• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller The Revenge (Completed)

Ajju Landwalia

Well-Known Member
3,267
12,777
159
Update - 33
____________________





Door bell ki awaaz ne gahan sannate me wagle aur savitri ke kaano ko jhanjhana diya jisse dono hi buri tarah uchhal pade. Hadbada kar dono hi uthe. Pahle to dono ko hi samajh na aaya ki raat ke is wakt kaun ho sakta hai lekin agle hi pal wo ye dekh kar chaunke ki is wakt raat ka samay nahi balki din ka samay hai. Yaani subah ho chuki hai. Kamre ki khidki se dhoop ka abhaas ho raha tha.

"Kamaal hai." Wagle chakit bhaav se savitri ki taraf dekhte huye bola____"Itni jaldi subah ho gayi?"

"Aisa aapko lagta hai." Savitri ne halke se muskura kar kaha____"Jabki subah to apne samay par hi huyi hai. Asal me ham dono vikram singh ki diary padhne me itna zyada kho gaye the ki hame raat ke guzar jane ka pata hi nahi chala aur ashcharya ki baat ye bhi hai ki ham dono ko hi neend nahi aayi."

"Khair, dekho lagta hai bahadur hai baahar." Wagle ne kaha aur vikram singh ki diary ko band kar ke apne suitcase me rakh diya. Idhar uske kahne par savitri sir hila kar kamre se baahar nikal gayi.

Subah ke saadhe aath baj rahe the. Wagle aur savitri dring room me baithe chaya pi rahe the. Ghar ka naukar bahadur baahar lawn me foolo ko paani de raha tha. Wagle ka swasthya ab kaafi behtar ho gaya tha is liye wo aaj apni duty par jana chaahta tha lekin savitri ne use ye kah kar jane se mana kar diya tha ki kal somwar ka din shubh hai is liye kal se jaiyega.

"Kya aapne socha tha ki vikram singh ke jiwan me kabhi aisa bhi koi din aayega jab use ye pata chalega ki is duniya me uska bhi koi apna hoga?" Savitri ne chaay ki ek chuski le kar kaha____"Waise sach kahu to mujhe uske liye ye sab jaan kar bahut achha laga. Puri jawaani uski jail me guzar gayi aur jail se riha hone ke baad jis raah par wo chal pada tha usse yakinan uski zindagi ka koi thikana nahi tha."

"Usne apni zindagi me sirf ek hi galat faisla liya tha." Wagle ne sochne wale andaz se kaha_____"Aur wo tha cms jaisi sanstha ko join karna par isme bhi shayad uski zyada galti nahi thi. Kyoki jis umar me wo tha us umar me aksar ladke aisi galat raah par chal padte hain. Vikram bachpan se hi ek sharmila ladka tha aur baaki ladko ko dekh kar uske man me bhi unki tarah hi mauj masti karne ki khwaaish prabal hoti ja rahi thi. Aise me agar kahi se use mauj masti karne ka itna bada mauka mil raha tha to wo kaise inkaar kar sakta tha? Halaaki usne sanstha me rahne ke baad uske nuksaan aur khatre ke bare me socha to tha lekin use zara bhi ummid nahi thi ki aane wale samay me sach much is tarah ka kuch ho jaayega. Ham insaano ki fitrat badi vichitra hoti hai savitri. Ham dusro ke bare me galat sochne me kisi bhi had tak ja sakte hain aur iske liye hame zara bhi afsos nahi hota aur na hi ham ye sochte hain ki ye kitna galat hai. Lekin waisi hi koi cheez jab khud hamare sath hoti hai to ham use bardaast nahi kar paate. Vikram ke sath bhi kadaachit yahi sthiti thi."

"Wo sirf sach jaanna chaahta tha." Savitri ne kaha_____"Use nahi pata tha ki sach jaanne ke liye wo jis tarah se unke pichhe pad gaya tha usse use bhaari kimat chukaani pad jayegi. Ghar pahucha to use apne mata pita ki laashe dekhni padi aur itna hi nahi unke khoon ke ilzaam me use fans jana pada aur fir use umar kaid ki saza bhi ho gayi. Wakt ne use na to kuch sochne ka samay diya tha aur na hi kuch karne ka. Agar Sanjay aur uske baaki dost is sabke baad usse milne jail jate ya usse sahanubhuti rakhte to shayad aaj vikram aisi raah par na chalta, kyoki uske zahan me aise vichaar aate hi nahi ki use kisi saazish ke tahat apne hi Mata pita ke khoon ke ilzaam me hatyara bana kar fansaya gaya hai. Waise uski diary ke anusar mere man me bhi yahi sawaal hai ki kya sach me use fansaya gaya tha aur kya sach me uske mata pita ke kaatil Sanjay aur uske baaki dost hi hain?"

"Kuch kah nahi sakte savitri." Wagle ne gahri saans le kar kaha_____"Diary me abhi tak hamne yahi padha hai ki Sanjay aur uske baaki dost is baat se inkaar hi karte aaye hain. Unke anusaar ye sab cms ki vajah se hua tha lekin vikram ko shayad sach pata hai aur shayad isi liye wo maya ke kahne par bhi un logo ko baksne par raaji nahi hai."

"Kya sach me maya ka koi aisa bachcha ho sakta hai jo vikram ka khoon ho?" Savitri ne wagle ki taraf dekha____"Kahi aisa to nahi ki maya bachche ka chapter suna kar vikram ko wo sab karne se rok rahi ho?"

"Kya tum ye soch rahi ho ki maya aaj bhi cms ki member hai?" Wagle ke chehre par ajeeb se bhaav ubhar aaye the____"Aur wo ye sab cms ke chief ke kahne par kar rahi hai?"

"Nahi main aisa nahi sochti." Savitri ne kaha_____"Maya present me cms ki member ho hi nahi sakti aur agar hoti bhi to wo cms ke kahne par shuru me hi vikram ko cms ke hath lagwa deti. Mere kahne ka sirf ye matlab hai ki usne bachche wala chapter vikram ko sirf isi liye sunaya hoga taaki vikram jazbaato me aa kar kamjor pad jaye aur wo ye khooni khel khelna chhod de. Uske baad zaahir hai maya use le kar kahi bhi ja sakti hai aur dono itne bhi buddhe nahi huye hain ki is umar me bachcha na paida kar sake. Maya sach me vikram se prem karti hai to wo yahi to chahegi ki uska premi uske paas sahi salamat rahe aur uska ek khush-haal pariwar bane."

"Ye sab to thik hai." Wagle ne sochne wale bhaav se kaha____"Lekin tumhari hi baato se achanak mere zahen me ek alag hi vichaar paida ho gaya hai."

"Kaisa vichaar?" Savitri ne puchha.
"Yahi ki maya cms ki member ho bhi sakti hai." Wagle ne ye kah kar maano dhamaka sa kiya_____"Uske dwara vikram ko apne bachche wala chapter sunaya jana kisi khaas plan ka hissa ho sakta hai."

"Y...ye kya kah rahe hain aap?" Savitri ke chehre par sahsa ashcharya taandav karta nazar aaya_____"Kya aisa bhi ho sakta hai...magar kaise?"

"Main ye nahi kah raha ki present me maya sach me hi cms ki member ho sakti hai." Wagle ne samjhane wale andaz me kaha_____"Main sirf possibility ki baat kar raha hu ki aisa ho bhi sakta hai. Yaad karo maya ki is kahani me tabhi entry huyi jab vikram ne maut ka khel khelna shuru kar diya tha jabki uske pahle wo jail se riha hone ke baad kareeb ek mahine tak khamosh raha tha. Maya ne bataya tha ki wo hamesha vikram ke bare me apni ek khaas dost anita se pata karti rahi thi. To sawaal hai ki kya use usi samay vikram ki rihaayi ka pata nahi chala hoga aur agar chala hoga to wo usi samay vikram se kyo nahi mili? Vikram jab apne viraan pade bangle par pahucha tha usi samay maya bhi wahi pahuch gayi thi. Use itna yakeen kaise tha ki vikram itni khatrnaak situation me bhi apne us sunsaan pade bangle par maujood hoga? Dusri baat chalo maan liya ki use kisi tarah is baat ka ehsaas hua hoga lekin bangle ke mukya darwaze se andar aane ka jokhim kaise utha liya tha usne? Kya use is baat ka zara bhi dar nahi tha ki bees saal se viraan pade bangle me direct mukhya darwaze se enter karna behad khatarnaak ho sakta hai? Agar in baato par dhyaan diya jaye to maya par sandeh paida ho jata hai. Vikram ke us bangle par raat ke wakt itni nidarta se direct mukhya darwaze se andar jane ka kaam wahi kar sakta hai jise kisi ka bhi dar na ho. Agar maya ko kisi ka bhi dar nahi tha to zaahir hai ki wo cms ki aaj bhi member ho sakti hai warna wo bhi vikram ki tarah hi bangle ke andar jane ka koi alag raasta akhtiyaar karti."

Wagle ki baate sun kar savitri se kuch kahte na ban pada. Dilo dimaag me ekdam se aandhiya si chalne lagi thi. Zahen me dhamake se ho rahe the. Fir kisi tarah usne khud ko samhaala.

"Kya sach me aisa ho sakta hai?" Savitri ke chehre par ashcharya aur avidhwaas ke bhaav abhi bhi maujood the____"Agar aisa sach me hua to vikram ke liye bahut bada khatra khud maya hi hai."

"Aisa ho bhi sakta hai aur nahi bhi." Wagle ne halke se muskurate huye kaha____"Aisi situation me ham police walo ko har angel se sochne ki buri aadat hoti hai. Khair, ab sawaal ye hai ki agar sach me maya cms ki member hai to usne abhi tak vikram ko cms ke hath kyo nahi lagwaya? Mere khayaal se iska yahi jawaab ho sakta hai ki usne cms ke chief ko ittala to kar di hogi lekin cms ne use vikram par nigraani rakhne ke liye kah rakha hoga."

"Main kuch samjhi nahi." Savitri jaise chakra gayi thi, boli_____"Aakhir aisa karne ke pichhe cms jaisi sanstha ki kya vajah ho sakti hai?"

"Koi badi chaal ho sakti hai." Wagle ne sochne wale andaz me kaha_____"Ho sakta hai ki cms khud ye chaahti ho ki vikram ek ek kar ke Sanjay aur uske baaki sabhi dosto ka safaya kar de...yaha tak ki unki families ka bhi. Zaahir hai vikram ke dwara aisa kiye jane ki khabar cms apne agents dwara rakhti hogi. Vikram jab sabko khatm kar dega to cms ya to khud use ek jhatke me khatm kar degi ya fir police ko pakadwa degi. Vikram naam ka bhayankar khatra ek baar fir se cms jaisi sanstha se door ho jayega."

"Agar ye sab baate waakayi me sach huyi to vikram to gaya kaam se." Savitri ke chehre par aise bhaav ubhar aaye the jaise khatre ka abhaas use khud ke liye ho raha ho_____"Aise me to vikram ne jis minakshi ko kaid kar rakha hai maya usse bhi mili huyi ho sakti hai. Aakhir wo bhi to cms ki sadasya hai?"

"Mujhe aisa nahi lagta." Wagle ne kaha_____"Balki mujhe to aisa prateet ho raha hai jaise cms ka mukhya uddeshya Sanjay aur uski family ke sabhi members ko khatm karna hai. Aisa is liye kyoki in logo ki vajah se shuru se hi sanstha ka vajood khatre me raha hai. Halaaki vikram ke jail jane ke baad bees saalo tak shaanti rahi hogi lekin vikram ke waapas aa jane se ek baar fir se cms ke vajood par khatra paida ho gaya hai. Is sabko dekhte huye sanstha ne soch liya hoga ki un logo ko hi khatm karwa diya jaye jisse hamesha ke liye uske vajood par madraane wala ye khatra hi mit jaye. Ab kyoki minakshi bhi unke pariwar ki hi sadasya hai is liye cms use bhi apne raaste se hatana hi behtar samjhegi."

"Aapne to ek jhatke me is kisse ko ulat kar rakh diya." Savitri badi hairaani se wagle ko dekhte huye boli_____"Itna deeply main soch hi nahi sakti thi."

"Ye sab sirf possibility ki baate hain dear." Wagle ne muskura kar kaha____"Zaruri nahi ki yahi sach ho balki sach wo bhi ho sakta hai jo hamne vikram singh ki diary padha hai. Ham ye bhi to nahi bhool sakte ki ye sab hame vikram singh dwara likhi diary ke dwara hi pata chala hai. Diary Vikram singh ne bheji hai to zaahir hai ki wo jaha bhi hai abhi bhi sahi salamat hai."

"Main dua karti hu ki wahi sach ho jo vikram ne apni diary me likha hai." Savitri ne kaha_____"Pata nahi kyo par main dil se chaahti hu ki us nirdosh byakti ko apne jeewan ke is aakhiri padaav par khushiya hi khushiya naseeb ho jaaye."

"Kya baat hai." Wagle ki muskaan gahri ho gayi_____"Vikram ke liye itni badi chaahat aur dua?"

"Haan kyo nahi." Savitri bhi muskuraayi____"Aakhir uski vajah se hi to hamare jeewan me bhi khushiya aayi hain. Ye mat bhuliye ki usne aapko apne bade bhai ka darza diya hai to is naate wo mera devar hua. Ab main itni bhi to swarthi nahi ho sakti ki jis devar ki vajah se hamare jeewan me khushiyo ke rang bhar gaye hain use khush rahne ki dua bhi na du."

"Aree bilkul dua do bhagyawan." Wagle ne halke se haste huye kaha____"Isme koi shak nahi hai ki hamare bich ye jo khushiya aayi hain ye usi ki vajah se aayi hain. Main khud bhi upar wale se yahi prarthna karta hu ki wo jaha bhi rahe khush rahe, salamat rahe."

Wagle ki baat sun kar savitri muskurati hui uthi aur wagle ka bhi khaali cup le kar kitchen ki taraf badh gayi. Uske jane ke baad wagle bhi sofe se uth kar baahar nikal gaya. Aaj mausam kaafi suhana nazar aa raha tha. Wagle lawn me ja kar bahadur se kuch baate karne laga. Idhar savitri kitchen me dopahar ka khana banane me lag gayi thi.

Kisi tarah wakt guzra aur lunch karne ke baad savitri aur wagle ek baar fir se apne kamre me aa gaye. Bed par pahuchte hi wagle ne suitcase se vikram singh ki diary nikaali aur dono ne wahi se use padhna shuru kiya jaha par chhoda tha.

[][][][][][]

Sara din maya ke sath main kamre me hi raha. Usse aaj dher saari baate ki thi maine. Usne mujhe apne un bees saalo ka saara kissa sunaya jo mujhse bichhadne ke baad uske sath hua tha ya fir ye kahe ki usne in bees saalo me kiya tha. Samay ki koi kami nahi thi is liye uske puchhne par maine bhi use wo sab kuch bataya jo maine bees saal jail me rah kar jhela tha. Maine use ye nahi bataya ki present me main gaziabad me kiraaye se ek kamra le kar rahta hu aur waha maine kya gul khilaya hai.

Mere kahne par maya ne apni dost anita ko bula liya tha. Maine apna aur maya ka makeup kar ke apne huliye ko thoda change kar liya tha taaki hame koi pahchaan na sake. Is baar maine ek shooted booted business man ka huliya banaya tha. Iske pahle main saath saal ke buddhe ke makeup me shahar ka chakkar lagata tha ya ye kahe ki crime karne ke liye nikalta tha. Khair ham dono flat se baahar aaye aur flat ko lock kar niche aa gaye.

Anita car ki driving sheet par baith gayi thi jabki main aur maya pichhli sheet par. Anita ne car drive karne ke liye mujhe kaha lekin maine mana kar diya aur usi ko drive karne ke liye kaha taaki agar kahi par police checking ke liye hame roke to koi problem na ho sake. Anita meri baat samajh gayi thi.

Kareeb aadhe ghante me ham log apne gantavya par pahuche. Car ke andar hi maine fatafat apna huliya change kiya aur fir aas paas ka muaayna karne ke baad car se utar kar apne bangle ki taraf jane wali gali ki taraf badh chala.

Asmaan me kahi par bhi chaand nahi dikh raha tha jiski vajah se andhera to tha lekin street lights ki roshni zarur faili huyi thi. Main ek bhikhaari ka bhesh banaye kuch hi der me apne bangle ke paas pahuch gaya. Raat ke saadhe das baj rahe the aur is time yaha par aawa jaahi thoda kam ho gayi thi. Maine ek baar fir se aas paas ka muaayna kiya aur bangle ke us hisse ki taraf diwaar faand kar badh chala jis taraf mere kamre ki khidki thi. Rassi ko khidki ke baahar dikh rahi balcony par uchhala to wo do teen baar ke prayaas me sahi jagah par fans gayi. Uske baad main fauran hi rassi ke sahare upar pahuch gaya.

Kamre me aa kar maine kuch der apni ukhdi huyi saanso ko durust kiya aur fir torch le kar kamre se baahar nikal gaya. Andar bangle me gahan andhere ke sath gahan sannata bhi pasra hua tha. Main jaldi hi seedhiyo se niche aa kar apne mata pita ke kamre ki taraf badh chala.

Torch ki roshni me main kuch hi der me niche tahkhane par pahuch gaya. Keel jaisi dikhne wali us button ko maine halke se push kiya to diwar ke beecho beech ek darwaza ban gaya. Main jaldi se andar kamre me daakhil hua aur us kamre me rakhe do boxes me se ek box ko utha kar uske niche se box ki chaabhi nikaali. Us chaabhi se maine box par lage taale ko khola.

Jaisa ki maine pahle bhi bataya tha ki un dono boxes me kya tha. Abhi jis box ko maine khola usme laal kapda tha aur uske niche plastic ki moti panni aur fir uske niche noto ki gaddiya rakhi huyi thi. Box ke andar do partition the jiske ek part me noto ki gaddiya thi aur dusre me files aur kuch kagjaat the. Maine un kagjaato ko ek ek kar ke khol kar dekha aur fir ek file ko baahar nikaal kar apne bag me daal liya.

Box ko band kar ke maine usme taala lagaya aur fir chaabhi ko box ke niche pahle ki tarah hi rakh kar kamre se baahar aa gaya. Keelnuma button ko push kiya to darwaza band ho gaya. Uske baad main tahkhane se baahar aa gaya. Kamre se nikal kar kuch hi samay me main apne kamre ki khidki se baahar nikal kar rassi ke dwara bangle se baahar aa gaya.

Rassi ko waapas kheench kar maine bag me daala aur fir aas paas ka muaayne karne ke baad bangle se door hota chala gaya. Kuch hi der me main us jagah par pahuch gaya jaha par Anita ki car khadi huyi thi. Car me baithte hi sabse pahle maine apne huliye ko pahle jaisa banaya aur fir ham log waapas karol bagh ki taraf nikal gaye.

Raaste me maya ne mujhse puchha ki bangle me aisa kya tha jiske liye main aisi khatarnaak situation me bhi waha gaya tha. Uske puchhne par maine usse kaha ki flat par pahuch kar tasalli se use sab kuch bataauga.

Kareeb aadhe ghante baad ham sab karol bagh me sthit Anita ke flat par pahuch gaye. Anita ham dono ko niche utaar kar ye kah kar waapas chali gayi ki uska ghar pahuchna zaruri hai. Hamne bhi use rokne ke liye zyada zor nahi diya. Uske jane ke baad main aur maya upar flat me aa gaye. Andar aate hi maine maya ko chaay banane ko kaha aur khud apna make-up utaarne laga.



✤༺༻✤


Behad shandar update Shubham Bhai,


Wagle ki calculations me accept karta hoon, aur kuc add bhi karta hoon, mere khyal me Maya CMS ki normal member nahi he........wo CMS ki Chief he, aur khud parde ke peeche se peechle 20-25 saalo se sabko control kar rahi ho..........aur usi ke instructions par Vikram ke mata pita ki hatya ki gayi ho.........aur usi ne sare documents plant kiye ho....Vikram ko misguide karne ke liye.................

Aur ab wo CMS ka windup karna chahti ho........aur uske liye usne Vikram ko chuna ho.........aur agar Vikram in sabke baad bach gaya to usko lekar foreign country chali jayegi, agar kuch gadbad huyi to Vikram ko police ya fir sanjay & party se pakdwa kar ek naya mohra banayegi......Meenakshi ke rup me......

Keep posting Bhai
 
113
157
43
Happy Anniversary Love GIF by Hallmark Gold Crown
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )
9,989
41,811
218
Totally agree :approve:
Mere liye emotion se bhare is chapter ko likhna ek chunauti jaisa tha. Well koshish ki baaki aap sab jaane :D

Galtiya sabse hoti hain lekin uski itni badi saza???? :roll:

Mujhe nahi lagta vikram jaisa shakhs aisa karega :roll:

Dekhiye kahani ka rukh kis taraf karwat leta hai....

Thanks bhaiya ji :hug:
Wo scene sach me bahut jyada emotional tha Shubham bhai.
 
9,989
41,811
218
Waise to thriller story me kuchh bhi prediction karna sahi nahi hota aur wo bhi unn story me jo daily opera serials ki tarah har roj update aata hai....Writer kabhi bhi script ke saath badlaw kar sakte hai.

Wagle sahab ki baat se main etafaq nahi rakhta. Waise to Maya aur Vikram ki mulakat 20 saalo bad waisa hi tha jaise Manmohan desai ki filmon me hota hai...
Lekin ye mana ja sakta tha ki Maya every day raat ko Vikram ke bangle me jaya karti thi ki by chance Vikram se mulakat ho jaye! Shayad wo Vikram ke jail se riha hone ke baad se hi uske ghar ja rahi hogi.

Maya CMS ki agent filhal to bilkul hi nahi lagti. Agar aisa hota to bahut pahle hi Vikram CMS ke haatho chadh gaya hota.

Mughe lagta hai Vikram apne ghar se jo documents aur papers lene gaya tha , usme uske father ka confess hona chahiye...uske father ki maut ki wajah honi chahiye. Aur Shayad katil ka bhi.

Beautiful updae Shubham bhai.
Outstanding & Amazing & brilliant.
 
Last edited:

The_InnoCent

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
78,939
115,550
354
Behad shandar update Shubham Bhai,
Thanks bhai
Wagle ki calculations me accept karta hoon, aur kuc add bhi karta hoon, mere khyal me Maya CMS ki normal member nahi he........wo CMS ki Chief he, aur khud parde ke peeche se peechle 20-25 saalo se sabko control kar rahi ho..........aur usi ke instructions par Vikram ke mata pita ki hatya ki gayi ho.........aur usi ne sare documents plant kiye ho....Vikram ko misguide karne ke liye.................
Ju ne to kafi lamba soch liya mitra, maya ko cms ka chief samajhne se pahle ek baar is story ke first ki story par gaur karna tha. First part me maya ek trainer thi jo Komal aur tabassum name ki do aur ladkiyo ke sath naye laundo ko sex ki training deti thi....
Aur ab wo CMS ka windup karna chahti ho........aur uske liye usne Vikram ko chuna ho.........aur agar Vikram in sabke baad bach gaya to usko lekar foreign country chali jayegi, agar kuch gadbad huyi to Vikram ko police ya fir sanjay & party se pakdwa kar ek naya mohra banayegi......Meenakshi ke rup me......

Keep posting Bhai
Thanks dost, apan ko sochna padega is bare me :hug:
 
Top