• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy The Secret Island (Completed)

mrDevi

There are some Secret of the past.
946
2,091
124
Beautiful, nice ❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️💖💖💖💖💖💖💖💖💖🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨💝💝💝💝💝💝💝💝💝💝💝🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷💕💕💕💕💕💕💕💕💕

Next Update
Rat ko likhunga, Aa month ka last saturday hey to aaj office chalu he. To rat ko update aayega.
 
  • Like
Reactions: Abhishek Kumar98

mrDevi

There are some Secret of the past.
946
2,091
124
Bhai kahani to ek dam zabardast ja rahi hai
Bhai thoda bada update do or font ka size increase kardo bhut chota hai padne mein bhut dikkat hoti
Thank you dost.

Job ki wajah se me bada update nahi likh pata. Muje rat ke 1 ya 1.5 hours hi milta hai. To usi time me jitna likh sakta hu utna likhta hu, isske liye mafi chahunga.
Or me font size ko bada kr dunga, next update se, or old updates ko bhi us hisab se change kr dunga.

Thanks once again
 
  • Like
Reactions: Abhishek Kumar98

Riky007

उड़ते पंछी का ठिकाना, मेरा न कोई जहां...
19,343
40,094
259
बढ़िया अपडेट देवी भाई

लगता है एक प्रेम कहानी बनने वाली है गौरी और विक्रांत के बीच में।
 
  • Like
Reactions: mrDevi

Dharmendra Kumar Patel

Nude av or dp not allowed. Edited
3,290
6,404
158
बहुत ही लाजवाब कहानी
 
  • Like
Reactions: mrDevi

mrDevi

There are some Secret of the past.
946
2,091
124
Gauri rasoyghar me Vikrant ke liye jadibutiyan ka ras tayar kar rahi thi. Vikrant kamare me bistar par leta huva, soch me duba huva tha. Uska man kisi ki yad me khoya huva tha. Jo bilkul Gauri ki tarah uska khayal rakha karti thi. Vikrant ki aankh se aansu beh nikalte hai.

Gauri kamare me hath me ras se bhara huva pyala lekar aati hai, Kamare me aate hi usne Vikrant ki aankhon me aansu dekhe to chinta me Vikrant se puch bethi.

Gauri: Kya huva? Ro kyu rahe ho?

Vikrant: Kuch nahi bas ghar ki yad aa rahi thi. Ki kab ja paunga wapis?

Gauri: Kyu tum yaha nahi reh sakte?

Vikrant: Nahi, Gauri ji me hamesa to yaha nahi reh skta na! Ghar pe meri ma he jo mera intezar kar rahi hogi. Meri chinta me aansu baha rahi hogi. Unko me akela chod ke yaha nahi reh skta na.

Gauri: Ohh, To tum yaha se chale jaoge.

Gauri ka chehra udas ho jata hai.

Vikrant: Ha jana to padega hi. Lekin jesa rani ji ne kaha tha, uske liye abhi waqt hai. Pata nahi wo waqt kab aayega.

Gauri(Dheere se khud ko bolti hai): Wo waqt kabhi na aaye.

Vikrant ne kuch halke sabd sune to usne pucha.

Vikrant: Kya? Aap kya boli?

Gauri: Ji kuch nahi.

Tabhi ghar ke mukhya darwaza ko khatkhatati huvi awaz aati hai. Gauri Vikrant ko pyala deke darwaza kholne chali jati hai. Jese hi darwaza kholti hai, uske samne mahal ki sainik khadi hoti hai. Gauri usko dekh ke gabhara jati hai aur sochati hai, Kahi Vasundhara ne to nahi bheja isse.

Sainik: Pranam, Guari ji.

Gauri: Ji kahiye!

Sainik: Raani ji ka bulava tha. Unhe aapse bat karni thi.

Gauri: Ji thik hai me aa jaungi.

Sainik: Ji, Rani ji ne kaha he agar Vikrant ji ki bi tabiyat thik ho to wo bhi aa jaye.

Gauri: Ji thik hai, me unse puch lungi, agar wo aa sakte ho to sath me aayenge.

Sainik: Thik hai, me chalti hu.

Gauri sainik ke jane ke bad, chinta me Vikrant ke pass chali jati hai. Use pata to tha hi ki Rani unke sath hai. Par kya pata rajya ki suraksha ke liye Rani kuch bhi nirnay le sakti hai.

Gauri wapis kamre me jati hai, aur Vikrant se kehati hai.

Gauri: Rani ji ne hume bulaya hai.

Vikrant: Ha to fir chalte hai, iske darne ki kya bat hai?

Gauri: Muje dar hai ki kahi Vasundhara aur Anandita tum ko kaidi banane ki soch ko Rani ji se firse kaha ho. Aur Rajya ki suraksha ke liye wo man gayi ho.

Vikrant: To isme galat kya hai, Agar mene jane ke waqt tak muje kaidi rehna pade to muze manjur hai.

Gauri: Aese kese bewajah kaidi banna?

Vikrant: To fir aap dar kyu rahi ho? Chaliye chalte hai.

Gauri: Ha thik hai, par tum naha to lo, ki aese hi chalna hai?

Vikrant(haste huve): Naha to lunga par pehnuga kya? Mere kapde to ladai ke waqt hi fat gaye the. Usse pehan kar to Rani ji ke samne nahi ja skte na.

Gauri: Ha ye bhi hai, lekin kya kar sakte hai, abhi to naye vastro ka intezam bhi nahi ho skta.

Vikrant: Chalo thik hai, jesa bhi hal he chalete hai.

Gauri Vikrant ko snanghar dikhati hai. Vikrant nahane chala jata hai. Tande pani se nahane se uske badan me kampan uth jati hai. Vikrant apne sarir se ragad ragad ke jadibutiyan ka lep hataata hai. Aur fir pani dal ke khud ko saf kar deta hai.

Nahake bahar ke bad Vikrant fir se apne purane kapde pahan leta hai. Aur mahal jane ke liye tayar ho jata hai. Par use Gauri kamre me dikhay nahi de rahi thi. Wo Gauri ko dhundhta huwa, dusare kamare ma jata hai.

Waha Gauri kamare lagatar chinta me chalte huve chakkar laga rahi thi. Vikrant usse dekh kar puchata hai.

Vikrant: Kya hua, Gauri Ji, aise chakkar kyun laga rahi ho?

Gauri: Kuch nahi, chalo, chalte hai.

Vikrant aage chalne lagta hai, aur bahar aajata hai. Par dekhata hai ki Gauri uske sath nahi aayi thi.

Vikrant wapis us kamare me jata hai, aur dekhta hai ki Gauri ki aankhon se aansu beh rahe the.

Vikrant: Kya hua? Aur aap aese ro kyu rahi ho?

Gauri: Pata nahi, mujhe Mahal jaane mein dar lag raha hai.

Vikrant: Arre, kuch nahi hoga mujhe, aap chinta mat karo.

Gauri bas khade khade aankho se aansu bahaye ja rahi thi. Vikrant kuch samajh nahi aa raha tha ki kya kare. Wo Gauri ke chehre ko apne hatho se pyaar se thaam leta hai, aur apne hotho ko Gauri ke hotho pe pyaar se rakh deta hai, aur Gauri ke hoth ko pyaar se chumne lagta hai. Gauri Vikrant ke is kadam se chauk jati hai. Wo kuch nahi karti, bas waise hi khadi rehti hai. Thodi der Gauri ke hoth ko chumne ke baad Vikrant piche hat jata hai. Gauri usko dekhti hai, uske aankhon mein sharm aur pyaar ki bhaavnaaen dekhkar. Unka mann tham jata hai, aur aansu tham jate hain.

Vikrant kamre se bahar chala jata hai, aur Gauri ka intezar karne lagta hai. Thodi der baad, jab Gauri ka mann sant ho jata hai, woh bahar aati hai. Vikrant use dekhta hai, uske chehre par ab sharm ke rang chadh gaye hain.

Gauri (Sharmate hue): Chalo, chalte hain.

Vikrant (majak mein): Aise hi chalna hai, aapke aansu se bhare chehre ko dekhkar, Vasundhara Ji ka shaq yakeen mein badal jayega, aur woh mujhe kaid kar lengi.

Vikrant ki is baat par Gauri uski chati pe mukka marti hai, aur fir apna muh dhone chali jati hai. Gauri ke aane ke baad, dono mahal ki aur chal dete hain.
 

krish1152

Well-Known Member
5,613
16,375
188
nice update
 
  • Like
Reactions: Smith_15 and mrDevi
Top