Chapter:- A man encouters with a mysterious women.
Part-1
{UPDATE:-2}
Tabhi machine ne ek ladki ki awaz me respond kiya:- i am sorry citizen khushal you reach your sugar level of this month. To kya aap kuch fruit lena pasand karenge.
Khushal :- no thanks!
Ab aage:-
"Citizen khushal" ye awaz ek mahila ki thi jab khushal conference hall me pahucha tab usey awaz aayi. Khushal ne bhi adab se uske samne sir jhukaya aur wo mahila bhi is gesture se khus ho gayi. Is city me wo bhi doosro ki tarah lambi smart ekdum perfect fit body thi aur wo ek genetic engineer thi. Usne apne lambe baalo ko ek perfect shape de rakha tha aur uske kapde bhi thode se alag they.
Khushal ne apne daaye taraf us mahila ko dekha tabhi uske uper ek screen si ban gayi aur us screen pe mahila ka sari pehchan thi jaise ki name, hieght, weight, profession, age and background.
Khushal:-citizen conners se milke acha laga.
Aur khushal itna kehke table pe rakhe jaar ko tatol ke dekhne laga jo ki choti candies se bhara hua tha.
Conners:- kya tum inme se kuch lena pasand karoge?
Khushal thoda sa hichkhichaya aur thoda sa socha kahi ye uska koi test to nahi le rahi.
Conners:- its okk. Mujhe pata hai aap is mahine ke sugar level tak pahuch chuke ho. But i have power me aapko de sakti hu ye, aur mujhe ye bhi pata hai ki tumhe apna mitha muh karna hai.
Khushal:- dhanyawad! ( Usne ajeeb tarah se muskurate huye kaha)
Khushal dheere dheere jar ki taraf badha wo ab bhi conners ki aankho me dekh raha tha usey ye koi test lag raha tha lekin uska hath pahuch gaya aur usne ek candy nikal ke apne muh me daal li.
Conners:- tumne apne c-mat ke exam me 19th position hasil ki hai jo ki bhut hi kharab baat hai. ( Ye baat bolte huye wo khushal ko ghur rahi thi)
Khushal:- mujhe bataya gaya tha.
Conners abhi usey ghur rahi thi maano uska parikshan kar rahi ho
Conners:- waise mujhe viswas nahi ho raha ki me kisi adams ke khandan ke kisi admi se mili hu abhi, waise kya tum isi city me paida huye ho?
Khushal:- haa, jab se manie apna hosh sambhala hai tabse me yahi hu.
Wo thodi der ke liye ruki aur kuch soch kar boli...
Conners:- tumko maine director of communication ke post ke liye promote kar diya hai kal se tum ye karya bhar sambhaloge tumhe bas bahar ke logo se sampark me rehna hai, aur tum hi senator hobbes ki speech likha karoge abse, aur kal tumhe retaired DOC se milwa diya jayega.
Khushal sir jhukate huye:- aapka dhanyawad mujhe is kabil samjhne ke liye aur ek awsar dene ke liye....
Conners:- ye jo bhi hamari baate hai wo record kar li gayi hai central government ko dikhane ke liye.
Aur usne apne sir pe udta hua device pakad ke table pe rakh diya.
Conners:- kya tumhara aur koi sawal hai tu pucho.
Khushal:- me bhut khush hu lekin kya aap log is promotion ke sath kuch benifits bhi add karenge kya?
Conners:- yes offcourse, tumhara ration level seven kar diya jayega tumhari security double ho jayegi aur tumhe ek high-tech apartment bhi provide kiya jayega.
Khushal:- thanxx
Aur apna sir jhuka ke chala gaya...
TO BE CONTINUED ??