• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

nain11ster

Prime
23,655
80,790
259
Great update bhai..
Vyas koo khali pili bajaa diya uski maa ne..
Aur karan meera thi..
Ab chori-2 tadaa tadi chal rahi h..dono ke beech..
Ab yee naya namunaa kon h..
Koo bematlab sia koo chamkaane ki koshish kr raha h..
Dekhtee h aage kya hoga..
Intezaar rahega next update ka..
Meera ke karan maar khaya Vyas.... Galat... Ab jija ji ko bhai banane par tuli thi Alka Shashtri... Meera ke pass options nahi the :D..

Baki chamkane ka ek tarfa daud tha dusre ore ki pratikriya aapne dekh hi Li hogi aur main aap ki pratikriya dekh leta hun...
 

nain11ster

Prime
23,655
80,790
259
Kuch din na dikhne ke liye Mafi chahunga nain bhai...... actually baat aisi h ki aapka bhai shortlisted ho gya h SSB ke liye ...to filhal pura focus usi pe dene ki kosis kar rha ummid nhi thi bilkul bhi ki ho jaunga but kismat bhi kamal ki chij hoti h kb kya de jaye pata nhi hota .....padhai se nata tut chuka tha kuch mahino se to dubara jod rha hu isliye jyada mehnat lagegi....sb kuch recall karna padega ....baki bich bich me aake review de dunga daily ka wada nahi kar paunga filhal... please understand:)

Aur rhi baat review ki to som aur meera ka milan bada kamal ka tha kai naye raaj khule apna hero itna bada training center chalata h aur lg rha som ne meera ko dil se apna liya h isiliye usne bola ki future me uski absence me meera freelancing ka kam dekhegi...chalo kuch to hua inka ....meera ne ghar agle din hi vyas ke yaha pahle bum foda fir aise pyaar se aag lagake bujhai ki maja aa gya .....alka shastri shocks......meera rocks....vaise ye aankho aankho me jo ishare hote h sala bada khatarnak h face to face baat karne se kahi jyada maja thrill aur romance h isme ... ek kissa sunata hu... school time pe meri ek gf hua karti thi ..jb hum gf bf nhi bane the tb mai koi bhi activity karu wo bade pyaar se mujhe dekhte rhti thi kahi chhip ke ...aur hamesa mera koi na koi dost use dekh hi leta tha mujhe chhip ke dekhte huye aur dhire mere pas aake batata "abe wo waha se chhip ke tujhe hi dekh rhi h" aur jaise hi mai palat ke uski taraf dekhta ... Turant najar kahi aur kar leti ....hayy kya din the we😉😉😉..........ab aate h bache huye review pe ...ye behn ka kon marne aa gya jo sia ko aake dhamki de rha ....ab ise vyas pitega ki som thokega ....ki sia hi iska kaam tamam kar degi intejar rahega iska ....
Sab se pahle to aap ko dher sari badhaeyan... SSB clear karne ke baad ek chhota sa info jaroor den...

Baki thanks for your so lovely comment... Aap aaram se udhar taiayri karen... Jab entertainment ki ikchha ho aa jayen... Aur jab bhi aaye 2 min ruk kar apna chehra dikhate jayen
 

SHADOW KING

Supreme
15,923
32,935
259
Update:-59​




"Kya mere UK jane ke pichhe ki koi aur vajah bhi hai... Kya kuchh aisa jo tum dono mujh se chhipa rahe ho aur mujhe un sab chijon se dur rakhne ki kosis kar rahe ho. Aur kya main jis campus me padhti hun wo wakai me students ke padhne ki jagah hai? kyonki wahan ke chhote jhagde jis hisab se deal hote hain poore bharat hi nahi poore vishv me waise students nahi jhagadte"…


Diksha:- Tumhe aisa kyun laga Sia… .


Sia:- Nahi yahan ka mahol aur logon ki harkaton se stabdh hun. Log bure hote hain ye to janti thi, lekin samne se apni buri juban se jab gandgi nikalte hain tab khud ko shant rakhna muskil ho jata hai... ..


Sia ki baat sun kar Som aur Diksha ek dusre ko dekhne lage.… "Kisne pareshan kiya tumhe Sia"… Som ne bade hi shant lahje me puchha..


Sia:- Nahi pahle mere sawalon ka jawab do...


Diksha:- Nahi tumhare UK jane ke pichhe ki kewal ek hi kahani hai aur wo tum janti ho. Haan log aur unke juban gande hote hai aur bahut kam lekin kabhi kabhar aise log samne se takra bhi jate hain. Koi baat nahi sab ko jawab denge... Kewal isliye nahi kyunki uss ek ne bahut hi ghatiya shabd kahe hain tumse, lekin isliye bhi kyunki usse dekh kar 4 aur himmat karenge apni gandi juban kholne ke liye. Kabhi kabhi shanti banaye rakhne ke liye ashanti jaroori hota hai.. Som...


Som:- Iske college campus ki baat hai na julush to wahin niklega. Poora parivar sath khade rah kar ye tamsa dekhenge... Bus tum dil chhota na karo Sia.


Sia:- Nahi maine nipat liya. Ye mere campus ka mamla hai aur main nahi chahti ki hum students ke bich tum sab aao. Even main nahi chahti ki tum dono pata tak karne jao ki wahan kya hua? Kya tum dono meri baat samjh rahe ho ya apni manmani kar ke interfare karoge hi...


Diksha:- Wahan tum apne doston ke bich ho. Main Som ke ore se bhi kahe deti hun, zero interfare. Haan lekin kabhi hume iss baat ka ratti bhar ka bhi afsos na ho ki tumhari baat kyun mani..


Sia muakurati apne dono baanh poore failati... "Aisa kabhi ho sakta hai ki main apne vajah se Som aur Diksha ko afsos karne ka mauka dun"..


Teeno aapas me gale lag kar kuchh der ke dusre ki bhavna ko muskura kar mehsus karne ke baad alag huye...


Sia:- Mere ek sawal ka jawab ab bhi adhura hai. Kya uss campus me koi kahani chal rahi hai...


Diksha aur Som dono hi usse ghurte.… "Wo campus kiske jamin par khadi hai"..


Sia:- Mananiya shriman Gajendra Mishra.


Som:- Main yahan kyun aaya...


Sia:- Bade mama ke naam se college hai aur bade mama chahte hain ki pitaji ab iss poore campus ko dekhe. Isliye chupke tum dono ander hi ander poora kaam karwa rahe...


Diksha:- Ye baat kitne logon ko pata hai..


Sia:- Sirf hum teen...


Diksha aur Som dono Sia ke mathe par maarte... "To tere dimag me ye khyal aaya kaise ki hum uss jagah ke complete takeover me lage hai, iss vajah se log tumhe pareshan kar rahe honge..."


Sia:- Sorry thoda stupid sa khyal tha? Kya wo log aasani se maan jayenge...


Som:- Kaun log..


Sia:- Uss university ke current partners..


Diksha:- Slow process hai. Pahle to hume khud samjhne de ki ye University run kaise hoti hai. Abhi isme waqt lagne wala hai aur hume koi jaldi bhi nahi hai. Aur koi doubt mann me hai..


Diksha:- Haan mujhe ek aur doubt hai..


Diksha:- Dil me daba le doubt. Chal thoda fun kiya jaye... Pata na aaj college me tere sath kya hua hoga. Hume bhi pata karne se manaa kar di… Jab aisa tha to baat ki charcha hi kyun ki pagal..


Sia:- Areeee, parehan kyun ho rahi hai. Bata deti hun jyada chinta karme ki jaroorat nahi hai, lekin maa ya pitaji ko mat batana..


Som:- Pakka nahi batayenge…


Sia:- Nanda ki beti bhi wahan padhti hai. Medical second year me hai. Kuchh issue huye the aur maine usse ek chipka diya. Uska badla lene ke liye Nanda ne Kasif Sehnavaj se contact kiya aur aaj mere sath gatiya juban jo istamal kiya wo tha uska dusra beta Faisal..


Som aur Diskah bhi apne mathe par hath rakhte... "Pareshan hai abhi tu Sia"..


Sia:- Nahi maa ko dekhi na to sare gum chale gaye...


Diskha:- Jane de chinta mat kar abhi to hain hum Lucknow me, aur aur aur... Jayega kahan. Tera matter udhar raha, jis din kisi dusre matter me fansa na.. fir agla pichhla sab barabar kar denge. Som filhaal meri ek ikchha ho rahi hai ki kyun na Nanda se mil liya jaye..


Som:- Nanda bhi to anjaane me hi samne aaya hoga na. Usse bhi pata kahan hoga ki Sia ne uski beti ko maara hai.


Sia:- Haan sahi kah rahe...


Som:- Bus fir aaram se so jao. Jab kismat kharab hogi to uljhega aur iss baar hum alag-alag to honge nahi jo ignore karne me vishwas rakhenge.


Diskha:- Yep Purusom.. you are right.. Chal issi baat par thoda ghum kar aaya jaye...


Som:- Chal hum teeno bhi maa pitaji aur Pranshu ke pichhe chalte hain. Thoda fun masti unke sath bhi ho jaye...


Diksha:- Nahi aaj ke din ka kafi tha... Waise bhi unhe (Pranshu) kal sham uddan bharni hai isliye sasurali gift aaram se kharid lene do. Hum chalte hain Meera ke pass aaram se apni nanad se milungi... Kya kahte ho...


Som:- Nana tum dono jao...


Diksha:- Kyun kuchh jyada hi tujhe chhed di jo dil me tere chhed ho gaya hai...


Sia:- Hahaha... Kya kuchh rahat de den isko..


Diksha:- Olleee bechare ka muh to dekh...


Sia hansti hui Som ke gaal khinchti... "Meera ko koi aur ladka pasand hai. Isliye tumhe darne ki jaroorat nahi...


(Oopss !!! To in dono ko ye nahi pata ki Meera kise chahti hai. Haan to ab mujhe bhi kahan pata.)… Man me jaise hi vichar aaya.…. "Main waise bhi nahi dar raha tha. Dar to Shashtri family se lagta hai. Sochte kam hai aur react jyada karte hain…"


Diksha:- Areee mahol hi aisa tha. Tu tha nahi warna Alka aunty ka shakl dekhte. Maa ne mujhe aur Sia ko awaz di aur pahle main nikal kar aayi. Bechari ka chehra aisa tha mano hairani se aankhen bahar nikal aayegi...


Som:- Haan tabhi to kah raha hun. Darvaje par mujhe dekh kar to teeno maa beti bilkul statue ban gaye...


Sia:- Dosh unka nahi tumhare look ka hai bhai... Kitna bejjat karwayega, katwa le baal..


Diksha:- Haan Som katwa le baal...


Som:- Haan taki tum dono matrimonial ad de sako. Meera ke bare me sun kar to dono ne shadi me nachne tak ka plan kar liya hoga…


Sia:- Huhhh !!! Jyada oversmart na bano. Warna main apni sweeto ka brain wash kar sakti hun..


Diksha:- Som, dimag mat kharab kar. Ek baar bilkul clean shave aur baal katwa le...


Som:- Baal apni jagah par rahenge… Koi agar mujhe pasand karegi to in balon ke sath pasand karegi. Haan main kisi ko pasand karun to usse dikhane ke liye main baal katwa sakta hun jo ki aisa sambhav nahi. Ab chale tumhari sweeto se milne. Jab wo chhedti thi kafi dara sa rahta tha ekin ab mamla barabari ka hoga… .


Diskha aur Sia dono aage nikalte... "Diksha iske haav-bhav kuchh badle se hai na.."


Diskha:- Kuchh nahi bahut jyada badle hai... Chup ho ja aa raha hai baad me baat karte hain...


Teeno Meera ke pass nikalte, tabhi Sia ke department ke ladke ka phone aa gaya.… Sia phone dekh kar Diskha aur Som ko chale jane boli aur khud apne department ke ladke se milne chali gayi.


Subah jo survey team bani thi, poori toli wahin maujood thi. Sia sab ko "Hi" kahti... "Abhi to college se sab laute hain. Kuchh jaroori tha to wahin kah dete"..


Sonali:- Uss abhi ko 6-7 ghante se upar ho gaye Sia. Pahle ye batao tum thik ho aur wo Kasif Sehnavaj koi close pahchan ka nikal gaya kya?


Sia:- Haan.. Bus ummid nahi thi.


Raman:- Haan mujhe bhi laga tha. Khair, abhi hum baat kar sakte hain…


Sia:- Haan kyun nahi?


Sabhi baith kar mangalvar se shuru hone wale survey par kuchh der charcha karne lage. Takriban aadhe ghante ki charcha me Sia ke pass Vyas ke 25 sandesh aa chuke honge.


Jaise hi Sia ke classmates wahan se nikle Sia ek cup coffee oreder karti Vyas ko call laga di...


Vyas:- Ghar par thi…


Sia:- Nahi, Tuesday se on field survey hai. Ussi ke vishay me classmates se milne chali aayi thi.


Vyas:- Free ho gayi..


Sia:- Haan free hun..


Vyas:- Kya hum mil sakte hain..


Sia thodi mayus hoti... "Aaj subah ki baat puchhoge"…


Vyas:- Milne do na please…


Sia:- Hmmm !!! Cafeteria aa jao.. Wahin apne campus wale road me jo hai..


Kuchh waqt baad dono aamne samne the. Vyas, Sia ke chehre ko dekh raha tha aur Sia apne najren chura rahi thi...


Vyas:- Sia...


Sia apni najren upar karti... "Kaisf Sehnavaj meremaa ka apna saga bhai hai. Parivar ka koi ladka mujhe aisa bol gaya, shayad maa ye bardast nahi kar pati. Aur shayad ye bhi ho sakta tha ki maa ko ye baat itni jhkjhor jati ki wo Faisal ko goli maar deti... Shyad mujh se bahut jyada bada Sadma unhe lagta. Bus issi baat ka sadma uss waqt mujhe laga tha."


Vyas kuchh bolne ko hua.. tabhi Sia hath dikhati... "Bus ab na to iss par koi baat hogi aur na hi tum mere nanihal ke bare me kuchh baat karoge aur na hi iss bare me kisi ko bataoge"..


Vyas:- Haan lekin Gajendra Mishra…


Sia:- Tumhe mere nanihal par hi baat karni hai to main ja rahi hun. Sab bata di na bina puchhe to achhe bacche ki tarah tum bhi aaram se subah ki baat bhul jao. Jab meri maa mere pass thi aur main unke chehre par khushiyan dekh rahi thi tab mere dil ke sare gum dur ho gaye. Bhagwan ka shukr tha ki unhe campus ki baat pata nahi chali...


Vyas:- Aur wo jisne tumhare atmsamman ko thes pahunchaya…


Sia:- Ek baat dhyan se utar gaya tha, abhi yaad aaya... Wo tum mujhe apne besharm hone ka kissa sunane wale the na. Wo atmsammna par kuchh to bolte.. wo baat kab bataoge…


Vyas:- Siaaaa...


Sia:- Areee uss Faisal ko to poore bejjati ka manjar dikha hi di thi. Haan bus uski akad yani ki uske baap ko sabak sikhana rah gaya. Abhi iss matter me dhil do... Kyunki meri maa ko gahra Sadma lagega. Baki abhi main bhi Lucknow me hun aur wo bhi. Bus dua karo ki agli baar unka samna mujh se na ho... Fir to sab ka hisab barabar hoga... Kya samjhe…


Vyas:- Ji maim samjh gaya...


Sia:- Haan to mujhe ab normal dekh liye na. Aur main sach me normal hun isliye ab tum kya khana pasand karoge..


Vyas:- Ab ye khana kahan se aa gaya bich discussion me...


Itne me waiter ne ek pizza aur cold drink serve kar diya... "Tumne ye kab order kiya"..


Sia:- Tumhe jab darwaje se aate dekhi... Sadme me main thi aur khana tumne tyag diya ..


Vyas muh bichkate... "Ji nahi aisi koi baat nahi thi"…


Sia:- Girlfriend se jhoot bolne ka anjaam jante ho na... Zindgi ulti latak jayegi Shahstri ji... (Fir Sia Pizza slice apne hath se badhati) … Chalo kha bhi lo jaldi.. fir kuchh shopping karne chalenge…


Vyas ek bite lete... "Tum mere ander ki baat kaise janti ho Sia"..


Sia:- Pagal kuchh hi to log hai, unhe bhi nahi janugi. Aur waise bhi aaj Neerav jayega Delhi aur Meera Mathura jane ka plan bana rahi hai. So tumhari combined study sidha college ke baad shuru ho gayi hogi. Uske baad tum ghar nahi gaye apne doston ko chhodne nukkad tak aaye hoge ya study baad aise hi casully nikal kar bahar aaye aur mujhe call laga liya... Am I right Shashtri ji..


Vyas:- Mere upar settelite lagayi ho jo pal pal ki khabar hai...


Sia:- Nahi buddhu... Study baad ghar gaye hote to pata chalta ki Diksha aur Som tumhare yahan hi gaye hain..


Vyas:- Ohhh nooo...


Sia:- Ab kya hua...


Vyas:- Maine maa se jhut kaha tha ki flight aur mathura ka poora arrangements Bade bhaiya dekhenge. Mujhe ghar jana hoga kahin kuchh gadbad na ho jaye..


Sia:- O' mere bhole balam..


Vyas:- Kyaaaaaa??


Sia:- Chaunk kyun rahe ho mere bhole balam.. jaise subah tum wahan upar se normal aur ander se mere bare me itna khyal chal raha tha ki apna khana tak bhul gaye. Thik utni hi gahrai Meera me bhi hai... Aur tum yakin karo wo hanste-hanste aur khud ko pagal sabit karte har kaam smoothly kar degi... Itne din baad to mauka mila hai... Chalo chup chap khao fir shopping...


Vyas, Sia ko dekh kar hanste... "Tum me aur Meera me bus ek hi anter hai. Wo kisi anjaan ko bhi pagal bana sakti hai aur tum bus apne logon ke sath mahakti aur chahakti rahti ho..."


Sia apni aankhen sikudti... "Shahstri ji, bahut jyada mere bare study karne ki kosis nahi kar rahe"..


Vyas:- Tum to mera reserch subject jo jis par main umr bhar reaserch kar ke thesis likhta rahunga…


Baten jo sun'ne me pyari lag rahi thi. Sia muskuati hui usse pyar se dekhne lagi. Vyas bhi jaldi se khana finish kar ke Sia ko le kar nikla. Dono pahunche mall. Jahan Sia bade pyar se Vyas ke liye shopping kar rahi thi aur Vyas, Sia ko manaa karte kah raha tha ki ghar par kya kahunga..


Sia, Vyas ke hath me kuchh shirts de kar trial room ke ander dhakelti... "Tumhare ghar ke log sham ki flight se udan bharenge. Tumhe kisi ko kuchh batane ki jaroorat nahi hai... Jaoo ab"..


Vyas hanste huye gaya aur kuchh second baad darwaja kholte... "Sia ab ye kya hai"… "Kya hua"… jaise hi Sia kya hua kahti Vyas ke pass pahunchi, Vyas uska hath khinch kar ander lete... "Thik se mil nahi paya main"..


Sia apni aankhen badi karti… "toooo"


Vyas:- To ye jagah achhi hai na..


Sia, Vyas ke sine par hath rakh kar usse dur karti.… "Kuchh jyada nahi ho raha hai ye"…


Vyas, Sia ko jhatka de kar deewar se chipkaya aur apna chehra Sia ke chehre ke karib laate... "To tum hi thoda kam me mamla nipta lo. Main ussi me khush ho jaunga."..


Dono ke shwans chadhi hui thi. Najren ek dusre ko nihar rahi. Honth bilkul farak rahe the. Chehre par pyari muskaan fail rahi thi. Dono ke dil gudguda rahe the. Ek mandur ehsas me khone lage the...






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
​
nice update ..ab ye baat bhi saamne aa gayi ki college gajendra mishra ke jameen par bana hai ,aur ab som ,diksha karne kya aaye hai yaha pe samajh nahi aaya 🤔..
sia ne sab bata diya som aur diksha ko ..
aur ab agar dobara unse bhidant ho gayi to agla pichhala saara hisaab karne ko keh diya dono ne ..
waise vyas ko bata diya ki wo faisal uske mama ka ladka hai par agar ye baat hai to yaha aakar unki mulakat kyu nahi huyi ??.
aur kya itne saalo se dur reh rahe hai ki apno ko jaante hi nahi ye log bas naam pata hai 🤔🤔🤔..

sia aur diksha ko pata hi nahi ki meera som se pyar karti hai isliye wo keh rahe hai ki meera se koi darrne ki jarurat nahi son ko 🤣🤣..
vyas ke saath pizza khaya phir shopping bhi karne gayi sia 😍😍..
aur vyas ne to ander hi khich liya sia ko 😁..
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,387
304
Wo mere pith pichhe aaynge kahne... Update na aaya... Falna bahana chikna bahana... Abhi Sunday ko sab apne gf/bf ke sath ghumne nikle honge ... Ek main hun :sigh2:
Pehle pichle sabhi revos pe reply chaahiye abhi ke abhi :bat: aur haan usme kayi demands bhi hai.... ushe puri ki jaaye abhi ke abhi ... :D
Dekh liyo Nischal ka bhi demand wohi hai..
MI-12062021-1540
uske baad naye revos start :p:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,387
304
Maine to waise bhi kuchh nahi kiya hai mohtarma... Sab aap hi kah rahi hain aur kar rahi hai... Mere sath bahut se log to yahan aap ke kahe aur kiye par bus stabdh sochte rah jate hain... Uss par pratikriya kya de wo bhi na sujhta... Ab upar hi dekh lijiye ..

What the hell... Ab ye Hella ka kya kare :doh:



Main to Reload par hi declare kar diya ye beten aapne shayad wahan miss kar diya dekhna... Ab tak 156 shadiyan karwa chuki hain maim..



Aap ye line jab padh rahe the jaroor ek na ek baar miss Naina ka khyal jaroor aaya hoga 😜😜😜😂
karke to dikhaye wo :devil:
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
65,771
74,684
354
Hume to jigyasa ye hai ki kya mujhe dekh kar aap ki najar kabhi bhatki ya nahi 😜😜😜😜
अब क्या बताएं आपको हम महोदय,
बहुत दुःख भरी कहानी है।

पहली बात तो हमने आपको देखा नहीं है। चलो नहीं देखा तो कोई बात नहीं, जब इंसान दूर रहता है तो फ़ोटो से भी दिल लगा लिया जाता है। 🤣🤣लेकिन आप तो बड़े जालिम निकले।

जितनी भी प्रोफाइल फोटो आपने लगाई है अभी तक। एक कुड़ी को पहले से ही पटा कर रखा हुआ है। अब इसमें हम क्या करें। अभी हमारे इतने भी बुरे दिन नहीं आये हैं कि किसी सेकेंड हैंड को देख कर मेरा दिल धक धक करे।😩😩😜
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,387
304

nain11ster

Prime
23,655
80,790
259
अपडेट ५५.

निराली और जन्नत जब सोम के लैपटॉप में उसका प्रोफाइल देख रही थी और उन्हें डिफेंस से सम्बंधित कुछ दिखाई पड़ा था तभी लगा था सोम कहीं न कहीं डिफेंस और गवर्नमेंट से कनेक्टेड है । मेजर राम नरेश सिंह की बातें से पुष्टि भी हुई ।

सोम फ्रीलांसर फाइटर के अलावा डी.सी. एकेडमी का डायरेक्टर है जहां लड़कों को स्नाइपर ट्रैनिंग दिया जाता है । और इसमें पार्टिसिपेट करने वाले लड़के कोई आम लड़के नहीं होते हैं । नेशनल प्लेयर , डिफेंस और पुलिस वाले होते हैं ।
मेजर को बीस स्नाइपर चाहिए । लगता है कोई बड़ी बात है जो हमारे देश की सुरक्षा से जुड़ी हुई है ।

सोम ने मीरा को अपना तो लिया पर अभी भी उसके अंदर प्यार वाली फिलिंग दिख नहीं रहा है । ऐसा लगा जैसे कोई औपचारिकता निभा रहा हो । कुछ फर्ज पूरा कर रहा हो ।
( शायद इसका कारण उसका शुरू से ही लड़कियों से दूर रहना और फ्री लाइफ एंज्वॉय करना हो )

वैसे दोनों ने कोर्ट मैरिज करने का मन बना लिया है और इस मैरेज को सभी के नजरों से छुपाने का भी निर्णय भी लिया है । देखते है आगे चलकर फिर से कुछ अनहोनी न हो जाए !

मीरा की बातें मुस्कराने को बाध्य कर देती है । उसकी हरकतों से उस पर प्यार सिमट आता है । व्यास के अलावा अलका शास्त्री जी इस बार उसका निशाना बनी । अलका जी ने उसे व्यास को राखी बांधने के बाद कहीं घूमने जाने को कहा तो इसी बात पर उनके सामने ही व्यास को जीजा जी कहकर सम्बोधित कर दिया ।
बहुत ही फनी और मुस्कराहट भरा अपडेट था ।


अपडेट ५६.

सिया - " इशारों इशारों में दिल लेने वाले , बता ये हुनर तुने सीखा कहां से ।
व्यास- निगाहों निगाहों में जादू चलाना , मेरी जान सीखा है तुमने जहां से । 😍

कालेज के कैंटिन में दोनों की नैनों की भाषा बहुत ही खूबसूरत थी । अपने अपने सहपाठियों के साथ बैठे हुए एक दूसरे से नजरों से बात करना प्यार करने वाले जोड़ियों के दिल को गुदगुदाने वाली थी ।

सागर चतुर्वेदी ने सिया को अपना रिश्तेदार बताया । समझ में नहीं आया । वो कैसे सिया का रिश्तेदार हो गया ?

सागर की गर्लफ्रेंड को तमाचा जड़ना कुछ लोगों को रास नहीं आया । कीर्ति ( सागर की गर्लफ्रेंड ) ने इसकी शिकायत अपने घर पर कर दी है और जिसके फलस्वरूप उसका कोई शुभचिंतक सिया से माफी कबूलवाना चाहता है ।
लेकिन उसके बात करने का तरीका सही नहीं था । बातों से उसके अंदर घमंड की बू आ रही थी । खुद के पावर पर अभिमान का स्मेल आ रहा था ।
देखते है उसे सबक सिया ही सिखाती है या उसके लिए कुछ और ही सोच रखा है नैन भाई ने !

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग अपडेट नैन भाई ।
जगमग जगमग अपडेट ।
Haan abhi to kahani shuru huye poore 2 mahine .. main kahani ke ander ki baat kah raha... Poore 2 mahine dhang se nahi huye hain... Dhire dhire har ek patr chalte kahani k sath explain hoga... Bahut sare tathya samne honge to bahut sare mystry kahani ko uljhayegi... Aur iss tarah se hum aap kahani ko aage badhte dekhenge...

Kuchh bada hona hai... Jaldi hi pata chalega ... Rahi baat Meera aur Som ki to unka rishta aap aarange marriage wala hi samjhiye... Pyar shadi ke baad hi aayega 😂😂😂😂 baki Meera to hai hi pagal... Uske pagalpan ke gawaah hum sab honge...

Kapendra Mishra aur Makhan laal Chaturvedi mausere bhai hua... Ab Makhan laal ka ladka Sagar hua na parivar ka ...

Aree abhi to naino ki baat shuru hui hai jo sirf Naina jaan sakti hai... Aap unse bhi sampark kar sakte hain ya nahi to mile sur mera tumhara ke adyaksh 11 ster fan bhi to hai jo naina ji ki baat bade dhyan purvak samjhte hain to aap unse bhi sampark kar sakte hain baki dekhiye ye Kirti ke matter me kisne naak ghused di... Aur uska kya hona hai...

Jaeyega nahi aur sath bane rahen
 

nain11ster

Prime
23,655
80,790
259
अब क्या बताएं आपको हम महोदय,
बहुत दुःख भरी कहानी है।

पहली बात तो हमने आपको देखा नहीं है। चलो नहीं देखा तो कोई बात नहीं, जब इंसान दूर रहता है तो फ़ोटो से भी दिल लगा लिया जाता है। 🤣🤣लेकिन आप तो बड़े जालिम निकले।

जितनी भी प्रोफाइल फोटो आपने लगाई है अभी तक। एक कुड़ी को पहले से ही पटा कर रखा हुआ है। अब इसमें हम क्या करें। अभी हमारे इतने भी बुरे दिन नहीं आये हैं कि किसी सेकेंड हैंड को देख कर मेरा दिल धक धक करे।😩😩😜
😜😜😜😜😜😜😜😜😜😜

Company me bhi anubhavi ki hi demand hoti hai fresher ko reject kar dete hain... Baki aap chinta na kare wo DP me maine SANJU ( V. R. ) aur unki praysi ki maangi tasveer lagaye hun...

I am purely first hand... Sajison pe na jayen
 
Top