• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller The Revenge (Completed)

9,989
41,811
218
Apki bat se me bhi sahmat hu saiddhantik rup se...
Lekin practically kanuni rup se Vikram kuchh nahi kar payega CMS ki power ke samne, balki apne mata pita ki tarah mara jayega aur shayad lash bhi baramad na ho aur kisi ko pata bhi na chale ki koi vikram bhi tha

Lekin pahle vikram ke age pichhe koi bhi apna nahi tha... Ab situation badal gayi hai uske pas ek parivar hai patni maya aur jawan beta... Ab use jindgi ko, future ko seriously lena hoga....

Ek aur bhi smasya khadi ho sakti hai... Jaisa ki maya ne bataya ki uska beta uska humshakl hai... Agar vikram apne dushmano ko aur CMS ko khatm nahi kar paya to shayad ye sab ya inme se koi kabhi bhi uske bete ko pehchan sakte hain ya nuksan pahuncha sakte hai... Jab maya videsh jakar bas sakti hai, ... Uske dushmano ka level to aur bhi bada hai...
..... Bete ke liye bap ki maut utni dardnak nahi hogi jitni ki bap ke liye bete ki maut...
Isliye vikram ko ye badla us had tak le jana hoga jab tak ki uske bete ke liye koi khatra na rahe

Dusri bat The_InnoCent shubham bhai....
Vikram ke mata-pita kisi ped (tree) par se todkar laye gaye the kya?
Kyunki najdik na sahi dur ka koi na koi rishtedar jarur hota hai... Lekin inka koi nahi sirf in dogle dosto aur CMS ke alawa...
Ye ajeeb sa lagta hai... Jaise wo dono chhupkar jindgi ji rahe the... Apne ateet, ghar, pariwar se bhage huye

Ummeed hai kahani me naye mod padhne ko mileinge
Dudh ka dhula hua koi bhi nahi tha Kamdev bhai..Vikram ke mata pita bhi usi ped ke tahni the jis ped ke Bhatia aur Patel Sahaban bhi the. Criminal activity me shamil logon ka anjaam ya to jail hota hai ya maut. Agar police ke dwara nahi mare jayenge to Criminal log hi maar denge.

Revenge to lena hi hai lekin es tarah se le ki saanp bhi mar jaye aur lathi bhi na tute.
Jabki Vikram abhi sirf aur sirf khatro se khel raha hai.
 

The_InnoCent

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
78,939
115,551
354
आखिर माया ने बेटे के बारे में बता ही दिया....
लेकिन विक्रम के पास क्या सबूत है... शायद उसके घर के तहखाने में कुछ ऐसा है

देखते हैं कब बतायेंगे शुभम भाई
Maya ko to der sawer batana hi tha bete ke bare me. Lekin next update padhne ke baad shayad aapko bhi kuch alag samajh aaye.. :roll:
 

The_InnoCent

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
78,939
115,551
354
Gazab ki update Shubham Bhai,

Aakhir Maya ne Vikram ko apne bete ke bare me bata hi diya........aur usase ye sab khun kharab band karne ka vachan bhi manga......iska guess maine pehle bhi lagaya tha aur post bhi kya tha..........
Thanks bhai,

Lekin ab Vikram, Maya ko wo sabut dikhayega jo abt tak hum sabse bhi chhupa hua tha.......ki Vikram ke mata pita ke hatya CMS ne ki he........aur Vikram ka badla bilkul jayaj he aur suke mata pita ke qatilo ko jo saja milni chahiye wo unhe de raha he.........

Keep posting Bhai
Sahi kaha, asal vajah ko jaanne ki hi curiosity hai zyadatar, well story me ab shayad naya mod bhi aayega....
 

The_InnoCent

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
78,939
115,551
354
20 saalo ke baad pahli baar Vikram ke life me khusiya aayi.
Jiska jiwan ek kati patang ki tarah ho gaya ho..puri dharti jiske liye stranger ho gaya ho..puri dunia me akela pad gaya ho...dur dur tak roshni ki ek lau tak nahi najar aa rahi ho..jine ka koi maqshad nahi ho-------aise me use ye pata chale ki wo akela nahi hai. Ek beta bhi hai uska. Kaisa feeling hoga uss insaan ka ! Uske dil par kya beet rahi hogi !
Very Very Emotional moment for Vikram.
Totally agree :approve:
Mere liye emotion se bhare is chapter ko likhna ek chunauti jaisa tha. Well koshish ki baaki aap sab jaane :D
Maya ne jo kaha bilkul sahi kaha. Vikram ke paas abb jine ka maqshad hai. Responsibility hai .
Vikram ne sexual fantasy puri karne ke liye CMS khud join kiya tha...jurm aur sex ko khud chose kiya tha...galti uski khud ki bhi thi.
Galtiya sabse hoti hain lekin uski itni badi saza???? :roll:
Maya ki tarah main bhi chahta hu wo wapas laut aaye. Uske mata pita ki hatya aur 20 saal jail me kaid rahna kisi ke liye bhi najarandaaz kar dena aasan nahi hota. Agar ho sake to kanun ka sahara lekar apna badla pura kare aur unki saza sunishshit karwaye.
Mujhe nahi lagta vikram jaisa shakhs aisa karega :roll:
Lekin mujhe aisa bhi lagta hai ki waisa hoga nahi. Vikram khud unki saza sunishshit karega.
Dekhiye kahani ka rukh kis taraf karwat leta hai....
Bahut hi khubsurat update Shubham bhai.
Outstanding & Amazing & brilliant.
Thanks bhaiya ji :hug:
 

The_InnoCent

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
78,939
115,551
354
Dusri bat The_InnoCent shubham bhai....
Vikram ke mata-pita kisi ped (tree) par se todkar laye gaye the kya?
Kyunki najdik na sahi dur ka koi na koi rishtedar jarur hota hai... Lekin inka koi nahi sirf in dogle dosto aur CMS ke alawa...
Ye ajeeb sa lagta hai... Jaise wo dono chhupkar jindgi ji rahe the... Apne ateet, ghar, pariwar se bhage huye

Ummeed hai kahani me naye mod padhne ko mileinge
Achha laga ki aapne is baat par vichaar kiya. Sach kahu to mere zahen me bhi kafi time se yahi baat thi. Well agle kuch updates me is baare me bhi khulasa hoga :approve:
 

The_InnoCent

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
78,939
115,551
354
Update - 32
____________________




Subah dring room me rakhe sofe par baitha main chaay pi raha tha aur sath hi tv par news bhi dekhta ja raha tha. Lagbhag sabhi news channels par alag alag headlines ke sath ek hi news dikhaayi ja rahi thi. Batane ki zarurat nahi ki wo news kiski thi. Mere samne wale sofe par maya baithi huyi thi aur wo bhi chaay pite huye news dekh rahi thi. Abhi jis channel me news chal rahi thi usme anchor bade josh ke sath news sunaye ja rahi thi aur sath hi uske bagal se kuch videos bhi dikhaayi ja rahi thi jinme Sanjay bhatiya aur siraj patel ke sath sath uske kuch jaan pahchaan wale bhi dikh rahe the.

News anchor ke anusaar pichhli raat kisi agyaat kaatil ne shahar ke mash-hoor business man Sanjay bhatiya ke bete ranjan Bhatiya ki gala ret kar hatya kar di hai jiski laash police ko shahar ke baahar ek sunsaan highway ke kinaare dhalaan par mili thi. Police agyaat kaatil ko khojne me lagi huyi hai lekin usse pahle ye bhi bata de ki hapta das din pahle Sanjay bhatiya ke ghatisht mitra kahe jane wale Jeewan Saini ki bhi kisi agyaat kaatil ne hatya kar di thi aur jeewan saini ki laash inki tarah hi lawarish ki tarah police ko mili thi. Hamare sutro ke dwara pata chala hai ki ranjan ki hatya se pahle kaatil ne unke dono bachcho ko bhi kidnap kiya tha lekin baad me surakshit chhod diya. Ye hairaani ki baat hai ki kaatil ne ek pita ki berahmi se hatya to ki lekin uske bachcho ko bina koi nuksaan pahuchaaye chhod diya. Yu to police us behraham kaatil ki talash kar rahi hai lekin sabse zyada ashcharya ki baat ye hai ki na to police aur na hi mritak ke ghar wale ye jaante hain ki koi agyaat kaatil itni behrahami se unke pariwar ke do do sadasyo ki hatya kyo ki hai.?

TV par news anchor jane kya kya bole ja rahi thi aur idhar main aur maya khamoshi se chaay pi rahe the. Tabhi sahsa maya ne centre table se remote uthaya aur tv ko band kar diya. Dring room me tv ke band hote hi gahri khamoshi chha gayi.

"Kya hua?" Maine maya ki taraf dekhte huye sapaat lahje se kaha____"Tv kyo band kar diya tumne?"
"TV par news dekhne se kahi zyada important hai halaato ki gambheerta par vichaar vimarsh karna." Maya ne meri taraf dekhte huye gambheerta se kaha____"Aakhir kab tak chalega ye sab?"

"Kab tak chalega se kya matlab hai tumhara?" Maine uski taraf na-samajhne wale andaaz se dekha.

"Tum jis aag se khel rahe ho wo ek din tumhe bhi jhulsa kar raakh kar degi vikram." Maya ne kaha____"Tum achhi tarah jaante ho ki tumse kahi zyada powerful hain wo log. Abhi agar wo tum tak nahi pahuch paaye hain to iska matlab ye nahi hai ki aage bhi kabhi pahuch nahi payenge. Tumhara ye khel zyada dino tak nahi chal payega is liye mera suggestion ye hai ki is khel ko yahi par stop kar do."

"Tum hosh me to ho?" Main maya ki baato se maano gusse me cheekh hi pada_____"Ye kya bakwas kar rahi ho tum? Tum achhi tarah jaanti ho ki jab tak main un sabhi logo ko maut ke ghaat nahi utaar doonga tab tak mujhe sukoon nahi milega. Kal tak to tum bhi mere is faisle par mera sath de rahi thi fir aaj aisi baate kyo kar rahi ho?"

"Kyoki mujhe badi shiddat se ehsaas ho raha hai ki iska anjaam tumhare liye bhi bahut bura hoga." Maya ke chehre par sahsa peeda ke bhaav ubhar aaye_____"Main nahi chaahti ki tumhe kuch ho jaaye aur ek nanhi si jaan apne pita ko kho dene se yateem ho jaye."

"K...kya matlab?" Main ekdam se buri tarah chaunka_____"Y..ye kya kah rahi ho tum?"

"Tumse milte hi sab kuch bata dena chaahti thi." Maya mere paas aa kar mere bagal se baithte huye boli_____"Lekin jab mujhe ye ehsaas hua ki tum kuch aur jaanne samajhne ki mansik awastha me nahi ho to apna irada badal diya tha maine. Mujhe bhi laga ki pahle tum apne andar maujood badle ki aag ko shaant kar lo uske baad tumhe sab kuch bataaugi lekin ab jis tarah ke halaat ban gaye hain unse mujhe dar lagne laga hai. Mera hriday ab ye soch soch kar buri tarah tharra uthta hai ki agar kahi tumhe kuch ho gaya to kaise main ek bete ko uske pita se milwa paaungi? Kaise ek pita apne pyar ki nishaani ko apne kaleje se laga kar ek aseem sukh ka ehsaas kar paayega? Bas yahi soch kar main tumse ab ye kahne par majboor ho gayi hu ki is khel ko yahi par stop kar do."

Maya ki baate sun kar main ekdam se awaak rah gaya tha. Dilo dimaag me dhamaake se hone lage the. Zahen me khayaal ubhra ki main jo samajh raha hu kya wo sach hai ya fir meri buddhi me uski baat thik se fit nahi baithi hai? Maya ko shayad mere chehre par maujood bhaavo se pata chal gaya tha is liye wo haule se muskuraayi fir boli_____"Aisa nahi hai vikram ki tumhara is duniya me apna koi hai hi nahi. Hamare prem ki nishaani ke roop me hamara ek beta hai."

"K...kyaa???" Main jaise asmaan se dharti par gira____"Ye kya kah rahi ho tum maya? Hamare prem ki nishani....hamara beta?"
"Haan vikram." Maya ne mere chehre ko apni komal hatheliyo me le kar aur muskurate huye kaha_____"Hamare prem ki nishani, hamara ek beta."

"M...ma...magar kaise?" Mujhe maya ki baat par bilkul bhi yakeen nahi ho raha tha_____"Hamara koi beta kaise ho sakta hai?"

"Kyo nahi ho sakta?" Maya ne ulta sawaal kiya_____"Kya tum mard nahi the ya fir tum me bachcha paida karne ki taakat nahi thi?"

Main ashcharya se maya ko hi dekhe ja raha tha. Man me itne saare sawaal aur itne saare vichaar ek sath ubharne lage the ki main kuch bol hi nahi pa raha tha. Dilo dimaag me ajeeb tarah ki aandhi si chalne lagi thi. Kabhi ekdam se khushi ka abhaas hone lagta to kabhi ye soch kar ekdam se dil baith sa jata ki kahi maya mere sath koi chhal to nahi kar rahi hai?

"Yaad hai hamari wo aakhiri mulakaat?" Mujhe kahi khoya hua dekh maya ne mere gaal ko sahlaate huye pyar se kaha_____"Maine tumse kaha tha ki mujhe itna pyar karo ki tumhare pyar ka wo ehsaas jeewan bhar ke liye mere andar bas jaye. Mere kahne par tumne aisa hi kiya tha aur ham dono us prem me ekdam se doob gaye the. Uske baad tum chale gaye. Tumhare jane ke baad main bahut royi thi. Man kar raha tha bhaag kar tumhare paas pahuch jaau par aisa karna mumkin na tha. Badi mushkil se din guzar rahe the. Kuch hi din huye the ki mujhe tumhare mata pita ki hatya ke bare me pata chala aur ye bhi ki tumhe apne hi Mata pita ki hatya ke jurm me police pakad kar le gayi hai. Baad me ye bhi pata chala ki tumhe us sabke liye umar kaid ki saza bhi ho gayi hai. Kasam se us din mujhe aisa laga jaise mere liye saari duniya hi khatam ho gayi hai. Iske pahle tum bhale hi meri zindagi se chale gaye the lekin is baat ki tasalli to thi ki is shahar ke kisi kone me tum kahi maujood to ho lekin us saza ke baad to saari ummide aur saari khushi hi khaak me mil gayi. Man kiya ki main bhi khud kushi kar lu magar sanstha me rahte ye bhi na kar saki. Kuch din aise hi guzar gaye. Ek din mujhe ultiya huyi aur sath hi bada ajeeb sa feel hone laga. Next day chhutt ka din tha to main doctor ke paas gayi aur tab mujhe pata chala ki main pregnant hu. Pregnant ki baat sun kar mujhe itni khushi huyi ki ji kiya main us khushi se naachne lagu magar badi mushkil se maine apne jazbaato ko roka. Flat par waapas aayi to meri wo khushi ek jhatke me rafu-chakkar ho gayi. Aisa is liye kyoki mujhe ekdam se yaad aa gaya ki wo khushi kis kaam ki jise main kisi apne ke sath baant hi nahi sakti aur na hi share kar sakti hu. Sanstha ko agar is baat ka pata chal gaya to wo mere pet ki safaayi karwa degi. In sab baato ne mujhe bahut zyada pareshaan kar diya tha. Iske pahle jaha main har wakt khud khusi karne ke bare me sochti thi wahi ab ye jaan kar mere man me jeene ki lalak jaag uthi thi ki mere pet me mere pyar ki nishani maujood hai aur is liye ab main us nishaani ke sath hi khushi khushi apna jeewan guzaarugi. Soch to liya tha maine lekin ye sab yaha rahte bilkul bhi asaan nahi tha. Tab mere man me ye desh hi chhod dene ka vichaar aa gaya. Main sochne lagi ki agar main kisi tarah is desh se baahar kisi dusre desh me pahuch jaau to shayad sab kuch waisa hi ho jaye jaisa main soch rahi hu. Uske baad maine apne kuch jaan pahchaan walo se baat cheet ki. Ek mahine ke andar hi mere sare documents ban gaye. Is sabke liye maine paiso ki koi parwaah nahi ki thi. Mere is kaam me meri us dost ne bahut madad ki thi. Khair ek din main chupke se is desh se nikal gayi. Uske baad fir kabhi is desh me aane ka nahi socha. Phone par main apni dost se hi yaha ke bare me puchhti rahti thi. Khaas kar tumhare bare me pata lagaati rahti thi. Dusre desh me maine apne usi dost ki madad se ek chhota sa ghar liya aur wahi rahne lagi. Shuruaat me mujhe bahut sangharsh jhelna pada kyoki har guzarte dino ke sath mera pet badhta ja raha tha aur uske chalte mujhe kaam karne me pareshani ho rahi thi lekin main har haal me danti rahi aur fir nau mahine baad maine ek khubsurat magar nanhi si jaan ko janm diya. Doctor ne bataya ki wo nanhi si jaan ek beta hai to main ye soch kar khush ho gayi ki maine ek vikram ko khoya to upar wale ne mujhe uske roop me ek dusra vikram de diya hai jiske sath main khushi khushi apni zindagi guzaar sakti hu."

Maya ekdam se chup ho gayi to jaise main neend se jaaga. Mujhe pahli baar ehsaas hua ki ek main hi nahi tha jisne in bees saalo me dukh dene wale rang nahi dekhe the balki mere alawa maya bhi thi jisne apne prem ki nishani ko salamat rakhne ke liye na jane kis had tak guzar gayi thi. CMS jaisi sanstha ke changul se nikal kar usne dusre desh me ja kar mere bachche ko janm diya aur uski parwarish ki. Ek akeli aurat ke liye apne desh me jina kitna mushkil hota hai jabki yaha to wo dusre desh me thi. Mujhe bakhubi ehsaas ho raha tha ki usne kya kya nahi saha hoga aur kya nahi jhela hoga.

"Y...ye sab bata kar tumne mujhe bahut badi khushi di hai maya." Maine jhapat kar usko apne seene se laga liya tha. Meri aankho se khushi ke aansu bahne lage the, badi mushkil se mere mukh se alfaaz nikle_____"Main soch bhi nahi sakta tha ki mere jiwan me kabhi koi aisa bhi wakt aayega jo mujhe is tarah se chakit kar ke khush kar dega."

"Ye is srishti ka niyam hai vikram." Maya ne meri peeth sahlaate huye kaha____"Ki koi bhi cheez hamesha ke liye nahi hoti. Aaj agar hame kisi baat ka dukh hai to uske baad ek din hame kisi baat se khushi bhi milegi. Upar wala sabka hisaab rakhta hai. Wo sabko dekhta hai. Ye usi ki maya hai jaan. Wo chaahta tha ki ham dono ko jitne dukh mile hain uske baad hame khushiya bhi milni chahiye."

"K..kaha hai mera beta?" Maine kaampte swar me usse lipte huye hi puchha____"Kaisa hai wo? Kaisa dikhta hai? Mujhe use dekhna hai maya. Please mujhe use dikha do. Main apne bete ko dekhna chahta hu. Mere kaan kisi bachche ke mukh se apne liye papa ya dady sunne ke liye taras rahe hain. Maya, mujhe bataao na ki kaha hai mera beta?"

"Wo jaha bhi hai sakushal hai vikram." Maya ne mujhe jor se apne seene se chhupkate huye kaha_____"Ab to kafi bada ho gaya hai wo aur pata hai ekdam tumhari tarah hi dikhta hai. Uski shaklo surat hubahu tumhari hi tarah hai aur tumhari hi tarah sharmila bhi."

Maya ke mukh se ye sun kar mera dil aur bhi joro se dhadakne laga. Mera dil kar raha tha ki sahsa koi aisa chamatkaar ho jaye jisse ki main palak jhapakte hi apne bete ke paas pahuch jaau. Main ye bhool gaya tha ki aaj ke samay me main kis tarah ke kaam me laga hua hu aur mere dushman kaun hain. Mere dil me to bas ab ek hi hasrat maano ubaal maar rahi thi ki mera beta kaha hai aur mujhe palak jhapakte hi use dekhna hai.

"Kya...kya tum sach kah rahi ho maya?" Maya se alag ho kar maine aansu bhari aankho se use dekhte huye puchha____"Kya sach me mera beta meri tarah dikhta hai?"

"Haan vikram." Maya ne fir se mere chehre ko apni komal hatheliyo me le liya aur pyaar se boli_____"Wo hubahu tumhari tarah hi dikhta hai. Tum apne jawaani ke dino ko yaad karo. Jaise tum apni jawaani me dikhte the waise hi aaj tumhara beta dikhta hai."

"Kya itna bada ho gaya hai wo?" Maine ashcharya se aankhe faila kar uski taraf dekha.
"Aur nahi to kya?" Maya halke se hansi_____"Kya abhi bhi wo nanha sa bachcha hi rahega? Are buddhu wo pure bees saal ka ho gaya hai. Tumhari hi tarah sundar aur jawaan."

Maya ki baat sun kar mujhse kuch bola na gaya. Sach to ye tha ki mujhe kuch samajh me hi nahi aa raha tha ki main ab kya bolu? Kaha iske pahle mere man me apne bete ki nanhi si chhavi ubhar aayi thi aur kaha ab ek jawaan ladke ki chhavi ubharne lagi thi. Maya ke anusaar wo meri tarah hi dikhta hai, ye soch kar main aankhe band kar ke apne jawaani ke dino ko yaad karne laga. Main yaad karne laga ki jab main bees saal ka tha to kaisa dikhta tha. Mujhe yaad karne me zyada time nahi laga. Ekdam se meri band palko me main bees saal ka jawaani ki dahleej par kadam rakhne wala ladka nazar aane laga. Khud ko bees saal ke ladke ke roop me dekh kar mere hotho par gahri muskaan ubhar aayi aur sath hi mera dil ek alag hi tarah ke ehsaas se romanchit ho utha.

"Kya hua kaha kho gaye?" Maya ne mere kandho ko pakad kar halke se jhinjhoda to main ekdam se chaunk pada aur jhat se apni aankhe khol kar uski taraf dekha.

"Main aankhe band kar ke ye dekh raha tha ki main jab bees saal ka tha to kaisa dikhta tha." Maine maya se bhaav vibhor ho kar kaha_____"Aur ab main dekh chuka hu maya. Main dekh chuka hu ki mera beta kaisa dikhta hoga. Oh maya main tumhara kin shabdo me shukriya ada karu? Tumne itni badi khushi de kar mujhe apna mureed bana liya hai. Aaj main bahut khush hu, aaj tum mujhse meri jaan bhi maang lo to main khushi se de doonga."

"Kya tum sach me is khushi me mujhe kuch dena chaahte ho?" Maya ne meri aankho me dekhte huye puchha.
"Haan maya." Main khushi se jhoomte huye bola_____"Aaj tum mujhse kuch bhi maang lo. Main apni jaan de kar bhi tumhari maang ko pura karunga."

"Agar tum sach me mere maangne par mujhe kuch bhi de sakte ho to thik hai." Maya ne kaha____"Main tumse yahi maangti hu ki mere bete ke pita ko sahi salaamat mujhe saump do. Mere bete ka pita jis aag se khel raha hai us aag se wo khelna band kar de."

"Ye...ye kya kah rahi ho maya?" Mujhe uski baato se zabardast jhatka laga____"Ye tum kya maang rahi ho mujhse? Nahi nahi, main aisa nahi kar sakta. Main apne maa baap ke kaatilo ko zinda nahi chhod sakta."

"Chaahe bhale hi iske liye mere bete ko apne pita ko kho dena pade...haan?" Maya ajeeb bhaav se meri aankho me dekhte huye aawesh me bol padi_____"Jo beta bees saalo se apne pita ki surat dekhne ke liye taras raha hai usse ja kar kah du ki wo ab saari zindagi apne pita ki surat dekhne ke liye tarasta hi rahega. Kyoki uska pita apne bete se kahi zyada apne dushmano ko khatm kar dene ko hi importance deta hai. Agar aisa hi hai to thik hai, tum wahi karo jisme tumhe sukoon mile. Main tumhare bete ko phone kar ke bata dugi ki jis pita ki tasveer me wo puja karta hai us pita ko uski koi parwaah nahi hai."

"Nahi nahi..!" Main ekdam se ghabra kar cheekh pada_____"Nahi aisa mat kaho maya. Mujhe apne bete ki parwaah hai. Pahli baar is dil me kisi ke liye bepanaah chaahat paida huyi hai. Pahli baar ehsaas hua hai ki is jaalim duniya me mera bhi koi aisa hai jisse mera khoon ka rishta hai. Tum ye kaise kah sakti ho ki mujhe apne bete ki parwaah nahi hai?"

"Agar parwaah hoti to tum mere kahe anusaar is aag me khelne se mana kar dete." Maya ne kaha_____"Magar nahi, tumhare dil me to bas ek hi khwaaish hai aur wo hai apne mata pita ke kaatilo ko khatm karna. Main puchhti hu ki kya saboot hai tumhare paas ki wo log hi tumhare mata pita ke kaatil hain?"

"To kya tum ye sochti ho ki main bewajah hi un logo ko khatam karne par tula hua hu?" Maine maya ki taraf hairaani se dekhte huye kaha_____"Main pagal nahi hu maya jiske dimaag me bas logo ki hatya karne ka hi junoon sawaar hai."

"To fir bataao ki kya saboot hai tumhare paas ki un logo ne hi tumhare mata pita ki hatya ki thi?" Maya ne dridhta se puchha.
"Mere muh se jaanne se behtar hai ki tum wo saboot apni aankho se dekh lo." Maine uski aankho me dekhte huye kaha____"Tabhi shayad tumhe yakeen hoga ki main bewajah hi is aag se nahi khel raha hu."

Maya meri baat sun kar meri taraf dekhti rah gayi. Uske chehre par kayi tarah ke bhaav aate jate nazar aa rahe the. Idhar maine man hi man faisla kar liya tha ki ab aage mujhe kya karna hai.


✤༺༻✤
Update - 33
____________________





Door bell ki awaaz ne gahan sannate me wagle aur savitri ke kaano ko jhanjhana diya jisse dono hi buri tarah uchhal pade. Hadbada kar dono hi uthe. Pahle to dono ko hi samajh na aaya ki raat ke is wakt kaun ho sakta hai lekin agle hi pal wo ye dekh kar chaunke ki is wakt raat ka samay nahi balki din ka samay hai. Yaani subah ho chuki hai. Kamre ki khidki se dhoop ka abhaas ho raha tha.

"Kamaal hai." Wagle chakit bhaav se savitri ki taraf dekhte huye bola____"Itni jaldi subah ho gayi?"

"Aisa aapko lagta hai." Savitri ne halke se muskura kar kaha____"Jabki subah to apne samay par hi huyi hai. Asal me ham dono vikram singh ki diary padhne me itna zyada kho gaye the ki hame raat ke guzar jane ka pata hi nahi chala aur ashcharya ki baat ye bhi hai ki ham dono ko hi neend nahi aayi."

"Khair, dekho lagta hai bahadur hai baahar." Wagle ne kaha aur vikram singh ki diary ko band kar ke apne suitcase me rakh diya. Idhar uske kahne par savitri sir hila kar kamre se baahar nikal gayi.

Subah ke saadhe aath baj rahe the. Wagle aur savitri dring room me baithe chaya pi rahe the. Ghar ka naukar bahadur baahar lawn me foolo ko paani de raha tha. Wagle ka swasthya ab kaafi behtar ho gaya tha is liye wo aaj apni duty par jana chaahta tha lekin savitri ne use ye kah kar jane se mana kar diya tha ki kal somwar ka din shubh hai is liye kal se jaiyega.

"Kya aapne socha tha ki vikram singh ke jiwan me kabhi aisa bhi koi din aayega jab use ye pata chalega ki is duniya me uska bhi koi apna hoga?" Savitri ne chaay ki ek chuski le kar kaha____"Waise sach kahu to mujhe uske liye ye sab jaan kar bahut achha laga. Puri jawaani uski jail me guzar gayi aur jail se riha hone ke baad jis raah par wo chal pada tha usse yakinan uski zindagi ka koi thikana nahi tha."

"Usne apni zindagi me sirf ek hi galat faisla liya tha." Wagle ne sochne wale andaz se kaha_____"Aur wo tha cms jaisi sanstha ko join karna par isme bhi shayad uski zyada galti nahi thi. Kyoki jis umar me wo tha us umar me aksar ladke aisi galat raah par chal padte hain. Vikram bachpan se hi ek sharmila ladka tha aur baaki ladko ko dekh kar uske man me bhi unki tarah hi mauj masti karne ki khwaaish prabal hoti ja rahi thi. Aise me agar kahi se use mauj masti karne ka itna bada mauka mil raha tha to wo kaise inkaar kar sakta tha? Halaaki usne sanstha me rahne ke baad uske nuksaan aur khatre ke bare me socha to tha lekin use zara bhi ummid nahi thi ki aane wale samay me sach much is tarah ka kuch ho jaayega. Ham insaano ki fitrat badi vichitra hoti hai savitri. Ham dusro ke bare me galat sochne me kisi bhi had tak ja sakte hain aur iske liye hame zara bhi afsos nahi hota aur na hi ham ye sochte hain ki ye kitna galat hai. Lekin waisi hi koi cheez jab khud hamare sath hoti hai to ham use bardaast nahi kar paate. Vikram ke sath bhi kadaachit yahi sthiti thi."

"Wo sirf sach jaanna chaahta tha." Savitri ne kaha_____"Use nahi pata tha ki sach jaanne ke liye wo jis tarah se unke pichhe pad gaya tha usse use bhaari kimat chukaani pad jayegi. Ghar pahucha to use apne mata pita ki laashe dekhni padi aur itna hi nahi unke khoon ke ilzaam me use fans jana pada aur fir use umar kaid ki saza bhi ho gayi. Wakt ne use na to kuch sochne ka samay diya tha aur na hi kuch karne ka. Agar Sanjay aur uske baaki dost is sabke baad usse milne jail jate ya usse sahanubhuti rakhte to shayad aaj vikram aisi raah par na chalta, kyoki uske zahan me aise vichaar aate hi nahi ki use kisi saazish ke tahat apne hi Mata pita ke khoon ke ilzaam me hatyara bana kar fansaya gaya hai. Waise uski diary ke anusar mere man me bhi yahi sawaal hai ki kya sach me use fansaya gaya tha aur kya sach me uske mata pita ke kaatil Sanjay aur uske baaki dost hi hain?"

"Kuch kah nahi sakte savitri." Wagle ne gahri saans le kar kaha_____"Diary me abhi tak hamne yahi padha hai ki Sanjay aur uske baaki dost is baat se inkaar hi karte aaye hain. Unke anusaar ye sab cms ki vajah se hua tha lekin vikram ko shayad sach pata hai aur shayad isi liye wo maya ke kahne par bhi un logo ko baksne par raaji nahi hai."

"Kya sach me maya ka koi aisa bachcha ho sakta hai jo vikram ka khoon ho?" Savitri ne wagle ki taraf dekha____"Kahi aisa to nahi ki maya bachche ka chapter suna kar vikram ko wo sab karne se rok rahi ho?"

"Kya tum ye soch rahi ho ki maya aaj bhi cms ki member hai?" Wagle ke chehre par ajeeb se bhaav ubhar aaye the____"Aur wo ye sab cms ke chief ke kahne par kar rahi hai?"

"Nahi main aisa nahi sochti." Savitri ne kaha_____"Maya present me cms ki member ho hi nahi sakti aur agar hoti bhi to wo cms ke kahne par shuru me hi vikram ko cms ke hath lagwa deti. Mere kahne ka sirf ye matlab hai ki usne bachche wala chapter vikram ko sirf isi liye sunaya hoga taaki vikram jazbaato me aa kar kamjor pad jaye aur wo ye khooni khel khelna chhod de. Uske baad zaahir hai maya use le kar kahi bhi ja sakti hai aur dono itne bhi buddhe nahi huye hain ki is umar me bachcha na paida kar sake. Maya sach me vikram se prem karti hai to wo yahi to chahegi ki uska premi uske paas sahi salamat rahe aur uska ek khush-haal pariwar bane."

"Ye sab to thik hai." Wagle ne sochne wale bhaav se kaha____"Lekin tumhari hi baato se achanak mere zahen me ek alag hi vichaar paida ho gaya hai."

"Kaisa vichaar?" Savitri ne puchha.
"Yahi ki maya cms ki member ho bhi sakti hai." Wagle ne ye kah kar maano dhamaka sa kiya_____"Uske dwara vikram ko apne bachche wala chapter sunaya jana kisi khaas plan ka hissa ho sakta hai."

"Y...ye kya kah rahe hain aap?" Savitri ke chehre par sahsa ashcharya taandav karta nazar aaya_____"Kya aisa bhi ho sakta hai...magar kaise?"

"Main ye nahi kah raha ki present me maya sach me hi cms ki member ho sakti hai." Wagle ne samjhane wale andaz me kaha_____"Main sirf possibility ki baat kar raha hu ki aisa ho bhi sakta hai. Yaad karo maya ki is kahani me tabhi entry huyi jab vikram ne maut ka khel khelna shuru kar diya tha jabki uske pahle wo jail se riha hone ke baad kareeb ek mahine tak khamosh raha tha. Maya ne bataya tha ki wo hamesha vikram ke bare me apni ek khaas dost anita se pata karti rahi thi. To sawaal hai ki kya use usi samay vikram ki rihaayi ka pata nahi chala hoga aur agar chala hoga to wo usi samay vikram se kyo nahi mili? Vikram jab apne viraan pade bangle par pahucha tha usi samay maya bhi wahi pahuch gayi thi. Use itna yakeen kaise tha ki vikram itni khatrnaak situation me bhi apne us sunsaan pade bangle par maujood hoga? Dusri baat chalo maan liya ki use kisi tarah is baat ka ehsaas hua hoga lekin bangle ke mukya darwaze se andar aane ka jokhim kaise utha liya tha usne? Kya use is baat ka zara bhi dar nahi tha ki bees saal se viraan pade bangle me direct mukhya darwaze se enter karna behad khatarnaak ho sakta hai? Agar in baato par dhyaan diya jaye to maya par sandeh paida ho jata hai. Vikram ke us bangle par raat ke wakt itni nidarta se direct mukhya darwaze se andar jane ka kaam wahi kar sakta hai jise kisi ka bhi dar na ho. Agar maya ko kisi ka bhi dar nahi tha to zaahir hai ki wo cms ki aaj bhi member ho sakti hai warna wo bhi vikram ki tarah hi bangle ke andar jane ka koi alag raasta akhtiyaar karti."

Wagle ki baate sun kar savitri se kuch kahte na ban pada. Dilo dimaag me ekdam se aandhiya si chalne lagi thi. Zahen me dhamake se ho rahe the. Fir kisi tarah usne khud ko samhaala.

"Kya sach me aisa ho sakta hai?" Savitri ke chehre par ashcharya aur avidhwaas ke bhaav abhi bhi maujood the____"Agar aisa sach me hua to vikram ke liye bahut bada khatra khud maya hi hai."

"Aisa ho bhi sakta hai aur nahi bhi." Wagle ne halke se muskurate huye kaha____"Aisi situation me ham police walo ko har angel se sochne ki buri aadat hoti hai. Khair, ab sawaal ye hai ki agar sach me maya cms ki member hai to usne abhi tak vikram ko cms ke hath kyo nahi lagwaya? Mere khayaal se iska yahi jawaab ho sakta hai ki usne cms ke chief ko ittala to kar di hogi lekin cms ne use vikram par nigraani rakhne ke liye kah rakha hoga."

"Main kuch samjhi nahi." Savitri jaise chakra gayi thi, boli_____"Aakhir aisa karne ke pichhe cms jaisi sanstha ki kya vajah ho sakti hai?"

"Koi badi chaal ho sakti hai." Wagle ne sochne wale andaz me kaha_____"Ho sakta hai ki cms khud ye chaahti ho ki vikram ek ek kar ke Sanjay aur uske baaki sabhi dosto ka safaya kar de...yaha tak ki unki families ka bhi. Zaahir hai vikram ke dwara aisa kiye jane ki khabar cms apne agents dwara rakhti hogi. Vikram jab sabko khatm kar dega to cms ya to khud use ek jhatke me khatm kar degi ya fir police ko pakadwa degi. Vikram naam ka bhayankar khatra ek baar fir se cms jaisi sanstha se door ho jayega."

"Agar ye sab baate waakayi me sach huyi to vikram to gaya kaam se." Savitri ke chehre par aise bhaav ubhar aaye the jaise khatre ka abhaas use khud ke liye ho raha ho_____"Aise me to vikram ne jis minakshi ko kaid kar rakha hai maya usse bhi mili huyi ho sakti hai. Aakhir wo bhi to cms ki sadasya hai?"

"Mujhe aisa nahi lagta." Wagle ne kaha_____"Balki mujhe to aisa prateet ho raha hai jaise cms ka mukhya uddeshya Sanjay aur uski family ke sabhi members ko khatm karna hai. Aisa is liye kyoki in logo ki vajah se shuru se hi sanstha ka vajood khatre me raha hai. Halaaki vikram ke jail jane ke baad bees saalo tak shaanti rahi hogi lekin vikram ke waapas aa jane se ek baar fir se cms ke vajood par khatra paida ho gaya hai. Is sabko dekhte huye sanstha ne soch liya hoga ki un logo ko hi khatm karwa diya jaye jisse hamesha ke liye uske vajood par madraane wala ye khatra hi mit jaye. Ab kyoki minakshi bhi unke pariwar ki hi sadasya hai is liye cms use bhi apne raaste se hatana hi behtar samjhegi."

"Aapne to ek jhatke me is kisse ko ulat kar rakh diya." Savitri badi hairaani se wagle ko dekhte huye boli_____"Itna deeply main soch hi nahi sakti thi."

"Ye sab sirf possibility ki baate hain dear." Wagle ne muskura kar kaha____"Zaruri nahi ki yahi sach ho balki sach wo bhi ho sakta hai jo hamne vikram singh ki diary padha hai. Ham ye bhi to nahi bhool sakte ki ye sab hame vikram singh dwara likhi diary ke dwara hi pata chala hai. Diary Vikram singh ne bheji hai to zaahir hai ki wo jaha bhi hai abhi bhi sahi salamat hai."

"Main dua karti hu ki wahi sach ho jo vikram ne apni diary me likha hai." Savitri ne kaha_____"Pata nahi kyo par main dil se chaahti hu ki us nirdosh byakti ko apne jeewan ke is aakhiri padaav par khushiya hi khushiya naseeb ho jaaye."

"Kya baat hai." Wagle ki muskaan gahri ho gayi_____"Vikram ke liye itni badi chaahat aur dua?"

"Haan kyo nahi." Savitri bhi muskuraayi____"Aakhir uski vajah se hi to hamare jeewan me bhi khushiya aayi hain. Ye mat bhuliye ki usne aapko apne bade bhai ka darza diya hai to is naate wo mera devar hua. Ab main itni bhi to swarthi nahi ho sakti ki jis devar ki vajah se hamare jeewan me khushiyo ke rang bhar gaye hain use khush rahne ki dua bhi na du."

"Aree bilkul dua do bhagyawan." Wagle ne halke se haste huye kaha____"Isme koi shak nahi hai ki hamare bich ye jo khushiya aayi hain ye usi ki vajah se aayi hain. Main khud bhi upar wale se yahi prarthna karta hu ki wo jaha bhi rahe khush rahe, salamat rahe."

Wagle ki baat sun kar savitri muskurati hui uthi aur wagle ka bhi khaali cup le kar kitchen ki taraf badh gayi. Uske jane ke baad wagle bhi sofe se uth kar baahar nikal gaya. Aaj mausam kaafi suhana nazar aa raha tha. Wagle lawn me ja kar bahadur se kuch baate karne laga. Idhar savitri kitchen me dopahar ka khana banane me lag gayi thi.

Kisi tarah wakt guzra aur lunch karne ke baad savitri aur wagle ek baar fir se apne kamre me aa gaye. Bed par pahuchte hi wagle ne suitcase se vikram singh ki diary nikaali aur dono ne wahi se use padhna shuru kiya jaha par chhoda tha.

[][][][][][]

Sara din maya ke sath main kamre me hi raha. Usse aaj dher saari baate ki thi maine. Usne mujhe apne un bees saalo ka saara kissa sunaya jo mujhse bichhadne ke baad uske sath hua tha ya fir ye kahe ki usne in bees saalo me kiya tha. Samay ki koi kami nahi thi is liye uske puchhne par maine bhi use wo sab kuch bataya jo maine bees saal jail me rah kar jhela tha. Maine use ye nahi bataya ki present me main gaziabad me kiraaye se ek kamra le kar rahta hu aur waha maine kya gul khilaya hai.

Mere kahne par maya ne apni dost anita ko bula liya tha. Maine apna aur maya ka makeup kar ke apne huliye ko thoda change kar liya tha taaki hame koi pahchaan na sake. Is baar maine ek shooted booted business man ka huliya banaya tha. Iske pahle main saath saal ke buddhe ke makeup me shahar ka chakkar lagata tha ya ye kahe ki crime karne ke liye nikalta tha. Khair ham dono flat se baahar aaye aur flat ko lock kar niche aa gaye.

Anita car ki driving sheet par baith gayi thi jabki main aur maya pichhli sheet par. Anita ne car drive karne ke liye mujhe kaha lekin maine mana kar diya aur usi ko drive karne ke liye kaha taaki agar kahi par police checking ke liye hame roke to koi problem na ho sake. Anita meri baat samajh gayi thi.

Kareeb aadhe ghante me ham log apne gantavya par pahuche. Car ke andar hi maine fatafat apna huliya change kiya aur fir aas paas ka muaayna karne ke baad car se utar kar apne bangle ki taraf jane wali gali ki taraf badh chala.

Asmaan me kahi par bhi chaand nahi dikh raha tha jiski vajah se andhera to tha lekin street lights ki roshni zarur faili huyi thi. Main ek bhikhaari ka bhesh banaye kuch hi der me apne bangle ke paas pahuch gaya. Raat ke saadhe das baj rahe the aur is time yaha par aawa jaahi thoda kam ho gayi thi. Maine ek baar fir se aas paas ka muaayna kiya aur bangle ke us hisse ki taraf diwaar faand kar badh chala jis taraf mere kamre ki khidki thi. Rassi ko khidki ke baahar dikh rahi balcony par uchhala to wo do teen baar ke prayaas me sahi jagah par fans gayi. Uske baad main fauran hi rassi ke sahare upar pahuch gaya.

Kamre me aa kar maine kuch der apni ukhdi huyi saanso ko durust kiya aur fir torch le kar kamre se baahar nikal gaya. Andar bangle me gahan andhere ke sath gahan sannata bhi pasra hua tha. Main jaldi hi seedhiyo se niche aa kar apne mata pita ke kamre ki taraf badh chala.

Torch ki roshni me main kuch hi der me niche tahkhane par pahuch gaya. Keel jaisi dikhne wali us button ko maine halke se push kiya to diwar ke beecho beech ek darwaza ban gaya. Main jaldi se andar kamre me daakhil hua aur us kamre me rakhe do boxes me se ek box ko utha kar uske niche se box ki chaabhi nikaali. Us chaabhi se maine box par lage taale ko khola.

Jaisa ki maine pahle bhi bataya tha ki un dono boxes me kya tha. Abhi jis box ko maine khola usme laal kapda tha aur uske niche plastic ki moti panni aur fir uske niche noto ki gaddiya rakhi huyi thi. Box ke andar do partition the jiske ek part me noto ki gaddiya thi aur dusre me files aur kuch kagjaat the. Maine un kagjaato ko ek ek kar ke khol kar dekha aur fir ek file ko baahar nikaal kar apne bag me daal liya.

Box ko band kar ke maine usme taala lagaya aur fir chaabhi ko box ke niche pahle ki tarah hi rakh kar kamre se baahar aa gaya. Keelnuma button ko push kiya to darwaza band ho gaya. Uske baad main tahkhane se baahar aa gaya. Kamre se nikal kar kuch hi samay me main apne kamre ki khidki se baahar nikal kar rassi ke dwara bangle se baahar aa gaya.

Rassi ko waapas kheench kar maine bag me daala aur fir aas paas ka muaayne karne ke baad bangle se door hota chala gaya. Kuch hi der me main us jagah par pahuch gaya jaha par Anita ki car khadi huyi thi. Car me baithte hi sabse pahle maine apne huliye ko pahle jaisa banaya aur fir ham log waapas karol bagh ki taraf nikal gaye.

Raaste me maya ne mujhse puchha ki bangle me aisa kya tha jiske liye main aisi khatarnaak situation me bhi waha gaya tha. Uske puchhne par maine usse kaha ki flat par pahuch kar tasalli se use sab kuch bataauga.

Kareeb aadhe ghante baad ham sab karol bagh me sthit Anita ke flat par pahuch gaye. Anita ham dono ko niche utaar kar ye kah kar waapas chali gayi ki uska ghar pahuchna zaruri hai. Hamne bhi use rokne ke liye zyada zor nahi diya. Uske jane ke baad main aur maya upar flat me aa gaye. Andar aate hi maine maya ko chaay banane ko kaha aur khud apna make-up utaarne laga.



✤༺༻✤
 
Last edited:

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,615
34,954
219
Vikram aur savitri dring room me baithe chaya pi
Edit plz The_InnoCent dear
yahan vikram nahi wagle hai
maya ki is kahani me tabhi entry huyi jab vikram ne maut ka khel khelna shuru kar diya tha jabki uske pahle wo jail se riha hone ke baad kareeb ek mahine tak khamosh raha tha. Maya ne bataya tha ki wo hamesha vikram ke bare me apni ek khaas dost anita se pata karti rahi thi. To sawaal hai ki kya use usi samay vikram ki rihaayi ka pata nahi chala hoga aur agar chala hoga to wo usi samay vikram se kyo nahi mili? Vikram jab apne viraan pade bangle par pahucha tha usi samay maya bhi wahi pahuch gayi thi. Use itna yakeen kaise tha ki vikram itni khatrnaak situation me bhi apne us sunsaan pade bangle par maujood hoga? Dusri baat chalo maan liya ki use kisi tarah is baat ka ehsaas hua hoga lekin bangle ke mukya darwaze se andar aane ka jokhim kaise utha liya tha usne? Kya use is baat ka zara bhi dar nahi tha ki bees saal se viraan pade bangle me direct mukhya darwaze se enter karna behad khatarnaak ho sakta hai? Agar in baato par dhyaan diya jaye to maya par sandeh paida ho jata hai. Vikram ke us bangle par raat ke wakt itni nidarta se direct mukhya darwaze se andar jane ka kaam wahi kar sakta hai jise kisi ka bhi dar na ho. Agar maya ko kisi ka bhi dar nahi tha to zaahir hai ki wo cms ki aaj bhi member ho sakti hai warna wo bhi vikram ki tarah hi bangle ke andar jane ka koi alag raasta akhtiyaar karti."
Ye theory bhi logical hai... Lekin fir anita bhi cms ki hi planted hai

Ab dekhte hain is file me kya hai
 

parkas

Well-Known Member
26,910
60,072
303
Update - 33
____________________





Door bell ki awaaz ne gahan sannate me wagle aur savitri ke kaano ko jhanjhana diya jisse dono hi buri tarah uchhal pade. Hadbada kar dono hi uthe. Pahle to dono ko hi samajh na aaya ki raat ke is wakt kaun ho sakta hai lekin agle hi pal wo ye dekh kar chaunke ki is wakt raat ka samay nahi balki din ka samay hai. Yaani subah ho chuki hai. Kamre ki khidki se dhoop ka abhaas ho raha tha.

"Kamaal hai." Wagle chakit bhaav se savitri ki taraf dekhte huye bola____"Itni jaldi subah ho gayi?"

"Aisa aapko lagta hai." Savitri ne halke se muskura kar kaha____"Jabki subah to apne samay par hi huyi hai. Asal me ham dono vikram singh ki diary padhne me itna zyada kho gaye the ki hame raat ke guzar jane ka pata hi nahi chala aur ashcharya ki baat ye bhi hai ki ham dono ko hi neend nahi aayi."

"Khair, dekho lagta hai bahadur hai baahar." Wagle ne kaha aur vikram singh ki diary ko band kar ke apne suitcase me rakh diya. Idhar uske kahne par savitri sir hila kar kamre se baahar nikal gayi.

Subah ke saadhe aath baj rahe the. Vikram aur savitri dring room me baithe chaya pi rahe the. Ghar ka naukar bahadur baahar lawn me foolo ko paani de raha tha. Wagle ka swasthya ab kaafi behtar ho gaya tha is liye wo aaj apni duty par jana chaahta tha lekin savitri ne use ye kah kar jane se mana kar diya tha ki kal somwar ka din shubh hai is liye kal se jaiyega.

"Kya aapne socha tha ki vikram singh ke jiwan me kabhi aisa bhi koi din aayega jab use ye pata chalega ki is duniya me uska bhi koi apna hoga?" Savitri ne chaay ki ek chuski le kar kaha____"Waise sach kahu to mujhe uske liye ye sab jaan kar bahut achha laga. Puri jawaani uski jail me guzar gayi aur jail se riha hone ke baad jis raah par wo chal pada tha usse yakinan uski zindagi ka koi thikana nahi tha."

"Usne apni zindagi me sirf ek hi galat faisla liya tha." Wagle ne sochne wale andaz se kaha_____"Aur wo tha cms jaisi sanstha ko join karna par isme bhi shayad uski zyada galti nahi thi. Kyoki jis umar me wo tha us umar me aksar ladke aisi galat raah par chal padte hain. Vikram bachpan se hi ek sharmila ladka tha aur baaki ladko ko dekh kar uske man me bhi unki tarah hi mauj masti karne ki khwaaish prabal hoti ja rahi thi. Aise me agar kahi se use mauj masti karne ka itna bada mauka mil raha tha to wo kaise inkaar kar sakta tha? Halaaki usne sanstha me rahne ke baad uske nuksaan aur khatre ke bare me socha to tha lekin use zara bhi ummid nahi thi ki aane wale samay me sach much is tarah ka kuch ho jaayega. Ham insaano ki fitrat badi vichitra hoti hai savitri. Ham dusro ke bare me galat sochne me kisi bhi had tak ja sakte hain aur iske liye hame zara bhi afsos nahi hota aur na hi ham ye sochte hain ki ye kitna galat hai. Lekin waisi hi koi cheez jab khud hamare sath hoti hai to ham use bardaast nahi kar paate. Vikram ke sath bhi kadaachit yahi sthiti thi."

"Wo sirf sach jaanna chaahta tha." Savitri ne kaha_____"Use nahi pata tha ki sach jaanne ke liye wo jis tarah se unke pichhe pad gaya tha usse use bhaari kimat chukaani pad jayegi. Ghar pahucha to use apne mata pita ki laashe dekhni padi aur itna hi nahi unke khoon ke ilzaam me use fans jana pada aur fir use umar kaid ki saza bhi ho gayi. Wakt ne use na to kuch sochne ka samay diya tha aur na hi kuch karne ka. Agar Sanjay aur uske baaki dost is sabke baad usse milne jail jate ya usse sahanubhuti rakhte to shayad aaj vikram aisi raah par na chalta, kyoki uske zahan me aise vichaar aate hi nahi ki use kisi saazish ke tahat apne hi Mata pita ke khoon ke ilzaam me hatyara bana kar fansaya gaya hai. Waise uski diary ke anusar mere man me bhi yahi sawaal hai ki kya sach me use fansaya gaya tha aur kya sach me uske mata pita ke kaatil Sanjay aur uske baaki dost hi hain?"

"Kuch kah nahi sakte savitri." Wagle ne gahri saans le kar kaha_____"Diary me abhi tak hamne yahi padha hai ki Sanjay aur uske baaki dost is baat se inkaar hi karte aaye hain. Unke anusaar ye sab cms ki vajah se hua tha lekin vikram ko shayad sach pata hai aur shayad isi liye wo maya ke kahne par bhi un logo ko baksne par raaji nahi hai."

"Kya sach me maya ka koi aisa bachcha ho sakta hai jo vikram ka khoon ho?" Savitri ne wagle ki taraf dekha____"Kahi aisa to nahi ki maya bachche ka chapter suna kar vikram ko wo sab karne se rok rahi ho?"

"Kya tum ye soch rahi ho ki maya aaj bhi cms ki member hai?" Wagle ke chehre par ajeeb se bhaav ubhar aaye the____"Aur wo ye sab cms ke chief ke kahne par kar rahi hai?"

"Nahi main aisa nahi sochti." Savitri ne kaha_____"Maya present me cms ki member ho hi nahi sakti aur agar hoti bhi to wo cms ke kahne par shuru me hi vikram ko cms ke hath lagwa deti. Mere kahne ka sirf ye matlab hai ki usne bachche wala chapter vikram ko sirf isi liye sunaya hoga taaki vikram jazbaato me aa kar kamjor pad jaye aur wo ye khooni khel khelna chhod de. Uske baad zaahir hai maya use le kar kahi bhi ja sakti hai aur dono itne bhi buddhe nahi huye hain ki is umar me bachcha na paida kar sake. Maya sach me vikram se prem karti hai to wo yahi to chahegi ki uska premi uske paas sahi salamat rahe aur uska ek khush-haal pariwar bane."

"Ye sab to thik hai." Wagle ne sochne wale bhaav se kaha____"Lekin tumhari hi baato se achanak mere zahen me ek alag hi vichaar paida ho gaya hai."

"Kaisa vichaar?" Savitri ne puchha.
"Yahi ki maya cms ki member ho bhi sakti hai." Wagle ne ye kah kar maano dhamaka sa kiya_____"Uske dwara vikram ko apne bachche wala chapter sunaya jana kisi khaas plan ka hissa ho sakta hai."

"Y...ye kya kah rahe hain aap?" Savitri ke chehre par sahsa ashcharya taandav karta nazar aaya_____"Kya aisa bhi ho sakta hai...magar kaise?"

"Main ye nahi kah raha ki present me maya sach me hi cms ki member ho sakti hai." Wagle ne samjhane wale andaz me kaha_____"Main sirf possibility ki baat kar raha hu ki aisa ho bhi sakta hai. Yaad karo maya ki is kahani me tabhi entry huyi jab vikram ne maut ka khel khelna shuru kar diya tha jabki uske pahle wo jail se riha hone ke baad kareeb ek mahine tak khamosh raha tha. Maya ne bataya tha ki wo hamesha vikram ke bare me apni ek khaas dost anita se pata karti rahi thi. To sawaal hai ki kya use usi samay vikram ki rihaayi ka pata nahi chala hoga aur agar chala hoga to wo usi samay vikram se kyo nahi mili? Vikram jab apne viraan pade bangle par pahucha tha usi samay maya bhi wahi pahuch gayi thi. Use itna yakeen kaise tha ki vikram itni khatrnaak situation me bhi apne us sunsaan pade bangle par maujood hoga? Dusri baat chalo maan liya ki use kisi tarah is baat ka ehsaas hua hoga lekin bangle ke mukya darwaze se andar aane ka jokhim kaise utha liya tha usne? Kya use is baat ka zara bhi dar nahi tha ki bees saal se viraan pade bangle me direct mukhya darwaze se enter karna behad khatarnaak ho sakta hai? Agar in baato par dhyaan diya jaye to maya par sandeh paida ho jata hai. Vikram ke us bangle par raat ke wakt itni nidarta se direct mukhya darwaze se andar jane ka kaam wahi kar sakta hai jise kisi ka bhi dar na ho. Agar maya ko kisi ka bhi dar nahi tha to zaahir hai ki wo cms ki aaj bhi member ho sakti hai warna wo bhi vikram ki tarah hi bangle ke andar jane ka koi alag raasta akhtiyaar karti."

Wagle ki baate sun kar savitri se kuch kahte na ban pada. Dilo dimaag me ekdam se aandhiya si chalne lagi thi. Zahen me dhamake se ho rahe the. Fir kisi tarah usne khud ko samhaala.

"Kya sach me aisa ho sakta hai?" Savitri ke chehre par ashcharya aur avidhwaas ke bhaav abhi bhi maujood the____"Agar aisa sach me hua to vikram ke liye bahut bada khatra khud maya hi hai."

"Aisa ho bhi sakta hai aur nahi bhi." Wagle ne halke se muskurate huye kaha____"Aisi situation me ham police walo ko har angel se sochne ki buri aadat hoti hai. Khair, ab sawaal ye hai ki agar sach me maya cms ki member hai to usne abhi tak vikram ko cms ke hath kyo nahi lagwaya? Mere khayaal se iska yahi jawaab ho sakta hai ki usne cms ke chief ko ittala to kar di hogi lekin cms ne use vikram par nigraani rakhne ke liye kah rakha hoga."

"Main kuch samjhi nahi." Savitri jaise chakra gayi thi, boli_____"Aakhir aisa karne ke pichhe cms jaisi sanstha ki kya vajah ho sakti hai?"

"Koi badi chaal ho sakti hai." Wagle ne sochne wale andaz me kaha_____"Ho sakta hai ki cms khud ye chaahti ho ki vikram ek ek kar ke Sanjay aur uske baaki sabhi dosto ka safaya kar de...yaha tak ki unki families ka bhi. Zaahir hai vikram ke dwara aisa kiye jane ki khabar cms apne agents dwara rakhti hogi. Vikram jab sabko khatm kar dega to cms ya to khud use ek jhatke me khatm kar degi ya fir police ko pakadwa degi. Vikram naam ka bhayankar khatra ek baar fir se cms jaisi sanstha se door ho jayega."

"Agar ye sab baate waakayi me sach huyi to vikram to gaya kaam se." Savitri ke chehre par aise bhaav ubhar aaye the jaise khatre ka abhaas use khud ke liye ho raha ho_____"Aise me to vikram ne jis minakshi ko kaid kar rakha hai maya usse bhi mili huyi ho sakti hai. Aakhir wo bhi to cms ki sadasya hai?"

"Mujhe aisa nahi lagta." Wagle ne kaha_____"Balki mujhe to aisa prateet ho raha hai jaise cms ka mukhya uddeshya Sanjay aur uski family ke sabhi members ko khatm karna hai. Aisa is liye kyoki in logo ki vajah se shuru se hi sanstha ka vajood khatre me raha hai. Halaaki vikram ke jail jane ke baad bees saalo tak shaanti rahi hogi lekin vikram ke waapas aa jane se ek baar fir se cms ke vajood par khatra paida ho gaya hai. Is sabko dekhte huye sanstha ne soch liya hoga ki un logo ko hi khatm karwa diya jaye jisse hamesha ke liye uske vajood par madraane wala ye khatra hi mit jaye. Ab kyoki minakshi bhi unke pariwar ki hi sadasya hai is liye cms use bhi apne raaste se hatana hi behtar samjhegi."

"Aapne to ek jhatke me is kisse ko ulat kar rakh diya." Savitri badi hairaani se wagle ko dekhte huye boli_____"Itna deeply main soch hi nahi sakti thi."

"Ye sab sirf possibility ki baate hain dear." Wagle ne muskura kar kaha____"Zaruri nahi ki yahi sach ho balki sach wo bhi ho sakta hai jo hamne vikram singh ki diary padha hai. Ham ye bhi to nahi bhool sakte ki ye sab hame vikram singh dwara likhi diary ke dwara hi pata chala hai. Diary Vikram singh ne bheji hai to zaahir hai ki wo jaha bhi hai abhi bhi sahi salamat hai."

"Main dua karti hu ki wahi sach ho jo vikram ne apni diary me likha hai." Savitri ne kaha_____"Pata nahi kyo par main dil se chaahti hu ki us nirdosh byakti ko apne jeewan ke is aakhiri padaav par khushiya hi khushiya naseeb ho jaaye."

"Kya baat hai." Wagle ki muskaan gahri ho gayi_____"Vikram ke liye itni badi chaahat aur dua?"

"Haan kyo nahi." Savitri bhi muskuraayi____"Aakhir uski vajah se hi to hamare jeewan me bhi khushiya aayi hain. Ye mat bhuliye ki usne aapko apne bade bhai ka darza diya hai to is naate wo mera devar hua. Ab main itni bhi to swarthi nahi ho sakti ki jis devar ki vajah se hamare jeewan me khushiyo ke rang bhar gaye hain use khush rahne ki dua bhi na du."

"Aree bilkul dua do bhagyawan." Wagle ne halke se haste huye kaha____"Isme koi shak nahi hai ki hamare bich ye jo khushiya aayi hain ye usi ki vajah se aayi hain. Main khud bhi upar wale se yahi prarthna karta hu ki wo jaha bhi rahe khush rahe, salamat rahe."

Wagle ki baat sun kar savitri muskurati hui uthi aur wagle ka bhi khaali cup le kar kitchen ki taraf badh gayi. Uske jane ke baad wagle bhi sofe se uth kar baahar nikal gaya. Aaj mausam kaafi suhana nazar aa raha tha. Wagle lawn me ja kar bahadur se kuch baate karne laga. Idhar savitri kitchen me dopahar ka khana banane me lag gayi thi.

Kisi tarah wakt guzra aur lunch karne ke baad savitri aur wagle ek baar fir se apne kamre me aa gaye. Bed par pahuchte hi wagle ne suitcase se vikram singh ki diary nikaali aur dono ne wahi se use padhna shuru kiya jaha par chhoda tha.

[][][][][][]

Sara din maya ke sath main kamre me hi raha. Usse aaj dher saari baate ki thi maine. Usne mujhe apne un bees saalo ka saara kissa sunaya jo mujhse bichhadne ke baad uske sath hua tha ya fir ye kahe ki usne in bees saalo me kiya tha. Samay ki koi kami nahi thi is liye uske puchhne par maine bhi use wo sab kuch bataya jo maine bees saal jail me rah kar jhela tha. Maine use ye nahi bataya ki present me main gaziabad me kiraaye se ek kamra le kar rahta hu aur waha maine kya gul khilaya hai.

Mere kahne par maya ne apni dost anita ko bula liya tha. Maine apna aur maya ka makeup kar ke apne huliye ko thoda change kar liya tha taaki hame koi pahchaan na sake. Is baar maine ek shooted booted business man ka huliya banaya tha. Iske pahle main saath saal ke buddhe ke makeup me shahar ka chakkar lagata tha ya ye kahe ki crime karne ke liye nikalta tha. Khair ham dono flat se baahar aaye aur flat ko lock kar niche aa gaye.

Anita car ki driving sheet par baith gayi thi jabki main aur maya pichhli sheet par. Anita ne car drive karne ke liye mujhe kaha lekin maine mana kar diya aur usi ko drive karne ke liye kaha taaki agar kahi par police checking ke liye hame roke to koi problem na ho sake. Anita meri baat samajh gayi thi.

Kareeb aadhe ghante me ham log apne gantavya par pahuche. Car ke andar hi maine fatafat apna huliya change kiya aur fir aas paas ka muaayna karne ke baad car se utar kar apne bangle ki taraf jane wali gali ki taraf badh chala.

Asmaan me kahi par bhi chaand nahi dikh raha tha jiski vajah se andhera to tha lekin street lights ki roshni zarur faili huyi thi. Main ek bhikhaari ka bhesh banaye kuch hi der me apne bangle ke paas pahuch gaya. Raat ke saadhe das baj rahe the aur is time yaha par aawa jaahi thoda kam ho gayi thi. Maine ek baar fir se aas paas ka muaayna kiya aur bangle ke us hisse ki taraf diwaar faand kar badh chala jis taraf mere kamre ki khidki thi. Rassi ko khidki ke baahar dikh rahi balcony par uchhala to wo do teen baar ke prayaas me sahi jagah par fans gayi. Uske baad main fauran hi rassi ke sahare upar pahuch gaya.

Kamre me aa kar maine kuch der apni ukhdi huyi saanso ko durust kiya aur fir torch le kar kamre se baahar nikal gaya. Andar bangle me gahan andhere ke sath gahan sannata bhi pasra hua tha. Main jaldi hi seedhiyo se niche aa kar apne mata pita ke kamre ki taraf badh chala.

Torch ki roshni me main kuch hi der me niche tahkhane par pahuch gaya. Keel jaisi dikhne wali us button ko maine halke se push kiya to diwar ke beecho beech ek darwaza ban gaya. Main jaldi se andar kamre me daakhil hua aur us kamre me rakhe do boxes me se ek box ko utha kar uske niche se box ki chaabhi nikaali. Us chaabhi se maine box par lage taale ko khola.

Jaisa ki maine pahle bhi bataya tha ki un dono boxes me kya tha. Abhi jis box ko maine khola usme laal kapda tha aur uske niche plastic ki moti panni aur fir uske niche noto ki gaddiya rakhi huyi thi. Box ke andar do partition the jiske ek part me noto ki gaddiya thi aur dusre me files aur kuch kagjaat the. Maine un kagjaato ko ek ek kar ke khol kar dekha aur fir ek file ko baahar nikaal kar apne bag me daal liya.

Box ko band kar ke maine usme taala lagaya aur fir chaabhi ko box ke niche pahle ki tarah hi rakh kar kamre se baahar aa gaya. Keelnuma button ko push kiya to darwaza band ho gaya. Uske baad main tahkhane se baahar aa gaya. Kamre se nikal kar kuch hi samay me main apne kamre ki khidki se baahar nikal kar rassi ke dwara bangle se baahar aa gaya.

Rassi ko waapas kheench kar maine bag me daala aur fir aas paas ka muaayne karne ke baad bangle se door hota chala gaya. Kuch hi der me main us jagah par pahuch gaya jaha par Anita ki car khadi huyi thi. Car me baithte hi sabse pahle maine apne huliye ko pahle jaisa banaya aur fir ham log waapas karol bagh ki taraf nikal gaye.

Raaste me maya ne mujhse puchha ki bangle me aisa kya tha jiske liye main aisi khatarnaak situation me bhi waha gaya tha. Uske puchhne par maine usse kaha ki flat par pahuch kar tasalli se use sab kuch bataauga.

Kareeb aadhe ghante baad ham sab karol bagh me sthit Anita ke flat par pahuch gaye. Anita ham dono ko niche utaar kar ye kah kar waapas chali gayi ki uska ghar pahuchna zaruri hai. Hamne bhi use rokne ke liye zyada zor nahi diya. Uske jane ke baad main aur maya upar flat me aa gaye. Andar aate hi maine maya ko chaay banane ko kaha aur khud apna make-up utaarne laga.



✤༺༻✤
Bahut hi badhiya update diya hai The_InnoCent bhai....
Nice and lovely update....
 
Top