Update 171
jafar ne apne kalejadu ki madad se ajib hi prakar ka hathiyar apne hath me le liya aur meri taraf feka mai is bat se anjan tha kyonki andhere ke karan mujhe kuch bhi dikhai nhi de rha tha .
vo hathiyar mujhe lagti us se pahle hi vo kisi chiz se takra kr ek visfort ho gyi aur us se ek tej rosni Hui us rosni me maine dekha ki koi mere samne aa kr khada tha.
Jab vo maidan me aayi to andhere me bhi uska rup chamak raha tha
Vo koi aur nhi baadshah ki beti Nusrat thi jo mujhe bachane ke liye apni shild ke sath mere aage khadi thi,usko vha dekh kar har koi hairan tha ki vo kaise is maidan me aa gyi jab ke vo to apne kamre se bhi bahar nhi niklti thi.
Baadshah: ye Nusrat beti vha kya kr rhi hai vo kaise chali aayi yha .
Ustad: mujhe lagta hai baadshah salamat ki Nusrat beti ne bhi apna jivan sathi chun liya hai tabhi to vo use kale jaadu ke prahar se use bachane ke liye vo khud hi chali aayi.
Baadshah: ye to bade hi khusi ki baat hai ustad ji kyonki mujhe bhi uske nikah ki chinta khayi ja rahi thi ab to mere dono betiyon ka nikah is surveer se karauga.
Neelofar: dono nhi abbu teeno kaho.
Khaleda: neelo indono ka to thik hai pr tum kaise.
Neelofar: ammi mujhe bhi apni bahno se sath hi rahna hai aur tiger ji mujhe bhi pasand hai.
Baadshah: ye to aur bhi khusi ki baat hai ab to pure jinn lok ko dulhan ki tarah sajaya jayega kyonki mere teeno betiyo ka nikah aaj se teen din baad hi kiya jayega.
Idhar maidan ke andar mai Nusrat ko hi dekh rha tha aur vo bhi pyar se mujhe dekh rhi thi fir jab jafar ne ghusse se chillaya tab jakar mera aur Nusrat ka dhayan us pr gya.
Nusrat: isne jinn lok ke kanun ko toda hai yha jinn lok me Kala jadu karna mana hone ke bavjud isne Kaal jaadu kiya aur iska ek hi dand hai mrityudand hai ,maar do ise .
Nusrat ki baat sunkar maine maan me kaha ise maut ke ghat utar do fir maine apni talwar ko jafar ki taraf kr diya ek jo daar aawaj ke sath talwar se bijli ke kirne nikal kar jafar se takrai .
Jafar ke upar bijli padte hi jafar tadpne laga aur aag se jalne , bijli ki garjna itni tej thi ki sara jinn lok gunj rha tha kuch hi pal me tadap tadap kr mar gya jafar ke pita vajir bhi kuch nahi kr saka lekin usne maan me than liya tha ki iska badla vo jarur lega wakt aane pe.
Jafar ke khatme ke baad mai aur Nusrat baadshah ke pass gye to vo khade ho kr bole.
Baadshah : Mubarak ho shoorveer tum ne jafar ka ant kr ke jinn lok ke kanun ko banaye rakha is ke liye dhanyawad uske sath aisa hi hona tha hume bhi khabar nhi thi ki vo kala jadu bhi sikh chuka hai kyo vajir tumhe ye bat pata thi.
Vajir: nhi hujur mujhe bhi is baat ka bhan nhi tha ki vo kuch aisa bhi karta hai.
Baadshah: thik hai vajir shoorveer aaj se teen din baad apka nikah jinn lok ki teeno sahjadi se sampann hoga aur uphar ke roop me apki amanat aapko de di jayegi uske baad hi aap us tantrik se jinn lok ko bachaoge.
Uske baad sabhi mahal me vapas aa gye bhojan ka bhi samay ho gya tha isliye sabhi sath me hi Bhojan krne ke liye chale gye aaj Nusrat bhi un sab ke sath hi bhojan krne ke liye aayi hui thi ,khane ke douran khalida begam tiger ko hi dekh rhi thi aur ye baat neelo bahut der se note kr rhi thi .
Ab aap log ye batao vo tiger ko kyo dekh rhi thi.....