UPDATE 1
“Good Morning Rosebowl. Main hun apki apni Anjali. Aur ap sun rahe hain Rosebowl Radio. Apki mast subah ko aur mast banane ke liye suniye ek tadkata fadkata gaana.” Radio par koi Gaana play hone laga aur Ayush bhi omelette banate banate uske sath gun guna raha tha.
“Mera Dil Tere liye hi…. Lalalala"
“Ayush kya kar rahe ho beta. Mujhe der ho rahi hai.” Bahar se Madhu ki awaj ayi.
“Aya mom bas do minute.” Ayush ne jawab diya aur fir se gaane ke sath jhumte huye coffee aur omelette banane laga.
Kuchh der baad usne nashta dinning table par laga diya. “Breakfast is ready.” Ayush jor se chilaya aur tabhi uski mom hath me suitcase liye apni shirt sahi karte huye seedion se neeche utri.
“Han bas Ayi… do minute..” Madhu kafi jaldi mein lag rahi thi.
“Are mom ap kion sara din paglon ki tarah bhagti rehti ho. Thoda khud ke liye bhi time nikala karo.” Ayush ne Suitcase Madhu ke hath se lete huye kaha.
“oh shit… main apna laptop toh room mein hi bhool gayi.” Madhu ne mathe par hath maara.
“Are mom ap aram se baithiye aur nashta kijiye main jakar abhi apka laptop le ata hun.” Ayush ne Madhu ko kandhe se pakad kar chair par bithate huye kha.
“Ohhh… thanks Honey.” Madhu ne pyar se Ayush ke gaal pe hath firaya. Ayush ne samne se ek pyari si smile paas ki aur uper ki taraf chal pada.
“Lalalala… mera dil tere liye… hi dhadhke meri janejana…” Ayush abhi bhi wahi gaana gungunate huye ja raha tha. Usne Madhu ke room ka darwaja khola aur idhar udhar dhundhne laga.
“Lalala. Kahan hai tu … kahan chhipa hai re tu…” Ayush ne fir se usi gaane ki dhun gungunayi aur laptop dhundhne laga.
“fuck man... Yeh mom ke room mein sab kitna bikhra pada hai.” Usne idhar udhar bikhre kapdon ko dhyan se dekhte huye kaha. Tabhi uski nazar ek chhote se kaale bag par padi.
“aha... Yeh raha laptop...” Ayush ne bag liya aur wahan se nikal kar niche ki taraf chal pada. Uske pahunchne tak Madhu ne apna breakfast khatam kar liya tha aur woh apne kapde theek karke chair se khadi huyi.
“Thank you baby.” Madhu ne Laptop bag Ayush ke hath se liya aur sath hi apna suitcase bhi utha liya. Usne age badh kar Ayush ke gaal par ek halki si kiss ki aur use bye bol kar wahan se nikal padi.
“Hashhh... mom time se tyar ho gayi. Ab main bhi jaldi se khana khake tyar ho jata hun nahi toh Goli kabhi bhi yahan tapak padega.” Yeh soch kar Usne jaldi se khana khaya aur School ke liye tyar ho gaya.
“Ting Tong" Darwaje ki ghanti baji.
“Lagta hai Goli a gaya.” Ayush ne khud se hi kaha. “Aya... do minute”...woh jor se chila kar bola.
Ayush ne fatafat apna school bag uthaya aur bahar ki taraf chal pada. Usne Darwaja khola “are Goli.” Itna bolte hi woh chup ho gaya kionk wahan koi bhi nahi tha.
“Kamal hai.” Usne hairan hote huye kaha. Idhar udhar dekha par koi nazar nahi aya. Tabhi jameen par ek kagaz ka tukda pada dikhayi diya. Ayush ne jhuk kar use uthaya toh kuchh khaas nahi tha. Bas ek ajeeb sa nishan.
“Ab yeh kya hai?” Ayush ne us Sign ko gaur se dekhte huye kaha. Par kuchh samajh mein nahi aya.
“Ayushhh.”
Ayush ko Goli ki awaj sunayi di. Usne dekha toh wo apne cycle par uske ghar ke samne khada tha. Ayush ko dekhte hi usne hath hilaya.
“han bas aya...” Ayush ne samne se jawab diya. Usne us paper ko fold karke pocket mein daala aur darwaje ko lock laga kar Garage ki taraf chal pada. Usne apni cycle wahan se nikali aur garage band kardi.
“Yaar aja... late ho jayega...” Goli chilate huye bola.
“han han.. bas a hi raha hun.” Ayush ne jaldi se apni cycle street par nikali aur pedal maar kar nikal pada school ki aur.
“kya huya pareshan sa lag raha hai.” Goli ne cycle chalate huye Ayush ki taraf dekh kar kaha.
“Nahi kuchh nahi. Bas mom ki tension ho rahi thi.” Ayush ne age dekhte huye hi jawab diya.
“Tension mat le.... She is a fighter yaar... jab unhone itne saal sab kuchh manage kar liya hai toh age bhi kar hi lengi.” Goli ne kaha.
“han pata hai but aj kal woh kuchh jyada hi kaam karti hain. Mujhe dar hai ki kahin unki tabiyat hi kharab na ho jaye.” Ayush ne chinta mein kaha.
“chill dude... kuchh nahi hoga... Tu hai na unka khyal rakhne ke liye...” Goli ne Ayush ki taraf muskurate huye kaha.
Ayush ne kuchh nahi kaha bas halki si muskaan ke baad woh age dekh kar cycle chalata raha.
“achha tune math ke test ki tyari karli?” Goli ne Ayush se puchha.
“han ki toh hai.... par kuchh pale nahi pada...” Ayush ne jawab diya.
“Tension mat le... asaan hi hai.” Goli bola.
“Han tujhe toh lagega hi.... miss Nandini ka chamcha jo thehra.” Ayush ne Goli ko chhedte huye kaha aur woh samne se ladkion ki tarah Sharma gaya aur Ayush use dekh kar hasne laga.
Dono ne school pahunch kar cycle parking mein apne cycle park kar diye aur School ki taraf jaane lage. Tabhi unke theek samne se bijli ki raftaar se ek bike nikli. Woh bike itni tezi se nikli ki Goli ki toh fat kar hath mein a gayi.
“Awww.... Yeh kya tha.” Goli chaukte huye bola.
“kuchh nahi wahi chutiya hoga... Rocky...” Ayush ne munh banate huye kaha.
“aise kon chalata hai... Agar uske paas bike hai toh aisi harkatein karega?” Goli gusse mein bola.
“chhod na yaar... woh hai hi aisa...” Ayush ne Goli ke kandhe par hath rakh kar use apne sath lekar school ki taraf chal pada.
“Pata nahi hamare paas bike kab ayegi?” Goli ne puchha.
“A jayegi bhai.” Ayush bola.
“Pata nahi kab ayegi.” Goli badbadaya. Woh dono apni class mein chale gaye.
“kaisa raha tera test?” Ayush ne Class se niklte huye Goli se puchha.
“Ekdum badiya.... Tu bata...” Goli ne jawab diya.
“han theek hi ho gaya. Mujhe toh laga tha ki fail hi ho jaunga but jyada mushkil nahi tha.” Ayush ne khus hote huye kaha.
“bola toh tha maine.” Goli ne jawab diya. Tabhi usne dekha ki Ayush use sunne ki bajaye kahin aur hi dekh raha hai. Usne uski ankhon ka peechha kiya toh woh Ritika ko dekh raha tha. Woh apni do sahelion ke sath batein karte huye unki taraf hi a rahi thi.
“Yeh nahi sudhrega" Goli ne sir jhatkate huye kaha. “are bhai use ankhon se hi nighal jayega kya.”
Goli ki baat sunkar Ayush thoda sakpaka sa gaya. Usne aise acting ki jaise use kuchh pata hi na. “kya huya... kiski baat kar raha hai.”
“Achha sale... Tu..” abhi Goli itna bola hi tha ki tabhi kisi ke ladne ki awaj ane lagi. Un dono ne garden ghuma kar dekha toh wo Ritika hi thi.
“Ab isko kya huya.” Goli ne puchha.
“mujhe kya pata... Chal kar dekhte hain.” Ayush itna bolte huye uski taraf chal pada.
Wahan aur bhi students ikathe hone lage aur Ritika jor jor se chilla rahi thi. “tum andhe ho kya jo tumhe itna bada insaan dikhta nahi hai.” Ritika Rocky par jor jor se chilla rahi thi.
“han nahi dikhta... kya kar legi..” Rocky ne ankhein dikhate huye jawab diya.
“Tujhe toh main...” itna bol kar Ritika ne apne hath ki mukki banayi aur seedha Rocky ke naak par de maari. Sab bache jor jor se hasne lage. Unhe haste huye dekh kar Rocky jhalla utha.
“Behanchod.” Usne gaali dete huye Ritika ko dhakka de diya aur woh seedha Ayush se ja takrayi. Ayush ne kisi tarah khud ko aur Ritika... Dono ko sambhal liya.
“thank you.” Ritika ne Ayush ko kaha.
Isse pehle ki Ayush kuchh bol pata Rocky baghte huye unki taraf aya. Jise Ayush ne dekh liya aur usne Ritika ko side kar diya. Itne mein saand ki tarah chilate huye Rocky ne seedha sir Ayush ke ribs mein de mara aur woh peeche ki taraf gir pada. “ahhhhh" uske munh se ek jor ki cheekh nikli.
“Ayush..” Goli chilate huye uski taraf bhaga.
“kya chal raha hai yahan?” Tej awaj mein principal Bansal chilaye aur sabhi ke sabhi bache ek dum shant ho gaye. Rocky toh chup chap wahan se nikal gaya.
Bansal ne Ayush ko jameen par gira dekha “kya huya Ayush?”
Ayush ne jawab dene se pehle nazar ghuma kar Ritika ki taraf dekha aur socha ki agar ladayi ka bataya toh Ritika bhi fas jayegi. “Sir woh main gir gaya tha.” Usne badi safayi se jhuth bolte huye kaha.
“kaise gir gaye... dhyan se chalna chahiye tumhe...jyada chot toh nahi lagi?” Bansal ne apni bhari awaj mein puchha.
“Nahi sir.... i am fine.” Ayush ne jawab diya.
“Tum log yahan kya khade ho... Koi tamasha ho raha hai kya?” Bansal wahan khade bachon par chilate huye wahan se chala gaya aur baaki bache bhi apne apne raste chal pade. Goli ne Ayush ko jameen se khada kiya. Usne apne kapde saaf kiye aur ribs ko halka sa sehlane laga.
“i am really very sorry...”
Ayush ke kaanon mein Ritika ki pyari si awaj padi. Uski tone Rocky ke sath ladte waqt bilkul alag hi thi.
“that’s ok...” Ayush ne muskurate huye jawab diya.
“And thanks for saving me.... By the way I’m Ritika...” usne apna hath age badhate huye kaha. Ayush jaise apna pura dard bhul gaya ho. Usne jhat se apna hath age badha kar handshake kar liya.
“Hi... Ayush... nice to meet you...” Ayush ne bateesi nikalte huye kaha.
“Sala aise natak kar raha hai jaise use janta hi na ho.” Goli apne Man mein badbadaya.
“I know it was not a really good meeting.” Ritika ne muskurate huye kaha toh Ayush bhi halka muskura diya. “i am really sorry once again and how are you now?” Ritika ne puchha.
“don’t worry... main theek hun.” Ayush ne jawab diya.
Ritika ne use apni friends se introduce karwaya toh usne bhi Goli ka parichay karwa diya. Thodi der aur batein karne ke baad woh apne ghar jane ke liye nikal gayi aur Goli aur Ayush bhi bahar ki taraf chal pade.
“Tu kion kab se mujhe ghure ja raha hai?” Ayush ne Goli se puchha.
“kuchh nahi... par tere lachhan theek nahi lag rahe mujhe.” Goli bola.
“kion maine kya kiya... Ab kisi ki help karna koi buri baat hai kya?” Ayush ne safayi di.
“Nahi lekin tu aj kal us ladki ki taraf kuchh jyada hi dhyan de raha hai.” Goli bola.
“han... kuchh bhi... chal jaldi se ghar chal mujhe aur bhi kaam hain..” itna bol kar Ayush tezi se cycle parking ki taraf chal pada.
“han bachu... Kab tak bhagega mujhse?” Goli ne man hi Man socha aur uske peeche peeche wo bhi chal pada.
Ayush jaise hi apne cycle ke paas pahuncha toh use apne cycle ke uper ek paper pada huya dikhayi diya usne use utha kar dekha toh fir se wahi subah wala nishan tha. “yeh sab kon kar raha hai?” Ayush soch mein pad gaya.
“Kya huya aise kya khada hai?” Pichhe se Goli ki awaj ayi. Ayush ne jaldi se woh paper apni pocket mein rakha aur muskurate huya bola “kuchh nahi mote... tera wait kar raha tha...”
Goli ko uska bartaw kuchh ajeeb sa laga par usne usse kuchh puchha nahi aur woh dono wahan se apne ghar ki taraf chal pade.
(Thanks for reading guys. This is the first update of the story. Please give me your thoughts and opinions on the content and writing style. Your comments will help me improve.
Thank you.)