Update - 29
Bhai only laugh for this update.. ise jada kuch nahi tha... mujhe laga tha sirf ved hi le sakta hai lekin mira ne jo li hai maa kasam maza aa gaya aur apne uspar apni writing se chaar chand laga diye, atharva ka har baat par taunt dena.. matalb ki sachi dosti aur timing ka pehlu ho aap... sahi mein mira ne dho dala pura ka pura uppr se lekar niche ved ke dick tak

Uske baad bulla sir ki wapsi aur atharva ka bachna... matlab itni jaldi.. chitti the robot ka concept apne hi to nahi diya tha, maar kar fir wapis, vo kursi ka hilne wala scene matlab aise anokhe anokhe avtar aap hi laa sakte ho bhai.. its is awesome... mazaa gaya sahi mein yaar... aap ki kahani padte waqt aisa lagta hai jeevan hai to yahi hai... reality se dur aur fir bhi uske pass..
Update - 30
Are bhaibhai bhai bhai.... Hahahaa...

Otorhinoalaryngologist Ye kahan se aya pehle to ye batao... meaning to hoga par mene aisa word nahi suna aise word sirf medicial mein hote hain jahan tak meri samajh hai... Bhai adha update gazab hasne wala tha lekin baad mein VED sir aye... sahi mein jo gyan bantta hai unhone gazab..... ise kehte hain brain with dick...

Maza aa gaya bhai.. full to comedy tha.. lekin sanjana ka naam lene par kahani ulti na padh jaye..ho sakta hai sanjana ko acha na lage... na jane kaise... kahan se kahan tak soch lete ho aap... mein to riya rose ke reaction ka wait kar raha tha par vo apne skip maar dia aur collection ab 5000 se jada ka hone wala hai.. dekhte hain kya hoga aaagee.....
Gurudev

Bhai... yar tussi sahi mein great ho... kahe ved ne hai par vichar to legendary insan ke hai
Update - 31
Absolute legendary bhai... Kahani ab ek alag hi level par aa chuki hai... GYANI BHAI at its best... sach mein bhai.. Yahan se jo apne kahani ke twist aur turn planing dalni chalu ki hai na... isne kahani ko, pichle sare update padna safal ho raha hai kyun ki nayi jaan si daal di .... kahani mein reality ke sath maze dogune ho chuke hai ab. Bahut hi sahi ... matlab umda... ved bhale hi hans raha ho lekin sahi udai ladki ne... aur apna kaam karke nikal gayi.... maza aa gaya bhai

Guptaji ke liye jo pilan banaya hai ved ne akhir dosti ki chaap chhod raha hai...
Donation ke naam par to log lakhon luta dete hain... ye trick sabse satik aurpurana hai.... naam nahi le sakta warna politcal abuse ka bomb fod denge humpar.. aap samajh hi jao.. khair bhai apratim.. mazedar... bemisaal... dhaamalll... mazaaaa aa gaya....
Update - 32
Plan... Plan... Plan...Matlab pitne se bachne ke liye rambaad ilaz.. Guptaji ke pas apne shastra hai to Atharva ke pas Veshastra hai... Mazedar plan tha bhai, par mujhe nhi malum ki result kya hoga, hona to sahi chahie lekin ye apki kahani hai to mein nahi keh sakta ki result actually mein perfect hoga ya nahi..
Mene daru hi socha tha bhai.... sanskari bacha hun mein
Mujhe laga tha pehle sanjana ki bari ayegi lekin ayi riya... aur fir apne ek alag hi tone set kiya, matlab pehli baar mein kisi kahani ki love story itni different pad raha hun isliye bhai hats off to ur soch... matlab ye sochna hi apne aap mein bahut badi bat hai likhne ke baad to aap use aur chaar chand laga dete ho.. Matlab it was too great.. and unique as well.. Atharva ka girna.. fir riya ki painting kharab hona aur fir uski mayusi.. sab kuch... bhai sach mein har line aisi thi jaise lag raha tha ki banda kya sochta hai yaar.. maza dila deta hai... Kahani ab vakai apne har piche update ko piche chhod kar alag hi tone set karti jaa rahi hai.. Time to time sath nahi chal paa raha lekin bahut jaldi aa jaunga bhai... padne baithta hu to uthne ka dil nahi karta untill unless koi majburi aa jaye... Bhai tussi awesome ho....
Update - 33
Are bhai kahan le jaa rahe ho kahani ko? Isme bhi confuse kar-ke maar dalne ka irada hai kya? Abhi tak sab sahi chal raha tha lekin end mein atte atte confusa gaya itna jda coincidence? Kya gadbad ghotala kar rahe ho... abhi tak kahani padte hue dimag shant tha lekin iske baad dimag uthalfutal ho gaya hai... Maa kasam starting ka ATHARVA wala dard apun ko ARMAAN mafik laga par end mein atte atte side role wali ladki ne to dimag palti ka rdiya jis tarah atharva ka hua usi tarah kuch kuch mera bhi ho gaya bhai.. kya hai ye.. kya karna chahte ho aap...
Mene pichle kuch reply mein kaha tha ki hero hero hai nahi.. side role milne wala hai use, uspar apne is update mein bhi dala... kuch na kuch to jhol hai re baba bhai aap bahut jada jhol karne wale ho... Ye update shayad kahani ka turning point ho sakta hai kyun ki VARUN ka nam pehle bhi aya mene uspar kuch nahi kaha lekin ab dubara aya aur VARUN = ARUN ye dimagi ghotala ATMAKAMI mein padh chuka hun... isliye aur jada sar chakra raha hai... bhai kuch to jhol hai ATMAKAMI ka end abhi tak mere jehen mein hai kyun ki vo kahani jab bhi yaad karta hu muh se bas yahi nikalta hai wah bhai.. matlab wah.. kaise koi banda itna acha soch kar use itni perfectly execute kar sakta hai... kahin is baar bhi aisa to nahi?
Update - 34
Bhai... Mjhe laga tha ek pal ke liye gaya jaffer, maara ye chutiya... aur apne suspense mein daal diya ki ankhein khule dekh raha hai.. pata nahi bhai kya likh rahe ho aur aap heart mein hamare jhatke diye jaa rahe ho.. itne to palang par nahi dete honge launde laundiyu ko jitna aap hamare dil mein de rahe ho

Maza aa gaya, pehle fight aur fir guptaji ka syllabus khatam karne ka andazz... same aisi hi ek teacher hua karti thi hamari life mein par mujhe yaad nahi ki vo college tha ya fir school lekin usne bhi pura ka pura syllabus asie hi udaya tha... pr is update ki shuruwat jitni jandar hui thi use kahin jada jandar end tha update ka... matlab APne sabhi ke dimag ke parkache uda diye, ved atharva ke sath hum sabhi padne walon ke... guptaji ko maan gaya mein aaj.. he is full dude bhai.. gupta ji ko salaam...
Bhai kamal hi kar diya ye to... Matlab guptaji jaisa talented nahi dekha mene... ab ye launda hoshiyari mein jo pilega vo alag... apratim bhai..... masterclass bande ho aap.. next time koi aur word dhundna padega apke liye ....
Update - 35
Sweeet.... is the only word after reading this update bhai. Madhu wala scene funny tha aur jo side launde the vo jada bol gaye par ye side role the isliye mein inko avoid karta hun par jis chiz ne mere chehre par muskan layi vo akhri ka scene tha. Sanjana wala... matlab bhai dil dhak-dhak kar diya apne

i don't know how.. kaise aap manage karte ho itna behtarin soch pana it was beatutiful bhai.... Atharva looks alike hi ai armaan ka... lekin thoda sa difference hai armaan was more agressive baki atharva is not lekin dono hi apne dil ki baat na batate na batana chahte... Sanjana was about to kiss and atharva stopped her... Tabhi dumb kaha... matlab ise pyara scene nahi ho sakta ... aap har baar itne ache se kuch unique tarika kahan se le atte ho... Sach kahun bhai agar apki kahani ek reality hoti hai jisme mein jee raha hota to sach mein kabhi marne ka dil nahi karta.... It is the best feeling when i thought of your world... Awesome... King of Virtual-Actual-Reality
Update - 36
Ye madhu behen kyun bolti hai re itna tu...

Bhai kahan se utha laye ho ise? Itna bolne wali ladkiyan hoti hai bilkul hoti hai lekin mere se kabhi nahi takrai acha hua nahi takrai varna main to galiya bhar deta abhi tak ise.. man hi man chehre par nahi.. warna bur man jati hai ladkiyan bahut jald. Aur shikayat bahut karti hai.. pata nahi kya chul rehti hai inhe... Kher bhai update mein mere ko maa wala masti dekh kar bada maza aya, bachpan yaad aa gaya... mein bhi aise hi karta tha aur dant khata tha...

Bhai gazab sama bandh diya hai apne.. Ladka riya ke piche aur ladke ke piche sanjana bas samajh nhi paa raha ki vo jagfar ke sath kyun hai... haye ye ladke kab samjhenge

Bhai gazab likh rahe ho.... mazaa aaa gaya... ab agla jaa rela hun padne...
Update - 37
Bhai..... Ek hi dil mera ... kitni baar jetoge re baba... 36 baar to is kahani mein hi jeet chuke hoo baki alag... ab ye 37 va.... Matlab maza aa gaya bhai... Pehle jis baat ne mera dil jeeta vo tha Madhu ka atharva ko ward no batana.. matlab yaar itna uniquely aap kaise soch kar kaam kar dete ho.. itni chalu ladki.. matlab agar mujhe aise koi bolta to mein yahi manta ki vo gol gappe le rahi hai aur ap bhi aise hi likh dete ho ki bande ko hint bhi na lage ki aisa kuch hoga... matlab jordar ... Uske baad ka scene to matlab... maza hi aa gaya... choclate wala scene, riya ki mom wala scene ek number ka tha bhai... matlab maza aa gaya.. mere pas jada words nahi bach hain likhne ko lekin ... is update jo apka screenplay tha ... vo ek dum top notch.. jaise akhri mein atharva bhag gaya ek dum se... matlab vo to mindblowing tha bhai yahi apka swag hai aur ye chizen apke alawa koi soch kar likh nahi sakta jo aap kar lete ho.. Mujhe riya ke recation par tajub nahi hua kyun ki mujhe lag raha tha vo maan jayegi yun ki ladkiyu ko yahi chahie bas... Rahi baat end ki to bhai hansa tni zor se ki maa bhi kehti meri tjhe kya ho gaya be pagal ho gaya hai kya

Bhai mazaa aa gayaa..... u are the great writer bhai
Update - 38
Bhai nag hai yar ye bandi... kasam se.. lekin maa kasam hansi nah ruk rahi.. kaun se jungle se laye ho ise

Par bhai maa kasam vo riya aur atharva wala scene is like a dream.. mujhe laga kahin ye sapna nikla to hero gaya lekin apne sahi kaha tha is baar kahani alag hai kyun ki atharva armaan se alag hai, isliye ab mein kahani mein ye atkale nahi lagaunga kyun ki iske sath kuch kuch ache ki umeed hai vaise pata hai ki kuch hona nahi hai par fir bhi.. acha lag rela hai padhte hue.. Uppar se jo realistic writing ka jadu bikharte ho aap vo apne aap mein ek style hai. Atharva ka reaction hum jase laundon ke jaise hi tha bilkul same... kuch bhi bdha chada kar nahi bilkul sateek perfect execution tha.. jhun-jhuni hona.. aur hath pakadne par to bilkul dil dhak dhak ho jana it was too perfect.. Mujhe laga tha kuch baat cheet hogi par dono chup jada rahenge lekin nahi.. yahan to apne kuch aur lana tha.. ab kahin kuch yahan ho na jaye ki kahin atharva ki sari pillaning befil ho jaye...

Bhai apratim.... execution.. apratim kahani...
Update - 39
Mixx feel update tha... teen bhag mein ... pehla bhag madhu ne jo le li bhai... ye side role ne to Atharva ko arthi par laitane jaisa kaam kar diya, do minute aur rukta to na jane kya hota... but most importantly jo mujhe is update mein rochak laga vo tha riya ka vo expression tha jab usne kaha kya.. kaha.. tha... aisa.. matlab is expression ke baad har ladke ko dead sure ho jana chahie ki ladki ko jealousy hai aur jahan jealousy hoti hai wahan kuch na kuch hota hai.. uske baad bio wale par na puchne ke piche jo chupa gussa thaa ur ant mein atte atte madhu ne jo pyar dikhaya uske baad to khel khatam... aap ek tune ke sath likhte ho jo har line by line judta chala jata hai.... Aur agar mein is update ke higlight chunun to do chaar the..
Pehla madhu ko jo apne gali di hai na bhai... matlab salam hai... kisi din galiyun ka lesson dena jarur... kaam ayega.... chut bikhar kar tukdon mein bikhar jaye...

Kabhi kabhi armaan jaisi jhalak launde mein aa hi jati hai...
Then uske baad maa par choti si tipadi di aur ye hakikat hai agar maa ko kuch pata ho vaise to use sab pata hota hai kaise ye aaj tak samajh nahi aya

to vo apna gyan de hi deti hai aur bar bar deti rehti hai...

Par badia laga aur bhai sanjana ki maa ki jo halat dikhai apne.. us reality ko hum feel kar sakte hain.. Mrityu ki antim sach hai.. bilkul sahi baat hai... That was a touching part... aap kahani ko itni barriki aur behtarin tarike se likh rahe ho ki jahan apne jada pyar bhi nahi dikhaya aur fir bhi itne feeling de rahe ho kahani mein ki lalo chapo wali love story ki jarurt hi nahi padh rahi...
Third phase end.. do hi line thi usme lekin jis baat se atharva ne end kiya... vo ek number ka dialog diya bhai..

maza aa gayaa....
Update - 40
Hot choclate.... Tabse mein soch raha tha ki is chapter ka ant kaisa hoga.. Kya chapter ka naam riya walle scene par tha laga tha wahin hoga.. lekin is update ne meri vo confusion dur kar di.. aur ek chiz jo mein kehna chahunga vo ye hai ki Gyani bhai.. aap sun sun kar bore ho gaye hoge lekin mein keh keh kar nahi hua... Aap kahani nahi bana rahe ho.. aap ek feeling de rahe ho humlogon ko aur ye dikha rahe ho ki aap jo sochte ho wahan tak hum kyun nahi soch paate.. Hot choclate is the most common chapter name you have given to any chapter in ur story.. but uske piche jo ek beautiful kahani apne likhi hai na uski feeling bilkul alag hai...
Last time mujhe sanjana par gussa aya ki usne aisa kyun kaha lekin ab laga ki ladki ke man mein kya hai... Atharva is not similar to armaan but he is shit as armaan in love.. Aap kahani mein vo meaning dete ho jo shayad apke har chapter/parts ko perfectly define karta hai.. ki apne ispar likhna chaha... ye samjhana cha aur actually mein wahi likha aur wahi samjha gaya... Bahut muskil hota hai ki jo writer samjhana cha raha ho vo samajh aa jaye.. wo feeling understand karna hi mushkil hota hai isliye kehte hain ki samjhane wale ki galti hoti hai, samjhne wale ki nahi aur apke case mein aap vo kami kabhi chhodte hi nahi...
It is the best end of this chapter aur mein ise jada kuch keh nahi paa raha hu... Apne jis andaaaz mein likha hai.. jo jahan hona chahie apne uska roop badal kar ek alag aur behtar andar de diya jo ki apne aap mein hi bemissaal hai... Mein apki har kahani ko yaad rakhta aya hun.. aur ye kahani mjhe hamesha isliye yaad rahegi kyun ki is kahani mein ek aisi love story hai.. jo sab kuch theek hone ke baad bhi adhuri hai.. I don''t know or can't predict the end but ... ye kahani bhi ab ek jagah le legi life mein... yakeen mano aap.. Mein apne future mein agar bache hue mere to apki 8th semester se lekar Atamkami aur 3 girls of my life jarur padwaunga... Absolutely... amazing bhai...
Update - 41
Garib gang se mujhe laga tha ki kuch ladai hone wali hai.. par asal mein ladai to competition ki nikli jo ki kahani ka ek hot topic ban baitha hai... acha hai school mein aise competition dekhna aur padne mein bada maza ata hai aur apko bolne ki jarurat nahi hai ki aapne use likhna kaise hai... gaaand faad har bar ki tarah

Pehle mujhe laga tha ki competition skip karoge aap lekin ab to aisa hype bana diya na bhai apne... ab mujhe pura competition padne ko mile mein to bas yahi chahta hun...

Maza aya jis tarah apne shot-cut mein sab samjha diya aur bio wallon ka kissa sunaya vo itna uchal rahe hain bol do bina physics ke bio nahi ho sakti to itna uchale na... kyun ki agar physics nahi hoti to gravity ka pata nahi chalta aur gravity ka pata nahi hota to bio walle karname kaise hote... friction ke bare mein kahan se malum hota

Khair principal aur school staff bas izzat ke piche mare rehte hain ye katai sach baat hai... har schul student ke sath hota tha mere sath bhi ho chuka hai..ye nahi kar sakata ise mat lo fir jhantein jala di thi mene sabki

Abhi to ranjan pilayega ya nahi pata nahi lekin jo excitment mein lakar apne kahani ko roka is update mein katai.. jo roz padh rahe honge unse intezar kaise hua hoga pata nahi.. mujhse to hota nahi

bhai... ultimate bemisaal har baar ki tarah...
Update - 42
Bhai yahan to apne khel hi badal dala...pehle do sawal ka jawab na dene par main samajh gaya ki yahi hona tha lekin baad ke do sawalon ka jawab dene par hila dala re ranjan ne.. don't judge the book by its cover.. ye dialog apne adhe update mein kya satik baithaya hai... Ye teacher logon ko guru kaha jata tha ek waqt par fir ye sab badal gaye.. aaj kal adhe se jada ka yahi haal hai, kuch to ache hote hain hamare tym bhi the par ye bachon ke chattu aur favorite banane walle kaise hote hain apne uch koti ka varnan dete hue hume ye samjha diya...

Matlab itna reality de dalte ho aap kahani mein ki sala lagta hi nahi mein kahin padh raha hun aisa lag raha hai mein sala isi skul mein padh raha hun aur meri knowledge mein hi hai ye sb... Apratim se bhi uppar bhai... Bio wali teacher bahut chalu hai.. jaffar kuch pakka deta hai inhe

ye salle uske piche pagal hai... aur bhai bilkul na rkhna mini ko aisa attitude lekar zindagi mein itni badi thokar khayegi na ye... Bhai bada hi interesting update tha.... atharva kya kehne wala hai ye apne is update ke akhri mein chhod diya.. par har line ke baad aisa lag rah tha ki sala update nahi likh rahe ho aap.. ek incident likh rahe ho vo bhi ek dum real life se juda.. maza hi aa gaya is update ko padne ke baad... ye wala chapter mujhe lag raha hai aisa hi hai.... bhai.. hatts off to your writing and again kya soch soch kar likhte ho aap... gazab...
Update - 43
Kisi mahan vyakti ne kaha hai ki abhmaan sabse bada hota hai...aur apne ek dum sahi tarah se is rambanndh ka istemal karte hue saxena ji ke dimag mein goal kar diya

Lekin mein bazooka ka intezar kar raha tha par vo aya hi nahi... uske pehle mini aa gayi aur jaise apne may i come in ka vishleshad diya na bhai sahi mein hanste hanste baithe baithe lait gaya mein... ahahahaha....
Bhai... gazab... gazab....

Ye best vishleshad tha andar ki permission ko dikhane ka...
Fir uske baad jaffar to side role ka gunda hai.. vo mere ko ek dum third class villian lag raha tha par jab aaj usne atharva ko samjhaya use proof ho gaya...

Matlab aapne ye sabit kara hi diya.. ladka indirectly dhamki de rela hai hero ko par bhool gaya hi vo hero nahi hai fir bhi abhi hero hi hai.. to baja dega...

Bhai gazab aap kahani ko itne amazing tarike se modte ho idhar se udhar.. matlab har baar excitment si bani rhti hai ki ab kya hoga.. ab kya hoga.. yar ye apki writing hi hai.. jo aisa kar sakti hai... kamal ho bhai.. bemisaal...
Update - 44
Ye school walli intensitty.... aur ladkiun ko lekar gunda-gardi.. ladka ladki ki possivness.. ye sala...drama rehta hai skul mein.. apunich baki side role ki tarah spectator ban kar rehta tha apne tym par

lekin bhai apne intensity full on set kar rakhi hai.. ye to mein samajh gaya tha ki vo atharva ke pas lakar hi sanjana ko khada karega par apne intensity aisi banai ki kya ho raha hai ye nahi lag raha.. jaffar chipkata to nahi chanta sanjana ko varna pakkka ladki hath se jati aur vo launda jab tk lega nahi tb tak raipta dega nahi
Par kuch highlights hai is update ke jispar tavzo dena chahunga
Agar koi mujhe aise maths sikhata to maa kasam... sikh hi jata... Bahut hi umda... line thi bhai
Are bhai bhai bhai

maa kasam.... hansa hansa kar ye admi kisi din maar dalega mujh jaise halke dil walle insan ko
Bhai dialouge bazzi mein apka koi jawab nahi aur na hi apke aage koi hai aur na aapke piche.. aap itni aage ho ki sala line mein lagne wala abhi tak line wali jagah mein pahuncha hi nahi hai... Always be a legend sir...
Update - 45
Gyani bhai.... Outstanding... Marvellous.. Standing Ovation... for this story.... and specially for this update.. Ye update abhi tak ka ki kahani ka sabse tod update tha.. bhai.. kya nahi tha isme? Sab kuch... chutiape se lekar sanjana ki bevkufi se lekar uski samjhdari sab kuch ek hi set.. mein all done... Bhai mein apki jitni tarif karun utni shayad kam padh jaye... Bhai... Mindblow kar diya apne.. sahi mein.. Kahan se shuru karu aur kahan par khatam karun kuch samajh nahi aaa raha... Jahan sanjana ko ek jhakte mein bevkud dikhaya ki vo gali kha kar bhi jafar ke piche thi jo ladkiyan aksar karti hai aur dusri uski samjhdari jo vo atharva ka plan samajh gayi thi.. matlab sab kuch aisa tha mano pre-planned ho aur fir baad mein kiya dhakama... Mira wala... usne to bhai parkache uda diye dimag ke.. Maths ki goti gottte tod kar honi thi is baat par aisa laga jaise sala ye kya hua ? aisa khatarnak twist mrela apne bhai.. kasam... se Atmkami ke twist ki yaad aa gayi.. sala har time ek banda itne alag style se kaise twist de dala hai aur vo bhi baton baton mein.. na hi koi planning na koi plotting... Bas action... ek jhatke mein.. kaam tamam....
Atharva ne jo planning ki thi vo sirf wahi janta tha aur jis andaz mein apne likha na bhai that shows you are the DECEPTION KING... EK taraf atharva ko pareshan dikhaya ye lage ki ye sab bas flow ka hissa hai lekin baad mein hum sab ko deception ke andhere mein fenk kar gate band kar diya aur khud lage aap nachne... :dance: Bhai ... it was absolute ... world class writing....
Chapter ka naam the garib gang.. start aisi hui ki competiion par hogi aur mei wahi umeed lagaye baitha tha... lekin apne to mere level ko aise toda jise akal ek baar fir ayi ki aapke level tak to soch nahi sakte... trio ka matlab ye climax scene tha jise khud Atharva ne banaya aur ved, ranjan ko involve kar liya, aisa master minded bande ko ved aur ranjan ke idea ki kya jarurat? Kya vo un dono ke sath bhi to deception deception nahi khel raha.... Bhai sach mein is logic ko batane ke liye mere pas shabad kam padh jaye... lekin aapki is kahani mein jhatke kam nahi padh rahe...
Gyani bhai so far the best DECEPTION of this story.. first time apne is kahani mein decieve kiya hai is tarah se hume aur ye akhri nahi hai mujhe malum hai.... Thank you so much for this awesome writing guruji...
Update - 46
Are bhai... bhai.. bhai... bhai.. bhai... isee aage kya bolna hai kuch samajh hi nahi aa raha.. Apki narration bhai top notch hai yaar... sahi mein.. matlab ek line padte hue dusri line mein kya ho jaye yahi chiz koi anuman nahi laga sakta.. Is update mein itne highlight the ki ek ek ko quote bhi nahi kar sakta...
Sabse pehle to vo ganna bhai maan gaye apko..

what a remix you have given to the amazing song.... ek engineeer hi aisa kar sakta hai..

Itna badiya apne tune ke sath lyrics banaya tha na bhai sahi mein mera dil kar raha tha apko khade hokar salute karun... par kiya nahi
Uske baad Ved ki ek aur sad story lekin vo sad nahi thi balki aisa likha na apne sahi mein maza aa gaya... sanajana aur riya ki entry par atharva ka palatna ki vo dukhi hai aur uske baad jab use malum hua ki painting ki baat hai to usne fir ved ko sach bhi bata dia ye choti choti chiz aap hi soch kar likhte ho bas... mene kahin pada hi nahi aisa aur na hi socha hai.. It was marvellous bhai.. matlab aap aisi stories par apne badshaahat hassil kar rakhi hai... maza aa gaya aur end mein jo fansaya aur bich mein jo time travel likh kar sirf ek baat kahi vo to main highlight tha update ka.. ise badia aur behtarin kuch nahi ho sakta aur na hi hoga jo mein ab padh raha hun aisa har baar kehta hun aur ap har baar kuch le atte ho

Ab kya karu.. jo padta hu sala lagta hai ise acha kya hoga aap use beat kar dete ho kya kre banda fir kahan jakar sochee...
Awesome se bhi uppar tha bhai... maza aa gayaa....
Update - 47
Ab mein thak gaya hun bhai ek hi baat keh keh kar.. kahan se laun nayi baat :banghead2: Bhai matalab itna satik kaise likh sakteho? Starting se lekar end tak ek dum satik kahin kuch jada nahi kahin kuch kam nahi koi altu faltu ka roz chapata nahi bas satik ek dum sidhi baat aur kya dhoya hai atharva ko...maza aa gaya bhale hi vo ved ki taraf se ho ya fir sanjana ki taraf se... Itna sahi apne ved ki taraf se dialouge dilwaya hai ki pure update ka meaning de diya ki ved ne kyun sath nahi dia... Vo atharva se chahta tha ki choose kare jo ki usne kiya... Ye baat to mujhe pehle se hi malum hai ki atharva chutiya hai aur usne sanjana ke hint nahi samjhe islye vo jafar ke pass gayi aur abhi tak atharva nahi samajh paya khair uski galti nahi us tym koi nahi samjhta until unless ladki khud se na bole aur ladki khud se kaha bolti hai ye to fact hai
Gyani bhai it was purely a gold of a update... matlab maza aa gaya.. mere pas samay kam hai lekin ruka nahi jaa raha aur yahan tak padh baitha kyun ki ek ke baad ek aise update aa rahe hain jo chhodne ka man nahi kar rah.... na jane kaise... kaise real time par log wait kr gaye sala mujhse to hota hi nahi... thodi khushi bhi hai is baat ki ek sath padne ko mil raha hai

Par bhai... sach mein aapne to kamal hi kar diya is kahani mein... 8 semester ke baad agar skul/college life ke uppar koi kahani likhi gayi ya yaad rakhi jayegi to wo yahi hogi.. kyun ki iske aas pass bhi is genre mein koi kahani nahi hai ... a legend is writing legendary story aagin
Update - 48
Shoorveer

Gyani bhaii boooyeahhh wala moment gazab ka tha. Pehle chidana aur uske baad riya ka same usi tarah se karna.. Matlab sab kuch bada natural tha.. aur hasne wala scene padh kar ais laga jaise hamare sath bhi reality mein bhi hua tha.. isliye... maza doguna ho gaya... Is update mein jada kuch kehne ko nahi kyun ki ye build up update tha do chizon ka ek ... competition dusra riya ke uppar atharva ka chatta pyar... ab to aage dekhna hai ki shoorveer ko dhakne ke baad kya hota hai agle update mein...

Gazab gyani bhai.. fully reality touch hai kahani mein...
Update - 49
Matlab end tak atte atte atharva ne pure scene ki gaand mein baal daal diye bhai...

Bich bich mein jo apne punches dale vo to awesome the. Yani short mein kahun to purre update mein kahani padte hue ek smile thi chehre par... ye jo school life ki sasti wali nok jhok hoti hai na.. sasti isliye kyun ki paise nahi hote... to usme apna hi anand hta tha.. aaj hazaron khrch kar lo to bhi sukun nahi, man ko shanti nahi milti... par jis tarah se apne dialog aur explanation di hai.. fir decieve kiya hai.. jo aap puri kahani mein karte aa rahe ho... mujhe ab aisa surity hone lagi hai kyun ki har jagah deiceve kar de raha hai atharva ... hum padne walo ko bhi..

Death note yaad aa jati hai.. jab vo banda decieve par decieve karta raha tha... Bahut baddia... update tha bhai.. Riya ka character bahut hi umda likha hai apne. Aksar khubsurat ladkiyun ki kahaniya alag hoti hai.. par aisi simplicity koi likh nahi pata... with attitude.... bahut khub gyani bhai.. bahut khub...
Update - 50
OOoo bhaiii.... kya update thaa ma kasamm...

laugh:

Starting mein riya se indirectly uske...

dikhane ki mang aur fir... gaal khinchne wala...

Bhai gazab ka scene create karte ho aur gazab ka atharva ko funny dikhaya hai... matlab ki gazab ka funny dikhaya hai... aur baad mein jo Apsara ki kahani jodi hai aur ved ke sath jo bhi discussion hua.. ma kasam hansi na ruki...
Bhai.. kya likha tha ye... sahi mein hans hans kar ankh se pani nikal gaya

Bhai.. sometimes samajh nahi ata ki ved jada funny hai ya atharva... sala... ek number tha bhai half century wala update..Chhuhiya gaon.. bc...

kya naam hai... Apsara wali kahani to ek number thi

Mere ko bas soch soch kar update ki hansi hi aa rahi hai

Ek number ka update tha gyani bhai
Update - 51
Bhai kahan se latte ho i mean kahan se...

:rofflol: Galiyan banane walle insan aap hi to nahi the jinhone purv samajh mein janam lekar galiyun ka nirman kiya
Is update mein pehli baar hua ki kahani present se past aur wapis present mein ayi aur traffic mein fnsi reh gayi.. katai bura lagta hai aisa traffic par kher.. aisa pehli baar hua jisme traffic ke bare mein batate hue atharva ne riya ki painting ke bare mein bata dia ab ranjan sanjana ko bata dega aur khallas dono ki painting ek jaisi.. atharva gaya yaha? aisa mjhe lagta hai kyun ki past mein bas yahi scene aya tha to iske hone ke pure chanace hai.. uske baad bhai jo scooty wali ladki ke sath hua... waise hona to nahi chahie in rel life lekin padh kar hansi nahi ruki... ma kasam.. itni badmash.. launde vo bhi is tarah chedne wale kam hi milte hai... itna bakhubi likhela hai apne ki mein kya hi bataun.. maza aa gaya bhai.... ek behatrin update tha.. aur ek bathrin end tha... is chapter ka...
Update - 52
I feel sad for Riya.. If she is real... or what atharva is thinking... is all real.. than i feel bad for riya.. vo ek bichari side line mein ban kar reh jayegi...

she is started liking atharva par hum laundo ko to bas apna josh dikhta hai

Behatrin update tha.. bhai.. apne kewal atharva ko hi nahi balki hume bhi vo feel karaya jo sanjana, atharva aur riya feel kar rahe the.. ek taraf sanjana ke liye bura dusra atharva ki confusion aur tisri taraf riya... Itne satik realistic emotions diye hai na apne jo meko feel kara diya... bahut hi umda update tha... a mixture of feeling se bhara ....
Update - 53
I am still in doubt... ye sala karan naik ki dikatwa kya hai.. uski sali jo marzi kare.. kahin sala vo apni sali ko adhi ghar wali to nahi banana cha raha

Ho sakta hai bilkul ho sakta hai... Sanjana ki maa ka ilaz kara raha hai vo samajh ata hai par uske badle sanjana par itne julam? to apni biwi par kitna karta hoga.. bechari vo sexy kapdon mein school bhi nahi aa sakti..

Par bhai jo aap school life likh rahe ho ek gazab likh rahe ho... matlab mein wahin hu usi skul mein.. bas mil nahi sakta kisi se... kash aisi koi machine hoti jo fantasy mein bhi ghusa de sakti thi hume.. maza aa jata..

Kya kya soch leta hun mein bhi..

Par kahani ki main baat... ye atharva ne ek dum shai kiya tha jaffar ka naam dekar uski thukai karane wala... par ab sanjana ko nahi malum chalna chahie ab uski tayari dekhte hai kaise kiye ho.. Aur iske alawa ek chiz aaur.. jo mujhe yahan achi nahi lagi.. chochlate kyun chinni

bhai... ladkiyun ke maal par hath daal lo par unki chochlate par nahi.. atharva ko iski sza jarur milegi bhai..
GAzab aparatim likh rahe ho gyani bhai aap... pata nahi kahani kahan jaa rahi hai kyun jaa rahi hai... ky hoga... aage.. kuch nahi malum.. par past mein bahut kuch hona baki hai jisme dard feel hoga i am sure of it.. atharva bhool gaya hai.. par aap hume nahi bhoolne doge... Esha wala kissa aaj bhi yaad hai meko.. sala bada ajeeb lagta ha..

Aage padta hun... bhai
Update - 54
main tum logon jaisa nahi.. Atharva Dev hu.. sometimes.. is insan se bhi ARMAAN jaisi hi feeling ati hi apun ko... launda wahi banta jaa raha hai.. bas thoda naram hai.. ladkiyu ke mamle mein.. warna sanjana ki bezati kar chuka hota.. ya riya ki.. ke na ek ki to bezatti ho hi jatti... sorry bolte hi khel khallas ho gaya tha.. ladka to pehle decieve karne gaya tha. sanjana ne fir bhi pakad liya.. akhir aisi galti kaise kar gaya launda apna... ab sanjana ka karegi re iska...

bada hi jhol wala aur emotional wala update tha.... sanjana ki pareshani uske pyar ko darsha rhi thi lekin kya jafar sahi hai itna pyar karne layak hai? ladkiyun ko akal hi nahi ayegi kabhi is bare mein

Bahut sahi ek dum true feeling chaap rele ho gyani bhai aap... matlab ladkiyun ko is tarah likhna apne aap men difficult hai apne to harkatein bhi unki usi tarah utar di.. chote-chote expression tak unke bilkul waisich hi utare hai apne...

tussi great ho pajji....
Update - 55
bhaiii do shock the.. pehla apka past future wala scenario maa kasam uppar se nikal gaya.. do baar pada aur sochne samjhne ki kosish karne laga ki akhir ye kehna kya chahte hai..

fir mene aur dimag lagaya aur tab samajh aya ki jane do aage samajh aya to aya warna... jitna aya use kaam chala lenge vaise bhi bahut kuch hai sochne ko is kahani mei

dusra shock apun ko tab laga jab karun naik ko yun hi chhod diya gaya.. i mean bina kisi tal mol gali galoz.... i mean what the phackk... ise badla lena banta hai bhai.. ye jabaran side villan ban rela hai... bina matlab ke.. role bhi nahi hai itna to iska acha jitna ye ban raha hai

FIr mene socha chalo isi bahane iska sanjana se karar kuch kam hoga aur fir apne agli 3 line mein ye sabit kar diya.. sanjana ko uda hi dala bhale hi ignore kar dala lekin apunich ko malum hai sanjana hi true lob hai

aur uski wajah se apna hero riya ka dil todega.. aur riya bechari ...

sanjana bhi na milegi aur riya bhi.. Ved ki baat sunni chahie re.. bilkul sunni chahie thi...

Atharva pachateyega... khair uske baad apne riya ki entry ki aur choclate wala scene dikha kar ye dikha diya lattu dono jagah ghum raha hai.. Matlab bhai world class writing ka silsila chal raha hai is baar.... Mixed with all the feelings.. a best melo drama ho raha hai idhar.. uske uppar se apke likhne ka istyle vo to laa mein jawab hi alag hai... Gyani bhai jis tarah se aap is baar kahani ko likh rahe ho i think ye abhi tak ki first hai apki jahan apne romance plus bakchodi ka itna behtarin namuna pesh kiya hai.. varna apka romance to ESHA jaisa hota hai

Gazab.. maza dila dia.. one more to go
Update - 56
Mere pas no words... Riya and atharva... park ka scene.. hasti riya... confused atharva... aur sanjana ka jikr jo usne khud se kaha ki sanjana hoti to samajh jati.. khalas.. khel khatam tata babye. Riya ka chapter to athrva ne wahin khatam kar dia... and i was like ok.... riya gayi to sanjana kaise ayegi.. ye doubt ranjan se clear karwa diya apne... matlab uski khushi dekh kar mujhe samajh jana chahie tha lekin jab tak apne likha nahi yakeen nahi hua.. ab ranjan aur atharva ke bich kuch na ho jaye? ho sakta hai shayad.... shayad nahi.. shayad karan naik ko peetne ke liye ranjan aage aa jaye... Anything is paasible in ur istory bhai... main to bas itna hi kahunga ki jis taraike se aap kahani ko aage badha rahe ho.. use laga hi nahi ki kahani 56 update tak pahunch chuki hai... and still where we are riya, sanjana atharva kya hoga teeno ke bich hume ye nahi mila and still i am feeling... like ... kya likh raha hai bhai.. matlab dil khush ho jata hai.. samajh nahi ata ki har update ke baad kya likhun? Kya bolu ki yaar is update ke andar ye chiz behad khas thi.. ye chiz behad umda tha.... kya likh rahe ho bhai.. kahani ko ek dum mast romantic suspense mein bana kar chhod diya hai apne...
Abhi tak mujhe lag raha tha kahani mein wahich romance ka the end hga.. lekin main ye ab manne ko tayar hi nahi hu ki koi simple the end hga.. mujhe lagta hai... ye kahani ka the end bada hi khatarnak hone wala hai...

Bhai.. gazab... gyani bhai gazab...
Thats the reply textbook i have maintained..

Aage ki kahani ka alag se bana kar chapega...