-----: Bulletin Board :-----
Update 88 (A & B) is posted on 537.. Must give your valuable feedback...
End Of The Chepter:-1 is posted on 542...
Last edited:
Jitna average size rahta tha us se chota update tha ab bahana kuch b maar lenaHaan ek discussion to banta hai... Lekin abhi thoda waqt hai... Baki update chhota se kya hota hai sahab... Jitna likha chhap diya...
Ha ha ha Aadat se majboorThankooo sooo much King bhai.. maine aapka nam ek quote ke sath likha... SANJU ( V. R. ) bhai ke kuch din purane post par... Jahan readers ke lambe lambe comments ki baat ho rahi thi... Itni tarif ke bawjiod kewal nice update![]()
Nice updateUpdate:-84
Ab Sia ko bhi kya pata ki Vyas jahan hai, wahan chal kya raha hai. Kayi ladkon ki bhid thi aur uss bhid ke bich me Vyas, MBBS final year student ka girewaan pakda tha. Haan Vyas ka bhi girewaan usne pakad rakha tha... Aur wahan ka mahol... Mahol to puchhiye hi mat.…..
Hona kya tha, cricket match ke dauran Kailash ko aisa uksaya gaya tha ki ground se to chup-chap bahar chale aaye, lekin third year wala ye Kailash thehra local banda, Lucknow ke jane mane carorepati parivar se. Bina maare ab to kaleje ki aag thandi nahi hone wali thi. Waise jo haal Kailash ka tha, wahi haal Vyas, Sagar aur Dhiraj ka tha. Match ke dauran uss wicket-keeper Naushad ne sabko itni ungli kari thi ki ab sab uske pichhwada sujane ko betaab the.
Sabhi ladke cricket khel'kar ghar wapas pahunche. Vyas ke pahunchte hi Pandit ji swagat karte huye... "Aa gaya mera cricketer beta. Kal raat par kuch baat kar le"…
Vyas:- Baba kal raat sab clear ho gaya tha. Som boss ke zindagi me pahle se koi hai, fir uss par charcha...
Pandit ji:- Aur tum jis ladki ke sath ghum rahe the kya wo tumhari zindgi me hai kya? Iss par charcha to kar len...
Vyas thoda ascharya se Pandit ji ka chehre dekhte khud me hi.…. "Ye baba ko hua kya hai? Aise kyun puchh rahe?"
Pandit ji:- Itna kya sochne laga. Sorry beta kal main sabke samne tujhe daant diya. Tumhe bhi pyar ho sakta hai, iss baat par maine dhyan hi nahi diya.…
Som:- Baba aap jaisa soch rahe hain waisi baat nahi hai. Wo to hum bus sath padhte hain.....
Chataaaakkkkkkkkk ki jordar awaz aayi. Ghar ke sabhi log bhag'kar hall me pahunche... "Ab kya hua?"…. Pichhe se Alka Shahstri nikalte hi puchhne lagi...
Pandit ji:- Kal ye ladka kisi ladki ke bahon me baanh daal'kar ghum raha tha. Ghar se normal paint shirt me nikla aur hotel me hero ban'kar pahuncha.… Abhi jab maine puchha ki kya tumhe uss ladki se pyar hai to ajib sa jawab de raha hai..
Vyas thoda gusse wala shakl banaya aur kuch jawab na sujha to wo gusse me bahar nikal gaya. Vyas kya kah deta apne baba ko aur kis tarah se apni situation samjhata, ki kisi yojna ke tahat wo uss ladki ke sath tha. Pandit ji thehre sidhe aadmi, ab unko kal raat ka mamla jaisa dikha waisa soch liye.
Vyas chidchida muh banaye chay ki dukan par pahuncha. Wahan pahunch'kar jaise hi chay pine laga... Aaj to jaise sabhi Vyas ko chidhane hi baithe the.… Jaise hi Vyas chay ki tapdi par baitha, pass khada ek ladka uske upar chay gira diya.
Vyas usse kuch kahta lekin kuch soch'kar usse jane diya aur tapdi par baithe ladkon ko sandesh de diya ki aaj kisi ko todna hai. Takriban aadhe ghante me 20-25 ladke jama ho gaye. Issi bich Asif bhi wahan pahuncha. Itne ladkon ki bhid dekh'kar wo bhi sab se karan puchhne laga... Vyas ne jaise hi Aisf se kaha ki Kailash ke jaise mujhe bhi taunt kiya gaya tha, fir to Asif bhi ek hockey stick utha'te... "Chal bhai aaj salon ko hostel me ghus'kar maarenge".
Vyas pahle se bhannaya tha. Poore gusse me nikla. Kuch hi der me boys hostel ke samne ladkon ki bhid. Kewal Vyas hi nahi Sagar, Dhiraj aur Kailash bhi apne-apne group ke sath pahunche the. Takriban 70-80 logon ka bhid ek sath dekh'kar poore boys hostel me khabar fail gayi.
Third year aur first year wale ko koi matlab hi nahi tha kyonki Vyas aur Sagar unke sab:pathi the. Bacha tha 4th aur final year jiske 40-50 ladke hi hostel ke iss section me the aur baki hisse ke hostel ko koi matlab nahi tha... Waise kam to wo wicket-keeper Nausad bhi nahi tha. Samne 70-80 ladkon ki bhid thi fir bhi apne group ko le'kar wo hostel ke niche tam'maya sa pahhncha.… "Kyun be madarchodo badi charbi chadh gayi kya tum sab par" ..
Pichhe se kisi ne chillaya.. "maar sale ko"… Idhar Vyas uss naushad ka girewan pakada aur khinch'kar ek thappad jama diya... Thappad padte hi "MC, BC" karte sabhi ladke utha-patak karne lage. Sab to utha-patak kar rahe the, lekin Vyas apna poora gussa utaar raha tha. Pahle Naushad ko pakda aur 2 hockey stick aisa mara ki wo baap-baap chillane laga. Fir bhi dil ko jab tasalli nahi mili tab ek muuka maar'kar jabda hila dala...
Uss Naushad ko maar khate dekh, 2 ladke jaise hi Vyas ke taraf lapke, waise hi Vyas teji se apna hockey stick bhanjte, un dono ko ek-ek hockey diya rakh'kar. Vyas samne se hockey stick dikhate gusse se unko ghur'kar dur hi kaha rahne...
Gussa jaise Vyas par haavi ho. Ek laat maar'kar Naushad ko niche bithya aur teji dikhate huye uski baniyan ko utar diya. Naushad ko achhe se bitha'kar pith ki chamdi udher dali. Usse aise bekabu ho'kar maarte dekh ab sabhi ladke Vyas ko lage khinchne.
Mahol kafi intense ho chala tha, aur chhote baap ka beta to ye Naushad bhi nahi tha. Kisi tarah apni luti-peeti haalat me bhaga aur apne hostel ke kamre se apna desi katta nikal laaya. Wah Vyas ke pass pahuncha aur samne khade ho'kar fire kar diya... Jaise hi bullet fire hui wahan afra-tafri ka mahol ban gaya. Bhagdar si mach gayi.
Wahin Vyas par jab samne se bandook tani, Vyas khud ko kisi tarah kinare to kiya lekin goli jaan'kar kisi dusre student ke kandhe se lagi.…. "Bc bhagte kidhar ho... Mc gaand me abhi goli maarta hun main"… Kahte huye Naushad ne ek baar fir Vyas par goli fire kar diya.
Desi katta se lagatar 2 fire hone se bandook ki nali fat gayi aur idhar goli ka nishana jahan pith tha, wo pichhe se ja'kar Vyas ke paun par lagi... Vyas chhatpatate huye wahin gir gaya. Dard se uski haalat kharab thi. Goli fire hote hi police ko bhi turant hi suchna mili wo bhi turant mauke par pahunchi.…
Thodi hi der me Vyas ke goli lagne ki suchna uske parivar tak pahunch chuki thi. Idhar Sia jo apni family ke bich fasi thi aur Som se najren chura rahi thi, wo bhi jaldi se free ho'kar bus Vyas se milne ki chahati thi. Issi kram me Sia ka text message baja aur wo utsahit ho'kar message dekhne lagi….
Vyas ke goli lagne ki khabar aur sath me kuch picture share kiya gaya the. Yah message Meera bheji thi, jise Neerav ne text kiya tha. Aur Neerav ko ye text usse MBBS ke group se mila. Halanki poore ladai ki kayi video upload thi uss group par, lekin Neerav ne kuch selected chijen hi forward kiya.
Sia jaise hi wo sandesh dekhi, uska dimag hi kaam karna band kar diya. Sia abhi uss sandesh se ubri nahi thi ki samne police ka kaarvan Som ko apne sath lene ke liye pahunch chuka tha.
Mishra parivaar virodh karte huye, Police se Som ko le jane ke pichhe ka karan puchhne lage, lekin giraftaar karne aayi team ne unhe kuch bhi batane se inkaar kar diya. Som sab ko shant rahne ka ishara karte, police ki team ke sath chal diya...
Sia ko samajhte der nahi lagi ki Som ko kamra number 211 ke liye le'kar gaye hain. Som ko le'kar koi samasya nahi thi, uska bell to Mishrayan ji 2 minute me karva leti. Sia to jaldi se taiyar ho'kar Vyas ko dekhne nikli. Usse jate dekh sabne jaise hi toka, Meera sabko rokti... "Sia didi ko jane dijiye, Vyas hospital me hai ussi ko dekhne ja rahi"…
Vyas ke hospital ki khabar sun'kar sabhi thode chintit jaroor huye, lekin samne khadi samasya, arthat Som ko police kyun le'kar gayi uss'par jyada dhyan dene ki jaroorat thi. Isliye Mishra family police jeep ke pichhe-pichhe chalne lage. Sabhi ka karwaan SP office me khatm hua, jahan Som se puchh-tachh hone wali thi.
Som ke pichhe-pichhe Mishra family bhi pahunchi. SP office me bhid ko dekh'kar wahan ke officer, Mishra ji se aane ka karan puchhne lage aur idhar SP office ke ander...
SP:- Boss mamla bahut serious hai. Aapko co-operate karna hoga.
Som:- Shyam Sunder sir maine kab co-operate nahi kiya hai?
SP:- Boss Delhi narcotics ki ek team kal sham Lucknow ke Alfanso Hotel me apne target ke pichhe aayi thi aur wo poori team hi gayab hai. Jaanch me pata chala ki kal shaam aap bhi wahan the aur mauke ki cctv footage gayab hai. Itni safai se kaam hua hai ki koi saboot nahi... Haan lekin kamra number 211 me 2 logon ke khoon ko saaf kiya gaya tha, jo ki Diksha Jadeja ke naam se book thi. Kuch prakash dalenge iss par...
Som:- Shyam mujhe Saturday tak ka waqt do. Poore mamle ke hero tum hi hoge...
SP:- Boss mujhe Delhi se phone aa rahe hai. Main kya karun... Diksha Jadeja ko hume hirasat me lena hoga...
Som:- Shyam baat ko samajhte kyun nahi... Koi to upay hoga. Koi bich ka rasta to nikalo..
Shyam:- Boss, baat mere hath me nahi hai. Investigation report mil chuki hai aur mujh par kis had tak ka pressure hai wo aap samajh sakte hain. Ya to Delhi narcotics department ko manage kijiye ya unke officers jahan ho wo apni jagah bus pahunch jaye... Ya nahi to poora mamla samjha'kar mujhe kuch mehntana de do..
Som:- Kitna...
Shyam:- 2 khun ke chhinte hain aur aap apne aadmi... Koi kutta hi mara hoga... Isliye bus 20 lakh…
Som:- Laalchi kahin ke.. Maine tumhe, tumhare logon ko, aur na jane kitno ko maine traning diya hai. Aur tum mujhse hi wasooli karo…
Shyam:- Boss mamla khun ka hai. Pahle to mujhe apne juniors ko hi manage karna hoga jiski investigation report mere table par hai. Uske alawa kahan kise manage karna pad jaye.… Ya shayad ye bhi ho sakta hai ki anth me mujhe ye tak kahna pad jaye ki un dono ka incounter maine hi kiya hai... Aap samajh rahe ho na kitna risk le raha hun. Waise bhi main to 20 lakh maang raha hun lekin jo koi bhi aapke parivar ko fasanewala tha, wo Delhi manage kar raha hai... Lagta hai caroro kharch kar raha hoga...
Som:- Aur tumhari aatma to gad-gad ho gayi hogi. Kyunki iss baar mera sath de rahe ho aur agli baar hume fasane wale tumse direct deal kar lenge...
SP:- So to hai lekin isme bhi to aapka hi fayda hai.. Soch'kar dekho... Bus udhar se jo mile usme aap char chand laga dena... Waise bhi ye wafadari to rahegi aapke sath hi..
Som:- Thik hai deal done hua... Main Neha (Som ki PA) ko bhej deta hun wo sab samjha degi. Tum uss hisab se plan kar lena aur apni baat yaad rakhna... Koi jaise hi contact kare...
SP:- Don't worry boss... Main hun na... Aap tak sandesh pahunch jayega.…
Haalanki SP to upar ke investigation ke hisab se baat kar raha tha, jisme usse lag raha tha ki Som se 2 murder hua hai, jo ho na ho uske karibi Diksha ko target karne aaya tha. Som bhi bina koi correction kiye poora mamla nipta'kar SP office ke bahar aaya, aur bahar to yahan poora Mishra family ka jooloosh laga tha. Som kisi tarah sab ko samjha'kar wapas le'kar aaya...
Iske poorv Sia sidha govt hospital pahunchi, jahan Som ko admit kiya gaya tha. Sia wahan pahunch'kar Vyas ke bare me puchh-tachh karne lagi. Itne me Neerav bhi wahan pahuncha. Sia, Neerav ko dekhti hi uski pass pahunchi aur vyakulta se Vyas ke bare me puchhne lagi. Neerav, Sia ko apne sath liye chala jahan Vyas ka opration chal raha tha.
Police ka ek officer aur 2 haawaldar wahan maujood tha. Wo log Pandit ji aur Shashtri family se badi hi berukhi se baat kar rahe the aur sath me apradhik mamle me Vyas ko ghasit'kar jail bhi le jane ki dhamki de raha tha...
Sia unke pass jaise hi pahunchi.… "Uncle aunty, Vyas kaisa hai"..
Dono kya jawab de bus roye hi ja rahe the. Issi bich police ka wo officer bola.. "Tum kaun ho madam uski girlfriend"… Wah officer apni baat kahte huye Sia ko badi gandi najron se dekha... Sia uski baat par bina koi pratikriya diye, iss baar Nirali se puchhi.… "Nirali, Jannat, Vyas thik to hai na?"..
Nirali, roti hui... "Bhai operation theater me hai aur Aisf bhaiya ko bahar jeep me bithaye huye hain"…
Officer:- Ye hain aawara medical students jinhe jhagra karna hai aur goli chalani hai...
Jannat uss officer ko gusse se dekhti.… "Chor, ghuskhor, paise kha kar bhaukne wala"…
Office utne hi taish me aate.... "Zuban ko lagaam lagao ladki. On duty police wale se aise baat karne ka anjaam shayad bahut bura ho sakta hai. Ek raat ke lock-up me hi sari hekdi utar jayegi. Tere ek bhai ko jeep me bithaya hai, dusre ka medical report le kar niklunga. Jyada juban na chalao warna tumhe bhi sath liye chalta hun.. Shukla ji any comment..
Haawaldar Shukla... "Saheb iss garib (Jannat) ko jane bhi do. Ye ladki (Sia) bahut amir lagti hai, apne Boyfriend ko chhuda legi"…
Sia kuch nahi boli aur na hi Neerav ko kuch kahi bolne. Pandit ji aur Alka Mishra ko hosh hi kahan tha jo kuch kahte. Ek to bete ko goli lagi, upar se goli ki tarah chubhne wali police ki boli. Sia chup-chap sabke sath khadi ho'kar dilasha dene lagi. Takriban 10 minute huye honge, jab doctor bahar aaya aur 2 unit AB postive blood group ka intzaam karne kah diya.
Doctor apni baat kah'kar jaise hi lautne laga, pichhe se Pandit ji usse rokte… "Doctor sahab mera beta kaisa hai"…
Doctor ko jate se toke jane par tikhi pratikriya dete.… "Ja'kar 2 unit khoon lao. Khade rah'kar dimag mat khao... Koi staff yahan hai ki nahi. Sab ko OT ke passage bahar rakho aur kewal ek gardian allowed karo yahan."
Neerav:- Sir hum sab bhi medical student hain...
Doctor, Neerav ki baat sun'kar usse kha jane wli najron se ghurte chala aur idhar wo halwadar Shukla sabko harkate…. "Koi ek aadmi rukega baki sab bhid hatao. Suna na doctor ne kya kaha."
Pandit ji, thoda gussa dikhate.… "Ander mere bete ka operation chal raha hai. 2 unit blood ki demand ho rahi hai aur aap hume bhaga rahe hain."…
Pandit ji ki baat par wo officer harkaate... "Itna chidh kyun rahe ho? Jaldi jao pahle khun ka vaywastha karo, warna tumhara beta jinda bhi nahi bachega"…
Bete ki gambhir haalat aur uske bare me kahi gayi abhadr tippni par pandit ji apna aapa khote, uss officer ka girewaan pakad liye. Unka girewaan pakadna tha aur idhar uss officer ka hath uth gaya... Uss office ne jaise hi hath uthaya, Sia uska hath upar hi rokti…. "Ye bhool mat karna officer, warna achha nahi hoga"…
Bahut se logon ki maujoodgi me ek ladki dwara hath pakda jana, uss officer ne kuch jyada hi dil par le liya. Fir to usne Sia ko aisa dhakka diya ki wo ladkhdati hui ja'kar sidha deewar se takra gayi. Uska dakka thoda tej tha. Sia ka hath chhil gaya aur kisi nukili chij se sir takrane ke karan bleeding shuru ho gayi thi.…
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Awesome update bhai waiting for next updateUpdate:-83
Som sab kuch samjha'kar fir se ek baar poora plan check kiya. Som apne commandig office me tha jab uske pass 2 I'ds pahunchi. Jisme se ek uske dad aur dusra uske boss ka tha. Som apne dad se khud milne gaya aur wahan se sabhi commanding hall me chale aaye...
Avneesh Sinha:- Sir hum aa gaye mission in-charge ke pass. Ab aap kah sakte hain.
Mr. Malhotra:- Sorry... Main iss waqt profession ke bich thoda personal ho raha. Can we talk after 15 minutes?
Som:- Charanjeet dad ke liye ek drink lane bolo. Dad aap kuch der relax karo main ek chhota sa kam khatm kar'ke aaya.
Som apni baat kah'kar jaise hi 2 kadam aage badha... Anurag Malhotra Som ko rokte, "Ek minute yahan aana Pursom." Som mud'kar jaise hi unke karib pahuncha, Anurag usse gale lagate... "I am proud of you my boy. Jao kaam finish kar'ke aao"
Som jab jane ke liye muda, uski aankhen nam thi aur chehre par pyari si muskaan. Yahi haal Mr. Malhotra ka bhi tha. Som wahan se nikal'kar sidha Sanju ke pass pahuncha. Som, Sanju ke sath ek walk lete.…
Som:- So, kaisa mehsus ho raha..
Sanju:- Sab khula-khula aur ek dum dhanshu...
Som:- Charanjeet ne sab samjha diya hai.
Sanju:- Haan... Befikr rahiye boss...
Som:- Tum ho to waise bhi mujhe fikr nahi hai Sanju. Bus apne emotions par kabu rakhna. Hum sari duniya ki problem ko solve nahi kar sakte, isliye aas-pass ho rahe galat chijon se aankh mundna padta hai. Khas'kar tab jab hum kisi dusri country me illegal tarike se guse ho aur kisi mission ke bich me ho.
Sanju:- Galti ho jati hai boss. Kya aap meri jagah hote to uss bacche ko nahi bachate.
Som:- I appreciate your work Sanju, lekin kabhi-kabhi hum bandh jate hain. Ek chhoti si galti ka parinam bhayavah ho sakta hai. Khair rahne do. Aaram se mission complete karo aur sabko sath le'kar aana..
Sanju:- Yes boss...
Sanju ka viman bhi run-way se udaan bhar chuka tha. Som apni jagah wapas pahunch'kar… "So Malhotra sir, hum kaise aapki madad kar sakte hain"..
Mr. Malhotra:- Hum chahte hain Islamabad se humare agents ko rescue karne ke sath ek kaam karte huye aao.…
Som:- Kaun sa kaam sir...
Mr. Malhotra:- Humare agents jab arrest huye tab ek hard drive ghumte firte ek colonel ke pass pahunch gaya. Aur wo hard drive apne office me rakhta hai... Hume wo hard drive chahiye...
IIFA head Avneesh Sinha:- Main samjha nahi. Ek Raw agent ki hard drive ek colonel ke pass hai, tab bhi wo log humare agent ko civilian jail me rakhe hain..
Mr. Malhotra:- Uss colonel ko pata nahi ki uss hard drive me kya hai? Wo to bus uske ander ki porn movie ko apne office me baith'kar enjoy kar raha hai...
Som:- Ye koi badi problem nahi dikhti jo security council aur Raw agency itni chinta me hai. Bus coloneal ke sath chhoti si jaan pahchan aur ek dosti hi ti banani hai. Fir hard drive uss colonel ke sath ja'kar office se la sakte hai. Aakhir issi baat ki to Raw agents ko traning milti hai...
Mr. Malhotra:- Yes you are right. But we have a situation. Hum Pakistani jail me jyada din apne agents ko nahi rahne de sakte. Yadi chhanbin me kuch bhi doubt hua to unhe turant millitary jail me shift kar diya jayega... Dusri baat jail se jaise hi humare agent rescue honge, thik uske baad jail se bhage logon par jaanch baithegi. Chhanbin hogi... Colonel uss hard disc ki chhanbin bhi karwayega…. Kyunki 4 kaidi jail todkar gayab ho gaye iska matlab wo mamuli chor to nahi honge…
Som:- Now we have a situation… Aapka koi field agent iss waqt wahan nahi hai kya?
Mr. Malhotra:- Believe me, yadi wahan ye kaam karne ke liye koi agent hota to main itni der se tum dono ko explain nahi kar raha hota aur na hi apni chhuti barbad kar raha hota.
Som:- Relax sir.… Chief aap kya kahte ho..
Avneesh Sinha:- Ek hard drive ko bhi rescue kar do. Islamabad me apne khabri se contact karo aur usse kaho sahi aadmi ko kharid le...
Som, Vishal Singh aur Sanjay Vaghela se cordinate kar'ke unhe new mission objective samjhane laga. Lagbhag aadhe ghante discuss karne ke baad yah tay hua ki, Sanju apne 2 team'mates ke sath pahle wo hard-disk lega. Aur thik uske baad Vishal Singh mission lead karega, jise second team back-up degi. Uska Incharge ab Praveen Kumar tha.
Som apni poori yojna discuss karne ke baad... "Charanjeet, ye commanding center tumhara. Kuch bhi gadbad lage to mujhe inform karna. Boss aap ruk rahe ho"…
Avneesh Sinha:- Haan main ruk raha hun.
Som:- Ok boss. Chaliye dad, chala jaye... Bahut din ho gaye aapse bhi mile..
Wo dono wahan se nikle. Som aur dad Anurag Malhotra jaise hi bahar aaye.… "2 logon ko civilian jail se nikalna aur ek hard disk ko kisi ke office se gayab karwana, iske liye IIFA ke 36 officer kaam par lage hain. Kamal hai na... Tumhari agency ki koi bhi khabar hume kyun nahi"..
Som:- Dad, abhi yahan bahar aapko ye sab discuss karna hai.
Dad:- I should talk to PM directly...
Som:- Unka PA kahega.. "This is non of your concern"
Dad:- Tumhara actual operation ab Tuesday ko hoga na. Jab kal ya Tuesday tak wo hard disk uss colonel ke office se koi uska mulajim chura'kar tumhare logon ko de nahi deta...
Som:- Dad, ye kya hai?
Dad:- Mujhe jaan'na hai ki tumhari 3 team wahan kis operation par hai.
Som:- Dad aap line cross kar rahe hain. Aapko bhi pata hai ki iss baat ka jawab hum PMO me bhi nahi denge. Aap to sadak par ek agency ki ongoing opration discuss karne ki kosis kar rahe...
Dad:- Thik hai ab se meri najar IIFA par rahegi. Waise kya tum bata sakte ho ki yahan tak pahunche kaise? Kyunki aakhri jo mujhe pata hai, wo ye ki NDA written exam me tum list me sabse aakhri the. Aur tumhe bottom rank se job nahi karni thi.
Som:- Dad aapko hua kya hai... Aap yahi jaan'ne me intrested hai na ki main IIFA me kaise pahuncha...
Dad:- Haan filhaal itna hi.
Som:- Thik hai kal IIFA Lucknow office me main iska jawab dunga. Ab please ye bacchon jaisi harkat band karenge..
Dad, gahri shwans lete... "Achha lag raha hai aise casual hona. Varsho huye casual huye. Som meri ek ikchha hai..
Som:- Kahiye na dad..
Dad:- Yaar teri maa se milne ki ikchha ho rahi hai... Please tu chillana mat...
Som:- Dad.. wo India ki bahut badi hasti hai... Wo aise nahi mil sakti.
Dad:- Tum uss se Diksha ki shadi me mile the na...
Som:- Dadddd !!!
Dad:- Thik hai yaar chidh kyun raha hai..
Som:- Ye humari car ke pichhe kya aapke log hai?
Dad:- Haan mere log hain...
Som:- Kya kuch dino ke liye inhe bhi chutti par nahi bhej sakte. Aapke office me kaam karne wale apne bacchon ko sidha jawan hi dekhte honge... Kyunki 10 baje se raat ke 2 baje tak to ye log National Security Council ke office me hi rahte honge...
Dad:- Now who is talking about whose profession?
Som:- Ohk.. Sorry... Main nahi karta. Lekin please jab ghar me ho to ye protocol wale bodyguard hata lijiye...
Dad:- I cannot do that. Kyunki mere pichhe rahne ka order inko apne department se milta hai. Main to bus apna kuch kaam inse karwa sakta hun. Wo order ye follow karenge...
Som:- Oh aur shayad aapke department wale aapke teeno bacche (Som, Sia aur Diksha) par bhi nigrani rakhte hai na, bina humari jaankari ke..
Dad:- Galat, Som Malhotra par najar rakhne wali team ki tukdi Mishra ji aur bhabhi ki nigrani karti hai... Tum par nigrani karne aayi team ko tum kayi baar chakma de chuke. Jabse Lucknow shift huye aisa kabhi nahi hota ki tumhare aas-pass 2-4 officers na hote ho. IMA se pata chala ki wo log niji taur tumhe suraksha muhaiya karwate hain, kyunki bina kisi fee ke tum unke officers trained karte ho. Mujhe kya pata wo sirf ek fake file thi, yahan to tum apni team ke sath rahte ho...
Som:- Pahli baat ye ki aap baar-baar meri agency ki inquiry karna band karenge. Warna mere boss aapke boss se baat karenge. Aur dusri baat sharm nahi aati apni family par najar dale rahte hain…
Dad:- Absolutely not... Unhe order hain ki kewal sandigdh gatividhiyon aur khatre par respond kare. Iske alawa unhe niji mamle me nigrani rakhne ki jaroorat nahi. Aisa hota to main Zurul Imam ke case me nahi action lene kahta, ya fir Sia ko jab Faizal Sehnavaj ne ghera tha tab nahi action leta...
Som:- Ek minute... Faisal Sehnavaj ne Sia ko ghera tha...
Dad:- Haan ek chhoti si misunderstanding thi. Tab Faisal ko pata nahi tha ki wo wahi Sia hai... Wo Anusia aur Sia me confuse kar gaya…
Som:- Hmmm !!! Khair chhodo... Mujhe to ab bhi yakin nahi ki Zurul Imam ke case me aapne interfare nahi kiya.. Jo mejor mere sath kaam kar raha tha, wo aapke sath bhi kaam kar chuka tha...
Dad:- Kaun?
Som:- Puchh to aise rahe ho jaise aapko kuch pata hi nahi... Ab ye sab baaten band karo, ghar aa gaya hai aur hume grih prawes ka nimantran patr bhi baantna hai...
Som, Anurag Malhotra ke sath cottage me pahuncha. Jaise hi dono pahunchr darvaje par Meera khadi thi.… "Bina bataye kal aap kahan gayab ho gaye the ji"… Som ko dekhte hi Meera sawaliyan najron se puchhne lagi...
Som, Meera ko chup rahne ka ishara karte.… "Wo dad, Meera apne college ke drame me participate kar rahi hai, aur kal se hi mujh par dialogue practice kar rahi. Kyun hai na Meera"..
Meera, khile se chehre banaye naa me apna sir hilati... "Aisa to bilkul"… Shayad kahna chah rahi ho aisa to bilkul bhi nahi lekin bich me hi Som uska muh band kar'ke kinare karte... "Aap ander jao na dad, shayad Meera ko kuch personal baaten karni hai"…
Tabhi Som ko dakka laga aur wo darwaje se ladkhadata hua bahar. Som sambhal'kar jab darwaje par najar dala... "Ek kaam kar tu hi bahar hi nikal"…. Darvaje se hi Lata Mishra, Som ko dhakka deti kahne lagi. Som, Mishrayan ji ko aankh se ishara karte... "Maa dad itne din baad aaye hain"…
Lata:- Anurag se hum mil chuke aur kuch kahna hai...
Som:- Oh wowww !!! Aap log mil chuke.. wowww!!!
Diksha:- Aise bhondu ki tarah reaction dena band kar, yahan teri shadi ke bare me sabko pata hai...
Som:- Dad ko bhi bata diya...
Dad:- Kyun mujhe nahi batana tha kya?
Som, apne dad ke gale lag kar unka gaal chumte…. "I am soooo sorry"..
Dad, Som ki pith thap'thapate… "Why sorry... Gadha kahin ka. Haan thoda dukh hua, lekin abhi family & party time.
Anurag Malhotra khush the aur ek chhoti si family party ka announcement din me hi ho gaya. Haan in sab ke bich ek baat jo sab notice to kar rahe the, lekin koi kuch kah nahi raha tha.… Sia ki anupasthiti.
Yun to Sia ghar par thi lekin usse ummid nahi thi ki Som itni jaldi laut aayega. Sia, Som se chidhti hui khud se hi kah rahi thi... "Abhi to Vyas se mil'kar kamra number 211 ki kahani discuss tak nahi kar payi aur ye chala aaya. Bhagwan isse sabke bich uljhaye rakhna, jab'tak main Vyas se mil'kar sab settle kar leti hun. Kahan hoga Vyas. Ek kaam karti hun Vyas ko ek message kar deti hun"…
Sia khud se baaten khatm karne ke baad phone uthayi aur message type karne lagi.… "Sweeto, tumse milna tha. Main free ho'kar text karoongi, tum taiyar rahna. Pleaseeeeeee..."
Bahar, Som aur sabhi logon ke bich baaten chal rahi thi. Ander Sia, Vyas ko text bhejne ke baad uske reply ka intzar kar rahi thi. Sia kuch der tak Vyas ke reply ka intzar karti rahi, itne me bahar se log chillane lage. Sia phone dekh'kar chhota sa chehra banati… "Lagta hai phone kahin aur hoga"…. Itna sochti wo sabke pass chali aayi.
Ab Sia ko bhi kya pata ki Vyas jahan hai, wahan chal kya raha hai. Kayi ladkon ki bhid thi aur uss bhid ke bich me Vyas, MBBS final year student ka girewaan pakda tha. Haan Vyas ka bhi girewaan usne pakad rakha tha... Aur wahan ka mahol... Mahol to puchhiye hi mat.…..
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
nain11ster bhai page 523 par update 84 he-----: Bulletin Board :-----Update 83 is posted on 523... Must give your valuable feedback..
Khubsurat update dostUpdate:-83