luv4sale696969
Active Member
- 1,303
- 1,674
- 158
Update- 8INSIDE COLLEGE CANTEEN ::
Vini ke face par gusse or shock ke mile Jule bhaav the.....gussa isliye ki uske bhaai ko Harry ne maara.......or shock is liye ki jo banda Hamesha use protect karta aaya tha.....aaj usne uske bhai ko maara wo bhi bina baat jaane.....wahi UD ki haalat buri thi......ab tak kaushal sambhal chuka tha......
Wo abhi kuch karta us se pahle hee Harry tez kadmo se UD ke pass gaya jo ki abhi Vini ke pass pada karaah raha tha.....HARRY ne apne ak haath se uski girebaan pakadi or UD ko utha kar deewaar se laga diya.....or usko maarne hee wala tha ki Vini roti hui bhaag kar aayi or usne Harry ka haath pakad liya....jab Harry ne haath pakad ne waale ko dekha.....to uska Sara gussa gaayab ho gaya or usne UD ko chhod diya......
Uska haath pakad ne wala koi or nahi Vini hee thi.....or rone ki waah se aankhe or chehra laal ho gaya tha.....uske aansu uske gore gaalo se hote hue niche gir rahe the....Vini ko rota dekh kar uska dil me bahut dard hua......use aise laga jaise kisi ne uske dil me chhura maar diya ho......or usne UD ko chhod diya.....or palat gaya.....
HARRY ka apne dushman ko iss tarah chhodna kaushal ko raas na aaya or wo aage badha or jaise hee kaushal unke kareeb jaane ko hua....HARRY ne use Rok liye or...apni finger point karte hue kaha....
HARRY- nahi....ab kuch nahi.....
Kaushal - bhaai chhod mujhe ....tu jaanta nahi is ladki ne rimi par .......or wo koshish karta he khud ko Harry se alag karne ki......per naakam rahta he.....
Harry- maine kaha na nahi......ab koi kuch nahi karega ab (ye baat usne aankhe dikhaate hue sard lathe me kahi thi) ji se kaushal or aas paas khade sab thoda darr gaye the......TAB HI kisi ne Harry ke kandho par Jor se haath rakha or uski jacket ko khichta hue....use apni aur modne ki koshish ki.....halanki ye possible nahi tha pr Harry bhi haath rakhne waale ko dekhna chahta tha.....isliye wo jhat se piche ghum gaya....saamne ak police wala khada tha.....kaafi mota sa.....tha...or uske kandho par lage star bata rahe the ki ye inspector he......or uske sath kareeb 7 8 sipaahi bhi the....
Actually Harry ke college me aane ke 5 minit baad hee police aa gayi thi....or us inspector ne jab Harry ko UD ko maarte dekha to wo samajha ki yahi gunda he....idhar rimi ne bhi apne dad ko phone kar sab bata diya tha....or uske dad bhi kisi bhi waqt aa sakte the......
Inspectors Kyo chhore college me gunda gardi karne aata he.....chaal thaane aaj thaari saari dadagiri nikaalu hu.....
HARRY- collar se haath hata......uski aankho me dekhete hue...
Ins-kya bola police pe rob jhaadta he...aankhe dikhata he.....mad*****d tujheeee....
Iss se aage wo inspector kuch bhi bol nahi paya....kyoki gaali sunkar Harry ka dimaag puri tarah satak gaya.....or usne apne right hand se ak punch puri taakat se us inspector ke dil par maara......uske baad karne ko kuch nahi bacha......wo inspector apna heart pakad kar niche baith gaya.....uski aankhe pathraa gayi......na to use saans aa raha tha.....na hee uske muh se koi aawaz nikal rahi thi......wo bas apne dil ko pakad kar niche ho raha tha...jaise ki use heart attack aaya ho.......waha maujood kisi ko bhi ye andaz a nahi tha ki aisa kuch ho jaayega....or sab ke sab is sudden reaction se dar kar piche hat gaye the......wo hawaldar bhi.....or kaushal to Harry ke power dekh kar surprised ho gaya tha....use pata tha ki harry kaafi strong he par itna strong usne socha na tha.....AK hee punch ka itna impact......
Darasal baat aisi he friends ki bahut jyada mote ya bahut jyada patle aadmi ka heart ak normal aadmi ki tulna ne kuch kamzor hote he.....or agar aise me unke heart par puri taakat se mara jaaye to unhe kuch pal ke liye( almost 5 ya 10 second ) unhe heart attack jitna dard feel hoga.....or itne hee samay ke liye wo MARANAASANN ho jaayenge.....
Update - 9UD apne kamre me baitha hua tha.....or aaj ke incident ke baare me soch raha tha....use ye samajh nahi aaya raha tha ki kaise HARRY ne use itni aasani se chhod diya......usne kaushal ko bhi Rok liya....Iske baad satish ka aana or uska saare mamle ko badi shaanti se nipatana.....use kuch azib lagta raha tha.....jab ki wo jaanta tha ki satish Vaishnav (kaushal and rimi 's father )iss shahar ka sab se bada business man hone ke sath sath ak criminal bhi he......yahi sab soch kar uske sar me dard hoga raha tha.....jab kuch samjhte nahi aaya to usne apna dimaag jhatka or kitchen me jaakar 2 cofee banaayi.....AK apne or ak Vini ke liye.....jise ki usne college se aate hee samjha bujha kar khana khilaa kar sula diya tha.......wo coffee lekar Vini ke kamre me gaya....halanki aaj hui ghatna ke kaaran thodi shikan thi uske face par....lekin phir bhi wo sote hue badi masoom lag rahi thi....
uske baalo ki ak lat uske gaal par aayi hui thi.....UD kuch der tak use hee dekhta raha......phir aage badh kar apni ak finger se us lat ko dhire se uske kaano ke piche kiya or mud gaya....abhi wo gate par hee gaya tha ki wapas ghuma .....iss pal uske dil uske dil me ak Halsham hui......or man me ak chor jaaga...........wo dabe paanv Vini ke nazdeek gaya or dhadkte dil se halka se uske gaal par ak kiss ki or phir jaldi se room se bahar nikal gaya......lekin wo ye nahi dekh saka.....ki uske aisa karte hee Vini ke face par sharm ki laali aa gayi thi.......
Or uske niklte hee wo uth kar baith gayee.......or sir niche kar ke man hee man muskuraane lagi.......
WAHI DUSRI TARAF
Harry college ka drama khatm hote hee apne flat par aa gaya tha......or wo bhi aaj ke incident ke baare me hee soch raha tha.....kyoki wo achchi tarah jaanta tha ki satish Vaishnav koi aam aadmi nahi he.....wo jitna paani ke bahar he utna hee andar bhi.....or uske criminal record ke baare me bhi wo jaanta tha......use ye to pata tha ki satish ne inspector ko sirf wanha maujood logo ke liye chhoda he...or aaj ya kal me us inspector ki dead body hee milegi.....lekin usne un dono ko Kyo chod diya......jab ki unhone to khud uske bachcho par haath uthaya tha.....to Harry ko yahi tension ho rahi thi......
Use farak nahi padta tha....ki UD rahe na rahe ya Marr jaaye....uska bas chalta to khud hee usko maar deta......lekin baat yanha UD ki nahi thi.....baat yanha yanha a uske dil....uske jigar....uske pahle pyar VINI ki thi.....or wo ye bhi jaanta tha ki bhale hee aaj SV ne kuch nahi kiya par wo kuch na kuch to jarur karega bahut jaldd.....or use isi baat ki chinta thi.....Vini ki chinta thi......
SV-AKA-SATISH KUMAR VAISHNAV-iska abhi nahi Par future me kahi role he.....ye iss shahar ke sab se bade business man he.......or kaafi saare netaao or maafiya se bhi in ka contact he.....drugs.....human organs......arms....or human trafficking me bhi in ka naam he.....halanki inke kaarnamo ki inke bivi bachcho ko bhanak tak nahi he......
BOMBAY KO LEAD KARNE WAALI 3 GANGS ME SE YE DUSRI KE CHIEF HE......
Update - 10JODHPUR CENTRAL JAIL ::
Barack no 17 ;
Sham ka samay........wese to har Barack me bas 3 ya 4 hee kaidi rakhe jaate he.....par aaj iss Barack me kareeb 8 se 10 kaidi maujood the......wo sabhi ak aadmi ke saamne baithe the......jo ki shaayad unhe kuch samjha raha tha.....
Wo shaks 30 se 35 saal ke bich tha .....chote baal.....lambi daadhi......kad kareeb 5.7" patla sa.....AK normal psych ka malik tha.....
Un me se ak bola......YUSUF bhai....pn iss kaam me bahut khtra he bhai....
YUSUF- bina khatre ke konsa kaam hota he be.......
Dusra- pn bhai jailor......
Teesra- ha bhaaai......jailor ko bhanak bhi lagi na......to sabhi waat lagna nakki he bhaaai......
YUSUF- tum log ko kon bola ki jail me itna bada kaam hone wala he or jailor ko pata nahi hoga......use ab tak bhanak to lag hee gayi hogi......
Kuch der ruk kar......
Yusuf- kya huaaaa phatt gayee naa ha ha ha ha.......Daro Mt apna pilaan ich yahi he.....ki jailor ko pata chale or wo apn ko roke........
Unme se ak- pn bhaaai woo......
Uski baat ka at kar.....
YUSUF- Abe tensan na lo......tumahar bhaai sab sambhal lega....bas tum log wo ich karna jo apun ne bola he....samajh gaye na....
Sab - ji bhai
YUSUF-TO phir abi ich kaam shuru karo......7 din he apne paas.....or aathwe 8 din ham sab iss jail se bahar honge......
To lag jaao kaam par kaam choro...... ha ha ha haa....ye baat Yusuf ne haste hue thoda tez away me sab se kahi thi......jise sunkar sab haste hue bahar chale gaye.....
Us Barack me Yusuf akele rah gaya......or apne aap se hee bola.....bas 6 din ......6 din baad mulakat hogi.....VICKY
JODHPUR CENTRAL JAIL ::
KAALKOTHARI LATE NIGHT ::
Chaaro aur ghanghor andhera chhaya hua tha .....sabhi jail me lagbhag sabhi log so rahe the.....bas unki aankhe khuli hui thi jo pahre par the....lekin need unki aankho me saaf dekhi jaa sakti thi......
Usi waqt pure jail ki sab se sunsaan jagah......janha ki din me bhi andhera rahta he.....usi ke andar aaj kuch Halchal thi......chalo dekhete he kya ho raha he wanha.......
Are ye kya andar or bahar ka scene bilkul alag.....janha bahar bilkul andhera he....wahi andar charo taraf roshni faili hui thi......aise jaise kisi ne hazaaroon led lights laga di ho.....wanha itna ujala tha.....ki ak cheeti (ANT) bhi agar zameen par chal rahi ho to sidhe khada aadmi bhi use aaram se dekh sakta he......sabkuch akdam white tha.....jab ki us kothari me na light connection tha na khidki.......hawa ke liye bas ak roshandan tha.....AK tarah se wo ak BUNKAR tha.....
Kuch aisa...
phir aise me wanha itni lights.............KAISE
Awesome description... Keep it up...
मैं वेग हूँ चँचल गंगा का
कब कोई मुझको रोक सका।
उन्मुक्त गगन का पँछी हूँ
कब कोई मुझको टोक सका।।
शेखर।
Today at 12:16 PM ReportLike− QuoteReply
Big Brother
New Member
Bhai bohot mast story hai
Today at 2:22 PM ReportLike+ QuoteReply
Pta nhi
Member
Today at 2:51 PM ReportLike− QuoteReply
King Aryan
Well-Known Member
New
Banda bairaagi said: ↑
Update- 8
INSIDE COLLEGE CANTEEN ::
Vini ke face par gusse or shock ke mile Jule bhaav the.....gussa isliye ki uske bhaai ko Harry ne maara.......or shock is liye ki jo banda Hamesha use protect karta aaya tha.....aaj usne uske bhai ko maara wo bhi bina baat jaane.....wahi UD ki haalat buri thi......ab tak kaushal sambhal chuka tha......
Wo abhi kuch karta us se pahle hee Harry tez kadmo se UD ke pass gaya jo ki abhi Vini ke pass pada karaah raha tha.....HARRY ne apne ak haath se uski girebaan pakadi or UD ko utha kar deewaar se laga diya.....or usko maarne hee wala tha ki Vini roti hui bhaag kar aayi or usne Harry ka haath pakad liya....jab Harry ne haath pakad ne waale ko dekha.....to uska Sara gussa gaayab ho gaya or usne UD ko chhod diya......
Uska haath pakad ne wala koi or nahi Vini hee thi.....or rone ki waah se aankhe or chehra laal ho gaya tha.....uske aansu uske gore gaalo se hote hue niche gir rahe the....Vini ko rota dekh kar uska dil me bahut dard hua......use aise laga jaise kisi ne uske dil me chhura maar diya ho......or usne UD ko chhod diya.....or palat gaya.....
HARRY ka apne dushman ko iss tarah chhodna kaushal ko raas na aaya or wo aage badha or jaise hee kaushal unke kareeb jaane ko hua....HARRY ne use Rok liye or...apni finger point karte hue kaha....
HARRY- nahi....ab kuch nahi.....
Kaushal - bhaai chhod mujhe ....tu jaanta nahi is ladki ne rimi par .......or wo koshish karta he khud ko Harry se alag karne ki......per naakam rahta he.....
Harry- maine kaha na nahi......ab koi kuch nahi karega ab (ye baat usne aankhe dikhaate hue sard lathe me kahi thi) ji se kaushal or aas paas khade sab thoda darr gaye the......TAB HI kisi ne Harry ke kandho par Jor se haath rakha or uski jacket ko khichta hue....use apni aur modne ki koshish ki.....halanki ye possible nahi tha pr Harry bhi haath rakhne waale ko dekhna chahta tha.....isliye wo jhat se piche ghum gaya....saamne ak police wala khada tha.....kaafi mota sa.....tha...or uske kandho par lage star bata rahe the ki ye inspector he......or uske sath kareeb 7 8 sipaahi bhi the....
Actually Harry ke college me aane ke 5 minit baad hee police aa gayi thi....or us inspector ne jab Harry ko UD ko maarte dekha to wo samajha ki yahi gunda he....idhar rimi ne bhi apne dad ko phone kar sab bata diya tha....or uske dad bhi kisi bhi waqt aa sakte the......
Inspectors Kyo chhore college me gunda gardi karne aata he.....chaal thaane aaj thaari saari dadagiri nikaalu hu.....
HARRY- collar se haath hata......uski aankho me dekhete hue...
Ins-kya bola police pe rob jhaadta he...aankhe dikhata he.....mad*****d tujheeee....
Iss se aage wo inspector kuch bhi bol nahi paya....kyoki gaali sunkar Harry ka dimaag puri tarah satak gaya.....or usne apne right hand se ak punch puri taakat se us inspector ke dil par maara......uske baad karne ko kuch nahi bacha......wo inspector apna heart pakad kar niche baith gaya.....uski aankhe pathraa gayi......na to use saans aa raha tha.....na hee uske muh se koi aawaz nikal rahi thi......wo bas apne dil ko pakad kar niche ho raha tha...jaise ki use heart attack aaya ho.......waha maujood kisi ko bhi ye andaz a nahi tha ki aisa kuch ho jaayega....or sab ke sab is sudden reaction se dar kar piche hat gaye the......wo hawaldar bhi.....or kaushal to Harry ke power dekh kar surprised ho gaya tha....use pata tha ki harry kaafi strong he par itna strong usne socha na tha.....AK hee punch ka itna impact......
Darasal baat aisi he friends ki bahut jyada mote ya bahut jyada patle aadmi ka heart ak normal aadmi ki tulna ne kuch kamzor hote he.....or agar aise me unke heart p