-----: Bulletin Board :-----
Update 88 (A & B) is posted on 537.. Must give your valuable feedback...
End Of The Chepter:-1 is posted on 542...
Last edited:
Lazwaab updateUpdate:-44
"Hum khud me hoshiyar hote hain. Bahut jyada hoshiyar hote hain... Itna lamba chauda build up hota hai ki log dur se hi nikal lete hain. Lekin mere dost, wo upar wala jo hai, wo jab faadta hai to fatne se kuchh waqt pahle tak koi andaja bhi nahi hota ki koi aise faad'kar bhi nikal jayenge.. "
"Jab kabhi aisa ho to ek baar bhagwan ko naman karna aur kahna.… "Hey Ishawar hum samjh gaye ki jo dayra humne apne liye banaya tha, uske chithre uddane wala koi aa gaya hai aur hum aatmsarpan karte hain kyunki jitna attitude dikhayenge tum meri utna maar loge"…
Som kuchh purani baten yaad kar ke... "Gaurav baba ki jay... Kamine tera shraap lag gaya mujhe. Kash ek ladka dost hota… Kaun help karega iss situation me"
Khayalon ki aisi udherbun si chal rahi thi ki baki sare khyal gayab aur dimag ke softwere me... "Hoga, ye ho kar rahega, likh lo" ye line virus ban kar ghus gaya tha. Baar-baar ek hi khyal... To kya Som Meera ke bare me soch raha tha... Nahi bilkul nahi, balki Meera ki baaten uske ander bhay paida kar rahi thi. Kabhi na ghabrane wale Som, Meera ki baat se ghabra raha tha.
Phone ki chamkati screen ne Som ka dhyan khincha. Subah ke karib 10 baj rahe the. Sia call kar rahi thi.… Jaise hi Som ne call uthaya...
"Koi mar jaye phone karte-karte to bhi phone mat uthana."... Sia poore gusse me apni baat kahi...
Som:- Ye kaisi baaten kar rahi hai... Koi emergency hoga tabhi phone nahi uthaya hoga maine.
Sia:- Batao kaun si emergency thi.
Som:- Yahan aa kar poora gussa nikal lena. Chal abhi smile kar aur baat batao..
Sia:- Aalsi makan ka kaam dekhne nahi gaya na...
Som:- Kaam poora theka par diya to hai... Mera jaana jaroori hai kya?
Sia:- "Som kuchh serious baat thi tabhi to utne dino se kah rahi thi wahin site par raho. Makan ka poora kaam 15 din pahle complete ho jana chahiye tha, lekin jakar haalat dekho. Jitna abhi tumne dekha hai wo lagbhag mahina din pahle bana hua tha, uss se aage kaam badha hi nahi."
"Aur haan ye dusra contractor hai, pahle wala ne mahine din pahle kaam chhod diya tha. Naye wale ka abhi phone aaya tha, kah raha tha madam mujhse ye kaam nahi hoga aap kisi aur ko dekh lo..."
Som:- Hmmm ! Main dekhta hun.... Chal tu abhi smile de...
Sia:- Huhhh !!! Chidha diya aur kahta hai smile dene... Phone na uthane se kitni pareshani hoti hai jaanta hai. Ab ja na Som, humare ghar ke kaam par koi adanga laga raha hai aur 10 dino me tujhe ye baat pata bhi nahi chali...
Som:- Kaha na smile kar... To matlab smile kar... Main ja raha hun...
Call disconnect hone ke baad Som ne jab mobile check kiya, 18 calls... "Meera ji pata na aage aap ke aur kitne natije bhugatne honge"… Som taiyar hone ke sath hi Nirbhay Singh ko call laga kar apne ban rahe ghar ke pass pahunchne bol diya.
Kuchh der baad Som wahan pahuncha aur ussi ke thik pichhe Nirbhay Singh bhi pahuncha. Dono sath me hi boundry se ander kadam badhaye...
Nirbhay:- Koi problem kar raha hai kya?
Som:- Ye dusra contractor ko kaam dena pada tha Sia ko. Pahle wala bhag gaya...
Nirbhay:- Sia ko aaye mahine din ho gaye. Wo mujhse kah deti...
Som:- Wo sirf mujh se kahegi... Maa pitaji ko bhi nahi batayi...
Dono pahunche contractor ke pass. Contractor Nirbhay Singh ko janta tha. Contractor ne fir wahan chal rahi poori kahani batayi...
"Zerul Imam ke gundey yahan par kaam nahi hone dete. Pichhla contractor dabang tha aur kaam ka pakka aadmi, isliye apne dum par usne aap ke makan ko itna taiyar karwaya. Lekin wo bechara bhi juban ke khatir pis gaya. Baat jab uski family par aayi to bechare ne wo kaam chhod diya. Aap Zerul Imam se baat kar lijiye, uske baad hi main kaam shuru karunga"…
Som:- Hmmm... Thik hai main baad me contact karta hun...
Wo contractor chala gaya. Nirbhay, apni badi si sigad jalate... "Kya soch rahe ho bade saheb"..
Som:- Mujhe yahan rahna hai aur Sia apne ghar ko le kar bahut khush hai...
Nirbhay:- Main iss mamle me thoda sa back foot par hun. Ek to wo vidhansabha ke assembly ka aadmi hai, upar se cnetral me ministry sambhal raha aadmi uska hone wala sambandhi. UP me to wo kisi ki nahi sunega... Abhi apne ladkon ko bhej raha hai, jyada jod aajmaish hui to fir police ko bhejega...
Som:- Hmmm !! Sia se baat karunga... Ab lad kar yahan rah to nahi sakte…
Nirbhay Singh ke wahan se jate hi Som sidhiyon par baith gaya. Gahri shwans lete jamin ke matter me paida hui vighn ko sochne laga... Soch wo jamin ka matter raha tha lekin baar-baar najron ke samne Meera ka chehra aur uski baaten aa jati...
2 baje ke karib Sia lauti. Som apne bistar par karwat badal raha tha. Aate hi... "Nalayak, mera phone nahi utha raha tha, aur deewar par tangi mere tasveeron ka collection kahan gaya"…
Som chadar se muh bahar nikalte... "Kyon panic ho rahi hai. Ye aaj kal tu itna chidhi hui kyun rahti hai. Mujhe to shak ho raha hai ki kisi aur ka gussa mujh par utarti hai"..
Sia:- Purshon Malhotra, apni baaton se kisi aur ko uljhana. Jarra bhi topic divert karne ki kosis mat karo…
Som:- Deewar ki tasveer tumhari sweeto utha kar le gayi...
Sia, Som ko ghurti... "Wo kyun aane lagi yahan."..
Som, bhi Sia ko ghurte... "Ye jawab wahi degi. Board ko bahut dhyan se dekh rahi thi to maine usse de diya. Aaj sham tak usse bada board aur sari tasveeren apni jagah hogi. Agla matter"..
Sia:- Contractor ka phone aaya tha, usne bola ki sari baat tujhe samjha diya hai...
Som:- Haan sari baten ho gayi hai. Vidhansabha aur lok sabha ke member humari site ko jabardasti hasil karna chahte hain…
Sia:- Had hai itne bade Lucknow me unhe aur koi jagah pasand nahi aayi kya… Humari hi jagah unhe mili thi…
Som:- Powerful log, wo bhi power me hai... Aage jaise bhi bol...
Som ki baat sun kar Sia ka chehra utar gaya... "Chhod de, jamin ko bech kar kahin aur thikana dekhte hain. Kya karna jhagda kar ke"..
Som:- Haan exactly main bhi yahi soch raha tha. Bus tumhare jawab ke liye ruka tha…
Sia:- Thik hai wo property deal kar lena. Jo aur jitna de bech kar Nirbhay chachu se hi baat kar lenge...
Som:- Tu dil chhota na kar, hum waisa hi ghar banayenge...
Som aur Sia, ki bhi kahani un logon ki tarah hi thi jo haar kar apni jagah aur jamin chhodne par majboor ho jate hain. Sia ke aanshu nikal aaye. Jagah chhodne ka dard usse ho raha tha aur wo Som se lipat kar rone lagi…
"Itne salon me ek ghar humne apne liye socha tha Som. Bhagwan se wo bhi bardast nahi hua. Yahan logon ko dekhti hun to lagta hai ki ye desh hi chhod dun.. Bhai kya bigada tha humne kisi ka, jamin par kabja kar liye"…
Som, Sia ko khud se alag kar ke, uske aanshu ponchha aur dono gaal khunchte... "Kya karna hai sampatti ka lobh kar ke Sia.. Thoda kam hi sahi sukoon to hoga, teri pyari si hansi to hogi. Mat ro jane de."
Sia:- Hmmmmm !!! Dad laute Israel se..
Som:- Nahi, 10 din baad lautenge...
Sia, turant Lata Mishra ko call laga di… Udhar se jaise hi call pick hua... "Maa tum yahan aa jao, aur Diskha ko bhi le aana. Mera mann nahi lag raha."
Som:- Siaaaa...
Sia:- Kya hai.. meri classes hain aur kafi intresting class chal rahi hai... Isliye maa ko bula rahi, warna ab tak chali gayi hoti. Ab jarra tum chup rahoge... Maa jaldi aa jao...
Lata Mishra:- Phone speaker par daal..
Jaise hi Sia ne phone speaker par dala... "Kya hai re gadhe, khabardar jo bacchi ko daanta to. Sia main kal hi tere pitaji ke sath aati hun. Diksha ko bol dungi beta, lekin dekh ab wo sasural me hai to uska aana confirm nahi kar sakti"..
Sia:- Koi baat nahi hai maa, tum bus aa jao. Yahan kuchh bhi achha nahi lag raha hai.
Lata Mishra:- Aaj hi aati hun main...
Sia:- Nahi maa tum kal aao. Yahan aap sab ke rukne ka poora arrangements bhi to dekhna hai….
Lata Mishra:- Achha thik hai main kal aaungi. Aur sun abhi hi bata de rahi hun, tere pitaji Varanasi jane ke liye jid kar rahe hain to hum sab kuchh din wahan chalenge… chal ab aise udas na raha kar...
Lata Mishra se baat kar ke Sia ko kuchh halka mehsus hua lekin property jaane ka gum to tha hi. Shaam ke waqt Nirbhay ke dono bacche, Vijya aur Ajay cottage me pahunch gaye. Dono Sia aur Som se sath ghumne chalne ki jid karne lage. Som to nahi gaya lekin Sia unki jid ko naa nahi kah saki. Sia un dono bhai bahan ke sath ghumne nikal gayi aur Som apne parsaniyon ke nivaran par sochne laga….
Issi din ki subah jahan ek ore Meera aur Som ki kahani shuru hui thi, wahin subah ke 7 baje... Neerav car me sawar, line par thi dilruba dil bahar Paali... "Nikal aaye Neero"..
"Ye galat kiya tumne. 10 minute baad jata na main college. Aahhh towel me kya sexy lag rahi thi. Kam se kam bra aur painty pahan'ne tak to ghar me rahne deti"…
"Neero Delhi aa jao... Apne hathon se sare kapde pahan dena, main manaa nahi karungi. Lekin ye video wala chakkar me dar lagta hai. Viral ho gayi to"…
"Haan so to hai Solly... Waise baat kya hai 2 mahine me hi pahle se jyada hot aur sexy ho gayi"..
"2 mahine se sath nahi hai isliye aisa lag raha hai. I miss u Neero. Baby I want to hug u.. kiss u..."
"Kya tum ro rahi ho.. Paali... Paali.."..
"I am fine Neero. Achha nahi lagta yahan. Boarding me hi medical college bhi hota to kitna achha hota"..
"1 month class kar lo. Jab tak sallybus bhi samjh me aa jayega. Fir kuchh din ki chhuti par aaunga."
"Sach Neero"…
"Haan baba sacchi. Haan lekin aise emotional na hua karo, dil bechain ho jata hai."
"Thode bechaini meri bhi samet lena kyunki tum bin to mera dil har dum bechain rahta hai Neero"…
"Jyada pareshan na raho. Ek kaam karta hun iss Sunday aata hun. Subah aaunga aur agli subah chala jaunga. Ab chalo smile karo"…
"Uffff... 3 din ab to kisi bhi tarah kaat lene hain. Baby dich mat karna, please"…
"Haan bilkul.. Lekin tum bhi apna wada mat bhulna... Yaad hai na kapdon ko le kar abhi kya boli ho?"
"Oye Neeru abhi usme waqt hai haan... Jyada dhyan udhar mat daurau. Ab main class ke liye nikalti hun… Ummmmmmaaaaahhhh.. Love you Neero"
"Ummmaaaahhhhh... Love you too Paali"…
Car me bajne laga.… "Aaj blue hai pani pani" aur kuchh der baad college pahunch kar Neerav apni car park karne laga..
Neerav jaise hi car se bahar aaya, 8-10 ladkon ne usse gher liya. Neerav chaunk kar thoda kinare hote.… "Sir, main imandari se ragging deta hun na. Chaliye na kahan ragging dena hai?"..
"Aree tumse kaun ragging lega. Bus tum jaise topper se dosti karne aaye hain"… Kisi ek ladke ne kaha...
Neerav thoda dhyan se sochte... "Topper ki baat se aise parking me kaun rasta gher kar dosti karta hai. Kuchh aur hi baat hai?"…. Neerav apne khyalon me khoya tha tabhi dusra ladka..
"Neerav Aaj se hum sab friends"…
Neerav:- Aap sab first year ke hain kya?
Haalanki janta to Neerav bhi tha ki koi bhi first year ka nahi. Welcome session me wo ek najar poori class dekh chuka tha. Fir bhi puchh liya. Sabhi ladke lagbhag ek sath... "Nahi-nahi hum final year students hain"…
"Jaise ki ummid thi. Kamine Sia didi ya fir Meera ke liye aaye hain. Ya fir dono"…. Jaise hi ye khyal aaya Neerav... "Sir first year class shuru hone wala hai. Main class kar aaun fir aaram se baat karenge"…
"Neerav yahan kya kar rahe ho"… Kahin dur se Vyas ki awaz aayi... Neerav shwans me shwans lete... "Car park kar raha tha Vyas. Abhi aaya"…
Jaise hi Neerav aage badhne laga, ek ladka uska rasta rokte huye, Vyas se…. "Tu kaun joker hai be madarchod, jo senior ke samne tan kar khada hai"…
"Ab kisi na kisi ki maa chod kar hi aa raha hoga to jab ye baap hua to loose kaise khada ho sakta hai"…. Pichhe se Riaz ne jawab diya...
Un ladkon me se koi kuchh bolne ko hua tabhi wo log aapas me baaten karne lage. Aapas ki kuchh der sangosthi ke baad... "Tu wo Chaturvedi ke naya chamcha hai kya.. jo hum se bhi aise baat kar raha hai"…
"Hum, hum hai. Wo, wo hai aur tum, tum ho. Naam background aur profile ki hume jaroorat nahi"… Asif ne jawab diya .
"Tu janta bhi hai kis se panga le raha hai"… Unme se ek ladka bola..
"Padhne aaye hain sir. Padhne do. Neerav chal bhai, tu kya sun raha hai"… Vyas ne sab ko bade aaram se kaha..
"Sale tune Zerul Imam ka naam suna hai"… Un me se kisi ne kaha…
Jaise hi Zerul Imam ka naam aaya, Asif aur Riaz ki hansi nikal gayi.... "Huma issi campus me padh rahi hai kya?"…. Asif ne hanste huye puchha...
Huma ka naam sun kar sabhi launde daur pare. Teeno se kuchh duri par hi honge tabhi... "Tere baap Rasheed Imam ko bolna, Asif, Vyas aur Riaz se pange kar rahe hain... Kya hum kar le. Fir jaisa bole waisa kar lena. Hum kaun sa ye campus chhod kar bhag rahe"…. Asif ne bade attitude se jawab diya...
Rasheed Imam, Vyas jis area me rahta tha, uss area se ek poorn pratibandhit ladka tha, jise tea party gange ne bilkul shakt warning ke sath nikala tha. Uske baad 3 baar tea party gange ke ladkon ko akela pa kar bahut maare the. Natija ye hua tha ki sarkari high security bridge ki dhajjiyan udda kar uss ilake ke karib 250 se 300 ladke Zerul Imam ke ghar me ghus gaye the…
Baharhaal Rasheed ka naam sun kar wo log to wahin ruk gaye. Vyas char kadam aage badh kar un ladkon ko lead karne wale ladke ke gaal par thapthapate.…
"Jitne bhi Lucknow ke bade businessman honge, jitne bhi dabang honge aur jitne bhi top level ka neta, unme se kiske bacche ko humne nahi maara hoga ye tu Rashid se puchh lena. Kisi waqt humara chela hua karta tha tera Rahsid aur Huma humari junior thi par lagaav jyada tha, isliye utsukta me in dono ne puchha.. samjha ghonchu."
"Baap ko pahchan kar baat kiya kar. Padhne aaye hain padhne de, mahol mat bana samjha... Aaenda dikhna mat warna marunga pahle fir baad me puchhunga matter kya tha... Chal bhai Neerav... Chal kar jarra class kar len... Senior sir humari baat shayad samjh gaye honge…"
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
first of all sorry sir thodi late ho gayi review dene me thodi busy thi aaj hi update padha to abhi likh rhi huUpdate:-85
Bahut se logon ki maujoodgi me ek ladki dwara hath pakda jana, uss officer ne kuch jyada hi dil par le liya. Fir to usne Sia ko aisa dhakka diya ki wo ladkhdati hui ja'kar sidha deewar se takra gayi. Uska dakka thoda tej tha. Sia ka hath chhil gaya aur kisi nukili chij se sir takrane ke karan bleeding shuru ho gayi thi.…
Sia ke mathe se jaise hi khun ki dhar nikli wahan maujood har koi hairan rah gaya. Hairan to wo officer bhi tha, kyunki usse bhi andesha ho gaya tha, ki uss se galti hui hai. Iss se pahle ki Sia ki haalat par koi pratikriya deta, wah police officer lipa-poti karte.… "On duty police wale ko harash karegi. Shukla thane se lady constable bulao aur iska trearment karwa'kar le chalo thane"…
Ek to uss officer ne badtamiji kiya, upar se chinkhte huye ulta ilzaam lagaa'kar Sia ko thane bhi le jane ke liye kah raha tha. Sia, Shashtri family ki manodasha samajh rahi thi. Sia wahan sab ko shant rahne ke liye kahti hui.… "Neerav mbbs group me Vyas ki haalat ki suchna do aur logon se kaho 2 unit AB+ blood arrange kare, turant"…
Itna kahi hi thi ki Nirali aur Jannat uss police officer ko ghurti, Sia ke zakhm ko dekhne lagi... Sia dono ko hausla deti... "Chinta ki baat nahi hai. Sabko le'kar lounge me intzar karo, uncle ko bus yahin rahne do"…
Pandit ji:- Sab meri hi galti hai. Beta jawan ho gaya hai aur mujhe iss baat ka ehsas tak nahi.… Vyas se kah dena baba ab kabhi gussa nahi karenge, bus thik ho'kar wo jaldi aa jaye... Ek hi to beta hai, usse bhi aisi haalat me dekhunga... Upar se Police wale... Zinda ko bhi nochte hain aur mare huyo ko bhi... Ek jarra tamij nahi aur na hi inhe kisi ke bhavnao ki kadar hai... Koi Sia ka ilaz karwao. Ab kya iss bacchi ka bhi khun bahte dekhun...
Alka Shashtri, apne pati ke aanshu saaf karne lagi. Yun to wo pandit ji ke aanshu saaf kar rahi thi, lekin khud ki aankhen aanshuon me aisi dubi thi ki najren dhundhli ho gayi thi. Ek baar fir kafi gamgin mahol tha. Apne abhibhawakon ke aanshu ko dekh'kar Nirali aur Jannat ke aanshu bhi chhalak aaye.
Idhar Neerav ke samne se ek tralli ja rahi thi. Jisme dressing ka sara saman tha. Neerav ne saman le ja rahe ward boy ko 100 rupya diya aur usne Neerav ko sabhi jaroorat ki chijen de dee. Neerav Sia ke khun ko cotton se saaf kar'ke uske zakhm ko dekhne laga... "Kisi nukili chij ka tip aapke sir par laga hai. Mamuli ghav hai. Ek tetnus ka injection bus lagwa lijiye"…
Neerav sir par cotton ke upar tape chipka'kar isharon me Shastri family ko sambhalne ke liye kahne laga. Sia Shashtri family ke aansu pochhti sabko bahar le aayi. Issi bich uss officer ke pass uske senior ka call aaya. Pahle to uss police officer ke senior ne charge-sheet ke bare me puchha. Police officer ka jawab bhi kamal ka aaya, "Investigation complete ho gayi hai. Ghayal ladke ki medical report ke baad charge-sheet taiyar kar lunga"….
Charge-sheet taiyar karne ki baat par CI sahab bade hi naatkiya dhang se kahne lage... "Kamal hai FIR ke mahaj 2 ghante me complete investigation. Bade teji se case solve kar liya... Lagta hai promotion ki jyada jaldi hai"… Uske baad FIR ki baat hone lagi. Jaise hi FIR ki baat hui, uska senior uss police officer ko aade hath lete.… "Tu charge-sheet file karne ki soch raha aur poore department ko teri FIR hi fake lag rahi. Kisne likhwayi wo FIR"
Police Officer:- Wo pirit ladka Nausad ka cousin, Sorab ne CI sahab...
Senior:- Kamal hai ye to... Ussi ladke Sorab ka written confession mere hath me hai. Isme likha hai, "mauke par pahunchi police ne, jabadarsti ek man-gadhant FIR mujhse likhwaya. Mbbs kar rahe 400 student ne likhit gawahi Thane me jama karwayi hai, jante ho kya hai usme... Hostel me koi goli nahi chali. Aur wo ladka Vyas khelte waqt tab ghayal ho gaya, jab wo fisla aur pichhe se uske paun me sariya ghus gaya."..
Wo officer:- Sir, saaf dikh to raha hai goli lagi hai. OT se nikal'kar doctor bhi apne medical report de dega...
Senior:- Lucknow ke private University. Usme bhi medical kar rahe 2 Student ke bich ki jahadap hai... Doctor ki report tak wahi hogi jo main bata raha. Samjha tu chutiye... Tujhe kya lagta hai University management itni badi baat accept kar lenge. Wo internally iss matter ko resolve karenge...
Wo officer apne sir ka pasina pochhte... "FIR kya kare sir"…
Senior:- FIR ka kya karoge wo to chhota sa kaam hai. Tu to pahle bhi aise FIR ko manage kar chuka hai. Main janta hun tu manage kar lega. Main uske liye thode na phone kiya.…
Wo officer:- Thanks sir, wo to aap jaise guru ka sikahaya hai, isliye aise FIR manage karna sikh gaya hun.. Phone kisliye kiye the CI sahab...
Senior:- ye bata ki hospital me pirit ke abhibhawak par hath kyun uthaya? MC paise khane ke baad kya pirit ke parivar ko pareshan karne ka koi riwaz hai....
Wo officer:- Nahi sir aap ilzam laga rahe..
Senior:- Bc baap ko chodna sikha raha hai. Janta bhi hai wo master kaun hai. Sala teri tarah koi corrupt govt employee nahi hai aur na hi uss se padhe students, jo Lucknow me hi kayi govt. department me hai. Unme se ek high court me hai. Kamaal ki baat janta hai, tere chutiyapanti me high court ke judge ka call DC office aaya hai aur usne commissioner sahab se hi written explanation maang liya... Abhi aayega DC office se phone Mc.
Police officer:- Sir, wo.. wooo
Senior:- Ye tum wo, wo karte rah... Aur kis ladki ko dhakka diya re MC, kabhi kisi ka background check bhi karta hai ki na bsdk. Pata na wo kaun ladki hai, uske liye alag se mujhe SP office se danda ho raha hai. Sala SP office me desh bhar se kayi officer ke call aa gaye. Aur MC koi bhi call teri tarah SI ka nahi tha, balki IPS ke calls aa rahe...
Police:- Sir lekin yahan ki baaten sabko pata kaise chali...
Senior:- Mc aaj kal log apne mobile ko hi court room banaye hai, tujhe samajh me nahi aata. Tu Facebook par live hai. Poora desh teri harkat dekh raha hai, aur niche comment me itna thuka hai, ki tujhe ussi me duba'kar kahin maar na de. Chutiye apni to marwai hi hai, humari bhi maarva diye. Hostel ke lafde me jitno ko arrest kiya hai usse turant release kar aur station ja'kar apni gun jama kar. Agle aadesh tak tu suspend. Aur dua kar ki wo ladki tere khilaf FIR na kare, warna aur lamba ghusega... Sale suar, harami.. madarchod khali ghus lene aata hai. Bc public place me public ke sath behave kaise karte hain wo pata nahi... Mc roj police walon ki video leak hoti hai, fir bhi chaman chutiye bane ho...
Police officer:- Sir, please, please... Ek mauka de do...
Senior:- Ja'kar gun jama kar. Baad me dekhte hai… Abhi mamla bahut garam hai. Aur haan special update aaya hai, tere khilaf uss ladki ka FIR bhi aa gaya...
Police Officer:- Lekin wo to mere samne hai sir…
Senior:- Complaint uske bhai ne kiya hai aur saboot me Govt hospital ki Cctv image ke sath Facebook Live ka video evidence bhi aa gaya... Ab bacha le wardi…
Police officer:- Sir, madad karo galti ho gayi...
Senior:- Gayi teri vardi. Aam public ke live video par tu suspend hua tha, fir ye complaint to DISI Acadamy ka boss Som Malhotra ka hai, wo bhi SP office me... Ab to department bhi tera sath nahi dega.... Ja'kar master aur uss ladki ke paun pad ja aur apne favour me statement le, tabhi teri vardi bachegi…
Officer ke to chehre se hawaeyan udd chali thi, lekin aage aur bhi muskil ho gaya, kyunki medical college ke students poore hospital me hi bhid laga chuke the. University prabandhan khud wahan pahunchi thi aur Vyas ko blood transfusion ke sath hi apne hospital me shift karwa dee, jahan usse vip kamra allot hua tha. Hospital passage me bhid hone ke karan wo officer Shastri family aur Sia ke pass tak nahi pahunch paya. Aur idhar Sia, Shastri family ke sath nikal chuki thi...
3 baje ke karib Vyas ko hosh aa gaya. Uske pass uska poora parivar baith'kar ro raha tha. Vyas kisi se bhi najren milane me asamrth tha. Gamgin sa mahol aur marmik pristithi. Sab kuch samanya hone me lagbhag ghante bhar lag gaye.
Asif wahan se har kisi ko jane bol diya. Raat ko bhi wahi ruk raha tha. Sabhi vida le chuke the. Asif, Sia se bhi uske ghar chale jane kaha... Tabhi pahle Vyas ki ummid bhadi najar Sia ko takne lagi, aur Vyas ki ye ummid bhari masoom si shakl dekh'kar.… "Asif tum ek kaam kyon nahi karte, ghar ja'kar apne ye maile aur fate kapde badal lo. Kyunki tumhe to apni haalat ka andaza nahi hai lekin mujhe lagta hai ki maar-pit ke baad tum ghar nahi pahunche"…
Asif khud ki haalat ka jayja lete... "O' teri itne kautuhal ke mahol me kuch yaad hi nahi raha. Thik hai main ghar ho'kar aaya".
Asif nikal gaya, wahan rah gaye bus Sia aur Vyas. Vyas hasrat bhari najron se Sia ko dekhne laga aur Sia.… Vyas ko apne ore dekhte Sia muh fer'kar pichhe mud gayi. Sia ki ye harkat Vyas ko chubhi ho jaise... Apne priyasi dwara andekha karna jaise akhad gaya ho.… Dil me tej chubhan fir bhi chehre par muskaan... "Kya ho gaya meri sweeto ko. Ab kya main itna bura ho gaya ki muh fer lee. Ae sweeto.…"
Sia ke dil me bhi jaise tis utha. Wah teji se bhagti hui pahunchi... Jitna dil me tis utha tha utna hi gusse me bhi shayad dikh rahi thi. Ankhen bhingi thi aur sath me gusse me laal bhi... Pahunchte hi 4-5 thappad rasid kar di aur Vyas ke sir se sir tika'kar chinkh-chikh kar rone lagi... Vyakulta ne jaise gher liya ho.…
"Kya jaroorat thi Vyas… Aakhir kya jaroorat thi aise ladai karne ki."…. Bolte bolte jaise shwans upar chadh gayi ho. Poori tarah se besudh thi… Awaz rukne lagi fir bhi hichkiyan leti kisi tarah kahti rahi.… "Daraa diya mujhe Vyas… Bilkul dara diya"….
Bahut din ke baad Sia royi thi. Logon ki bhid me jis ladki ne apni sabhi bhawnao ko daba'kar muskurati rahti thi. Jo ab se kuch der pahle apne sath huye abhadr vyaywahar ke liye koi pratikriya nahi di, wah Sia chinkh-chinkh kar ro rahi thi... Vyas, Sia ke pith par apni baanh daal'kar usse khud me samet liya. Wah siskiyan leti rahi. Madhyam madhyam aanshu bahte rahe...
"34 hoga kya? Sine me daba kafi mast feel de raha hai"…. Vyas mazakiya lahze me kaha... Sia fir bhi bina koi pratikriya diye bus uske sine se lagi rahi. Rona to kabka band ho gaya tha bus khamoshi hi thi. Vyas ne mahol halka karne ke liye kaha lekin Sia ka mann shayad abhi halka nahi hua tha. Iske baad Vyas ne fir baat karne ki kosis nahi kee, bus Sia ke pith par pyar se haath ferte, dilasa dene laga.
Waqt bit'ta gaya aur dono khamosh hi rahe. Jaise in khamoshiyon ki bhi apni ek juban ho. Vyas ki bahon me Sia ko dard se sukoon mil gaya tha aur uski dhadkano ko sun'na aisa tha, maano kisi madhur sangeet me kho gayi ho... Dono ek dusre ko bahon me bhar'kar dharkano ki madur awaz me apni aankhen munde the.
Khamoshi me kuch pal aur bita. Sia, Vyas ke haath ko hata'kar, apne chehre ko Vyas ke chehre ke upar leti, Vyas ka chehra dekhna lagi... Sia bilkul khamosh aur utni hi gambhir bhaw se Vyas ka chehra dekh rahi thi. Aisa lag raha tha jaise mehsus karne ki kosis kar rahi ho ki goli lagne ke baad Vyas kis dard se gujra hai. Ek baar fir Sia ke aanshu chhalak aaye... "Sweetoooo... Sweetoooo"… ruwasi awaz me wah Vyas ko paukarne lagi. Vyas thoda muskuraya. Apna hath badha'kar Sia ke aanshu pochhte huye apne sir ko uncha kar ke Sia ke sir se tika diya. Sia ke aankhon me aansu ab bhi the aur apni nam aankhon ke sath hi wo Vyas ke hont se apni honth laga'kar chumne lagi...
Behatasha Vyas ko chume ja rahi thi. Vyas surakshit hai, iss khyal se hi wo apna pyar dikha rahi thi aur aanshu bhi baha rahi thi. Uss kiss me itni bhavna thi mano apne pyar ki poori bhawna Sia dikha rahi ho. Bus chumti hi ja rahi thi... Besudhh si hui. Poori bekhayali me thi aur bus chume hi ja rahi thi.…
Tabhi darwaja khat se khulne ki awaz aayi, lekin Sia to Vyas ko chumti hi rahi. Usse surakshit dekh apni bhawna jatati hi rahi... Wahin Vyas "uuuuunnnn... Uuuuunnn" karte Sia ko apne upar se hatane laga...
Sia ek baar fir Vyas ke upar chehra laati usse ghur'kar dekhne lagi. Vyas apni putliyon ko baar-baar bayen ore karte, uss ore dekhne ka ishara karne lagi... Sia, Vyas ki najron ka pichha karti jaise hi bayen ore dekhi... Jhatke se Vyas ke upar se uthi... "Soooomm... Wooo, main.." Sia itna hi kah payi aur fir khamosh ho'kar apni najren niche kar lee... Wahin Som kabhi Sia to kabhi Vyas ko ghur raha tha...
Waise ek ore jahan Som, Vyas aur Sia ko ghur raha tha, wahin issi waqt me kahin koi aur bhi bade aascharya se ghur raha tha.… Din somvar, sham ke lagbhag 6 baj rahe the. Aankh ke samne English me likha ek board tha, jisme Falana bazar, Haidrabad likha tha... Riaz ghur'kar kabhi uss angreji me likhe board ko dekh raha tha to kabhi dukano ke upar lage sthaniya bhasha ke board ko... Bada hi ajib chehra bana'kar Riaz khud se hi kahne laga.… "Ye Haidrabadi angreji ya telgu me likhte board. Bc ye kya ghotala hai. Sare board angreji aur urdu me likhe hai"…
Ab Station Road, Allahabad ke aage India likhne ka to koi culture hi nahi. Thik waise hi shayad padosi mulk ke yahan bhi culture tha. Falana bazar, Haidrabad ke aage Pakistan likha hota to na Riaz ko samjh me aata ki wo kaun se Haidrabad me hai... Wo to bus Haidrabad me hai...
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>