• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy The Secret Island (Completed)

mrDevi

There are some Secret of the past.
946
2,091
124
Very nice update bro.
Thanks
 
  • Like
Reactions: Abhishek Kumar98

mrDevi

There are some Secret of the past.
946
2,091
124
Gauri Ji ke ghar

Suabh ki kirno ke sath din ka aarambh hua, aur dhire-dhire roshni khidki se kamare kai andar aati gayi. Vikrant bistar par halka sa hilne laga, uski aankhen dheere se khulne lagi. Jab usne aankhen kholi, toh usne mehsoos kiya ki kuch ajib ho raha hai. Uske sharir par jadibuti ke lep se dhak huva tha, jiski sugandh kamre mein feli huvi thi. Usne apne sharir ko sparsh kiya, apne ghavo ko dekha, jo kafi had tak bhar chuke the. Vikrant ko aashcharya huva.

Apni nazar neeche karte hue, usne Gauri Ji ko dekha, jo neeche jamin par so rahi thi. Unka chehra sukoon aur pyaar se bhara hua tha. Vikrant ne Gauri ke mathe par halka sa haath phera, unhe uthane ki koshish ki. Gauri Ji ne thodi der mein chauk kar uth gayi. Jab usne Vikrant ka chehra dekha, toh muskurahat uske chehre par chamak gayi.

Gauri Ji: Ab kaisa mehsoos kar rahe ho? (usne pyaar se puchha, uski awaaz mein asli chinta thi.)

Vikrant: Main ab achha hoon, lekin yeh jadibutiyo ke sugandh se ab abjib se badbu aa rahi hai.

Gauri Ji: Yeh ek achha sanket hai, (usne ashvasan dete hue kaha.) Yeh jadibutiyan tumhare ghavon ke liye bahut faydemand hain. Shayad yeh acchi sugandh nahi hai, lekin yeh tumhari bhalai ke liye kaam kar rahi hain.

Ek tasalli bhari muskurahat ke saath, Gauri Ji ne pyaar se Vikrant ke kandhe par apna haath rakha, phir khadi ho gayi.

Gauri: Tum araam karo. Main ham dono ke liye kuch nashta taiyar kar leti hu.

Wo kamre ke bahar chal di, snanghar ki or badhate hue. Thande pani se snan ne, unhe taza kar diya, pichle din ki thakan ko utar diya. Fir unhone apni saari pehni jo wo aam taur pe pahanti hai. Fir rasoy ghar me aake, unhone Vikrant aur apne liye nashta taiyar karne ka kaam shuru kiya. Gauri ne taaza, haldi wala doodh garm banya, aur garam rotiya.

Jab usne Vikrant ke samne sab rakha, toh Vikrant ne pooch hi liya, Aapka nashta kahaan hai?

Gauri ki aankhein ek garam muskurahat ke saath chamak gayi, uske gaal par thoda sa sharm se laal huva. Usne jawab diya, '

Gauri: Tum shuru karo, main tumhare liye jadibuti ka ras tayyar kar rahi hoon, main thodi der mein aati hu.

Jab Gauri jane lagi to Vikrant ne dheere se uska haath pakda, usko saath mein baithane ke liye samjhane ki koshish karte hue. Uski awaaz mein pyaar aur zor tha.

Vikrant: Nahi, hum saath mein khaayenge, warna main bhi kuch nahi khaunga.

Gauri ka dill uske pyaar bhare anurodh par pighal gaya aur usne sehmati di: Theek hai, theek hai, hum saath mein khaayenge.

Wo ek sath nasta karne lage. Kamare me chupi cha gayi. Vikrant Gauri ke chehre ko dekhe ja rha tha.

Gauri ne uski aakho ko dekha aur ek chedne wali muskurahat ke saath puchha: Tum aese kya dekh rahe ho?

Vikrant ki awaaz mein pyaar tha jab usne kaha: Aaj aapka chehra bahot hi khoobsurat lag raha hai.

Gauri ki hansi Vikrant ke kaanon mein sangeet ki tarah gunj rahi thi, Guari apni hansi ke sath kehti hai.

Gauri: Main roz hi aisi hi dikhti hoon.

Vikrant: Nahi, aaj aap alag ho. App meri zindagi ki farishte ho, Aapne mujhe do baar bachaya hai, aur main kabhi bhi aapka karz nahi chukta kar sakunga.

Gauri, aisi prashansa ko sun ne ki aadi nahi thi. Unke gaal gulabi ho gaye. Unki aankhon mein aabhar aur sharm ka mishran tha, aur woh namrata ko dikhate huye muskurayi.

Gauri: Tum isko zyada bana rahe ho.

Unhone dheere se kaha, apni bhavnaon ko chhupane ki koshish karte hue.

Gauri: Logo ki madad karna toh mera farz hai, jo zarooratmand log hain uska khayal rakhna mera kam hai.

Vikrant ne thoda aur paas aake, unki aankhon ko dekha.

Vikrant: Lekin aise nahi, Kya aapne kisi aur ke liye, Raat bhar unke pass aese soyi hai? Unke liye nashta tayyar kiya hain?


Gauri ki gaal phir se gulabi ho gayi, aur uski muskurahat badh gayi. Usne apne dil main ek udan mehsoos ki.

Gauri: Bas ab tum nasta khatam karo, aur main tumhare liye woh ras tayyar kar leti hoon.

Wo rasoy ghar mein waapas aa gayi, unka dil abhi bhi udne ke jaisa mehsoos kar raha tha, unke vicharon ne usko Vikrant ke prashansa ko yaad karke, unke gal sharm se aur gulabi ho jata hai, aur woh muskurane lagti hai.
 
Last edited:
Top