2
aage story ravi ke hisab se chalega.
mai puri raat bas apni pyaari maa ko dekhta raha. kab raat gujar gaya mujhe pata hi nahi chala. subah ka suraj nikalne laga tha aur maa ke bhi uthne ka samay ho chuka tha. Mujhe turant yaad aaya ki maa har subah uth kar chay bana kar piti hai aur itna yaad aate hi mai jaldi se utha aur dabe paav bhag ke kitchen chala gaya maa ke liye chay banane lekin mera haath achanak se ruk gaya. mujhe waise chay banana aata to tha jo maine college me sikha tha lekin maine apni jindagi me kabhi maa ke kaamo me kitchen me haath nahi bataya. agar mai chay bana dunga to kahi maa ko shak na ho jaye ki maine chay kaise bana diya. fir mai turant socha badi kismat se to mujhe ye dobara jindagi mili hai is jindagi me bhi maa ka khyal nahi rakha to ye jindagi ka kya fayda. ye sochkar mai ekdum dheere se kitchne ka darwaja thosa sa band kar diya taki kitchen ka awaj bahar na jaye aur ek dum chor ki tarah chup chap maa ke liye chay banane laga. mujhe andaja tha ki maa aksar subah 6 baje ke aas pass uth ti hai aur 6 baj chuka tha.
mai bas kamre ke darwaje ke pass khada hokar maa ke jagne ka intejaar karne laga aur jaise hi maa jaagi mai bhaag ke kitchen gaya aur ekdum garma garma chay ek haath me lekar maa ke saamne prastut ho gaya.
maa jaise hi mujhe apne saamne khada dekhi wo bhi haath me chay lekar pahle to wo do baar apna aankh mali fir chay lene ke bajay pahle mera chehra chukar dekhi jaise khud ko bharosa dila rahi ho ki ye sapna nahi hai. jaise hi maa ko yakin ho gaya ye sapna nahi hakikat hai maa ki ankh ashcharya se bada bada ho gaya lekin turant hi un ankhon me mere liye beshumaar pyaar dikhne laga.
maa ki in pyaari ankhon me apne liye pyaar dekh kar mai bas ro hi deta lekin badi himmat se maine apne ashuon ko aur khud ko roka.
mai bola-maa chay lo. aaj mai banaya hoon tumhare liye.
maa mere hath se chay li aur thoda sa taste karke boli-arey waah aaj chay to bahut achaa bana hai.
mai bola-chinta naa karo maa aaj se har roj subah ki chay mai bana dunga.
meri baat sunte hi maa boli- ek baat bata tujhe kuch chahiye kya jo subah subah mujhe itna maska laga raha hai. paisa chahiye to bol de mai tere bhaiya ko bol ke mangwa dungi.
paise ki baat sunte hi mai khud se bol pada paise ka kya hi mol hai maa paise to bas kagaj ke tukde hai mujhe to tu mil gayi hai.
mai jab khud me khoya to maa ko laga mai thoda dar raha hoon unse kuch mangne me.
maa boli-dar mat beta bata na kya chahiye.
mai socha agar mai kuch nahi manguna to pakka maa ko shak ho jayega aur maa ye soch soch ke tension me aa jayegi ki mujhe kuch to chahiye jo mai bata nahi raha hoon.
mai turant kuch socha aur mere soch me pahla naam jo aaya wo tha komal ka.
mai maa se bola-maa mujhe commerce padhna hai. science me ab man nahi hai.
ye sunte hi maa chay ek taraf rakh di aur boli-tera tabiyat to thik hai na ravi. pichle do saal se tu bol raha hai tujhe doctor ban na hai. doctor ban na. tu do saal se taiyari bhi kar raha hai. 11th me tu hum sab se lad ke maths ke saath biology liya. ab itni taiyari ke baad bol raha hai commerce padhega.
kuch din me medical ka exam bhi hone wala hai. medical ka form bhi nikal gaya hai.
mai bola-maa maan jao na pleaseeeeeeeee.
mere do teen baar manane pe maa boli-thik hai thik hai tumko jo achha lage wahi padho. bhaiya abhi daatenge to thoda sa daat sun lena baaki mai baat kar lungi.
mai turant maa ke gale lag gaya aur bola-meri pyaari maa ho tum.
maa boli-beta tujhe commerce kyun padhna hai.
mai bola- maa mai soch raha tha medical padhunga to dusre sahar college jana padega. mai tumse door ho jaunga. medical ki padhayi bhi hard hai to mai tumhare saath rah nahi paaunga. aur tum hi humesha mujhe bolti ho ki gaav me jamin hai usme kuch bussiness karenge to maine soch liya ab mai commerce padhunga. yahi tumhare pass rahunga aur gaav ka bussiness ab mera jimmedaari.
maa is baar mujhe boli-beta kahi tu meri khusiyon ke liye apne sapne to nahi maar raha.
maa ki ye baat sidhe mere dil pe laga.
mai is baar chah kar bhi apne ashun nahi rok paya jo mere ankhon se chalak pade aur mere mooh se apne aap hi mera dard nikal pada.
mai bola-maa mera to sapna hi tum ho. tumse door rahkar mai kitna bhi bada insaan ban jau khush nahi rah paunga. ji nahi paunga.
meri baat sunte hi maa turant mera anshonn pochne lagi aur boli-arey tu kya pagal ho gaya hai. kaisi bahki bahki baate kar raha hai. mujhe kya achha lagta hai tum logon se door rahna. mai bahut khush hoon ki tu ab mere saath rahega. mujhe to bas tumhara chinta ho raha tha isliye mai boli.
aur maa mujhe gale laga li. maa ke gale lagate hi mujhe fir se ek sukoon mila.
mai maa se alag to nahi hona chahta tha lekin mai ab pura din aise maa se chipke to nahi rah sakta tha.
mai maa se alag hua to mujhe thoda sar fir laga ki kahi mai maa ko kho na doon lekin ab mai apna dil ko majboot bana raha tha.
maa bhi thoda udas ho gayi thi. mai maa ko hasane ke liye bola-maa chay kaisi bana hai.
maa boli-bahut achha
mai bola-ab to maa tum adat daal lo mai to yahi rahunga to tumko mere haath ka chay pani khana milta rahega.
maa bhi haske boli-arey waah matlab khana bhi aaj tu hi banayega. mai kya ghar ki maharani banke baithi rahungi.
mai bola-haan tum to ho hi maharani aaj mai seva karunga.
maa boli-itna bhi maska marne ka jarurat nahi beta. mai maan gayi hoon. mai rohan aur sohan se baat kar lungi ki wo tumhe jada naa daate.
fir maa chay pi uske baad mere dono bhaiya ko ek ek karke phone kiya gaya aur unhe bataya gaya ki unka chota bhai ab science nahi commerce padhega. wo dono thoda gussa hue mujhe daate bhi lekin maa ke karan jada kuch nahi bole.
maa mere dono bhai se baat karne ke baad chali gayi ghar ka kaam karne. mai bola ki mai madad kar deta hoon lekin maa saaf saaf mana kar di. ulta mujhe bol di ki jis college me admission lena hai wahan jao pata karke aao college me admission khula hai ya nahi. ab maa ki baat kaise tala jata.
mai bhi taiyar hua tab tak maa subah ka breakfast bana di to khaya aur chal diya college.
mai komal se class 10th ke baad nahi mila tha kyunki uske baad wo apna collge change kar li thi. mujhe uska college isliye yaad hai kyunki jab mai medical college se 2nd year me chutti me 5 din ke liye aaya tha tab mera us se baat hua tha aur wo batayi thi ki wo pass ke commerce wale hai.
mai college pahuch gaya. college ke gate pe hi bade bade golden letter me likha tha pratap narayan college matlab PN college. ye college thoda mahanga to tha lekin mujhe mahanaga nahi padne wala tha. mere 12th me bahut achha marks aaya hai us hisab se mujhe aaram se college ke merit me admission mil jayega aur mera fee maaf ho jayega.
mai college me andar gaya to pata chala admission chalu hai. lage haathon mai bhi admission form le liya. jab college se nikla to socha ek baar mujhe komal ke ghar jana chahiye. ye baat thoda ajib jarur hai lekin mere liye jaruri hai. jis insaan ne mujhe mera maa wapas loutaya hai. mujhe fir se naya jindagi diya hai aakhir usne mujhme kuch to dekha hoga tabhi to crodon ki abadi wale desh me usne mujhe hi chuna. mana ki mai komal mere hi school me padhi thi lekin mai aur komal sirf dost hi the aur dost kya hum ek hisab se bas classmates hi the. bas baat ye thi ki hum dono class 2 se saath padhe the. waise to komal ke aur bhi bahut dost hai lekin mai hi kyun. ye sab sawal ke jawab mujhe na bhi mile to bhi chalega lekin us insaan ne bola tha ki uski bahan ka mujhe khyal rakhna hai yani komal ki maa ka. aisa na ho mai 10-15 din baad komal ki maa se milun tab tak koi anhoni ho jaye. jis insaan ne mujhpe bharosa kiya hai uska bharosa mai todna nahi chahta tha isliye mai chal diya sidha komal ke ghar ke taraf.