UPDATE 3
“Kuchh mila?” Ayush ne ek kitab ke panne palat te huye puchha.
“Naa.. kuchh nahi… Tumhe?” Goli bhi ek section mein kitab pe kitab palte ja raha tha.
“Nahi yaar… lagta nahi kuchh milega.” Ayush ne nirash hokar Kitab wapis rakhdi.
“Hey Ayush…”
Achanak se pichhe se awaj ayi toh Ayush ekdum sakpaka sa gaya. Usne pichhe palat kar dekha. “Ohhh… hey Ritika… tum yahan?”
“Ofcourse mein yahan…. Vaise tum yahan kya kar rahe ho?” Ritika ne halka sa hanste huye puchha.
“Nahi wo… main toh bas… bas wo….” Ayush ke paas koi bhi jawab nahi tha.
“wo main ek book dhundh raha tha mere class project ke liye.. mil hi nahi rahi…” tabhi Goli pichhe se wahan tapak pada.
“hashh... bacha liya....” Ayush ne man hi man socha aur chain ki saans li.
“Konsi book dhundh rahe the tum log… mujhe batao shayad main kuchh help kar sakun…” Ritika ne kaha.
“han wo hum.... woh Goli batayega....” Ayush ne Goli ki taraf ishara karte huye kaha.
“Goli...?” Ritika ne confused sa hokar puchha.
“han woh mere hi project ke liye chahiye thi... Yeh toh bas meri help kar raha tha...And humne already Dhundh liya hai sab jagah... shayad yahan nahi hai… “ Goli ne bhi Ayush ki baat Cover karne ki puri kosish ki.
“kya huya… tum dono yun ajeeb sa behave kion kar rahe ho?” Ritika ne un dono ko dekhte huye kaha. “is everything alright?”
“han… Sab badiya… kion Goli?” Ayush ne bola.
“Han… han sab theek hi toh hai… shayad tumhe kuchh galatfehmi huyi hai…Actually shayad humein abhi yahan se jana chahiye...” Goli ne nakli si Hansi hanste huye kaha aur sath hi Ayush ko wahan se nikalne ka ishara bhi kiya.
“actually i am sorry Ritika... but humein jana hoga… chal Goli...” woh dono Ritika ko bye bol kar wahan se jaldi se nikal gaye.
“Kamaal hai... inko achanak kya huya...uff... these guys are so weird...” Ritika ne khud se hi kaha aur un dono ko jate dekhti rahi.
“Yaar tu itna ajeeb kion pesh a raha tha usse?... you have to be normal... nahi toh sab sochenge ki pata nahi kya huya hai humein...” Goli ne Ayush se kaha.
“sale main bhade ka actor hun kya... ab main uske samne ho jata hun nervous toh aur kya karta... uper se yeh chutiya sa nishan... mera dimag kharab karke rakha hai...” Ayush gusse mein bola.
“are yaar tu gussa bahut karta hai kabhi kabhi... main toh aise hi keh raha tha taki use shak na ho jaye... chal chhod tu bata ab kya karein?” Goli ne Ayush ke kandhe par hath rakhte huye kaha.
“Ab kya kar sakte hain... jitna dhundh sakte the dhundha... ab aur kya karein...” Ayush nirash hokar bola.
“han baat toh teri sahi hai... chal tu ghar jake aram kar main bhi apne ghar jake kuchh pata lagane ki kosish karta hun tab tak...kuchh na kuchh pata chal hi jayega...” Goli ne kaha.
“Han yaar... Vaise bhi bahut thak gaye... sala pehli baar ehsaas huya ki school ki library itni badi hai...” Ayush ne kaha.
Goli halka sa hans diya par Ayush ka munh abhi bhi utra tha.
“tu tension mat le... kuchh na kuchh ho hi jayega.... ab chal ghar chalte hain...” Goli ne use samjhate huye kaha aur fir dono wahan se apne ghar ki taraf chal pade.
“aaawhhhhh....” Ayush gusse mein chilaya aur usne apna bag apne bed par patak diya.
“Yaar yeh Symbol ki maa ki aisi ki taisi... behanchod Chahta kya hai koi mujhse...” Ayush ne chidhte huye kaha...
Ayush ne apni pocket se unmein se ek paper ko bahar nikala. “sala hai kya ismein... aur yeh kisi ne sirf teen hi kagaz kion diye.... Uske baad kuchh kion nahi diya...” usne kagaz ko ek baar fir se Gaur se dekha. Usne use uper ki taraf uthaya. Seedha kiya... ulta kiya... Fir palta... Fir ulti taraf se dekha... Tabhi woh achanak use dekhte dekhte Window ke samne chala gaya.
“wow....” uske munh se bas yahi nikla. “Is it true... or am i watching a dream...did i just solve the mystery.” Use khud par yakeen nahi huya. Usne gaur se dekha toh us paper ki ulti side kuchh adhure se symbol bane huye the. Sab pata chal raha tha ki unko tod kar chhapa gaya hai. “Its looking like a secret message...par Inka baaki hissa kahan hai...Ek minute... so that’s the reason behind three of them... wooohooooo... i am the genius....” Ayush khusi se chilaya aur usne baaki ke dono paper bhi pocket se nikal liye...
Usne unko gaur se dekha toh sab ek jaise hi the. Toh usne window ke samne khade hokar un papers ko ek dusre ke uper rakh kar dekha. “naaah.... baat nahi ban rahi...” usne fir unko rearrange kiya aur fir se kuchh tute fute se aksar ban gaye. Usne fir se try kiya... Ek baar aur... Ek baar aur and then achanak se raaz se parda uth hi gaya...
“yup... Yeh huyi na kuchh baat... par ab yeh kya nayi problem hai... Yeh toh kisi paheli ki taraf lag rahi hai...par yeh likha kya hai....” Ayush ne use padhna shuru kiya...
“Phoolon ki Tokri mein nanha sa Phool.
Angan mein raha tha jhula jhool.
Bachpan beeta aur yadon pe dhool.
Itni jaldi gaye kya bhool.
Daayein na bayein.
Seedha jayein.
Yadon ki potli se khoya huya payein.”
“ab yeh kya bawaseer hai bhenchod.” Ayush ek baar fir nirash ho gaya. “kya yaar BC... ghoom ghoom ke wahin a gaye... Yeh hai kon jo mere sath paheli paheli khel raha hai...jhantu kahin ka...” Ayush Nirash hokar bed par baith gaya. Tabhi uske phone ki Ring tone baji.
“oye kuchh pata chala...” Goli ne Ayush se puchha.
“ab kya bataun...Han bhi aur nahi bhi...” Ayush ne jawab diya.
“matlab...” Goli bola.
“matlab yaar kuchh nahi... Tu ek kaam kar mere ghar aja tujhe puri baat batata hun...” Ayush ne jawab diya.
“Theek hai bas do minute mein aya.” Goli ne itna bol kar phone kaat diya aur Ayush ke ghar jane ke liye nikal pada.
“Bhenchod yeh kya baat huyi... paheli pe paheli hi suljhate raho...” Goli ne Ayush ki puri baat sunne ke baad kaha.
“ab kya karein... jo hai so hai... agar iska raaz pata karna hai toh paheli toh suljhani hi padegi na...Yaar ek kaam kar tu kuchh soch tab tak main jara washroom hoke aya...” Ayush wahan se uth kar washroom mein hi chala gaya aur Goli abhi bhi Living Room mein baitha tha.
“Han par ab kon pata lagaye... kya pata konsi Tokri... konsa Phool... aur yeh hai kya bakwas mujhe toh kuchh samajh mein nahi a raha...” Goli khud se hi badbadaya aur Un papers ko Uthakar khidki ke samne chala gaya... “Abe bhai wo paheli kahan gayi?” Goli unchi awaj mein chilaya.
“Abe yaar dhyan se dekh... papers ke pichhe hi toh hai...” Ayush ne washroom se hi jawab diya.
“Are bhai nahi... tune toh bola tha ki sunlight mein message dikhta hai... par yahan toh kuchh bhi nahi hai...” Goli bola.
“achha... Tu ruk main aya do minute...” Ayush ne jawab diya.
“han dikha kya huya...” Ayush ne Goli ke hath se woh papers liye aur khidki ke samne rakhkar dekha. “are han... Yahan toh kuchh bhi nahi hai... par mere kamre mein jab maine dekha tab toh paheli thi is par.” Ayush Hairan hokar bola.
“Toh ab kya huya... Sunlight toh ek hi hai na... tere kamre mein konsa alag se suraj ugta hai...” Goli bola.
“Ab woh mujhe nahi pata... par main jhuth thode na bol raha hun... chal ek kaam kar tu mere sath chal main tujhe dikhata hun...” Ayush Goli ko lekar apne kamre ki taraf chal pada. Usne Ander jaate hi Window ke samne papers kiye aur Paheli dikhne lagi.
“Ab dekha... Maine kaha tha na...” Ayush ne bola.
“han par aise kaise ho sakta hai.... lagta hai paper mein kuchh technical glitch huya hai...” Goli hanste huye bola.
“Abe gadhe ki gaand... koi glitch-blitch nahi hai... pakka iske peeche koi kaaran hoga... Thoda dimag laga shayad kuchh hint hi mil jaye...” Ayush ne Goli se kaha.
“ab Ismein kya kaaran hoga... shayad yahan se suraj ka angle alag ban raha hoga.... chal Geometry Box lakar dekhte hain....” Goli apni hi bakwas pele ja raha tha par Ayush ko pura yakeen tha ki use kuchh tagda hath laga hai.
“par kya... kya ho sakta hai hint... Aisa kya hai mere kamre ki khidki mein jo living room mein nahi hai...” Ayush khidki se bahar dekhte huye sochne ki kosish kar raha tha. “Backyard" Ayush achanak jor se bola.
“kya... backyard ko kya huya.” Goli Confused sa hokar bola.
“Abe backyard hi wo hint hai jo humein paheli ke jawab tak pahunchayega.”Ayush khush hote huye bola.
“Par kaise...” Goli ko kuchh samajh nahi a raha tha.
“Ruk tujhe samjhata hun... Pehle tu paheli bata ki kya hai...” Ayush ne Papers Goli ko diye. Goli ne bina kuchh bole woh papers Khidki ke samne kiye aur Paheli padhne laga.
“Phoolon ki Tokri mein nanha sa Phool.
Angan mein raha tha jhula jhool.
Bachpan beeta aur yadon pe dhool.
Itni jaldi gaye kya bhool.
Daayein na bayein.
Seedha jayein.
Yadon ki potli se khoya huya payein.”
Goli ne puri paheli padhi.
“Ab dekh... Phoolon ki Tokri matlab Rosebowl... hamara Sehar... nanha sa Phool matlab main... ab tu yaad kar ki jab hum chhote huya karte the toh mere backyard mein jhula huya karta tha... jo theek isi khidki ke samne hota tha...Baad mein use wahan se hata diya gaya tha... kuchh yaad aya?” Ayush ne Goli ko yaad dilane ki kosish ki.
“han lekin us jhule se paheli ka kya lena dena....” Goli abhi bhi confuse hi tha.
“Abe dhakkan... age ki line padh... likha hai... Daayein na bayein... seedha Jayein... matlab jis taraf jhule ka chehra hota tha us taraf hi kuchh hai...” Ayush ne kaha.
“ab jhule ka chehra toh isi taraf ko tha... matlab tere kamre mein hai kya kuchh...” Goli ne apna dimag lagane ki kosish ki.
“han mana ki mera kamra uske samne hai... par yahan par yaadon ki potli kahan hai... Sab kuchh toh naya hai kamre mein...” Ayush ne jawab diya.
“Toh fir aur kya ho sakta hai... jhule ke samne?” Goli bhi soch mein pad gaya.
“Pata nahi yaar... Ek minute... lag gaya pata...” Ayush jor se chilaya aur kamre ke bahar ki taraf chal pada.
“Abe kahan ja raha hai... Mujhe toh bata..” Goli uske peeche bhagte huye bola.
“are meri bulbul... yadon ki Potli mil gayi tere bhai ko....” Ayush khush hote huye bola.
“Par kahan..” woh dono bolte bolte peeche ke darwaje se backyard mein pahunch gaye.
“yahan...” Ayush ne Basement ki seedion ki taraf ishara karte huye kaha joki theek uske kamre ke neeche se jaati thi.
“Par yahan kya milega... Sab kabad toh ander daal rakha hai...” Goli bola.
“Are bhool gaya... mera khilone ka box... jismein main apne sare khilone daal kar rakha karta tha...” Ayush ne kaha.
“Han woh purana sa lakdi ka box... yaad aya..” Goli ne jawab diya.
“Han toh fir wahi toh hai yadon ki potli... chal ab time waste mat kar... kal se pareshan ho raha hun...” Ayush ne seedian utarte huye kaha.
“Han par kya pata usmein ek aur Paheli mil jaye...” Goli bhi uske peeche peeche chal pada..
“Are bhai shubh shubh bol... is baar kuchh nahi hoga... pakka kuchh kaam ki cheez hath lagegi...” Ayush atamvishwas ke sath bola.
“kya pata koi khazane ka naksha ho...” Goli ki bhi ankhon mein chamak a gayi.
Ayush ne jaldi se basement ka darwaja khola aur light on ki.Sab jagah makdi ke jaale lage huye. Puri basement purane furniture aur bigde huye appliances se bhari padi thi.
“Ohoooo... Yahan toh pura horror house bana rakha hai... par tera woh mystery box kahin dikhayi nahi de raha...” Goli ne idhar udhar dekhte huye kaha.
“Ek minute shanti rakhega?” Ayush ne halke gusse se kaha aur diwar ke sath padi huyi chhoti si ladder utha kar ek Badi si shelf ke neeche laga di...
“isko pakad kar rakhna... main uper se box utaar leta hun...” usne Goli ko seedi thamayi aur khud uper chadh kar ek bada sa ladki ka sanduk utha kar niche a gaya.
“yeh rahi hamari yadon ki potli...” usne box ko neeche rakha aur ek phoonk maar kar uske uper ki dhool hatane ki kosish karne laga. Is chakkar mein dhool Goli ke uper ud gayi.
“offoo... Ek kaam kar pura mere sir mein daal de...” Goli ne gussa karte huye kaha...
“Are sorry yaar... galti se ho gaya..” Ayush ne kaha.
“han theek hai... chal ab khol ise... dekhein toh sahi kon sa khazana chhipa hai yahan...” Goli bola.
“Han han kholta hun...” Ayush ne Dhire se us box ko khola aur achanak ek chhota sa dhamaka huya aur bulb fat gaya. Basement mein ek dum andhera ho gya. Un dono ki fat kar hath mein a gayi. Dono andhere mein idhar udhar takrate huye darwaje tak pahunchne ki kosish kar rahe the.
“bhai mera toh phone bhi band ho gaya achanak... Tu apne wale se light toh kar thodi.” Ayush ne awaj dekar kaha.
“Abe mera toh living room mein hi pada hai... Yaar mujhe bahut dar lag raha hai... mere pure hathon pe makdi ke jaale lag gaye...” Goli almost rote huye bola...
“koi na dar mat... Tu bas darwaja dhundhne ki kosish kar...” Ayush ne use dilasa dete huye kaha par asal mein Uski bhi fat chuki thi.
“Han mil gaya...” Goli ke hath mein darwaje ka handle laga toh woh khusi se uchhal pada. Tabhi achanak........
TO BE CONTINUED......