• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

nain11ster

Prime
23,612
80,679
259
Update:-61





Call disconnect hote hi Som "Diksha..." bola hi tha tabhi Diksha usse hath dikhati... "Wahan Sia hai aur tu lautne kahega to lautungi kya? Main aur Sia wahan se sath aayenge samjha. Call laga kar bol wahan se sab ko le kar abhi nikle"..


Som call lagata uss se pahle hi phone dekh kar... "Oh no... Sia ka emergency msg hai. Ruk sun'ne de, wahan kya ho raha hai"…


Diksha car bhagayi aur idhar Som phone par kaan lagaye, wahan ki baat sun raha tha. Udhar se aati awaj sun kar Som ne Sia ko relax ka ek return message bheja, aur DiSi ke bache 10 tranier ko bhi wahin bula liya...


Kuchh waqt purv..


Sia darvaje se bahar nikli. Dar aur milne ki utsah dono hi ek sath paida ho rahi thi. Zindgi me aisi manodasha kabhi nahi hui. Sia ke ander pahli baar ye mehsus ho raha tha.... "koi jaan gaya to". Fir achanak hi Vyas ka hansta chehra samne aa jata aur Sia apne dar ko dil me dabaye kadam aage badha leti...


Kuchh dur aage sadak ka mod tha aur wahin apna Vyas, Meera ki scooty liye intzar kar raha tha. Sia jhatak kar apne kadam badhayi. Jis waqt wo scooty par baith rahi thi, ghabrahat se uski dharkane badhi hui thi. Paun kaanp rahe the... Sia fatfat baith'ti... "Sweeto baat baad me kar lena pahle gadi bhagao. Mujhe bahut ghabrahat ho rahi hai."


Vyas scooty ko mod kar pichhe se nikalte... "Tumhe aur ghabrahat... Kisi ne pareshan kiya kya?".


Sia, thoda chidhti... "Sweeto kaisa sawal hai. Main ghar se aa rahi hun. Dar lag raha tha kisi ne dekh liya to"…


Vyas:- Don't fear when Vyas is here...


Sia:- Sweeto, waise to mera bhai dur-dur tak bilkul shant rahta hai lekin uski maa ek baar bhadki na to bhagwan bachaye tumhe. Chalo jaldi...


Vyas:- Chill Sia ghar se dur nikal aaye hain...


Sia:- Are inka koi thik hai kabhi bhi kahin bhi pahunch sakte hain...


Vyas:- Bus shant baba... Kyun ghabra rahi ho... Lo aa gaye, safe & secure place…


Sia najar utha kar jagah ka poora muaayna karti… "Ye construction site safe aur secure kaise ho gaya"…


Vyas:- Kyunki yahan Pandit Vyas Prasad Shashtri hai aur uske hone se hi ye jagah safe ho gayi... Chale meri sweety...


Vyas ki baat sun kar Sia ko hansi aa gayi, kyunki iss site ki safety aur security ke bare me Sia bhi janti thi. Sia kuchh nahi boli bus Vyas ko khush dekh kar wo bhi khushi khushi uske sath chal di.


Dono construction site ke makan ke niche the. Jamin se 4 fit uncha floor tha, dono kinare niche paun latka kar baithe. Sia, Vyas ke kandhe par apna sar dal kar apni ghabrahat ko kam karne ki kosis kar rahi thi...


"Ab sath aaye hain to itni khamosh kyun ho?"… Vyas dhime se apne hath badha'kar Sia ke hath thamte huye puchhne laga...


"Soch rahi hun ki aakhir Vyas sir mujhe iss Viran se counstruction site par kyun le kar aaye hain. Maine socha kisi garden me chalenge"…


"Jagah ko chhodo aur meri suno na please"… Vyas, Sia ke gal par apna hath firate kahne laga...

Sia, Vyas ko dekh kar hansti hui... "Achha ji matlab mujhe idhar udhar haath lagaana hai isliye iss khandhar si jagah me le kar aaye"…


"Siaaaaaaa"….. "Vyassss"


"Off o... Tum mere dil ka haal kyun nahi samjh rahi"…


"Kyun samjhun dil ka haal. Uss raat apne dil ka haal bata gayi ussi ka fayda uthaya ja raha hai Shashtri ji, warna apna haal-e-dil, dil me dabaye canteen me pade rahte. Mujhe ghar se yun bahar nikalne me ajib sa dar lag raha hai. Tum mera haal-e-dil kyun nahi samjhte"..


"Tumhe bhi ghar se dar lagta hai".. Vyas mazakiya andaz me hanste huye kaha..



"Vyas mujhe chhedna band karo. Sach me mujhe bahut ghabrahat ho rahi hai"… Sia nakiyate hui kahne lagi...

"Tumhe pata hai Neerav aaj apni gf se milne Delhi gaya hai. Budhwar ko lautega. Khuchh sikho apne junior se"..

"Achha kya sikhna hai apne junior se mujhe Sweeto"…

"Neerav apni lover se milne kal gaya aur Wednesday ko lautega. Poore tin din uske sath"…

"Tum bhi humare bare me sab ko bata do fir mujhe bhi koi aapatti nahi hogi"…

"Haan to thik hai aaj hi bade bhaiya ko bata deta hun"…

Sia, Vyas ko ghurti... "Khabardar jo abhi kisi ko bataye to"…


Vyas, Sia ke mathe ko apne kandhe se wapas lagaate... "Chaunkna bhi ho to kandhe par lete-lete chaunko na. Waise meri sasu maa kamal ki hai... Maa bata rahi thi ki pahle minute me hi meri saas ne tumhari saas se humare rishte ki baat kar lee"…


Sia vays ke baanh ko apne dono hath se jakar kar sar ko sine se tikaye, sukoon ki shwans khinchti... "Sir main wahin par thi aur mujhe bata rahe ho. Meri saas ne to kah bhi diya ladki pasand hai"..


"Haan aur wo seriously kah rahi thi bhale uss waqt mahol hansi mazak ka tha. Maa mujhe akele me le ja kar kahti hai, Sia ko dekh kar to mere dil me jalan hone lagi ki wo sirf teri dost kyun hai. Mera to mann kar raha hai tere papa ko abhi bhej dun"…


"Abhi mujhe upar-upar dekhi hai na isliye. Poora janti to kahti beta pahle bantwara kar le fir shadi karna"…


"Pagal kahin ki... Janti ho tumne jab mera phone nahi uthaya tha kitni taklif hui thi"…


Sia, Vyas ko khud me bhinchti... "Band karo baat. Aise shant mahol achha lagta hai"…


"Hammm !!!" Ki ek dhwani nikli. Vyas, Sia ke gaal par hath ferne laga. Sia apne chehre par hath ke iss madhur sparsh ko mehsus karti dhire dhire apni aankhen band kar li. Dono ki shawns gahri aur dube se khyalat the.


Dur se motercycle ki aa rahi aawaj dhire-dhire pass aane lagi. Bilkul boundry ke bahar se aa rahi motercycle ki aawaj se Sia ka dhyan toota. Sia sidhi hoti... "So gaye kya Vyas"..


"Tum uthi kyun… aa jao sine se apna sar tika kar apne baju lapet lo"…


"Bahar koi aaya hai... Ye kiski jagah par le aaye"…


"Kisi bewakoof malik ki khubsoorat si jagah hai. Shandar location ki jamin aur shandar figure wali ladki ko kabhi khule me nahi rakhna chahiye. Bhediye loot lete hain"…


Vyas, poore flow me bol gaya. Sia ka ho gaya para high... "Matlab khubsoorat ladki dekho aur loot lo. Koi jagah pasand aa gayi to uss par kabja kar lo. Aam insan ke sampatti bich sahar me ho hi nahi. Kisi aam insan ke yahan khusurat ladki paida ho to uska gala hi ghont do"…


Vyas khud ko hi 4 galiyan dete… "Sala ye mavaliyon ki kahawat mere juban par kaise aa gayi. Itna ganda matlab tha kya... Flow maintain ke chakkar me ye kya bol gaya"


Sia gusse me ab tak Vyas se 4 fit ki duri bana chuki thi. Vyas apne baton par vichar kar raha tha aur Sia boundry ke ander aate couple ko hairani se dekh rahi thi. Dono ek dusre me khoye aur ek dusre ke kamar me hath dale chale aa rahe the.


"Haan issi ki kami thi. Ab ye tumhe dekh kar hansega aur bhadda sa ishara karte puchh lega... "Ladki pat gayi kya"... Uss se bhi nahi hoga to indirect tanj karega. Main kyun bhul gayi ki aaj to Pandit Vyas Prasad Shashtri mujhe 50 ladkon ke bich chum kar usse jalayega... Kahega dekho meri girlfriend."…


"Sorry... Sorry... Sorry... Shant ho jao gadadhari bhim"…


"Main tumhe bhim dikh rahi hun kya Shashtri"…


Sia itni tej chillayi ki boundry se ander aa rahe Asif aur Aqsa dono chaunk kar alag ho gaye. Vyas khud ka muh chhipa kar pichhe mudte... "Shant ho jao Sia please"…


Aqsa ki najar jaise hi samne ke ore gayi, ek ladka pith uski ore kiya tha. Piller ke side me ek ladki khadi thi magar kinare se khadi hone ke karan dikh nahi rahi thi.… "Asif ye kaisi jagah le aaye... Yahan kisi ne pahchan liya to alag hi matlab nikalenge"…


Asif:- Areee tum darti kyun ho, kuchh bhi baat hui to turant hi tumhara ye aashiq.. kabul hai, kabul hai, kabul hai karta hua tumhe apni begum bana lega… Ab bilkul nahi darna hai. Waise chalo yahan se chalte hain. Lagta hai kuchh premiyon ne pahle se ye jagah book kar lee hai"…


Bechara Asif... Ab Vyas pichhe muda rahe, ya chadar odh kar chalte rahe. Itna lamba sath tha ki bhala pahchane nahi. Usse lag gaya ki wo Vyas hai, isliye Aqsa ko wahan se wapas le jana chah raha tha. Haan lekin ye bhi Vyas ki tarah flow maintain karne ke chakkar me fansa...


Aqsa, Asif ka hath chhod kar uske samne khadi hoti.... "Aur tumhe aisa kyun lagta hai ki ye jagah pahle se book hai. Tumhe itna confidence kaise ki ye jagah khali milegi... Kiske sath aate rahte ho jo iss jagah ka itna gyan hai tumhe Asif"…

Aqsa ki baat sun kar Asif ka dimag thanka. Kabhi bechara Asif, Aqsa ko dekhe to kabhi pichhe mude Vyas ko. Bole to kya bole, chup-chap khada ho gaya...


"Aise chup chap kyon khade ho... Jawab kyun nahi dete?"… Aqsa bhi poore jor se chillayi... Iss baar Aqsa ki aawaj sun kar Vyas chaunk gaya... Aur ussi waqt boundry se ander aate shaks ko dekh kar, Sia khud ko piller ke pichhe chhipati... "Vyas pitaji…" … Sia ki awaz sunai to nahi dee lekin pichhe mud kar dekh jaroor liya, kya pata Aqsa, Asif ko thappad maar rahi ho…

Bach gaya usse bhagte koi nahi dekha kyunki wahan to kuchh aur hi chal raha tha.... "Tum kaun ho ladke, kyun pareshan kar rahe ho iss ladki ko"… Maaniya shree Kapendra Mishra ji, Makhan Lal ke sath pahunch chuke the jinhe ek ladki ki tej awaz sunai de gayi thi. Iss se pahle ki Asif kuchh jawab de pata, netaji Asif ko pahchante... "Asif ye sab kya hai. Ye ladki kaun hai aur tum par aise chilla kyun rahi thi"…


Pahchan ka koi nikla. Aqsa ki ho gayi haalat kharab aur hakka bakka sa Asif, ghabraya sa.… "Wo ye netaji...'


Kapendra:- Tum "ye wo" kya laga rakhe ho. Beti ye tumhare sath koi jabardasti to nahi kar raha tha.


"Nahi nahi chacha ji dantiye mat..." Aqsa bus itna hi kah payi aur najren jamin ko takne lagi..


Makhan laal hanste huye... "Bhaiji apna hi baccha hai Asif... Lagta hai ab ladke ki shadi jaldi karwani hogi. Suno Asif tum isse le kar yahan jao...


Kapendra:- Beti tum dono ek dusre ko chahte ho kya?…


Kapendra ki baat sun kar Aqsa kuchh nahi boli..… "Kitne dino se ye sab chal raha hai"… Aqsa ko khamosh dekh kar Kapendra Mishra ek aur sawal kar diye...


"Sala khadus pichhe hi pad gaya hai... Itni detail me kaahe usse ghusna hai"…. Asif mann me khisyate aur bahar se muskurate… "Uncle ji hum jayen, bechari thodi dar gayi hai"..


Makhan Lal:- Asif tumse kuchh puchh rahe hain bhaiji...


Asif apne dono haath jodte... "Aap dono ko pata hai kitna muskil hota hai aaj ke samay me pyar karna. 3-4 sal se ek dusre ko chahte hain, lekin kabhi khul kar mil nahi sake. Pahle din raat ghis kar ladki patao. Fir uska haath maangne se pahle khud ko kabil banao. Lekin aap ka kabil hona jaroori nahi, kyunki naukri to 5000 ki bhi hoti hai aur 5 lakh ki bhi. Aap ka status ladki wale se uncha hona chahiye. Ab itne sare conditions ke sath hum jaise ladke pyar kare ki ladki ke pariwar se uncha status bataye, shadi hone tak to zindgi issi me ghus jati hai..."

"Upar se aap log. Maang kar bike laya tha main. Bade bhaiya se 3 din pahle bike liya tha aaj tak wapas na kiya. Stylish bike hath lagi to main bhi thoda apni jaan ke sath ghumne firne ka maza le raha tha. Hum dono bhi darte-darte thoda zindgi ka luft utha rahe the."

"Har couple ki tarah humare bich bhi yahan bahas ho gayi. Sari baten bata bhi diya, lekin nahi aap logon ko to detail me ghusna hai. Kaun ho, ladki ko ghuma rahe ho ya serious affair hai. Maa baap jante hain ki nahi... Chalo apne-apne maa baap ki detail do... Kyun.. aakhir kyun dara rahe ho. Sukoon de do hume..."


Kapendra Mishra ki najar pahle to bike par nahi gayi thi, lekin heavy dialoges ne Asif ye bhed khol chuka tha… "To tum Asif ho... Tumhara wo dost Riaz kidhar hai. Wo bhi kisi ladki ke sath yahan aane wala hai kya?"





<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
 

jitutripathi00

Active Member
820
3,201
138
Jabarjast update bhai,
mujhe to lga tha ki som ke jameen wala jo panga hai use shayad apne shastriji handle karege par ise bhi som ne badi hi hoshiyari se ise Military operation bna diya , ye sala zurul halke me le rha tha som ko . ab tera kya hoga re Zurul.
 

nain11ster

Prime
23,612
80,679
259
Jabarjast update bhai,
mujhe to lga tha ki som ke jameen wala jo panga hai use shayad apne shastriji handle karege par ise bhi som ne badi hi hoshiyari se ise Military operation bna diya , ye sala zurul halke me le rha tha som ko . ab tera kya hoga re Zurul.
Dekhiye uski kismat me kya likha hai... Filhaal to hume ek heavy action ke bu aa rahi hai... Sath bene rahe... Aur apne vichar dete rahen
 

nain11ster

Prime
23,612
80,679
259
chalo Vyas ki mom ab undono leke koi doubt nahi karegi... saari baatein bhi clear ho chuki hai....
Btw khushi ke palo ke baad dukh ki ghadi bhi aati hai, Vyas se aankhon ki gustakhiya kar rahi Sia is baat se bilkul Anjan ki thi ki kuch bura hone ko hai uske sath kuch der baad.....
Kuch log hote hai, jinki pehchaan bas itni hai.. ki kisi bade baap ke paap hote hai... inke do hi khubiya hote hai, ek to baap bada aadmi chalo saamne wale ko band baja do, aur dusri inki bewakufiya.....
abhi ishi update ye jo log khaskar uska leader... ye unhi ghamandi par bewakuf prajati mein aate hai..
wo ladka aake jis tarah Sia ko bahot hi galat tarike se dhamki de raha tha, upor se baat ijjat utar dene tak aa gayi thi.....
well ye to nahi pata us kirti se Sia maafi maangegi ki nahi par haan itna jarur pata hai ki ye jo bina background jaane Sia ko jis tarah humiliate ki hai, ab us ladke ko aur uske group ko shayad pachtane ka mauka bhi naa mile .....shaadi mein bas ek galti ki thi kuch amir zado ne, Som ne unki aukat dikha di ushi waqt, ushi jagah..... Agar waha madam, lata ya Diksha nahi hoti to shayad haath per hi tod dete....
yahan to inlogo ne uski bahan se aisi gandi baatein ki hai, ye to soch se pare hi Som inlogo ke sath kya karega.. maybe uske gusse ki aag inlogo ko khak mein hi mila de....
Khair..... Isliye, isliye..... Kirti aur kapendra Mishra ki shaadi ho jaani chahiye :D
are inki hot hotter hottest scenes create honi chahiye... taaki ushe dekh story mein kirdaar bilkul sansakri ho jaaye :sanskar:
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills..... :applause:
Na upar se itna sab kuchh sahi aur sensitive chal raha tha... Lag raha tha haan miss naina koi gambhir vishay sajha kar rahi hai... Jis prakar se Faisal ko aade hath lee thi aur ek general concept ke jariye jis prakar se apne vichar rakhi wo atulniya raha lekin anth me...

Uffff :khallas: karne wale concept... Kahan se aate hain aise vichar aap ke dimag me ... Kapendra aur Kirti... Ye to mentos hi khayi hogi tabhi dimag ki batti itni jali hai ☺️☺️☺️☺️☺️
 

The king

Well-Known Member
4,239
15,467
158
Update:-61





Call disconnect hote hi Som "Diksha..." bola hi tha tabhi Diksha usse hath dikhati... "Wahan Sia hai aur tu lautne kahega to lautungi kya? Main aur Sia wahan se sath aayenge samjha. Call laga kar bol wahan se sab ko le kar abhi nikle"..


Som call lagata uss se pahle hi phone dekh kar... "Oh no... Sia ka emergency msg hai. Ruk sun'ne de, wahan kya ho raha hai"…


Diksha car bhagayi aur idhar Som phone par kaan lagaye, wahan ki baat sun raha tha. Udhar se aati awaj sun kar Som ne Sia ko relax ka ek return message bheja, aur DiSi ke bache 10 tranier ko bhi wahin bula liya...


Kuchh waqt purv..


Sia darvaje se bahar nikli. Dar aur milne ki utsah dono hi ek sath paida ho rahi thi. Zindgi me aisi manodasha kabhi nahi hui. Sia ke ander pahli baar ye mehsus ho raha tha.... "koi jaan gaya to". Fir achanak hi Vyas ka hansta chehra samne aa jata aur Sia apne dar ko dil me dabaye kadam aage badha leti...


Kuchh dur aage sadak ka mod tha aur wahin apna Vyas, Meera ki scooty liye intzar kar raha tha. Sia jhatak kar apne kadam badhayi. Jis waqt wo scooty par baith rahi thi, ghabrahat se uski dharkane badhi hui thi. Paun kaanp rahe the... Sia fatfat baith'ti... "Sweeto baat baad me kar lena pahle gadi bhagao. Mujhe bahut ghabrahat ho rahi hai."


Vyas scooty ko mod kar pichhe se nikalte... "Tumhe aur ghabrahat... Kisi ne pareshan kiya kya?".


Sia, thoda chidhti... "Sweeto kaisa sawal hai. Main ghar se aa rahi hun. Dar lag raha tha kisi ne dekh liya to"…


Vyas:- Don't fear when Vyas is here...


Sia:- Sweeto, waise to mera bhai dur-dur tak bilkul shant rahta hai lekin uski maa ek baar bhadki na to bhagwan bachaye tumhe. Chalo jaldi...


Vyas:- Chill Sia ghar se dur nikal aaye hain...


Sia:- Are inka koi thik hai kabhi bhi kahin bhi pahunch sakte hain...


Vyas:- Bus shant baba... Kyun ghabra rahi ho... Lo aa gaye, safe & secure place…


Sia najar utha kar jagah ka poora muaayna karti… "Ye construction site safe aur secure kaise ho gaya"…


Vyas:- Kyunki yahan Pandit Vyas Prasad Shashtri hai aur uske hone se hi ye jagah safe ho gayi... Chale meri sweety...


Vyas ki baat sun kar Sia ko hansi aa gayi, kyunki iss site ki safety aur security ke bare me Sia bhi janti thi. Sia kuchh nahi boli bus Vyas ko khush dekh kar wo bhi khushi khushi uske sath chal di.


Dono construction site ke makan ke niche the. Jamin se 4 fit uncha floor tha, dono kinare niche paun latka kar baithe. Sia, Vyas ke kandhe par apna sar dal kar apni ghabrahat ko kam karne ki kosis kar rahi thi...


"Ab sath aaye hain to itni khamosh kyun ho?"… Vyas dhime se apne hath badha'kar Sia ke hath thamte huye puchhne laga...


"Soch rahi hun ki aakhir Vyas sir mujhe iss Viran se counstruction site par kyun le kar aaye hain. Maine socha kisi garden me chalenge"…


"Jagah ko chhodo aur meri suno na please"… Vyas, Sia ke gal par apna hath firate kahne laga...

Sia, Vyas ko dekh kar hansti hui... "Achha ji matlab mujhe idhar udhar haath lagaana hai isliye iss khandhar si jagah me le kar aaye"…


"Siaaaaaaa"….. "Vyassss"


"Off o... Tum mere dil ka haal kyun nahi samjh rahi"…


"Kyun samjhun dil ka haal. Uss raat apne dil ka haal bata gayi ussi ka fayda uthaya ja raha hai Shashtri ji, warna apna haal-e-dil, dil me dabaye canteen me pade rahte. Mujhe ghar se yun bahar nikalne me ajib sa dar lag raha hai. Tum mera haal-e-dil kyun nahi samjhte"..


"Tumhe bhi ghar se dar lagta hai".. Vyas mazakiya andaz me hanste huye kaha..



"Vyas mujhe chhedna band karo. Sach me mujhe bahut ghabrahat ho rahi hai"… Sia nakiyate hui kahne lagi...

"Tumhe pata hai Neerav aaj apni gf se milne Delhi gaya hai. Budhwar ko lautega. Khuchh sikho apne junior se"..

"Achha kya sikhna hai apne junior se mujhe Sweeto"…

"Neerav apni lover se milne kal gaya aur Wednesday ko lautega. Poore tin din uske sath"…

"Tum bhi humare bare me sab ko bata do fir mujhe bhi koi aapatti nahi hogi"…

"Haan to thik hai aaj hi bade bhaiya ko bata deta hun"…

Sia, Vyas ko ghurti... "Khabardar jo abhi kisi ko bataye to"…


Vyas, Sia ke mathe ko apne kandhe se wapas lagaate... "Chaunkna bhi ho to kandhe par lete-lete chaunko na. Waise meri sasu maa kamal ki hai... Maa bata rahi thi ki pahle minute me hi meri saas ne tumhari saas se humare rishte ki baat kar lee"…


Sia vays ke baanh ko apne dono hath se jakar kar sar ko sine se tikaye, sukoon ki shwans khinchti... "Sir main wahin par thi aur mujhe bata rahe ho. Meri saas ne to kah bhi diya ladki pasand hai"..


"Haan aur wo seriously kah rahi thi bhale uss waqt mahol hansi mazak ka tha. Maa mujhe akele me le ja kar kahti hai, Sia ko dekh kar to mere dil me jalan hone lagi ki wo sirf teri dost kyun hai. Mera to mann kar raha hai tere papa ko abhi bhej dun"…


"Abhi mujhe upar-upar dekhi hai na isliye. Poora janti to kahti beta pahle bantwara kar le fir shadi karna"…


"Pagal kahin ki... Janti ho tumne jab mera phone nahi uthaya tha kitni taklif hui thi"…


Sia, Vyas ko khud me bhinchti... "Band karo baat. Aise shant mahol achha lagta hai"…


"Hammm !!!" Ki ek dhwani nikli. Vyas, Sia ke gaal par hath ferne laga. Sia apne chehre par hath ke iss madhur sparsh ko mehsus karti dhire dhire apni aankhen band kar li. Dono ki shawns gahri aur dube se khyalat the.


Dur se motercycle ki aa rahi aawaj dhire-dhire pass aane lagi. Bilkul boundry ke bahar se aa rahi motercycle ki aawaj se Sia ka dhyan toota. Sia sidhi hoti... "So gaye kya Vyas"..


"Tum uthi kyun… aa jao sine se apna sar tika kar apne baju lapet lo"…


"Bahar koi aaya hai... Ye kiski jagah par le aaye"…


"Kisi bewakoof malik ki khubsoorat si jagah hai. Shandar location ki jamin aur shandar figure wali ladki ko kabhi khule me nahi rakhna chahiye. Bhediye loot lete hain"…


Vyas, poore flow me bol gaya. Sia ka ho gaya para high... "Matlab khubsoorat ladki dekho aur loot lo. Koi jagah pasand aa gayi to uss par kabja kar lo. Aam insan ke sampatti bich sahar me ho hi nahi. Kisi aam insan ke yahan khusurat ladki paida ho to uska gala hi ghont do"…


Vyas khud ko hi 4 galiyan dete… "Sala ye mavaliyon ki kahawat mere juban par kaise aa gayi. Itna ganda matlab tha kya... Flow maintain ke chakkar me ye kya bol gaya"


Sia gusse me ab tak Vyas se 4 fit ki duri bana chuki thi. Vyas apne baton par vichar kar raha tha aur Sia boundry ke ander aate couple ko hairani se dekh rahi thi. Dono ek dusre me khoye aur ek dusre ke kamar me hath dale chale aa rahe the.


"Haan issi ki kami thi. Ab ye tumhe dekh kar hansega aur bhadda sa ishara karte puchh lega... "Ladki pat gayi kya"... Uss se bhi nahi hoga to indirect tanj karega. Main kyun bhul gayi ki aaj to Pandit Vyas Prasad Shashtri mujhe 50 ladkon ke bich chum kar usse jalayega... Kahega dekho meri girlfriend."…


"Sorry... Sorry... Sorry... Shant ho jao gadadhari bhim"…


"Main tumhe bhim dikh rahi hun kya Shashtri"…


Sia itni tej chillayi ki boundry se ander aa rahe Asif aur Aqsa dono chaunk kar alag ho gaye. Vyas khud ka muh chhipa kar pichhe mudte... "Shant ho jao Sia please"…


Aqsa ki najar jaise hi samne ke ore gayi, ek ladka pith uski ore kiya tha. Piller ke side me ek ladki khadi thi magar kinare se khadi hone ke karan dikh nahi rahi thi.… "Asif ye kaisi jagah le aaye... Yahan kisi ne pahchan liya to alag hi matlab nikalenge"…


Asif:- Areee tum darti kyun ho, kuchh bhi baat hui to turant hi tumhara ye aashiq.. kabul hai, kabul hai, kabul hai karta hua tumhe apni begum bana lega… Ab bilkul nahi darna hai. Waise chalo yahan se chalte hain. Lagta hai kuchh premiyon ne pahle se ye jagah book kar lee hai"…


Bechara Asif... Ab Vyas pichhe muda rahe, ya chadar odh kar chalte rahe. Itna lamba sath tha ki bhala pahchane nahi. Usse lag gaya ki wo Vyas hai, isliye Aqsa ko wahan se wapas le jana chah raha tha. Haan lekin ye bhi Vyas ki tarah flow maintain karne ke chakkar me fansa...


Aqsa, Asif ka hath chhod kar uske samne khadi hoti.... "Aur tumhe aisa kyun lagta hai ki ye jagah pahle se book hai. Tumhe itna confidence kaise ki ye jagah khali milegi... Kiske sath aate rahte ho jo iss jagah ka itna gyan hai tumhe Asif"…

Aqsa ki baat sun kar Asif ka dimag thanka. Kabhi bechara Asif, Aqsa ko dekhe to kabhi pichhe mude Vyas ko. Bole to kya bole, chup-chap khada ho gaya...


"Aise chup chap kyon khade ho... Jawab kyun nahi dete?"… Aqsa bhi poore jor se chillayi... Iss baar Aqsa ki aawaj sun kar Vyas chaunk gaya... Aur ussi waqt boundry se ander aate shaks ko dekh kar, Sia khud ko piller ke pichhe chhipati... "Vyas pitaji…" … Sia ki awaz sunai to nahi dee lekin pichhe mud kar dekh jaroor liya, kya pata Aqsa, Asif ko thappad maar rahi ho…

Bach gaya usse bhagte koi nahi dekha kyunki wahan to kuchh aur hi chal raha tha.... "Tum kaun ho ladke, kyun pareshan kar rahe ho iss ladki ko"… Maaniya shree Kapendra Mishra ji, Makhan Lal ke sath pahunch chuke the jinhe ek ladki ki tej awaz sunai de gayi thi. Iss se pahle ki Asif kuchh jawab de pata, netaji Asif ko pahchante... "Asif ye sab kya hai. Ye ladki kaun hai aur tum par aise chilla kyun rahi thi"…


Pahchan ka koi nikla. Aqsa ki ho gayi haalat kharab aur hakka bakka sa Asif, ghabraya sa.… "Wo ye netaji...'


Kapendra:- Tum "ye wo" kya laga rakhe ho. Beti ye tumhare sath koi jabardasti to nahi kar raha tha.


"Nahi nahi chacha ji dantiye mat..." Aqsa bus itna hi kah payi aur najren jamin ko takne lagi..


Makhan laal hanste huye... "Bhaiji apna hi baccha hai Asif... Lagta hai ab ladke ki shadi jaldi karwani hogi. Suno Asif tum isse le kar yahan jao...


Kapendra:- Beti tum dono ek dusre ko chahte ho kya?…


Kapendra ki baat sun kar Aqsa kuchh nahi boli..… "Kitne dino se ye sab chal raha hai"… Aqsa ko khamosh dekh kar Kapendra Mishra ek aur sawal kar diye...


"Sala khadus pichhe hi pad gaya hai... Itni detail me kaahe usse ghusna hai"…. Asif mann me khisyate aur bahar se muskurate… "Uncle ji hum jayen, bechari thodi dar gayi hai"..


Makhan Lal:- Asif tumse kuchh puchh rahe hain bhaiji...


Asif apne dono haath jodte... "Aap dono ko pata hai kitna muskil hota hai aaj ke samay me pyar karna. 3-4 sal se ek dusre ko chahte hain, lekin kabhi khul kar mil nahi sake. Pahle din raat ghis kar ladki patao. Fir uska haath maangne se pahle khud ko kabil banao. Lekin aap ka kabil hona jaroori nahi, kyunki naukri to 5000 ki bhi hoti hai aur 5 lakh ki bhi. Aap ka status ladki wale se uncha hona chahiye. Ab itne sare conditions ke sath hum jaise ladke pyar kare ki ladki ke pariwar se uncha status bataye, shadi hone tak to zindgi issi me ghus jati hai..."

"Upar se aap log. Maang kar bike laya tha main. Bade bhaiya se 3 din pahle bike liya tha aaj tak wapas na kiya. Stylish bike hath lagi to main bhi thoda apni jaan ke sath ghumne firne ka maza le raha tha. Hum dono bhi darte-darte thoda zindgi ka luft utha rahe the."

"Har couple ki tarah humare bich bhi yahan bahas ho gayi. Sari baten bata bhi diya, lekin nahi aap logon ko to detail me ghusna hai. Kaun ho, ladki ko ghuma rahe ho ya serious affair hai. Maa baap jante hain ki nahi... Chalo apne-apne maa baap ki detail do... Kyun.. aakhir kyun dara rahe ho. Sukoon de do hume..."


Kapendra Mishra ki najar pahle to bike par nahi gayi thi, lekin heavy dialoges ne Asif ye bhed khol chuka tha… "To tum Asif ho... Tumhara wo dost Riaz kidhar hai. Wo bhi kisi ladki ke sath yahan aane wala hai kya?"






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Hahaha jabardasti update bhai 🤣maja aa gaya padhke asif ki bend bajne wali he or shayad vyas ki bhi bajne wali he waiting for next update nain11ster bhai
 

nain11ster

Prime
23,612
80,679
259
Laajwaab update dost
Meera ne Alka Shastri ko shabdo ke lapete me le liya maate to bechari baawri ho gai in paagli ke jhund me
Sia Vyas ke nazro ke teer se behaal ho gaye jaanne waale aur class ke samay ka dhyaan dilaya sweeto ne
Sia ke raste me aa gaya gidadow ka jhund aur dhamki de rahe hai maafi maangne ki kirti se
Ab unhe kyaa pata ye log jungli ilaaka chhode kar shaher me aa gaye hai
Ab kahan kahan se laali aayegi naamaalum

Hahaha ... Thankooo sooo much Nevil bhai..m dekhiye sahar ke jungli mahol me gher to liya in logon ne Sia ko par unhe kahan pata ki wo har tarah ke jungle ke mahol se nipatne me saksham hai ..
 

nain11ster

Prime
23,612
80,679
259
छप्पनवाँ भाग

बहुत ही जबरदस्त।।

तो साधारण सी दिखने वाली पंडिताइन ने मेंटोस सी दिखने वाली मीरा को एक लापा लगाकर उसके दिमाग की बत्ती जला दी। मीरा की बत्ती ऐसे जलाने के बाद हैरान परेशान से दिखने वाले व्यास के गाल लाल हो गए। फिर तो मीरा ने पंडिताइन को ऐसे लपेटे में लिया कि मीरा पर फिदा हो गई पंडिताइन और मथुरा वृंदावन तक उसके साथ घूमने का प्लान बना डाला।। मीरा आज साधारण लुक में कॉलेज गई।।

व्यास और सिया न नैन मटक्का बहुत ही बेहतरीन चल रहा है। वो एक कहावत है कि कहीं पर निगाहें तो कहीं पर निशाना। ठीक वैसे ही सिया और व्यास कर रहे हैं। दोनों अपने अपने दोस्तों से बात कर रहे हैं लेकिन नैन मटक्का भी जोरों शोरो से है। व्यास सिया से अकेले में बात करने की कोशिश की तो सिया ने उसके इरादों पर पानी फेर दिया। जब गीदड़ की मौत आती है तो वो शहर की तरफ भागता है वैसे ही इन लड़कों की भी शामत आयी है जो वो सिया से पंगा लेने की कोशिश कर रहे हैं, इनके लिए तो व्यास, रियाज़ और आसिफ ही काफी हैं। नहीं तो सोम है ही।।

Ab tak chhapaan bhag me aapne kya dekha 😂😂😂😂

Dekhiye Meera kabhi kisi ko baton ke lapete me nahi leti. Jo bhi kahti hai bade pyar se kahti hai... Waise jab ishq ki aag ander jagti hai nigahen aise hi bhatakti hui apne premi par padti hai... Ye dil ka dosh hai jo najren bhatakti hai... Hume to jigyasa ye hai ki kya mujhe dekh kar aap ki najar kabhi bhatki ya nahi 😜😜😜😜

Baki gidar ki maut wali kahawat bilkul satika baith raha hai aur bahut dino baad dekh kar maza type aa gaya... Baki dekhiye kya hota hai...
 
Top