- 926
- 2,076
- 124
Bhai rat ko aayega abhi job pe huNext update please

Vikrant kothari mein leta hua tha, apne atit ko yaad kar raha tha. Usko apni family ki bahut yaad aa rahi thi. Usne socha ki kaise wo yahan aaya, kis tarah tufani raat mein fasa aur yahan tak pahuncha. Tabhi Gauri aati hai.
Gauri: Kaise ho?
Vikrant apne khayalon mein khoya hua tha aur usko pata hi nahi chala ki Gauri aa gayi hai, jo uski jach karne aur dawai dene aayi hai.
Gauri: Vikrant....
Vikrant: Arey, aap kab aayi?
Gauri: Jab tum apne khayalon mein khoye huye the. Kis baare mein soch rahe the?
Vikrant: Main apni maa ke baare mein soch raha tha. Wo kaise akeli rehti hogi? Mere dost kaise honge? Sab mujhe bahut yaad aa rahe hai.
Gauri: Ohoo, waise tum sab ke baare mein soch rahe ho, apne pita ke baare mein nahi sochte?
Vikrant: Wo to kai saal pehle hi Bhagwan ke paas chale gaye. Mujhe aur meri maa ko akela chhod kar.
Gauri: Ohoo, achha ab sochna bandh karo. Safai ka waqt hai, waise tumhare ghav ab kafi bhare huye hain. Kal tak shayad tum uth-baith sakoge.
Aise hi do din beet jate hain, Vikrant aur Gauri mein dosti hone lagi thi. Roz Gauri aati hai, Vikrant ke ghav saaf karti hai, use dawa pilati hai. Thodi der dono baatein karte hain, phir Gauri chali jaati hai.
Vikrant ab dheere dheere sakta hai. Use apne saaf kapde de diye the. Tabhi Vasundhara aur Anandita aati hain, saath mein teen sainik bhi hote hain, unke haathon mein bediyan hoti hain. Woh kothri mein aate hain.
Vasundhara: Vikrant, aaj tumhe Rani ke paas jaana hai.
Vikrant: Haan, pata hai.
Vasundhara: Tumhe kaise pata?
Vikrant: Ji, Gauri ji ne bataya tha. Aaj meri baari hai.
Vasundhara: Thik hai.
Fir sainikon ko kehti hain.
Vasundhara: Vikrant ko badiya pehna do.
Vikrant: Ji, iski koi jarurat nahi hai.
Vasundhara: Vikrant, humne suna hai, Gauri ne bataya hai. Tumse unki dosti bhi hai. Tumhara vyavhaar bhi unke saath accha hai, lekin hum aise hi bharosa nahi kar sakte.
Sainik Vikrant ke haath aur pairo mein bediyan laga dete hain, woh araam se chal sake, utni hi chhoot thi. Vikrant aaj kayi dino baad kothari se bahar nikla tha. Dhup se uski aankhe chondhian rahi thi.
Woh sab dhire-dhire mahal ki aur badh rahe the.
Thodi der baad sab mahal ke darbar mein they. Vikrant ko darbar ke beech mein khada kiya gaya tha. Singhasan par Rani bethi thi.
Rani ne ek laal rang ki resham ki saree pehni hui thi, jo uske sharir ko khoobsurat dhang se dhak rahi thi. Saree uske charan tak fail kar, uske adbhut saundarya ko aur bhi prakashit kiya huva tha. Rani ke blouse saree ke samaan laal rang ka tha, jisme se unke stan ki gehri khai dikh rahi thi, jisse uska guara rang aur bhi nikhar raha tha.
Uske gale mein ek bhavya sone ka haar dikh raha tha, jiska chamakta hua locket uske hriday ko chhu raha tha. Uske mathe par ek mukut bhi saja hua tha.
Rani ke dudh se guare pait uske sharir ki mahilaai saundarya ko aur bhi adhik mahsus karata tha. Uski naabhi, ek vishesh roop se bhinnata ki ek chhavi thi. Rani ki sajawat aur uska abhushan uski rajshi sthiti aur uske aakarshan ko aur bhi pramukh bana rahe the.
Rani: Naam kya hai tumhara?
Vikrant: Ji, Vikrant.
Rani: Yahan kyun aaye ho?
Vikrant: Ji, main aaya nahi hoon, apne aap aa gaya hoon.
Rani: Jhooth mat bolo.
Vikrant: Ji, main jhooth nahi bol raha.
Rani: Kahan se aaye ho?
Vikrant: Ji, main Gujarat se hoon, par main yahan kaise hoon?
Rani: Yahan kaise aaye?
Vikrant: Ji...
Rani (Chillate hue): Bolo, varna abhi maut ka hukum jari kar deti hoon.
Vikrant raute hue, vahi beech mein beth jata hai, phir vahi bethe bethe bolta hai.
Vikrant: Ji, main merchant navy mein kaam karta tha.
Rani: Navy? Ye kya hota hai?
Vikrant: Ji, vyapari jahaaz.
Vikrant: Us jahaz pe hum teen dost the. Hum Arab desh se samaan lekar vapas aa rahe the. Usi yatra ke doran mujhe pata chala ki samaan ke saath nasheele padartho ki herapheri ho rahi thi.
Vikrant: Ye baat maine apne dono doston ko bata di. Hum teeno humare kaptaan ko batane ja rahe the, tabhi kisi ne piche se mere sir par hamla kar diya. Main wahi behosh ho gaya.
Vikrant: Jab aankh khuli to main aur mera dost rassi se bandhe hue the. Aur hamare saamne hamara kaptaan aur mera teesra dost khada tha. Hamara dost hamare paas aaya aur apne piche se chhaku nikala, usse mere dost ke gale pe chala diya. Uske gale se khoon behne laga, aur woh wahi mar gaya.
Vikrant: Uske baad mujhe jahaaz se lagi ek halat mein bhi battar ek boat pe chadhaya gaya, aur mujhe mere haal pe chhod diya gaya. Boat nahi chal sakti thi. Usi raat samundar mein toofan aaya, andhadhund baarish ho rahi thi, aur ek bijli aake boat se takrayi, use tabah kar diya., Jaise taise karke boat ke toote ek lakdi ke bade tukde pe reh kar maine raat guzari. Us raat ke baad meri aankhon mein andhera cha gaya. Jab aankh khuli, to main kothari mein leta hua tha.
Apni baat poori karne ke baad, woh fut-fut ke rone lagta hai, aur bolta hai:
Vikrant: Mere dost ko bina kisi galati ke mar diya gaya. Mujhe bina kisi galti ke samundar mein chod diya gaya. Meri maa ko apni aulad se juda hona pada.
Vikrant: Aapko abhi bhi lagta hai ki main yahaan apni marzi se aaya hoon? Ye konsi jagah hai jiske baare mein mujhe pata bhi nahi hai.
Rani, Vasundhara, Anandita, aur baaki mantri sab chup the. Vikrant ke atit ki kahani ne sab ko shabdahin kar diya.
ये टाइम पोर्टल वाली कहानी लग रही मुझे।Vikrant kothari mein leta hua tha, apne atit ko yaad kar raha tha. Usko apni family ki bahut yaad aa rahi thi. Usne socha ki kaise wo yahan aaya, kis tarah tufani raat mein fasa aur yahan tak pahuncha. Tabhi Gauri aati hai.

ThanksIntersting story hai
Ye aapko bad me pata chalega.ये टाइम पोर्टल वाली कहानी लग रही मुझे।
वैसे बढ़िया अपडेट है, पर रानी किससे बात कर रही थी ये नही बताया?
ThanksNice Update