare me pucha tab shambhu thoda ghabrate huye bola “memsab aap do dino ke liye aayi hai jaldi se apna kaam khatam kariye aur shahar lautjaiye bas”
Shambhu ki baat sun kar sandhya ka gussa badh chuka tha “arey main puch kya rahi hu aur tum jawab kya de rahe ho? Mujhe saaf saaf batao ki wo aurat kaun thi aur hamare wade me kya kar rahi thi?”
Tabhi anish beech me bol pada “jane do na ab sandhya chali gayi hai na ab wo”
“chali gayi matlab? Kaha chali gayi? Kya hawa me gayab ho gayi?”
“ha memsab, waisa hi kuch, aap shahar kelog hai padhe likhe log hai aap log ka vishwas nahi hota hai in sab me par sach to ye hai ki wo aurat pehle bhi is wade me dikhi hai aur fir ekdum se gayab, sab ye baat batate the par badi memsab ka bhi vishwas nahi tha in sab pe aur fir ek din wo badi memsab ko bhi dikhi thi aur us din se jo badi memsab ne palang pakda to chhoda hi nahi isiliye mai keh raha hu aap jaldi se shahar laut jao ache se aur wahi rahi, yaha kuch nahi hai ab sab shamshan ho gaya hai hum bhi aane se ghabrate hai, wo to aaplog aane wale hai pata chala to saaf safai ki hai, saaf safai ke liye bhi koi nahi milta hai yaha” shambhu ne kaha
Shambhu ki baat sun kar sandhya ka gussa aur bhadak gaya “pagalo jaisi baate mat karo wo aurat mujhe din me saaf saaf yaha sidhiyo par dikhi thi, chehra bhi yaad hai mujhe uska”
“par ek pal me gayab bhi to ho gayi thi na wo? Hai yaha jagah aisa ek pal me gayab hone ke liye aur aapne hi dekha than a upar kaisa bada sa tala laga hua tha? Memsab chote malik ko kandhe par khilaya hai maine, main nahi chahta ke aaplogo ko kuch ho baat maniye is budhe ki”
Sandhya ko in sab par bilkul bhi yakin nahi hua tha par shambu jhuth bol raha hai aisa bhi use kahi se nahi lag raha tha par usne ye baat yahi rok di, raat ka khana hone ke baad shambhu aur chhaya waha se chale gaye aur shambhu jate jate subah jaldi aane ka bol gaya, bas 9 baje honge par sab taraf ekdum shanti chha gayi thi, anish laptop par apna kaam karte baitha tha aur sandhya apne sath laya ek novel padhne ki koshish karne lagi aur fir usne book band karke apni aankhe mund ke kuch der tak padi rahi aur fir use baahar se kuch awaj aaya usne baahar aakar dekha to wohi aurat sidhiyo se upar ki taraf ja rahi thi, sandhya chillane hi wali thi ke fir usne socha ke iske piche jakar dekha jaye ki ye kaha jati hai aisa soch ke wo uske piche piche sidhiya chadhne lagi
Wo aurat eke k payari chadh ke upar ja rahi thi aur sandhya uske piche, fir upar jake ke baad wo kamro ki taraf gayi aur sidhe us teesre room me jane lagi us aaine wale room me, darwaje ke paas pahuch ke wo ruki aur fir ander chali gayi aur piche piche sandhya to thi hi,
Wo aaine se saamne jakar khadi ho gayi aur uske piche kuch duri par sandhya ruk gayi fir wo aurat dhire dhire piche palti aura b sandhya uske samne thi, usne apna hath aage kiya aur sandhya ne bhi bagair kuch bole apna hath uske hath me de diya aur fir wo aaine ki taraf jane lagi aur jab aisa lag raha tha ke wo aaine se takrane wali hai wo ek kadam badha kar aaine me sama gayi aur apne sath sandhya ko bhi aaine ke aarpaar le gayi…..
Matlab anjani ki bhi entry ho gayi heThe Mirror..
Update 5
Wo aaine se saamne jakar khadi ho gayi aur uske piche kuch duri par sandhya ruk gayi fir wo aurat dhire dhire piche palti aura b sandhya uske samne thi, usne apna hath aage kiya aur sandhya ne bhi bagair kuch bole apna hath uske hath me de diya aur fir wo aaine ki taraf jane lagi aur jab aisa lag raha tha ke wo aaine se takrane wali hai woe k kadam badha kar aaine me sama gayi aur apne sath sandhya ko bhi aaine ke aarpaar le gayi…..
Subah jab anish ki neend khuli tab sandhya uske paas nahi thi, shayad sandhya bathroom me hogi ye soch kar anish wapis se karwat badal kar so gaya par fir uski neend wapis se khul gayi kyuki bathroom ka darwaja khula tha anish uth kar baahar aaya,usne diwankhane me dekha fir kitchen me dekha par sandhya kahi bhi nahi thi, fir anish ko achanak se upar ke kamre me rakhe us aaine ki yaad aayi wo bhagte huye upar pahucha aur waha dekha to sandhya aaine par gardan jhuka kar jamin par baithe baithe so rahi thi.. anish sandhya ko is tarah dekh kar thoda ghabra gaya aur usne use hila kar jagane ki koshish ki aur sandhya ne dheere dheere apni aankhen kholi aur anjaan najro se usne anish ki taraf dekha aur fir theek hokar baith gayi
“ tum yaha kya kar rahi thi ? kitna ghabra gaya tha mai pata hai? Aur yaha kab aayi tum ? aur ye is tarah kyu so rahi thi ?” anish apne sawal kiye ja raha tha par sandhya koi jawab nahi de rahi thi aur fir wo uth kar niche jane lagi aur uske piche piche anish bhi
“hum aaj ke aaj wapis ja rahe hai” anish ne apna faisla suna diya
“ theek hai par wo aaina bhi hamare sath jayega” sandhya ne kaha
“ tum pagal ho gayi ho kya sandhya aur itna bada dressing table rakhogi kaha ?”
“ pura table nahi sirf aaina, ganu sutar(carpainter) ko bula lo wo kar dega sab, use pata hai sab”
Sandhya ke muh se carpainter ka clear naam sun kar anish ko laga ke shayad sandhya ne shambhu se pehle ki is mamle me sari information le li hai aur shambhu ke aane ke baad usne use carpainter ko bulane ko kaha to shambhu chandu ko le aaya aur chandu fir apne kaam me lag gaya jiske baad anish aur shambhu gadi ki vyastha karne bahar chale gaye par sandhya wahi ruk gayi
Chandu us aaine ko charo taraf se dekh raha tha tab sandhya ne use table ke niche wala drawer kholne kaha jisme kuch saman pada tha jisse wo aaina us table se alag kiya ja sakta tha aur uske baad sandhya batate gayi aur chandu ne usi hisab se wo aaina table se alag karne gaddi par rakh diya tab sandhya ne kaha
“ lage hath use gaddi me lappet do taki use kuch na ho”
Aur chandu ne waisa hi kiya, ab aaina shahar jane ke liye bilkul tayar tha, kuch samay baad anish ne ek bada tempo mangwa liya jisme wo aaina aur kuch thoda saman jo wo log shahar leke jane wale the wo rakhwa liya gaya fir jaruri kagajat lekar wade ko ache se lock kar ke wo log baahar aaye
Wakil subah hi aa gaya tha jiske sath anish ne sari formalities puri kar li thi aura b usne wakil se waha ke liye grahak dhundhne bhi keh diya tha, aura b ye kaam wakil ke supurd karke wo log shahar wapis jane ke liye nikle
Waise to sandhya us tempo me us aaine ke sath hi jana chahti thi par agar wo aisa karti to anish naraj ho jata aur anish ko naraj karna wo bilkul bhi nahi chahti thi par fir bhi usne tempo ko unki gadi ke sath sath hi chalne ko kaha. Anish apni patni ki taraf dekh raha tha, waise to roj ki tarah ki dikh rahi thi kuch alag nahi tha par anish ko najane kyu usme kuch khatak raha tha kuch alag lag raha tha.. par filhal usne is bat ko najarandaj kiya aur gadi chalane par dhyan dene laga
Aur akhir kaar wolog apne saman ke sath wapis apne shahar pahuch hi gaye jah anish ke kaam uski raah dekh hi rahe the, waise to kaam sandhya ke bhi kam nahi the par wo to is samay aaine me hi khoyi thi wo us aaine ke paas hi baithi rahi aur anish apne kaam me busy ho gaya..
Agle din jab anish office gaya tab sandhya ne furniture wale ko bula kar usse baat karke us aaine ko apni study me fit karwa liya jaha uska bahut sa time jata tha aurwaha jyadatar samay wo akeli hi rehti thi,
Sham tak wo furniture wala apna kaam khatam karke chala gaya, ab sandhya ko kuch acha lag raha thaw o wahi aaine ke samne baith gayi, aakhir ye aaina uske astitva ke liye jaruri tha
Uske bhi aur sandhya ke bhi…!
Sham ko jab anish ke wapis aane ka samay ho raha tha tab wo aaine ke samne khadi huyi aur aaram se chalte huye dusri taraf chali gayi aur gayab ho gayi aur sandhya dheere sepiche rakhi khurchi par gir gayi aur behosh ho gayi….
Beda gark he jo pehle he se idharThe Mirror..
Update 6
Sham ko jab anish ke wapis aane ka samay ho raha tha tab wo aaine ke samne khadi huyi aur aaram se chalte huye dusri taraf chali gayi aur gayab ho gayi aur sandhya dheere sepiche rakhi khurchi par gir gayi aur behosh ho gayi….
Anish jab office se lautha to usne sandhya ko is haal me dekha to use chinta hone lagi, anish ne jab sandhya ko dekha to wo bukhar se tap rahi thi, anish use utha kar bedroom me lya, pani pilaya aur docter ko phone karke bula liya aur docter bhi use check karke dawayi dekar chala gaya, dawa lene le baad sandhya ko thoda acha lag raha tha, anish sandhya ke paas hi baitha hua tha, dawa ke asar seab bukhar thoda kam tha aur sandhya ko ab eke k baat yaad aane lagi..
Us raat wo aurat uska hath pakad kar use aaine ke aar paar le gayi thi aur us paar jane ke baad usne sandhya ka hath jhatak diya aur palat ke wapis baahar aa gayi aur sandhya wali andheri thandi jagah me dhadpadate rahi par use waha kuch samajh nahi aa raha tha ke ye kya ho raha hai na use kuch dikh raha tha uske dimag me keval ek hi baat thi ke kuch bhi ho jaye haar nahi manni hai aur shayad usi isi himmat ne use jinda rakha tha, jiske chalte wo baahar aa payi thi par ye sab kitne dino tak chalta, kab tak sandhya apni himmat banaye rakh pati ye use samajh nahi aa raha tha aur itna bhi sandhya jaan chuki thi ke ye job hi kuch ho raha hai wo keval uske dimag me hai, wo aurat jo koi bhi hai sirf uske man se khel rahi hai aur isme sharir ka koi sahbhag nahi hai par in sab ka asar jarur uske sharir par dikh raha hai, par sabse bada sawal ab bhi yahi tha ke wo aurat aakhir hai aur aur wo ye kyu kar rahi hai… iska jawab ya to wo aurat khud de sakti thi ya fir wo aaina jisse ye sab kissa shuru hua tha…
Agle din..
Sandhya ki tabiyat ab theek thi par fir bhi naish use chhod ke kahi nahi jana chahta tha par sandhya ne use jabardasti wo theek hai keh kar office ravana kar diya aur anish ke jate hi wo apni study me aakar us aaine ke samne khadi ho gayi, wo nahi janti thi ke wo kya kar rahi hai aur iska kya parinam ho sakta hai..
Sandhya ko us aaine ke samne aaye kuch hi samay beeta tha ke us aaine me kuch halchal hone lagi aur ab waha us aaine me sandhya ko unka wada dikhne laga
Aaj wade ko kusi dulhan ki tarah sajaya gaya tha naya rang diya gaya tha, aaj nanasaheb bahut khush tha, kai saalo baad aaj wade ko uski nayi malkin milne wali thi, unke bete ki appasaheb ki biwi, aaj wade me nayi dulhan ka gruhpravesh tha sare wade me mehmano ki relchel thi, aaj nanasaheb wade ki aur kaamkaj ki sari jimmedari apne bete bahu ko saup kar aaram karne wale the
Sab log aa chuke the gaon ki mahilao ne hi nayi bahu ke swagat ke sare ritirivaj pure kiya, nanasaheb ki patni ki akal maut ne unhe bahut akela kar diya tha par unhone kabhi dusri shadi ka nahi socha tha.
Ek purani riti ke anusar gaon ki nachne wali ko nayi bahu hi najar utarne ke liye bulaya gaya aur us nachne wali ke sath uski beti kamini bhi waha aayi thi
Purush mandala ke baithne ki vyastha baahar aangan me ki gayi thi aur niche diwankhane ke mahilao ke karyakram chal rahe the, appasaheb upar apne room me baithe th, aaj unki patni se unka pratham Milan hone wala tha aur appasaheb usi ke bare me soch kar muskura rahe the tabhi us kamre me kamini aayi aur usne aate hi darwaja laga kiya aur sidha appasaheb ke samne jakar khadi ho gayi aur apne kapde utarne lagi
Kamini ki ye harkat dekh kar appasaheb hadbada gaye “ye kya kar rahi hai tu..” appasaheb ne kareeb kareeb cheekhte huye kaha
Wahi kamini bhi thodi gusse me hi thi wo boli.. “kyu kal tak to yahi sab bada acha lag raha tha, mujhe hamesha ke liye apna banana ka wada karke ab meri sautan le aaye ho yaha..”
“bakwas mat kar.. aaj tak tujhe kuch kami nahi hone di hai aage bhi nahi hogi nachne wali hai apni aukat mat bhul” itna bol ke appasaheb waha se bahar jane lage par ab kamini bhi jalan aur gusse se jal rahi thi
“ main aise hi adhe kapdo me baahar aakar tamasha kar dungi” kamini ne dhamki bhare sur me kaha par appasaheb ne use jhitkar diya aur kamre se baahar chale gaye
Wahi nanasaheb kuch kaam se bagal wale us office jaise kamre me hi the aur unhone ye sab kuch sun liya tha wo office aur appasaheb ka karma ander se ek dusre se connected tha appasaheb ke baahar jate hi nanasaheb wo ander ka darwaja khol kar jaldi se ander aaye aur unhone gusse ke adhe kapdo me baahar jati huyi kamini ka hath pakad kar use ander khicha
Achanak huyi is ghatna se kamini ka balance bigda aur wo aur nanasaheb dono niche gir gaye, nanasaheb ko dekh kar pehle darr fir gussa aisi kai bhavnao ne kamini ko gher liya, chillane ke liye usne apna muh khola par nanasaheb ne usi bal uski ki saari ka pallu uske muh me bhar kar uski awaj ko daba diya… itne salo baad huye kisi stree ke sparsh ne nanasaheb ko uttejit kar diya tha aur isi pal unke hath se wo ho gaya jo nahi hona chahiye tha, kamini unhe rokne ke liye apna hath pair chaliti rahi par uska virodh kam hota gaya..
Nanasaheb ki kamvasna jab shant huyi aur wo hosh me aaye tab kamini ekdum shant padi thi aur uski aankhen puri khuli thi, nanasaheb ne use hilaya par uske muh me thuse huye kapde ki wajah se dum ghut kar uski maut ho chuki thi
Nanasaheb ke pasine chhutne lage the, unhe jald se jald kuch karna tha par kya ye unhe samajh nahi aa raha tha, wo pehle uthe aur jaldi se darwaja band kiya fir wo kamini ke shav ko khichte huye aaine wali almari tak le aaye aur use jaise taise almari me thus diya, fir unhone jaldi se room pehle jaisi ki , apne kapde theek kiye aur ek najar kamre par ghumayi, apne bete aur bahut ke liye sajaya wo paland dekh kar wo apradhi bhav se bhar gaye par abhi ye sab sochne ka samay nahi tha, unhone almari ko lock kiya aur kamre ko band karke wo baki sab ke sath aakar baith gayi
Sare karyakram khatam hone ko aaye the, us nachne wali ko bhi uska paisa de diya gaya tha par kamini kahi dikh nahi rahi thi par uski maa itne logo me puchti bhi to kisse itne me use ganu sutar dikha usne use kamini ko ghar bhejne ko keh diya aur chali gayi
Idhar nayi dilhan ko saja kar dudh ke glass ke sath appasaheb ke kamre me bheja gaya, appasaheb bhale hi stree sukh le chuke the par kuwari ladki ke sath ka anand hi alag hai ye wo jante the, jaise jaise us naye dampatti ki kaamkrida us rangeen raat me chalti gayi waise waise aaine ke piche almari me band kamini ki nirjeev aankho me aag barasne lagi, gussa matsar, dwesh, badle ki bhavna ye sab kamini ki aankho me dikh raha tha
Aur usi jehrili najar ke sath kamini ne us aaine me se sandhya ki taraf dekha, itne samaytak aaine me ye sab ghatnaye kisi film ki tarah chal rahi thi aur sandhya use dekhne me khoyi huyi thi par kaisi ji kamini ne use is tarah dekha wo hosh me aa gayi, wade me sidhiyo par dekhi huyi won ajar use aaine ke paar lejati wo khunnas bhari najar, ye sab bhayankar tha aur wo aurat koi aur nahi kamini thi…..
The Mirror..
Update 3
sandhya ka dhyan seedhiyo ki taraf gaya waha ek aurat khadi thi
Gori chitti, badi badi aankhe walo, bade kath ki saari pehni huyi, naak me nath, aankho me kajal, gale me motiyo ki mala, mathe pe kumkum, pairo me payal, yu kahe ki woe k nakhre wali aurat thi jise shringar se prem tha aur wo seedhiyo ke aaju baju bane kathde me se ektak sandhya ko dekh rahi thi…
“shayad ye chhaya hogi..” aisa sandhya ne man me socha aur us aurat ki or dekh ke muskura di lekin us aurat ke chehre par jara bhi fark nahi pada, wo jaisi thi waisi hi khadi rahi aur bas ektak sandhya ko dekhe ja rahi thi, uski aankhe ekdum bhavna rahit hi, uske istarh dekhne se sandhya ko kuch ajeeb lagne laga itne me anish ander aaya jisse sandhya ka dhyan us or chala gaya, usne palat ke anish ko dekha aur fir se sidhiyo ki taraf dekha to ab wo aurat waha nahi thi, wow aha se gayab ho gayi thi
‘arey abhi to yahi thi, kaha chali gayi? Aur sidhiya chadhne ka awaj bhi nahi aaya? Kamal hai’ sandhya ne fir se socha, itne me shambhu bhi wapis ander aaya aur uske piche piche ek aurat aayi aur jaldi se kitchen ki taraf jane lagi..
“arey baap re samay ho gaya, jaldi se aap logo ke liye khana bana deti hu bhuk lag gayi hogi aap ko” wo aurat kitchen me jate jate aisa bol gayi
‘iska matlab ye chhaya hai to wo aurat kaun thi jo abhi sidhiyo par khadi thi?’ sandhya ke dimag me wapis se sawal aane lage the par abki baar usne shambhu ko awaj lagayi aur us aurat ke bare me puchne lagi
“shambu kaka koi aur bhi aaya hai kya upper ki saaf safai karne, kisi bai ko kaha tha kya aapne” sandhya ne shambhu se us aurat ke bare me pucha
“nahi to, maine to kisi ko nahi bola hai aur upar ke ghar me to waise bhi tala laga hai malkin to waha koi kyu jayega” shambhu me bhi sadha sa jawab diya aur sandhya ko sochne par majboor kar diya
“nahi, maine abhi abhi ek aurat ko dekha hai waha, wo sidhiyo par khadi thi, abhi abhi upar gayi hai wo, chalo hum chalk e dekh aate hai” sandhya ne kaha aur uski baat sun ke shambhu thoda darr gaya
“aisa kaise hoga malkin, upar koi kaise jayega, bade malik jate time tala laga ke gaye the waha aur jab chabiya hi hamare paas nahi thi to upar koi kaise jayega” shambhu me sandhya ko samjhate huye kaha
“nahi waha koi to hai chalo dekh aate hai” par sandhya kaha manne wali thi itna keh ke wo sidhiyo se upar ki taraf jane lagi aur shambhu use rokne ke liye piche se awaj lagata tab tak sandhya sidhiya chadh chuki thi, sach me to use shambhu par doubt ho raha tha ke wo kuch chipa raha hai isiliye wo tassali karna chahti thi aur jaise to sandhya upar pahuchu waha right hand par ek bada darwaja tha jo baahar se kadi laga kar band kiya hua tha aur uspar laga hua tala bhi kafi bada tha aur sabse jyada ashcharya sandhya ko tab hua jab usne dekha ke wo darwaja aur wo tala mitti aur makdiyo ke jalo se pura bhara hua tha, uspar dhul jami huyi thi aur kayi dino se is jagah ko kisi ne nahi chhua tha iske chinha saaf dekhe ja sakte the, kayi mahino se sidhiyo se upar ki taraf koi nahi aaya tha kyuki sidhiyo par jami dhul me sandhya ko sirf apne hi pairo ke nishan dikh rahe the
Ye kafi hairani ki baat thi kyuki sandhya ke dimag me ab bhi wo aurat ghum rahi thi jise usne kuch samay pehle dekha tha par ab uske astitva ka kahi koi nishan najar nahi aa raha tha.
Sandya jaldi jaldi sidhiya utar kar niche aayi to usne dekha ke shambhu bahut dhime awaj me anish se kuch baat kar raha tha aur jaise unhone sandhya ko dekha wo dono chup hog aye
“arey yaar dhundho use yahi kahi hogi wo, jyada samay nahi hua hai itni jaldi kaha jayegi” sandhya ne pareshan hote huye kaha
Shambhu ko is baat ka kya jawab de samajh nahi aa raha tha aur fir jab anish ne use ishara kiya to wo anish aur sandhya ke sath wade ke niche ke saare rooms aura age piche ka area dekh aaya par unhe wo aurat kahi bhi dikhai nahi di
Ye log wapis aaye tab tak chhaya sabke liye khana bana chuki thi, anish aur sandhya ne khaya khaya par sandhya ka khane me bhi dhyan nahi tha, reh reh kar uske dimag me khayal aata ke akhir wo aurat ja kaha sakti hai, khana khane ke baad wo log aaram karne kamre me gaye to sandhya ki aankhon ke samne usi aurat ka chehra aa raha tha khas kar uski ankhe jo ektak sandhya ko dekh rahi thi, akhir me sandhya uthi aur wapis se usi khurchi par aakar baith gayi jaha wo subah baithi thi aur sidhiyo ki taraf dekhne lagi is aas me ke wo aurat use dobara dikhegi, upar ke floor ki chabiya anish ke paas thi aur wo aaram kar raha tha shambhu aur chhaya shidhiyo ki saaf safai kar rahe the, thodi der baad jab anish ki neend khuli aur wo baahar aaya to sandhya wahi baiti thi aur shambhu aur chhaya me saaf safai puri kar li thi aur fir chhaya ne sabke liya chai banayi jiske baad anish ko ek call aa gaya par ab sandhya ko wade ka upar ka mala dekhne ki jaldi thi wo janna chahti thi wo aurat kaha gayi hai aur fir anish apna call khatam karke wapis aaya aur usne chabiya shambhu ko pakdayi
Wo tala kafri purana tha aur use kholne ke liye ek nahi balki 4 chabiyo ka uyog karna padta tha, shambhu ne pehli chabi ghumayi fir dusri fir teesri aur jaisi hi chauthi chabi ghumayi wo tala khat ki awaj ke sath khul gaya.. chuki darwaja kafi samay seband tha to wo jaam ho gaya tha shambhu aur anish ne thoda jor lagaya tab wo darwaja charrrr ki awaj ke sath khula…..
The Mirror..
Update 7
Aur usi jehrili najar ke sath kamini ne us aaine me se sandhya ki taraf dekha, itne samaytak aaine me ye sab ghatnaye kisi film ki tarah chal rahi thi aur sandhya use dekhne me khoyi huyi thi par kaisi ji kamini ne use is tarah dekha wo hosh me aa gayi, wade me sidhiyo par dekhi huyi won ajar use aaine ke paar lejati wo khunnas bhari najar, ye sab bhayankar tha aur wo aurat koi aur nahi kamini thi…..
Aage kuch hota isse pehle hi sandhya study se baahar aakar apne bedroom em chali gayi aur palang par jakar ek kone me baith gayi, darr se uska pura sharir kamp raha tha.. ye sab uske samajh ke baahar tha dimag sunn ho gaya tha kafi samay aise hi baithe rehne ke baad sandhya uthi aur kitchen me gayi aur jakar usne pani piya, uska pura sharir pasine sechipchipa ho raha tha aisa lag raha tha mano kisi ne sharir se jivanras chus liya ho, subah anish ke office jate hi wo study me chali gayi thi aur wahi uska hath jaise hi aaine kochua thaw aha jaise koi film shuru ho gayi thi aura b anish ke wapis aane ka waqt hone ko aaya tha par sandhya ke pet ne anaj ka ek dana bhi nahi tha.. ye jo kuch bhi thaw o sandhya ko apni taraf khinch raha tha aur sath hi uske man me uske astitva ko lekar darr bhi paida kar raha tha..
sandhya ko thand lagne lagi thi aur fir se bukhar badhne laga tha to wo room me jakar bed par let gayi aur anish ne aate hi docter ko phone laga kar bula liya.. docter ne sandhya ko kuch dawaiya di aur use hospital me lane ka bol kar chala gaya
age din bhi sandhya ka bukhar barkarar tha, hospital me kuch tests bhi karaye gaye par un tests me kaha kuch milne wala tha, docter ne ye bas viral fever hai bolkar anish ko dilasa de diya tha..
wo pura din anish sandhya ke sath hi raha jiska ye asar bhi hua ke us din kamini ne koi harkat nahi ki aur sandhya ko aaram karne ka mauka mila par agle din anish ki kuch important meetings thi to sandhya ne fir use jabardasti office bheja aur kaha ki wo bed se hilegi tak nahi aur anish bhi sandhya ko apna khayal rakhna keh kar chala gaya aur fir uske jate hi wahi khel shuru, abki baar sandhya chah kar bhi apne aap ko nus aaine ke karib jane se nahi rok payi aur aaine me wapis film chalne lagi
--------
Appasaheb ki shadi ke agle din naye dulha dlhan ko kuldevta ke darshan ke liye jana tha, wahe jane ke liye kuch 7 se 8 ghante ka rasta tha, nanasaheb apni tabiyat ka bahana banakar ghar par hi ruk gaye aur appasaheb ke jane ke baad naukaro ko bhi chhuti de di aur jais hi wade se sab log chale gaye nanasaheb kamini ki lash ko almari se nikala aur use ghasit kar chhat par le gaye, wada thoda uchai par bana hua tha aur uske piche sidhi dhalan thi yay u kahe ki khai thi, aura age jungle ka ilaka shuru hota tha, nanasaheb se kanimi ki lash ko waha se niche fek diya fir niche aakar us alamri ke darwaje tode aur ganu sutar(carpainter) ko bulaya aur use nayi almari banana kaha aur ek naya dressing table bhi jisme us aaine ko lagane kaha, ganu bhi wo ammari apne sath le aaya aur kaam shuru kar diya
Ganu jab kaam kar raha tha tab uski najar thoda upar gayi to use waha kamini dikhi jise dekh ke ganu bola
Ganu-aye kamini kidhar thi tu kal, teri maa dhundh rahi thi teko ja paile ghar ku ja
Aur itna bol ke ganu wapis apne kaam me lag gaya, ab ganu ko do ghut daru ke chadha kar kaam karne ki adat thi isiliye usne kamini ko dekha jarur par baad me wo wahi hai ya ghar gayi hai ispar usne dhyan hi nahi diya, baad me jab use gaon me pata chala ki kamini abhi bhi lapata hai aur uski maa use dhundh rahi hai tab wo gaon walo se bola
Ganu-arey kal hi to mere jhopde ke samne se gayi hai wo maine usko ghar jane ku bi bola tha..
Aur isi tarah gaon wale kamini ko khojte rahe par uska kahi kuch pata nahi chala, aurwade ki taraf to kabhi kisi ka shaq gaya hi nahi kyuki ganu ne kamini ko wade par huye karyakram ke baad dekha tha…
Ye sari ghatnaye us aaine me kisi film ki tarah chal rahi thi, tukdo tukdo me hi sahi sandhya ko roj kuch na kuch naya pata chal raha tha par aise me uski shari Shakti kam ho rahi thi, na wo ache se khana khati thin a soti thi, aankhe gaddhe me dhasti ja rahi thi, sharir ka vajan ghat raha tha, bukhar kam tha par kamjori bahut thi
Anish sandhya ko fir ek baar docter ke paas le gaya par jab is baar bhi sare reports negative aaye tab docter ne unhe psychiatrist ke paas jane ki salah di, sandhya janti thi ke in sab se koi fayda hone wala nahi hai, kyuki uska samna ek aisi takat se hai wo is duniya ki hi nahi hai par fir bhi wo anish ke samadhan ke lye psychaitarist ke paas gayi par waha bhi koi result hath nahi aaya, aata bhi klaise sandhya ki bolchal se kahi se bhi aisa nahi lagta tha ke use koi mansik rog ho sakta hai fir bhi psychairist ne kuch dawaiya di aur neend ke liye mild power wali neend ki dawai di aur wapis bhej diya..
Kamini ne bhale hi shuru ke sandhya ke man ko apne kabje me ar liya tha par sandhya ne jald hi apne aap ko uske bandhan se chudaya tha aura b ye ladayi sandhya ke astitva kit hi jiske liye sandhya bharpur koshish kar rahi thi..
Ye sirf sandhya hi janti thi ke use kamini ke mukabala karne ke liye kafi himmat se kaam lena hoga aur sath hi anish ko is beech ghasit kar tension nahi dena chahti thi wo aur iske piche ek ye bhi wajah thi ke anish in sab peshayad hi yakin karta. Yaha tak ki agar kuch dino pehle sandhya ko bhi koi aisa kuch bolta to sandhya bh yakin nahi karti.. ab sandhya ko bahut soch samajh kar kadam uthane the sath hi anish ko bhi in sab se dur rakhna tha
Docter ke paas se wapis aate waqt anish sandhya ko uske pasand ke restaurant me lekar gaya taki uska mood thoda theek ho wahi sandhya anish ke sath jyada se jyada theek hone ki koshish kar rahi thi jiska asar bhi hua kyuki ghar lautne ke baad anish ne sandhya ko aaram karne kaha aur khud apna kaam karne laga, agar use lagta ki sandhya ab bhi bimar hai to wo uske paas se hilta nahi
Anish apne hi ghar me bane chhote se office me kaam karne chala gaya aur uske jate hi sandhya ne laptop on kiya…
The Mirror
Update 8
Sandhya ne ab parapsychology ke bare me aatmao ke bare me padhna shuru kiya taki use kamini ki aatma se ladne ke liye kuch madad mile… aur sandhya ki yahi khas baat thi ke agar wo kisi chiz ko janna chahti use padhne lagti to fir koi bhi chiz uska dhyan nahi bata sakti thi aur usne apni isi quality ka kamini ki aatma ko apne man se dur rakhne ke liye use karne ka socha.. thode samay baad usne man ekagrag karne ke aneko prakar me se ek ka upyog kiya aur aankhe band karke meditatin ko shuruwat ki aur man hi man kuch plan banaya.. in baato ke samne haar maan kar kaam nahi chalne wala tha aur abhi agar sandhya ko in sab se ladna tha to uske liye sharir aur man dono swasth chahiye the aur iske liye ek proper dincharya banani thi
------------------
Appasaheb apni patni ke sath kuldevta ke darshan karke laut chuke the, dono pati patni kafi khush the par nanasaheb ki tabiyat ab kharab rehne lagi thi wo ab palang par hi pade rehte the na sahi se khate the na kisi se baat karte the aur neend to unki kabki ud chuki thi
Aise hi ek din appasaheb unse bole “chalo nana aapko chat par ghuma lata hu khuli hawa me thoda acha mehsus karoge” to appasaheb ki baat sunkar nanasaheb gabra gaye aur na na bolne lage to appasaheb ne bhi jyada jid nahi ki
Idhar ganu ne nayi almani aur dressing table banakar wade me le aaya tha aur nayi dulhan ko wo kafi pasand aaya to usne use apne kamre me rakhwa liya…
Kuch din aise hi bite aura b appasaheb par se nayi patni ka khumar bhi utarne laga tha aur appasaheb ne apne hamesha ke baggiwale ko bulaya.. tijori se ek mehnga sone ka haar uthaya.. tab tak baggiwala aa chukka tha to unhone use kamini ke ghar chalne kaha to pehle to baggiwale ne unhe thodi der dekha aur fir usne kamini ne gayab hone ka pura kissa sunaya..
Appasaheb pehle to thoda dachka fir usne baggi kothe ki taraf lene kaha.. appasaheb ko dekh kamini ki maa rone lagi par appasaheb ne wo haar uski maa ke hath me rakha aur uski pith par hath ghumane laga.. appasaheb ki is harkat se pehle to wo chauki par fir use lekar ander chali gayi aur kamre me lagi battiya dhimi hone lagi..
Appasaheb ki ye harkat dekh kar pehle to us baggiwale ne jordar gali baki aur fir wahi thuk diya…
--------------
Ye dekh kar sandhya ko aisa laga mano use ulti ho jayegi... aadmi bhi ek tarah ka jaanwar hi to hai aisa use lagne laga
--------------
Idhar nanasaheb ki tabiyat bhi din ba din bigadti hi ja rahi thi.. matibhram ho gaya tha unko apne aap me hi badbadane lage the wo.. unke hath se jo akshamya aparadh hua tha uska guilt unhe jine nahi de raha tha aur maut ne unhe gale lagane se mano inkar kar diya tha..
Jab docter se kuch nahi hua to appasaheb se mantrik ko bulaya ghar me hawan karaye gaye puja path karayi gayi par nanasaheb ki halat me koi sudhar nahi hua aur ek din achanak nanasaheb apne palang se uthe aur chat par gaye aur unhone us khai le chhalang laga di jisme unhone kamini ki lash ko feka tha…
Sandhya ka hath ek pal ko aage hua mano wo nanasaheb ko rokna chahti ho par tabhi use aaine me kamini dikhi wo apni khunnas bhari najro se nanasaheb jaha kude us disha me dekh rahi thi..
Nanasaheb ki lash utarne ke liye jab kuch log khai me utre to unhe do lashe mili, ek nanasaheb ki aur dusri lash sadi huyi gidhado me maas noch khayi huyi jise pehchan pana mushkil tha par uske hath ki haddiyo ke kangan aur pair ki payal se pehchana gaya ki wo lash kamini kit hi.. kamini ki istarah ki lash dekh kar uski ma aka akrosh dekh kar sandhya bhi bahut royi thi aur age kuch din to aisa lagne laga tha jaise uske ghar me hi kisi ki maut huyi ho..matam ka mahol bana hua tha…
-----------
Wahi sandhya ne parapsychology aur pretaatmao ke pare me padhna jari rakha tha jisse use roj nayi nayi baate pata chal rahi thi jaise aatmao ki bhi ek alag duniya hoti haiaur wo duniya hamari is asal duniya ka hi ek hissa hai.. billiyo ko raat ke andhere me dikhai deta hai par hum andhere me nahi dekh sakte iska ye matlab nahi ki hamare aaspaas ki duniya hi gayab ho chuki hai.. aatmao ka bhi aisa hi hai.. hamare aur unke beech communication ka koi jariya nahi hai to iska ye matlab nahi ki wo hai hi nahi
Sandhya ka din ab hamesha ke mukabale kafi busy ho gaya tha.. uski subah puri tarah se anish ko dedicated thi… fir kuch samay uska study me bit ta tha jaha use uske hi parivar ke itihas ke bare me pata chalta tha kamini ke jariye aur fir baki samay ko aatmao ke bare me padhne me lagati thi aur and me meditation se ape dimag ko shant karti thi….. meditation se use din bhar ka stress kam karne me kafi madad milti thi aur anish ke ghar aane ke baad wo usse office ki bate karti thi aur kuch idhar udhar ki bate… anish ko ab bhi sandhya kuch kamjor lag rahi thi… sandhya ek pariksha ki tayari kar rahi thi bas is pariksha me frak ye tha ki ye exam kab hogi kaisi hogi pata nahi tha aur daav par lagi thi uski jaan….
---------------------------
Nanasaheb ki maut aur kamini ki lash milne ke baad appasaheb me bhi bahut changes aaye the.. ek to saari jimmedari uspar aa gayi thi aur usme uski patni garbhvati ho gayi thi isiliye wo ab javabdari se rehne laga tha aur kamini ki maa bhi gaon chhod kar ja chuki thi ab
Ek din appasaheb ko uski patni room me aaine ke samne behosh padi mili, docter ko bulaya gaya, wo check karke dawaiya dekar chala gayaaur kuch din aaram karne ki salah di par din din se appasaheb ko apni patni me kuch fark dikhne laga, uska kapde pehanne ka dhang shringar ka tarika sab badalne laga tha, baatchit me kapdo ke me bhadak pan aa gaya thaw o aisa shringar karne lagi thi jaisa veshyaye karti hai.. appasaheb ne use samjhaya aur ek din gusse me uspar hath utha ditab tab wo aankho me angar liye boli… “pehle main karti thi to sab acha lagta tha ab patni ka kiya pasand nahi aa raha kiya” ye awaj uski patni par hwi huyi kamini ki thi. Jise sub appasaheb bhi darr kar thoda piche hat gaya…
Kuch din darr ke saye me bitne ke baad appasaheb ke sasural wale uski patni ko apne sath le gaye.. waha jane ke baad uska rehansehan thoda normal hua tha par kamini ka shikanja uspar ab bhi tha aur aathve mahine me hi wo bacche ko janm dete huye chal basi
Appasaheb ne bhi fir dusri shadi nahi ki aur tahtra mantra ke sahare apna darr kam karne ki koshish karta raha..
Dadasaheb ko bachpan se uske mama ne hi pala tha aur jab uski shadi ki umra huyi to usne nanaji aur mama ne uski shadi bhi karwa di.. dadasaheb ko vyahar ka kafi acha knowledge tha jisse usne nana mama uspar kafi khush the par mama ke bete ko apni property me hissedaar dikh raha tha aur ek din wo bola
“tere baap ki itni badi jaydad hai tu wo kyu nahi sambhalta, ja ke wo sab dekh..”
Bas fir kyat ha dadasaheb apni patni ke sath wade me aa gaye..
Ab tak kamini ki dehshat sare gaon me fail gayi thi yaha tak ki gaon me agar kahi koi shubh kaam hota to kamini ki ek saree bhi alag se rakhi jati thi, kai logo ne to use dekhne ka bhi tha..
Aaj sandhya ki aankho ke samne ye scenes bed par baithe baithe hi chal rahe the use aaine tak jana bhi nahi pada tha..
Kamini ka gussa ab thoda shant ho gaya tha is naye milte huye sanman ki wajah se uska ahankar ab aur badh gaya tha...
Sandhya ne ab is bare me padhna shuru kiya to uske dhyan me aaya ke aatmao ko insano se sampark karne ke liye kisi medium ki jarurat hoti hai aur is hisab se sandhya bhi ek tarah ka medium hi thi, kamini usse baat nahi karti thi par use to dikhai deti the
Aise hi khojte huye sandhya ko aatmao ke bare me kafi bada artical mila jiske mutabik aatmaye kai baar bahut jhuth bhi bolti hai aur unse deal karte samay insan ko bahut dimag se kaam lena padta hai..
Sandhya ko jo bhi information mil rahi thi aur use aur bhi jyada confuse kar rahi thi isiliye usne soch liya tha ke ain mauke par jo dumag kahega usi ke sahare is bala se mukabala kiya ja sakta hai
Dadasaheb ab apni patni ke sath wade par rehne aa gaya tha aur wade ki chakri ka kaam shambhu ke maa baap karne lage the wahi appasaheb ka man ek hi samay me khushi aur darr aisi dono bhavnao ko mehsus kar raha tha.. apne bête ka use aadhar to tha par sath hi ek tantric ki batai baat bhi dimag me ghum rahi thi ki is wade me koi bhi suhagan jyada samay tak nahi tikegi.. apni bahu ko dekh uska man bhar aaya aur aparadhi bhav ne use gherna shuru kar diya
Raat ko dadasaheb apni patni ke sath kamre me gaya to aaine se kamini usne sharir ko nihare ja rahi thi aur uske sath uski patni ko dekh kar wo fir gusse aur jalan se bharne lagi..uski won ajar dekh kar sandhya bhi ek pal ko ghabra gayi thi..
Nayi bahu ne aate hi ghar ki sari jimmedari sambhal li thi aur har barik se barik chiz ka dhyan rakhti thi aise hi ek amavaske din shambhu ki maa kamini ke liye saree nikalne lagi kyuki gaon me har amavas pournima ko kamini ko saree chadhane ki pratha shuru ho gayi thi tab dadasaheb ki patni ne usse is bare me pucha to usne kamini ki kahani use sunayi jisme kayi kalpanik kahaniya thi jispar dadasaheb ki patni ne kaha ki
“hame sirf ishwar par bharosa karna chahiye aur sirf usi ki puja karni chahiye, aisi anusht shaktiyo ko badava kyu de”
Uski is baat ka fir kaiyo ne samarthan kiya par isse kamini ke ahankar ko thes lagi thi.. aur ab uska gussa kisi ko maar kar hi shant hone wala tha..
Kamini ka wo rup dekh par sandhya ne darr ne aankhe band kar li.. uske liye to ye sab kisi film ki tarah tha par iska asar uske sharir aur dimag dono par pad raha tha.. sandhya sochne lagi ke ye sab kab tak chalega? Kab ant hoga iska? Ya shayad kabhi nahi? Par itni baat confirm thi ke wo kamini ke samne haar manne wali nahi thi..
Sandhya apna dimag shant karne ke liye dhyan karne baithi.. anish jab ghar lauta tab sandhya dhyan me hi thi aur use sandhya aaj kafi alag lag rahi thi
“kitna badal gyi hai ye..pehle hamesha badbad karti rehti thi.kaam me madad karti thi..weekends ke plan bana kar rakhtithi par jabse savargaon se aaye hai tabse lagta hai meri sandhya kahi kho si gayi hai..kahi ye shambhu ki kahi us baat ki wajah se to nahi hai..kya mujhe sanhdya se baat karni chahiye..? nahi pehle hi wo apni hi duniya me rehti hai aajkal, mai samne hota hu to hasti hai par wo jhuthi hasi saaf samajh aati hai. Pata nahi ise kya ho raha hai? Mera dhyan to kam nahi ho raha iski taraf?”
Anish sandhya ko disturb kare bagair ye sab sochte huye apne ghar me bane office me aakar baith gaya…..
The Mirror
Update 9
Anish ke office me jate hi kamini aaine se baahar aayi aur anish ke piche office ki taraf jane lagi tab uski payal ke awaj se sandhya ka dhyan tuta aur wo baahar aakar dekhti hai to kamini anish ke office me ja rahi thi.. sandhya jaldi se waha pahuchi to kamini anish ke piche khadi thi aur use dekh rahi thi.. sandhya ne use dekha aur fir anish ki taraf dekha itne me kamini waha se gayab ho gayi..
Sandhya kafi ghabra gayi thi aura b usne soch liya tha ke is sab ka jald se jal kuch ilaj karna padega
-------------
Ab dadasaheb ki patni garbhvati thi aur usne apne rehne ki vyastha niche hi kar li thi, baap banne ki khushi me dadasaheb pagal huye ja raha aur isi khushi me usne apni patni ki icha ke liye gaon ke mandir ka jirnoddhar bhi karaya tha… ap upar wala karma sirf dadasaheb ke hi use me tha aur wo sirf apna hai ye bhavna kamni ko sukun pahucha rahi thi..
Ek din subah appasaheb kuch aap se dadasaheb ke room ke gaya to uske bagal me ek aurat baithi thi, lagta hai bahu darwaja band karna bhul gayi ye soch ke appasaheb jane ke liye muda to usne kano me fir wahi chir parichit payal ka awaj aaya, palat ke dekha to waha kamini thi apne bhayankar roop me jise dekh kar appasaheb wahi gir gaya aur uski maut ho gayi.. abhi abhi beta bahut sath rehne aaye the par appasaheb ke nasib me sukh nahi tha aisa log bolne lage aur kai to ye bhi bolne lage ki ye kamini ke liye saree na rakhne ka parinam hai
Dadasaheb apni patni ko kuch dino ke liye mayke chhod aaya tha isiliye kamini ko aisa lagne laga ki ab is wade ki malkin wahi hai uski aaine ki duniya abs are wade me thi, kayi baar use logo ne dekha tha aura b bate failne lagi thi ke kamini ke bhoot ne wade par kabja kar liya hai, jab dadasaheb ki patni bacche ko lekar wapis aayi to gaon me baate hone lagi kea b kamini iski bhi jaan le legi..
Aise me shambhu ki maa ne usse kaha ki unhe kamini ke liye sarre rakh aani chahiye uske ghar ki payri par, shambhu ki maa umra me badi thi wo uski baat maan kar wo kamini ki saree uske ghar ke payri par rakh aaye.. kuch din shanti me bite ab wapis se pati patni sath rehne lage the..patni ka sukh pakar dadasaheb ekdum khush the use kya karu kya nahi aisa ho raha tha aur unka pranay dekh kar kamini jalan aur gusse se jhulas rahi thi
Patni ka sahwas dadasaheb ko har tarah se khush kar raha tha aise me ek din usne apni9 patni se kaha ki mai baggi bulata hu chalo devi ke darshan kar aaye, wo bhi ha bol kar tayar hone chali gayi, aur nayi saree pehanne ka socha to almari ke upar trunk me rakhi thi fir wo trnk utarne ko khurchi par chadhi aur jab wo trunk utar hi rahi thi to kamini ne khurchi ko dhakka de diya.. trunk ke sath girne se aur trunk se sar par chot aane ki wajah se dadasaheb ki patni ki maut ho gayi.. dadasaeb mano pagal ho gaya tha, shambhu ke maa baap se use sambhala aur fir raosaheb ko padhai ke liye shahar me hi rakha gaya… dadasaheb sirf bete ke liye jinda tha aur fir uske bada hote hi uski bhi shadi karwa digayi aur unhe shahar me hi rehne ko kaha..
Kafi saal beet gaye anish ka janm bhi shahar me hi hua tha aur thoda bada hone tak usne wada dekha bhi nahi tha umar ki wajah se ab dadasaheb ki tabiyat bhi ab kharab rehne lagi thi to raosaheb apni patni aur anish ke sath gaon me rehne aa gaye, dadasaheb ne iska virodh kiya par raosaheb ne unki nahi suni aur umar ke chalte dadasaheb bhi chal base…
Wade me sirf dadasaheb rehte the is wajah se kamini ka kissa ab piche reh gaya tha gaon me ab bhi saree rakhne ki pratha shuru thi par dheere dheere kamini ki kahaniya sunane wale log ab swarg wasi hone lage the aura b wade par sirf apna raaj hai is baat ne kamini ke man to tasalli di thi..
Baad me anish ki padhai ke liye wo aur uski maa shahar me rahe aur raosaheb gaon me aate jate rahe.. kamini ko ab koi bandhan nahi tha aura b uski puri najar raosaheb par thi.. kamini ke hisab ne is gharane ka har purush uske liye prempatra tha iiliye nanasaheb aur appasaheb ke alawa wo kisi ko nahi dikhi na hi kisi purush ko usse kuch dhoka mehsus hua
Fir ek saal anish aur uski maa chuttiyo me wade par rehne aaye aur waha aane ke baad anish ki maa ko laga ki wade me kuch changes kiye jane chahiye fir us hisab se baate huye kaam walo ko bulaya gaya aur sabse pehle purani chze bahar nikalne ki baathuye jisne us dresseing table ka number sabse upar tha,
Agle hafte me anish ke hostel jane ke baad kaam shuru hone wala tha wade ka, usi sham ko raosaheb unki patni aur anish baggi ride par gaon se ghumne gaye aur ghumte huye unki baggi kamini ke khandhar numa ghar ke paas ruki jaha kayi logo ne kamini ke liye sariya chadhayi huyi thi..
Ab raosaheb aur unki patni dopno shahar me rahe padhe likhe log the unka in sab kar vishwas nahi tha.. us jagah pe bare me fir baggi wale ne suni sunayi kahani batayi jise sun anish ki maa ne us kahani ka majak bana diya.. pehle wade par haq jamana fir uska majak banana se kamini a banish ki maa par gussa thi aur sabse badi baa two us aaine ko baahar fekne wali thi jisse kamini ka astitva tika hua tha isiliye kamini ne use tadpa tadpa kar maarne ka man bana liya tha..
Chhutiya khatam huyi, raosaheb anish ko hostel chhodne gaye us din jab anish ki maa ne us dressing table wale kamre me kadam rakha to use bahut jada badbu aane lagi mano kisi jaanwar ko maar ke waha feka gaya ho par kal tak to ye badbu waha nai thi, fir use laga ki shayad ye baahar se aa rahi hai to usne saari khidkiya bad kar li.. par badbu ab bhi waisi hi thi to usne use najarandaj kiya aur anlami kholi to usne hath par kuch chipchipa sa laga puri almari khulte hi kamini ka sadi huyi lash anish ki maa par gir gayi, achanak se agar aapke upar kisi ki aisi lash giregi to aapka kya hoga? Anish ki maa darr se wahi behosh ho gayi
Bahut samay se malkin dikhi nahi ye dekhne shambhi upar aaya to usne anish ki maa ko behosh halat me paya aur usne jaldi se apni biwi ko bulaya aur malkin ko uthakar palang par letaya, uska sharir kisi bhatti ki tarah tap raha tha,3 din baad raosaheb ke wapis aane tak unki patni ki halat bahut bigad chuki thi gaon ke docters ne hath khade kar diye the aur fir jab unhe shahar ke docter ke paas lejane wale the tab tak 4 din me anish ki maa ki maut ho chuki thi
---------------------------------
Sandhya ka pura sharir dimag sunn ho raha tha, darr uspar havi ho raha tha, wo uthi aur ghar me alag alag jagah par namak ke pani ke bhre bowls rakhne lagi, usne kahi padha tha ke aisa karne se negative energy kam hoti hai…
Isse aage ki kahani usne anish ke muh se suni thi ki kaiseuse uski maa ke bare me bataya gaya, raosaheb ke hisab se to wo bukhar se hi mari thi iske piche aisa bhi koi reason hoga ye kaun soch sakta tha
Sandhya ko ab in sab bato ko shuru se sochna tha aur inhe kahi koi clue milta hai kya ye dhundhna tha, kamini ka agla ghav kab aur kaise hoga ye sochna tha.. uski jaan khatre me thi… wade ki baki bahuo me aur usme kya fark tha ye use dhundhna tha, pichla itihas ab use pata tha ya shayad ab bhi kuch reh gaya tha, achanak use pne sasur ki yaad aayi, ki wo use baar baar savargaon jane kyu bol rahe the..? wo bhi apni patni ki halat dekhne ke baad…
Achanak fir se uski aankho ke samne film shuru huyi
------------------
Raosaheb upar ke room ke soye the tabhi unhe apne sharir par kisi ka hath mehsus hua.. unhone uth ke dekha to koi nahi tha weham hoga soch kar firse sone ki koshish ki to fir se wahi hath mehsus hua aur abki baar unhone dekha to kaminibaithi thi apni kutil muskan liye..
Raosaheb-k..k..kon hai tu..?
Par kamini ne koi jawab nahi diya, raosaheb ki ghiggi bandh gayi thi, kamini ne hath aage badhaya to raosaheb ne use jhatakna chaha to kamini ne unka hath pakad liya… “uske sath(raosaheb ki biwi) kitna ache se rehta tha..mujhme kate lage hai kya.? Kaisi halat ki uski dekhi na? ghabra mat marungi nahi tujhe, tujhme hai hi kya, jawan mard to tera beta hai, par wo aata nahi yaha, biwi ke sath shahar me hai, mere rehte wade ko nayi malkin ki kya jarurat, ghabra mat, itni jaldi nahi marungi teri bahu ko, pehle baccha hone de vansh badhne de, main kiske bharose rahungi, ek beta ho jaye fir dekhte hai uska kya karna hai”
Raosaheb se darr ke mare bola nahi ja raha tha aur kamini apni bhedak najro se unki aankho me dekhte huye boli
“bhejdena use yaha, galti mat karna, warna tera beta to marega par usse pehle tu marega”
Itna bol ke kamini gayab ho gayi, raosaheb ne chillane ki koshish ki par awaj nahi nikal raha tha baahar aana chaha to palang se gir gaye…. Iske aage ka sandhya ko pata tha, raosaheb ko paralysis ka attack aaya tha, left side ne kaam karna band kar diya tha, jiske baad unhe shahar laya gaya, sandhya ne bahut seva ki thi apne sasur ki aur raosaheb use hamesha savargaon jane ka kehte, unhe bahut bura lagta tha apni beti jaisi bahu ko khud maut me muh me dhakal kar par apne bete ke liye unhe ye karna tha…
-------
Ab sandhya ko sab samajh aa gaya tha…. Use samajh aa gaya tha ke wo aag se khel rahi hai,ek nagin ho paal rahi hai aur ab sandhya ko ye sab jald se jald khatam karna th aur usne jaldi jaldi kisi ko phone lagaya……
The Mirror..
Update 10
Final Update
Sandhya ne anish ki secretry roma ko call lagaya jo sandhya ki achi dost bhi thi aur use kisi bhi tarah anish ko aaj raat bhar ghar se dur rakhne kaha yaha tak ki usne roma se ye bhi keh diya ke ‘use your charm’, roma ko bhi kuch samajh nahi aa raha tha ke ye sab kya ho raha hai aur sandhya ne uske kuch puchne se pehle use apni kasam dekar phone band kar diya aur ye baat uske aur roma ke beech hi rakhne ko kahi aur phone cut karke wo sidha apni study me aayi aur darwaja band karke aaine ke samne khadi rahi
Sandhya- mujhe pata hai tum mujhe dekh rahi ho, sun rahi ho, to chalo aao aaj kuch baate karte hai, agar tumhari ha hai to samne aao
Kuch nahi hua
Sandhya- mujhe pata ai tum mujhe maarna chahti ho, tumhe mujhe control karne ki koshish ki par maine medittion ke sahare pna bachav kiya, tumhe mujhe bhutkal ki ghatnaye dikhayi jisse mai dipression me jau aur tum mere man par kabja karo par isi ke chalte mujhe sari purani bate pata chalti gayi, mujhe itna to samajh aa gaya ki tum mujhse jhuth nahi bol rahi thi, agar tumne mujhe mara to nuksan tumhara hi hai aur mai tumhe mukt karna chahti hu
Aur isi ke sath jor daar awaj karte huye room ka ceiling fan niche giya, sandhya se thodi dur mano kamini use chetavni de rahi ho.. par ise dekh sandhya thodi muskurayi..
Sandhya-tumhara gussa samajh rahi hu mai.. ye kaun mujhe mukti dilani wale, yahi soch rahi ho na, ha waise sahib hi hai ye, jab tak tum is narakyatna se picha chudana nahi chahogi tab ak koi kuch nahi kar sakta par aaj tumhe meri baat sunni padegi, mujhe maar dalogi to tumhari mukti ka rasta to band hoga hi sath hi jis jalan ki bhavna ne tumhe aaj tak bandhe rakha hai wo bhi khatam ho jayegi, mere sath ye gharana bhi khatam ho jayega, anish ke sath tum thoda samay reh logi par akeli, wo nahi hoga..
Tabhi jor jor se pair patakne ka, jungle jaanwaro ki hunkar ka awaj aane laga, ye ek receipt thi ki sandhya ki baat suni ja rahi hai
Sandhya-ab meri baat dhyan se suno, tumhare sath jo hua wo lanchanaspad thaaur ye hamare gharane ke aadmiyo ne kiya jiski mujhe kafi khant hai, apne premi se dutkarane jana fir uske ki pita ka jabardasti karna, tumhara khun ye sab kafi bhayankar tha, par usse bhi bhayankar tha tumhare samne kiya hua tumhare premi aur uski patni ka pranay uske baad tumhari maa ki majburi ka fayda uthaya jana..
Aaine se ek cheekh sunai di sandhya ko
Sandhya ek pal ruki fir bolna shuru kiya
Sandhya-tumhare man me badle ki bhavna aana swabhavik tha jiske baad wo bhavna badle ki aag me badly par baad me bachi sirf tumhare man me rahi sharir sukh ki icha aur malki haq ki bhavna jisne tumhe bandh kar rakha fir jisne tumpar anyay kiya tum unhe chhod kar ghar ki aurto ke piche lagi, unhe marti gayi aur paap bhi bhagidar banti gayi, unki maut atal thi tum sirf ek jariya banti gayi par tumhara ahankar itna badha ki tumhe lagne laga ki tum kuch bhi kar sakti ho, par jo kismet me likha hota hai wahi hota hai jo unki kismet me tha unlogo ke sath wahi hua fark sirf itna hai ki tum baki aurto ke man ko kabu me kar payi par mere sath aisa nahi hua…
Achanak kamini bhanayak roop me aaise me dikhne lagi aur usne hath baahar nikalkar sandhya ka gala pakadne ki koshish ki par wo isne nakam rahi
Sandhya-pankha me jaan nahi hoti kamini, use control karna aasan hai mujhe nahi, ho sakta hai ki kuch aur shaktiya bhi tumhari madadgar ho par ek samajhdaar insan ko kabu karna mushkil hai.. tumhare is ahankar ne bahut kuch tabah kiya hai ab bas..
Aur kamini gayab ho gayi
Sandhya- man janti hu tum yahi ho, kab tak aise hi rahogi, kabhi na kabhi ye sab khatam hoga, kal ka wada bachega na hum, kuch salo me hum bhi mar jayenge ya tum hi maar dogi, maut atal hai par tum kabtak aise hi bhatakti rahogi jaha na koi tumhe dekh sakta hai na tum apni ichao ka anand le sakti ho, is janm se mukti ka rasta saaf karo aur martya yogi me pravesh ki koshish karo jaha apni ichao ka upbhog le sako, main tumhare liye us sarvavyapi Shakti ka avahan karungi, tumhare liye prarthna karungi, tum sath do to theek warna rukawat mat banna
Itna bol ke sandhya padmasan laga kar baith gayi aur ab kamini ka sabra chhutne laga, aane wale safar ka darr use satane laga, uske paas jo hai wo bas us tak hi simit rehna chahti thi aur usne sandhya ko padmasand se uthane ki koshish shuru ki
Idhar office me anish ek conference call par busy tha aur roma dua kar rahi thi ke wo aise hi busy rahe, usne sandhya ko promice kiya tha par ab soch rahi thi ke anish ko kaise roka jaye, fir usne un logo ko call lagana shuru kiye jo kafi time se anish se milna chahte the aur unki apponintment fix ki aur kuch important logo ke sath dinner meeting fix ki jisse ab wo anish ko kam se kam adhi raat tak rok sakti thi
Yaha ghar me pehle to sandhya ko aisa laga mano uske sare sharir sunn ho gaya hai par wo janti thi ki ye kya hai aur usne dhyan kendrit karna shuru kiya, fir kuch samay baad aneko jaanwaro ka usne aaspaas ghumne ka awaj unke chillane ka awaj use aane laga fir bhi sandhya ka dhyan bhang nahi hua, jiske baad dheere dheere room me pani bharne laga aur wo pani ab sandhya ke gale taka a gaya tha aur sandhya ko aisa laga mano wo dub ke mar jayegi par man nischay se nahi hata kyuki isne jaan ka khatra to hoga ye to usne socha hi tha par ab sandhya ko ekagrata sambhalna mushkil ho raha tha wahi ye sab abhas nirman karne me kamini ki Shakti bhi khatam ho gayi thi aur apna astitva tikane kii tagmag badh rahi thi, raat chadh rahi thi
Idhar ab anish ki dinner meeting bhi khatam hone aayi thi aur wo ye soch raha tha ke itne samay me sandhya ne use ek bhi call kaise nahi kiya.. fir bhi wo roma se bola
Anish-roma raat kafi ho rahi hai chalo main tumhe ghar chhod deta hu taxi safe nahi hogi
Wahi roma bhi yahi chahti thi isse use aur thoda samay mil jata
Adhe ghante baad anish ne roma kousne ghar drop kiya, ab anish ko kaise roke ye roma ke samne sawal tha fir wo anish se boli
Roma-boss, mujhe sandhya ke bare me kuch baat karni hai..
Anish-kya hua..?
Roma-is she alright?
Anish- kya hua hai roma aisa kyu puch rahi ho?
Fir roma ne sari baat use batayi jise sun kar anish ke chehre par chinta gussa jaise hajaro bhav umte
Anish- roma teri dost pagal kar degi mujhe kisi din, pata nahi kya chal raha hai uske dimag me..
Jiske baad wo aur roma anish ke ghar aane ko nikle
Idhar sandhya ab apni ekagrata ke parambindu par pahuchne wali thi aur kamini uska dhyan bhang karne ki koshish kar rahi thi, itne me ghar me kuch bartani ke girne ka awaj aaya jiske sath mano waha bhukamp aaya ho aise diware hilne lagi jaise jaise sandhya ekagrata ke shikhar par pahuch rahi thi kamini ki shaktiya kamjor ho rahi thi aura b kamni ghabrane lagi thi..
Jaisi hi sandhya ekagrata ke charam par pahuchi sab kuch ekdum shant ho gaya kuch nahi badla tha sab shant tha aur kamini bhi, natak khatam hone ke baad jaise nayak aur khalnayak eksath hote hai waisa hi kuch scene tha, aatma kosamay ka bandhan nahi hota hai bhautik bandhan nahi hote hai e ab saaf dikh raha tha, sandhya ke man me kamini ke liye koi nafrat nahi thi tha to sirf prem aur usi samay bhadki huyi kamini ne sandhya ki gardan pakad li aur sandhya ke sparsh se wo shant hoti chali gayi, uska sara gussa jalan sab khatam ho gaya tha
Dheere dheere kamini ki aatna sare bandhan tod kar panchtatva me vilin hote chli gayi, aur ye shayad sanket tha ke uske astitva ka koi nishan baki na rahe isiliye wo aaina bhi tut gaya aur isike sath hi anish darwaja tod kar ander dakhil hua
Anish ne aate hi sandhya ko baitha hua dekha to uske paas gaya, sandhya ne hath upar kiya aur anish ke sahare se uth kar khadi huyi, itn der padmasan ke baithne se uski pair dard kar rahe the par jab anish ne sandhya ke chehre ke khushi aur samadham ke shant bhav to dekha to wo samajh gaya ki ab sab sahi hai use uski pehle wali sandhya mil gayi hai, usne sandhya ko gale laga liya aur sandhya bhi bagair kisi darr ke uski baho me sama gayi
Fir hatho se ishara karke usne roma ko ane paas bulaya aur boli “thank you roma”
Fir achanak anish ke kuch dhyan me aaya to wo bola “yes thank you roma for not using your so called charm”
Anish ki baat sun sab muskurane lage… kafi dino baad aaj sandhya khul kar muskurayi thi
Agli subah pados wali ek bacchi sandhya ke paas aayi aur boli
“aunty hamari chat par chidiya ne gharta bana than a uske ande me se ek baby chidiya baahar aayi hai”
Jise sun sandhya muskura di
The End
Marta Amartya ki takkar, aatma dushtatma ki jalan, Raosahab ki aiyyashiya , aappasaheb ki krurata aur ant bhayankar thaSo here it is, another story ends..
waise to 4 din late hai par theek hai maine apne aap ko maaf kiya
horror mere genre nahi hai par fir bhi ye ek choti si koshish thi kuch naya likhne ki, hope pasand aaya hoga ya na bhi aaya hoga to koi baat nahi hum koshish karna thodi chhodenge..
ab aur kya bolu samajh nahi aa raha
Thank you so much to the readers
to bas yaar yahi kahani ko khatam karte hai, aur milenge nayi kahani ke sath bahut jald (jald bole to maybe isi monday se ) apne chir parichit genre romance ke sath tab tak ke liye
KHATAM, TATA, BYE BYE, GOOD BYE
chio