-----: Bulletin Board :-----
Update 88 (A & B) is posted on 537.. Must give your valuable feedback...
End Of The Chepter:-1 is posted on 542...
Last edited:
Dhamakedaar update dostUpdate:-73
Kitni tadape ho jaise dono. Gale lag'kar kahndhe par sir tikana kitna sukoon de raha tha koi inse puchhe... Dono sari baton ko bhul'kar bus ek duje ke gale lage rahe.…
Kuch der tak ek dusre se gale lag'kar khade rahne ke baad dono alag huye aur aa'kar ek bench par baithe. Jaise hi dono sath baithe ek kadada rafta ki jordar awaz gunji... Sia bilkul stabdh (shocked) gaal par hath rakhe tukur-tukur Vyas ko dekh rahi thi.…
Vyas:- Aise kya ghur rahi ho. Itne tamashe jo tumne kiye, uske liye tum ek thappad to deserve jaroor karti ho...
Sia khud ko samany karti... "Achha aur wo kyun bhala"…
Vyas:- Kyunki Sia ander se kitne bhi gusse me kyun na ho, wo kisi bhi public place me anjano ke bich kisi par bhi apne hyper-emotion nahi dikha sakti...
Sia:- You are right sweeto... Waise main kya kah rahi thi aaj college bunk maarte hain... Sirf tum aur main.. Aur poora din pyar karenge..
Vyas, Sia ke chehre par pyar se hath ferte.….. "Wo kya hai na ek to ye amir baap ke bacche (Kirti & group) tumse pata na kis tarah ka badla lene chahte hain. Upar se wo high profile log kya kar rahe the iska bhi pata lagana hai? Aaj college bunk kar'ke pyar karna rahne dete hai.."
Sia, Vyas ke kandhe se lag kar uske gaal par ek ungli ferti... "Sweeto mere khafa rahne ke baad bhi jo tumne Kirti ke pichhe jasoos chhod rakha tha... Iss se pata chalta hai tumhe kitni fikr hai meri. Thoda pyar mujhe bhi jata lene do"…
Vyas dhakka de'kar Sia ko khud se kuchh dur karte.… "Main shayad ek kharab actor hun, lekin tumhari acting disaster hai Sia. Mujhe koi shauk nahi tumhare uss lohe ke patle wire se apne kalai ya paun ke katwane ka. Main chala.…. College me milta hun"…
Sia gusse me chillate.… "Shashtri ke bacche bhad me jao. Aana mere pass fir main batati hun..."
Vyas:- Agle ek mahine tak hath na aaunga...
Sia:- Bhag lo.. Bhag lo Shashtri.. kabhi to hath aaoge...
Vyas:- O khun ki pyasi dayan... Iron tonic kharidne ja raha. Jab blood jyada ho jayega akele me milne aa jaunga...
Vyas apni baat kah'kar wahan se chalta bana. Sia usko jate dekh muskurati hui khud se hi kahi.… "Hayeeee mar jaavan... Mere hero.. I love you"… aur uth'kar sidha apne ghar pahunch gayi...
Ghar par mahol poora shant tha. Som sabke sath baith'kar aaram se nashta kar raha tha. Ghar pahunch'kar jaise hi Sia yah najara dekhi...… "Achha to yahan "Bharat milaap" ho gaya. Aisa kya kah diya jo iske 2 din tak gayab hone par saza na mili"…
Chitra:- Maa ko bata'kar gaya tha..
Sia:- Kya sach me.. lekin 2 raat se to sabse jyada vyakul mas hi thi...
Som:- Maa bahut hi natural acting karti hai...
Chitra:- Thus le chup-chap... Tum maa-bete ke bich me jo khichdi pak rahi hai, uska to main pata laga'kar hi rahungi..
Som khate-khate khansne laga.... Chitra uska pith thokti... "Abhi to meri baat hi anpach hui hai… Jab sach bahar aayega to kahin loose motion na ho jaye"..
Som plate me rakhi apne bhigoye chane aur jo bhi bhigoye anaj the sabko sameta, aur wahan se chalte bana. Idhar Som ke uth'te hi pichhe se Lata Mishra bhi uthi aur Som ke sath kadam milati.… "Tu ye mat samjhna ki Chitra tujh'par najar rakhegi to aaj sham main Meera se milne ka irada chhod dungi. Ek baat yaad rakhna, yadi aaj tu mujhe Meera se na milwaya tab main tujhe dobara kabhi nahi dikhungi... Teri shadi tu kaise secret rakhega wo tu jaan, mujhe aaj Meera se milna hai"…
Lata Mishra cottage ke bahar kuch dur tak Som ke sath chalti hui apni baat kahi aur wapas laut gayi... Idhar Lata Mishra aur Som ki aise khusur-fusur vartalaap dekh'kar Sia.… "Chitra dal me jaroor kuch kaala hai"..
Chitra:- Sia pata to main ab lagake rahungi ki iss maa-bete ke bich kya khichdi pak rahi... Ab to Som geet bhi gun'gunane laga hai...
Sia:- Haayynnn !! Geet gungunane laga hai !!! Kaun sa geet gungunana raha tha waise...
Chitra:- Zara-Zara mahakta hai, bakhakta hai...
Sia:- Kya sach mein...
Chitra:- Haan Bilkul Sia… Kuch to raaj chhipaye ja rahe hain...
Sia:- Koi na iss raaj se jald hi parda uth jayega...
Ye to thi Som aur Sia ke sath chal rahi ghatnayen. Wahin Meera bhi do dino se gayab thi aur restaurant se laut'kar aane ke baad Meera ka bhai Jignesh bilkul kadak awaj me Meera se 2 din tak gayab hone ka hisab-kitab lene laga...
Meera, bhi bilkul natkiya andaz me kahne lagi.…. "Mere Shyam ji mujhe bula rahe the isliye main unse milne gayi thi. Main bhakti me thi"…
Jignesh:- Aisi kaun si bhakti thi jo ghar ke logon ko ek call na kar saki... ulta apna phone off kar liya...
Meera, naya phone dikhati... "Bus stand mein mera phone chori ho gaya tha"..
Jignesh:- Kya sach mein?... Fir ye kya hai?...
2 din pahle Meera jab college se ek fake boyfriend ke sath nikli thi, un tasviron ko Jignesh dikhate huye puchhne laga...
Meera uss tasveer ko ghur'kar dekhti... "Iss tasveer ko dikha'kar tum kya puchhna chahte ho Nikku (Jignesh ka Nick name)
Jignesh:- Main kya puchhna chah raha hun… mota bhai, bhaiya ye sab bhul gayi..
Meera:- Oh Sorry Mr Jignesh... Mujhe proper naam lena chahiye tha, kyonki ek bhai itne gande tone me apni bahan se aise na puchh sakta.. So Mr Jignesh iss tasveer ke jariye kya puchhne ki kosis kar rahe ab khul'kar hi baat ho jaye....
Jignesh gusse me Meera ko 1 thappad marte.… "2 din se boyfriend ke sath ghum rahi thi aur mujhse aisi baat kar rahi"..
Meera apne gaal par hath rakhe, berukhi se Jignesh ko dekhti... "Iska naam Captain Gautam Kumar hai... Ek minute jarra ruko"….
Meera itna bol'kar sidha Captain Gautam Kumar ko call laga di... Udhar se jaise hi "hello" ki awaz aayi...
Meera:- Gautam mera bhai ye jaan'ne ki kosis kar rahe hain ki tum uss din jo college aaye the, uske baad se aaj subah tak kya main tumhare sath thi?
Meera ka bewak sawal sun'kar Jignesh aur gusse me aa gaya... Meera jab Gautam se baat kar rahi thi, tab bich me Jignesh ki awaz to aayi lekin Meera gusse se bhadi apni badi-badi aankhen dikhati usse shant rahne ka sanket de di...
Udhar se Captain Gautam Kumar ne bhi phone speaker par dalne kah diya. Ab jo aadmi 2 din se Meera ke sath tha hi nahi bhala usse proof karne me kitna samay lagta hai. Ek baar jab Gautam Kumar ne sabit kar diya ki wo 2 din se Meera ke sath nahi tha uske baad to Meera jo hi apne bhai ko sunai.…
"Kisi ladke ke sath mera naam jod'kar kaise-kaise khyalat paal rakhe apne bahan ke liye... Sakki bhai... Blahhh.. blahhh.. balahhh...'
"Bechare Jignesh ki aisi class li, ki usse to Meera ka khauff ho gaya... Meera shuru se khaufnak manjar dikha hi rahi thi, aur issi bich Vyas bhi wahan pahunch gaya tha... Haan lekin wo shant ho'kar chal rahe tamashe ko enjoy kar raha tha… Meera lamba-chauda apna mello drama kar'ke jab shant hui, Jignesh sharmindgi se apna sir jhukaye maafi maangte huye kahne laga.…
"Meri mulakat Kirti se hui thi. Darasal kal sham wo bazar me mili thi aur aaj subah mujhe breakfast ke liye restaurant bulayi... Unhe nahi pata tha ki tum (Meera) meri bahan ho. Aapas me hi Kirti aur uske kuch friends charcha kar rahe the ki kya stylish boyfriend tha Meera ka. Wahin ye tasveer bhi dekha tha. Boyfriend ke sath bina bataye 2 din se gayab thi, ye soch'kar ek bhai ka kya haal hoga..."
Jignesh bhavnatmak baaten karne ke baad hasrat bhadi najron se Meera ko dekhne laga. Iss se pahle ki Meera kuch kahti Vyas bol pada.… "Jignesh tum apni jagah sahi ho.. galti Meera ki bhi hai jo bina bataye gayi… fir chahe karan jo bhi raha ho... Meera apni bhi galti accept karo.."
Meera, Jignesh ke gaal khinchti.... "Sorry mota bhai... Aapke muh se aisi baat sun'kar main bhi jarra hyper ho gayi thi.. main ab jaun college..."
Jignesh:- Haan thik hai tum jao....
Meera, Vyas ke sath car me hi nikli. Raste se usne Asif ko bhi bithaya.… Meera drive karti.… "Vyas sir, mujhe aisa kyun lag raha hai ki ye kamini Kirti mere personal life me kuch jyada intrest le rahi"..
Vyas:- Kaise.. jarra samjhaogi.... Aise kaun se link se wo tumhare bhai ko janti.. Kyonki Jignesh ki baton se to lag raha tha purani pehchan hai... Aur yadi dono dost huye aur wo tumhe pahle se janti hai to tum bhi usse pahle se janti hogi.. Lekin college me kabhi bhi tumhare haav-bhav se laga nahi...
Meera thodi chidhti hui.… "Maa ki lori Kirti kaise mere bhai ko janti hai ye mujhe nahi pata... Main bus itna janti hun ki Sia didi ne usse thappad maara tha. Sia didi ke sath milkar maine usse chidhaya aur uske refrence se hi mere bhai ko yah pata chala ki main college bunk kar'ke kiske sath nikli thi… So main to yahi maan'kar chalungi ki Kirti mujhse badla lene ke liye ye poora plan ki thi. Ek bhai ke weak emotions se khela hai usne... Kya wo kamini nahi janti ki bhaiyon ko aisi baat paata chalti hai to unke dil par kya bit'ti hai.… Usne mere parivar ko pareshan kiya, ab to uss haramjadi ko main khoon ke aanshu rulaungi..."
Ek lay me bina rooke Meera apni bhadas nikaal rahi thi... Tabhi bagal ki seat par baithe Vyas ne chutki le lee... "Tab sharm nahi aayi thi jab pyar kisi aur se... Aur college bunk kar'ke gayi kisi aur ke sath"…
Vyas ki baat Sun'kar Meera achanak se break lagati... "Dekho mera para pahle se chadha hua hai... Dimag uss kutiya Kirti par bhannaya hai... Vyas sir kuch aisa na kaho ki kisi ka gussa main kisi par utar dun..."
Asif, khi-khi kar'ke hanste huye... "Shastri bus kar re baba... Abhi apni study ki mentor sach me pareshan hai... Yadi Meera ka aaklan sahi hua to ye soch ki uss Sagar ki GF Kirti ka kya karna hai"…
Meera:- Karna kya hai, itna kaun sochta hai... Bus ek baar samne dikh jaye..
Vyas:- Hello miss mello drama queen... Kuch karne se pahle pata to karo ki Kirti ne jaan bujh kar sab plan kiya tha, ya matr sanyog me hua tha...
Meera:- Itne sanyog kewal film me hote hain... Lucknow jaise sahar me ek hi baazar me mil jana... aur milne ke agli subah breakfast par sab doston ke sath bula lena. Sala subah breakfast par kaun bulata hai...
Asif:- Ab hai to tumhara bhai bhi ek ladka hi... Kisi hot ladki ke bulane par kya wo waqt dekhega...
Meera:- "Sala subah ke breakfast par restaurant me kaun bulata hai aur aisa kya approch laga'kar boli ki mera bhai subah jane ko taiyar ho gaya... Akela ladka bulati tab to samjh me aata lekin wo to poora group ko bulayi hui thi... Aur unka group bhi subah pahuncha tha... Ab kya wo group sex porn shoot karti jo sab subah-subah pahunch gaye..."
"Aap isse sanyog maan sakte ho Vyas sir... Mere liye to kahin se bhi ye sanyog na lag raha…. Ghatiya harkat thi jo usne mere bhai ke kaan itne gande tarike se bhade the ki mera bhai gusse me aapa kho'kar mujhe thappad maar diya..."
Vyas:- Tumhare kahne ka matlab hai ki Kirti, Jignesh ko shayad pahle se janti thi...
Meera:- Yahi to puzzle hai na... Kya wo mere bhai ko pahle se janti thi, ya mere bhai ka pata laga'kar, Kirti kal jaan-bujh'kar mere bhai se bazar me takarai...
Vyas:- Chalo tumhare bhai ko kaise janti hai wo chhodte hain… Tumare kahne ka matlab hai ki kal jab Kirti tumhare bhai se baazar me takrai, tab usne tumhare bare me hint kiya.… Jis vajah se Jignesh subah Kirti se milne gaya... Wahin Kirti ne kuch logon ka set-up bitha rakha tha, jo jaan bujh'kar tumhari tasveer, Jignesh ko dikhaya aur bhadde-bhadde comments kiye honge..
Meera:- Exactly yahi hua hi hai... Warna main kahun ki Nirali ya Jannat ko kisi stylish ladke ke sath dekhi thi wo bhi kahne ka andaz positively… to tum kitna react karoge...
Asif:- React kitna bhi karun lekin itni baat ke liye thappad marne jitna to reaction kabhi nahi aa sakta...
Vyas:- Mera bhi same answer
Meera:- Ab bhi dono me se kisi ko lag raha hoga ki ye sanyog hai...
Dono ek sath... "Kisi bhi angel se ye sanyog nahi dikh raha…"..
Vyas:- Haan lekin tum abhi shant raho....
Iss line ke khatm hone tak Car parking me lag chuki thi aur teeno paidal class ke ore badh rahe the...
Meera:- Haan samjh gayi.. Ab kahne lagoge... Waqt aane par hum dikhayenge... Ye kar denge wo kar denge .... Falana karenge… Samajh gayi...
Vyas:- O drama queen to kya karogi...
Meera:- Fuck off... Sudhu bhasha me bolun to maa chudaye planning... Ye dekho...
Meera "Dekho" bol'kar aisa kuch kar gayi ki sabhi bhauchakke rah gaye... Darasal class jane ke raste me padta tha canteen aur canteen me dikh gayi Kirti... Jab tak Vyas aur Asif ko kuch samjh me aata... Jab tak un dono ki najar Kirti ko dekhti... Meera, Kirti ke pass pahunch chuki thi.... Aur jab tak Vyas aur Asif Meera ko rokne pahunchte, tab-tak Meera kaand kar chuki thi…
Meera teji se Kirti ke pass Pahunchi.. aur pass rakha coffee ka mug Kirti ke sir par urrel di... Cup ka garam coffee achanak se sir par... Uss table par baithe jitne bhi log the, wo khade ho'kar chehre ka shock reaction diye hi the… Abhi muh se koi shabd nikalne hi wala tha.…. lekin uss se pahle hi Meera, Kirti ko 2 jordar rafta, back to back dono gal par bina koi der kiye chipka chuki thi...
Thappad padte hi fir se sabhi shocked. Iss se pahle ki koi kuch bolta Meera hi chillakar kahne lagi.… "Fuck off bitch... Jo ukhadna hai ukhad lena... Jis baap ko complaint karna hai kar lena... Chaho to roti hui principal se complaint kar lena… Haramjadi farfarati rah jitna farfarana hai.…"
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
ary it itni badhiya update HUpdate:-70
Asif aur Riaz ko jahan Meera ka ek handsome aur utna hi raehish boyfriend dikha wahin chidha hua Vyas aur bhi jyada ander se gussa ho gaya. Anterman me bus ek hi khyal aaya…. "Main kaise bhul gaya Meera apne guru ki hi cheli hai"…..
Meera aur wo ladka point of attraction bane huye the. Ek to ladka hi-fi look me upar se 1 fit pichhe 5 bodyguard usse ghere aur sath me Meera uske hath tham kar chal rahi thi... Campus se bahar darwaje tak niklane ke kram me Meera aur wo ladka aakarshan ka kendr bane huye the.
Meera poora rera bikher rahi thi. Yun to yahan bahut se karodpati ke bacche padhte the, lekin show off ka aisa najara pesh kiya ja raha tha ki sabhi mud kar dekhne ko vivash the.
Meera campus ke darvaje ke bahar aayi. 3 kaali gadiyan wahan se ek sath nikli. Jaise hi kuch dur gadi aage badhi.… "Sorry maim, wo boss ne bola isliye thoda close ho kar khada ho gaya"…
Meera:- Boss yani mere superstar saiyyan na...
Ladka:- Haan aap ke superstar saiyyan.
Meera:- Aapka naam kya hua sir... Aur thodi pahchan bhi bataeye...
Ladka:- Maim mera naam Gautam Kumar hai. Asian games me national shooting team ka captain hun aur sena me bhi cpatain hun.
Meera:- Mil kar achha laga captain sir. Lekin kya aap mujhe bhabhi bulayenge. Mujhe aisa lagega jaise apno ke bich hun..
Gautam:- Maim bura na maane to...
Meera:- Main abhi se hi bura maan gayi...
Gautam hanste huye... "Sorry bhabhi, bura na mane to ek baat puchhun"..
Meera:- Puchhiye dever ji poore haq se Puchhiye ..
Gautam:- Bhabhi aap ko Boss ne propose kiya ya aapne…
Meera:- Dever ji aap ke sawal bahut kuch ishara kar rahe hain. Apake boss dilfek to nahi...
Gautam:- Nahi kuch jyada hi shakt hain. Kayi trainee ladkiyan unpar dil bichhaye hai, lekin boss sab ko aise ghurte hain ki kisi kee himmat hi nahi hoti kuchh kahne ki..
Meera:- Iss baat se dilfek nahi hai wo kaise sabit hota hai… Kahin tumhare boss sab ke samne shakt hone ki acting karte ho...
Gautam:- Yadi aisi baat hui, fir to aapko jyada mehnat ki jaroorat hogi bhabhi, kyonki un par marne wali ki koi kami nahi hai... Yadi parde ke pichhe koi kahani chal rahi hai to uska mujhe pata nahi...
Meera:- Bahut napi tuli baten karte hain devar ji. Kya har waqt formal rahna jaroori hai?
Gautam:- Bhabhi hum Army wale casual bhi formal tarike se hi rahte hain. Abhi main casual baten hi kar raha hun... Meri manjil aa gayi... Aage mod se aap ke sath aap ke superstar saiyyan honge.. Ho sake to unhe thoda casual bana dijiye...
Meera:- Chahte to hum bahut kuch hain captain sir. Kuch chahten adhuri hi poori hoti hai to kuch chahten mahaj chahat ban kar rah jati hai... Kya samjhe...
Gautam:- Yahi ki aap ko medical classes nahi philosophy ki class join karni chahiye... Aap achhi philosopher ban sakti hai. By the way aap se mil kar achha laga bhabhi. Lijiye boss bhi aa gaye...
Car sadak ke ek kinare ruki. Car poori tarah khali. Som driving seat sambhala aur Meera bhi pichhli seat se utar kar aage ki seat par baith gayi.… "Looking gorgeous Meera".
"Love you Saiyyan"…
"Hmmmm …. Mujhe thoda waqt lagega feeling ko uss ore le jane me aur tumahre love you ka jawab dene me Sajni"
"Hmmmmm"….
Chhoti si baat-chit ke baad dono khamosh ho kar samne dekhne lage. Som baar-baar tirchhi nigahon se Meera ko dekh raha tha. Meera ka khamosh muskurata chehra dil me utar raha tha. Som ka mann bilkul prafullit aur kahin na kahin khyal dil me gudguda raha tha... "Meri hone wali pyari jivan sangani"…
Haan ye khyal pyara tha. Dil me ajib si khushi thi aur shayad issi wajah se gambhir sa dikhne wala Som, aaj smiley face banaye ghum raha tha. Lucknow
Airport ke parking me car lagi, aur dono car ke bahar aaye.…
Som ek jhalak upar se niche Meera ko dekha.… "Meera, kahan khoyi ho"…
Meera, pyari si muskaan apne chehre par laati... "Kuch nahi Som sir. Shayad hum Delhi jane ke liye airport par aaye hain"..
Som:- Haan tum sahi soch rahi ho...
Meera:- Som sir main aapko chahti hun. Ye meri chahat hai. Lekin chahat itni bhi baiman nahi ki aap ko jabardasti paaun. Rahne dete hain...
Som aaschrya se Meera ka chehra dekhte... "Lekin Meera"…
Meera:- Koi baat nahi hai sir... Apni chahat haq se batana mera haq tha. Lekin aap ko jabardasti shadi ke liye raji karna galat hai...
Som, thik Meera ke samne khada ho kar apni baanh failaye…. "Pata nahi kyun apni hone wali biwi ko ek baar tightly hug karne ki ikchha si ho gayi hai. Thoda waqt lagega mujhe apni Meera ke rang me rangne mein. Lekin haan jaisa bhi rahun rahunga kewal tumhara hi"…
Iss baar chauankne ki bari Meera ki thi. Wah aaschrya se Som ko dekhti.… "Kya???"
Som, shayad kisi ladki ko dekh kar pahli baar itne pyar se muskura raha tha. Meera ko utne hi hasrat bhari najron se dekhte.… "Aa bhi jao.… iss se jyada romantic nahi ho sakta main"..
Som ki baat sunkar Meera ke murjhaye chehre par achanak se hansi phoot gayi. Wah poori tarah se Som ki bahon me simat kar apni aankhen mundti.… "Som sir, dil dukhta tha jab ye ehsas hota hai ki aap mujhe nahi chahte. Ajib khinchi si rahti par kisi ko bol nahi paati. Upar se shadi ke liye aapke sath jabardasti kar rahi thi. Yah ehsas ander se guilt feel karwata tha"…
Som, Meera ko baajuon me samet kar uske mathe ko chumte.… "Purusom Malhotra ko poorn karti hai ek nirbhik kshtriya Meera ki ye komal bhavna. Rahi baat jabardasti ki to duniya me swarth chalta hai Meera. Kisi ki baat maan kar kiya gaya kaam ya to hum uske pyar ki wajah se karte hain, ya fir apne niji fayde ki vajah se. Dono hi shoorton me jabardasti hoti nahi, kewal hum khud ko safe karne ke liye jabardasti shabd ka istamal kar dete hai"…
Meera:- Chalo Som sir... Apni philosophy to mujhe umr bhar sunate hi rahenge pahle chal kar shadi kar le...
Som, Meera ki baat par khul kar hanste sochne laga... "Meera ka to mood aur facial expressions kitni jaldi swing karta hai. Ek pal me gambhir aur agle hi pal utni hi natkhat. Iski adaa janlewa hai..."
Som khyalon me hi Meera ka kayal hota ja raha tha. Aur idhar Meera apni baton ka koi jawab na sun kar... "Khud se aise chipkaye hain jaise pahle kabhi ye feel na liya. Mr Purusom Malhotra feel baad me le lena, abhi chaliye bhi... Flight udan bhar di to shadi cancel ho jayegi"…
Som, Meera ko khud se alag karte.… "Kya boli tum?"…
Meera khilkhila kar hansti.… "Yahi ki feel baad me lena"…
Som, ghurkar dekhte... "Aan haan feel... Tumse gale lag kar feel le raha... Khair apni patni ke sath feel le liye to kaun si big deal ho gayi, lekin sawal ye hai ki uss se pahle kya boli?"…
Meera:- Thik se nahi sune to fir se kahe deti hun... Na jane kitni ladkiyon ke sath aise chipkane ka feel liye honge… Anubavi husband...
Som:- Areeee hadd hai... Ye kya bakwas kar rahi ho. Tumhare dimag me chal kya raha hai?
Meera:- Had hai... Mazak kar rahi hun buddhu... Kahin aisa to nahi ki apne gusse ke pichhe apni kartut chhipa rahe...
Som:- Offf oooo !!! Ye kya sab bakwas karne lag gayi... Abhi kaun se kartut ki baat humare bich ho rahi thi...
Meera, Som ke hanth khinchti... "Chaliye chup chap... Ye sab discussion hum kal karenge. Aaj shadi karte hai."
"Ye poora pagal hai"…. Meera ki baat par Som hanste huye socha aur uske sath airport nikal gaya.
Meera, Som ka baju tham kar uske sath kadam badhati.… "Main pahle bata deti hun Som sir, lover aur patni me bahut anter hota hai. Fir mujhe kabhi tane mat dena ki tum pahle aise thi ab aisi ho."
Som, hanste huye.… "Tum mujhe dara rahi ho kya?"..
Meera:- Nahi apni baat saaf kar rahi hun. Aap mere har sawal ka jawab dene ke liye badhya honge aur chhod kar bhagne ka to sochna mat, jaise pahle bhagte firte the...
Som:- Aur kuchh sajni... Ya itna hi commitment chahiye... .
Meera:- Haan aur bhi hai na... Mujhe aap jaise 2 bacche chahiye. Kosis karenge to 2 sal me ye ho jayega... Family planning uske baad sochenge...
Som, hanste huye chehra ghuma kar ek baar Meera ko dekha.… "Achha 2 sal me 2 bacche... Wo bhi secret shadi se. Jarra batayengi madam ye kaise hoga"…
Meera:- Ohhh haann jaan... Main bhul gayi thi hum chori ki shadi kar rahe... Kamal hai na... Logon ke chori ki love story hoti hai.. lekin humare bich love story ka to pata nahi lekin chori ki shadi ho rahi.
Som, Meera ka gaal khinchte.… "Chori aur orignal shadi ke bich hum ek love story creat karenge na... Tum upset kyun hoti ho sajni"..
Meera jhatke se apni paun unchi karti Som ke gaal chumti.… "Wowwww !!! What an idea sir ji"…
Som:- Meera kuch to khyal karo hum airport par hain...
Meera:- Oopsss !!! Sorry.….
Dono subah ke 9 baje Delhi pahunch chuke the. Som ne Meera ka chehra cover karwaya aur Delhi me apne dad ke sarkari aawas pahunch gaya… Kafi bada sarkari aawas tha jiske darwaje par kayi prashikshit surakshakarmi pahra de rahe the. Som ko dekhte hi uss kade suraksha wale aawas ka darwaja khol diya gaya. Som, Meera ko le'kar ander dakhil hua...
Meera, Som ke hath ko khinch kar usse rokti…. "Shadi se pahle hi, Ye kiske bunglow me le aaye"…
Som:- Matlab...
Meera:- Matlab shadi se pahle hi suhagraat ki planning... Pahle shadi to ho jane dijiye...
Som, Meera ke sar ko thokte…. "Pagal.. Dad ka sarkari aawas hai. Kya sab soch leti ho"…
Meera:- Nahi ji wo baat nahi... Wo maine suna tha ki shadi ko lekar ladke kuchh jyada hi utsahit ho jate hain... Isliye yahan ka mahol dekh kar mera kaleja dharkne laga...
Som apna hath bunglow ke ore dikhate… "Ab chalen… ya yahin khadi rahogi taki dad ke sare staff hume ghurte rahe"..
Meera teji se kadam bunglow ke ore badhati... "Chaliye chaliye jaldi ander chaliye"..
Meera lagbhag daur hi padi. Som uski harbarahat par hanste huye sochne laga... "Kitni pyari hai ye. Haan lekin ab tak ruki kyun nahi. Sidha chali hi ja rahi hai"…
Khayalat hasane wale the aur Som, Meera ki baton par hansta hua aage badha. Meera bunglow ke mukhya dwar ke pass pahunchi hi thi ki uske kadam achanak se ruk gaye. Apne aas-pass wo Som ko dekhne lagi. Fir pichhe mudti… "Areee aap wahin hai abhi tak"…
Som, hanste huye uske pass pahuncha. Meera usse hanste dekh, ghurti najron se... "Aise hans kyun rahe hain ji"..
Som:- Nahi bus yun hi... Kya hua ander kyon nahi ja rahi...
Meera, apne sar par hath rakhti.… "Oh no... Aap ki hansi me to main bhul hi gayi... Ander to aapke dad honge aur hum secret shadi karne wale hain. Fir aap mujhe yahan kyun le kar aaye"…
Som:- Ohhh khyal aa gaya tumhe in baton ka. Mujhe to laga ki aaj poore din tumahre dimag me suhaagraat hi chhaya rahega...
Meera, Som ko ghurti.… "Tane dena band karo Som sir. Sorry.… Ab nahi sochungi uss bare me... Lekin yahan le kar aane ka to bata dijiye…"
Som:- Dad abhi yahan nahi hain... Tumne to sab ko bata diya ki tumhara ek boyfriend hai. Main bhi jarra sab ko bata dun ki ek girlfriend meri bhi hai..
Som ki baat sun kar Meera chahki lekin turant hi Som harkat me aate.… "Nahi... Jo bhi tum soch rahi ho wo bilkul bhi mat karna"..
Meera:- Aur kya soch rahi hun main...
Som:- Uchhal kar gale lagne ki… chalo pahle ander... Yahan se fresh ho kar hum beautician ke pass jayenge aur wahan se marriage ragistar office. 12.30 baje ka samay liya hua hai...
Meera:- Main prabhavit hui Som sir... Kya baat hai shadi ki poori taiyari kar rakhe hain…
Dono ek sath hi ghar me dakhil huye. Jaise hi pahla kadam pada, samne 2 house maid... Anupriya aur Mithlesh... dono sofe par ek dusre ke aalingan me gum ho kar tv dekh rahe the. Poora hall hi pack tha aur poori light band hone ke karan andhera jaisa mahol tha. Jaise hi darwaja khula ander poori raushni...
Dono house maid ki najar darvaje se aa rahe Som aur Meera par gayi. Anu aur Mithlesh harbara kar khade hote... "Sir aap aane wale hain hume pata nahi tha"…
Som:- Mithlesh ye sab kya hai... Poora hall andhera...
"Sorry sir wooo, hummm.. ye.. wooo to yahan akele hi hote hain..." Anu thodi harbarahat aur thode ghabrahat ke sath jawab di.
Som:- Akele hone se kya matlab hai...
Som itna tej bola ki dono saham gaye. Meera pass me hi khadi thi. Gale ki khadas se usne apne hone ka anubhav karwati... "Dono par chilla kyun rahe hain?"
Som pass me khadi Meera ko dekha. Khud ko thoda shant kiya. Iss bich Anu aur Mithlesh ne poore hall ki light jala dee. Anu kitchen me chali gayi. Mithlesh Som ke samne sar jhuka kar khade hote… "Sir wo humari nayi-nayi shadi hui hai aur yahan jyada kaam bhi nahi hota"…
Som:- Hmmmm !!! Sambhu ji kahan hai..
Mithlesh:- Sambhu sir to Malhotra sir ke bunglow se jate hi chale jate hain.
Som:- Aur yahan ke staff bhi mujhe kam dikh rahe hain...
Meera, fir se gale ki khadas se Som ka dhyan khinchti.… "Jarra waqt par dhyan dijiye sir. Hume jana bhi hai?"…
Som:- Yad dilane ka dhanywad... Mithlesh, Anu ko bolo kuch mitha hi banaye. Hum log jyada der nahi rukenge... Sona tum first floor ke left me jao, wahan mera bedroom me tum fresh ho jana...
Mithlesh thoda ghabrate... "Sir wo"..
Som sawaliya najron se dekhte... "Ab kya hai?"…
Mithlesh:- Sir wo aap ka bedroom..
Som:- Bhagwan ke liye ab ye mat kahna ki tum dono staff quater ke badle mera bedroom istamal kar rahe...
Mithlesh, apni najren niche kar ke "Haan" me sar hila diya. Som usse ghur kar dekhte... "Meera samne guest room hai, tum wahan fresh hone chali jao. Mithlesh tum mere sath aao"…
Meera Guset room me chali gayi. Som Mithlesh ke sath baitha aur cheque sign karte uske ore badhate... "1 hafte ki chutti lo aur dono kahin ghum aao. Lekin Mithlesh agli baar kaam ke sath mazak karte maine dekh liya to tum samjh jana"…
Mithlesh:- Sorry sir... Sir waise ye ladki kaun hai..
Som:- Tumhe kya lagta hai kaun hogi...
Mitlesh:- Aap ki girlfriend…
Som:- Nahi... Meri lover... Tum jao aur driver ko bolo car ready kar ke rakhne... Hum aadhe ghante me aate hain..
Aadhe ghante me dono fresh ho kar wahan se nikle. Car sidha ek Beauty parlour me ja kar ruki. Som aur Meera taiyar hone chal diye...
Fatfat dono ko taiyar kiya gaya... Som pahle taiyar ho kar waiting lounge pahuncha. Uske lambe baal ko bade hi shandar tarike se set kiya gaya tha. Halki dadhi trim ki hui. Sharir par paramparik paridhan, dhoti aur kurta. Aankhon par kala chasma.
Som bilkul kisi model ki tarah dikh raha tha. Uske lambe kad kathi par yah paramparik paridhan kafi jach raha tha. Parlour ke waiting lounge me Som ke kuch jaan'ne wale bhi khade the. Som ka yah look dekh kar sabhi ek sath hooting ke sath seetiyan bhi bajane lage...
Som sab ko hath dikhate.… "Shant ho jao tum sabhi."
"Ye Akdu kabhi nahi sudhar sakta. Ji to karta hai iske shadi ki khabar all India viral kar dun. Aaj bhi akad kar hi order dega"… Ek ladki chidhti hui kahne lagi...
"Anjila ke comment par koi reaction nahi"… wahin khada dusra ladka chuki lene laga...
"Man me to boss ke bhi shadi ke laddu fut rahe honge. Upar se kitne bhi akde kyun na rahe ander se hans hi rahe honge"… Ek aur kisi ladke ne kaha...
"Just shut up. Boss tum sab se baad me badla lega"… Ek aur kisi ladke ne kaha...
Som:- Maar bhi khate ho fir bhi tum sab ke bolne ki bimari nahi jati na...
Anjila:- Meera ke aane se boss aaj kuch normal ho kar baat kar rahe hain na... Kyon Praveen…
Comments par comments ho rahe the issi bich wahan khade log shant khade ho gaye. Achanak hi wahan ka poora mahol shant ho gaya. Har koi Som ki najar aur uske chehre ki bhavna ko dekh raha tha...
Samne passage se poori tarah se taiyar ho kar Meera aa rahi thi. Rang saumya, poori dulhan ki tarah saji hui. Chehra aankhon ko khinch le. Hoton ke laali dil me suroor bhar de. Aankhon ki gahri kajal naino ko aise uljha de ki najar hate hi nahi. Jhuki palken aur sharm se laal chehra aisa manmohak lag raha tha ki mano samne se mohini chali aa rahi hai.
Itne aakarshak tarike se taiyar hui thi ki har najar thehar jaye. Gahre laal rang ki lahnga-choli. Sar se lekar paun tak jewar me saji. Chham-chham karti payal ki khanak aur poorn saji hui dulhan ke vesh me Meera har najar ko khinch rahi thi.
Ek suroor sa dhima nasha aankhon ke raste chadha...
Man aise moh lee manmohini ne ke ab to sudh-budh khoye.…
Roop naino me baste ja rahe the aur dharkane thi bekabu
Pahle jhalak ki Prem ras bauchhar aur chal gaya poora jadoo...
Meera ke mann me bhi hazar bhavnayen thi. Khushiyon ne jaise uske dar tak khud dastak di thi. Mann ka meet aankhon ke samne khada, jise apne dulhe ke roop me dekhne ke liye na jane kitne jatan kiye. Na jane kitne prayatn kiye. Meera ek najar utha kar Som ko dekhi aur bus dekhti hi rah gayi.
Meera aur Som ki najren ek dusre se aise uljhi fir to palak jhapkne ka naam na liya. Dono ke chehre par pyari si muskaan aur aankhon se ek dusre ka abhivadan kar rahe the.…
Jo haal dil ka idhar ho raha tha, wahi haal dil ka udhar ho raha tha aur dono ki dhadkane.....
"Dhak-dhak dhak-dhak dhak-dhak dhak-dhak dhak-dhak dhak-dhak dhak-dhak dhak-dhak dhak-dhak dhak-dhak dhak-dhak dhak-dhak dhak-dhak dhak-dhak dhak-dhak
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
nain bahi som ko Lata mishra se thapar khilwa dia wese som is ka hakdar bhi thaUpdate:-71
Sham ke waqt tha. 5 sitara hotel me Som ki party chal rahi thi aur dusri ore ussi 5 sitara hotel ke ek sweet me suhag ki sej sajayi ja rahi thi. Som apne sah-karmiyon ke tikhe nok-jhonk aur tips & tricks ke sath party khatm karne ke uprant apni dulhaniya ke pass chal diya.
Poore dulhan ke libas me sazi Meera chhota sa ghunghat nikale Som ka intzar kar rahi thi. Mann me umang aur dil me tarange bah rahi thi. Machalte arman the aur piya milan ko wo bekarar baithi thi.
Tabhi kamre me chhoti si aahat hui. Darvaja khula aur band ho gaya. Isi ke sath Meera ki dhadkane bhi badhne lagi. Dur se aati kadmon ki aahat dhire-dhire pass aane lagi.… "Tumne khana kha liya tha Meera"… Som bistar ke karib aate hi puchha.
Meera apne band honton se "Haan" me jawab deti apne hath ke ishare se Som ko pass baithne ke liye kahne lagi. Som bhi mahol ke bhavnao ko bhanpte huye Meera ke karib baith gaya. Dono bilkul khamosh. Meera ki dhadkane yah soch kar badhne lagi ki ab Som aage badhega. Som ki dhadkan is khyal me badhi ki kaise shurwat karoon. Dono apne hi khayalon me khoye the.…
"Kya soch rahe hain ji"… Badi hi dhimi aur pyar bhadi aawaz nikli... Meera ki awaz sun'kar Som khyalon se bahar aaya. Apne hathon se Meera ke ghoonghat ko upar kar'ke uska chehra niharne laga. Meera bhi apni najren Som par tikaye usse dekh rahi thi. Dono ek dusre ko dekh'kar pyar bhadi muskaan bikher rahe the.
Dhire-dhire dono ki duriya mit'ti chali gayi. Sukhe honth ek dusre ke pyar bhade sparsh ko mehsus karne ke liye aage badh gaye. Ufff kya sparsh the hoton ke. Aisa lag raha tha gulaab ki pankhudi ko chhu rahe ho jaise. Fir to do jism ek jaan hone ki gawahi lagaatar wo khanakti chudiyan de rahi thi jo pyar ke iss khel me "khannnn-khannnn" ki madhur sangeet ghol rahi thi. Bikhre baal, badan se utre kapde aur phool iss kadar kuchle gaye the ki unke pahli raat kaisi biti uski poori kahani bayan kar jaye...
Pyar bhari ek haseen raat gujarne ke baad subah jab Meera ki need khuli, wah bistar ke machle phool aur khud ki haalat dekh kar sharma gayi. Hoton par pyar bhari muskaan fail gayi aur wo sharma’kar sidha bathroom me bhagi.
Meera jab shower le rahi thi uske badan mano khud ke hath ko hi nakar rahe ho jaise. Apne khule badan par to usse sirf ab apne sajan ka hath hi achha lagta tha. Meera raat ke un lamhaton mein kahin kho gayi. Uske hath khud v khud itne dhime sabun mal rahe the mano wo bhi kahin gum ho.
“Ouchhhhhh” ki awaj achanak hi Meera ke muh se nikli. Badan kasmasa rahi thi lekin aisi koi ikchha nahi thi ki jo ho raha hai wah ruk jaye. Khyalon me gum Meera ko kab pichhe se aa’kar Som ne pakad liya usse pata hi nahi chala. Aur jab pata chala tab ander ki bekabu dhadkan uss se chikh-chikh kar jaise kah rahi ho... “bajuon me iss kadar mujhe bhinch lo ki main bus machal kar rah jaun. Iss kadar mujhe maslo ki mera rom-rom khil jaye”...
Shayad Som ne bhi jaise Meera ke dil ke armaan padh liye ho. Pichhe se bahon me jakde apni biwi par wo sikanja kasta chala gaya. Som ka chehra Meera ke kandhe se laga hua tha aur apne hoton se, Meera ke kann ke niche iss kadar sparsh kar raha tha ki Meera ke poore badan me jhanjhanahat si paida hone lagi thi.
“Jaan bus bhi karo. Mujhe kuch-kuch ho raha hai”... Lacharti hui awaz Meera ke hoton se nikli... Som hoton ke aur bhi naram sparsh dete... “Mera bhi wahi haal hai. Kal raat maine jana stri sukh kya hota hai. Ji to karta hai din raat bus....”
Som ki baaten sun’kar Meera sharm se pani-pani ho gayi. Wah kuch kah nahi payi bus apne nange badan par Som ke sparsh ko mehsus karti wo kho si gayi. Som Meera ke kano ko chumte huye dhire-dhire apna hath uske stano tak le gaya. Dono hath se wah stan ko pakad kar iss kadar pyar se sahlane laga ki Meera ke paun tak kaanp gaye. Poore badan me vasna ki aag failti chali gayi. Meera kisi tarah khud ko chhuda’kar samne mudi aur khud ko Som ke sine me chhipa li.
Apne dono hath ke bich apne stno ko chhipaye wah sine se lagi thi. Aankhen munde khadi bus wah Som ke nange badan ko mehsus kar rahi thi. Fir to jo subah inki 8 baje shuru honi thi wah dopahar ke 2 baje se shuru hui. Dono 2 baje tak taiyar ho’kar Delhi ghumne nikle. Dono kya jach rahe the. Aisa lag raha tha khushiyon se daman bhad gaya hai. First night ke gift ke taur par Som ne Meera ko pyara sa pendent gift kiya.
Ghumte huye dono ko raat ho gayi. Paidal hi dono wapas aa rahe the... “Kamal hai Som sir Aaj poora din aapne nasha nahi kiya”...
Meera ki tirchhi najar aur uski baat sun kar Som muskuraye bina nahi rah saka.... “So ab tum har baat notice karti ho”...
Meera:- Main apne Som sir ko shuru se notice karti hun. Haan kabhi sath rahne ka mauka nahi mila warna ek khushi ki baat pahle pata chal jati... Mere Som sir nasha ke gulaam nahi...
Som:- Tum kitna chahogi mujhe Meera... Bus bhi karo itna chahna...
Meera:- Ek hi to chahat hai usse bhi bus kar dee fir jaungi kahan... Afsos to iss baat ka hai ki main sabke samne sindoor nahi laga sakti. Som sir mujhe poorn roop se aapki patni ban’na hai...
Som:- Bus kuchh din aur intzar karo Meera. Fir sab ke samne tumhara hath tham lunga... Filhaal to ek hi khyal dimag me aa raha hai...
Meera, Som ko sawaliya najron se dkehti... “Kya”
Som thik Meera ke samne khada ho’kar usse apne bahon me samet’te.... “Ab tumse alag kaise rahunga. Abhi to humari shadi hui hai”...
Meera natkhat si muskan apne chehre par laati.... “Mere intzar ka fal mil gaya ab thoda intzar ka maza aap bhi lo Jaan... Mehsus to ho kuch aapko bhi ki main kis daud se gujri hun. Waise ye sab main
kah kyun rahi hun...”
Som, Meera ko aur bhi jyada apne bahon me samet’te.... “Tum aisa kyon bol rahi ho”...
Meera:- Kyunki shayad aapne wo pyar na kiya ho mujhse. Bus shadi kar ke meri bhavnao ko kewal
rahat diye ho...
Som, Meera ke kaan ko apne daton tale daba diya... Halki si “ouchhh” Meera ke muh se nikli... Som uss se alag ho’kar uske dono bajon ko apne hath se thamte.... “Pyar to bahut hai. Ab tumhare jitna hai ki nahi wo pata nahi lekin kuch der baad tumse alag hona padega.. Soch’kar hi dil baitha ja raha hai."
Som ki baat sun’kar Meera, Som se lipat gayi. Dono sadak par hi kuchh der tak ek dusre ko aalingan me liye khade the. Ek raat aur sath bitane ke baad dono subah-subah Lucknow airport ke liye nikal gaye.…
Subah ka waqt tha. Som jab apne ghar pahuncha kewal Lata Mishra jaag rahi thi, baki sabhi so rahe the. Som aate hi apni maa Lata Mishra ke paun chhu liye aur unke gale lag gaya.… Lata apne bachhe ke sir par hath ferti.… "Areeee paun kyun chhu raha hai. 2 din bina bataye gayab tha shayad usme koi badi safalta to nahi hasil kar aaye?"…
Som, Lata Mishra se alag ho'kar thoda muskurate aur sharmate.… "Haan ek uplabdhi to hasil kar aaya hun maa. Bus samajh nahi aa raha kaise bataun. Aur aap'ko bina bataye mujhe chain nahi aayega"….
Lata:- Yun to tu bina bataye gaya uss baat ke liye main teri khal khinch leti. Lekin lagta hai koi shandar kaam karne gaya tha isliye hume nahi bataya taki surprise kar sake.…
Som:- Haan so to hai maa... Lekin shuru kahan se karun... Kaise bataun...
Lata:- Oyeeee hoyeeee tera chehra to laal pad gaya mere laal. Areee itni bhi kya jhijhak, bindass ho'kar bata...
Som, badi hi dhimi awaz mein.... "Maine shadi kar li maa"
Ab chaukne ki bari Lata Mishra ki thi. Bilkul hairani bhadi nigahon se dekhti.… "Kyaaaaaaaa???"
Som, apni maa Lata Mishra ke muh par hath rakh'kar unhe cottage se bahar laate.… "Kya kar rahi ho? Sabko jagaogi kya?"
Lata Mishra ab bhi Som ko tukur-tukur lagatar ghure ja rahi thi. Som, Lata Mishra ko kandhe se pakad'kar usse jod se hilate huye.… "Maaaaaa, kya ho gaya?"…
"Chataaaakkkkkkkkk" ki ek tej awaz aayi. Lata Mishra ne itna tej tamacha maara ki Som ke gaal ka wo hissa jahan dadhi nahi thi wahan laal nishan pad gaya. Lata Mishra, Som ko gusse me ghure ja rahi thi.…
Som:- Maa, maine shadi kar lee aur tum ho ki khush hone ke badle...
Som itna hi bola tha ki Lata Mishra ke gusse ka pada fat gaya. Wo jor se chillati hui.… "Wahhh beta !!! Paramveer chakr prapt kar'ke aaya hai na jo aarti ki thal se tera swagat karoon. Haramkhor kitne armaan the teri shadi ko le'kar sab mitti me mila diya. Ab main uss Sugandha (Meera ki Maa) ko kya jawab dungi"…
Som:- Maa please dhime bolo na sab sun lenge...
"Sab sun lenge... Sab sun lenge.… Teri shadi ho rahi hai ye poora desh sunta aur tu mujhe chup rahne kah raha hai. Kahan hai meri Bahu"…. Lata Mishra apna gussa to dikha rahi thi lekin iss baar dhime hi apni baat kahi…
Som:- Wo maa humne secret shadi ki hai... Dhum-dham wali shadi baad me karenge isliye kisi ko kuchh nahi bataya aur usse apne ghar bhej diya...
Lata:- Usse matlab kise, naam nahi hai kya uska.…
Som:- Maa wo Jadeja ki ladki Meera hai...
Som kah bhi raha tha aur apna chehra bhi chhipa raha tha kahin fir se ek thappad na pad jaye.… Lata Mishra kya pratikriya de usse kuch samjh nahi aa raha tha. Bahu ke aane ki khushi manaye ya bete ne chupke se shadi kar lee aur iss shadi ko raaj rakhna hai uski ran'niti banaye, kuch samjh me nahi aa raha tha... Lata Mishra kuch der tak khamosh khadi rahne ke baad...
"Mujhe kya karna hoga ye bata? Kyonki sahab to Jadeja ki bitiya se shadi kar liye. Ab iss shadi ko mujhe raaj rakhna hoga. Aur apne bete ke shadi me main kya sab karungi wo saare sapne chale gaye bhaar me. Sale nalayak yahi siksha dee thi kya main tujhe"…
Som:- Maa gussa thoda shant karo. Mere shadi ko le'kar jo bhi aap'ke armaan the wo sab poore honge bus please tum abhi shant ho jao aur mera sath do. Main ghut raha tha ki meri biwi ke bare me kisi ko pata nahi isliye tumhe sab bata diya...
Lata:- To yah jaan'kar kya main bhangra karoon? Chotta kahin ka... Abhi mera dimag kaam nahi kar raha. Aaj sham tum dono miya-biwi milo pahle..
Som:- Maa wo...
Lata Mishra chillati hui... "Kya wo?"
Lata Mishra itna tej boli ki pichhe se poora pariwar wahan jama ho gaya... "Kya ho gaya aise chilla kyun rahi ho? Aur ye nalayak 2 din tak tha kahan?"
Som ke pujniya pitaji Kapendra Mishra wahan aate hi puchhne lage. Iss se pahle ki koi kuch kahta Sia, Som ke gale lag kar kahne lagi.… "Tumhare bina bataye gayab hone par sab bahut gusse me hain Som aur main bhi. Tum filhaal inhe sambhalo, main jarra jogging se laut aaun"…
Sia apni baat kahti wahan se jogging par nikal gayi aur Som minnat bhadi najron se Lata Mishra ko aise dekha mano kahna chah raha ho.…. "Please kisi ko kuch mat batana, hum baad me iss vishay par poori charcha karenge"….
Baharhaal Som to bura fasa tha kyunki "kuch khichdi pak rahi hai" aisi bhanak Diksha ko lag chuki thi. Baharhaal Sia jogging karne to nikli thi lekin sath me usse Neerav se bhi milna tha. Neerav ne kafi ajib sandesh bheja tha, shayad kisi musibat me ho.
Sia jogging karti hui park me pahunchi. Park me pahunchte hi Sia ne Neerav ko apne pahunchne ki suchna di. Kuch hi der me Neerav ne Sia se apni location share kiya. Sia mann me khyal liye.… "Ye kaun si musibat me fansa, jo itni subah bula raha hai"…. Sia sochti hui uske share location ke ore jane lagi.…
Kuch dur ander jane ke baad Neerav usse ek ped ke niche bane park bench par baitha hua najar aaya... Aur uske sath me tha Vyas. Jaise hi Sia ki najar Vyas par gayi uske aankhon se soley dahakne lage. Achanak hi uske daudne ki gati kafi tej ho gayi. Sia ke dimag me Asif ki party wali raat hui ghatnayen fast forward me chalne lagi. Vyas ke dwara kahe gaye har shabd jaise usska sina chid rahe ho.…
Idhar Neerav bhi Sia ko aate dekh chuka tha lekin wo itni tej daud laga degi iski ummid nahi thi.… "Oo... Vyas sir aap dono ke bich mamla kafi serious lagta hai. Jaan bacha lo apni"… Sia ke haav-bhav dekh'kar Neerav ne Vyas ko chetaya.…
Vyas poore akad ke sath.… "Meri jaan itni sasti hai kya jo har kisi se bachani pade"….
Neerav:- Lo pahunch hi gayi lagbhag... Ab ye baaat.….. Areeeee nahi.… Nahiii.… Chhodo Sia didi kya pagal ho gayi ho... Marrr jayega woo... Siaaaaa didiiiiiii...
Neerav shayad Vyas se kah raha tha ki ab uski jaan sasti hai ya manhgi wo khud Sia ko samjha de. Lekin iss se pahle ki wo apni baat samapt karta, Sia teji se pahunchi. Apne gale me bandhi chain ko khol'kar usse patla rassi banayi. Kafi teji ke sath wo bench par chadh gayi aur jaise hi wo bench se kudi... Rassi ka ek sira se Vyas ka gala bandh chuka tha aur dusra sira teji se ped ke ek moti sakha ke upar se dusri taraf.…
Sia daudti hui aayi. Bench par chadi aur jab wo bench par se kud rahi thi Vyas jamin se 1 fit upar. Vyas apne dono hath se gale ki rassi pakde tha aur Neerav teji dikhate huye sidha Vyas ka paun pakad'kar uski jaan bachane ki kosis me jut gaya.…
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
zabardast shandar updateUpdate:-72
Sia teji se pahunchi. Apne gale me bandhi chain ko khol'kar usse patla rassi banayi. Kafi teji ke sath wo bench par chadh gayi aur jaise hi wo bench se kudi... Rassi ke ek sire se Vyas ka gala bandh chuka tha aur dusra sira teji se ped ke ek moti sakha ke upar se dusri taraf.…
Sia daudti hui aayi. Bench par chadi aur jab wo bench par se kud rahi thi Vyas jamin se 1 fit upar. Vyas apne dono hath se gale ki rassi pakde tha aur Neerav teji dikhate huye sidha Vyas ka paun pakad'kar uski jaan bachane ki kosis me jut gaya.…
Vyas uss patle taar ki rassi se latka hua tha. Sia thik uske pichhe khadi wire ko khinch rahi thi aur Neerav, Vyas ka paun pakde, Sia ko chhodne kah raha tha.
Sia wire ko aur bhi jyada takat se khinchti.… "Neeru chhod iss chhachundar ko. Aaj isse maar'kar jail chali hi jaungi"…
"Ukhuuuuu... Ukhuuuuu.… Ukhuuuuu"… Vyas ke khansne ki awaj aane lagi. Subah jogging karne aaye log inki awaj sun'kar bhid lagane lage. Kuch log to video tak banane lage the. Tabhi sity bajati police wahan pahunchi aur Sia ko kisi tarah hataya.
Police station ka drishya... Ek bench par Sia, Neerav aur Vyas baithe huye the. Kuch policewale aa rahe the kuch policewale ja rahe the aur ye teeno khamosh baithe.… "Sia woooo"… Vyas apna gala pakad'kar kuch kahna chaha lekin uski awaj sunte hi... "Chup ho jao warna main yahan rakhi kisi bhi rifle ki goli sidha tumhare bad'bole muh me fire kar dungi"…
Neerav:- Vyas sir aisa kya kar diya jo Sia didi khun ki pyasi dayan ho gayi...
Neerav ki baat sun'kar Vyas hasne laga aur Sia usse kha jane wali najron se ghurne lagi…. "Tum teeno ka kya matter hai aur tum ladki (Sia) public place par aise murder kyun kar rahi thi"…
Vyas:- Sir wo murder nahi tha… Gymnastics practice…
Police:- Haan wo tere gale par laga nishan dikh raha hai...
Ek lady constable.… "Sir ladki ke sath "use & throw" ka mamla to nahi"…
Sia:- Will you please shut up... Kuch bhi bakwas kar rahi ho...
Police:- Ae ladki tu kahin ki gundi hai kya... Case file karo re iss par...
Case file to ho hi jati lekin tabhi wahan par shirkat karte huye ADG vigilance J.P.Jatav sir padhare. Bole to apne Neerav ke papa. Itne high rank police officer aur uske aage-pichhe ka tam-jham dekh'kar hi wo thanedar ghabra gaya... J.P aate hi.. "Yahan ka incharge kaun hai"…
Thana incharge had'badi me apni topi lagate.… "Sir main... Main hun yahan ka incharge"…
J.P:- Tino me se kisi par case file to nahi kiye...
Thana Incharge:- Sir wo abhi tak mamla hi samjhne ki kosis kar rahe hain ki iss ladki (Sia) ne aakhir iss ladke (Vyas) ko maarne ki kosis kyun ki hogi...
J.P:- Areee wo maarti nahi bus thoda bahut hansi mazak chal raha tha...
Sia:- Uncle wo Neeru na hota na tab ye baat kahte...
Vyas:- Haan samjho koi nahi hai... Jo ji me aaye kar ke dikhao Sia. Kaho to kisi stamp paper par apni sehmati de dun...
Sia:- Mujhe tumse koi baat nahi karni, samjhe tum... J.P uncle ya to ye ladka yahin arrest rahega ya main... Aap faisla kar lo...
J.P:- Main Mishra ji aur Shashtri ji ko phone kar deta hun. Wahi yahan aa'kar faisla karenge... Chalo Neerav... Officers dono ek sath yahan se jaana chahen to thik, warna dono ko bitha kar rakhna aur mujhe bus ek call kar dena...
Ab bhala babuji ko koi bulane ki baat kare fir kaahe ka ego. Jaise hi J.P nikle uske pichhe hi ye dono bhi nikal liye... Sia Police station se nikal'kar auto ke liye raste par khadi hui aur thik uske pass aa'kar Vyas bhi khada ho gaya... Vyas itne karib aa'kar khada hua ki Sia aur Vyas ke haanth chipak rahe the. Sia thodi khisak kar samne dekhne lagi. Vyas bhi thoda khisak kar samne dekhne laga... Sia fir thoda khiski, Vyas bhi thoda khiska.…
Dono khiskte-khisakte 2 meter dur chale gaye. Tabhi ek auto unke pass aa'kar ruki. Sia uske ander baithne ko hui, uss se pahle hi Vyas baith gaya... Sia, Vyas ko dekh'kar apni bhauhen (eyebrows) sikod'kar usse ghurne lagi... "Bhaiya ye auto maine rukwayi thi, usse kahiye niche utarne..."
Vyas:- Sia tum bhi aa jao... Main bilkul bura nahi manuga...
Auto wala:- Kya hai bhai maine auto madam ke liye roki thi...
Sia:- Koi nahi bhaiya aap jao dusri auto aa gayi hai...
Uss auto wale se baat kar'ke Sia jaise hi dusre auto me baithne lagi.… Apne sir par hath maarti... "Ab ye kise bitha liye bhaiya"…
Dusra auto wala... "Madam ye sir to aapke sath hi hai na"…
Sia:- Ji nahi ye aage wale auto me baitha tha, isliye main aapko rukne boli... Khair aap jao main ussi auto me chali jaungi...
Sia itna bol'kar dusre auto wale ke pass se hati aur wapas se ussi auto me baith'te... "Bhaiya chalo jaldi"…. Chunki Sia ko pata tha Vyas fir se wahi harkat karega isliye Sia wapas jaane ka natak kar'ke dobara se dusre auto me baith gayi...
Vyas bechara pahle wale auto me aa'kar baitha aur apne najron ke samne se dusra auto jate dekh raha tha…. "Ae bhai pichhe le uss auto ke"…
Auto wala apni auto start kar'ke geet gun'gunate aage badha... Vyas ki najron se Sia ka auto dur hota ja raha tha... "Bhai tej chal le. Wo auto dur hoti ja rahi hai"..
Auto wala:- Je koi film ki shooting na ho rahi ki auto wale ko bolo aur wo pichha karne lage... Kya samjhe bhaiyye...
Vyas:- Diye tujhe 500 rupye chal ab..
Auto wala:- Bhara alag se lunga...
Vyas:- Haan thik hai... Ab chalega ya bakchodi karega...
Auto wala:- Dhairya kyun kho rahe ho ye lo udd chali apni dhanno...
Right-left machhli cut maarte auto wala thik Sia ke auto ke parellel le aaya. Ab dono auto sath-sath chal rahi thi. Jaise hi Vyas ka auto thik samne aa'kar laga.… Sia apne auto wale se.… "Kya kar rahe ho, wo ladka acid liye ghum raha hai. Jaan pyari hai to bhagao auto..."
Auto wala:- Kya sach me madam...
Sia:- Gadhe ho kya? Thane me ussi ki complaint to karne gayi thi...
Auto wala:- Hey bhagwan aaj subah-subah ye kaun si sawari utha li maine.…
Auto wala apni baat kahte huye sadak kinare apni auto khadi kar diya… Sia apne mathe par hath rakhti… "Kya ho gaya?"
Auto wala:- Nahi chahiye mujhe bhade ke paise aur nahi chahiye aisi sawari.. madam aap utar lo... Ya uss ladke ko acid fekna hoga to aaram se pichhe ki seat par fek kar jayega…
"Fattu kahin ke".. kahti hui Sia uss auto se utar kar usse kiraye ke paise thama dee. Wo auto to chali gayi lekin Vyas ka auto samne hi khada tha. Sia kuch der idhar udhar dekhi aur fir paidal hi aage chalne lagi... Uske kadam se kadam mila'kar auto bhi uske sath dhire-dhire chalne lagi...
"Ye lagta hai aaj pitega mujhse"... Sia khud se kahti hui hath dikha'kar uss auto ko roki aur aaram se baith gayi... Vyas ek kinare to Sia dusre kinare baithi thi. Sia poore gusse me bilkul samne najar dali thi. Vyas rah-rah kar Sia ke ore mudta, lekin gusse wala bhishan roop dekh'kar samne dekhne lagta...
Kisi tarah himmat juta'kar Vyas thoda-thoda kar'ke Sia ke najdik aane laga. Vyas apne mission me poora safal bhi raha. Wah Sia se matr inch bhar ki duri par tha. Kisi tarah se himmat juta'kar Vyas ne jaise hi Sia ke kandhe par hath rakha... Ek jordar awaj hui.. Sia ek ghusa Vyas ke naak par maar chuki thi..
"Aaawwwww... Pagal, Jungli... Naak tod di mera"…. Vyas apne naak par rumal lagate huye kahne laga...
Sia:- Shashtri mera para chadha hua hai, behtar hoga tum mujhse dur hi raho... Sirf tumhari vajah se main 2 raton se nind ki goli le'kar so rahi hun...
Auto wala:- Bhaiya kahan chhodna hai...
Sia:- Ghar tak...
Vyas:- Nahi bhai tum "all day dining" resturant le lo...
Sia:- Vyas abhi to tum mujh se dur hi raho aur auto wale ko bolo sidha ghar chhode...
Vyas:- Bus 10 minute de do. Sirf utna hi waqt maang raha hun…
Sia iske baad kuch nahi boli, chup-chap Vyas ke sath chal di. Takriban 15 minute baad dono ek resturant ke bahar khade the jiski service subah ke 6.30 baje se shuru ho jati thi… Vyas isharon me chup-chap Sia ko apne sath chalne kaha...
Kuch hi der me dono wahan khade the jahan cctv ki screen lagi hui thi… Vyas, Sia ko screen ke ore ishara karte... "Udhar dekho"…
Sia cctv ke live footage ko dekhti.… "Iss se tumhare paap na dhulenge Shashtri. Isme kuch naya hai, jo main nahi janti"…
Vyas:- Sherlock's ki nani tum sab pahle se janti ho, main ye maanta hun. Main ye bhi maanta hun ki main ek bahut hi ghatiya actor hun, isliye uss raat ke liye maafi maangta hun. Ab dil ko tasalli mil gayi ho to samne dekho...
Sia, Vyas ki baat sun'ne ke baad ander se thoda khush hoti.… "Haan thik hai samajh gayi... Ab jab resturant aa hi gaye hain to hum breakfast sath me lenge. Kuch order kar do"…
Vyas lunch order karne laga aur idhar Sia cctv footage ko dekh rahi thi... "Sahi kaha hai kisi ne ego bahut badi chij hoti hai. Dekh rahe ho Vyas"…
Vyas:- Haan dekh raha hun... Waise mujhe aisa kyun lag raha hai ki in bacchon ke gange ke sath-sath tum wo cabin wale high-class logon ko bhi dekh rahi...
Sia:- Vyas tum bhi udhar najar diye raho… agar mera andaza galat nahi to kuch aise log tumhe jaroor mil jayenge jinhe tum jante hoge...
Vyas:- Khati bhi raho aur screen bhi dekhti raho...
Sia:- Ye itni subah aaloo ke parathe kaun mangwata hai...
Vyas:- Kyun tasty nahi hai kya... O teri ye Noor Mirja, Manohar Lal Joshi aur Amit Upadhyay yahan kya kar rahe?... Aur ye Kirti Nanda wale group me Meera ka bhai kya kar raha hai...
Sia:- Aaram se dekhte jao... Vyas wo.. wo jo paper hai Manohar Lal Joshi ke hath me, kya camera uss par zoom ho sakta hai...
Vyas:- Poochta hun... Shyam (cctv opretor) wo paper par focus kar sakte ho kya?..
Wah cctv opretor paper par jitna zoom ho sakta tha kiya aur sabke screenshot bhi leta chala gaya... Takriban aadhe ghante tak Sia aur Vyas ne wahan chal rahe tamashe ko dekha... Jahan restaurant ke ek cabin me Kirti Nanda aur Sagar Chaturvedi ke sath Riaz, Meera ka bhai Jignesh, Sagar Chaturvedi ki bahan Mala, Ms kar raha Roopak, aur bhi kayi sare log the.
Wahin dusri cabin me Kumar Company ke chairman Jay Kumar ka bahnoi aur Kirti ke pita Amol Nanda tha. Usske sath Kumar Company ke education investment group ka CEO Mukul Mukherjee, sath me UGC ke bada adhikari S.B.Khare the. Jinse milne Vyas ko admission dilane wala wo broker Noor Mirja, uske sath Sia ke university ke mukhya prabandhak Manohar Lal Joshi aur uske sath University chancellor Amit Upadhyay pahuncha tha.
Kirti ke sath baki students ka hona to samjh me aa raha tha. Lekin uske pichhe aane se in logon se bhi mulakat ho jayegi ye to kabhi sapne me na to Sia aur na hi Vyas ne socha tha. Lekin itni high profile meeting ke baad ek bodyguard cctv operator ke pass bhi pahuncha aur wahan ke hard disc se meeting ki sari footage gayab karwa diya. Haan lekin delete hone se pahle hi kayi sare footage Sia aur Vyas pendrive me le chuke the...
Dono wapas laute. Sia aur Vyas dono Sia jahan rahti thi, ussi ke pass wale society ke park me baithe the… Vyas, Sia ka hath thamte.… "Ab galti ho gayi Sia. Mera gala bhi ghont di aur naak bhi tod di ab to please maaf kar do"…
Sia:- Haan haan main to ek waqt par 4 ladke ghumati hun na. Tumhare sath dhoka kar rahi hun..
Vyas:- Haan ye achha hai... Pahle khud hi kaho ki kuchh aisa karna jis'se Riaz ko yakin ho jaye ki wo hum dono ke bich phoot dal chuka hai aur jab main wo karne ki kosis karun to tum mujh par aise atyachar karo…
Sia:- Kamine kahin ke... Main ignore karne kahi thi. Naa ki mere bare me ulta sidha bol'kar yakin dilane... Aur jis waqt tumne apni ghatiya baat boli, wahan to Riaz tha bhi nahi...
Vyas:- Impact baby impact… Main yadi waisa nahi kahta, tab tum itna naturally gusse aur dukh ka expression kahan se de pati…
Sia:- You know Vyas, mujhe to ab bhi yakin nahi ki tumne wahan bus drama kiya tha. Mujhe to lagta hai tum khud me itne insecure feel karte ho ki apni ander ki bhadas nikali hai...
Vyas:- Kyun itni ukhdi ho. Tum 2 raat se nind ki goli le rahi aur main to soya hi nahi... Poori raat tumhe hi msg karte rahta tha...
Sia:- Khoob samajhti hun main... Mujhe miss kar rahe the ya raat bhar uss Huma se chatting…
Vyas:- Had hai !!!! Ab ye Huma kahan se aa gayi...
Sia:- Wahin party se aa gayi. Kamar me hath daal'kar jab uska love parposal accept kar rahe the, wahan se aayi Huma...
Vyas:- Areee had hai... Wo sab drama tha Sia. Chaho to mera phone check kar sakti ho...
Sia:- Mujhe kya pata tumne sare saboot mita diye ho...
Vyas:- Haan mita diye. Ban rahe hain Huam ke sath mere naye sambandh. Bus khush... Matlab kahin kisi jagah presence of mind ki thodi kami kya ho gayi, kuch achha karne ke chakkar me galat ho gayi. Galti ho gayi to maafi bhi to maang raha. Ander se kitna guilt feel ho raha hai... Lekin tum ho ki bus chadhe hi ja rahi... Meri tadap, meri bhavna nahi dikh rahi hai tumhe...
Vyas gusse me apni baat kah'kar wahan se uth gaya. Jaise hi wah ek kadam aage badhaya, Sia uska hath thamti.… "Sorry.."
Vyas:- Chhodo mujhe... Abhi kuch hi der me wapas tum par mata aa jayegi...
Sia:- Sorry Sweeto... Kya kahun main... Har kisi ki baaten bardast ho jati hai... Lekin jinhe chaho unke kahe shabd jyada hi chubh jate hain... Ab gussa chhodo bhi...
Vyas:- Aise kaise gussa shant ho jayega... Pyar 2 logon ke bich hota hai isliye mujhe khud se jyada tumhari feeling ki chinta thi.. lekin..
Sia khadi ho'kar Vyas ke gale lag gayi. Vyas ke bahon me sukoon sa mehsus karne lagi. Vyas ek pal ke liye to apne dono hath khade kiye tha lekin priyasi jab gale lag jaye tab kahan khud ko rok sakte hain.. Pyar to khud-v-khud umar hi aata hai... Vyas, Sia ko apne bahon me bhadte... "Thoda berukhi chalta hai lekin itna jyada berukhi jaan le leti hai Sia"..
Sia:- Sorry Sweeto. Bus kuch pal bahon me kho jane do, fir aaram se maafi maang lungi lekin abhi thoda sukoon le lene do.
Kitni tadape ho jaise dono. Gale lag'kar kahndhe par sir tikana kitna sukoon de raha tha koi inse puchhe... Dono sari baton ko bhul'kar bus ek duje ke gale lage rahe.…
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
o teri yahaya to kaand Pe kand H raheUpdate:-73
Kitni tadape ho jaise dono. Gale lag'kar kahndhe par sir tikana kitna sukoon de raha tha koi inse puchhe... Dono sari baton ko bhul'kar bus ek duje ke gale lage rahe.…
Kuch der tak ek dusre se gale lag'kar khade rahne ke baad dono alag huye aur aa'kar ek bench par baithe. Jaise hi dono sath baithe ek kadada rafta ki jordar awaz gunji... Sia bilkul stabdh (shocked) gaal par hath rakhe tukur-tukur Vyas ko dekh rahi thi.…
Vyas:- Aise kya ghur rahi ho. Itne tamashe jo tumne kiye, uske liye tum ek thappad to deserve jaroor karti ho...
Sia khud ko samany karti... "Achha aur wo kyun bhala"…
Vyas:- Kyunki Sia ander se kitne bhi gusse me kyun na ho, wo kisi bhi public place me anjano ke bich kisi par bhi apne hyper-emotion nahi dikha sakti...
Sia:- You are right sweeto... Waise main kya kah rahi thi aaj college bunk maarte hain... Sirf tum aur main.. Aur poora din pyar karenge..
Vyas, Sia ke chehre par pyar se hath ferte.….. "Wo kya hai na ek to ye amir baap ke bacche (Kirti & group) tumse pata na kis tarah ka badla lene chahte hain. Upar se wo high profile log kya kar rahe the iska bhi pata lagana hai? Aaj college bunk kar'ke pyar karna rahne dete hai.."
Sia, Vyas ke kandhe se lag kar uske gaal par ek ungli ferti... "Sweeto mere khafa rahne ke baad bhi jo tumne Kirti ke pichhe jasoos chhod rakha tha... Iss se pata chalta hai tumhe kitni fikr hai meri. Thoda pyar mujhe bhi jata lene do"…
Vyas dhakka de'kar Sia ko khud se kuchh dur karte.… "Main shayad ek kharab actor hun, lekin tumhari acting disaster hai Sia. Mujhe koi shauk nahi tumhare uss lohe ke patle wire se apne kalai ya paun ke katwane ka. Main chala.…. College me milta hun"…
Sia gusse me chillate.… "Shashtri ke bacche bhad me jao. Aana mere pass fir main batati hun..."
Vyas:- Agle ek mahine tak hath na aaunga...
Sia:- Bhag lo.. Bhag lo Shashtri.. kabhi to hath aaoge...
Vyas:- O khun ki pyasi dayan... Iron tonic kharidne ja raha. Jab blood jyada ho jayega akele me milne aa jaunga...
Vyas apni baat kah'kar wahan se chalta bana. Sia usko jate dekh muskurati hui khud se hi kahi.… "Hayeeee mar jaavan... Mere hero.. I love you"… aur uth'kar sidha apne ghar pahunch gayi...
Ghar par mahol poora shant tha. Som sabke sath baith'kar aaram se nashta kar raha tha. Ghar pahunch'kar jaise hi Sia yah najara dekhi...… "Achha to yahan "Bharat milaap" ho gaya. Aisa kya kah diya jo iske 2 din tak gayab hone par saza na mili"…
Chitra:- Maa ko bata'kar gaya tha..
Sia:- Kya sach me.. lekin 2 raat se to sabse jyada vyakul mas hi thi...
Som:- Maa bahut hi natural acting karti hai...
Chitra:- Thus le chup-chap... Tum maa-bete ke bich me jo khichdi pak rahi hai, uska to main pata laga'kar hi rahungi..
Som khate-khate khansne laga.... Chitra uska pith thokti... "Abhi to meri baat hi anpach hui hai… Jab sach bahar aayega to kahin loose motion na ho jaye"..
Som plate me rakhi apne bhigoye chane aur jo bhi bhigoye anaj the sabko sameta, aur wahan se chalte bana. Idhar Som ke uth'te hi pichhe se Lata Mishra bhi uthi aur Som ke sath kadam milati.… "Tu ye mat samjhna ki Chitra tujh'par najar rakhegi to aaj sham main Meera se milne ka irada chhod dungi. Ek baat yaad rakhna, yadi aaj tu mujhe Meera se na milwaya tab main tujhe dobara kabhi nahi dikhungi... Teri shadi tu kaise secret rakhega wo tu jaan, mujhe aaj Meera se milna hai"…
Lata Mishra cottage ke bahar kuch dur tak Som ke sath chalti hui apni baat kahi aur wapas laut gayi... Idhar Lata Mishra aur Som ki aise khusur-fusur vartalaap dekh'kar Sia.… "Chitra dal me jaroor kuch kaala hai"..
Chitra:- Sia pata to main ab lagake rahungi ki iss maa-bete ke bich kya khichdi pak rahi... Ab to Som geet bhi gun'gunane laga hai...
Sia:- Haayynnn !! Geet gungunane laga hai !!! Kaun sa geet gungunana raha tha waise...
Chitra:- Zara-Zara mahakta hai, bakhakta hai...
Sia:- Kya sach mein...
Chitra:- Haan Bilkul Sia… Kuch to raaj chhipaye ja rahe hain...
Sia:- Koi na iss raaj se jald hi parda uth jayega...
Ye to thi Som aur Sia ke sath chal rahi ghatnayen. Wahin Meera bhi do dino se gayab thi aur restaurant se laut'kar aane ke baad Meera ka bhai Jignesh bilkul kadak awaj me Meera se 2 din tak gayab hone ka hisab-kitab lene laga...
Meera, bhi bilkul natkiya andaz me kahne lagi.…. "Mere Shyam ji mujhe bula rahe the isliye main unse milne gayi thi. Main bhakti me thi"…
Jignesh:- Aisi kaun si bhakti thi jo ghar ke logon ko ek call na kar saki... ulta apna phone off kar liya...
Meera, naya phone dikhati... "Bus stand mein mera phone chori ho gaya tha"..
Jignesh:- Kya sach mein?... Fir ye kya hai?...
2 din pahle Meera jab college se ek fake boyfriend ke sath nikli thi, un tasviron ko Jignesh dikhate huye puchhne laga...
Meera uss tasveer ko ghur'kar dekhti... "Iss tasveer ko dikha'kar tum kya puchhna chahte ho Nikku (Jignesh ka Nick name)
Jignesh:- Main kya puchhna chah raha hun… mota bhai, bhaiya ye sab bhul gayi..
Meera:- Oh Sorry Mr Jignesh... Mujhe proper naam lena chahiye tha, kyonki ek bhai itne gande tone me apni bahan se aise na puchh sakta.. So Mr Jignesh iss tasveer ke jariye kya puchhne ki kosis kar rahe ab khul'kar hi baat ho jaye....
Jignesh gusse me Meera ko 1 thappad marte.… "2 din se boyfriend ke sath ghum rahi thi aur mujhse aisi baat kar rahi"..
Meera apne gaal par hath rakhe, berukhi se Jignesh ko dekhti... "Iska naam Captain Gautam Kumar hai... Ek minute jarra ruko"….
Meera itna bol'kar sidha Captain Gautam Kumar ko call laga di... Udhar se jaise hi "hello" ki awaz aayi...
Meera:- Gautam mera bhai ye jaan'ne ki kosis kar rahe hain ki tum uss din jo college aaye the, uske baad se aaj subah tak kya main tumhare sath thi?
Meera ka bewak sawal sun'kar Jignesh aur gusse me aa gaya... Meera jab Gautam se baat kar rahi thi, tab bich me Jignesh ki awaz to aayi lekin Meera gusse se bhadi apni badi-badi aankhen dikhati usse shant rahne ka sanket de di...
Udhar se Captain Gautam Kumar ne bhi phone speaker par dalne kah diya. Ab jo aadmi 2 din se Meera ke sath tha hi nahi bhala usse proof karne me kitna samay lagta hai. Ek baar jab Gautam Kumar ne sabit kar diya ki wo 2 din se Meera ke sath nahi tha uske baad to Meera jo hi apne bhai ko sunai.…
"Kisi ladke ke sath mera naam jod'kar kaise-kaise khyalat paal rakhe apne bahan ke liye... Sakki bhai... Blahhh.. blahhh.. balahhh...'
"Bechare Jignesh ki aisi class li, ki usse to Meera ka khauff ho gaya... Meera shuru se khaufnak manjar dikha hi rahi thi, aur issi bich Vyas bhi wahan pahunch gaya tha... Haan lekin wo shant ho'kar chal rahe tamashe ko enjoy kar raha tha… Meera lamba-chauda apna mello drama kar'ke jab shant hui, Jignesh sharmindgi se apna sir jhukaye maafi maangte huye kahne laga.…
"Meri mulakat Kirti se hui thi. Darasal kal sham wo bazar me mili thi aur aaj subah mujhe breakfast ke liye restaurant bulayi... Unhe nahi pata tha ki tum (Meera) meri bahan ho. Aapas me hi Kirti aur uske kuch friends charcha kar rahe the ki kya stylish boyfriend tha Meera ka. Wahin ye tasveer bhi dekha tha. Boyfriend ke sath bina bataye 2 din se gayab thi, ye soch'kar ek bhai ka kya haal hoga..."
Jignesh bhavnatmak baaten karne ke baad hasrat bhadi najron se Meera ko dekhne laga. Iss se pahle ki Meera kuch kahti Vyas bol pada.… "Jignesh tum apni jagah sahi ho.. galti Meera ki bhi hai jo bina bataye gayi… fir chahe karan jo bhi raha ho... Meera apni bhi galti accept karo.."
Meera, Jignesh ke gaal khinchti.... "Sorry mota bhai... Aapke muh se aisi baat sun'kar main bhi jarra hyper ho gayi thi.. main ab jaun college..."
Jignesh:- Haan thik hai tum jao....
Meera, Vyas ke sath car me hi nikli. Raste se usne Asif ko bhi bithaya.… Meera drive karti.… "Vyas sir, mujhe aisa kyun lag raha hai ki ye kamini Kirti mere personal life me kuch jyada intrest le rahi"..
Vyas:- Kaise.. jarra samjhaogi.... Aise kaun se link se wo tumhare bhai ko janti.. Kyonki Jignesh ki baton se to lag raha tha purani pehchan hai... Aur yadi dono dost huye aur wo tumhe pahle se janti hai to tum bhi usse pahle se janti hogi.. Lekin college me kabhi bhi tumhare haav-bhav se laga nahi...
Meera thodi chidhti hui.… "Maa ki lori Kirti kaise mere bhai ko janti hai ye mujhe nahi pata... Main bus itna janti hun ki Sia didi ne usse thappad maara tha. Sia didi ke sath milkar maine usse chidhaya aur uske refrence se hi mere bhai ko yah pata chala ki main college bunk kar'ke kiske sath nikli thi… So main to yahi maan'kar chalungi ki Kirti mujhse badla lene ke liye ye poora plan ki thi. Ek bhai ke weak emotions se khela hai usne... Kya wo kamini nahi janti ki bhaiyon ko aisi baat paata chalti hai to unke dil par kya bit'ti hai.… Usne mere parivar ko pareshan kiya, ab to uss haramjadi ko main khoon ke aanshu rulaungi..."
Ek lay me bina rooke Meera apni bhadas nikaal rahi thi... Tabhi bagal ki seat par baithe Vyas ne chutki le lee... "Tab sharm nahi aayi thi jab pyar kisi aur se... Aur college bunk kar'ke gayi kisi aur ke sath"…
Vyas ki baat Sun'kar Meera achanak se break lagati... "Dekho mera para pahle se chadha hua hai... Dimag uss kutiya Kirti par bhannaya hai... Vyas sir kuch aisa na kaho ki kisi ka gussa main kisi par utar dun..."
Asif, khi-khi kar'ke hanste huye... "Shastri bus kar re baba... Abhi apni study ki mentor sach me pareshan hai... Yadi Meera ka aaklan sahi hua to ye soch ki uss Sagar ki GF Kirti ka kya karna hai"…
Meera:- Karna kya hai, itna kaun sochta hai... Bus ek baar samne dikh jaye..
Vyas:- Hello miss mello drama queen... Kuch karne se pahle pata to karo ki Kirti ne jaan bujh kar sab plan kiya tha, ya matr sanyog me hua tha...
Meera:- Itne sanyog kewal film me hote hain... Lucknow jaise sahar me ek hi baazar me mil jana... aur milne ke agli subah breakfast par sab doston ke sath bula lena. Sala subah breakfast par kaun bulata hai...
Asif:- Ab hai to tumhara bhai bhi ek ladka hi... Kisi hot ladki ke bulane par kya wo waqt dekhega...
Meera:- "Sala subah ke breakfast par restaurant me kaun bulata hai aur aisa kya approch laga'kar boli ki mera bhai subah jane ko taiyar ho gaya... Akela ladka bulati tab to samjh me aata lekin wo to poora group ko bulayi hui thi... Aur unka group bhi subah pahuncha tha... Ab kya wo group sex porn shoot karti jo sab subah-subah pahunch gaye..."
"Aap isse sanyog maan sakte ho Vyas sir... Mere liye to kahin se bhi ye sanyog na lag raha…. Ghatiya harkat thi jo usne mere bhai ke kaan itne gande tarike se bhade the ki mera bhai gusse me aapa kho'kar mujhe thappad maar diya..."
Vyas:- Tumhare kahne ka matlab hai ki Kirti, Jignesh ko shayad pahle se janti thi...
Meera:- Yahi to puzzle hai na... Kya wo mere bhai ko pahle se janti thi, ya mere bhai ka pata laga'kar, Kirti kal jaan-bujh'kar mere bhai se bazar me takarai...
Vyas:- Chalo tumhare bhai ko kaise janti hai wo chhodte hain… Tumare kahne ka matlab hai ki kal jab Kirti tumhare bhai se baazar me takrai, tab usne tumhare bare me hint kiya.… Jis vajah se Jignesh subah Kirti se milne gaya... Wahin Kirti ne kuch logon ka set-up bitha rakha tha, jo jaan bujh'kar tumhari tasveer, Jignesh ko dikhaya aur bhadde-bhadde comments kiye honge..
Meera:- Exactly yahi hua hi hai... Warna main kahun ki Nirali ya Jannat ko kisi stylish ladke ke sath dekhi thi wo bhi kahne ka andaz positively… to tum kitna react karoge...
Asif:- React kitna bhi karun lekin itni baat ke liye thappad marne jitna to reaction kabhi nahi aa sakta...
Vyas:- Mera bhi same answer
Meera:- Ab bhi dono me se kisi ko lag raha hoga ki ye sanyog hai...
Dono ek sath... "Kisi bhi angel se ye sanyog nahi dikh raha…"..
Vyas:- Haan lekin tum abhi shant raho....
Iss line ke khatm hone tak Car parking me lag chuki thi aur teeno paidal class ke ore badh rahe the...
Meera:- Haan samjh gayi.. Ab kahne lagoge... Waqt aane par hum dikhayenge... Ye kar denge wo kar denge .... Falana karenge… Samajh gayi...
Vyas:- O drama queen to kya karogi...
Meera:- Fuck off... Sudhu bhasha me bolun to maa chudaye planning... Ye dekho...
Meera "Dekho" bol'kar aisa kuch kar gayi ki sabhi bhauchakke rah gaye... Darasal class jane ke raste me padta tha canteen aur canteen me dikh gayi Kirti... Jab tak Vyas aur Asif ko kuch samjh me aata... Jab tak un dono ki najar Kirti ko dekhti... Meera, Kirti ke pass pahunch chuki thi.... Aur jab tak Vyas aur Asif Meera ko rokne pahunchte, tab-tak Meera kaand kar chuki thi…
Meera teji se Kirti ke pass Pahunchi.. aur pass rakha coffee ka mug Kirti ke sir par urrel di... Cup ka garam coffee achanak se sir par... Uss table par baithe jitne bhi log the, wo khade ho'kar chehre ka shock reaction diye hi the… Abhi muh se koi shabd nikalne hi wala tha.…. lekin uss se pahle hi Meera, Kirti ko 2 jordar rafta, back to back dono gal par bina koi der kiye chipka chuki thi...
Thappad padte hi fir se sabhi shocked. Iss se pahle ki koi kuch bolta Meera hi chillakar kahne lagi.… "Fuck off bitch... Jo ukhadna hai ukhad lena... Jis baap ko complaint karna hai kar lena... Chaho to roti hui principal se complaint kar lena… Haramjadi farfarati rah jitna farfarana hai.…"
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Abhi to billi ki ladai shuru ho rahi hai aage dekhiye kaun-kaun apni dum bacha'kar kinare hota hai.... Thankoo sooo much for your commentमैं सोम चरित्र को बहुत ही गंभीर स्वभाव का समझ रहा था पर प्यार में क्या से क्या हो गया... हा हा हा हा
व्यास और सिया के बीच की छेड़ खानी बहुत बढ़िया रही
हाँ व्यास के मन मीरा को लेकर पूरा आस्वस्त नहीं है
अब सवाल है कीर्ति क्या करेगी इतिहास गवाह है बिल्लियों की लड़ाई में शेर भी अपना पूछ बचाने के लिए खुद को किनारा कर लेते हैं
Ye pyar aisi balaa hai ki achhe achhon ka taar hila diye... Waise nafrat bhi waisi hi balaa hai aur yahan kahani me to dono hi ek sath chal raha hai... Dekhiye kitno ke dimagi santulan jaate hainnice update ..sia ko shak hai kirti par aur meera vyas ki baato se kuch kuch pata chal gaya ki kyu kirti target kar rahi hai sia aur meera ko .
sia ne thappad mara tha kirti ko aur meera ne bhi chidhaya tha jiska badla lena chahti hai kirti .
meera ne sab satik anuman lagaya ki kaise kirti ne uske bhai ko bataya hoga .vyas samajhate reh gaya aur meera ne apna kaand kar hi diya . kirti ko dobara jaleel karke .
lata mishra meera se milna chahti hai kisi bhi keemat par ,,ab som kaise sabki najaro se bachke milata hai ye wahi jaane .
par chitra ko in dono maa bete ke bich jo khichadi pak rahi hau uska pata lagana hai ,dekhte hai uske saamne bhi shadi ki baat khul jaati hai ya nahi .
sia ka computer dimag ye nahi soch paya ki som romantic gana kyu gaa raha tha .