-----: Bulletin Board :-----
Update 88 (A & B) is posted on 537.. Must give your valuable feedback...
End Of The Chepter:-1 is posted on 542...
Last edited:
अब शब्द नहीं है मेरे पासUpdate:-81(B)
Match ka second enning shuru hua. Sagar Chaturvedi ke sath koi aaya tha opening karne... Lekin match ke pahle hi ball par, pahla wicket.. High score ka pressure pahle hi gend par dikh gaya… Uske baad first down khelne aaya Vyas... Vyas ke crease par aate hi darshkon ne hooting karna shuru kar diya. Sab usse cheer kar rahe the...
Match ke second ball se Vyas ki batting shuru hui aur fir powerplay me jo hi aatishi pari kheli, Vyas aur Sagar ne sabhi bowlers ki bakhiya udher dali… Powerplay ke 6 over samapt hone ke baad team ka score 96 run 1 wicket ke nuksan par. 14 ball khel'ker 52 run ke niji score par Vyas khel raha tha aur 16 ball khel'kar Sagar 40 run bana chuka tha..
3rd year ki team kafi teji se apna score badha rahi thi. Pahle ball par mili khushi ke baad final year walon ko fir koi khushi nahi mili. Dekhte hi dekhte dono ne dusre wicket ke liye 166 run jod diye, jab Vyas ka wicket 92 run par gira aur uske kuch der baad hi Sagar bhi 68 ke niji score par chalta bana. 13 over me 170 run ka score ban chuka tha. Bache 7 over me ab inhe 72 run banane ki jaroorat thi aur hath me the 7 wicket.
Naye ballebaaj jaise hi pahunche, vipakshi team ne pressure banana shuru kar diya. Dono hi ballebaaj jamne ke liye 18 ball khel gaye aur matr 17 run hi banaye... Jahan team ka score ek waqt 13 over me 170 run tha wahin ab 16 over me 187. Ab 24 gendon me 55 run banane ki jaroorat thi...
Ballebaji kar rahi team par pressure badhta ja raha tha aur iss pressure ka asar batting kar rahe ballebaj par bhi dikh raha tha. 17th over ki shuruwat aur har ball maarne ke chakkar me, 3 boll dot chali gayi.. aur issi dauran 4th ball par wo ballebaj bhi out ho gaya... Ball catch hone se pahle dusra ballebaj Kailash strike change kar chuka tha... Aakhri ke 2 ball bache the jis par matr 2 single aaye...
18 ball aur 53 run banane the. Strike par purana ballebaj Kailash tha, jisne pahli ball par ek shandar chauka laga'kar dusri gend par single le liya... Naya ballebaj Dhiraj, strike par aate hi pahli ball ko bade pyar se defence kar diya... Match ka 4th ball aur Dhiraj ka shandar sixer.… Fir to Diraj jaise charge ho gaya ho... 2 back to back 6 se baad ek chauka jad kar team ko poori rahat ki shwans di...
18th over se 21 run aa chuke the aur jit ke liye 12 ball par 32 run chahiye the. Dono hi ballebaj apna poora johar dikha rahe the. 19th over me bhi dono kamal karte, 1 six, 2 four, 2 double aur 1 single ke sath 19 run jod chuke the. Match ka aakhri over aur jit ke liye chahiye the 13 run.. Dono hi ballebajon ne mil'kar hath se fisalte match ko yahan tak le'kar aaye..
Aakhri over ka tashan bhi kafi hight tha. Final year ke captain kuch jyada hi chintit. Unka star bowler ke hath me ball thi... Ye pahli ball delivered aur Dhiraj ne diya ghuma kar sixer… Final year ke pale me sannata aur 3rd year wale darshak utsahit. 5 ball aur 7 run... Match haar ki kagar se jit ke muh tak le aaya tha Dhiraj aur Kailash...
Dusri ball par ek single ke sath, Dhiraj ne strike Kailash ko de diya... Teesri ball aur bowler ka ek shandar reverse swing... Kailash poori tarah chaunk gaya... 3 ball aur 6 run banane the. Aakhri over ki 4th ball... Kailash poore dhyan se taiyar khada ball ke intzar me, tabhi fielding team ka wicket keeper ne dhime se Kailash ki maa ke upar comment kar gaya... Wakai kafi abhadr tippni thi jahan bowler ke hath ki ball ki tulna uski maa ke stan se kar gaya tha wo...
Kailash ballebaji chhod'kar uss wicket keeper ko sidha maarne daud gaya. Mamla shant hone se pahle Kailas uss wicket keeper ko 4-5 ghuse aur 1 bat pith par maar chuka tha... Haan lekin gusse me ballebaaj ya to 6 lagata hai ya out ho jata hai. Kailash ka durbhagya raha. Usne 4th ball par gusse se hawa me tej balla ghumaya. Balla ka halka bahri kinara laga aur ball sidha wicker keeper ke hath me...
Ab bache 2 ball par 6 run chahiye the. Match kafi tashan me. Naya ballebaj aate hi apna kaam kar gaya, kisi tarah ek single nikalne me kamyab... Ab ek ball aur 5 run chahiye the... Fielding team lagaatar Dhiraj ko uksa rahi thi... Ye cricket ground ka aam uksana tha, na ki uss wicket keeper ki tarah family ko bich me ghasit rahe the...
Dhiraj apne poore sanyam ke sath. Jaise hi bowler delivery dalne ke liye crease me pahuncha Dhiraj hat gaya... Usne umpire se shikayat kari, ki pichhe se wicket keeper kuch-kuch bol raha hai...
Umpire ne warning diya aur bowler fir se ball dalne gaya.. Iss baar Dhiraj ko ek khiladi ke braslet se samasya ho gayi. Aise hi kar'ke Dhiraj ne 5 baar uss bowler ko run-up karwa diya... Dhiraj ke ander se sara pressure aur chidhane se utpann emotions kahin gayab ho gaye...
Match ki aakhri ball.. Aur kya shandar ball thi.. Outside off stump par ek shandar yourker... Bowler ne apna perfect delivery daal diya jo wicket ke liye nahi balki dot ke liye feka gaya tha ..
Dhiraj bhi utni hi teji se ball ko sidha deep extra cover ke ore hawa me uchhal diya. Thoda sa chuk gaya.. ball boundry line ek 2 inch pichhe giri aur 4 run ke sath match tie raha... Waise bhi yourker, wo bhi outside off stump par dala gaya, fir sahi dhang se ball balle par lag jaye uski koi gurantee nahi hoti, Dhiraj fir bhi uss ball ko sahi gape me khel chuka tha...
Haan lekin romanchak mukable me match tie raha... Aur yahan ka tie match ka faisla super over se nahi hota balki ya to re-match ya fir dono team ki nayi sandhi...
Wahin jaise hi match khatm hua Kailash ek baar fir daur gaya. Jab tak log bich bachav ke liye aate... Tab-tak wo ek baar fir wicket keeper ko 4-5 ghushe de chuka tha... Ek round yahan cricket ki ladai bhi dekhne ko mil jati yadi wahan Mr. Malhotra na hote...
Bodyguard sab ko shant karwa'kar field khali karwa chuke the. Sabhi ke wapas lautne ke sath hi Sia, Diksha aur baki sabhi log lot aaye the... Ghar pahunch'kar Mr. Malhotra kuch der apne parivar ke sath waqt bitaye aur ek jaroori kaam se Lucknow airforce station nikal gaye. Wahan pahunchte hi, ek bade se office me... "Manish rescue operation ki kya position hai"…
Manish:- Sir sabhi jaankari aa chuki hai. Ek rescue team kal raat hi Afganistan border me ghusi hai...
Mr. Malhotra:- Rescue team lead kaun kar raha hai…
Manish:- Koi Officer Vishal Singh hai sir..
Mr. Malhotra:- Unke superior se baat karwao....
Manish:- Unse baat nahi ho sakti sir..
Mr. Malhotra:- Why?..
Manish:- IIRF (Indian Intelligence of Rescue force) Kewal case leti hai aur ongoing opretion ke bare me wo kisi se koi baat nahi karte..
Mr. Malhotra:- Damnnn !!! Who is the department head... Mujhe unse baat karwao....
Manish:- Sir IAS Avneesh Sinha is the chief, but..
Mr. Malhotra:- What but Manish?..
Manish:- Sir wo kisi ki nahi sunte... Na hi kisi ke sath kaam karte hain... Bus unke pass case pahunchte hi wo log concerning department ko rescue ki ek deadline time bata dete hain...
Mr. Malhotra:- Trapped Raw agents ke rescue ka deadline time kab tak diya hai unhone...
Manish:- Sir, kal der raat se parso sham ke 6 baje tak ka waqt diya hai....
Mr. Malhotra, apne superior, National security advisor ko call laga'kar poora mamla samjhaya... Udhar se National Security Advisor ne puchha.. "Karna kya hai"...
Mr. Malhotra:- Sir, aap PMO se permission lijiye ya president office se, mujhe nahi pata, lekin mujhe IIRF ka chief yahan Lucknow Air station par agle 1 ghante me chahiye. Sath me wo mere order follow kare…
National Security Advisor:- Ok.. aap aage ki planning kijiye... Main 1 ghante me sab arrange karta hun...
Lagbhag 45 minute bite honge... IIRF head IAS Avneesh Sinha, Anurag Malhotra ke samne the.… "Sir, mujhe ek request letter mila hai. Hum kaise aapki madad kar sakte hain"..
Mr. Malhotra:- Avneesh, Thank you for accepting our request. I want your team to do some more work before getting the RAW agents out of there.
IIRF head Avneesh Sinha:- Aur wo kis tarah ka kaam hai...
Mr. Malhotra:- It would have been better if I discussed my entire planning with the mission in-charge.
Avneesh Sinha:- Thik hai sir aap mere sath chaliye.. Lekin kewal aap. Baki ko main allowed nahi karunga...
Lucknow Air station me hi IIRF ka ek bada sa working office tha, jo ki strictly prohibited area tha jahan IAF ke officers bhi nahi ja sakte the... Darwaje par biomatric security scan tha... Avneesh Sinha ke ratina aur palm scan ke baad darwaja khula. Dono ander ke ore chalne lage...
Mr. Malhotra, uss office ki shandar building ko bade dhyan se dekhte... "Lagta hai government aapke department par kuch jyada hi kharch karti hai"..
Avneesh Sinha:- Hahaha... Aap jal rahe hai kya sir...
Mr. Malhotra:- Nahi, itna shandar to humara PMO bhi nahi hai...
Avneesh Sinha:- Iss ore aaeye sir..
Dono ek darvaje ke bahar khade the, jahan 4 security officers tainat the.. Sabhi officer kale libas ke sath mask me the aur atyaaadhunik hathiyar se laish… Wo charo un dono ka rasta roke... "I'd card please"
Mr. Malhotra:- What.. I'd card..
Avneesh Sinha apna I'd nikalte... "Rule is rule sir"… Avneesh Sinha ki baat sun'kar Mr. Malhotra ne bhi apna I'd card de diya... Dono I'd card ek box me daal'kar jaise hi ander gaya... Thik 15 second baad darvaja khula aur darvaje ke samne IIRF ke joint director.....
Avneesh Sinha:- Oh, to apne boss ke liye jo aadmi aaj tak apne chair se nahi utha, wo Security Council ke deputy advisor ki I'd dekh kar khud chala aaya... "Inse miliye sir... Som Malhotra, IIRF joint director aur Filed opration ka head..."
Som:- Ab roj-roj mere dad thode na mere office aate hain sir, isliye aana pada...
Avneesh Sinha:- What?? Your dad...
Wahin, Anurag Malhotra bilkul hairani se Som ke ore dekhte... "Som tum yahan kaise"…
"Dad, pahle kaam kar len, fir aaram se baat karenge. By the way humare sath aisa pahle kabhi nahi hua, kisi dusri agency ne itna urgent basis par humse sampark kiya ho. Ummid hai ki RAW aur Security Council ke pass kuch vajah rahi hogi"…
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Mujhe pata tha kisi ne ungli ki nahi ki apni khud ki pahchan chhod'kar lag gaye kuch bhi likhne... Kuch bhi likhne ka arth hai ki thoda janch parakh to lete... High score match aise hi hote hain... Na viswas to cricket dekh lo...Dono update me kuchh khas nhi hua...jyadtar time to cricket me nikal gaya...aur wo bhi match tie nikala ...waise vyas aur Sagar ka wicket girane ke baad bhi samane wali team ko dabab me rahana chahiye...lekin hame Kya Jo writer be likha wo hamne aankh band karke Mana ...bilkul dhritarashtra ki tarah...ab ham to ye bhi maan rhe hai ki Jo bande achchhe lay me khelkar 5 me 7 Tak laye wo bhi 7 ran nhi bana paye...nhi ham bilkul bhi sawal nhi karenge..ye stadium me 200 bande baithe the wo Kya yaha par kanpur wale Bhai ke tarah gutakha khane aaye the Kya...aur Mr Malhotra ke bodyguard ne all clear ka massage de Diya ...Kya unhe wo 200 log sandhigdh nhi lage the Kya....ham ye sawal bilkul bhi nhi karenge...khair kirti ne yaha bhi aakar Mr Malhotra par personally hamala bola aur thappad kha ke gayi...ye kuchh jyada hi tappad kha rhi hai ....sahi hai kirti ka haal na hokar tabla ho gaya hai jiska man Kar Kar rha hai wo Baja Baja ke ja rha hai....kirti agar kuchh bol rhi hai to ye sidha maar pit par utar ja rhe hai ....aakhir utare bhi kyo nhi dgp, national security advisor , aur ek aur hai wo som ( beta tujhe to nishchal dekhega) wo ek security agency ka joint directer hai...Bhai sare bade log to Ghar hi hai ab kisi ka Kya dar jisko chaho Maro pito...kaun rokane Wala hai...waise ye webada itne bade post par kaise pahuncha ....oh ab samajha apne baaap ke dhauns me badaulat yaha pahuncha aur dikha aise RHA hai jaise ki wo apne iss bare anjan hai ( chor sale)...
Diksha ka to dekho kaise ghadiyali tesua baha rhi thi..shadi me bulaya nhi aur yaha rona...had bakchodi peli ja rhi hai yaha...lekin sawal Kare to kaun Kare ..
Naina mam to ab yaha hai nhi...
Jo sawal Kare ...so Kar lijiye manmani...
Kah dijiye ki Jo batsman 18 ball par ek run bhi nhi bana saka tha wo achanak se Rohit Sharma ban gaya..ya yaha bhi kuchh sajish thi...Kya pata koi puchh le to aap ek nayi sajish ki kahani la de samane ..khair bhere are you nishchal... tumhare khuni khanjar ki yaha bahut jarurat hai...
nice update ..neerav to kamal ka batsman nikla jo pehle dot ball khel raha tha baadme 4 ,6 laga daale aur century bana daali .Update:-81(A)
Sia apne charo ore dekh rahi thi... Halanki jo bhi log baithe the wo Sia ke poore group se 5 fit ki duri par baithe the, lekin charo ore se takriban 200 log baith chuke the... Sidhiyon ke dayen aur bayen itni dur tak darshak baithe the, ki unke bich se gujrne ke dauran yadi sabhi darshak khade ho gaye to pata bhi na chale ki wahan bich me kya ho raha hai...
5 over ka match samapt ho chuka tha. Final year ko support karne aaye students kafi niras dikh rahe the... 6th over ki surwat ho rahi thi. Asif aur Mukul ke 2-2 over ke first spell ke baad, 5th over naya bowler aaya tha... 6th over me ball ek bayen hath ke leg-spinner Vinay Upadhyay ke hath me thi...
Indian batsman yadi kisi spinner ko dekh le to uske mann me yahi chalta hai... "Lalach aayi lap-lap"… Neerav ka partner Joy ka bhi wahi haal tha... Over ki pahli ball... Aur diya ghuma ke... Balle ka kinara laga aur ball hawa me fine leg ke taraf uchhal gayi. Fine leg circle ke ander hone ki vajah se, final year walon ka pahla boundry...
Darshakon me kuch rahat... Aur ye bowler ki dusri ball.. Joy 2 kadam aage nikal'kar shot liya... Ball sidha long on boundry ke paar darshkon me... Aur ye dusre ball par 6… Jahan darshkon me pahle ball par rahat hui wahin dusri ball par khushi se jhum gaye...
Bowler ki teesri ball aur Joy ka ek shandar backfoot se liya gaya shot... Ball point ke upar se bich maidan me giri aur utni hi raftaar se boundry line ke paar... Chauthi ball par fir ek risky hawai shot aur ball mid wicket boundry ke pass khade player ke sir ke upar se hoti hui 6…
Bowler chala apne over ki 5th delivery fekne.. Captain Sagar aur Bowler ke bich thodi baat chit... Bowler ne ball dala aur iss bar bhi Joy 2 kadam aage nikal'kar apna balla ghumaya.... Lekin iss baar bowler ne ball off stump ke thoda bahar rakha.. ball tappa khate hi off stump ke aur jyada bahar chali gayi aur Joy poori tarah se chuk gaya.. Aur ye gaya team ka pahla wicket, stump out..
Team ka next batsman pahuncha, aur batting crease par pahunch'kar... kuch push-up ki nautanki, kuch wo wicket guard ki nautnki, etyadi-etyadi nautanki karne ke baad hawa me balla uthaye taiyar... Apne team ka score 200 paar karne ke irade se...
Bowler ne ball leg aur middle stump par pitch kiya.. batsman back foot par ja'kar, deep point aur deep backward point ke bich shot liya... Oppsss... Ball ki uchhal ne chakma de diya... Ball bilkul niche hi rah gayi... Inner edge lagti hui ball sidha wicket se ja takrayi aur back to back team ka dusra wicket down hua...
Team ka score 6th over ki sampati par.. 6-24-2.. Yani ki 6 over me 2 wicket ke nuksan par 24 run.. aur ye team ka drink break...
Waise 6th over jab shuru hua, tab darshak ke reaction kewal 2 ball tak hi simta raha. Kyunki jab teesri ball feki ja rahi thi, tab darshak stand me achanak se hulchal mach gayi... Daurte-bhagte aur strict se lagbhag 20 officers ne uss jagah ka charo ore se muayna kiya, jahan Diksha aur Sia baithi thi... Idhar se "All clear" ka msg gaya, udhar se National Security Council ke deputy advisor Mr. Anurag Malhotra.. Suit pahne apne 6 bodyguard ke sath sirkat kar rahe the...
Sia ke chehre par muskaan to tabhi aa gayi thi jab usne officers ko round lagate dekhi... Sia, apne bhai Som ke kisi bhi strict baat ko kabhi bhi casually nahi leti. Som ki samjhayi chijen yadi Sia khud se kar payi to thik warna wo ek kabil madad dundh leti hai... Aur ye baat Som bhi janta tha...
Som ne Sia ko jaise hi mamle ke seriouness ko samjhaya, Sia samajh chuki thi ki ye kaam uss se nahi ho payega... Tabhi usne soch liya ki wo apne dad ko yahan bulayegi... Yadi Sia ke pass Mr. Malhotra ko bulane ke liye unki bahu Meera ka bahana nahi hota, to bhi wo kisi na kisi bahane se bula leti...
Waise suit me aaye bodyguard ko dekh'kar Diksha bhi khush ho chuki thi kyunki usse bhi pata tha ki kaun aa raha hai... Diksha ko 2 sal mile huye ho gaye the... Sia aur Diksha dono chahakti hui khadi ho gayi...
Thodi hi der me Mr. Malhotra samne se chale aa rahe the... Aaj bhi wahi personality aur utne hi rashukhdar najar aa rahe the… Stand me baithi poori audience ka dhyan wahi khinch rahe the. Tabhi to dusre ball ke baad poore darshak chuppi sadhe the... Wahin drink ke waqt khiladiyon ka dhyan bhi issi ore raha.
Baharhaal Sia ko apne dad dikh gaye the usse kuch bhi ab fikr karne ki jaroorat nahi thi. Wahin Diksha to Sia se pahle daur laga di... Diksha ko bhagte dekh Sia bhi uske pichhe bhagi... Diksha, Mr. Malhotra ke pass pahunchte hi unse lipat gayi.… "I am soooo sorry dad... Aapko apni shadi me na bula'kar ek irrivarsable mistake kar gayi... Iss baat ka ehsas mujhe kal hua.. I am sooo sorry... Please mujhe maaf kar do"…
Mr. Malhotra, Diksha ki pith thap'thapate… "Hey mera strong beta... Ab kya public me mujhe emotional karogi. Don't cry please..."..
Diksha:- Dad mere aanshu nahi ruk rahe.. main kya karun...
Mr. Malhotra:- Apne pati ko divorce de'kar uss se dobara shadi kar lo. Ya fir rona band karo..
Diksha:- Daddd...
Mr. Malhotra:- Either you stop crying or I'll leave. Understood...
Diksha, khud ko shant karti... "Thik hai dad nahi roti lekin aap hum sab ke sath lamba samay bita kar jaoge..."
Mr. Malhotra:- Done.. Anytying else…
Diksha:- Thank you so much..
Diskha jaise hi Mr. Malhotra se alag hui, Sia apne dad ke gale lagte... "Abhi tak aapko chutti nahi mili na".
Mr. Malhotra:- Abhi to aa gaya na... Shikayat band karo... And where is my daughter in law...
Diksha:- Wo apni jagah se kahdi ho'kar hume dekh rahi hai...
Mr. Malhotra:- To hum yahan kya kar rahe .. wahin chalte hain....
Sabhi chal diye, tabhi Sia ki najar pichhe se aa rahe J.P. Jatav yani ki Neerav ke papa par gayi... "J.P uncle aap bhi aaye hain"..
J.P:- Haan tumhare papa ke sath main bhi chala aaya...
Diksha:- Uncle maine suna tha ki Neerav achha cricket khelta hai… Yahan to usne poori izzat mitti me mila di...
J.P:- Abhi wo hai ya gaya…
Sia:- Crease par besharmon ki tarah tika hai... 18 ball aur anda run...
Sia ki baat sun'kar sabhi hasne lage. Mr. Malhotra jaise hi Meera ke karib pahunche, Meera ne jhat se paun chhu liya... Isse pahle ki koi aur baat hoti, Sia Meera aur Mr. Malhotra ke bich aati... Dad, wo abhi natkhat Kuku hai jise aap jante ho.. Got my point Mr. Malhotra..
Mr. Malhotra:- Yep.. Got your point..
Sia:- Kuku tum bhi samajh gayi..
Meera:- Bilkul.. main to samjhdar hi paida li thi Sia didi…
Meera ki baat par sabhi hansne lage. Darshkon ki bhid me 2 alaa adhikari.. ADGP surveillance J.P. Jatav aur National Deputy Security Advisor Mr. Anurag Malhotra. Match ek baar fir shuru hua. Neerav strike par aur darshak 'Booo, Boooo, boooo" chilla rahe the...
7th over ki pahli ball par 2 run se Neerav ka khata khula... Aur kya khata khual tha... Fir to dhire-dhire sab ko samjh me aa gaya ki iss batsman ka crease par tike rahna kitna khatarnaak ho sakta hai...
12th over me Asif ko ek chhod se lagaya gaya tha... Jab Asif bowling karne pahuncha tab usne 2 over me 1 run diya tha aur jab apna over samapt kiya tab 3 over me 43 run de chuka tha. Asif ke 1 over me to Neerav ne poora 42 run loot liya... Over bhi lamba tha. 3 no ball aur 3 free hit ke sath 9 ball ka wo over raha...
Issi tarah Mukul ke ek over me Neerav ne 30 run thok dale the. Final year ka total score 20 over me 6 wicket ke nuksan par 242 run ka tha jisme Neerav 68 ball khel'kar 118 run naabad banaya tha... Jabki 23 ball to usne dot khele the...
Waise match ka rang to aur bhi jyada tab chadh gaya jab final year team ka captain Amarnath Chaudhry crease par aaya... 5th down ka wo perfect batsman tha jisne anth me aa'kar aur bhi jyada sama bandh diya... 20 ball khel'kar usne 72 run thok dale...
Pahli inning samapt ho chuki thi aur break chal raha tha. Tabhi Diksha aur Sia ke pass Kirti pahunchi... Jaise hi wo Sia ke karib aane lagi, tabhi 2 bodyguard rasta rokte... "Rukiye miss"..
Udhar se Mr. Malhotra ka ishara hua aur bodyguard ne rasta chhod diya. Kirti unke karib pahunchti... "Hello Sir, shayad aap mujhe nahi jante, lekin main aapko"…
Kirti iss se aage kuch bol pati, uss se pahle hi Diksha ne ek jhannatedar thappad chipka diya.… "Nanda ki varish, ja'kar apne baap ko bol dena ki main uss par ab legal action lene wali hun... Kya sochta hai wo, Faisal Sehnavaj ya Kasif Sehnavaj ke sath hath mila lene se wo kuch bhi kar sakta hai"..
Sia:- Diksha no...
Diksha:- Tu jarra chup rah... Miss chhuyi-muyi maine suna hai ki tujhe aaj kal har koi thappad maar raha... Ye sach hai kya?
Kirti:- Main to bus yahan Anurag uncle se milne aayi thi. Wo kya hai na Sadhna mami aksar uncle ki charcha karti hain... I think wo ab bhi inse love karti hai...
Diksha:- Manish sir yahan hain kya? Please iss pagal ladki ko wahin chhod aaeye jahan se ye aayi hai...
Kirti:- Takalluf ki koi jaroorat nahi hai, main ja rahi hun...
Jaise hi Kirti wahan se nikli.. Mr. Malhotra… "She deserve another slap"..
Sia:- Dad aap thik ho...
Mr. Malhotra gahri shwans lete... "Haan maine thik rahna sikh liya hai. Oh by the way ye sample piece kaun thi"..
Diksha:- Jay Kumar ki bahan Supriya Nanda ki beti..
Mr. Malhotra:- Hmmm !!!! Iske pass humare poore parivar ki detail hai. Iska matlab Jay Kumar ke poore khandan ko humari information hogi...
Sia:- Leave it dad... Inhe main, Diksha, aur Som handle kar lenge...
Mr. Malhotra:- Kaise handle kar loge jab dhairya hi nahi... Diksha to legal action lene tak ki dhamki de dali. Koi kaam chup-chap aaram se karna chahiye na...
Diksha:- Dad maine bhi ye sab kaam chup-chap aur dhaiya'purn tarike se ki hun. Aur aisa karna mujhe Som ne sikhaya hai... Thoda sa uksao aur chup-chap reaction observe karo..
Mr. Malhotra:- And what did you find...
Diksha:- Main jab professionally gherne ki dhamki di, tab Kirti personally humla bol rahi thi.. Ek chhota sa gusse ke reaction se bahut kuch samajha ja sakta hai... Ab jab samne ki ladai hogi fir main bhi apne hath majboot rakhungi..
Mr. Malhotra:- Haan wakai tum sab ye civil sajisen handle kar sakti ho... Waise main agar koi help kar sakun?
Sia:- Haan aap kar sakte hain na.. Waise bhi aap par work load jyada hai.. So my dear lovely dad... Aap jab humare sath ho to humare ye chhote-bade saas bahu serial type sajison par na dhyan de'kar, family time enjoy kare... Can you help us..
Mr. Malhotra:- Haan kyun nahi bilkul... Chalo match enjoy kiya jaye, uske baad mujhe ghar jane ki bhi jaldi hai…
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
majedar update ..match ka padhkar maja aa gaya .Update:-81(B)
Match ka second enning shuru hua. Sagar Chaturvedi ke sath koi aaya tha opening karne... Lekin match ke pahle hi ball par, pahla wicket.. High score ka pressure pahle hi gend par dikh gaya… Uske baad first down khelne aaya Vyas... Vyas ke crease par aate hi darshkon ne hooting karna shuru kar diya. Sab usse cheer kar rahe the...
Match ke second ball se Vyas ki batting shuru hui aur fir powerplay me jo hi aatishi pari kheli, Vyas aur Sagar ne sabhi bowlers ki bakhiya udher dali… Powerplay ke 6 over samapt hone ke baad team ka score 96 run 1 wicket ke nuksan par. 14 ball khel'ker 52 run ke niji score par Vyas khel raha tha aur 16 ball khel'kar Sagar 40 run bana chuka tha..
3rd year ki team kafi teji se apna score badha rahi thi. Pahle ball par mili khushi ke baad final year walon ko fir koi khushi nahi mili. Dekhte hi dekhte dono ne dusre wicket ke liye 166 run jod diye, jab Vyas ka wicket 92 run par gira aur uske kuch der baad hi Sagar bhi 68 ke niji score par chalta bana. 13 over me 170 run ka score ban chuka tha. Bache 7 over me ab inhe 72 run banane ki jaroorat thi aur hath me the 7 wicket.
Naye ballebaaj jaise hi pahunche, vipakshi team ne pressure banana shuru kar diya. Dono hi ballebaaj jamne ke liye 18 ball khel gaye aur matr 17 run hi banaye... Jahan team ka score ek waqt 13 over me 170 run tha wahin ab 16 over me 187. Ab 24 gendon me 55 run banane ki jaroorat thi...
Ballebaji kar rahi team par pressure badhta ja raha tha aur iss pressure ka asar batting kar rahe ballebaj par bhi dikh raha tha. 17th over ki shuruwat aur har ball maarne ke chakkar me, 3 boll dot chali gayi.. aur issi dauran 4th ball par wo ballebaj bhi out ho gaya... Ball catch hone se pahle dusra ballebaj Kailash strike change kar chuka tha... Aakhri ke 2 ball bache the jis par matr 2 single aaye...
18 ball aur 53 run banane the. Strike par purana ballebaj Kailash tha, jisne pahli ball par ek shandar chauka laga'kar dusri gend par single le liya... Naya ballebaj Dhiraj, strike par aate hi pahli ball ko bade pyar se defence kar diya... Match ka 4th ball aur Dhiraj ka shandar sixer.… Fir to Diraj jaise charge ho gaya ho... 2 back to back 6 se baad ek chauka jad kar team ko poori rahat ki shwans di...
18th over se 21 run aa chuke the aur jit ke liye 12 ball par 32 run chahiye the. Dono hi ballebaj apna poora johar dikha rahe the. 19th over me bhi dono kamal karte, 1 six, 2 four, 2 double aur 1 single ke sath 19 run jod chuke the. Match ka aakhri over aur jit ke liye chahiye the 13 run.. Dono hi ballebajon ne mil'kar hath se fisalte match ko yahan tak le'kar aaye..
Aakhri over ka tashan bhi kafi hight tha. Final year ke captain kuch jyada hi chintit. Unka star bowler ke hath me ball thi... Ye pahli ball delivered aur Dhiraj ne diya ghuma kar sixer… Final year ke pale me sannata aur 3rd year wale darshak utsahit. 5 ball aur 7 run... Match haar ki kagar se jit ke muh tak le aaya tha Dhiraj aur Kailash...
Dusri ball par ek single ke sath, Dhiraj ne strike Kailash ko de diya... Teesri ball aur bowler ka ek shandar reverse swing... Kailash poori tarah chaunk gaya... 3 ball aur 6 run banane the. Aakhri over ki 4th ball... Kailash poore dhyan se taiyar khada ball ke intzar me, tabhi fielding team ka wicket keeper ne dhime se Kailash ki maa ke upar comment kar gaya... Wakai kafi abhadr tippni thi jahan bowler ke hath ki ball ki tulna uski maa ke stan se kar gaya tha wo...
Kailash ballebaji chhod'kar uss wicket keeper ko sidha maarne daud gaya. Mamla shant hone se pahle Kailas uss wicket keeper ko 4-5 ghuse aur 1 bat pith par maar chuka tha... Haan lekin gusse me ballebaaj ya to 6 lagata hai ya out ho jata hai. Kailash ka durbhagya raha. Usne 4th ball par gusse se hawa me tej balla ghumaya. Balla ka halka bahri kinara laga aur ball sidha wicker keeper ke hath me...
Ab bache 2 ball par 6 run chahiye the. Match kafi tashan me. Naya ballebaj aate hi apna kaam kar gaya, kisi tarah ek single nikalne me kamyab... Ab ek ball aur 5 run chahiye the... Fielding team lagaatar Dhiraj ko uksa rahi thi... Ye cricket ground ka aam uksana tha, na ki uss wicket keeper ki tarah family ko bich me ghasit rahe the...
Dhiraj apne poore sanyam ke sath. Jaise hi bowler delivery dalne ke liye crease me pahuncha Dhiraj hat gaya... Usne umpire se shikayat kari, ki pichhe se wicket keeper kuch-kuch bol raha hai...
Umpire ne warning diya aur bowler fir se ball dalne gaya.. Iss baar Dhiraj ko ek khiladi ke braslet se samasya ho gayi. Aise hi kar'ke Dhiraj ne 5 baar uss bowler ko run-up karwa diya... Dhiraj ke ander se sara pressure aur chidhane se utpann emotions kahin gayab ho gaye...
Match ki aakhri ball.. Aur kya shandar ball thi.. Outside off stump par ek shandar yourker... Bowler ne apna perfect delivery daal diya jo wicket ke liye nahi balki dot ke liye feka gaya tha ..
Dhiraj bhi utni hi teji se ball ko sidha deep extra cover ke ore hawa me uchhal diya. Thoda sa chuk gaya.. ball boundry line ek 2 inch pichhe giri aur 4 run ke sath match tie raha... Waise bhi yourker, wo bhi outside off stump par dala gaya, fir sahi dhang se ball balle par lag jaye uski koi gurantee nahi hoti, Dhiraj fir bhi uss ball ko sahi gape me khel chuka tha...
Haan lekin romanchak mukable me match tie raha... Aur yahan ka tie match ka faisla super over se nahi hota balki ya to re-match ya fir dono team ki nayi sandhi...
Wahin jaise hi match khatm hua Kailash ek baar fir daur gaya. Jab tak log bich bachav ke liye aate... Tab-tak wo ek baar fir wicket keeper ko 4-5 ghushe de chuka tha... Ek round yahan cricket ki ladai bhi dekhne ko mil jati yadi wahan Mr. Malhotra na hote...
Bodyguard sab ko shant karwa'kar field khali karwa chuke the. Sabhi ke wapas lautne ke sath hi Sia, Diksha aur baki sabhi log lot aaye the... Ghar pahunch'kar Mr. Malhotra kuch der apne parivar ke sath waqt bitaye aur ek jaroori kaam se Lucknow airforce station nikal gaye. Wahan pahunchte hi, ek bade se office me... "Manish rescue operation ki kya position hai"…
Manish:- Sir sabhi jaankari aa chuki hai. Ek rescue team kal raat hi Afganistan border me ghusi hai...
Mr. Malhotra:- Rescue team lead kaun kar raha hai…
Manish:- Koi Officer Vishal Singh hai sir..
Mr. Malhotra:- Unke superior se baat karwao....
Manish:- Unse baat nahi ho sakti sir..
Mr. Malhotra:- Why?..
Manish:- IIRF (Indian Intelligence of Rescue force) Kewal case leti hai aur ongoing opretion ke bare me wo kisi se koi baat nahi karte..
Mr. Malhotra:- Damnnn !!! Who is the department head... Mujhe unse baat karwao....
Manish:- Sir IAS Avneesh Sinha is the chief, but..
Mr. Malhotra:- What but Manish?..
Manish:- Sir wo kisi ki nahi sunte... Na hi kisi ke sath kaam karte hain... Bus unke pass case pahunchte hi wo log concerning department ko rescue ki ek deadline time bata dete hain...
Mr. Malhotra:- Trapped Raw agents ke rescue ka deadline time kab tak diya hai unhone...
Manish:- Sir, kal der raat se parso sham ke 6 baje tak ka waqt diya hai....
Mr. Malhotra, apne superior, National security advisor ko call laga'kar poora mamla samjhaya... Udhar se National Security Advisor ne puchha.. "Karna kya hai"...
Mr. Malhotra:- Sir, aap PMO se permission lijiye ya president office se, mujhe nahi pata, lekin mujhe IIRF ka chief yahan Lucknow Air station par agle 1 ghante me chahiye. Sath me wo mere order follow kare…
National Security Advisor:- Ok.. aap aage ki planning kijiye... Main 1 ghante me sab arrange karta hun...
Lagbhag 45 minute bite honge... IIRF head IAS Avneesh Sinha, Anurag Malhotra ke samne the.… "Sir, mujhe ek request letter mila hai. Hum kaise aapki madad kar sakte hain"..
Mr. Malhotra:- Avneesh, Thank you for accepting our request. I want your team to do some more work before getting the RAW agents out of there.
IIRF head Avneesh Sinha:- Aur wo kis tarah ka kaam hai...
Mr. Malhotra:- It would have been better if I discussed my entire planning with the mission in-charge.
Avneesh Sinha:- Thik hai sir aap mere sath chaliye.. Lekin kewal aap. Baki ko main allowed nahi karunga...
Lucknow Air station me hi IIRF ka ek bada sa working office tha, jo ki strictly prohibited area tha jahan IAF ke officers bhi nahi ja sakte the... Darwaje par biomatric security scan tha... Avneesh Sinha ke ratina aur palm scan ke baad darwaja khula. Dono ander ke ore chalne lage...
Mr. Malhotra, uss office ki shandar building ko bade dhyan se dekhte... "Lagta hai government aapke department par kuch jyada hi kharch karti hai"..
Avneesh Sinha:- Hahaha... Aap jal rahe hai kya sir...
Mr. Malhotra:- Nahi, itna shandar to humara PMO bhi nahi hai...
Avneesh Sinha:- Iss ore aaeye sir..
Dono ek darvaje ke bahar khade the, jahan 4 security officers tainat the.. Sabhi officer kale libas ke sath mask me the aur atyaaadhunik hathiyar se laish… Wo charo un dono ka rasta roke... "I'd card please"
Mr. Malhotra:- What.. I'd card..
Avneesh Sinha apna I'd nikalte... "Rule is rule sir"… Avneesh Sinha ki baat sun'kar Mr. Malhotra ne bhi apna I'd card de diya... Dono I'd card ek box me daal'kar jaise hi ander gaya... Thik 15 second baad darvaja khula aur darvaje ke samne IIRF ke joint director.....
Avneesh Sinha:- Oh, to apne boss ke liye jo aadmi aaj tak apne chair se nahi utha, wo Security Council ke deputy advisor ki I'd dekh kar khud chala aaya... "Inse miliye sir... Som Malhotra, IIRF joint director aur Filed opration ka head..."
Som:- Ab roj-roj mere dad thode na mere office aate hain sir, isliye aana pada...
Avneesh Sinha:- What?? Your dad...
Wahin, Anurag Malhotra bilkul hairani se Som ke ore dekhte... "Som tum yahan kaise"…
"Dad, pahle kaam kar len, fir aaram se baat karenge. By the way humare sath aisa pahle kabhi nahi hua, kisi dusri agency ne itna urgent basis par humse sampark kiya ho. Ummid hai ki RAW aur Security Council ke pass kuch vajah rahi hogi"…
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Kuchh waat pehle iss story ke darshan huye the, par tab shayad writer dada ne isse pause kiya hua tha, that's why apun padha hi nahi. Par ab lekhak saahab waapis laute to apun dhadhad update padh raha hai. 18 completed.Death Kiñg thoda idhar bhi aao...ya bas kingu ka hi story read karna hai...
Pahale khud likho ki aisa lage jaise waha hangama hone wala hai ..aur koi uss baat par likh de to ussi ke uper aarop....itta anyay ek masoom balak ke uper...kitno ko churan dete phirenge sir ....isse badhiya to yahi hai ki jisse hajama badhiya rahe wahi pesh Kiya Jaye...Mujhe pata tha kisi ne ungli ki nahi ki apni khud ki pahchan chhod'kar lag gaye kuch bhi likhne... Kuch bhi likhne ka arth hai ki thoda janch parakh to lete... High score match aise hi hote hain... Na viswas to cricket dekh lo...
Abhi wahan 200 log 200 katta liye the ya students ke bich ka match dekhne ke liye maine chhate badmas wahan bithaye the jo unhe koi doubt hota... Yahan bhi bus negative likhna hai to likh do...
Maarne pitne ke liye background ki jaroorat hoti hai kya? Kaisi baten karte ho? Ye chhoda bawda ho gaya hai... Ab main aur nahi likh sakta ki kahan kya aur kyun hua... Je story kalpnik hai... Kisi sacchi ghatna par aadharit koi atmkatha nahi chal rahi... Isliye likhi baat pache to thik warna pachane ke liye Kayan Churn lene ka man ..
Iss se jyada doubt na clear kiya jayega...