Update-53
“kya-kya milta hai Ranjan ke hotel me…”
“sab kuch… chalogi mere sath… kabhi”ye kahte hue meri aankh me fir jhunjhuni chadh gayi aur palke apne aap laplapane lagi
“itni thandi me…? Never...”
“soch lo… kya pata fir kabhi mauka na mile. main kya bolta hu ki..... ye yahaaaa....? saala”
“hiii Riya…”main Riya ke sath apni baat puri khatm kar pata us-se pahle hee Jafar naa jaane kaha se bich me tapak pada… uske aankh ke neeche kala nishan tha, jaise use kisi ne kal raat pela ho ya fir kahi gira ho… hath me bhi usne crepe bandage bandha hua tha + sar me bhi ek do kharoch thi…
“hiii Jafar….”Riya ne jawab diya
“ye beanie kyun pahan liya… abhi se…”usne puchha
“kyunki beanie pahanne se thandi nahi lagti… isliye… ”chidhte hue maine kaha…
“achchha yaad aaya, tumhari naak laal ho gayi matlab tumhe thandi lag rahi hai… bataya tha tumne…”Jafar meri taraf dekh kar muskuraya aur waha se seedhe class me ghus gaya…
“ise bhi bataya tha tumne…?”chaukte hue maine Riya ko ghoora … kyunki Jafar ko jo karna tha wo us ek line aur us ek muskan ke sath kar gaya tha.
“haan… pure class ko pata hai ye baat…..”
“Atharva…..”Jafar ke jaate hee Ved waha achanak se tapak pada, saale romance nahi karne denge. Kabhi ye toh kabhi wo... kabhi yaha toh kabhi waha... Ab aaj park jaunga sham ko Riya se milne. Bhad me gaya quiz competition ka practice.
Ab Ved ko achanak yaha tapakne ke kaaran gariya kar bhaga bhi nahi sakta tha, kyunki yadi main use gaali deta toh wo bhi mujhe gaali deta,wo bhi mujhse buri wali.. isliye... maine use kuch nahi kaha. Jiske baad Ved ne ishaare se mujhe waha se door chalne ke liya kaha
“kya hua.... main nahi jaunga... maine tera pen nahi churaya, black wala toh bilkul nahi”
“chal..”
“prayer ke baad jab tu class me late aaya tha toh us samay main tere tiffin se samosa nikal ke bhi nahi khaya.... wo jaroor Nagdi gang ki harkat hogi. I can prove it..”
“abey chal... dabi me batata hoon tujhe... chal... abey chal.... dabi me kuch baat karna hai..”
“chhhiiiii... main aisa-waisa ladka nahi hoon...”
“ teri toh.....” jab maine waha se jaane ke liye mana kar diya toh Ved mujhe pakad kar jabran kheenchne laga..
“kaha jaana hai…”Ved ko door dhakel maine puchha
“yahhaaaa… 7 points… ab chal… yaa fir Riya ko clash of canvas ka sach.....”
“kabhi mana kiya hoon tere ko kisi chij ke liye.. chal jaldi...ok… bye Riya…”Riya ke hath se bacha hua chocolate chheen kar main bola... jab maine Riya ke hath se chocolate chheena toh uski shakal dekhne layak ho gayi thi, kyunki wo us waqt bite lene ke liye chocolate ko apne muh ki taraf le jaa rahi thi, yaha tak ki usne apna muh tak khol liya tha. meri is harqat par wo gussa toh bahut hui, par kuch bol nahi paayi aur idhar main, Ved ke sath apne class ki taraf jaane laga.
“bol…”class me ghuste hue maine Ved se kaha..
“kaand hua hai … aur kisi ko pata bhi nahi hai…”
“dusari baat- jab kisi ko nahi pata toh , tujhe kaise pata aur pahli baat- kya kaand hua hai ”
“ dusari baat- mujhe pata aise chala kyunki Jafar jab Sanjana se neeche is bare me baat kar raha tha... baat kya kar raha tha, actually lad raha tha toh main wahi ek kinare me chhipkar sun raha tha… main gaya toh Ranjan se milne tha… par wo mujhe mila nahi. Badle me ye kahabar mil gayi aur pahli baat- kaand ye hua hai ki Karan Naik ne Jafar ko kal kutte ki tarah mara hai ..... waise, Ranjan kaha gaya…? bio wali abhi tak uska le rahi hai kya muh me…”
“wo aakar ghar bhi chala gaya…… par tu wo chhod aur ye bata ki Karan Naik ko Jafar kaha se mil gaya...? meri teleportation wali theory kaam kar gayi matlab”
“ghar gaya tha, Sanjana se milne… chodu, saala.... actually, Sanjana ne call karke khud Jafar ko ghar me bulaya tha ki... ghar me koyi nahi hai aur use Jafar se kuch baat karni hai… par actual me Sanjana ne Jafar ko nahi bulaya tha, balki Karan Naik ne Sanjana ko majboor kiya tha.. ki… wo Jafar ko call karke ghar bulaye. Jafar bhi lawda , chutiya… choot ke chakkar me pahuch gaya… fir wo dhoya Karan Naik ne usko ki…. Dauda-dauda kar mara hai aur usne ye baat abhi tak kisi ko batayi bhi nahi hai… puri duniya ko bike se girne ki story bata raha hai.. ”
“thik hee toh hua… ”
Tab mere dimag me ek khurapati idea aaya ki kya ho agar iska credit bhi main le loon....? mera matlab sabke saamne nahi... sirf Mira ke saamne....? fir toh Mira se aur paisa wasoola jaa sakta hai... right..? I mean, is it right to do that..? who cares...
“par Karan Naik ko Jafar ke bare me maloom kaise chala…? Main abhi tak yahi soch raha hoon... Sanjana toh batayi nahi hogi...?”
“woooo…. Actually Maine bataya tha. Jis din main Sanjay Gandhi Sanjana ki maa se milne gaya tha…”
“sahi me ?…. fir toh tu utna bhi chutiya nahi hai... ”
“Told Ya, I ‘m The Deception King

bitch”
.
Ved ne jab mujhe Jafar aur Karan Naik ki is muthbhed ke bare me bataya toh mere mann se ek bojh halka ho gaya… main toh abhi tak yahi soch raha tha ki Sanjana ki udasi ka karan main hu… par ab pata chala ki uski udasi ka mukhya kaaran main nahi balki Karan Naik tha. Usne Sanjana ke boyfriend ko badhiya tagde se dhoya tha aur isme wo bhi shamil thi… bhale hee Karan Naik ne Sanjana ki maa ka naam lekar use majboor kiya ho… par Sanjana isme shamil thi. Dusare shabdo me kahu toh Sanjana khud apni is haalat ki jimmedar thi aur yadi teesare shabdo me kahu toh… actual me main hee jimmedar tha, kyunki maine hee Karan Naik ke kaan me Jafar naam ki makkhi ko bhinbhinane ke liye us din hospital me chhoda, jise Karan Naik ne kal achi tarah masala…. Toh Jafar ki pelayi Sanjana ke udasi ka karan thi aur idhar main khud ko dosh de raha tha.
.
Ved ne jab mujhe ye khabar sunayi toh main jald se jald Sanjana se milna chaha… us-se baat karna chaha. Main aisa kar bhi leta, lekin Gupta ji ke karan jo last period hume khali mil jata tha wo bhi aaj nahi mila… I mean… aaj unhone 3 periods back to back liye , jiske baad hum sabki haalat registaan me paani ke liye tadapte hue Musafir ki tarah ho gayi thi… Gupta ji ka bhasad sun-sunkar humsara sar fatt gaya. Puri body paralyze ho chuki thi Gupta Ji ke teen class ke baad aur kasam se yadi bhagwan mujhe koyi ek vardan mangne ke liye us waqt kahte toh... Riya Rose ko naa mangkar main Gupta ji ki maut mangta.
Saale ne pure dimag ki terahi-barkhi kar di thi... dimag ki haalat aise thi ki maano dimag me koyi straw daalkar dimag choos raha ho.... Sale ne 3 back to back class ke beech 5 minute ka ek break tak nahi diya yaha tak ki pani peene tak nahi jaane diya aur pure 3 periods dimag chusta raha…. Hum log adhmare ho gaye the aur jab school khatm hua toh kafi samay lag gaya puri class ko khud ko chalne ki haalat me lane ke liye , tab tak kafi samay ho beet chuka tha.
jiske kaaran main Sanjana se nahi mil paya aur wo Karan Naik ke sath bike me baithkar seedhe waha se chali gayi…. par baat karni jaroori thi, kyunki yadi Sanjana ne dimag laga liya toh wo kaise bhi karke iske tah tak jaroor pahuch jayegi ki maine hee khud ko bachane ke liye Jafar ko Karan Naik ke saamne kar diya tha. isliye wo aisa soche, mera matlab aisa sochne ki soche.. uske pahle hee uski us soch ko usi ki soch me dafan karna ati awashyak tha, taaki wo bilkul bhi aisa naa soch sake... balki wo ye soche, jo main use sochne ke liye majboor karne waala tha. saala, main bhi kya-kya soch leta hoon aur aksar isi soch me pad jaata hoon ki koyi itna ishmart kaise ho sakta hai
khair, main Sanjana ke ghar ki taraf badha… waise bhi ab Jafar ki kutayi waale incident ke baad mujhe tension lene ki koyi jaroorat nahi thi, kyunki Karan Naik se toh apni toh dosti ho chuki thi , isliye apne ko wo kyun rokega. Sanjana se setting toh Jafar ki hai… ye baat use ab pata hai , mera toh sirf hii, bye, how are, I’m fine wala rishta hai… apne ko toh koyi rok-tok nahi hai… bas isiliye toh Jafar ka naam maine diya tha Karan Naik ko. Yahi sab sochte hue main bindas apni dhun me mast Sanjana ke ghar ki taraf badha aur Sanjana ke ghar pahuchakar uska darwaja khatkhataya…. Wo bhi Jor-jor se aur is dauran jab darwaja nahi khula toh hawa me uchak kar style se Sanjana ke darwaje par do laat bhi maara.... ye sochte hue ki Sanjana ke ghar ka darwaja, darwaja nahi balki Jafar hai.