Episode 3
Dr. Gupta's Behaviour & The Deal
Episode 3
Aur ek din to had ho gai jab Dr. Gupta bi us par bewajah bhadak gaye aur use buri tarah daant diya. Gaurav ko Dr. Gupta aur unke assistant balwinder ka vyavhar kafi ajeeb lagta tha. Kabhi to wo bilkul normal rahte the aur kabhi bina baat ke hi us par bhadakne lagte the.
Kai baar gaurav ka man waha se bhagne ko karta par har baar wah apna maksad yaad karta aur phir jut jaata Dr. Gupta ke sabse bade raaj ko janne ke liye. Halaki sarang bhi Uske sath hi tha par aisa lagta tha ki jaise Dr. Gupta aur balwinder ki khaas chid usi se hai.
Aise hi kai mahine gujar gaye aur gaurav un dono ka ajeebo-garib vyavhar ko jhelte hue Dr. Gupta ka kafi khaas shishya ban gaya tha.
Aur phir wo din bhi aa hi gaya jab Dr. Gupta use pehli baar apne sath tachyons par experiment karwane wale the.
Lekin aaj to unka vyavhar pehle ke mukable kai guna jyada ajeeb tha. Ek pal wo use samjha rahe hote aur agle hi pal wo chidchidane lagte. Balwinder ko dekhkar to aisa lag raha tha jaise aaj wo use kachha hi chaba jayega. Aaj to Dr. Gupta ne us par hath bhi lagbhag utha hi diya tha. Ye to kuch jyada hi ajeeb ho raha tha magar phir bhi gaurav ka irada pathhar jaisa majboot tha. Wo kuch bhi sehen karne ko taiyaar tha agar badle mai Dr. Gupta use tachyons ka nirmaan karna aur unhe kaboo mai karna sikha de to... akhirkar experiment achhi tarah ho hi gaya.
Us din ke baad kai baar Dr. Gupta ne gaurav ke sath milkar tachyons par experiment kiye magar us din k baad se jaise jadoo sa ho gaya tha. Dr. Gupta aur balwinder dono hi bilkul normal ho chuke the. Wo hamesha hi usse pyar se bolte kabhi bewajah gussa nai karte. Aur balwinder to, jise gaurav phooti ankh nahi suhata tha, uska achha dost ban gaya tha. Akhir tha to wo bhi unhi ki umra ka hi.
Sarang ke man mai ek udhed-bun kafi samay se chal rahi thi. Aur jab Dr. Gupta ke sath training ka akhiri din aaya to use yahi sahi samay laga apni baat gaurav se karne ka kyuki gaurav agle hi din se time-machine par kaam shuru karne wala tha.
Apni duvidha gaurav ke samne rakhte hue kaha, ''bhai tune papa ko akhir manaya kaise?''
''Abe, tu abhi tak usi baat par atka hua hai..'' Gaurav dheere se bola,''Dr. Gupta aa rahe hai. Unke samne time-machine ka jikra mat kariyo.''
Dr. Gupta aate hi josh ke sath bole, ''ha to boys, apne akhiri experiment ke liye ready ho..''
Jawab gaurav ne diya, ''jii sir.'' phir kuch atakte hue wo bola, '' s..sir... mai k.. kuch... pooch sakta hoo..''
Dr. Gupta ne muskurate hue kaha, ''yahi na, ki tumhare tachyons par pehle experiment se pehle tak mai tumse har vakt chida aur gusse mai kyu rehta tha..''
Gaurav ashcharya ke sath Dr. Gupta ko dekhta hue bola, ''j..j..ji..sir...''
Dr. Gupta ab gambhir mudra mai bole, ''sach kahu to muje bhi nai pata. Tumhe dekhte hi muje lagta ki muje tumhe yaha se bhagana hai aur meri antaratma ki awaaj mujse tumhe har vakt bas neecha dikhane ko kehti..''
Ek lambi saans lete hue Dr. Gupta phir bole, ''tumhe ye sab bada ajeeb lag raha hoga magar yahi sach hai. Tumhe dekhte hi kai baar mere man mai yahi khayal aata ki tum yaha sirf ek hi maksad se aaye ho aur wo hai tachyons ka raaj jankar unka galat istemal karna. Halanki mai janta tha ki ye sach nai hai kyuki Maine Nikhil se maine tumhari sirf tareef hi suni thi aur tum waise hi the. Aur phir tachyons ke sang tumhare pehle experiment ke baad achanak hi muje wo khayal aana band ho gaye..
Chalo bahut baatein ho gayi. Lab mai aa jao, aaj ka experiment bahut important hai..'' kehte hue Dr. Gupta waha se chale gaye.
''kitni ajeeb baat hai na..'' gaurav unke jaate hi bola.
''ajeeb to hai par tune meri baat ka jawab nahi diya..'' sarang ab bhi apni hi udhed-bun se peecha chudana chahta tha.
''konsi baat?'' gaurav ne anjan bante hue kaha.
''yahi ki tune papa ko manaya kaise?'' sarang ab seedhe gaurav ki ankho mai dekha raha tha.
''maine unhe aisi deal di ki wo mana nahi kar paye..'' gaurav ne kaha.
''Kaisi deal??'' sarang ki bechaini ab badti ja rahi thi.
''Yahi ki agar machine kamyab hui aur ban gai to ye unki company ki property hogi jise wo jaise chahe istemal kar sakte hai.. muje use sirf ek hi baar istemal karne ki ijajat hogi..'' gaurav ne akhirkar raaj khol hi diya.
''aur agar machine nahi bani to...'' sarang ne phir shanka prakat ki.
''Aise kaise nai banegi.. jaroor banegi.. dekh liyo..'' gaurav josh ke sath bola.
''Phir bhi... agar nahi bani to...'' sarang ko ab bhi time-machine ke banne par shak tha.
''To muje sari umra company ke liye kaam karna hoga wo bhi bina salary ke.. aur ha tere dad ke liye bhi..'' gaurav ke chehre se josh ab gayab ho gaya tha aur phir wo bola, ''Dr. Gupta intejar kar rahe honge.. chal chalte hai..''
to be continued...