• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
Waise ye Sara rayata batorane ka ek upay hai ... nishchal ki entry ho aur uske sath ho uska wo beraham khanjar jisme ab wo nayab diamond laga hua hai...aur khun ki pyasi uski aankhe ho...aur wo apne pure tej gati se aaye aur song ka ek line beat pura hone se pahale sia, vyas , som shastri, Asif, riyaj , diksha, jiggu, Mishra Meera sabko aise Kat Dale jaise usne hella ke harek cell Tak ko kat dala tha...phir ye sare shyape khatm..ham bhi khush writer bhi khush...sale faltu ka dimag ka Dahi Kar rhe hai...
Ati uttam vichar hai.... Main Nischal ka shedual jarra check kar lun... Kahin Glaxy ki shair karne to nahi nikal gaya... The Glaxian ke sath 😂😂😂😂
 
10,094
42,382
258
रियाज अब्दुल्लाह खान और संजय वाघेला ( संजू ) दोनों का ड्रग्स कारोबारियों से सम्बन्ध अचरज में डाल गया हमें । और सिर्फ यही नहीं बल्कि उन्होंने दो लोगों को मौत के घाट भी उतार दिया ।
इससे भी ज्यादा हमारे होश तब उड़े जब सोम ने उनकी पैरवी की और कहा कि दोनों उसके अंडर काम करते हैं ।

संजू तो खैर उसका मातहत था ही पर रियाज कब और कैसे उसका कर्मचारी बन गया ?
कुछ देर पहले तक तो उसने रियाज के पीछे अपने आदमी लगा रखा था ताकि उसके बारे में पुरी जानकारी मिल सके ।

दिल्ली के ड्रग्स पैडलर की हत्या किसी और ने की थी और फंस गए ये दोनों । लेकिन जिसने भी यह षड्यंत्र रचा था उसका मकसद इन दोनों के लिए नहीं बल्कि किसी और के लिए था । शायद सिया हो सकती है ।


खैर , बाद के अपडेट्स में खुलासा हो ही जायेगा ।


पार्टी में जो आंख मिचौली और कशमकश का खेल हुआ वह हमारी चुलबुल पांडे की लेडी अवतार मीरा की वजह से ही हुआ । सिर्फ तीन लोगों की पर्सनल पार्टी सामुहिक पार्टी बन कर खड़ी हो गई । फेमिली तो फेमिली वाले , सारा शास्त्री नगर उठकर चला आया । और जो थोड़ी बहुत कमी थी वो उनके कालेज के दोस्तों के आने से पुरी हो गई ।

यह पुरा प्रकरण इतना बेहतरीन तरीके से सजाया गया था कि क्या ही कहूं और क्या ही लिखूं !
द्रूतगति से घटनाएं एक किरदार से दूसरे किरदार पर फोकस हो रही थी । एक भंवर सा लग रहा था । निशब्द कर दिया उस पुरे इवेंट ने ।

कभी मिश्रा जी , कभी शास्त्री जी , कभी व्यास , कभी आसिफ अली , कभी सिया और व्यास की जुगलबंदी ..... एवरी थिंग वाज आउटस्टैंडिंग ।

ब्रिलियंट अपडेट नैन भाई ।
फिर से जगमग जगमग ।
 
Last edited:

Tiger 786

Well-Known Member
6,204
22,511
173
Update:-3




Sograppam aur uske sathi kuchh dur pichhe hat kar andhere me pahunche. Som wahin baitha apne chilam me masala bhad chuka tha. Idhar Som apna sutta khinchna shuru kiya aur udhar "Royal Sethi" ne apna overcoat utar diya


Coat ke niche bail jaisa phoola hua muscular badan tha, lagbhag kisi tandrust wrestler se milti julti. Badan par charo ore tattoo bane huye the. Badan ko tel laga kar chamakaye huye tha. Royal Sethi apne viewers ko pose dena shuru kiya. Gathile badan ke har ek curve ko nikhad kar dikha raha tha.


Royal Sethi pose dena shuru kiya aur madak kapde pahne kamsin ladkiyan aa kar uss se saanp ki tarah lipatne lagi. Match shuru hone se pahle "yug purush" jaise namo se Royal Sethi ko sambodhit karte huye uske shaan me kashide padhe jane lage...


Log live dekh rahe the aur khoob taliyan baja rahe the. Uska opponent bhi utna hi tagda pahuncha tha. Royal Sethi ka pratidwandi jaise hi maidan me pahuncha online viewers comment box ko bhar chuke the…


"Dhanshu match hone wala hai... Royal Sethi tum tope ho. India ke hope ho.…. Tum toofan ho.... Duniya jahan ho".…. Aur bhi kayi tarah kee baten comment box me likh kar log post kar rahe the. Jisko jaisa samjh me aaya...


Kayi utsahit ladkiyan apna chehra chhipa kar apne nange stano par likhwa lee thi… "We twins love you" aur bina sar wali tasveer post hone lagi. Fir to bina sar wali tasveeron ki bharmar thi jahan fans ne bahut kuchh pados diye.


Unhi fans me se kuchh ko khoji ptarkarita ka bhi nasha tha. Online wale waise bhi aaj kal gaanv ki "Bhuriya Kaki" hi hote hain. Bina nuskh nikale aur rayta failaye kuchh hajam thode na hoga. Aise mansikta wale bhai-bandhu sach ke sath hamesa banaye rakhte hain aur unhe kahin se bhi khod nikalne ka zazbaa rakhte hain. Unhi me se ek bhai sahab ne ek tasveer share karte huye niche likh diya, "Fight fix hai. Jo fighter ladne ja raha hai Khalid Masood, wo to Sethi ka bodyguard hai"…


Haan ek post par koi thukta bhi nahi. Logon ki najar bhi nahi jati. Kyonki bhid ka aakarshan to fight ke sath-sath sar kati tasveeren hoti thi. Yeh baat online chugli machane wale Bhuriya Kaki ko bhi pata hota hai, isliye bhai ruka hi nahi. Khud ke block hone tak spam karta raha aur wo jab block hua to pichhe se 200 "Bhuriya Kaki" ke followers khade ho gaye.


Kitni mehnat aur sar kati tasveeron se to 20k live views aate the, jabki underground fighting ke naam par organiser millions live bhid juta liya karte the. Fight fix hone ki news viral hote hi comment box me "thu thu" hone laga. Idhar chilam phoonk raha Som ne pahle apna face dhuwen se cover kiya baad me jab dhuwan chhanta to chehra kapde se aadha cover tha.


Royal Sethi ko itni galiyan padni shuru hui ki anth me usne fighter badalne ka faisla kar liya. Isliye nahi ki usne fight fix ki thi balki uske darshak ko lag raha tha fight fix hai isliye fighter change kar raha tha. Imandar organiser tha Royal Sethi.


Kuchh der ki chhoti si manthan ke baad Royal Sethi ne Som ko fight ke liye raji kar liya lekin Som ne kimat 10 lakh wasooli. Som ko 10 lakh cash mil gaya lekin Senior Sethi ne shart ye rakhi ki usse chehra dikha kar fight karni hogi. Kafi der tak in sab ki panchayat sun'ne ke baad.…


"Koi nahi kahega ki ye fighter fix hai, lekin tera bail bete ki fighting dekh kar sab samajh jayenge fight fix hai. Mat ladva mujh se."… Som ne Senior Sethi ko chetaya.


Sethi:- Cobra kai, kick boxing, boong Chung, martial art aur na jane kaun-kaun si fighting skills hai uske pass.


Som:- Ye chori ke naam farji fans ko ratta marva kar inbox ki sobha badhva. Wo dhang ke 1 punch ke aage nahi tikega. Ladte waqt ya to main marunga ya maar kha lunga, lekin apne se ye fake punch chalana nahi hota hai...


Sethi:- Thik hai tum thode slow ho jana Lancer, baki mera beta to first class ka fighter hai. Kayi sare log roj usse trained karte hai. Tum uske speed aur size ke samne bacche ho. Jarra apni deh dasa dekho aur uski. Tum jaise 2 ki chaurai jod do fir bhi eklauta mere bete ke barabar nahi hoga.


Som:- Wah re maya ka andha chashma. Ek bacche ko mujhse ladwa kar mujhe hi baccha bol rahe. Khair, Shuru karte hain…


Maidan me utarne se pahle Som ne apne baal ka kundli khol liya. Bag me alag tarah ka leather mask tha, jo belt se tight hota tha wah pahan liya. Jaise hi wo maidan me pahuncha, logon ne naye fighter ko dekha aur wapas se fix fight kahne lage. Karan bhi valid hi tha. Kahan Royal Sethi Jhon Cena ki tarah aur Som ek samanya sa dikhne wala. Complete athelete body thi Som ki lekin ye kapdon ke upar se kisi ko thode na dikhta.


Ek baar fir fix fight ki gunj charo ore se aane lagi. Tabhi screen par pahle Som ka naqaab dikha aur screen ke samne wah apni t-shirt utar kar pichhe ghum gaya. Pith ke upar bana lamba chaura mahadev ki pyari tattoo sab ko dikhne lagi. Ek chhota sa sandesh kewal ek baar kisi ne post kiya tha... "It seems Pheonix"…


Kisi ki najar padi aur fir nibox me charcha shuru thi. Kuchh viwers ne 10 minute ka waqt maang liya. Underground fighting ke deewano ko shayad sandesh pahunchane ke liye yah 10 minute liya gaya tha. Kisi orignal Pheonix ke fans ko bulaya gaya tha uski pahchan karne. Inbox me pahle kuchh logon ne likha. Fir dhire-dhire live viewers ki bhid badhne lagi aur ussi ke sath inbox Pheonix ke naam se gunj utha. Kisi ne Pheonix fan club ke page par live video link share kar diya aur un 10 minute me viewers ka flood aa gaya. Dekhte hi dekhte desh-videsh se viwers jutne lage. Live viewers ki sankhya 2 million cross kar chuki thi.


Inbox Pheonix ke naam se bhar gaya. Sar kati tasveer wali ladkiyan troll hone lagi. Kayi sare hacker fans ne dhamki tak de dali, "porn site par ja post karne, dobara post hua to chehra sahit viral karunga"… Bechari wo ati-utsahit fans shant baith gayi.


Fight shuru hui. Uchhal kud, mukke aur laat, sab chal rahe the. Som ne paise liye the isliye bilkul slow khelte huye wo maar kha raha tha. Royal Sethi bilkul kisi manje khiladi ki tarah khud ko dikha raha tha. Halanki Royal Sethi ke moves bhi professional hi the lekin pratidwandi fix. Jald hi rasbhari Som ke mask ke niche se bahne lagi...


Fans paglaye. Uss chhote se ground me Senior Sethi, Royal Sethi ke liye hooting aur cheering karwa raha tha. Maar-maar kar Som ki haalat kharab kar di Royal Sethi ne. Som ki haalat jab poori tarah se kharab ho gayi tab camere ke samne 2 baar uchhal'kar Royal Sethi ne gale par chaku firane jaisa ishara kiya. Jaise hi Royal Sethi ne apne final move ka ishara kiya, bhadke fans ne galiyan dete huye likh diya, "Marne ki aukaad nahi tumhari"


Royal Sethi, sabse unche coller wale ka beta thehra. Kaise bardast ho jaye. Sidhe aaya aur ladte huye paun me chhitkini diya. Som lad'khada kar muh ke bal gira. Royal Sethi pichhe baith'kar, uske badan ko apne paun ke kainchi me fasaya aur gardan me apni baanh fansa'kar Som ko maut ke sinkanje me kasa. Som ke gale me fanda kasta ja raha tha. Dum ghutna shuru ho gaya.


"Hey dump maine jamin par hath thok diya hai. Tu jit gaya. Gala chhod dum gut raha hai"…


Som ki baat se shayad Royal Sethi ko kuchh jyada hi josh aa gaya. Sikanja gardan par aur jod se fansa. Som ne 1 aur baar usse hatne ke liye kaha, nahi mana. Som ki aanken badi ho gayi thi. Gardan se lekar aankhon ki nabj ubhar kar dikhna shuru ho chuka tha.


Royal Sethi kuchh jyada hi utsahit sa ho gaya tha. Shayad aaj tak aise hi wo fight karta aaya ho, jaan nikalne wali. Som ne dono hath ka thap jamin par diya... "Enough non-sence" bus itna hi Som ne kaha. Apne hath ko upar le jakar uske sar ko pakda aur khinch diya. Dono ke sar itna tej takraye ki dono ke aankhon ke aage andhera chha gaya. Royal Sethi ki pakad chhut gayi.


Dono ke sar chakraye. Aankhon ke aage andhera chha gaya. Aur unhi andhere ko bhich se ek left aur ek right hathon ka poora punch, Royal Sethi ke kanpatti ke niche pada. Som apna move complete karne ke baad ruka bhi nahi dekhne. Gala pakde Senior Sethi ke pass pahuncha aur uske hath se jaam lekar ek baar me khinchte...


"Kamal hai ab bhi cheer kar raha. Tujhe samjh me nahi aaya ki kya hua... Bacche ko hospital le'kar ja, wo na uthega ab"


Sethi ko pahle mazak laga lekin bodyguard ne jab confirm kiya tab Sethi usse le'kar hospital bhaga. Sethi ke sath baki high collor wale bhi uske pichhe hi nikle. Sograppam andhere se ujale me aate... "Lancer ye bada panga ho gaya hai"…


Som:- To alvida kah denge Shilong ko kaun sa main yahan baith kar Sethi ke vyakul aatma ko santushti dene wala hun…


"Hey handsome yahan se nikalne se pahle, wanna try some more action"… 2-3 ladki khadi ho'kar apna overcoat nikali jiske niche kafi chhote kapde the aur badan to aisa ki makkhan malai ki bani ho. Overcoat ke niche to ye balaen high power chumbak chhipa rakhi thi jo kisi bhi lohe se shakt mard ko khinch kar aisa chipkaye ki uske badan se chipka hi rahe.


Som, Sograppam se baat kar raha tha issi bich in ladkiyon ka action shuru ho gaya. Som unhe ghurte unke pass pahuncha… khinch kar 1 thappad jadte.… "Bloody bitches"… Aaya thappad maara, sath me jo bag lekar aaya tha usme paise daal kar kandhe se taanga aur nikal gaya.


Subah ke 3 baj rahe honge. Sia ka lappy on tha, ek notification ke sath wo happy ho gayi. Som udhar se apna chehra dikha raha tha jise dekh'kar Sia hawa me apne bhai ko kisses bhejti.…


"Looking killer Purusom"
"Haaaaa.. haaa... Haaaa.. Very funny Anusia"
"Mirchi lag gayi. O llee lleee."
"Ji nahi. Kya kar rahi thi"
"Pheonix ke purani fights dekh rahi thi. Ye nayi wali boaring thi. Fix thi. Kitna maal ander kiya maar khane ke"
"10 lakh... Ha ha ha"
"Wooooooo ! 10 lakh... Tum kinse bhide the"
"Nikal aaya wahan se. Kyon itna react kar rahi ho"
"Moron !! I want you here by tomorrow"
"Possible nahi hai. Kuchh din ruk jao"
"Kuchh din matlab kitna"
"You know na. Fir aise kyun puchh rahi jaise pata na ho"
"Haan jaanti hun. Kafi sari yaden sanjo kar lana. Itni ke dekhte-dekhte din kam pad jaye."
"Tum aaogi?"
"Kya tum jana chahte ho?"
"Diksha, Mishra ji aur Mishrayan ji.…"
"Ya I know. Koi ek hi jale na. Do you wish I feel the same"
"Kabhi nahi. But Diksha"
"I wanna cry"
"Not now, be strong sweety. Khyal rakhna apna. Love you"
"Love you too. Dhyan rakhna aur dur raho black collor walon se please"
"Got it and sorry. Situation me ulajh gaya tha. Mil kar settle kar dun kya?"
"Nahi rahne do, pata nahi kis mood se honge wo log. Bus nikal jao wahan se aur jaldi milo. Main tumse milne ke liye mari ja rahi hun"
"Me too. Bye Sia"
"Love you Som. Khyal rakhna."


Screen ke dono ore se 2 bund aanshu pahle chhalke aur uske baad ek dusre se milne ka soch kar utna hi khila sa chehra dono ka tha. 5 sal ki ye duri thi, jab 12th ke baad Sia, Landon ko ravana ho gayi aur Som junglon ki khak chhan raha tha.





<---------------{ }------------>

Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye

<---------------{ }------------>

Superb update
 
  • Like
Reactions: Rawat@7

Tiger 786

Well-Known Member
6,204
22,511
173
Update:-4



Subah-subah Sia taiyar hokar apne college ke liye nikli. Lucknow ke private universitiy ka yah bada sa campus tha jahan Sia ne Environmental Science me doctorate digree ke liye apply kiya tha. Pahla din tha. Bhartiya paridhan, salwar, kamij aur dupatte me halke make up me wo nikli. Khili si apni khushboo bikherti nikli.


Takriban 4 kilometer ki duri par campus tha. Jane ke liye Sia ne apni cycle uthayi, paidal maarti aur ghanti bajati hui sahar ke sadkon ka luft utha'ti chali.. Subah ke waqt traffic kam thi, bade aaram se wo campus me pahunchi aur parking me cycle laga'kar nikli.


"Ek minute miss, hello"
"Haan"
"Miss aap bahut khubsoorat hain"
"Aur kuchh"
"Nayi aayi ho campus me"
"Kisi kaam se roka hai tumne mujhe"
"Haan puchhne ke liye, tum kaun se class me admission lee ho"


Sia ya kisi bhi ladki ke liye ye koi nayi baat nahi thi jab ladke unhe akele dekh'kar aise pareshan karte hain. Sia uski baat ko ansuni karti wahan se chupchap chal di. Pichhe se usne kuchh abhdr comment bhi kiye lekin Sia un baton par jyada react nahi ki.


Parking se sidha office aayi. Apne class ke bare me pata kar wo sidha college prabandhan ke mukhiya ka darwaja khat-khatayi. Bahar board par bade-bade akshron me naam likha tha, Manohar lal Joshi.


Joshi ji ke darveje par Sia ne jaise hi dastak diya. Peon dur baitha jo gappe maar raha tha daura-daura aaya.… "Are ruko, ruko, darvaja kyon pit rahi ho"


"Joshi se kaam hai mujhe, isliye darvaja pit rahi hun"


Peon, Sia ko upar se niche ghurte… "Joshi .. Ae ladki tu pagal hai kya?"


Sia uski baat ko ansuni karti ek baar aur darvaja khat khatayi.…. "Are ruk jao, pagal ho gayi ho kya?"


"Nahi, pagal nahi hui hun, mujhe milna hai isliye darvaja peet rahi hun. Tumhe koi samsya hai kya"?


"Sir aise kisi se nahi milte, jao kal aana"


"Aur tab tak meri samasya"


"Ek din me koi pahad nahi toot padega. Jao kal aana"


Sia wahan se bina kuchh bole apna class attend karne chali gayi. Naye log aur naye proffesiors ke sath aaj ka naya din shuru hua. Sia ki dusri class chal rahi thi. Joshi ke office ke bahar mila peon chalti class me ghus kar point out karte.… "Yahi hai sir"


Joshi:- Hey you stand up


Sia:- Kyon..


Joshi:- What ???


Sia:- Kyon khadi ho jaun itna hi to puchhi hun. Aap kaun ho.. ...


Joshi, gusse se ghurte.… "To ye peon sahi kah raha tha ki tum ek badtameez ladki ho."


Sia:- Mere bare me jo bhi rai banao wo aapka personal matter hai. Main aap ko nahi janti. Ya to parichay de do ya fir class ke bahar wait kar sakte ho..


Proff:- Hey you what's your name...


"Sia "…….


Proff:- Are you insane. Tum janti bhi ho tum kis se baat kar rahi ho...


Sia:- Are you fool Mr proff. How would I know about him? Do yon know about me or hey you angry man do you know about me?


Sia bilkul normal hokar apni baat kah rahi thi, lekin uski samnya baten wahan ke mahan hastiyon ko pasand nahi aayi. Poora class tamasa dekh raha tha. Professor ke sath-sath University prabandhan ke mukhiya bhi Sia par khaffa ho gaye.


Wo log jhunjhla kar baaten karte rahe lekin Sia utne hi aaram se reply kar rahi thi. Anth me baat na bante dekh Joshi aur proffesor, dono ko apna parichay dena hi para.


Professor ko to wo sir kah'kar pukari lekin parichay ke baad bhi Joshi se sidha kah di.… "Aap University mamgemnet ke head hain, na ki guru ji, jo aapko sir kahun. Na hi aapke niche kaam kar rahi aur karti bhi to, sir nahi kahti kyonki main apni mehnat ke paise le rahi hoti na ki aapko sir kahne ke"...


Joshi lagbhag bhannate huye.… "Haan to main bhi tumhe aaj hi campus ke bahar ka rasta dikhaunga."


Sai:- Sir na kahne ke liye. Kamal ka ego hai...


Joshi:- Tum kuchh bhi kahne ke liye swatantr ho lekin apni cycle ko mere chamber ke bahar chain laga kar rasta block karne ke liye main tumhe college se resticate kar raha hun...


Sai:- Pahli baat to ye hai Joshi ji ki parking ke koi bhi rule admission ke waqt nahi bataye gaye, na hi University administration ne iske liye koi rule banaya hai. Dusri baat ye ki yadi parking ke liye koi rule hota bhi to bhi meri cycle wahin hoti. Kyonki jab main apni samsya lekar aapse milne pahunchi thi tab aapke peon ne mujhse kaha tha ki "kal milna, ek din me koi pahad nahi toot jayega"... Mujhe jab samasya hui to ek din bardast karne bola gaya. Wahi samsya aapko hui to 10 minute me bilbilaye chale aaye. Upar se aapke peon ne "tu tarak" kiya so alag. Humare paise se salary pane wale hume hi respect na kare. Kamal ka culture hai yahan…


Joshi:- Fee hum padhane ke lete hain...


Sia:- Maaf kijiyega Joshi ji, bill dikha dun. Wahan padhane ke fee ke alawa accommodation fee, parking, light, ac aur na jane kin kin baton ke paise liye gaye hain. Isliye jin baton ke paise liye hai, uski poori service chahiye.


Joshi shocked. Sia rocks. Class poori stabdh. Sabhi Sia ka chehra hi dekh rahe the...


Samsya poochi gayi. Sia ne samasya bataya, Parking ekant me hone se ladke wahan rok kar jabardasti baat karte hain. Abhadr tippni karte hain jo usse pasand nahi. Wah yahan free mind se padhne aayi hai na ki kisi ke chhedkhani ko dimag me rakh kar compromise kar ke kisi tarah 2 sal nikalne...


Joshi suna, samjha aur iss par vichar kar ke kuchh nirakaran ka aashvasan dete chala. Iss bich parking me 6 guard tainat honge...


College ka pahla din aur pahle din ki surkhiyon me Sia hi chhayi rahi. Bahut se logon ne baat karne ki kosis kee. Bahut se logon ne baat bhi kiya. Sia sab ko ek baar dua salaam karti hui wapas ghar pahunchi.


Sham ka waqt tha. Sia ka dil barshat me street food khane ka hua. Car le'kar nikli. Champa ke bataye road par jane lagi. Thodi poorani market thi ye, barshat ke samay bhi wahan kuchh log dikh rahe the...


Wahin bazaar ke shurwaat se hi, main road ke kinare ek chay, pakode, samose etyadi ka ek thela footpath par laga hua tha. Upar se lamba-cahuda tripaal taang kar wahan baith kar nashta karne ki vyavastha thi.


Sia ko jagah pasand aayi aur wo apni car ussi dukan me kinare park kar bench ke kinare baith gayi. Car se utar rahi ek ladki. Chehra aisa ki najren baar-baar dekhne ko vyakul ho jaye. Strechable halke brown clour ki pencil jeans. Upar safed rang ki dhili kamij jo jeans me underset thi, wahan baithe ladkon ka bich aakarshan ka kendr ban gayi.


Top class BMW car jaise kisi kichad se sani sadak par aa kar khadi hui ho. Sia thik waise hi bench ke ek kinare baithi thi aur order dene ke liye wahan nasta laga rahe ladke ko bulayi.


"Madam kya lagaun"…


"Pahle to jitne vriety ke pakode chhan rahe ho thoda-thoda khila do"


Wah ladka "abhi laya" kahta hua wahan se chala gaya. Kuchh ladke aa kar ussi bench par kuchh duri bana kar baithe gaye. Kuch samne se mandrane lage. Achanak hi uss mahol me ladkon ke baat karne ki tone change ho gayi. Koi apne sathi se jor-jor se baat karte huye style dikha raha tha, to koi samne se attitude me chal kar aata aur utne hi attitude se matr ek jhalak Sia ko dekh'kar chay ke dukandar se aise baat karta mano dikhana chah raha ho... "Tu baju hat apan shakt launde hain"..


Kisi bhai sahab ko kuchh nahi mila to samay hi puchhne aa gaye. Wo aapas me lage the aur impress karne ki kosis me jute the ki ladki ek baar dekh le aur smile de de... Sia ko koi samsya nahi thi iss se. Infact koi ladka apne sathi ke sath comedy karta tab usse Sia enjoy karti aur hansti bhi thi. Iss se un ladkon ko bhi protsahan milta aur wo bhi apne naye-naye klaa ka pradarshan karne me jut jate.


"Hello miss. Pahchana mujhe"…


Sia ek jhalak upar dekhti... "Koi kaam tha kya?"…


Riaz:- Nahi bus puchhna chah raha tha ki uss din sahi pata mil gaya tha...


Sia:- Haan mil gaya tha, thanks.


Riaz:- Maine kabhi socha bhi nahi tha ki tum yahan milogi.. ..


Sia:- Koi kaam hai ya aise hi faltu ki bakwas karni hai…


"Madam attidude wali hain sath me badi car wali… Hum yahan khaye to majboori aur wo yahan khaye to shauk hota hai"… Theke ke charo ore bench lagi hui thi. Sia sadak ke kinare se baithi thi aur Asif thele ke pichhe ke bench par baitha tha aur wahin se khada ho kar Asif vyang karte huye kahne laga...


Sia:- Aur kuchh...


Sar jhukaye Vyas ek hath me chay ka glass pakde, chay ki chuski lete apna dusra hath utha liya…. "Tum jaisi khubsurat ladki, jo hum jaise ladkon ke sapne se bhi upar ke range ki hoti hai, wo kabhi bhi humse baat kar sakti hai. Lekin hum yahan 50 laundon ke bich baith'kar ussi ladki se baat karne ki kosis kare to unka muh chadh jata hai"...

"Motive flirt karna to nahi hota. Bus dil me yahi rahta hai ki in baki 50 launde ko dikhana, "dekh itni khubsurat ladki hume janti hai aur humse baat karti hai". Bus issi maksad ke liye baat karne aate hain".


Sia:- Totally convinced. Mujhe waise bhi koi kaam nahi to kyon na tum teeno mere samne table laga lo aur hum aamne-samne chay pite huye baat karte hain. In 50 ladkon ko dikha de ki haan tum wakai mujhe jante ho, bhale wo chhoti si mulakat ki chhoti hi madad kyon na thi, lekin madad to thi.


Riaz ne jhatpat samne table laga diya. Teeno thik samne baithe... "Haan abhi thik hai na shuru karo"


Riaz:- Tum kamal ki dikhti ho tum bilkul filmon ki heroin jaisi ho...


Sia:- Haan main bade dhyan se sun rahi hun...


Riaz:- Tum bahut kamal ki ho...


Sia:- I love you nahi bolege...


Riaz, bilkul chakit najron se... "Kya"??


Sia:- Wahi itni tarif mujhe impress karne ke liye kar rahe. Anth me I love kahoge. Kyon tumhari mehanat main badhaun... Jaldi se bol do...


Asif:- Aur uske baad...


Sia:- Isse mana kar ke apne tarif ke tourcher se bach jaungi...


Kahti hui Sia ne hi-fi ke liye hath badha diya. Asif ki hasi nikal aayi wo bhi Sia ke sath hi-fi karti…. "Bol de be jaldi se hum dono ko bhi tera ye tourcher bardast nahi hota"…


Vyas:- Main Vyas hun, ye mera dost Asif aur ye humara badbola Riaz.


Sia, apni hath aage badhati.… "Sia"


Dono hath milaye, Riaz miyan ek baar fir hath milate-milate... "Naam bahut pyara hai tumhara."


Riaz ki baat par teeno hi hasne lage. Takriban aadhe ghante ki baat-chit hui. Sia jyadatar unki hi suni aur thodi bahut apni sunati chali...


Sia:- Ab main chalti hun..


Riaz, apna mobile nikalte... "Apna number boliye miss"…


Sia:- Riaz jarra kinare hona. Suno black t-shirt pahne group...


Kuchh ladke jo ussi ke ore dekh rahe the... "Ohhh hooo hum se baat kar rahi hai ye madam"… ladke collor unchi kar ke uske pass pahunche... "Ek chay humare sath bhi pi lijiye"





<---------------{ }------------>

Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye

<---------------{ }------------>

Nice update
 
  • Like
Reactions: Rawat@7

Tiger 786

Well-Known Member
6,204
22,511
173
Update:-5




Sia:- Riaz jarra kinare hona. Suno black t-shirt pahne group...


Kuchh ladke jo ussi ke ore dekh rahe the... "Ohhh hooo hum se baat kar rahi hai ye madam"… ladke collor unchi kar ke uske pass pahunche... "Ek chay humare sath bhi pi lijiye"


Sia:- Fir kabhi, abhi jo tumne meri tasveer khinchi hai wo delete kar do.


Asif aur Vyas dono apne hath failate... "Kya tucchi harkat hai ye. Mukesh ne 5 din pahle hi idhar liihwaya tha na "kisi bhi anjaan ladki ki tasveer nahi lene"


Ladkon ka group ek sath... "Galti ho gayi. Sorry miss. Delete kar diya hai photo"…

Wo ladke pichhe chale gaye. Riaz ek baar fir... "Sia number"

Sia:- Mere pass number nahi hai...

Riaz:- Matlab..

Sia:- Matlab main mobile nahi rakhti.

Teeno thode hairan hote.… "Lekin kyon?"


Sia:- Koi hai nahi jise phone karun ya wo mujhe phone kare. Isliye shayad...


Vyas:- Hume fir kabhi 50 ladkon ko dikhana hua to..

Sia:- Chalti hun...

Vyas ek panne par teeno ka number likh kar dete.… "Hum kosis karenge ki tumhe phone ki jaroorat pade"


Sia, ne Vyas ki baton ka jawab to nahi dee lekin unse number leti nikalte bani. Jahan tak najar gayi Vyas car par najar diye raha. Jaise hi car najron se ojhal hui, Vyas lad'khada kar gid gaya.…


Riaz aur Asif dono ek sath... "Ab tujhe kya hua Shashtri"

Vyas:- Dil loot liya...

Riaz aur Asif thode chakit hote... "Kya kaha"…

Vyas:- Dil loot liya...

Riaz:- Harami Huma ke time bhi yahi hua tha.… Hayyy re meri Huma ko bhaga diya isne...

Aisf aur Vyas uska chehra ghur kar dekhte... "Thuuu sala... Chal chalte hain"…


Teeno paidal hi wahan se nikle. Yun to Vyas jab se Sia ko dekha tha, khoya hi rahta, lekin aaj kuchh jyada hi khoya, khoya sa tha. Riaz aur Asif najron ki sangoshthi kiya aur Vyas ko chhedte…. "Kya hua Shahstri.. khoya, khoya sa launda..."


Vyas:- Aakhon ke aage se chehra nahi jata...


Riaz 2 kadam aage aate.… "Uffff kya sexy thi wo... Perfect shape.. Dhili shart thi sahi se size le nahi paya. Sale tailor master ke bhatije tune to naap liya hoga na"…


Vyas:- Chup ho ja Riaz warna achha na hoga... Main serious hun...


Aisf 2 kadam aage badhte.… "Huma ke time jaisa ya uss se jyada"…


Riaz:- Wo dialogue kya tha...


Vyas:- Mc dono chup ho jao, warna maar dunga...


Dono thoda distance banate…. "Wo kya tha re Riaz"


"Bra khulte hi mera chhut gaya"….. "kya chhutaa thaa re"…… "pichkari"…


Dono kahte huye bhage. Vyas uske pichhe bhaga. Halke barshat me teeno bhagte daudte chale. Jaise hi ek car gujri, Asif jod se chillaya…. "Vyas, Sia ki car"…


Vyas:- Haramiyon juban ganda karne par majboor na karo"…


Riaz:- Bsdk fir bata bhi de na, pahle se jyada serious hai ya uss se bhi kahin jyada...


Asif:- Shastri sale iss baar nak na kata dena. be... Aaya ram gaya ram...


Haanfte huye dono ruke. Pichhe se Vyas bhi pahuncha, teeno sadak par ek hi jagah khade ho'kar haafne lage. Hannfte huye ek dusre ko dekh rahe the, tabhi Asif aur Riaz chillaye.… "Mera to pichkari nikal gaya"…


Vyas gusse se dono ko ghura. Mahol bilkul sannata aur fir teeno paglon ki tarah hansne lage. Hanste huye kandhe par hath tha aur samne wine shope.… Teeno kandhe par hath dale... Jod se chillate chale... "O ladki aankh maare"..



Teeno pahunche theka. Chillar collect hua. 50 rupya kamti. Aas pass najar dauraya. Koi bakda na mila.… "Madarchod kismat jhand hai. 50 rupya kamti hai"… Riaz jhunjhlate huye bola..


Asif:- Ek jugad hai, 50 rupya mil jayega..


Riaz:- To madarchod, Shastri se subh muhurat nikalwa le... Jakar la na..



Vyas:- Tera contact hai be gandu... Dekh to...


Riaz jaise hi pichhe muda, aankhon ke samne uski badi bahan aur jija, apne bacche ke sath bike se. Rain coat pahne raste se wo log sabji le rahe the.


Riaz pichhe palat kar fir samne theke ke ore mud gaya... "Madarchod aaj ghar par meri in logon ne mari na to main dono ko baans kar dunga... "


Asif:- Shastri ye to jane se raha... Hum hi chale kya?


Vyas:- Ab ya to pi len ya unko bike se jate dekhe...


Asif:- Kaun sa pahli baar hai jo sharm lage…


Vyas:- Tu kitu ko dur le jana...


Asif:- Thik hai chal..


"Ruk jao paglon"… Riaz dabi si awaj me dono ko bulata rah gaya, lekin dono ne suna nahi. Pahunch gaye uske bahan aur bahnoai ke pass.


Uske bahnaoi ne jaise hi dono ko dekha... "To aakhir 4 sal ki mehnat ke baad teeno ne medical me dakhila le hi liya. Humari party."


Asif:- Kya hai bacche se party mangte sharm nahi aati...


Riaz ki bahan Rukhsar jo niche khadi thi.… "Tum dono yahan kya kar rahe aur Riaz kahan hai"…. "Mamma, apna kaam karo, mamu kuchh important baat karne aaye hain shayad"…. Riaz ki chhoti bhanji apni dono bahen failati, dono ko aankh marti hui kahi.


Asif usse gode me utha'kar uske gaal ko khinchte... "Tu chal mere sath"…


Riaz ki bahan Rukhsar apni sabji kharidne ke baad... "Nahi sudhar sakte na. Riaz wahin theke par hai?"


Vyas:- Didi aaj tak kabhi koi shikayat hui hai... Yaad hai pahle din kaisa sawagat ki thi hum dono (Vyas aur Asif) ka. Lo 2 aur naye aawara... Ab kaho kya ye baat repeat karne ka mauka diya hum dono ne…


Rukhsaar, Vyas ka hath thamti... "Hume koi ummid nahi thi ki uska dakhila medical me hoga. Medical to dur ki baat hai, aanthvi (8th) ke baad to padhta ki nahi, ya apne mohalle ke aawaron ke sath criminal banta ussi ki chinta thi. Tum dono na hote to.…


Vyas, uske aanshu pochhte... "Kyon sab itna emotional hoti ho. Riaz ne bahut mehnat ki thi"…


Rukhsar:- Haan maanti hun, jab wo padhai me laga to fir pichhe nahi muda. Lekin vajah tum dono hi the. Tum dono (Vyas aur Asif) se milne se pahle awara tha. Pata nahi kis tarah ka bhoot sawar tha. Poora apne mohalle ki chhya padi hui thi. Iske jitne bhi dost hua karte the...


Vyas:- Kya didi… samajh gaya main emotion. Samjhane ke liye ek hi baat ko repeat karne ki jaroorat nahi. Ab bus bhi karo ye sab boaring baat... Aur 100 rupye de do fatafat...


Rukhsar ka husband.… "100 rupye kyon"..


Vyas:- Kya dekh kar inse aap ne shadi kar liya... Batao aise umr ke ladke se paise ki jaroorat puchh rahe hain...


Rukhsaar, apne husband ke pocket se 500 ka note nikal'kar dete.… "Hosh me rahna"


Vyas:- Ye jaroorat se jyada hai.... 100 hi chahiye...


Rukhsaar hansti hui... "200 to Asif kitu par kharch kar chuka hoga, fir pichhle baar wala haal na ho jaye"…


Kuchh baten wahin khade hoti rahi. Vyas aur Asif vida lekar theke par, aur fir teeno theke ke pichhe khade huye. Ek hath me 5 ka chips. Chhoti si khidki ke upar glass aur ek poora khamba... Aur ghante dedh ghante (1 se 1.5 ghante) baad teeno fursat.


Riaz wahan se apne raste. Idhar Asif aur Vyas sath chal diye.… Dono barshat me bhingte apne gali ke ore chalte rahe...


"Netaji ke paise ke bare me kya socha hai Vyas"

"Tu bata tu kya chahta hai"

"Pata na. Ek man kahta hai 2 cr 4o lakh bada amount hai. Hum bahut kuchh kar sakte hain. Sare paise cash bhi mil rahe hai."

"Dekh Asif ek doctor ke liye 30 lakh ya 80 lakh ka amount koi badi baat nahi hai, tabhi to bank ne sirf ek admission ke upar loan sanction kar chuka. Abhi netaji ko 1cr 10 lakh ek sath dene hai ya 80 lakh wapas karke 30 lakh ke karj me kuchh sal jina hai wo soch le"

"Samjh gaya. Poora focus college par hi karte hain aur Chaturvedi ke 2 carore 40 lakh lauta denge. Madarchod kafan chor"..

"Chhod na, hume koi ek hazar udhar nahi deta... Kam se kam ek baar me unhone poora amount to de diya"…

"Haan shayad sahi kah raha hai lekin iss madarchod par mere abbu ka karj hai uska kya? Ussi harami ke lagaye aag me mera abbu jala aur"….

"Ja bol jaa kar usse… koi fark pade to shauk se lad. Abhi kya galat kiya usne... Bank bhi byaj lega wo bhi bank ke hisab se byaj le raha hai"

"Vyas lekin mere abbu uske liye kaam karte the. Usse neta banane ke liye… khair chhod"…

"Tujhe pata hai kya, jo hum teeno ne 90 lakh ghus bhada hai, wo ghum kar netaji ke pass hi pahuncha hai. Aur netaji ke kahne par hi hume admission me discount bhi mila tha"…

"Kya baat kar raha hai"..

"Haan sahi kah raha hun. Wo poora University hi ussi ki hai. Apne kisi relative ke naam se chalata hai"

"Tujhe kaise pata"…

"Kabhi-kabhi na tu Riaz ki tarah baten karne lagta hai. 3cr 30 lakh kiske kahne par netaji ne diya tha, ussi ne talli ho kar bataya."

"Sagar Chaturvedi…"

"Haan.…."

"Madarchod jabardasti ka dost. Uska shakl dekhta hun to sine me aag lag jati hai"

"Bhagvan bankar ussi ne madad ki hai, bhul mat. Noor sahi kah raha tha. 1 seat ke 2 carore wasool rahe hain abhi. 80 lakh fee aur 1crore 20 lakh ghus. Sagar Chaturvedi ne apne baap se humare liye jhagda kiya taki hum uske sath medical College me ho aur Makhan Lal Chaturvedi (netaji) ne soch samjh kar hum par ehsaan kiya hai."

"Samjha nahi..."

"Ghar aa gaya hai Asif, tujhe poori baat baad me samjhunga... Kal paisa ka kaam khatm karenge… next month se class shuru ho jayegi"…

"Thik hai tu ja abhi, chachi (Vyas ki maa) dekhegi to mujhe bula legi. Kal milte hain"..


Ek hi gali me 6 makan pichhe Vyas ka ghar, 6 makan aage gali ke pichhe ka nukkad aur thik samne ke gali ka pahla makan Asif ka.


Vyas najar bacha kar ghar me kadam rakha. Idhar-udhar dekha aur chup-chap ander kadam badha diya. Maa kitchen me vyast lag rahi thi. Pitaji news me vyast the. Vyas hall se pass karte huye... "Baba, kya hai jab dekho tab news dekhte ho"


Pitaji Pandit Ram Swaroop Shashtri.… "Madhvi ka phone aaya tha. Maine suna apne bua ke yahan jane se tune saaf inkar kar diya"…


Vyas apna sar pit'te sochne laga… "Gadha hun main, subah baat karni chahiye thi"… usse kuchh samjh me nahi aaya ki wo ab kya kare. Itne me pitaji ne wapas se puchh liya.…


"Pitaji raat ho gayi hai, dono is par subah bahas kar lena. Bhaiya kapde badal kar bathroom me rakho... Main khana laga deti hun"


Vyas, apni bahan Nirali ko dekh kar dono hath jod kar pranaam kiya. Nirali hansti hui apne hath utha kar aashirwad dene lagi.…


Agli subah Roj ki tarah subah-subah sabhi dost ground par mil rahe the. Barshat ke karan cricket band tha isliye iss mausam me ye log Kabaddi ka luft uthate the. Cricket ki poori team 2 bhagon me banti hui thi. Vyas aur Asif ka ek jabardasti ka dost, Sagar Chaturvedi in ke sath chipka hua rahta tha.


Netaji ke parivar se bahut purani kahani thi Vyas aur Asif ki. Aisf ke abbu Neta Makhan laal Chaturvedi ka khas pracharak hua karta tha, wahin Pandit Ram Swaroop Shashtri the to sarkari school ke shikshk, lekin yadi uss ilake ko gaanv maan le to Pandit Ram Swaroop Shahstri us gaanv ke mukhiya.


Bahut hi samanya log aur lobh laalach se kafi dur ka swabhav tha msater sahab ka. Padhane me dono miya-biwi yani ki Vyas ke mata aur pita ki kafi ruchi thi aur dono ka waqt wahan ke local bacchon ke sath hi gujarta tha.


Mixed culture me kayi tarah ke matbhed ke bawjood uss poore ilake me aisa kaun nahi tha jo master sahab ki na sune. Ristedari me Makhan Lal Chaturvedi kisi paksh se Pandit Ram Swaroop Shashtri ka bada bhai tha aur iss baat ka poora milage Makhan laal ne uss kshetr se uthaya tha.


Khair pandit ji netaji se shuru se duri banakar hi chale the. Asif ke pita ko bhi unhone chetaya tha ki apna kaam kare jyada neta ke pichhe na jaye, lekin pata na ye neta log kaun se nashe ki ghutti logon ko pilate hain, ek baar jisne sath pakda fir chhodta hi nahi, bhale hi uska neta kitni bhi partiyon ko chhodta aur pakadta rahe. Ek to UP ki rivelary wali politics usme bhi koi ubharta chhota se bada neta banne ki kosis kare…


Makhan laal Chaturvedi ki dushmani Asif ke pita ke sath kayi logon ko chukani padi thi. Apne pati ke gujar jane se Asif ki maa kafi hatash thi. Bechari ki kuchh sal purv shadi hui thi, Asif tab 4 sal ka raha hoga. Gode me 1 sal se bhi chhoti bacchi Jannat thi, jab uske pati ke marne ki khabar aayi thi.


Khair bahut kast Asif ke maa ne bhi jhele the. Khud ke hi rishtedaron ki buri najar. Laucknow ki chhoti si sampatti bhi lakhon ki hoti hai fir to Asif ke pita ke hisse me ghar ki achhi sampatti thi. Khud ke rishtedaron ne fir chaha ki aapas me kisi se, dusri shadi karwa de, kisi tarah sampatti hadap le. Lekin salaam us maa ke jajbe ko jise khyal tha apne chhote-chhote bacchon ka..


Rishtedar to lootne me lage the tab ussi ke gali ke kuchh bhavuk logon ne Asif ke rishtedaron se ladai ki thi. Wahi log fir pandit ji se mile aur Asif ke ghar me rojagar ka koi jariya ho iss par charcha hui thi. Tab pandit ji ek bulaye par neta Makhan Lal Chaturvedi wahan pahuncha. Kuchh sarkari fayda aur permanent income ka jugad lagaya gaya.


Ussi ke khchh sal baad Asif ki maa ko lag gaya ki chhote se uske bete ko sampatti ke liye jaan bujh kar barbaad kiya ja raha hai. Lagbhag tab se pahle Asif aur uske baad Jannat ke liye pandit ji ka ghar gurukul tha. Jahan kuchh abhibhavak apne bacchon ko subah chhod jaya karte the aur sham ko wapas lene aate the.


Us daur ki bhi apni kahani thi, jiski mukhya patr rahi thi Asif ki maa jisne apne hi parivar se lad kar apne bacche ko pali thi aur uske adhikaron ke liye kabhi compromise nahi ki.


Vyas aur Asif shuru se hi neta ji ke parivar se duri bana kar rakhne me hi vishwas rakhte the. Haan lekin cricket ke karan Sagar Chaturvedi se roj ki mulakat lajmi thi aur wahin Riaz bhi mila karta tha. Halanki Vyas aur Asif ke aapas ki kahani bhi shurwat me kafi uljhi hui thi. Dono me utne hi serious jhagde bhi hote the. Lekin high school se pahle dono ki cricket shuru ho chuki thi aur cricket ne fir kafi majboot connection jod diya, sath to waise bhi pahle se hi rahte the.


Vyas aur Asif to duri banakar chalta tha, lekin Riaz, Sagar se kuchh jyada hi close sa rahta tha. Kabaddi khel kar charo laut rahe the. Charo ussi chay ki dukan par chal diye jahan kal ki baithak hui thi... aur inke baithak ka adda..


Sagar se baat karte huye, Asif aur Vyas ne usse Noor ke yahan se 2 carore 40 lakh collect karwa lene ke liye bol diya. Charo kee subah-subah chay par charcha hone lagi. Jahan pata chala 3 hafte baad Mount Abu me ek mansoon wedding plan ki gayi hai. Ahmadabad ke kisi businessman ke ladke ki shadi, Chaturvedi ke kisi pahchan ke businessman aur politician ki beti ke sath hai.


In logon ko bhi chalne ka offer mila, lekin Vyas aur Asif taal gaye. Unhe kisi neta ke beta ka chamcha kahalwane ka jarra bhi shauk nahi thi. Wahin Riaz pahle to jid par adaa raha lekin jab ye dono nahi maane tab Riaz ne bhi apna jana cancel kar diya.


Mount Abu, mansoon me yahan ki khubsoorti bhi nikhar si aati hai. Som bhi Shilong se issi shadi ke liye nikla tha.






<---------------{ }------------>

Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye

<---------------{ }------------>

Awesome update
 
  • Like
Reactions: Rawat@7

Tiger 786

Well-Known Member
6,204
22,511
173
Update:-6




Mount Abu, mansoon me yahan ki khubsoorti bhi nikhar si aati hai. Som bhi Shilong se issi shadi ke liye nikla tha. Shadi ke 12 din pahle Som Mount Abu pahunch chuka tha. Wahi jataon wali baal, chehre par dadhi. Aankh nashe me dubi hui. Jaise hi reception par pahuncha usse rok liya gaya... "Hello kya kaam hai"


Som:- Jugnu Jadeja se milna hai... Ussi ne bulaya tha…


Resort manager usse upar se niche ghurte... "Jugnu Jadeja ne tumhe bulaya tha. Gando thay gayo (pagal ho gaya hai)"


Manager ki baat sun kar sabhi hasne lage. Itne me ek 23-24 varshiya ati-khubsoorat Gujrati ladki, shoot-tie pahne kisi corporate ke high level executive ki tarah chali aa rahi thi. High hills par uski lachakti chaal. Khule baal lahrate huye aur pichhe se 2 assistant madam-madam karte. Ek najar uski Som par bhi gayi. Dekh kar hi ajib sa chehra ban gaya tha. Baharhaal wah apne kaam se kaam rakhti, reception ki lobby me matha pakad kar baith gayi.


Assistant aur uss ladki ke bich kuchh der tak baat chit chalti rahi. Wo chidh kar jod se kahne lagi…. "Kisne hier kiya tha usse"…


Reception par khade sab yah tamasha dekh rahe the. Issi bich receptionist ne thoda uncha awaj me kahne laga... "Jugnu madam ye mahasay aap ko dundh rahe the"


Som uss receptionist ko dekh kar najron se thanks kahne laga. Najro se hi usne bhi you welcome kaha.… "Hello you, kya kaam hai mujhse"… Jugnu apni jagah baithi chutki baja kar sawal karne lagi...


Som:- Mujhe aaj subah yahan 8 baje report karne kaha gaya tha. Baki kaam to tum bataogi...


Jugnu usse upar se niche tak dekhti... "Lancer"


Som:- Haan..


Jugnu:- What the hell... Ek to 12 ghante late. Upar se yahan kya modeling ho rahi hai jo tumhe taiyar karwa'kar ramp par chala dun... Ye kaisa huliya hai...


Som:- Tumhe huliya chahiye ya kaam..


Jugnu:- Dono...


Som:- Haan to dono le lo. Lekin charge double lagega aur mere baal ko koi hath nahi lagayega.


Jugnu:- Kya musibat hai. Suno tum se koi kaam nahi karwana, jao yahan se. Aur tum dono kya sara din madam-madam karte rahte ho. Ek dhang ka freelancer hier nahi kar sakte the...


Wo apne me lagi rahi. Som receptionist ko dekhte... "Wi-Fi milega kya?"


Receptionist:- Haan lekin chargeble hai…


Som:- Koi issue nahi hai.. Password..


Som password lete huye, apna laptop on kiya. Site par ja kar check karne laga, freelancer service ke liye kin-kin logon ne uss se sampark kiya tha. Dekhte huye uski najar same resort ke request par gayi.… "Yahan Alfredo kaun hai"


Manager:- Alfredo sir 11 baje aate hain…


Som:- Usse call laga kar kaho Som aaya hai..


Manager:- Pahle Jugnu madam ab Alfredo sir. Tum ho kaun bhai...


Som:- Jyada socho mat. Call lagao.


Manager:- Wo yahan ke owner hain, hum aise hi call nahi laga sakte.


Som:- Soch lo. Kahin usse pata chala ki main yahan aaya tha aur tumne bataya nahi to ho sakta hai ki tumhari job chali jaye..


Manager kuchh soch kar call laga diya. Alfredo ne udhar se jo kaha ho. Manager call rakhte huye... "Jugnu madam aap ko resort me jahan jo kuchh bhi taangna hai, aap Lancer sir ko bata dijiye. Ye sara kaam karwa denge"


Jugnu apne assistant se baat bhi kar rahi thi aur Som ke khel ko bhi dekh rahi thi. Manager ke baat se wo chidhti hui kahne lagi.… "Humare log kya kil thok kar tumhare resort ko tod dete jo isse main samjha dun ki kahan kya lagna hai"


Som:- Room key do. 11 baje se sham 5 baje tak ki meri service hai. Ye baat dhyan me rahe aur main kisi ek ke bulane se hi respond karunga. Ya to abhi bata do ki kaun mujhe kaam batayega ya 11 baje mere darvaje par bhej dena.


Jugnu ke manaa karne ke baad Som apne khali samay ka kaam le'kar chalta bana. Subah ke 11 baj rahe the. Darvaje ki ghanti baji. Jugnu madam darvaje par khadi dastak de rahi thi. Som ne ghadi dekha aur darvaje se bahar aa gaya.


Jugnu:- 2 minute baith kar baat kar sakte hain kya?


Som:- Bilkul..


Som apni baat kah kar aage badhne laga... "Hello room yahan hai, tum kahan ja rahe"


Som:- Main apne kamre me kisi ko allowed nahi karta, aur na hi kisi dusre ke kamre me samay bitana pasand karta hun...


"Kya musibat hai. Kahan kahan se namune chale aate hain"… Jugnu jhunjhlati hui apni baat kahi aur Som ko apne pichhe aane ke liye kahi... Jugnu kahti rahi, Som charo ore ka najara lete huye chal raha tha.


Dono ek bade se hall ke pass pahunche, Jugnu apna hath samne dikhati…. "Look this is it"..


Som:- Mansoon wedding me bhi hall ko decorate karna pada to Mount Abu aane ka fayda kya hua... Jitne kharch me hall ko renovate karne ka soch rahi ho, uske 30% cost me sara arrangements bahar ho jayega...


Jugnu:- Shadi me 12 din rah gaye hain… bahar ka kaam me thodi bhi gadbad hui to naam kharab ho jayega...


Som:- Ohk tumhe hall ke ander bus ground support chahiye na.. .


Jugnu:- Ye log wall drill bhi nahi karne de rahe hain…


Som:- Yahan renovate karne walon ko bhej do... Wall aur ground ke base ko main aaj clear kar deta hun… aur kuch Jugnu…


Jugnu:- Nahi abhi itna hi. By the way tum outdoor mandap ki baat kar rahe the, mere dimag me wahi baat strike kar rahi hai. Socha to maine bhi tha, lekin jo theme main chahti hun waisa theme possible nahi ho pa raha aur main compromise kar ke kaam nahi karna chahti…


Som:- Theme kya hai...


Jugnu:- Main chahti hun ki log khuli aankhon se upar se barish ko dekhe... Plastic ke samiyane par main tarah-tarah ke effect daal'kar bore ho gayi hun. Glass work ka idea bhi set hai, lekin..


Som:- Lekin kya..


Jugnu:- Kanch ki chhat tooti to main kahin muh dikhane ke kabil nahi rahungi…


Som:- Kanch waise bhi risky hoga. Tum 3d effect kyon nahi try karti. Apne hisab se apna best outdoor mandap do. Upar ki celing plastic ka dena... ..


Jugnu:- Rahne do... Sab bakwas idea hai… ander ka kaam kare.. ..


Som apne hisse ke kaam me lag gaya. Lagbhag 3 baje tak wo apna kaam khatm kar chuka tha. Jugnu uske kaam ki speed aur perfection dekh kar kafi khush thi.


2 aur aise jagah the jahan resort owner ne mana kar diya tha wahan koi bhi drill machine nahi chalegi. 2 me se 1 jagah Jugnu usse dikhati hui kahne lagi... "Yahan bhi mujhe ground support chahiye"


Som ne samay dekha aur uss jagah ka kaam. Ghadi ke ore dhyan dilate huye, "Aaj ke din ke dedh ghante (1.5) bache huye hai".


Jugnu:- Kuchh aaj kar lo, kuchh kar lena.


Som ne koi jawab nahi diya aur apna kaam me lag gaya. Jugnu subah jab uss dusre hall ko dekhne pahunchi, usse dekh kar kafi aaschrya hua ki yahan ka kaam bhi samapt hai.


Jugnu ko afsos sa hone laga tha ki itne achhe kaam karne wale ko mana kar dee. Sath hi usse ye bhi samjh me aa chuka tha ki kyon wo uske mana karne ke baad bhi chup chap apne dusre Clint ko check karne laga.


Jugnu jaise hi uske darwaje par pahunchi, wahan ka gate bahar se lock tha aur darwaje par chhota sa sandesh chipka hua tha…. "Kal 2 ghante extra lage the kaam poora karne me".


Pata karne wo reception par pahunchi. Wahan Jugnu ki mulakat resort owner Alfredo se ho gayi. Kuchh aupcharik baat ke baad Jugnu ne uss se Som ke baare me puchh liya.


Alfredo ne bataya 2 sal pahle ek service ke liye usse hier kiya tha. Wo best service provider hai, jise phone kar ke kabhi bulana nahi padta, bilkul jitne baje ka samay diya hai uss se jara bhi upar niche nahi ho sakta. Kaam hath me leta hai to tab tak nahi uth'ta jab tak poora na ho jaye. Kabhi over time nahi karta isliye extra time wo next day me se kaat leta hai.


Baton ke dauran hi pata chala ki Alfredo khud pichhli baar se le kar iss baar, uss se ek meeting karna chahta tha. Lekin kaam khatm hone ke baad wo kisi se milta nahi aur kaam ke waqt wo kewal kaam ki baat aur apna kaam karta hai, koi bhi usse divert nahi kar sakta.


Jugnu:- Alfredo abhi kahan milega...


Alfredo:- Pahle apne liye good news sun lo. Celing ke liye hard plastic rent par mil jayega. Haan lekin uske plastic me bhi kahin se extra chhed nahi chahiye, kaho to main manga dun. Tum chaho to oudoor arrangements ab aaram se kar sakti ho. Rahi baat Lancer ki to pata nahi Mount Abu me wo kahan hoga...


Som subah hi nikla. Ghumte huye wo pahuncha tha bharat ke ek mashoor boarding school ke darvaje par. Aankh munda. Chehre par sukoon ki muskan thi. Kisi ke kandhe par hath dalne se Som apni khoyi chetna se bahar aaya.… "Purusom"


Som ne najar dala. Dekh kar hasne laga. 2 kadam pichhe liya aur kan pakad kar uthak baitha karne laga. Wo budhi lady usse dekh kar hasne lagi. Haton ke ishare se Som ko apne karib bulayi aur usse gale se lagati, sar par hath ferti.… "Abhi mujh se bhi lamba ho gaya. Haan".


"Kaisi hain madam aap"


"Achhi hun"


"Aaj mujhe breakfast nahi karwaogi"


Madam kuchh sankoch karne lagi. Lekin Som jid karta raha. Madam muskura kar anth me haan kah di. Som madam ke sath unke ghar pahuncha. Wahi poorani yaden. Kuchh bhi to nahi badla tha. Chhote chhote 12 cottage. Charo ore hariyali aur bagvani.


Bilkul bich me bana unke padhane ki jagah. Baans ke support par tiki wo phush ki chhat. Niche aaj bhi baithne ke liye jamin thi, jahan carorepati aur arabpati ke ladke bacche bhi niche baith kar madam se padha karte the.


Som uss jagah ko dekhte huye wahan pahunch gaya. Niche jamin par baith gaya... Ander bhavnatak judav aisa tha ki man vibhor ho gaya.… "Madam ek class to lijiye"


Madam:- Come here Som, ab wahan class band ho gayi hai...


Som:- Nahi madam please..


Madam muskurati hui Som ko wahin baithne kahi. Madam ek cottage me gayi aur kuchh der baad ek ladka wahi poorani lakdi ki kursi le kar aa raha tha, jis par madam baith kar padhaya karti thi.


Madam ka chair apni jagah lagi. Hathon me ek patli si chhadi... "Purusom aaj ki class chalegi, 2 sal pahle jab Purusom school aaya tha tab ek ladki ke propose karne par ground me uske dost aur anya student ke samne usse thappad kyon mara"


"Madammmm"


Madam chhadi dikhati... "Koi apatti hai kya iss sawal se to mere pass aa'kar kaho"


Som apne dono hath uthate... "Bilkul nahi, main yahin khush hun. Aur rahi baat uss ladki ki to bacchi thi madam. Usse crush tha isliye uska dhyan padhai par lagane bola tha"


Madam:- Come here


Som:- No..


Madam:- Tumhe pata hai kyon main bula rahi hun...


Som chhota sa muh banate... "Kisi bhi insan ko, fir chahe achha insan ho ya bura, usse kabhi bhi uske family & friends ke samne aise situation me nahi dalna, jis vajah se samne wala bejjat feel kare..


Madam:- And what you did?


Som:- Sorry madam..


Madam:- Do I ask about your appology? Main jo puchhi uska jawab chahiye..


Som:- Usse maine uske doston ke bich embarrasse kiya...


Madam ne jab Som ko maarna shuru ki fir koi lihaj nahi tha ki wo ek alumni student hai. Wahi emotion, wahi chhadi, aur utne hi tej chhadi badan par padti. Jaha pada badan par chhadi ke nishan chhap gaye.






<---------------{ }------------>

Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye

<---------------{ }------------>

Bohot badiya update
 
  • Like
Reactions: Rawat@7
Top