Update 122
Mai un teeno ko lekar ghar ke andar gya to dekha ki mama or mami ko rambha ne freez kr diya hai or baki aaram se bate kr rhe hai.
Mai : rambha ye sab kya hai.
Rambha: ye idhar udhar bahut hi the the to Mai inhe freez kr diya to aapki mami ji bhi mujhe inhe chhodne ko bolne lgi to maine inhe bhi freez kr diya .
Mai: thik hai ab free kro inhe.
Free hote hi dhanraj apne purane sathiyo ko dekh kr thoda achambhe me pad gye.
Mai : kya hua mama ji yhi hai na aapke purane dost.(Ranjit se) chalo ab bolo jis liye tumhe laya gya hai.
Ranjit (varsha se) hume maaf karna bhabhi hum college ke samay aapne Jo mujhe thappad maar kr bejjit kiya tha uska badla hum lena chahte the or isliye hum ne us raat hum ne ek plan banaya ki rajveer ko sarab pila kr hum use uske parivar valo ke sath ladva denge fir raajveer ko fasa kr jail me dalva denge fir varsa se apne apmaan ka badla aaram se le lenge .
Dhanraj: saalo kamino tum log mere sath aisa karna chahte the.
Mai : ruk jao mama ji inhe aage to bolne dijiye ha bhai bol.
Amrish : raajveer ko ek or beti paida hone pr bahut afsos go rha tha isliye hume vo moka mil hi gya or jis din hum ne raajveer ko sarab pilai or usko khub bhadkaya jisse vo apne bahan ke bete ko marne pr utaru ho gya or hum usko mar kr raajveer ka nam le dete jisse vo jail chala jata or hum aish karte.
(Ab se dhanraj ko Mai raajveer likhunga)
Varsa: (raajveer se) wah ji wah Matlab aap bhi beta beti me fark karne lag gye tabhi Mai sochti thi ki aap Neelam ko itna pyar kyo nhi dete hai are tiger vo bhi to apne bete jaisa hai fir aapne use marne ki kosis ki mujhe to sarm aa rhi hai apko apna pati mante huye, aap to aisa nhi sochte the beta ho ya beti sabhi ek saman mante hai or tiger bhi to apne hi bete jaisa hai fir aap ne use marne ki kosis ki or iljam iske dada ji pr laga diya ki ye tumhe marna chahte hai .
Raajveer: mujhe maaf kr do varsha Mai inlogo ke bahkave me aa gya tha or itni badi galti kr di jiske karan Mai apni bahan se hi dur ho gya mujhe maaf kr do tiger Mai tumhe marvane ki kosis ki , Mai aarti or tumhare ghar vale sabhi se maafi mag lunga jisse mere karan taklif hui .
Mai : koi bat nhi mama ji aap be mafi mang li or aapne Jo bhi kiya sab inlogo ke bahkave me aakar kiya chaliye ab sab thik ho gya hai Mai kal hi maa or papa ko yha bula leta hu vo log bhi aap logo se mil kr khus ho jayenge.
Raajveer: ha bula lo beta Mai unse humara or Divya ki shadi ki bat bhi kr lunga ,ab to tum Divya se shadi kroge na,beta agar tum ne na kr diya to uski jindgi kharab ho jayegi .
Mai : mama ji Mai Divya se shadi nhi karunga.
Raajveer: kyo beta .
Mai : Mai aapka paisa bachana chahta hu.
Raajveer: beta tum Divya se shadi nhi kroge to humari nak kt jayegi isme Mai paise bacha ke kya karunga mujhe to kuch samjh me nhi aa rha hai .
Mai: ye bat aap apne ghar valo se hi puch lo.
Meri is bat pe sabhi hasne lgte hai.
Raajveer: ab tum log has kyo rhe ho koi mujhe bhi batayege ki ye ho kya rha hai.
Mai : mama ji Mai aapko batata hu or pahle inlogo ko yha se bhejte hai.
Raajveer: nhi inlogo ko Mai aise hi nhi chodunga inke karnan hi Mai tum sab ko apna dusman bana liya Mai inhe aise jane nhi dunga.
Mai : mama ji kanun inko inki karni ki saja de chuki hai ab ye log sarafat ki jindgi hi rhe hai inhe jane dijiye, rambha inko bahar chhod kr inke jane ka prabandh kr do.
Mai : ha to mai kah rha tha ki mama ji Divya pregnant nhi hai.
Raajveer: kya ! Pr doctor ne to bola tha ki vo pregnant hai.
Mai : vo sab mere hi kahne ve kiya gya hai or iskam me insabhi ne meri madad ki .
Raajveer: Matlab ye sabhi log tumse pahle se hi mile huve hai.
Mai : ha mama ji or Mai Divya se hi nhi balki aapki sabhi betiyo se shadi karna chahta hu jisse aapke paise bhi bach jayenge.
Raajveer: kya sabhi se pr ye...
Tabhi Divya Deepika or Neelam ek sath apne papa ko bolne lgi- please papa man jaiye na hum teeno tiger se pyar karte hai please papa.
Varsha: aji ab ha bhi bol dijiye isi me hi humari bhi khusi hai teeno bachche sath me rahenge hume or kya chahiye.
Raajveer: thik hai Mai bat karta hu aarti se ab khus.
Fir maine rambha se kah kr sneha ko bhi bula liya vo bhi sab se mil kr khus ho gyi ,hum ne sath me hi vhi khana khaya fir hum ne jane ki aagya mangi to mami ji me hume vhi hi ruk jane ke liye kaha to hum vhi ruk gye Maine maa ko phone kr ke bata diya tha ki vo kal yha aa jaye unke liye surprise hai.
Raat me maine teeno bahno ke sath thodi bahut masti ki fir hum so gye .
Next day Maine mama ji or Mami ko chhod sab ko utha diya or hum sab sath me hi park gye udhar bhi you hi time pass ho gya aaj hume college to jana nhi tha kyo ki mummy Papa jo aane vale the.
Subah hum ne sath me hi breakfast kiya fir dopahar se pahle hi mummy Papa ko Maine Jo address diya tha vo vya pe aa gye
Fir hua milap bhai bahan ka dono ne gale sikve dur kiye mama ne papa se bhi mafi mangi fir hui meri bat chit .
Mama: aarti tumhare bete ne to meri puri ki Puri doulat apne nam karva li hai.
Aarti : vo kaise bhaiya.
Mama: Maine apni puri doulat apne teeno betiyo ke nam ki thi or vo unteeno ko hi tumhari bahu banana chahta hai.
Aarti: teeno Matlab Divya Deepika or Neelam,he bhagvaan ye ho kya rha hai ye ladka kr kya rha hai yha, ruko abhi .
Tab maa ne mujhe aawaj lagai.
Aarti: tiger tiger kha ho Abhi mere pas aao.
Mai bhagte huve maa ke pass gya.
Mai : kya hua maa aapne bulaya mujhe.
Aarti: ye Mai kya sun rhi hu tu yha padhai ke liye aaya tha ya kuch or karne.
Mai (anjan bante huve) : Kya hua maa bat kya hai.
Aarti: ye mai kya sun rhi hu tum bhaiya ki teeno betiyo ko meri bahu banana chahte ho are pagal abhi tumhari umar hi kya hui hai Jo ye sab kam kr rha hai ek to thik hai or teeno.
Mai : maa Mai kya kru ye teeno hi mere pichhe padi hai mujh se shadi kro mujh se shadi kro Mai kisi ka dil dukhana nhi chahta tha is liye teeno ko ha kr di aage aapki marji.
Aarti: Divya Deepika Neelam tum bhi aao yha.
Vo teeno bhi maa ke paas aakar khadi ho gyi.
Aarti : ye tiger kya bol rha hai tum teeno be mere bete ko fasaya hai mai to ek se hi iski shadi karaugi or vo kon hoga tum log decide kr lo .
Tabhi teeno maa ke pairo me aakar kahne lgi.
Teeno : bua hum tiger se bahut pyar karte hai hum se unhe juda mat kro aap Jo bolengi hume sab manjur hai.
Tabhi mami vha aa gyi.
Varsha: are wah aarti tum ne to Abhi se hi sas vala rup dikha suru kr diya teeno ko hi apne pairo pe le aayi.
Aarti: nhi bhabhi mai to majak kr rhi thi asal me teeno hi mujhe bahut pasand hai or mai saas hu inki itna to hak banta hai na mera.
Varsha:vo to hai or tum teeno jao or apne saas or sasur ke liye badhiya sa khana bana ke dikho nhi to tumhari saas tane marengi ki sadi se pahle tumhari maa ne kuch nhi sikhaya.