• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

Tiger 786

Well-Known Member
6,217
22,564
173
Update:-13





Lata wahin round table par apna sar rakh kar phoot phoot kar rone lagi... "Tu pahle kyon nahi aaya Som. Kyon sab se dur gaya tha. Tujhe mehsus nahi hua kya hum kitne dard me hain."


Som, Lata ke chehre se aanshu saaf karte... "Mishrayan ji abhi aa gaya hun na... Rona band karo"…


Lata:- Aaj mera beta hota to mujhe itna dard jhelna nahi padta na...


Som:- Beta bahar naukri kar raha hota tab kya karti? Apni galti nahi dekho. Sia se baat hoti thi na, usse kyon na kuchh batayi?


Lata:- Uss bacchi se main kya kahti... Bula leti usse England se... Kahti tera bhai nakara hai isliye tu meri paresaniyan samajh. Aur wo yahan kyon nahi aayi.. Bharat laut to aayi hai...


Som:- Fir se bhawuk. Sab kuchh jante huye bhi.... Sia kyon nahi aayegi kya aap ko pata nahi ya Diksha ko pata nahi...


Lata:- Topic change mat kar... Mishra ji yadi faansi laga lete to sirf tu jimmedar hota...


Som dono hath jodte... "Mishrayan ji, bus bhi karo. Warna main hi faansi laga lunga. Guilt to pahle se feel ho raha hai..."


Lata:- Tu kahan tha itne sal...


Som:- Freelance job kar raha tha. Jahan jisne kaam diya kar diya..


Lata:- Marpit wala na... Tu rowdygiri ka business online karta hai na...


Som:- Areee mishrayan ji kitna ghusogi mere ander. Mar pit wala kaam nahi leta main...


Lata:- Jhut mat bol tujhe jhoot bolna nahi aata. Waise tujhe bolna bhi kahan aata hai...


Som:- Uda lo mazak... Aap se baat nahi karta kya?


Lata:- 6 sal lag gaye the humse khul kar baat karne me… Tu kyon aise bhatakti zindgi chun raha hai... Shadi kar le aur aaram se apne baap ki company dekh...


Som:- Aap ka matlab hai Diksha jo company chhod jayegi usse…


Lata:- Company hum dono ke naam par hai.. Diksha ki kaise hui...


Som:- Daru pini hai…


Lata:- Chhi chhi... Tujhe shrm nahi aati aisi baat puchhte...


Som:- To jao na.. yahan abhi pine ka programe hai..


Lata:- Jab itna bol hi diya hai beta to thik hai laa glass, main bhi tere sath hi baith kar aaj pi hi leti hun..


Som:- Fir se drame... Aap ko sab pata hai...


Lata:- Jab itni izzat deta hai to pita hi kyon hai... Aur wo kya gandi lat lagi hai chilam ki tujhe. Usse chhod de..


Som:- Ek topic par stick raho na… kyon mere pichhe padi ho...


Lata:- Maine apne damad ki jo supadi dee thi wo kaam kab hoga?


Som:- Ye ek aur naya drama. 2 din hai shadi me. Kabhi bhi pakad lunga. Chup, poori baat pahle suno. Pakadne se pahle bula lunga. Matter close ab bhago jaldi...


Lata:- Ye to secondary matter close hua beta, primary ab bhi baki hai. Tu shadi kar le...



Som:- Not again... Ab ye dobara shuru...


"Maa sahi to kah rahi hai"… Diksha wahan aati hui kahne lagi...


Som apne dono hath failate…. "Tum bhi"..


Lata, apne hone wale damad ko dekh kar sidhi hui, apni huliya thik ki lekin tab tak Pranshu samajh gaya..... "Mom aap ro rahi thi"…


Diksha:- Aaj fursat se mil rahi thi na, sab uagal diya hoga... Ek ek baat..


Pranshu:- But first day, jab tum dono mile the to mom ne tumhe thappad lagaya tha...


Diksha:- Ristedaron ke kalejon ko thandak pahunchane ke liye…


Pranshu:- Aur wo papa ji ka gussa...


Diksha:- Duffer, har kisi ke liye seperately kahun ki drama kar rahe the...


Lata:- Side topic mat shuru karo abhi Som ke shadi ki baat ho rahi thi…


Diksha:- Ye dono (Amit aur Madhurima) nahi aaye kya ab tak...


Lata:- Kaun dono…


Som:- Call kar le na Diksha...


Lata, Som ko aise aankhen dikhayi mano kha jayegi. Som isharon me hi shant rahne ke liye bol diya. Itne me Diksha wahan se chali gayi. Uske jate hi Lata kuchh ishara karne lagi aur Som na me sar hilane laga... 3-4 baar aise hi repeat hota raha...


Pranshu:- Kya hua aap dono ye isharon isharon me kya kah rahe ho...


Lata:- Dekh puchh liya isne...


Som:- Mishrayan ji pagal ho gayi ho...


Pranshu:- What Mishrayan...


Lata, Pranshu ke reaction ko ignore karti…. "Main hi shuru karti hun"…


Som:- Pagal ruko... Main karta hun...


Pranshu:- I think mujhe yahan nahi hona chahiye… Kuchh bhi samjh me nahi aa raha hai.


Som:- Sir ek minute yahan pass baith jaeye...


Pranshu jaise hi uske karib baitha, Som uske gale ki tie ko fanda bana'kar khinch diya aur sar ko table se chipka diya. Pranshu chhatpata raha tha, wo chilla na paye isliye uska muh band kar diya... 20 second dum ghutne ki haalat me rakha fir Som ne chhod diya...


Pranshu tej-tej shwans lete dono ko ghurkar dekhne laga… kuchh der dekhta raha... "Dono pagal ho kya?"


Lata:- Achhe se mil kar aap se baat nahi hui thi na damad ji. Mishra ji ko aap pasand aa gaye. Meri beti ne haan kah diya. Main na to thik se mili aur na apni baat samjha payi...


Pranshu sawaliya najron se dekhte.… "Kaun si baat"


Lata:- Mere paitrik khandan me kewal gunde hi paida liye the. UP ke dabang Mishra jamindar family. Meri kismat, Mishra ji jaise sudhh aadmi se shadi hui. Abhi kal Diksha ke mama aayenge to samjh jaoge uska nanihal..


Som:- Itni boundry baandhni jaroori hai kya? Abhi main kuchh bol dunga to muh chhota ho jayega...


Lata:- Chup kar... Suno jamai babu, meri beti apne papa par gayi hai. Lekin ye mera beta Mishra kee munchhen tight rakhta hai...


Pranshu:- Ye bhi Mishra hai kya…


Lata Mishra, Pranshu ko dekh kar shant rahne ka ishara karti... "Mera beta hai to hua na Mishra... Point par aati hun... Yadi meri beti ko jarra bhi taklif hui to tumhe chhod'kar, tumhara poora khandan gayab ho jayega, aur tumhe sirf jinda chhodenge. Bistar par tumhe sari umr paal lenge... Isliye."


Pranshu:- Isliye mujhe sasur ji kahte the ki Neta ke naam se kewal bhay ka mahol paida kiya gaya hai. Asli neta kaun hai wo samjh jaoge...


Lata:- Sahi samjhe... Mishra ji ki mujh se shadi na hui hoti na to uska bada bhai aur uske khud ke maa-baap kab ka katora pakda kar nikal dete... Pariwar me balance hona chahiye... Kya samjhe..


Pranshu:- Haan haan samjh gaya...


Lata:- Kya samjhe??


Pranshu:- Yahi ki meri kaki (Sugandha) sach kahti hai... Ladki aur uske papa ko chhod'kar tera poora sasural mental hai aur sabse jyada mental aur awara wo Som hai...


Som:- Mishrayan ji thoda daring wala lagta hai. Bina dare bol gaya. Pass kar dete hain... Suno Pranshu babu.... We are family. Yahan koi ek rota hai to dard sabko hota hai... Isliye khushi share karo ki na karo..


Pranshu:- Gum share kar dunga... Ek baat batao mere bacche tumhe kya bulayenge Som....


Lata:- Mama to nahi hi bulayega, jyada deep ghusoge to papa bolna sikha dungi, chalega na...


Pranshu:- You are insane.. What to say..


Lata:- Oye convent baby, main UP ke sarkari school me padhi hun... Tum logon ki tarah hi-fi school nahi gayi... Bolo to kuchh deshi gali sikha dun.. jaise ki teri...


Som muh par haath daalte… "Bus bhi karo Lata Mishra. Daughter of Gajendr Mishra. Ek hi din me apne poore tevar na dikhao"...


Paranshu, Apne dono hath jodte…. "God damnn.. kya ho aap dono... Main to Saurastra ke 2 theth rajputon ko jaise dekh raha hun. Don't worry 2 generation pahle tak humare yahan bhi sab aap jaise hi the. Wo to Gujrat me thoda humara dab daba kamjor padne laga tha isliye hume business me ghusna pada. Warna humara itihas Somnath batayega"..


Lata:- To itni der se kya hume samjhne ki kosis kar raha tha...


Pranshu:- Haan thoda thoda... Love you mom. Aap kamal ki ho aur ye Som uss se bhi jyada kamal ka.. pahle aatack fir baat chit...


Lata:- To apni kaki ki ladki Jugnu se iske rishte ki baat kar...


Pranshu:- Suno sasu maa. Mishra ke muchhon ko tight rakhne wala aap ka beta itna daringbaaj ladka hai to sidha kaho hath pakad kar bich sabha me propose kare. Himmat ki kadr humare yahan aap se jyada hai. Abhi humare gaanv ke itihaas se aap parichit nahi ho na...


Lata:- Ja mere sher iski kaki ne teri bahut bejjati ki hai. Ja kar utha la Jugnu ko. Propose sidha suhagraat me karna...


Paranshu:- Waise to meri Kaki ko ye futi aankh nahi bhata hai, lekin isne mardangi dikhayi na to poora ghar raaji hoga. Waise mujhe jahan tak lagta hai Jugnu bhi isse pasand karti hai. Kewal iske chilam ko chhod kar.


Lata:- Oye maun.. kuchh to bol... Kab se hum dono teri baat kar rahe. Beta kyon chup rah kar meri bejjati karwa raha hai. Kuchh to bol Som. Areee mere liye itna hi kah de yahan nahi uske ghar ja kar sara kaand karega.


Som:- Aap ko jana chahiye, Diksha aa rahi hai...


Diksha ki maa Lata, apni beti ko aate dekh uth gayi. Som ke chehre par hath ferti pyar se uske gaal ko chumti, dhime se uske kano me kahne lagi….



"Wo dono (Amit aur Madhurima) mere ghar me the. Humare sath hanse, bole parivar me sadasya ki tarah rahe aur ander hi anader apne yojna par kaam karte rahe. Jab tak baat mere samjh me aati tab tak bahut der ho chuki thi. Sab kand ho chuka tha aur main nahi chahti thi ki mera beta kisi se badla le. Isliye khud me hi santosh kar lee ki jo gaya usse jane do, jo bacha hai usse hi bacha leti hun. Bahut toot gaye the Mishra ji, par Diksha ne sab sambhal liya."


"Lekin dekh, jis din un dono (Amit aur Madurima) ne Diksha se phone par baat kari, ussi din maine apne bete ko sab bata diya. Bataya tha ki nahi. Tune mujh se kaha shadi par kewal dhyan dene aur fir maine palat kar un dono ke bare me socha tak nahi. Isliye tu dil chhota na kar. Shayad upar wala hum sab ke hausle ka imtihaan le rahe the aur hum sab distinction se pass kar liya. Shadi se fursat hoti hun to apni bacchi se milne aaungi."


Lata Mishra apni baat kah kar uthi aur pyar se Pranshu ke chehre par hath ferne lagi. Pranshu bhi chutki lete puchhne laga… "Mammi ji chupke se kya baat kar gayi. Mujhe sun'ne tak nahi di."


Lata Mishra:- Kuchh maa bete ke bich ki baat thi. Jamai babu mujhe maaf kijiyega. Thodi raging to humari bhi banti hai. Diksha hum jaisi nahi hai. Wo bilkul apne papa par gayi hai, isliye thodi chinta hote rahti hai'


Pranshu:- Aap ko ab se happy rahne ki jaroorat hai. Aap ko mayus hone ka mauka nahi dunga....


Diksha ki maa muskurati hui pyar se Pranshu ke sar par hath ferti hui nikal gayi. Diksha samne se Amit aur Madhurima ko le kar aa rahi thi. Amit aur Madhurima ke chehre aise lag rahe the mano bomb par bitha kar hasne bol diya ho. Dari sahmi si hansi. Paanchon ke peg ban'ne lage...


Diksha:- Yaar sabhi couple me hai... Siway Som ke. Prince can you do something…


Amit:- Disco hai kya jo couple ki jaroorat hogi..


Diksha, chhota sa muh banati… "Sorry thoda stupid tha na ye."


Som:- Kuchh jyada hi. Kya kahenge .. ek ladke ko pine ke liye ek ladki ki company chahiye… anyone please…


Diksha:- Ya, bolne ke baad samjh me aaya... Khair, ye toast... Mere bestie Som ke naam... Prince please abhi hum close nahi hai so don't feel it baby.. jab humari kahani aage badhegi tab iss line ko adjust kar lenge…


Pranshu:- Ya I know honey... Tum itna explain kyon karti ho...


Diksha, Pranshu ke aankhon me dekhti... "You are the best Pranshu. Main shuru se janti thi papa mere liye best hi chunege..."


Pranshu:- Second best... First to koi aur tha…


Diksha:- At least you don't say like that, please...


Madhurima:- Agar ye one to one chat ho gayi ho to hum toast kar len... Ek ne to pina shuru bhi kar diya...


Diskha, Som ko ghurne lagi... Som hawa me glass uthate... "I am very happy… bus karan na puchho aur jaam takra do"


Lambi si mehfil lagi thi. Ek poora khushnuma sa mahol tha. Som, Diksha ka hansta chehra dekh kar ander se kafi khush tha. Pranshu ka vyavhaar bhi dil ko utna hi sukoon dene wala tha. Kahin se ek jarra aisa nahi ki wo dikhane matr ke liye formality kar raha ho, jo aamuman har naya rishta judne ke purv hota hai. 2-3 ghante me aaram se 3-4 peg lene ke baad sabhi ek dusre ko good night bol kar wahan se nikal gaye.


Raat ke takriban 1 baje sab ki night to good ho gayi lekin shayad Som ke liye ye raat kuchh jyada hi lambi hone wali thi. Jis Jugnu ka naam Som ke sath lagaatar joda ja raha tha ek alag hi nafrat ki kahani rach chuka tha, jisme Som aur Diksha ke rishte ko bhi bhari mehfil me uchhalne ki taiyari poori ho chuki thi, taki Diksha aur uska poora parivar Som ko khud bahar ka rasta dikha de.





<---------------{ }------------>

Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye

<---------------{ }------------>

Mind-Blowing update
 

Monty cool

Member
246
870
93
नैन भाई जब स्टोरी सुरु हुई तो सोम को एक फाइटर दिखया गया फिर जब स्टोरी आगे बढ़ी तो पता चला सोम freelence का कम करता है जिसमे उसको जो कॉन्ट्रेक्ट मिलता है उसके मर्जी के मुताबिक कम करता है फिर पता लग की सोम किसी अकेडमी में निशाने बाजी की ट्रेनिंग देता है और अभी लास्ट अपडेट में पता चला की वो एक ख़ुफ़िया बिभाग के किसी दस्ते का बोस है कही ऐसा ना हो की स्टोरी के एन्ड में वो pm पद का उमीदवार निकले 😆😆😆😆
 

Tiger 786

Well-Known Member
6,217
22,564
173
Update:-14



Raat ke takriban 1 baje sab ki night to good ho gayi lekin shayad Som ke liye ye raat kuchh jyada hi lambi hone wali thi. Jis Jugnu ka naam Som ke sath lagaatar joda ja raha tha ek alag hi nafrat ki kahani rach chuka tha, jisme Som aur Diksha ke rishte ko bhi bhari mehfil me uchhalne ki taiyari poori ho chuki thi, taki Diksha aur uska poora parivar Som ko khud bahar ka rasta dikha de..


Sabha khatm karne ke baad Som jab chala aa raha tha, galti se ek baar fir Sugandha ke sath takkar ho gayi.


Sugandha ko takkar marne ke baad Som sorry kahta hua aage badh gaya… "Suno tum"… Som ulte paun wapas aaya… Sugandha usse ghurti hui ek thappad jadti hui… "Ab jao"


Som usse "thank you' kahte chala. Sugandha bhi chalte bani. Som ki najar achanak se ghadi par gayi. Raat ke 1 baje Sugandha reception se laut rahi thi ye baat uske dimag me strike kar gayi. Wo Sugandha ke pichhe gaya. Sugandha ko bhi laga ki koi uske pichhe aa raha hai, wo ruk kar pichhe mudi aur samne se Som ko aate huye dekh rahi thi.


Som:- Kya aap thik hain…


Sugandha:- Main tum jaise ladke ko apne pass dekhna bhi nahi chahti. Baat karna to bahut dur ki baat hai. Ghatiya insan jo apni maa ka na hua wo dusron ka kya hoga..


Itne me Sugandha ke 2 bhatije Mayank aur Roopam wahan pahunch gaye.… "Kaki kitni der laga dee. Nimbu mila…"


Sugandha:- Sorry beta 5 minute sirf iss aawara ke karan der ho gayi.


Roopam:- Kaki thik hai aap hall me jao aur Kalpesh bhaiya ko ye nibu pani do. Main Som sir ko kamre tak chhod aata hun, shayad inhe nimbu pani dene wala koi nahi…


Sugandha jaise hi wahan se hati, Roopam aur Mayank ke sath 4 ladke aur jut gaye…


Mayank:- Doston ye aawara humari Jugnu didi ke pichhe pada hai. Muh bacha kar maarna. Hone wali bhabhi ka ladla hai…


Som khada chup chpa unki suna aur chup chap wahan se jane laga. Som jaise hi apna kadam badhaya ek ladke ne paun me rassi fansa diya. Som ladkhada kar jaise hi gira, turant 2 ladke pith par chadh gaye aur 2 ladke jangh par baith kar uska paun baandh diya. Pith par wala ladka dono hath pichhe se bandh diya.


Som ko utha kar jaldi se uske kamre me le kar aaye. Kamre me lane ke baad uske muh me kapda daal kar chahre ke niche jahan marji wahan laat hath chalate….


Ek ladka Agni:- Tumhare hi tranee hai Som sir. Par kya karen jitni chhut Kalpna madam ne aap ko di thi utna hume na dee. Hum pakde jate hai.


Roopam:- Apne seniors aur teacher ko kaise maarte the sir akele aap. Hume na sikhaoge.


Sath ka ek ladka Aakash.… "Ye sala feku, charsi. Akele iske baap ki aukaad na apne sath wale ko maar le, senior aur teacher ko maarta tha. Sala feku…"


Mayank:- Ye chutiya 5-6 ladkon ke group se maarta hoga aur rowdy akela bana tha.


Agni…. "Aaj hum bhi to apne senior ko maar rahe hain. Sala aise hi maarta tha aur kaise marega. Chutiye ne akele maarne ka aisa hawa failaya tha ki iske chakkar me seniors se ulti pitai hui thi."


Roopam:- Maar sale ko. Ek to dagabaaj group ka creadit akela liya. Upar se sale ka huliya to dekh. Chindi chor. Jugnu didi ko pata raha hai… Sala 2 din se mauka dhundh rahe the… Lekin kabhi akele hi na rahe… Bhabhi ke sath hi rahta aur uske baad kamra lock…


Sabhi ladke bol bhi rahe the aur farsh par lita kar usse maar bhi rahe the. 11th, 12 th me sabhi padhne wale ladke the. Khud se 8-9 sal senior student se pite ja rahe the. Lagbhag adhmari si haalat thi Som ki. Sabhi ladke video record bhi kar rahe the aur dialogues ke sath maarna bhi jari tha. Poori tarah se maarne ke baad Som ko wahin bandha chhod kar nikal gaye.


Unke jate hi Som ne kisi tarah khud ko azad kiya. Call kar ke reception se ek staff ko bulwaya aur thande barf ki sikai chalti rahi. Shukr tha ki kahin koi haddi fracture nahi thi.


Subah der tak jab Som Diksha ke pass nahi pahuncha, Diksha chinta me uske kamre ke pass pahunchi. 3-4 baar khat khatayi, lekin Som ne darwaja nahi khola. Diksha hotel staff ko bula kar uss kamre ka darwaja khulwa kar ander aayi. Ander Som sukoon se leta hua tha.


Diksha uske sar ke pass baith kar uske chehre ko dhyan se dekhne lagi. Pyar se uske balon par hath chalati… "Som uth na. Sommm"..


Som apni aankhen khol kar dekha. Fir aakhen mund kar muskurate huye… "Teri menhdi hai na. Yahan kya kar rahi hai"


Diksha:- Kuchh din tak to mere pass itna rah ki lagne lage pichhla poora gape maintain ho gaya. Mann nahi lag raha tere bina. Uth na Som…


Som:- Menhdi to ladies karyakarm hai na. Wahan mujhe allowed karenge kya…


Diskha:- Hoo .. nude aur strip show chalega kya jo ladkon ko allowed na karenge. Aur yadi aise shows chal rahe hote to mere Purusom Malhotra ji sab ko char thappad lagate kahte… Kya kahta….


Som, hanste huye… "Bloody bitches"


Diskha:- Achha Som tu ab tak virgin hai ya fir…


Som, kuchh der khamosh rahne ke baad.. Virgin…


Diksha:- Som tujhe ladki me intrest kyon nahi…??


Som:- Tujh me nahi hai kya? Ya tu khud ko ladki nahi manti…?


Diksha:- Meri baat alag hai. We grow like brother and sister grow. Bus thodi freedom hai ki main tujh se apni un problems or moments ko bhi share kar sakti hun jo brother se share nahi kar sakti. But I am talking about negative sex attraction… Wo completely nil hai. Aise akele kab tak rahega… Teri chinta hoti hai. Bahut jyada.…


Som:- Main teri shadi enjoy karne aaya hun. Rahi baat teri chinta ki to tere rahte main kabhi akele ho sakta hun kya? Kya shadi ke baad hi ek insan khush rah sakta hai ya uska akelapan dur hoga.


Diskha:- Baton me uljha mat..


Som:- Sorry main kisi point ko proof nahi kar raha. Bus ek baat ka jawab de de… Kya jabardasti meri shadi kar dene se teri chinta dur hogi ya mera koi official pata ho….


Diskha:- Official adress with phone number aur jis ladki se kahun milne, milega. Date karega… pasand aa gayi to baat aage badhayenge.. that's my wedding gift..


Som:- Diya tera wedding gift. Chal ab smile kar…


Diskha:- Simile kya lafter deti hun… Achha Som tujhe Jugnu kaisi lagti hai…


Som:- Jugnu ke liye mujhe 6 ladke kal raat bandh kar maare hain…


Diksha:- Juniors

Som:- Haan, super juniors..


Diksha:- Sorry shayad main reason hun. Mujhe unke samne school ke seniors ki pitai ki baat nahi karni chahiye thi…


Som:- Kya ho gaya hai in ladkon ko. Khud ko proof karne ke liye bandh kar pit rahe hain.


Diksha:- Tujhe kahan kahan chot lagi hai..?


Som:- Minior internal injury hai. Aaj subah-subah hospital se full check-up karva kar aaya tha. Jyada gadbad hoti to fir hafte din aage teri shadi le jata lekin poora enjoy kar ke jata. Hat ab chalte hain… teri menhdi bhi to hai… Woohoo.. abhi hum dono 2 peg lagayenge aur fir… Yoo masti time..


Diksha:- No, mujhe kayi tarah ke pooja par baithna hoga. Alag alag rashmen hongi…


Som:- Chal thik hai. Tu ja main aaya..


Diksha:- Jaldi aana re Purusom


Som:- Main chidha dunga to rone lagegi…


Diksha:- Aaj aur kal mat rulana please…


Diksha wahan se nikal gayi. Som bhi taiyar ho kar pahunch gaya. Lawn ke ek hisse me hi menhdi program rakha gaya tha. Ek kinare ladke wale dusre kinare ladki wale. Diksha, Som ko apne pass hi bithayi. Rashmen nibhayi ja rahi thi aur Diksha, Som ke kandhe se sar tika kar itne dhimi baat kar rahi thi ki hath me haldi lagane wale tak uski baat nahi sun pa rahe the. Ek ghanta bita hoga jab dulhe paksh ke, dulhe ke rishte ke bhai-bahan ek sath pahunche the. Shayad mahol jamane ke liye liitle-little le kar aaye hon. Ladke walon ke side se jor se hooting ke sath comments shuru ho gaye…


"Hone wali bhabhi, dahej me ek bun puppi la rahi hai kya? Hath hi nahi chhod rahi ye to."


"Bhabhi to sir tikaye muskura'kar kitne pyar se baat kar rahi. Hum se kabhi baten kar leti bhabhi"

"Kyon Som sir fit dikh rahe hain kafi. Lagta hai raat ko achhi exercise hui hai"

"Aaj to Som sir bhi menhdi lagayenge. Kyon sir"

"Raat ko suna tha muh tootne bach gaya tha. Itna gaanja kyon foonkte ho sar. Saste nashe ka concept aap ko hi dekh kar aaya hoga."

"Are itne salon tak school me chipke rahe dono.. ab to chhod do bhabhi. Thoda humare bhai ka bhi khyal rahkho"

"Waise bechare humare Som sir, apni ex ko khud apne hatho se vida karenge.. Kaleja hona chahiye"..

"Humare bhai ki kismat. Pahla dulha hoga jo Dulhan ke ex boyfriend ko uske pass baithna allowed bhi kiya hai aur ek aakhri baar dono ke emotion share karne ka mauka de rahe"

"Mujhe to lagta hai ek couple ne apna relation safe karne ke liye ek filmy dosti ka concept develope kiya hai. Kya kahti ho bhabhi, direct bf bol deti, hum sab ke bhi hain… ab to chhod do…"


Ek ke baad lagataar comments aane lage the. Sabhi teenagers hansi mazak me kuchh jyada hi ander ghus gaye. Paranshu kuchh bolne ko hua tab Diksha usse kuchh na react karne ka ishara kar rahi dee. Ladka paksh wale hans kar un ladke ladkiyon ko protsahit karte huye kah rahe the, "ye bus fun hai aur mazak ka jawab mazak me de. Hume Diksha aur Som ke bare me koi galat feeling nahi"…





<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>

Bohot badiya update
 

Tiger 786

Well-Known Member
6,217
22,564
173
Update:-15




Diksha samajh rahi thi ki ye comments kis refrence me aa rahe the. Gussa to usse khub aaya, lekin chehre se bhavna jahir na karti…


Diksha:- Kuchh to bol Som. Kewal wahi bol rahe hain. Bejjati ho jayegi…


Som:- Lekin main kya bolun…


Diksha:- Jo bhi bol, unke kaleje me aisi aag lag jani chahiye ki tujhe maarne ke liye fir se vyakul ho jaye…


Som, Diksha ke gaal ko thap-thapate huye khada ho gaya. Comments aur hooting ab bhi jari the…


"Hello kids. I m your Som sir. Diksha mujh se boli……"


"Kyon sir wahi bolegi to aap bolenge warna bolne nahi aata hai kya"… Ladkon walon ke ore se bich me kisi ne bola…


"Bolne ka yahi matlab na, tum mujhe koso, galiyan do, tarifen karo ya apni aap biti sunao, ye sab bakwas hai mere liye. Jaise main abhi kar raha hun aur tum sab sun rahe ho. Isse hi bolna kahte ho na"


Ladke paksh se ek ladki… "Mature nahi hai na sir jo desh ki politics discuss kare. Sab aise hi baat karte hain"..


"Kisi anjaan se to nahi karte na usse pakad kar. Som sir ka ek close Diksha hai aur Som sir ke pass itna waqt nahi ki ek Diksha se poori baat kar le, fir kyon ummid lagaye baithe ho ki Som sir kisi ko aa kar tokega. Basically isse clarification kahte hain jo tum jaise faltu log sun'na pasand karte ho, ki wo falana kyon aisa karta hai ya kyon aisa nahi karta?


"Bich me kisi ko rok kar chilla kar apni baat rakh rahe… Basically tum logon ko itne faltu baat karne ki aadat ho gayi hai ki apne bolne ke mauke par faltu ki bakwas karoge. Aur jab tumhari baton ka jaise hi jawab milna shuru hoga tab tumhe yaad aata hai ki ohhh mera ye point rah gaya."


"Hello over smart babies, ek baar me jab 20 log mil kar kisi ko gher rahe the tab point dimag me nahi aaya jo dusre ke point sun ne ke baad tumhe baat yaad aa rahi. Itne faltu ho gaye ki tumhare faltu dimag me point tab yaad aa rahe hain jab koi bolna shuru kiya. Wo bhi uss insan ki baat sun kar tumhe point yaad aa rahe jiske liye nafrat dikha rahe the. Kitna faltu ho gaye ho. Madam yahan hoti to chhadi se maar kar chamdi udher deti"


"Aur ye chilla kar bich me baat katna ko kya over smartness samjhte ho. Bahut jyada smartness dikhane ke chakkar me khud ko certify kar rahe ho ki dekh lo kitne faltu hai hum. Ummid hai ab khud ko faltu sabit nahi karoge"..


"Back to the point mere dost ne kaha kuchh to bolo. Hum ladki walon ki bejjati ho rahi hai. Ab tum logon ki tarah main kaun sa aisa faltu teasing pados dun jo bhid ko sun'ne me achha lage. Khair, dimag in mamlon me itna nahi chalta. Mujhe facts kahne aate hain aur main facts hi kahta hun. Koi mathematician ho to haath utha dena shayad aage jaroorat pade."


"Bahut sal pahle main boarding school me aaya tha. Kafi dara hua sa aur jo bahri outlook hota hai wo bilkul aaj ki tarah hi uss umr me bhi tha. Boarding ke pahle din se hi ek miss ko rakha gaya tha hume ready kar ke class me bhejne ke liye. Miss Rosa, usne apne hath khade kar diye. Kalpna madam ne bhi unhe bol diya tha… "Leave that child. Jaise rahta hai rahne do"


"Maine bilkul shuru se shuru kiya hai lekin quick glimps lenge poore facts par. So mere huliye ki wajah se koi ek student nahi tha, jo mere pass aa kar baithe. Sabhi gardian un 7 din ke demo class me, jahan unhe dikhaya jata tha ki aap ke bacche aap ke bagair kaise honge boarding school me. Un 7 din me koi bhi parent ne apne bacche ko mere pass baithne ke liye allowed nahi kiya. They usually said… "Dirty boy.. ganda ladka hai wo, uske pass mat jao"


"5 din tak mera bench khali tha 6th day Mishra ji aur Mishrayan ji ki ladki, chhoti Diksha ne class me entry li thi. Mujhe aaj bhi acche se yaad hai. Chhoti Diksha… Class ke gate se khadi ho kar kahti hai… "Yahan koi bolta kyon nahi"… Madam ne Diksha se kaha tha, "koi nahi bolta to tum bol lo lekin kisi ek bench par baithne ke baad"…


"Bahut se bench ab bhi khali the jahan parent ko apne bacche ke liye koi sutaible sathi na mile to single bench par bitha do, aage unki destiny school me kaun dost banta hai ya unki kismat me single bench hi likha hai. 1st class me hi har bench par 3-4 students the."


"Parent jane se pahle apne baby ke liye achhe doston ke group pahli class me hi de kar jana chahte the. Apne class aur society se match karne wale parent ke bache aamuman sath me ek bench par hote the. Pahli class me to kayi baar itne bench jud jate ki poora class hi sathi lagta tha aur unme hum jaisa koi bachha ho to single bench hi unki kismat thi"


"Chhoti Diksha pahli aisi ladki thi jo apne parent ke sath class nahi ghumi aur na hi unke parents ne ungli pakad kar apne choice ke student ke bench par bithaya apni beti ko. Wo poore class ghumi aur mere pass aa kar baith gayi, chhoti aur pyari Diksha. Baith kar mujhe bhinch kar gale lagayi chhoti Diksha. Gale lag kar mujh se kahi thi… "Mera naam Diksha Mishra hai, aur tumhara?"


"Ek parent ne dhime se Mishra ji se kaha, "Aap ki beti ek low class boy ke sath baithi hai. Aap 1st class kyon dekhte hain, agle 12 sal yahin rahne wale hain.".. Mishra ji ne muskura kar un mahasay ko jawab diya tha, "fir to meri bacchi iss umr se achhe descision lena sikh gayi hai"


"Mujhe kabhi nahi samjh me aaya unhone kyon aisa kaha. Haan lekin anubhavi insan hai kuchh soch kar hi kaha hoga. 24 ghante me se hum 16 ghante sath hote the. Bache 8 ghanton me sone se lekar har wo seperate kaam ho jate the jo hum sath nahi kar sakte."


"16 ghante, 365 din aur 12 sal.…. Chhota sa Som aur Chhoti si Diksha… Humare bich baap beti, maa beta ya bhai bahan jaisa rishta nahi, warna hume kabhi kisi ko samjhana nahi padta. Lata Mishra aur Kapendra Mishra ko aaj bhi wahi Diksha dikhti hogi, jaisa wo iss duniya me aayi. Haan shabdon me rahta hai badi ho gayi. Body aur physique ko dekh kar wo Diksha ko mazak me ya seriously, direct or indirect kuchh salikha sikha sakte hain. Ya maa beti me thode mazak ho sakta hai, lekin feeling me uss maa ke liye wo pahle din ki hi Diksha rahegi. Thik yahi Pranshu ke parent ke sath bhi hoga… Lekin Chhoti Diksha aur Chhota Som ye nahi samjha sakte kisi ko ki hum aaj bhi ek dusre ke liye chhote-chhote hain."


"Sorry thoda bhavuk ho gaya tha aur sab ke bich rah kar main bhi thoda bakwas karna sikh gaya hun. Facts par aata hun. 16 ghante 365 din aur 12 sal…. Itne waqt ka sath hai humara. Main facts par baat karta hun to facts bata dun. Koi calculate kar ke batayega kisi insan ke sath 1 din me 16 ghante bitao to 12 sal me wo kitne sal ka sath bana"


Kisi ne:- 8 sal


"Chalo isme bhi main 1 sal minus kar deta hun. Kabhi mujhe jana pada ho ya fir kabhi Diksha ko. Ab ek married couple ki life lete hain. 40 sal sath bita liye. Let's check ki in 40 salon me unhone kitna samay ek dusre ke sath bitaya. Aap payenge unke din ya raat ya kisi bhi waqt ke romance time ko chhod diya jaye to ek dusre ke sath muskil se poore din agar 2 ghante bitaye to strong bounding couples kahlate hain jo ki aaj kal rare hain. Social media aane ke baad to ab couple ke ek din ka total spending time 10 minute ka bhi nahi rah gaya hai. Mobile ka screen dekte dekhte romance time aa jata hai aur uss moment me jitni baten ho saki to ho saki"…


"I can say proudly, humare sath hone ka waqt itna lamba hai jitna waqt ek couple apne life time me apne sathi ke sath, purely utna waqt nahi bita pate. Baithkar wo utni der ek dusre se baat nahi kar sakte.
"Haan lekin, ek maa apne bacche ke sath iss se jyada waqt bitati hai. Wo ek din me romance time ko chhod kar, ghar ke kaam bhi karte rahti hai to bhi apne bacche ke sath hi rahti hai. Bacche jab bade ho jate hai, humari tumhari tarah young, to bhi time spend karna pasand karti hai…"


"So mere dost uss school me Diksha apne ek bacche ke sath 12 sal tak thi. Som apne ek bacche ke sath 12 sal tha. Main uska maa tha aur wo mere liye maa thi. Kisi ne kaha ki main rote huye apni ex-girlfriend ko vida karunga.''


"Sach kahun aisa hota to main apna ek toota realtion vida kar raha hota. Lekin abhi mere dost, apni aatma tumhare yahan vida karunga. Rona nahi aayega kya? Yes I am crying.. yes I will cry.. Ab to sukoon tabhi milega jab lagega ki haan Diksha khush hai… Kyonki Mishra aur Mushryan ji ki tarah meri dharkane bhi tej hai, iss baat ko lekar ki nayi jagah naye log aur culture bilkul alag hai, uske aage ka naya safar kaisa hoga?

"Yes I am crying. Kyonki aane wali zindgi me uski priority change ho jayegi. Naye safar me wo mujhe se alag ho jayegi. Ab main uski wo priority nahi rahunga, fir chahe baton se koi kitna bhi tasalli de de. Aa raha hai dost, Iss baat ko soch kar rona aa raha … yess I am caring.. I will cry.. Sorry .. aaj bhavnao me kuchh jyada hi bakwas ho gaya."


Som kahta raha rota raha. Diksha sunti rahi roti rahi. Khada ho kar apni baat kahne wala Som aadhe raste apni kahte-kahte niche biath raha. Baithi hui Diksha roti-roti apna sar Som ke god me rakh chuki thi. Ek kah raha tha dusri sun rahi thi aur aansuon se bhinge aankhon ke pichhe wahi 16X365X12 ki tasveeren chal rahi thi.


Na to wahan fir Diksha ruk payi aur na hi Som. Naa hi iske baad dono ek dusre ko face kar paye, isliye alag-alag rote rahe. 11.30 baje ki menhdi rashm lagbhag 4 baje shuru hui. Dono itna roye the ki aanken suj gayi thi. Lata Mishra ke hath dono ke sar par gaye. Kapendra Mishra dono ko puchkarte rahe. Ji bhar ro liye aur rone ke baad jaise hi uthe dono fir se sath me the.





<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>

Bohot hi emotional update
 

Tiger 786

Well-Known Member
6,217
22,564
173
Update:-16




Na to wahan fir Diksha ruk payi aur na hi Som. Naa hi iske baad dono ek dusre ko face kar paye, isliye alag-alag rote rahe. 11.30 baje ki menhdi rashm lagbhag 4 baje shuru hui. Dono itna roye the ki aanken suj gayi thi. Lata Mishra ke hath dono ke sar par gaye. Kapendra Mishra dono ko puchkarte rahe. Ji bhar ro liye aur rone ke baad jaise hi uthe dono fir se sath me the.


Hanste muskurate. Dono ko sath jab dekha, un 6 ladkon ne kinare le ja kar poore pachtave ke sath, kal raat ke Som ke sath kiye harkat se lekar menhdi rashm me apne abhadr comment ke liye maafi maang rahe the.


Disksha un sab ko samjhati hui bus itna hi kahi.... "Hume koi gila nahi tumne kya kiya. Har umr ki apni maturity hoti hai. Tum sab ko ye lagta ho ki Som ne apne maar khane ki baat mujh se nahi batayi hai to galat ho. Duniya jahan ke jitne bhi log hote hain hum baith kar kuchh apni aur kuchh unki hi to bhavna samjhne ki kosis karte hain"…


Ye pahle ladke wale honge shayad, jahan dulhe ke bhaiyon aur bahno ne, ladki paksh walon ke ore se apne hi bhai aur parivar ko ulta khinch liya hansi mazak me. Kafi hansi khushi ka mahol tha. Bahut saal ke baad wo raat aayi thi jab Som, Diksha ke pass tha. Diksha ka sirhana Som ka gode tha aur Som bistar se tik kar Diksha ke balon me hath ferte uss se baat kar raha tha. Usse sulane ke baad apne kamre me lauta tha aur aa kar sukoon se soya tha...


Diksha ke liye mahol kafi khushnuma sa tha. Zindgi me jaise wo kalpna ki thi, aaj sab tha uske pass. Ek complete friend's arena. Papa ke pasand ke ladke se shadi. Sab kuchh... Usne poorani baten bhula kar apne cousins ko Varanasi jakar khud invite ki thi. Dono bhai to nahi lekin ek chachera bhai pahuncha hua tha. Usse dekh kar Diksha khush thi…. Apne bhai se itna hi kah kar aayi thi, "vivaad har parivar me hote hain lekin anth me pariwar hi kaam aata hai…"


Sharm se uski himmat bhi nahi ho rahi thi apne chacha aur chachi ko face karne ki. Lekin uska yahan swagat samanya roop se hi hua. Mishra ji uss se aise kaam karwa rahe the jaise ladki ka bada bhai karta ho..."


Kul mila kar Diksha bahut khush thi. Aanshu aise ki har baat par aa jate. Kabhi maa aur pitaji ke sath chhut jane ke aanshu, to kabhi unke chehre ki uss bhavna ko mehsus kar ke aanshu aate, jahan ek mata pita apne bacchi ki shadi ka khusnuma samaroh aanshuon me dub kar manate aur dil se khush rahte. Ek fakr jaisa mehsus hona jise kahte hain.


Pass me uske teeno dost. Jiske na hone par zindgi kuchh adhuri si thi. Ek sunapan ka aabhash. Un sathiyon ka jamavda, jinse wo baten bhi share ki jaa sakti thi jo apne better half se nahi kar sakte the. Subah se hi Diksha, Som ki baanhen pakdi, uske kandhe par sar dale, apni dil hi har bhavna saajha kar rahi thi.


Din ke 2 baje Som, Diksha ko chhod kar nikal gaya. Kahta chala, taiyar raho tumhara wedding gift lene ja raha hun. Diksha khush thi, kyonki Kalpna madam aa rahi thi. Jugnu aur Som dono sath nikle. Som drive kar raha tha aur Jugnu, Som ko bade dhyan se dekh rahi thi.


"Jante ho Som sir meri mamma aap se nafrat karti hai"

"Hmmmm"

"Mere dad ka aap ke bare me koi openinon nahi hai"

"Hmmmm"

"You know, meri engagement ho gayi hai, Devanshu ke sath. Aap jante honge shayad, aapse ek sal senior the"

"Hmmmm"

"Hum dono 3 sal se relation me the... I mean usne mujhe propose kiya. Usse main school ke dino se janti thi. Life me waise bhi busy thi. Ghar walon ko bhi ladka pasand tha. So I said yes"..

"Hmmmm"

"But it seems I am in love with you. I love you"


Wheel crouch ki awaj aayi. Gadi apni jagah khadi ho gayi..... "Main kewal tumhe thappad isliye nahi maar raha, kyonki aaj Diksha ki shadi hai aur tum event manager ho. Most important madam ke pass ja rahe hain aur tum unki chaheti ho. Meri jarra bhi ikchha nahi ki madam tumhara laal gaal dekhe ya tum thappad se dipress ho kar Diksha ki shadi ko barbaad kar do. Now say thanks to me"


Jugnu stabdh ho kar Som ka hi chehra dekh rahi thi. Bilkul khamosh aur butt bani. Som dobara apni bhadi aawaz me bolne laga... "I said, say thanks to me"…


"Thanks sir"…


Dono ke bich kuchh der khamoshi pasari rahi. Som school days ki kuchh baton ko yaad karte.… "Ye Devanshu wahi hai na jo baar-baar Ankit ke maar khane ke bare me rumour udata tha. Ya koi aur Devanshu hai"


"Kaun Ankit, jise aap peeta karte the"..


"Your boyfriend was a big lier. Maine Ankit ko kabhi nahi maara. Haan Devanshu alag-alag karno se mujhse pit chuka hai."


"Kyon mara tha usse"


"Yaad nahi, par kuchh to tucchi harkat jaroor kiya hoga. Jao madam ko bula lao"…


Jugnu ander gayi. Khinchti shwans ke sath charo ore ki jani pahchani khushboo apne jehan me khinchi, aur aakar baith gayi apni pathsala me. Ussi maraiyya ke niche jamin par jahan unki class lagti thi. Madam wahan kuchh bachhon ko padha rahi thi. Jugnu ko dekh kar uska chehra padhti hui.. "Abhi fir kya hua, kaun si baat padesan kar rahi hai"


Jugnu:- Chalo jao tum sab ki chutti ho gayi... madam wo Som...


Kalpana Madam:- Kya kiya gadhe ne...


Jugnu:- Akdu kahin ka poora attitude bhada hai..


Madam thoda dhyan se sochti..... "Tumne usse propose kiya kya? Aur kya usne tumhe thappad maara?"


Jugnu:- Haan marne wala tha madam but usne chhod diya?


Kalpna:- Why???


Jugnu:- Huhhh !!! Kahne ka kya matlab hai madam... Maine maar khane layak kaam kiya tha kya?


Kalpna:- Nahi mere knowledge me wo 14 ladki ko thappad maar chuka hai. Ek baar kisi ke propose ke liye khud ko thappad maara tha aur aaj tumhe chhod diya. It's a great story. Reason kya tha tumhe nahi maarne ka...


Jugnu:- Maine yahan ek art exhibition lagaya hai, isliye aap ko sath lene aa rahi thi. Bus iss karan se. (Jutha bahana sachhai chhipa li gayi)


Kalpna:- Ha ha ha. Say thanks to me... Maine tumhe thappd khane se bacha liya...


Jugnu:- Usne bhi jabardasti mujhe se thanks bulwaya madam. Ab pata chala kahan se sikha hai usne..


Kalpna:- Wrong, ye maine uss se sikha tha..


Jugnu:- Madam waise wo dusri ladki kaun thi.


Kalpna:- Of-cource Diksha hogi.


Jugnu:- Hooo !! Diksha di ne Som sir ko propose kiya tha…


Kalpna:- Isme "ho ha" jaisi baat nahi thi. Actually Madhurima and Diksha were close. I thought Som tab 11th me tha. Madhurima proposed him and he slept. Chidh'kar Diksha ne school ke Mike se usse propose kee thi.


Jugnu:- Tab main kahan thi madam.


Kalpna:- Apne ghar... Ye summer vacation ki baat hai. Ab wo Diksha ko thappad to laga nahi sakta tha, isliye gusse me khud hi 8-10 thappad maar liya..


Jugnu:- Then madam...


Kalpna:- As usual jo dono ke bich lambe samay se hota aaya tha… Ek sath hi the. Inke bich kabhi kisi baat ke liye bahas ho sakti thi par aaj tak ruthne manane jaisa kuchh nahi dekha. Oh add Sia name also. Teeno me kabhi ye ruthne manane jaisa na hua...


Kalpna madam apni baat to kah rahi thi lekin Jugnu ki harkaten aur uska body language madam ko kuchh aur kahani bayan kar gayi...Madam apni aankhen dikhati... "Jugnu come here"


Jugnu:- No Madam..


Kaplna madam ghuri aur sahmi si Jugnu pass pahunchi. Madam ke hath me thi chhadi. Aur wo chhadi padna shuru... "Class 1 me aayi thi. Thik se tujhe kapde badalne nahi aata tha, tab se janti hun. Mujh se jhoot"


"Sorry soory sorry… budhiya marna band karo"


"Budhiya bolti hai mujhe... Abhi teri charbi utarti hun... Udhar se line par kaun hai. Tell me truth"


"Bus bhi karo madam. Shwans chadh jayegi. Mere cousins hain aur mera poora parivar. Unka aur mera bet laga tha. I told them... Som waisa nahi hai jaisa wo sochte hain aur un logon ne kaha tha ki maine propose kiya to uske alag hi expression honge. Aatitude bhi hoga to ander se laddu phutnege"…


"Kaun rascal aisa bolta hain. Call disconnect karo aur mujhe batao abhi jo tumne kiya wo wrong tha ya right"


"Sorry madam"


"Jugnu kabhi-kabhi aise mazak serious ho jate hain. Aur tumne aisa doosri baar kiya hai"…


"Sorry madam"


"Band kar. Chal ab, kahan kya dikhane le ja rahi hai"..


Dono bahar aaye. Yun to Som, itne waqt intzar karne se kafi chidha hua tha, lekin Madam aur unke hath ki chhadi dekh kar Som sidha ho gaya.… Madam car me baith'ti.. "That's good gesture. Gussa to nahi aa raha hai"… Madam Som ki felling bhaanp kar usse chhed dee...


Som madam ke dono gaal khincha aur car drive karte... "Sorry in advance"


Madam:- Haan main janti hun. Jhoot bulwa kar Diskha ki shadi me le ja raha hai"


Som:- Oh to aap ko sab khabar hai. Samjh gaya, iske pichhe aapki dehati dost Lata Mishra hai"


Madam:- No, mujhe Anusia ne invite kiya tha. She told me wo Diksha ki shadi nahi attend kar sakti hai, isliye uski attendence main laga dun. Aur main kewal aur kewal Anusia ke wajah se hi ja rahi hun…


Jugnu:- Madam aap meri shadi me bhi aaogi...


Madam:- Not possible. Agar main shadi attend karne lagi to meri 5 sal ki jindgi 1 sal ki ho jayegi. Fir meri class kya tera pappa lega.


Jugnu:- Huhhh !!! Khadoos... Dikhsa di hi eklauti aap ki favourite hai kya…


Madam:- Muh mat Bana. Meri paali ladki mujhe hi emotionally blackmail kar rahi... Anusia ne ek baar mera favour kiya tha. Wo udhar tha isliye ja rahi hun...


Som aur Jugnu ek sath.… "Kaisa favour"


Kalpna:- It's secret.. don't ask again. Waise Som main aur Diksha 2 din pahle hi baith kar yahin hans rahe the. Jab usne bataya ki tum usse rok rahe ho aur mujhe invite nahi karne de rahe...


Som:- Haan picture clear hai... Diskha aur Sia ne Mount Abu chuna. Season monsoon taki school summer vacation ho. Poore school ko hi re union ka plan tha Diksha aur Sia ka, isliye Jugnu ko event management ka kaam diya.


Kalpna:- Meri beti Jugnu best hai. Yes Diksha ke re-union ka plan tha, aur Jugnu ke bare me kaun nahi janta. Uske pass sabhi alumni ka contact info thi, except you rascal... But I belive Jugnu ke pass ab tumhara contact info bhi hoga. Bahut chalu chij hai ye ladki…


Som:- Haan ab samjh me aa raha hai.…


Baat karte huye teeno karib 2.30 baje Resort pahunche the. Jugnu janti thi ye session kafi lamba chalta isliye 3 baje se madam ka programe rakhi thi, taki 2 se 3 ghante bina koi distrubence ke session chalte rahe. Madam pahli baar live aa rahi thi, ye khabar unke lagbhag sabhi students tak pahunch gayi thi.


Takriban 200 students invited the. Baki bahut se students pahunch nahi paye the, unke liye live session tha. Takriban 750 students online jude huye the.


Resort ke mukhya dwar par bhid dekh kar, madam aage walon ko 3-4 stick lagati…. "Prasad bant raha hai kya. Chalo ander"


Lagbhag 71 sal ki umr, lekin fir bhi har students ko naam se janti thi. Na sirf naam se balki unka batch aur unki har harkaten dimag me jaise store ho. Jo 200 log aaye the unme kaun nahi tha. "IAS, IPS, Top lawyers, Generalist, Business Entrepreneurs, Ceo's, Doctors, Top Engineers, Top bureaucrats…"


Madam jaise hi resort ke ander ghusi aur wahan ke lawn ka artificial arrangements dekhi, ghurti hui... "Ye Ashok Kamat kidhar hai. Kidhar hai wo"…


Ashok:- Yahan hun madam bhid me fansa hua...


Madam:- Tu shuru se hi pichhe rah gaya Ashok. Court to time se pahunchta hai na...


Ashok:- Madam aap ko main hi milta hun kya? Bansal bhi to hai...


Madam:- Le tera ab tak Bansal ka naam lena band nahi hua ... Suno sab 92 batch ke 2 sitare Kamat aur Bansal dono jigri hua karte the... Aur ye ghonchu Ashok tab bhi Bansal ko aage karta tha aur aaj bhi kar raha hai... Ek baar ek ladki ko propose karna tha tab bhi Ashok ne Bansal ko aage kar diya tha. Bechara Ashok ke hone wali gf ko bansal le uda. Anth me lekin uss ladki ne bhi Bansal ko dich de diya. Wo Bansal ka bachha kahan hai re, teri awaj na aa rahi hai Bansal..


Bansal:- Ab kya bejjati karogi to haan-haan karte pahchan bataunga...


Madam:- Teri charbi chadh gayi hai Bansal, idhar aa. Areee Nikhita, Parekh jagah de na re...


Banasal:- Madam topic bhool gayi Ashok ko kyon aawaj de rahi thi..


Madam:- Ohhh haan... Ye mere ghar ki copy yahan bana diya hai iss copycat Jugnu ne. Client se event management ke naam par paise bhi loot lee hogi.. Ashok kya karun main.. koi legal advice to de...


Ashok:- Madam aap kursi sambhalo... Iss umr me court na daura jayega...


Madam:- Tujh jaise vakil rahe na to mil gaya yahan bridhh logon ko insaf...


"Kandhe par jane ki umr me court jaogi"…


Madam:- 2005 batch ki Hansika jara de ghuma ke apne husband ko, aaj tak muh chhipa kar aur awaj badal kar bolne ki aadat nahi gayi iski...


Madam kursi par baithi. Baki sabhi students chahe koi bhi ho, har koi jamin par baitha hua tha. Shadi ke mahol me madam ki ye class, shadi ka sabse khas attrection sa ban gaya tha. Jo student sath the unme se jyadatar ki aankhen nam thi. Jo online jude the wo bhi apne aanshu nahi rok pa rahe the. Kayi logon ke jehan se to school ki tasveeren dhundhli ho chuki thi, Jugnu ki ek kosis ne sab ko school ke dino me wapas le aaya...






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Nice update
 

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
अब जाकर मल्होत्रा साहब की एंट्री हुई
और नीरव ने सबको दिन में तारे दिखा दिया
अब साजिश और प्यार साथ साथ पटरी पर दौड़ रहे हैं
चलें देखें आगे आगे होता है क्या
Yep ab jo Malhotra kahani me aaye hain to jaane nahi denge.... :D ... Baki aage ek aur update hain to aage ke liye jyada intzar nahi karna pada hoga...
 
Top