Chapter-12: BIG BOOM
Update-52
“ka hua… ka boli bio wali…” Ranjan chehra latkaye class me aaya toh maine puchha “saxsena kya bola…? tujhe quit karne ke liye toh nahi bola…naa”
Principal office se aane ke baad se hee Ranjan ekdum shant tha aur mujhe aashanka ho chali thi ki kahi... us bio wali ne Ranjan ko baahar ka raasta toh nahi dikha diya...? upar se Ranjan itni der se kuch bol bhi nahi raha tha , isliye ye aashanka aur badhti gayi...
“bol na... kya hua...”
“chodte hai…” hawa me dahina hath uthakar Ranjan aise gurraya
Ranjan aise gurraya, maano koyi jung jeet li ho usne... waise bhi us samay wo humare liye ek jung ke samaan hee tha... isliye Ranjan ka is tarah chillana shayad sahi tha... us par jab Nagdi Gang ko is-se nuksan ho toh fir kuch bhi karna sahi ho jata hai. atleast , us samay toh tha hee.
“toh matlab ab no mini, no madhu.. hai na..?”
“sab tension door… bas kal aur bulayi hai next 2 chapter se question karegi… kasam se bhai, first time zindagi me lag raha hai apni bhi value hai aur kuch valuable karne jaa raha hu… hum log jeet toh jayenge na…?”
“pata nahi, itna door ka nahi sochta main… bas tu bio sambhal le… waise main aur Ved bhi thoda-thoda bio rat le rahe rahe hai.. aur thoda-thoda se mera matlab... pura-pura”
“Bhatti, yar... first time mera kisi chiz me naam aayega. Main toh abhi se hee ekdum josh me aa gaya hoon... jab Vidhayak pure hall me waha maujood sabhi logo ke saamne mera naam announce karenge ki Sanskar Valley ko represent kar rahe hai…. Atharva, Ved Aur Ranjan. Sab kitne chaunk jayenge mera naam sunkar... par fir mere liye taaliya bhi bajayenge , cheer bhi karenge. Parents allowed hai kya…? Papa ko bulaunga main. Mujhse kabhi bola toh nahi unhone kisi chiz ko lekar lekin mujhe pata hai ki hare k ke parents ki ye expectation hoti hai apne bachcho se.. ki uska ladka ya ladki stage par khada ho aur baaki sab taaliya bajaye aur yadi jeet gaye toh fir.... wo kitne khush honge, Bhatti... par kya school waale allow karenge unhe...?? ”
“sab allowed hai… bas bol dena ki daru na peekar aaye warna josh-josh me question puchhne wale ko hee naa mashak de…”
“achchha thik hai, main nikalta hu ghar…”
“aajkal tu har din bhag kyun jaata hai lunch ke baad…?”
“ Mujhe dhabe pe jaana padta hai. do workers ko papa ne sharab ke nashe me buri tarah peet kar bhaga diya aur sham hote tak bheed itni badh jaati hai ki aadmi kam pad jate hai… teen din se raat ko ghar me nahi balki dhabe me so raha hu aur kal raat ko toh darwaja bhi toot gaya, ab sirf darwaje ko utha kar gate ke paas rakh leta hu… chal achchha... bye…”
“bye….”
Ranjan ke sath-sath main bhi class se bahar aaya aur class ke baahar khade hokar bio walo ki class ki taraf dekh Riya ko dhoondhane laga… kyunki uske liye main 120 rs wala chocolate laya tha… thanks to Mira. Main abhi bio class ki taraf Riya ko dhoondh hee raha tha ki mujhe seedhiyo se upar aati hui Sanjana dikhi aur Meri nazar Riya ko dhoondhna chhod seedhiyo se upar aate Sanjana par tik gayi. Seedhiya paar karke Sanjana jaise hee corridor me aayi , usne adatan meri class ki taraf dekha , idhar main use hee dekhe jaa raha tha aur isi dauran humari najre ek –dusare se jaa mili. hum dono ki najre jaise hee ek –dusare se mili.
hum dono jis position me khade the... jo kar rahe the waise hee jas ke tas khade rahe... maano hum dono me se koyi jara sa bhi hilega ya fir koyi harqat karega toh saamne wala turant ek pal me waha se adrishya ho jaayega. Maine Sanjana ko gaur se dekha.. bahut udas lag rahi thi wo. jiska karan bhi shayad main hee tha. Par main karta bhi kya…? Us din yadi uski khushi ki parwaah karta toh apni khushi gawa deta… uske chaahne wale toh fir bhi bahut the. upar se Ved ne already one girl at a time wala concept mujhe samjha diya tha jisme se yaa toh Riya Rose ya fir Silky Sanjana... mujhe in dono me se kisi ek ka chunav karna tha. Sanjana ke paas toh fir bhi Jafar tha, Ranjan waiting list me tha. Mere paas kaun tha…?
maine us din Riya Rose ki painting kyun choose ki maine ispar jyada vichar nahi kiya. Ved ne halanki ek sidhhant dekar explain kiya tha ki maine aisa kyun kiya. Par sach kahu toh maine ispar kabhi jyada vichar hee nahi kiya aur naa hee ab iski koyi parwah hai aur ab jyada sochne-vicharne ka koyi tuk bhi nahi. Kyunki jo hona tha , wo toh already ho chuka tha. lekin us din class ke baahar maine apna dahina hath utha kar wahi se khade-khade Sanjana ko hii kaha. Ofcourse usne meri aawaz nahi suni hogi, maine chilla kar kaha bhi nahi tha par wo samajh gayi ki main use Hii kah raha hoon. Jiska jawab Sanjjana ne ek feeki muskan ke sath diya... uski wo feeki muskan seedhe mere dil me chubhi aur maine turant jeb me rakha chocolate nikal kar Sanjana ko dikhaate hue hawa me lahrane laga aur ishare se us-se puchha ki… use chahiye kya..?
mere aisa karte hee Uski feeki muskan me feekapan kam hua aur wo sach me muskurane lagi…
“main aata hu udhar… udhar hee ruk…” maine kaha , ye jaante hue bhi ki use sunayi nahi dega… lekin wo meri harqato se samajh gayi aur wahi ruki rahi…
main hath me dairy milk lahrate hue khushi-khushi Sanjana ki taraf badha aur sochne laga ki chocolate dekar use style se sorry bol dunga aur sath me ye bhi kah dunga ki Riya Rose ki painting better nahi thi… wo toh use patane ke liye maine aisa kah diya tha. Kaha wo aur kaha Riya-Viya. Fir Sanjana mujhse pahle ke mafiq baat karne lagegi… fir life set. Fir mere ek taraf girlfriend aur dusari taraf girl friend. Mast threesome hoga humara... fir chat Sanjana patt Riya Rose. Yahi sab sochte hue hue main Sanjana ki taraf badh raha tha.
ki............ Riya apne muh me botal fasaye paani peete hue apne class se nikli. Riya ke class ke nikalte tak me Main lagbhag bio class ke paas pahuch hee chuka tha aur jab Riya ne pani peene ke baad botal ko apne juicy lips se alag kiya toh uski nazar mujh par padi...
“tum school aaye ho, subah se dikhe nahi toh mujhe laga absent ho…”
“Riiiiii… Yaaa…. Hiiii... tumhare honth sach me pink hai yaa lipstick lagayi ho...? wanna know my willd guess...? tumhare lips koyle ke mafiq kaale hai, par lipstick laga ke tum unhe chhipa rahi ho..."
"bilkul... yahi toh kaam hai mera... ki din bhar lipstick lagate rahu..."
" tumhari naak din me kyun laal hai.. ? abhi thodi itni thandi pad rahi hai…”
“pata nahi…. Apne aap meri naak laal ho jati hai… aur ye kya hai, chocolate…. Wow…”itna kahte hee Riya ne mere hath se chocolate apne aap le liya aur maine mana bhi nahi kiya “mujhe naa... ye wala flavour bahut pasand hai... thanks…”
Riya chocolate ka packet faadne lagi aur main thodi door me pichhe khadi Sanjana ki taraf dekha... uski asli muskan jo kuch der pahle lauti thi wo fir se feeki muskan me tabdil hone lagi… Sanjana ne mujhse kuch nahi kaha, bas mujhe Riya ke sath dekh feeke muskan liye muskurati rahi aur ungaliyo se ok gesture banaya , ok gesture..? arey wahi jisme index finger ko thumb se jodkar wow-vow kahte hai aksar… waisich…
Toh apni ungaliyo se mujhe, Riya ke sath dekhkar Sanjana ne wow kaha aur waha se chup –chap apne class ki oor badh gayi…. Main Sanjana ko rokna chahta tha, Riya se aadha chocolate lekar Sanjana ko dena chahta tha aur wo udas kyun hai uska kaaran puchhna chahta tha . lekin us samay maine aisa kuch bhi nahi kiya. Sanjana ke jane ke baad main wahi Riya ke paas khada raha aur Riya se baat karne me busy ho gaya….
“maine na.. painting complete kar li.. tumhe dikhau..”
“dikhao..”
“oOo.. sorry. Wo toh main layi hee nahi… ghar me hai… kal jab submit karungi tab dikhaungi.. ok..”
“ok…”
“ruko… do minute..”bolkar Riya apne class ke andar bhagi aur main palatkar arts class ki taraf dekhne laga… ki shayad Sanjana waha gate pe khadi hogi… par wo waha nahi thi aur tab tak Riya bhi wapas aa gayi…
“kasam se… had karti hai yar tu bhi… ab ye beanie pahnegi ... din dahade… bhagwan se toh dar”
“hahaha….. ho gaya tumhara… meri naak laal hona matlab mujhe beanie pahan lena chahiye…”beanie apne sar me daalte hue Riya boli
“berry beanie booo…”
“Evening at the park…?”
“nahi.. wo Ranjan ke dhabe pe jana hai. time nahi hai, apun ke paas....”ye maine aise hee kah diya, jab Riya ne mujhse park me aane ke liye puchha toh... jabki mujhe kahi nahi jaana tha. par us din maine aisa kyun kaha ,main aaj tak suspence me hoon.