king cobra
Well-Known Member
- 5,258
- 9,921
- 189
New update post kr diya heAgle update ka intezaar hai
Superb update ab lagta hai ladai hogiDarbar mein bane jarokhe ki jali se ek saya sabko dekh raha tha. Uski aankhein Vikrant par tikin hui thi. Usne safed rang ka choga odha hua tha, jo use alag dikhata tha. Uske chehre par vyakulata aur soch ki gehraiyon ke bhav ka mishran tha, jaise ki woh kisi mahatvapurna baat par gahan vichar kar raha ho.
Rani apne singhasan par baithi thi aur Vikrant ke baare mein soch rahi thi. Vikrant wahi beech mein khada hua tha, raani ke faisle ka intezar kar raha tha.
Raani: Tum soch rahe hoge ki, ye konsi jagah hai? To ye Prakriti Dwip hai, jo ki Hind Sagar ke beech mein ek chhota sa dvip hai. Abhi ke liye sirf itna janna tumhare liye kafi hai.
Raani: Tumhari baat sunke, hume tumse sahanubhuti hai. Par ye hamare rajya ki suraksha ka mamla hai. Tumhe apne desh wapis jana hoga. Par uske liye abhi sahi waqt nahi hai. Pehle hume jaan na hoga ki tum yahaan kaise pahuche.
Vikrant aur baaki sab rani ki baat ko chupchap sun rahe the.
Raani: Abhi ke liye tum yahan reh sakte ho. Par tumhe hamare sabhi kanunon ko manana padega. Tumhe yahaan rehne ke liye ek ghar diya jayega. Aur agar hamein maloom pada ki tumne koi harkat ki hai to phir tumhe wapas usi kothari mein daal diya jayega.
Vikrant: Ji...
Raani: Yaha jo bhi rehta he use kam krna padta he, to tumhe yaha astabal me rakhe ghodo ki dekhbhal karni hogi.
Vikrant: Ji...
Raani: Vasundhara, Iske rehne ka intazam krdo. or dhayan rhe, Ye kille ki bahar nahi ja sakta.
Vasundhara: Ji, raani ji.
Raani: Ye sabha yahi barkhast ki jati hain.
Sabha ke bakhshish hone ke baad, sab apne apne kamo per chale jaate hain. Rani nagar ke daure pe chali jaati hain.
Vasundhara, Vikrant, aur Anandita teeno samanya logon ke liye bane gharo ki or chal padte hain.
Vikrant: Vasundhara ji, ek baat kehni thi.
Vasundhara: Haan, bolo.
Vikrant: Mujhe Gauri ji ke ghar ke paas rehne ko mil sakta hai? Woh kya hai ki main yahaan kisi aur ko nahi jaanta, aur Gauri ji se meri achi baat hoti rehti hai to...
Vasundhara: Koshish karte hain, agar koi khali ghar hua to de denge.
Vikrant: Ji, shukriya.
Teenon pehle mahal mein bane ek daftar mein jaate hain, wahan se maloom karne ke liye ki Gauri ke ghar ke paas koi khali ghar hai ya nahi. Pata karne ke baad, teeno Gauri ke ghar pahunchte hain aur unke ghar ka darwaza khatkhatate hain.
Gauri: Aap teeno yahaan!
Vasundhara: Ji, woh rani ji ka faisla tha ki, jab tak iska jaane ka waqt nahi aata, tab tak yeh yahi rahega.
Vasundhara: Aur Vikrant ki yeh ichha thi ki usko aapke ghar ke aas paas koi ghar mile.
Gauri aashcharya se Vikrant ko dekhti hai.
Vikrant: Ji, aap se achi baat hoti hai isliye.
Gauri: Haan, yahaan pas me to nahi, par 3-4 ghar chhod ke shayad koi ghar hoga.
Anandita: Haan, wo to hum puch ke aaye hai. Bas aap ko khabar karne aaye the. Varna aap kothri chali jaati, iski janch aur dawa ke liye.
Gauri se baat karke teeno us ghar ki or chale jaate hain, jahan Vikrant ko rehna tha.
===========================================
Prakriti Dwip se thodi aage ek aur dwip tha, Agni Dwip.
Us dwip ke ek khandhar-numa jagah mein ek aadmi, sharab ke nashe mein pada hua tha. Uska kad koi 7 feet tak hoga. Uske haath, ek hi mukke mein aadmi ko dair kar de, aise the. Uske chehre par kai ghavon ke nishan the. Usne sher ke chamde se bane hue kapde pehne the, jo use rakshas jaise dikhata hai.
Tabhi wahaan koi aata hai. Usne apne aap ko kali saal se dhak kar rakha tha, taki use aasani se pehchana na ja sake.
Vyakti: Hukum, rajya mein ek ladka aaya hai. Rani ne use rajya mein rehne ki manzoori di hai.
Aadmi: Uski itni himmat ki, woh kisi aadmi ko rehne ki manzoori de. Uske chehre pe aisa gussa tha, mano woh abhi kisi ke tukde tukde karke mar dalega.
इंट्रेस्टिंगDarbar mein bane jarokhe ki jali se ek saya sabko dekh raha tha. Uski aankhein Vikrant par tikin hui thi. Usne safed rang ka choga odha hua tha, jo use alag dikhata tha. Uske chehre par vyakulata aur soch ki gehraiyon ke bhav ka mishran tha, jaise ki woh kisi mahatvapurna baat par gahan vichar kar raha ho.

Thank you.Superb update ab lagta hai ladai hogi
Thanks.इंट्रेस्टिंग
अब लगता है रानी की फिर शामत आने वाली है, या फिर उसे छुटकारा?