• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,002
173
Update:-77



Syappe... Syappe... Aur syappe... Aaj ka sajna-swarna to jaise har couple ke liye shrap sa ho gaya tha. Unke roop ko dekh'kar tarif to hoti lekin poora rayta aise failte ja raha tha mano aaj to rayta-barish me sabke hot aur dashing look ka koi mol hi nahi. Mehfil badi si thi jisme dher sare log, aur kiski kitni band bajegi kaun jane...


Kisi ko kya pata andar se kahan-kahan aur kaise-kaise pench uljhe hai. Jisko jo apne hisab se dikh raha tha wo ussi hisab se react kar raha tha, jaise ki Shashtri nagar wale... Jis prakar Asif ki shadi me Shashtri nagar wale Asif ke rishte ki baat karne gaye the, thik ussi prakar aaj sabhi Som ko dekhne aaye the...


Som ka ghar kaisa hai, iski detail to contractor Nurul Hassan ke pass thi. Jisne bataya ki ghar banwane me kul kharcha 8 se 10 carore ka aaya hoga... Ladka carorepati... Ab ladka kaam kya karta hai iska namuna to Vyas aur Asif ke part time job se ho gaya. Iske alawa Mishra ji ne apni samappti, bole to factory aur karobar ke details bata diye the jo aage ja'kar Som ka hi hona tha… Ladka bhi dekhne me gabdu 6 fit wala ekdum fit & fine banda... Ab bhala aise rishte se kisi ko kya samasya ho... Haan bus ek baat thi ki Nirali ko unofficially tarike se mila'kar puchha jana tha... "Beta ladka pasand aaya"… Jaise hi wo haan kahti baat aage badh jati... Kyunki Mishra ji to dhindhora pit aaye the, "mera beta meri baat nahi katega"..


Ab jab buddhe gange itni hasrat se nikle ho. 2 peg laga'kar ladka pasand karne jaye, ussi bich ladki bhai, Vyas kisi ladki ke sath hath pakde, uss se chipka dikh gaya... Ohhh waise Vyas koi Sia ki party me nahi aaya tha, balki Kirti gange aur Sia gange ek dusre ke aamne samne ho, iss irade se Sagar Chaturvedi ka mind aisa divert kiya gaya tha, ki wo apni cricket team ke sath party manane chala aaya... Ab party hogi aur sath padhne wali ladkiyan na invite ho, aisa ho sakta hai kya???


To bus Sia ka yah plan tha ki wah apni team ke sath aayegi aur Vyas vipakshi team ko layega. Aur party ke bahane aaram se unki niti samjhenge aur ho sake to apne-apne target ko todenge… Sia aur Vyas to dono team le aaye, magar inhe bhi kahan pata tha ki khelne cricket aaye hain aur khelna padega Olympic… Kyonki 3 sitara iss hotel me, Meera ki meharbani se kayi tarah ke game shuru ho chuke the...


Baharhaal, Sia aur Diksha to Mishra aur Mishrayan ke sath Som ko bhi party hall me le ja chuke the... Unke sath ander kya ho raha hai wo jarra ander chal'kar janege.. Haan lekin jate-jate Mishra ji, Shashtri ji ko kahte gaye ki aap log bhi jaldi se ander aa jaeye...


Wahin bahar ka mahol... Shashtri nagar ke Shashtri ji Vyas ko bus ghure hi ja rahe the. Kyunki Vyas kisi ladki ke hath me hath dal'kar chal raha tha aur uss se hans-hans kar baaten bhi kar raha tha... Wahin mujib Khan ki bhi bhrikuti tan gayi thi. Kyunki uske hone wala damad yani ki Asif bhi Vyas ki tarah hi kisi ladki ke sath chal raha tha... Bacha Riaz, to wo to Mahira ki cousin Nazma, jo Patna me rahti hai uske sath phone par laga hua tha...


Ye log itne mashgul the ki kisi ki bhi najar Shashtri nagar ke bujurgon par nahi gayi, jo bhrikuti taane un sabko ghur rahe the... "Kyon re tum teeno ab itne nalayak ho gaye ki hum par najar tak nahi gayi"… Shashtri nagar mohalle se Mashroof ne kaha..


Uski awaz sunte hi Asif aur Vyas ne hadbada'kar ladkiyon ka hath chhoda aur jab najar awaz ke ore gayi fir to sitti pitti gum...


Wahan Pandit ji ko upasthit dekh, Vyas, Asif ko aage dhakelta to Asif ek kadam pichhe ho'kar Vyas ko aage dhakelta... "Teeno abhi yahan aao"…


Pandit Ram Swaroop Shashtri ji kadak awaz aur trimurti ka ek bander jo phone par laga tha, headphone ki wire waigrah khinchte bhagata hua sidha pandit ji ke pass… "Ji master sahab"..


Pandit ji:- Kyun re in dono ki tarah tumhe koi ladki nahi mili...


Riaz:- Apna to nikaah hi hoga master sahab. Apne nasib me ye pyar aur bagawat jaisi koi baat nahi...


Pandit ji:- Aur in dono ka kya… kya chal raha hai in dono ka...


Riaz:- Main kaise bata sakta hun..


Pandit ji:- Haan to tujhse puchh kaun raha hai... Tum donooo, abhi to kitna hans-hans kar baaten kar rahe the ab kya shanp sungh gaya hai...


Mujib Khan (Asqa ke pita):- Aisa nalayak damad mujhe nahi chahiye... Achha hua iski harkaten aankhon se dikh gayi...


Idhar Vyas aur Asif kisi putle ki tarah khade the... Asif lalaat utha'kar aankhon ki bhasha se puchhne laga… "Ab kya karenge... Ab kya kahenge... Tera baap humari chaddi utar lega"..


Vyas bhi najron ke bhash se hi... "Abe mujhe kya pata tha Yamraj yahin baitha hoga apne intzar me"…


Asif roni soorat banate... "Sale meri shadi tooti to dekh lena main atmhatya kar lunga"…


Vyas:- Abe ruk ja bawre kuch sochne to de...


Asif:- Tera dimag kaam kar raha hai kya? Mere dimag me to drum baj rahe hain..


Vyas:- Abe mera bhi yahi haal hai... Sala wo chaturvedi khisak gaay na...


Asif:- Abe Chaturvedi ko chhod aur ye soch ki kahin kapde utarwa'kar tera baap yahin na takhti ke sath khada kar de...


Dono ke najron ki bhasha lagaatar jari thi jise Pandit ji ke kadade thappad ne viram diya. Ek-ek tappad dono ko pade aur dono ki najar samne Shashtri nagar washiyon par…


Vyas, apni najren niche karte... "Baba wo humare dost hain"


Asif:- Haan aabu wo humare sath college me padhte hain...


Mujib Khan:- College me padhte hain to kya hath me hath daal'kar aise chipak kar chaloge...


Shashtri nagar ka niwasi Nurul... "Yadi inhe na tokte to kahin kamar me hath dale na najar aate"..


Shashtri nagar ka niwasi Mashroof... "Kamar kya, 2 peg jane ke baad na jane kya sab dekhne ko milta... Inki party me to ladkiyan bhi1 piti hain" ..


Vyas:- Aap dono ki biwi galat nahi dono ko roj jute maarti hai..


Pandit ji:- Tujhe yahan main chappal se maarun kya? Tu kar kya raha hai yahan...


Asif:- Wo hume Som boss ne yahan bulaya tha...


Pandit ji:- Achha kahan hai tera boss..


Vyas:- Abhi aa rahe hain pichhe se ruko call laga'kar puchhta hun kahan hai...


Vyas ne jaise hi call lagaya, udhar se Som ne call cut kar diya... Vyas, Pandit ji ke ore dar se dekhete... "Baba shayad drive kar rahe hain, isliye call pick up nahi kiye"..


Tabhi Som hall ke bahar aate... "Call kar rahe the Vyas"…


Jaise hi Som ko samne dikha, Asif fir se apne najron ke samvad shuru karta… "Lore lag gaye sale... Ye to iss party hall se bahar nikal rahe"..


Vyas, najron ke ishare se hi... "Kuch der shant ho ja inhe hi bolne de"..


Pandit ji dono ko ghurte... "Lo aa gaya tera boss"…


"Areee kyun aap log in bacchon ki class le rahe ho... Aa jao abhi party karte hain... Fir ghar bhi to jaana hai"… Pichhe se Mishra ji aate huye kahne lage..


Pandit ji:- Tum teeno abhi niklo yahan se. Main ghar par aaram se baat karta hun..


Mishra ji:- Areee kyun jaye yahan se... Inke class friends sab yahin hai... Grih prawes ki party chal rahi hai... Aa jao tum teeno bhi..."..


Jaise Mishra ji ne ek baar kaha, teeno hi jhat se hall ke ander ghus gaye aur Mishra ji ko dil se dhanywad karne lage...


Ye to party hall ke bahar ka rayta tha jo trimurti aur Shashtri nagar washiyon ke bich faila tha. Rayta sameta to nahi gaya lekin filhaal failne se rok liya gaya.. Yani ki inki sabha ko Mishra ji ne bhang kar diya.


Haan lekin bahar ka rayta jab failna shuru hua, yani ki Shashtri nagar washi aur trimurti ke bich jab bahas shuru hone wali thi, thik ussi waqt Diksha aur Sia sabko ander le'kar pahunchi... Jaise hi Som dobara ander gaya, ek pal ke liye Meera aur Som ki najren ulajh gayi...


Bus ek pal ki najren uljhi thi aur ussi ek pal me na jane pyar ke kitne tarane dil me angdai lene lage ho... Som ka roop dekh'kar jahan Meera, Som se najren nahi hata pa rahi thi, wahin Som to Meera ko apni baahon me bharne ke liye vyakul ho gaya... Bus ek pal ki najren uljhi thi aur bhavnao ke sagar anth'hin ho gaye..


Haan lekin uss ek pal ko toda bhi to kisne, Lata Mishra ne, jo apne bete ko thuski maar'kar yaad dilayi ki wo kahan hai aur kiske sath khada hai… aur Som ki najren jab Sia aur Diksha se uljhi tab unme kaal najar aane laga… Som idhar ek shadi se itna behal tha, wahin Mishra ji bhi apni yojna arthat Som aur Nirali ki shadi ko le'kar itne sapne saja chuke the ki wo Lata Mishra ko apne sath hall ke ekant me le gaye...


Ab ander fail rahe rayte me bhi 2 tarah ke rayte fail rahe the... Ek ore Diksha aur Sia ka Som aur Meera se to wahin dusri ore Lata Mishra aur Kapendra Mishra ke bich. Pahle aate hain Som par.


Sia aur Diksha usse lagatar aise ghure ja rahi thi jaise kaccha chaba jayegi... Bechare se kuch puchhne ki himmat nahi ho rahi thi lekin fir bhi kisi tarah himmat juta'kar Som ne puchh hi liya… "Aisa kya hua jo tum dono naraj ho"..


Diksha aur Sia ek sath... "Hum chale party enjoy karne.. ja'kar apni biwi se puchho.. ab hum to gair hai ji..." Itna kah'kar Sia aur Diksha nikal gaye hooting karte party manane... Wahin Som muh latkaye pahuncha Meera ke pass.


Waise Meera, jab se Som ko dekhi thi, wo alag hi masti me jhum rahi thi. Som, Meera ko ishare se bulaya. Meera chahakti hui Som ke pass pahunchi… Som charo ore ke mahol ka jayja lete aur aas pass ke logon ko ek najar dekhte bade hi dhime se puchha... "Meera ji kya aapne Sia aur Diksha ko humari shadi ke bare me bataya"..


Meera, Som ke iss sawal par kya muskurai... Aisa laga jaise khushiyon ke pankh failaye wo hawa me urr rahi.… "Haan patidev, Lekin maine Sia aur Neerav ko bataya tha."..


Som:- Din me to tumne kaha tha ki kewal shadi ke bare me batayi, pati kaun hai wo nahi batayi.. Lekin yahan to..


Meera:- Wo tab ki baat sahi thi. Lekin sham me maine un logon ko naam bhi bata diya…


Som, apne matha pit'te.… "Ek baar puchh to leti kam se kam. Ya iss shadi ko raaj hi nahi rakhna tha, fir chhup'kar shadi kyun ki..."


Meera:- Haan shadi raaj hi rakhna hai patidev. Lekin har baat par aap mujhe ye kyun feel karwate ho ki mujhe har kaam aapse puchh'kar karni hai... Aapne apna ek raajdar banaya aur maine 2. Isme itna hyper hone wali kaun si baat hai...


Som:- Meeraaaa..


Meera, Som ke pass se hat'ti... "Khud karo to sab plan, main karun to satyanash. Ja rahi hun main party enjoy karne, ab jo hoga dekha jayega"…


Meera apni baat kah'kar wahan se nikal gayi aur Som matha pit'te rah gaya. Khair yahan ka matter to aur complicated ho gaya tha. Sulajhane ka to dur-dur tak kahin koi naam nahi tha... Som apne khyalon me tab'tak gum raha jabtak ki bahar se Vyas ka call nahi aa gaya....


Wahin teesri party yani ki Mishra dampatti ek kinare ja'kar apni khichdi pakane lage. Sorry, khichdi to kewal Mishra ji paka rahe the, Lata Mishra to bus uss khichdi ki khushboo le rahi thi...


Kapendra Mishra:- Tumne humari hone wali bahu ki tasveer dekhi hai?


Lata Mishra, Kapendra Mishra ko ghurti... "Aur Som ne jo Meera ki maa Sugandha se wada kiya tha"..


Kapendra Mishra:- Kaisa wada, kaun sa wada... Uss wade me ye tha ki yadi Som kunwara raha aur usse koi ladki pasand nahi aayi to... Tum dekho na kitni pyari aur sanskari ladki hai... Main aaj jab Nirali se mila, dekhte hi final kar liya ki yahi meri bahu banegi...


"Ye Mishra ji to bacche ki tarah armaan sajaye baithe hain"… Lata Mishra apne mann me khyal laati gahri shwans li aur Mishra ji ke armaan par ander se afsos karti hui kahne lagi... "Mishra ji abhi wo log ghar aa rahe hain na, ye baat wahin karenge... Jyada sapne na sazao abhi"..


Mishra ji khushi se apne muchhon par tau dete.… "Som kisi ladki ko pasand nahi karta aur yadi Nirali ne Som ko pasand kar liya, fir to main janta hun ki apne bete ko kaise taiyar karna hai. Ruk main apne hone wale samdhi ko bulata hun. Hum thodi der party karte hain, fir ghar chalenge..."


Mishra ji itna kah'kar bahar nikal gaye aur Lata Mishra, apne pati ke armaan ko sun'kar nirash ho gayi. Uski himmat hi nahi hui yah batane ki, ki Som shadi kar chuka hai.. Ab to sab uparwale par hi chhod di...


Baharhaal, Mishra ji aur Som dono bahar the. Bahar se jab wo dono ander aaye tab kuch aur guest sath me le'kar aaye... Jinme Vyas bhi ek tha... Vyas jaise hi ander aaya uss ki najar ghayal karne wali jadugarni par thehar gayi... Kale libas me Sia ka hussan katilana tha...


Kuch pal tak wo kho'kar Sia ko dekhta raha. Issi bich Sia ki najar bhi Vyas ki najron se mili. Usse apne ore aise dekhte Sia sharma'kar apni najren churane lagi. Chehre par pyar ki najakat saaf najar aa rahi thi aur Vyas se akele milne ke liye dil vyakul hua ja raha tha...


Pichhe phaile rayte to simte nahi the aur dono najron ke ishare se hi akele me milne ki yojna bana chuke the. Sabki najaron se chhup'kar pahle Sia nikli aur uske pichhe-pichhe Vyas... Dono ussi kamre ke ore chal diye jo kamra inhone book kiya tha... Lekin unhe kya pata kamre me kis se mulakat ho jayegi... Dono ke dil vyakul the aur pyar ka nasha sir chadha...


Ji ab itni bhid me jahan kaand hi kaand ho rahe, wahan kaun bacha... Vyas aur Sia... Aur unka book kiya hua kamra number 211….





<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Jannathedaar update bhai
Golmaal hai bhai sab golmaal hai
Seedhe raste pe ye tedhi chaal hai
Golmaal hai bhai sab golmaal hai

Ab kamra no. Taiyar hai ek aur rahshyodghatan ke liye Jahan chal pade dono premi kachche gadhe per baidhkar ish raiyte rupy darya ko paar karne per unhe kya pata ye Prem agan unhe beech raah me hi dubo degi aur sarober ho jaayenge bharpur raiyto se aur dah jaayenge Panditji aur Mishraji ke sapne.
 

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
awsome update once again sir
aapne to lagta hai bechare asif ki shadi tudwani hi hai par lagta hai filhal ke liye wo nhi ho rha
pr ye pakka hai ki vyas aur asif ki thukai achi wali hogi shastri ji ke hathon
.
wahi dusri aur bechare mishra ji ka lagta hai dil tutne wala hai pr mera personally aisa manna hai ki lata mishra ko unhe som aur meera ke bare me bta dena chahiye tha. khair aap behtar jante hai aur lagta hai aapne iske liye bhi kuch acha hi socha hoga.
.
ab lagta hai sia aur vyas ke bhi phasne ke samay aane wala hai par fir aisa to mujhe pichle update me bhi laga tha pr iss update me to na ho paya
iss update ke baad me thodi disappointed bhi hu kyoki ye update mujhe aapke aur updates se thoda chota laga
me samjhti hu ki roj roj itna bda update likh pana bhi aasan nhi hai but sir you can take your time. waise bhi jo maja intzaar me hai kisi aur me kha
.
in the end ek aur baar aapka update padh kr acha laga aasha hai ki agla update aur bhi dhamakedar hoga

Ji bilkul Lata Mishra ko bata dena chahiye lekin kabhi kabhi apni ki khushi dekh'kar hum poora hichak jate hain... Baki aapne mujh'par vishwas rakha hai to wo vishwas tootne nahi denge...

Hahaha... Nitya ji mere update ka size 1800 se 2000 words hain... Lekin aaj kal itne me adjust nahi ho pa raha update ka ideal end isliye abhi 2400 se lekar 3300 tak word type karne padte hain... Update ke size par na jaye... 1800 words ke baad mujhe jahan bhi ek achhi end dikhti hai rok deta hun... Baki Sia aur Vyas ke bare me abhi kuch nahi... Wo jab aap abhi chhapne wala update ko padh lengi tab baat karte hain..
 

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
चक्रव्यूह तो समझ में आता है
यह तो चक्कर बहुत लग रहा है
सोम का चरित्र कहानी में गम्भीर लग रहा था
मीरा ने उसे फ़िलहाल जोकर बना दिया
मिश्रा जी ने मूँछों पर ताव तो दे दी है
पर जब निराली को बहु बनाने का सपना टूटेगा तब क्या होगा
और बचे व्यास और सिया
रूम नंबर 211 के लिए पार्टी से नौ दो ग्यारह हो गए
पर लगता है राइटर साहब ने उनके लिए कोई सरप्राइज रखा है
भाई कुछ भी हो मीरा को सौ नमस्कार
Pyar hume kis mod par le aaya ye gaana sune hai na... Som par bilkul sahi baith raha... Filhaal inke chakkaron ka main kuch nahi kar sakta... Wo update me hi jankri milegi... Baki kamra number 9-211 ka raaj abhi khul jayega uss par kya charcha karna
 

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
Bhai rayta kuch zyada hi khatta ho gaya hai, thodi si to chini daliye. Jo bhi ho bhai aapki story ho or chehre par hasi na aaye esa ho hi nahi sakta. Tension bhare mahol me bhi kaha se fun laya jaye ye koi aap se jane :D :thumbup:
Ji rayta part 3 me shayad meetha rayta ho... Baki aap dekh lijiyega ... Baki kosis hamesa rahti hai kahani pathkon ko dhimi muskaan aur thahakon ke bauchhar ke sath aage badhe
 
Top