• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy The Ring of Light

bd sharkar

Active Member
1,826
5,077
158
UPDATE 1​

“Good Morning Rosebowl. Main hun apki apni Anjali. Aur ap sun rahe hain Rosebowl Radio. Apki mast subah ko aur mast banane ke liye suniye ek tadkata fadkata gaana.” Radio par koi Gaana play hone laga aur Ayush bhi omelette banate banate uske sath gun guna raha tha.

“Mera Dil Tere liye hi…. Lalalala"

“Ayush kya kar rahe ho beta. Mujhe der ho rahi hai.” Bahar se Madhu ki awaj ayi.

“Aya mom bas do minute.” Ayush ne jawab diya aur fir se gaane ke sath jhumte huye coffee aur omelette banane laga.

Kuchh der baad usne nashta dinning table par laga diya. “Breakfast is ready.” Ayush jor se chilaya aur tabhi uski mom hath me suitcase liye apni shirt sahi karte huye seedion se neeche utri.

“Han bas Ayi… do minute..” Madhu kafi jaldi mein lag rahi thi.

“Are mom ap kion sara din paglon ki tarah bhagti rehti ho. Thoda khud ke liye bhi time nikala karo.” Ayush ne Suitcase Madhu ke hath se lete huye kaha.

“oh shit… main apna laptop toh room mein hi bhool gayi.” Madhu ne mathe par hath maara.

“Are mom ap aram se baithiye aur nashta kijiye main jakar abhi apka laptop le ata hun.” Ayush ne Madhu ko kandhe se pakad kar chair par bithate huye kha.

“Ohhh… thanks Honey.” Madhu ne pyar se Ayush ke gaal pe hath firaya. Ayush ne samne se ek pyari si smile paas ki aur uper ki taraf chal pada.

“Lalalala… mera dil tere liye… hi dhadhke meri janejana…” Ayush abhi bhi wahi gaana gungunate huye ja raha tha. Usne Madhu ke room ka darwaja khola aur idhar udhar dhundhne laga.

“Lalala. Kahan hai tu … kahan chhipa hai re tu…” Ayush ne fir se usi gaane ki dhun gungunayi aur laptop dhundhne laga.

“fuck man... Yeh mom ke room mein sab kitna bikhra pada hai.” Usne idhar udhar bikhre kapdon ko dhyan se dekhte huye kaha. Tabhi uski nazar ek chhote se kaale bag par padi.

“aha... Yeh raha laptop...” Ayush ne bag liya aur wahan se nikal kar niche ki taraf chal pada. Uske pahunchne tak Madhu ne apna breakfast khatam kar liya tha aur woh apne kapde theek karke chair se khadi huyi.

“Thank you baby.” Madhu ne Laptop bag Ayush ke hath se liya aur sath hi apna suitcase bhi utha liya. Usne age badh kar Ayush ke gaal par ek halki si kiss ki aur use bye bol kar wahan se nikal padi.

“Hashhh... mom time se tyar ho gayi. Ab main bhi jaldi se khana khake tyar ho jata hun nahi toh Goli kabhi bhi yahan tapak padega.” Yeh soch kar Usne jaldi se khana khaya aur School ke liye tyar ho gaya.

“Ting Tong" Darwaje ki ghanti baji.

“Lagta hai Goli a gaya.” Ayush ne khud se hi kaha. “Aya... do minute”...woh jor se chila kar bola.

Ayush ne fatafat apna school bag uthaya aur bahar ki taraf chal pada. Usne Darwaja khola “are Goli.” Itna bolte hi woh chup ho gaya kionk wahan koi bhi nahi tha.

“Kamal hai.” Usne hairan hote huye kaha. Idhar udhar dekha par koi nazar nahi aya. Tabhi jameen par ek kagaz ka tukda pada dikhayi diya. Ayush ne jhuk kar use uthaya toh kuchh khaas nahi tha. Bas ek ajeeb sa nishan.

“Ab yeh kya hai?” Ayush ne us Sign ko gaur se dekhte huye kaha. Par kuchh samajh mein nahi aya.

“Ayushhh.”

Ayush ko Goli ki awaj sunayi di. Usne dekha toh wo apne cycle par uske ghar ke samne khada tha. Ayush ko dekhte hi usne hath hilaya.

“han bas aya...” Ayush ne samne se jawab diya. Usne us paper ko fold karke pocket mein daala aur darwaje ko lock laga kar Garage ki taraf chal pada. Usne apni cycle wahan se nikali aur garage band kardi.

“Yaar aja... late ho jayega...” Goli chilate huye bola.

“han han.. bas a hi raha hun.” Ayush ne jaldi se apni cycle street par nikali aur pedal maar kar nikal pada school ki aur.

“kya huya pareshan sa lag raha hai.” Goli ne cycle chalate huye Ayush ki taraf dekh kar kaha.

“Nahi kuchh nahi. Bas mom ki tension ho rahi thi.” Ayush ne age dekhte huye hi jawab diya.

“Tension mat le.... She is a fighter yaar... jab unhone itne saal sab kuchh manage kar liya hai toh age bhi kar hi lengi.” Goli ne kaha.

“han pata hai but aj kal woh kuchh jyada hi kaam karti hain. Mujhe dar hai ki kahin unki tabiyat hi kharab na ho jaye.” Ayush ne chinta mein kaha.

“chill dude... kuchh nahi hoga... Tu hai na unka khyal rakhne ke liye...” Goli ne Ayush ki taraf muskurate huye kaha.

Ayush ne kuchh nahi kaha bas halki si muskaan ke baad woh age dekh kar cycle chalata raha.

“achha tune math ke test ki tyari karli?” Goli ne Ayush se puchha.

“han ki toh hai.... par kuchh pale nahi pada...” Ayush ne jawab diya.

“Tension mat le... asaan hi hai.” Goli bola.

“Han tujhe toh lagega hi.... miss Nandini ka chamcha jo thehra.” Ayush ne Goli ko chhedte huye kaha aur woh samne se ladkion ki tarah Sharma gaya aur Ayush use dekh kar hasne laga.

Dono ne school pahunch kar cycle parking mein apne cycle park kar diye aur School ki taraf jaane lage. Tabhi unke theek samne se bijli ki raftaar se ek bike nikli. Woh bike itni tezi se nikli ki Goli ki toh fat kar hath mein a gayi.

“Awww.... Yeh kya tha.” Goli chaukte huye bola.

“kuchh nahi wahi chutiya hoga... Rocky...” Ayush ne munh banate huye kaha.

“aise kon chalata hai... Agar uske paas bike hai toh aisi harkatein karega?” Goli gusse mein bola.

“chhod na yaar... woh hai hi aisa...” Ayush ne Goli ke kandhe par hath rakh kar use apne sath lekar school ki taraf chal pada.

“Pata nahi hamare paas bike kab ayegi?” Goli ne puchha.

“A jayegi bhai.” Ayush bola.

“Pata nahi kab ayegi.” Goli badbadaya. Woh dono apni class mein chale gaye.

“kaisa raha tera test?” Ayush ne Class se niklte huye Goli se puchha.

“Ekdum badiya.... Tu bata...” Goli ne jawab diya.

“han theek hi ho gaya. Mujhe toh laga tha ki fail hi ho jaunga but jyada mushkil nahi tha.” Ayush ne khus hote huye kaha.

“bola toh tha maine.” Goli ne jawab diya. Tabhi usne dekha ki Ayush use sunne ki bajaye kahin aur hi dekh raha hai. Usne uski ankhon ka peechha kiya toh woh Ritika ko dekh raha tha. Woh apni do sahelion ke sath batein karte huye unki taraf hi a rahi thi.

“Yeh nahi sudhrega" Goli ne sir jhatkate huye kaha. “are bhai use ankhon se hi nighal jayega kya.”

Goli ki baat sunkar Ayush thoda sakpaka sa gaya. Usne aise acting ki jaise use kuchh pata hi na. “kya huya... kiski baat kar raha hai.”

“Achha sale... Tu..” abhi Goli itna bola hi tha ki tabhi kisi ke ladne ki awaj ane lagi. Un dono ne garden ghuma kar dekha toh wo Ritika hi thi.

“Ab isko kya huya.” Goli ne puchha.

“mujhe kya pata... Chal kar dekhte hain.” Ayush itna bolte huye uski taraf chal pada.

Wahan aur bhi students ikathe hone lage aur Ritika jor jor se chilla rahi thi. “tum andhe ho kya jo tumhe itna bada insaan dikhta nahi hai.” Ritika Rocky par jor jor se chilla rahi thi.

“han nahi dikhta... kya kar legi..” Rocky ne ankhein dikhate huye jawab diya.

“Tujhe toh main...” itna bol kar Ritika ne apne hath ki mukki banayi aur seedha Rocky ke naak par de maari. Sab bache jor jor se hasne lage. Unhe haste huye dekh kar Rocky jhalla utha.

“Behanchod.” Usne gaali dete huye Ritika ko dhakka de diya aur woh seedha Ayush se ja takrayi. Ayush ne kisi tarah khud ko aur Ritika... Dono ko sambhal liya.

“thank you.” Ritika ne Ayush ko kaha.

Isse pehle ki Ayush kuchh bol pata Rocky baghte huye unki taraf aya. Jise Ayush ne dekh liya aur usne Ritika ko side kar diya. Itne mein saand ki tarah chilate huye Rocky ne seedha sir Ayush ke ribs mein de mara aur woh peeche ki taraf gir pada. “ahhhhh" uske munh se ek jor ki cheekh nikli.

“Ayush..” Goli chilate huye uski taraf bhaga.

“kya chal raha hai yahan?” Tej awaj mein principal Bansal chilaye aur sabhi ke sabhi bache ek dum shant ho gaye. Rocky toh chup chap wahan se nikal gaya.

Bansal ne Ayush ko jameen par gira dekha “kya huya Ayush?”

Ayush ne jawab dene se pehle nazar ghuma kar Ritika ki taraf dekha aur socha ki agar ladayi ka bataya toh Ritika bhi fas jayegi. “Sir woh main gir gaya tha.” Usne badi safayi se jhuth bolte huye kaha.

“kaise gir gaye... dhyan se chalna chahiye tumhe...jyada chot toh nahi lagi?” Bansal ne apni bhari awaj mein puchha.

“Nahi sir.... i am fine.” Ayush ne jawab diya.

“Tum log yahan kya khade ho... Koi tamasha ho raha hai kya?” Bansal wahan khade bachon par chilate huye wahan se chala gaya aur baaki bache bhi apne apne raste chal pade. Goli ne Ayush ko jameen se khada kiya. Usne apne kapde saaf kiye aur ribs ko halka sa sehlane laga.

“i am really very sorry...”

Ayush ke kaanon mein Ritika ki pyari si awaj padi. Uski tone Rocky ke sath ladte waqt bilkul alag hi thi.

“that’s ok...” Ayush ne muskurate huye jawab diya.

“And thanks for saving me.... By the way I’m Ritika...” usne apna hath age badhate huye kaha. Ayush jaise apna pura dard bhul gaya ho. Usne jhat se apna hath age badha kar handshake kar liya.

“Hi... Ayush... nice to meet you...” Ayush ne bateesi nikalte huye kaha.

“Sala aise natak kar raha hai jaise use janta hi na ho.” Goli apne Man mein badbadaya.

“I know it was not a really good meeting.” Ritika ne muskurate huye kaha toh Ayush bhi halka muskura diya. “i am really sorry once again and how are you now?” Ritika ne puchha.

“don’t worry... main theek hun.” Ayush ne jawab diya.

Ritika ne use apni friends se introduce karwaya toh usne bhi Goli ka parichay karwa diya. Thodi der aur batein karne ke baad woh apne ghar jane ke liye nikal gayi aur Goli aur Ayush bhi bahar ki taraf chal pade.

“Tu kion kab se mujhe ghure ja raha hai?” Ayush ne Goli se puchha.

“kuchh nahi... par tere lachhan theek nahi lag rahe mujhe.” Goli bola.

“kion maine kya kiya... Ab kisi ki help karna koi buri baat hai kya?” Ayush ne safayi di.

“Nahi lekin tu aj kal us ladki ki taraf kuchh jyada hi dhyan de raha hai.” Goli bola.

“han... kuchh bhi... chal jaldi se ghar chal mujhe aur bhi kaam hain..” itna bol kar Ayush tezi se cycle parking ki taraf chal pada.

“han bachu... Kab tak bhagega mujhse?” Goli ne man hi Man socha aur uske peeche peeche wo bhi chal pada.

Ayush jaise hi apne cycle ke paas pahuncha toh use apne cycle ke uper ek paper pada huya dikhayi diya usne use utha kar dekha toh fir se wahi subah wala nishan tha. “yeh sab kon kar raha hai?” Ayush soch mein pad gaya.

“Kya huya aise kya khada hai?” Pichhe se Goli ki awaj ayi. Ayush ne jaldi se woh paper apni pocket mein rakha aur muskurate huya bola “kuchh nahi mote... tera wait kar raha tha...”

Goli ko uska bartaw kuchh ajeeb sa laga par usne usse kuchh puchha nahi aur woh dono wahan se apne ghar ki taraf chal pade.

(Thanks for reading guys. This is the first update of the story. Please give me your thoughts and opinions on the content and writing style. Your comments will help me improve.

Thank you.)
Excellent update
 
Mr. Marvel

Active Member
531
2,096
123
congrets for new thread bro
superbb update bro
and nice start
ye ajeeb se sign ka kya lafda tha jo bar bar hero ke samne aa rha h
or ritika ke sath 1st encounter bhi kafi accha rha
behatrin update bro
superbb update bro
ye kya paheli - paheli khel rha h koi apne hero k sath
dekhte h kya hi milta h unhe yaado ki potali m

Thanks bhai. Keep supporting and age chalkar story ke sabhi raaz khulte jayenge. Ap bas sath bane rahiye.
 
Mr. Marvel

Active Member
531
2,096
123
UPDATE 3A

“Han mil gaya...” Goli ke hath mein darwaje ka handle laga toh woh khusi se uchhal pada. Lekin isse pehle ki wo darwaja kholta… Tabhi achanak us andhere kamre mein ek green si light chamkane lagi.

“Ayush… bhai yeh kya hai…” Goli ne Us box se ati huyi light ko dekhte huye kaha. Tabhi wo Light dheere se uper ki taraf uthane lagi. Uska prakash itna jyada tha ki un dono ki ankhein chaundiya uthi.

“Yaar kuchh dikhayi nahi de raha….” Ayush ne ankhon par hath rakh kar light se bachne ki kosish ki par wo use abhi bhi mehsus kar pa raha tha. Thodi der baad wo light thoda kam hone lagi. Ayush ne dheere dheere se apni ankhein kholi.

“oh my god…” Ayush ke munh se bas itna hi nikla. Ek chamchamati huyi Ring uske ankhon ke samne hawa mein tair rahi thi. Goli ne Ayush ki awaj sunkar apni ankhein kholi toh uski bhi fat kar hath mein a gayi.

“bhai… Yeh hai kya… aur yeh hawa mein kaise ud rahi hai…” Goli ko apni ankhon par yakeen hi nahi ho raha tha.

“bhai lagta hai isi ke liye yeh sab ho raha tha… par yeh hai kya…” Ayush ne dheere se apna hath Anguthi ki taraf badhaya.

“Abe ruk…” Goli ne chilla kar Ayush ko roka… “agar kuchh gadbad ho gayi toh… dekh ise chhod aur yahan se bhaag…”

“saale tu itna darta kion hai... aur aisi bhi kya gadbad ho jayegi...” Ayush ne Goli ko daant te huye apna hath age badha kar us Ring ko apni Muthi mein pakad liya...

“Kuchh huya... aise hi sale ki fat ti rehti hai...” Ayush ne Goli ko woh Ring dikhate huye kaha.

“Han yaar... sach mein kuchh bhi nahi huya...” Goli ne khush hote huye kaha.

“kaisi lag rahi hai...” Ayush ne woh Ring apni ungli mein pehan kar Goli ko dikhayi.

“Han achhi lag....” abhi Goli itna hi bola tha ki tabhi usne dekha ki Ayush achanak hawa mein uth gaya aur ek tez raushni ka dhamaka huya.

“Ayush...” Goli chilaya par woh us light ke ander kuchh dekh nahi pa raha tha. Bas use Ayush ke chilane ki ek awaj ayi. Woh ek dum se ghabra gaya aur Ayush ki taraf bhaga.

“Ayush... Ayush...” Ayush ko Goli ki awaj sunayi di par isse pehle wo kuchh bol paata uski ankhon ke samne ek andhera sa chhaa gaya.

“toh tum a hi gaye... Mujhe tumhara hi intezar tha...”

Ayush ke kaanon mein Ek bhaari aur buddhi si awaj padi. Par use kuchh samajh mein nahi a raha tha ki woh hai kahan. Har taraf andhera hi andhera tha. Usne idhar udhar dekha toh use kuchh bhi dikhayi nahi diya.

“Kise dhundh rahe ho... Yahan koi nahi milega... bas tum aur main...” us Awaj ne fir se Ayush ko bola.

“Par tum ho kon... aur main kahan hun...” Ayush ne us awaj se puchha...

“main kon hun... is baat ka koi mahatav nahi hai... Lekin tum wahin ho.... Yahan tumhe hona chahiye... Apne antarman mein...” us awaj ne utar diya.

“Lekin mujhe yahan kion hona chahiye. Kya main mar chuka hun....” Ayush ne swaal kiya..

“nahi bache... tum abhi bhi jinda ho... aur antarman murdon ke nahi huya karte...” awaj ne utar diya.

“Lekin tum kya chahte ho mujhse...” Ayusb bola.

“kuchh nahi... Tumhare paas filhal toh aisa kuchh nahi hai... jo tum mujhe de sako... aur main yahan kuchh lene nahi... dene aya hun...” Awaj ne utar diya.

“Lekin mujhe kuchh nahi chahiye... Mujhe bas yahan se bahar nikalo...” Ayush ne kaha.

“yahi toh Manushya ki samasya hai ki woh kabhi apne man ke bheetar jhank kar nahi dekhna chahta....” Awaj ne utar diya.

“Mujhe nahi pata tum kya chahte ho... par plz mujhe yahan nahi rehna... Mujhe kuchh samajh mein nahi a raha...” Ayush ne haath jod kar kaha.

“mera kaam tumhe pareshan karna nahi hai... bas itna kehna chahta hun ki apne ap ko pehchano... tumhari jarurat hai sab ko... “ awaj ne kaha.

“kisko jarurat hai meri.... aur apne ap ko pehchanne se kya matlab hai tumhara...” Ayush ne puchha...

Par samne se koi jawab nahi aya... Ayush ne apna swaal dohraya par fir se koi utar nahi...

“Ayush... ayush..” Goli ki awaj uske kaanon mein padi toh Ayush ek dum se uth kar baith gaya...

“Kya huya... kahan hun main...” Ayush ne idhar udhar dekha toh usne khud ko apne bed par paya. Goli uske bagal mein baitha tha...

“hashh... sale dara diya tha mujhe... behanchod nikal is ring ko abhi...” Goli ne gusse mein chillate huye woh Ring nikal kar window se bahar fenk di.

“Kya huya... Tu itna gusse mein kion hai...” Ayush ne Goli se puchha...

“pata nahi... Tu achanak behosh ho gaya tha... Maine bola tha na tere ko ki woh ghatiya ring mat pehan...” Goli ne use daant te huye kaha.

“Han theek hai bhai... nahi pehanunga... ab tu shant hoja...” Ayush ne Goli se kaha.

“Han theek hai... Tu yahin aram kar main paani lekar aya...” Goli wahan se uth kar bahar chala gaya aur Ayush abhi bhi us sapne ke bare mein soch raha tha.

“kya woh sapna hi tha... yah fir sach mein aisa huya... main behosh kaise ho gaya...” Ayush apne bed se utha aur window ke bahar dekhne laga. Use woh Ring kahin bhi dikhayi nahi di.

“Lagta hai Goli sahi hi keh raha hai... Mujhe usse dur hi rehna chahiye...” Ayush ne man mein hi socha aur wapis akar bed par baith gaya.

“yeh le bhai paani pee le..” Goli ne paani ka gilas Ayush ko dete huye kaha.

Ayush ne jaise hi paani lene ke liye hath badhaya toh uska dhyan apni ungli mein Anguthi par gaya. Isse pehle ke Goli use dekh pata usne dusre hath se paani le liya aur woh wala hath blanket ke ander chhipa liya.
 
Zaigham Bhatti

Active Member
934
2,997
138

Awesome update 👍👏👏👏👍👍👍👍
 
Top