• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

Tiger 786

Well-Known Member
6,239
22,634
173
Update:-35






Diksha ki shadi ka din aur Lucknow me kayi sari ghatnayen ho rahi thi. Deeksha ke shadi ki raat hi Meera Lucknow pahunchi thi. Meera pahunchi to thi apne ek priya mitr Neeraj ke kahne par, lekin na to Neeraj aur na hi Meera ko pata tha ki Sia bhi Lucknow me hai. Jabki dono ke most favourite senior Sia thi aur Sia ke liye Meera ke doston ka group sweeto tha. Sia pyar se unhe pukarti thi.


Diksha ki vidai se kuchh waqt purv Som, Mishra ji ke diye bike se Lucknow ke liye nikal raha tha. Nikalne se pahle Som ne wo Indian motercycle ki stylish bike Scout ko dekha. Aankhon me purani tasveer ubhar aayi. Insani bhavna... 12th me pass out hone par Mishra dampatti apne bacchon ki khushiyon me samil hone khud pahunche the.


School campus me ek stylish bike khadi thi, jiski tasveer uske sath padhne wale ek student Gaurav ne lee thi. Som ne ek jhalak uss bike ki tasveer dekhi thi. Bus wo ek jhalak dekha tha aur Mishra ji Som ki bhavna uske aankhon se padh liye.


Mishra ji aaj tak ye baat nahi bhule the. Jis din unhe pata chala Som shadi me aane wala hai, ussi waqt apne bete ke liye pahle motercycle dene ka khyal aaya. Som khada ho kar motercycle ko dekh raha tha. Uske chehre par muskaan phail gayi thi. Kuchh der khada bus wo bike ko hi dekhta raha. Pichhe se kandhe par Kapendra Mishra ka hath para. Som muskurate huye pichhe muda…


Mishra ji:- Aata hun kuchh dino me. Narendra bhaiya (Mishra ji ka bada bhai) ka phone aaya tha. Ro rahe the. Meri sari property wapas transfer karne ki baat kar rahe the.


Som:- Jaisi aap ki ikchha ho dekh lo. Haan lekin kuchh bhi karne se pahle ek baar Mishrayan ji puchh lena. Wo jaisa kahe waisa kar lena...


Mishra ji:- Mumbai chhodne ke liye mana kar rahi hai.


Som:- Shayad meri bhi ikchha yahi hai Mishra ji. Kuchh baten reverse nahi hoti. Jo ilzam laga tha wo na ho kar, baki sari baten hoti to bhi chijen samanya hi thi. Lekin jo iljam laga tha. Khair, fir bhi ek chhota sa vacation le lo aur Varansi ho aao. Uske baad Mishrayan ji kya kahti hai dekhte hain. Har baar bhavnao me mat faisle lo aap...


Mishra ji:- Thik hai tu ja aur sun wo jo tu.… khinchta hai na... (Chilam ke bare me kahte)


Som, Mishra ji ke sankoch ko bhanpte... "Hmmm ! Chhod diya abhi se Mishra ji."


Mishra ji:- Jhuth bol raha hai na..


Som:- Main chalta hun... Pahunch kar phone karunga. Mishra ji motercycle lallantop hai. Ander se umang jaag rahi hai chalane ko. Aao chalo ek ride lete hain aur madam se mil aate hain…


Som, Mishra ji ke sath ek chhote se ride par nikla. Ander Diksha apni maa ke sath thi. Sia bhi dono ke sath judi thi. Dono maa beti kafi jyada bhavuk thi. Haan lekin Sia apne alhad action se dono ka poora manoranjan kar rahi thi... Teeno kabhi hanste, kabhi rote aur apni dher sari baten kar rahi thi.


Som, nikal chuka tha. Diksha ke bhi nikalne ka samay ho gaya tha. Vidai ke bhawuk iss kshn me sabke aanshu nikal aaye. Bechara apne dulhe babu Pranshu ki aankhen bhi nam ho gayi jise lakh chhipane ki kosis kiye lekin chhipe nahi.


Filhaal inka kafila nikal gaya tha. Pichhe se Mishra dampatti apni nam aankhon se apni beti ko vida karne lage. Vidai ke kuchh der baad hi Sia ek baar fir line par thi. Mishra dampatti kitna bhi mana karte rahe lekin Sia ne video conferencing tab tak na chhodi jab tak Mishra dampatti flight me na baith gaye.


Shadi ke baad ke riti-rivaj aur Pranshu ke garam arman par rayata failate rishtedar. Shadi ke 2 din baad first night ki wo bela thi. Kamra phoolon ki khushboo se mahak raha tha. Dhimi raushni aur halka andhera mahol uss jagah ko aur bhi dikash aur kamuk bana rahi thi.


Dudh ka glass mej par rakha hua tha. Suhag ki sej par poorn dulhan ke libas me paun mod kar Diksha baithi hui thi. Ghunghat poora chehra dhake huye tha. Niche paun lahnhge ke poore ghere ke ander dhaka tha.


Pranshu poore armaan sajaye doodh ka glass uthaya. Ander me hulchal sa toofan tha, mann me laddu fut rahe the. Najren ghunghat odhe, baithi hui Diksha par thi aur honth se dudh ka glass laga hua tha.


Harbadi me chhoti si gadbadi ho gayi. Aankhen Diksha par tiki thi aur glass mej par rakha ja raha tha. Glass mej par jane ke badla floor par gira aur khamosh, sugandhit kamuk se mahol me vighn dalti, "tan tunn tunnn tunn" kar ke aawaj gunj gayi. Choti si iss vighn ne jaise kamuk nidra ko toda tha.


Kuchh der khade rah kar Pranshu ne kuchh socha aur fir kadam bhadha kar jaise hi kamre me poori raushni kiya, pichhe se dhimi awaj aayi.… "Nahi please"…


Kya kasis thi un 2 shabdon me. Pranshu muskurate huye kahne lage... "Aaj se to har raat hum saath hain.. aaj ki raat ek dusre ko poori raushni me poora samajh le"...


Dikhsa wapas se bilkul madhyam awaj me iltaza karti... "Nahi please, night bulb ki dhimi raushni hi sahi hai"


Pranshu, Diksha ki baat maan kar wapas se kamre me halki raushni kiya. Dhime kadmon se wo bistar ke kinare tak pahuncha… "Diksha, Diksha"… bilkul madhur si vani me Pranshu ne Diksha ko pukara lekin shayad wo ghabra rahi thi. Jawab me Diksha ne chudiyon ki khanak sunai.


Ufff iss awaj ne to Pranshu ke dil loot liye. Diksha ko dekhne ki chahat aise jaagi ki ab to ghunghat uthai ki rashm jald hi khatm karni thi. Pranshu bistar par Diksha ke samne baith gaya. Dono hath se ghunghat ka kinara pakad kar thoda uthaya... Pranshu hairan... Diksha ka chehra kahan gaya. Sab kala-kala... Jhatke me ghunghat uthaya... No face.. only black... Aur agle hi pal….


Untitled-design-8

"Aaaaaaaaaaaaaaaaaaaa" ki ek tej chinkh ke sath Pranshu apne chhati pakde tha. Pichhe se kamre ki poori light jali aur khann-khann Payal ki awaj ke sath Diksha aadha ghunghat dale bistar ke kinare baithi... Paranshu, Thoda sa chidhte huye... "Suhaag raat ki raat hi maarne ki planning kar ke aayi thi kya?"


Diksha, Pranshu ke gaal khinchti... "Ab to aap ke pran mere poore parivar me baste hain ji, aise kaise marne denge aap ko"


Pranshu gusse me ghunghat hatate…. "Chehra dikha kar baat karo. Jarra emotion bhi samjh me aaye. Aur ye behuda sa mazak karte tumhe sharm nahi aayi"


Diskha, Pranshu ke khinche chehre ko dekh kar uske gusse par mirchi lagaati hui jor se hansne lagi. Pranshu bechara, kabhi Diksha ko dekhe to kabhi chudail nan ko.… "Kaun se pagal khandan se pala par gaya mera. Shaitan sar par tandav kar raha hoga jab maine iss rishte ke liye haan kaha hoga"..


Diksha:- Soooo soollyyyy... Waise ye mera plan nahi tha balki aap ki iklauti sali Sia ka plan tha.


Pranshu:- Baat karwao meri abhi... Aisa koi mazak karta hai kya? Wo bhi aise raat me...


Pranshu ka chidhna aur dabe se shabdon me kuchle arman ka vivran sun kar Diksha ki hansi hi nahi ruk rahi thi. Diksha bhi aaram se sidha video call laga di aur phone thik Pranshu ke samne... Pranshu video call ke bare me bhi kuchh kahta lekin uss se pahle hi Sia ne call receive kar liya…


Sia:- Tum dono iss waqt mujhe kyon video call kar rahe... Pranshu ji call diconnect kijiye. Main aaram se aap ke samne baith kar poori tasalli se jaan pahchan karungi..


Pranshu:- Thik hai Sia main baad me call karta hun…


Diksha:- Ruko ek minute... Sia, jija ji kya samjhi...


Sia hansti hui... "Haan baba jija ji"


Diksha:- Achha sun tere mazak se thode ukhde huye hain… hum kal baat karte hain.. thik hai...


Sia:- Love you .. kal main subah-subah tumhara intzar karungi… Jija ji sooo sollyyy. Ek scray sa mazak aap ke life long smile ke liye, kyonki aap ko jab bhi Sia yaad aayegi, ek baar muskara jaroor doge. Haan aaj raat ko chhod kar. Abhi to gaali hi de rahe hoge...


Diksha:- Tujh se ruthe hain shayad..


Sia, thodi mayus hoti... "Batao abhi to thik se mile bhi nahi aur pahle hi ruth gaye. Jija ji.. O jija ji.."


Pranshu:- Haan...


Sia:- Kya adaa hai gusse se "haan" kahne ki. Diksha main ja rahi hun. Aaj koi comedy sujh na rahi. Lagta hai jija ji ke armaan solid jale hain... Sorry…


Diksha:- Dil chhota na kari, main mana dungi na tere badle..


Sia, muskurati hui... "Thik hai ab main rakhti hun"…


Jaise hi call disconnect hua... "Tumhe video call lagane ki kya jaroorat thi? Mujhe kuchh baton ke jawab abhi chahiye"


Diksha:- Ji sir puchhiye…


Pranshu:- Ye dono bhai bahan… Som aur Sia, har kisi ko naam se kyon pukarte hain... Aur tum sab itne ajib kyon ho... Normal insan kyun nahi, sab ke sab physco najar aate ho..


Diksha gahri shwans leti bistar par aaram se tek lagayi... "Let jaeye Prince. Aaram se baat karte hain"


Pranshu, bhi bistar par aaram se tek lagate huye... "Haan kaho"…


Diksha:- "Thoda chidhane aur thodi masti ke liye ye sharart Sia ne kee thi. Shayad apna haq samjh kar, nahi to wo kisi ke sath casual nahi hoti. Sab se chhoti hai par sab se samjhdar aur bilkul nirmal bhavnao ki... Uss se galti ho gayi please maaf kar do. Waise to Sia achhe se samjh gayi hai lekin fir bhi main ek baar aur samjha dungi...'

"Rahi baat har kisi ko naam se pukarne ki to main aur Som jaise ek dusre se baat karte the usne bhi wahi sikha. Haan lekin bahan Som ki hai to wo ussi ki carbon copy rahegi. Bus fark ye hai ki Sia ko ek baar bol diye beta aisa bolna hai. Fir wo ussi hisab se pukarti hai."

"Basically dono kisi se rishta nahi jodna chahte hain aur jinse rishta jodte hain fir formality nahi karte. Tumhara naam Pranshu Jadeja hai to wo Paranshu ya Jadeja kahna pasand karenge kyonki tumhara naam yahi rakha gaya na ki Pranshu jijaji...


Pranshu:- Matlab hum sab jo kaka, fufa, mota kaka, mama, mami in sab namo se pukarte hain wo galat hai... Aur jo naam rakha gaya hai usse pukarna sahi...


Diksha:- Itna chidhe kyon ho? Kaho to kaan pakad ke uthak baithe kar de ya koi gana hi gaa de aap ke liye. Jo ji me aaye saja dijiye hujoor bus muh fula kar aise chidhe chidhe na rahe.


Pranshu:- Sorry..


Diksha:- Main thik se suni nahi..


Paranshu:- Sorry baba… Shayad main kuchh jyada hi over react kar gaya... Lekin suhagraat ko kaun aisa khaufnak mazak karta hai, batao na...


Diksha:- Kitno ke band kamre ki kahani jante ho Pranshu..


Pranshu:- Matlab ???


Diksha:- Matlab kal subah jab hogi to hum ghar me sath baithenge... Ek dusre ko chor najar se dekhnege aur aam couple jo hume bahar dikhte hain, waise hi hum dikhenge... Kitne couple ke band kamre ki kahani aap jante ho?


Pranshu:- Are kaisi baat puchh rahi ho..


Diksha:- Wahi to.. ab mujhe kya pata hoga ki kitno ke kamre me kaun-kaun si kahani hoti hogi. Ek common kahani ki understanding hai lekin Prince pahle apne sali ke diye sadme se bahar aaye fir na uss common si kahani par hum aage badhenge...


Pranshu:- Haan sadme se bahar aa gaya hun baba.. poori tarah se bahar aa gaya. Sach kahun to wakai ho bahut scary tha. Dil majboot tha warna heart attack aa jata…


Diksha:- Nahi aata, kyonki poora atihat barta gaya tha. Ghunghat uthane ke baad aap ko pahle poora kala dikha hoga, no face. Ye pahla chhota sa chaukane wala drishya tha aur tab uske baad jhatka diya gaya... Haan lekin gusse me meri poori family ko pagal kah diye...


Pranshu:- Wo to main hosh me bhi kahunga... Gusse me wahi to nikalta hai jo dimag ke ander daba rahta hai... Ek din aisa gujra hai jo pahalpan ke naye-naye karname tum sab ne nahi dikhaye ho, sorry except papa ji..


Diksha:- Pahli hi raat aap ko jhagra karna hai prince.. nahi bol do dimag me kya chal raha hai...


Pranshu apne bajuon me Diksha ko poora samet kar mathe ko chumte... "Aaj ki raat to mere armaan par pani fir gaye. Ab to kal hi Suhaagraat manayenge. Aaj to main apni Diksha ke pagal family ke bare me jaan lun.."


Diksha:- Aaj ki raat bairang.. Kamal hai Pranshu babu, aap to bade mahan nikle..


Pranshu:- Nahi batana hai to mat batao par yun aise bahane na batao.…


Diksha:- Aap bhi sidhe-sidhe puchho na kiske bare me jaan'na hai, nautanki to aap bhi kar rahe...


Pranshu:- Mujhe Som aur Sia ke bare me batao... Mujhe batao ki kyon Som propose karne wali ladki ko thappad maar deta hai.. Kyon Sia shadi me nahi aa payi, jabki tum dono ke rishte ki gahrai to main pichhle 3 mahine mehsus kar raha hun... Har wo chij un dono ke bare me batao... Kyon dur se dono bilkul abnormal dikhte hain.. bus kuchh logon ke pass hi wo normal rahte hain...






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Lazwaab update
Update:-36




Diksha:- "Maine aur madam ke tamam students ne madam ko jindgi me pahli baar confuse dekha tha. Logon ke uss sawal par jab sab jaan'na chah rahe the ki Sia aur Som ki tasveer unke FB wall par kyun. Litrally madam ne jo uska answer kiya na, uss se saaf pata chal raha tha ki wo jabardasti me kuchh bhi bol rahi sacchai chhipane ke liye."


"Sabhi students ne yah mehsus kiya lekin fir koi puchh nahi paya kyonki shayad madam kisi ko jawab na de pati. Jante ho aisa kya hai jo madam apne itne sal ke carrier me itne chaheton student ke bich bitayi lekin Sia aur Som hi unke wall par kyon hai?"


Pranshu:- Kyon?


Diksha:- "Main, meri mammi-papa, Anurag uncle aur Kalpna madam.. Kewal yahi paanch log hain Som aur Sia zindgi me. Aur in 5 ke sath jo lagaav hai na Som aur Sia ka, uski gawahi mere aanshu denge, ki main un 5 chuninda logon me se ek hun jo un dono ki life me hai. Jante ho jab bhi Sia aur Som kahte hai na wo dono mere followers hain.. dil ki wo feeling bayan nahi ki ja sakti main kaisa mehsus karti hun."


"Aage ki kahani mat jano ki kyon hua aisa, kyonki hum 5 ke alawa 2 log aur hain jo uski zindgi ko jante hai, haan lekin wo dono Som aur Sia ke zindgi ka hissa nahi aur na hi kabhi ginti me rahenge. Tum jaan gaye to 6th hoge. Tum bhavnao me kisi ko kahoge wo 7th hoga, wo kisi aur ko kahani batayega... Aise uske jitne jaan'ne wale aas-pass honge sab uski khani janege. Humari to uss kahani ko le kar bhavnatak najren nahi uth'ti hai, lekin tumhare aankhon me usse apna atit dikhega to wo kahin sab chhod kar na chale jaye…"


Pranshu:- Sorry main tumhe rulana nahi chahta tha. Lekin 6th nahi hun main. Ye 5th member hi hai unke jivan ka... Pranshu-Diksha, Diksha-Pranshu....


Diksha:- "Kya karoge jaan'kar modern love ki paribhasha… kya karoge sophisticated samaj aaiena dekh kar. Kaise samjhaun ki ek maa ne apne garv me apne bacche ko kayi baar marne ki kosis ki thi, jo badi hi besharmi se in paanch logon ke samne chinkh kar kah rahi thi aur khud ko justify karne ki kosis kar rahi thi ki uski feeling ke sath dhoka kar diya gaya. Kisi ne uski bhavna nahi suni aur na samjhi."

"Kya karoge uss mehfil ki kahani jaan kar jahan ek baap apni nanhi si beti ko uski maa ke marne ke lagbhag 15 mahine baad batata hai ki uski maa mar gayi, aur wo ek badchalan aurat thi. Kaise kah dun ki modern society ke naam par 2 logon ko loot liya gaya, lekin in dono ke ander kabhi wo aakrosh na raha society par. Kya karoge jaan kar ki Som aur Sia 2 complete alag alag couple ke bacche hain jinke bich ka pyar aisa hai ki crabon dal kar upar Som likhoge to niche Sia chhapa milega…"

"Samaj ke nangepan ko modern soch ka naam de kar na jane kitne separate couple ne Som aur Sia ko janm diya ho, uski to main kalpna bhi nahi kar sakti, lekin achha tha wo samay jab gardian ki marji se shadi hoti thi, kam se kam bacchon ko care karne ke liye ek poora pariwar to rahta tha.. jaise mere hain, tumhare hain... Unki zindgi me kewal 5 log ko chhoda. Usme bhi 4 to bahari hai..."

"Har koi muskil daur se gujarta hai. Har kisi ke dark side story hoti hai... Lekin apne nagepan me kisi ko andhere me dhakel dena… rishton se hi dara diya dono ko lekin fir bhi kabhi dono ne rishte nibhane me formality nahi kiya.. Haan main nahi chahti thi Som, Sia ya Anurag uncle meri shadi me aaye kyonki unki jindgi ko mazak banane wale meri shadi me aa rahe the Mr and Mrs Kumar… Shayad Som ko kisi majboori ne khincha tha uss shadi me aane par warna wo nahi aata. Aur wo nahi aata to main jyada khush hoti kyonki aaj har kisi ko uski zindgi kuredni hai. Uske zindgi me ghusna hai… har kisi ko bas jaan'na hai.. bus sirf itna hi... Iske alawa wo kuchh kar nahi sakte.…"


Pranshu jaise kisi dard ko mehsus kar raha tha. Kafi waqt laga usse Diksha ko shant karne me. Dono ke bich gahri khamoshi thi. Itni khamoshi ki shwans ke chalne ki awaj aa rahi thi. Pranshu, iss khamoshi ke todte... "Koi balaji telifilm ki story type dikhta hai. Samjh me to aa gaya ki dono ke parent me kuchh hua tha ab itna bata di ho to puri gutthi bhi suljha hi do"…


Diksha, Pranshu ki baat sun kar uthi aur washroom apne chehre par pani maar kar wapas aayi. Ek najar Pranshu ko dekhi aur wapas bistar par tek lagaate.… "Ander ki poori baat, Som, Anurag uncle aur Jay aur Sadhna Kumar jante hain"


"Main apne school ke pahle din se Som ko janti hun. Class me jab pahli baar usse dekhi bilkul khamosh aur butt bana baitha tha. Chehre par koi bhavna hi nahi. Pata nahi 5 sal ki umr me usse kya hua tha aur bahut chhoti thi to bus itna pata rahta ki wo bolta nahi… Jaisa wo tha thik waise hi pahle din school me aayi Sia thi, jiska admmision karwane uska driver aaya tha... Akeli gum sum bilkul khamosh. Bus anter itna tha ki Sia kuchh pal khamosh hone ke baad mamma mamma bilakhti thi… 3 sal se main Som ke sath thi jab Sia pahli baar hume dikhi thi."

"Hum dono tab tak close ho gaye the aur humari life me teesra close aa rahi thi, Sia. Pahli baar main Som ko dekhi thi kisi ke pass baith'te. Shayad ek dard ne dusre ka dard mehsus kiya tha. Tab se Som ne Sia ko kabhi akela mehsus nahi hone diya. Som ke papa Anurag malhotra, defence me hain. Summer vacation par aa nahi sakte the aur uski tab ki maa Sadhna Malhotra kabhi aayi nahi usse lene. Sia ke maa Anupama Kumar aur pita Jay Kumar dono me se koi nahi aate the Sia ko lene."

"Som 6th me tha aur Sia 3rd std me thi. Uss vacation poori panchayat madam ke ghar par hi lagi. Jay aur Sadhna kaise ek dusre ko jante the ye sab hume nahi pata, Som aur Anurag uncle jante hain. Hume bus itna pata tha ki papa chunav lad rahe the aur kuchh issue hua tha. Tab Anurag uncle apni team ke sath Varanasi pahunche the. Young dinamic, Combined Defence Service se recruit ek officer. Wahin Sadhna pahle Delhi se schooling ki baad me Banglore se graduation aur 2 sal ke higher education programme ke liye abroad. Ek open khyalat ki ladki, jiske 2-3 boyfriend se break up ho chuka tha… Dono ne ek dusre ko pasand kiya. Sadhna ke pita raji nahi the tab ghar se jhagra kar ke shadi ki."

"Sadhna aur Anurag uncle ki shadi ko 13 sal ho gaye the. Anurag uncle Yun to bich-bich me aa kar Som se milte. Som se milte to Sia aur mujh se bhi mila karte the. 10 minute bhi humare pass rukte the na, hum sab ko ander se feel hota hai.. "Haan ye humare hero hai". Unka chalna, baat karna, khul kar jina aur chhoti-chhoti chijon se badi-badi khushiyan batorna.. wo sab un 10 minute me bhi sikha sakte the."

"Yaar ye feeling.. jis disha me baat mudti hai sala juban hi sath chhod jati hai. Main uss vacation ki baat kar rahi thi. Uss vacation me Anurag uncle special permission le kar poore mahine din ke liye pahunche the. Ye bhi hum logon ko pahli baar samjh me aaya tha ki jab se Som boarding aaya tha, tab se Anurag uncle ghar nahi gaye. Shadhna ko le kar uss aadmi ki chahat to baad me dikhegi pahle uss open khyalat aurat ka kiya samjh lo jiski shadi ko 13 sal ho gaye aur uska pati 6 sal se ghar nahi gaya tha."

"Jay aur Sadhna ek sath pahunche the uss vacation me. Tabhi wo Sadhna ro-ro kar kah rahi thi uska carrier barbaad kar diya Anurag uncle ne. Ye kiya, wo kiya jabardasti bacche paida karwaye jabki wo ye jimmedari uthane ko taiyar nahi thi isliye usne 3-4 nakam kosis bhi ki apne garvpat ke."

"Wahin dusra besharm khada tha, Jay Kumar. Uski patni 15 mahine pahle suside kar li. Apni mari patni ko badchalan kah raha tha. Marnoprant uske chatecter par laanchhan laga raha tha. Kahta hai.. woo.. wo kahta hai Sia uski... Uski beti hi nahi... Usse dekhta hai to ghrina hoti hai… Log to pet (paltu) pal kar uske liye aanshu baha dete hain... Yahan to wo khud ki beti se grina karta tha.."

"Talaq ke liye bahut drame huye 4-5 din tak. Kalpna madam se bardast nahi hua. Anth me unhone kah diya, "Adoptation paper taiyar karo. Sia ko Anurag legally adopt karega aur divorce paper par apni marji se sign karega". Anurag uncle jab wo paper sign kar rahe the tab humne ek soldier ke aanshu dekhe the jo bund bund uss divorce paper par tapak raha tha…."

"Mentally aisa distrub the Anurag uncle ki 3 sal tak treatment chalta raha. Deep shock se gujar rahe the Anurag uncle. Som bich-bich me jate rahta tha. Wo Sia aur meri video dikhata tha. Apne papa se kahta tha Dad, Sia bahut roti hai aur uska rona nahi dekha jata... Aur kitna sunoge aur kitna main sunaun un dono ke bare me... Loot liya unhe modern love, modern vichar aur modern samaj ne.."


Der raat ho chuki thi Diskha ko apni bhavna batate-batate. Pranshu, Diksha ko khud me bhinch kar uske aanshu saaf karta raha. Dono khamosh the. Diskha ki aankhen poori khuli thi aur wo tukur- tukur, ek tak chhat hi dekhe ja rahi thi. Pranshu ke liye kuchh pal pahle Som aur Sia 2 aise naam the, jo uski patni Diksha ko ajij the. Lekin iss pal jaise uske emotion Diksha se connect kar gaye ho. Usse aisa najar aa raha tha mano carbon lagakar 2 panne laga do aur upar kisi ka bhi naam likh do niche baki ke naam likhe aaynge, itne strong emotions ke sath Som, Sia aur Diksha connect the.


Diksha ki aankhon me gahre sadme ke dard najar aa rahe the. Som aur Sia ki kahani yaad aate hi Diksha deep shock me0⁰ thi. Pranshu ke liye uski patni to pahle ghante se itni pyari ho gayi ki jiske liye wo apna kaleja rahon me bichha de. Usse kuchh nahi sujh raha tha. Der raat ho gayi thi. Kisi tarah sankoch karte usne Sia ko call laga diya...


Kuchh ring ke baad Sia phone uthati... "Diksha, kya hai ye. Aaj baar-baar phone kyun kar rahi hai. Janti hai na kal Som aayega, fir bhi pareshan kar rahi."


"Diksha nahi main Pranshu bol raha hun"…


"Jija ji aap abhi kyon phone kar rahe. Nind nahi aa rahi to ek dusre se baat kijiye. Janiye samihiye aur mera sorry accept kar lijiye. Aap ke gusse se feel hua ki itna serious mazak nahi hona chahiye tha. Human error maan kar ignore kar dijiye"…


Sia ki baton me hansi saaf suni ja sakti thi. Phone speaker par tha aur Diksha ke kano tak bhi awaj ja rahi thi, lekin uska mann nahi hua abhi baat karne ka.


Pranshu:- Kya ho yadi main ye kah dun ki galti ki sorry kahne ke badle saja bhugat lo, to dono ka mamla compansate ho jayega..


Sia:- Thik hai sir suna dijiye saja...


Pranshu:- To saja ye hai ki Sia mujh se baat karegi aur poori imandari se baat karegi..


Sia:- Jija ji fir lie detector mangwa lo kyonki mera jhuth pakad na paoge...


Pranshu:- Thik hai jaisi tumhari ikchha. Tum par chhoda... To mujhe batao..


Sia:- Rukiye Rukiye, aap ne kaha ki aap ko baat karni hai. Fir ye sawal-jawab kyun? Ye cheating hai...


Pranshu:- Haan to main aise hi baat shuru karta hun. Ab main baat karun ya nahi karun?


Sia:- Jija ji, kijiye...


Diksha:- Prince rahne do, usse sona hoga..


Sia, Diksha ke awaj ko bhaanp gayi. Turant usne video call laga diya. Diksha ki majboori. Call nahi uthati to ho sakta tha kal subah wo Som ke sath sidha uske pass pahunch jati. Wo video call par aayi. Subah ke 4 baj gaye. Jab Sia ko santusti ho gayi ki Diksha ab khush hai tab wo call disconnect karne lagi.


Diskha usse rok kar puchhti... "Som jab aayega tab wo kya karne wali hai"…


Sia hansti hui itna hi kahi... "8 sal baad wo mere samne khada rahega. Maza aa jayega. Tum bhi connect ho jana aur sab live dekh lena. Pitaji aur maa to jud hi rahe hain. Dad ko bus fursat nahi"


Pranshu:- Pitaji, Dad... 2 alag alag ya ek hi pukara ja raha hai…


Diksha:- Tum jao Sia main samjha deti hun..


Sia:- Shut up sawal mera hai... Jija ji mere 2-2 baap... Pitaji Mishra aur Dad Malhotra... Have a happy wedding morning... Ab main chali…


Sia call disconnect kar ne ke baad samay dekhi. Dil me umang poore jore par. Khushi jo sambhale na sambhle. Phone kar ke Som se aane ka waqt puchhi. Lagbhag 1 se dedh ghantey. Samay kaate na kate. Dhire-dhire intzar me bitaye waqt ke sath kab Sia ki aankh lag gayi usse pata hi nahi chala.






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Emotional update
 

Tiger 786

Well-Known Member
6,239
22,634
173
Update:-37





Sia call disconnect kar ne ke baad samay dekhi. Dil me umang poore jore par. Khushi jo sambhale na sambhle. Phone kar ke Som se aane ka waqt puchhi. Lagbhag 1 se dedh ghantey. Samay kaate na kate. Dhire-dhire intzar me bitaye waqt ke sath kab Sia ki aankh lag gayi usse pata hi nahi chala.


Nind jab khuli ghadi me subah ke 8 baje the. Sia chaun kar jagi. Apne sar par ek haat marti… "Yaar ye nind kahan se aa gayi"… Phone uthayi call lagayi… "Kahan hai"


Som:- Intzar me... Fatafat ready ho kar call back kar..


Sia:- Yesss Boss !! Bus 10 minute Som main fatak se ready ho kar aayi... Tab tak mat aana..


Som:- Hahaha... Haan main janta hun. Ab ja na...


Sia jhatpat taiyar ho kar cottage ke bahar aayi. Som ko thik 5 minute baad entry lene ka bol kar, video conferencing ke jariye sabko jod dee aur mobile ko adjust kar ke rakh dee...


5'07 ke hight ki beautiful attrective girl in patiyala suit. Aankhon me shandar chashma aur aage tangi thi badi thi dhol. 6'1 fit hight ka jataon wala munda in laal patani kurta salwar. Aankhon me chashma aur bhroom bhroom karta apni nayi sexy bike Indian Scout se chala aa raha. Jaise hi pahle jhalak Som ki mili...


"Dhann.. trannn trannn, dhann dhannn" ke punjabi dhol sound beat bajne lage. Sia jhum kar punjabi dhol bajane lagi. Som bike laga kar bhangda karte aage badha... Wo dhol bajati rahi Som bhangda karta raha... Fir to jo hi hooting pahle Sia ne kee. Fir to baad me jo hi hooting Som ne kiya. Dhol bajte rahe hooting hota raha bhangda karte rahe aur ek dusre ko dekh kar aankhon me aanshu aur mujh par pyari si hansi ke sath apni khushi ko jatate rahe...


Uss campus ke sare naukar ikattha the. Kuchh prani Nirbhaya ke ghar ke, holidays me nanihal gaye the. Subah-subah wo bhi pahunche the. Bichare-bichari thik se settle bhi nahi huye aur milne ki itni gram'joshi sun kar bungalow se bahar aa kar dekhne lage. Aadhe ghante ye dono apne milne ki khushi ka izhar karte rahe aur anth me dhol ka closing beat baja issi ke sath Sia apne mobile ko collect karti Som ke kandhe par hath dalti... "Hmmmm ladka bada ho gaya hai. Pursom... Kaisa hai"..


Som, Sia ke naak pakad kar hilate... "Bhukh lagi hai, khuch pakana aaya ki nahi"..


Sia:- Kya khayega bol. Tu bhi kya yaad rakhega kisi dildar dost se pala para tha…


Som:- Bade bhai ko tu tadak.. laga dun tujhe ek chatakkkk..


Sia:- Aay haay chhode tuk bandi... Kis se sikh kar aa raha...


Dono baat karte cottage ke ander pahunch gaye. Sia dhol nikal kar ek kinare rakhti, Som ke gale lag kar poora bhinchti... "Som bahut galat kiya tune maa, pitaji aur Diksha ke sath. Tu yahin tha na fir kyon nahi unse mila. Itna kathor dil kyun ho gaya"…


Som:- Kabhi-kabhi chijon ko samjhne ke liye space dena padta hai Sia. Diksha, Mishrayan aur Mishra ji ke pass ek lambe arse tak nahi gayi. Beti hai wo uski Sia. Dono (Mishra dampatti) bole bhale na, lekin tu samjh rahi hai na...


Sia, Som se alag hoti ek chamet rakh kar deti... "Faltu ke bahane mere pass mat bana. Maa, pitaji ke pass Diksha thi isliye distrub nahi kiya, jhoota kahin ka. Aur jhoote ka emotion to dekho..."


Som, hasnte huye Sia ke gale me apna hath fansa kar uske gardan ko dabocha... "Bus kar nani, kitna baat pakdegi. Ab to aa gaya na. Achha ye bata madam ko tumhe kya favour kar diya tha"..


Sia:- Tune apni baat batayi jo main apni baat bataun...


Som:- Ziddi kahin ki...


Sia:- Nautanki kahin ka... Chal ab bata ki Diksha se dur kyon tha. Maa, Pitaji ne kya bigada tha...


Som:- 4 Sal main US me tha...


Sia:- Jhutha kahin ka... Kitna jhuth bolega... Irritate mat kar.…


Som:- Achha iss baar sach-sach batata hun. Main desh aur duniya braman par tha. Main tere graduation ceremony me bhi aaya tha...


Sia:- Aaya aur mila bhi nahi…


Som:- Nahi mila kyonki main 1, 2 minute ka milna nahi chahta tha. Main tum dono ko ek perfect gape dena chahta tha taki tum akele bhi kuchh ho. Humari zindgi ek dusre ke bina bhi hai... Dur rah kar bhi hum utne hi attach rah sakte the, bus iss wajah se ye gape liya tha...


Sia:- Samajh me aa rahi hai teri baten lekin ab bhi satisfaction nahi de raha...


Som:- Bus karegi aur batayegi madam ko kya favour kee thi...


Sia:- Mujhe aa rahi hai nind. Jaldi se naha dho kar aa. Kuchh khate hain fir mast ek nind aur uska baad aaram se baith kar baaten karenge..


Som:- Nahi batayi na tumne madam ko kya favour kiya tha?


Sia:- Two of my Sweeto juniors ne mujh se kaha, Sia didi, Ankit sir (Youngest scientist) ke liye achha nahi lag raha. Wo Jugnu didi se true love karte hain lekin Som sir ne Ankit sir ko maara iss wajah se Ankit sir ka pyar adhura rah gaya. Ab mere cutee Som ke wajah se kisi ka pyar adhura rah jaye bhala kaise hone deti. Fir maine hi madam se poora discuss karne ke baad uss Devanshu ka patta saaf karwa diya.. Madam ne tabhi mujhe thank you boli thi... Bus fir kya jhat se oppertunity cash kar lee.


Som:- Kaun juniors the...


Sia:- Meera and Neeraj. Infact Neeraj to Lucknow me hi hai but ab tak uss se contact nahi ho paya...


Som:- Aur wo tumhare yahan ke 3 naye dost...


Sia:- Tu mujh se inquiry kar raha hai. Chhi chhi... Typical bhai... Ab to pata bhi lagane jayega. Unhe pitne ki planning bhi chal rahi hogi... Chhi... Chhii.. chhii.. kaisi ho gayi teri soch Som....


Som:- Siaaaa..


Sia:- Ja na naha dho kar aa. Mujhe nind lagi hai. Abhi behoshi me mil rahi hun bhai. Hosh me milenge. Please... Please... Please...


Kismat connection. Haan shayad ya nahi bhi. Ek aapke writer nain ke kah dene se kya hota hai, feel bhi to hona chahiye. Zindgi me kab, kahan, kaun, kaise aap se emotionally jud jaye kise pata. Aur un patron ke judne se, ek dusre ke ander paraspar kitna badlav mehsus karte hain wo to ek romanchit rahashya hai. Duniya ki sabse badi sajis yani ki conspiracy to Jivan hai, jo kis mod par aap ko kitna chaunka de wo kise pata.


Jivan ke rahasya ki gutthi ko suljhane ke liye humare pass kuchh nahi hota, siway ek kaam ke aur wo hai apni ore se kosis hote rahni chahiye. Duniya ko motivate karne se achha hai hum khud ko motivate karte rahen, kyunki main pahle hi bata chuka hun ki jivan khud ek sajis hai to jab aap ke liye sajisen chal rahi ho fir hatash hona, toot jana, aur toot kar apne bhavna ko gusse me jahir karna ye aam baat ho jati hai.


Chahaten itni honi chahiye ki kosisen nakamyab bhi ho to chehre par khushi aur santusti ki bhavna bani rahe, na socha hua parinaam aaya to kya apni kosis to kiye. Pana ya khona to bhavishya hai jo ki apne aap me hamesa rashaya ke sath romanch lata hai. Bole to mystery with thrill ka ehsas karwata hai, haan lekin usse mehsus karne ke liye aur paar pane ke liye bhi kosisen jari rahni chahiye.


Ek ghar... Har kisi ka apna ek pata hota hai. Jinka apna koi sthayi pata nahi, unse janiye ki ghar ki kimat kya hoti hai. Haan lekin Som aur Sia ke pass sthayi pate ki samsya nahi thi balki zindgi aise bikhdi thi ki usse samjhne me hi waqt lag gaya.


Som ki ikchha thi ki wo Chandigarh apne paitrik ghar ko sthayi pata banaye, lekin Sia, Som ko bade pyar se manaati, Lucknow me hi settle hone bol di. Wo iss shahar ko chhod kar nahi jana chahti thi.


Som ne to kuchh din pahle Diksha ki shadi me apne sthayi pate ke liye commitment kiya tha lekin Sia ki baten aur chehre par aayi dhimi ghabrahat kuchh aur hi kahani bayan kar gayi. Som hanste huye kah diya... "England se Bharat wapas aane ke pahle hi sara mamla settle kar ke lauti thi na"..


Sia, muskurati hui "haan" me sar hila kar Som ko apne sath makan ka kaam dekhne sath chalne ke liye kahne lagi... Som, Sia ki utsukta ko naa nahi kah saka aur na hi uski ikchha ko taal paya. Dono, Nirbhay ke ghar se poore biker look me nikle. Sia apni laal Indian Scout motercycle par aur Som apni kaali Indian Scout par.


Add-a-heading

Dono ek amiron ke ilaake se nikal kar dusre amiron ke ilake me pahunch rahe the. Kafi khubsoorat society bani hui thi, jahan ek kinare se Bungalow bane huye the aur sadak ke thik uss paar multi storey buildings me society basi hui thi. Kafi reserve ilaaka lag raha tha.


Sia apni bike uss ilake ke ek under-construction makan ke pass rok kar khadi hui. Som bhi uske sath aa kar khada hua... "Som ye apna ghar hoga. Apna sthayi pata"…


Som, Sia ko kinare se bhinchte... "Thanks.. ye Mishra aur Mishrayan ji ne... Sorry, ye ghar maa pitaji ne to gift nahi kiya na?"..


Sia:- Ye plot Diksha ke naam thi. Dad ne Diksha ko Chandigarh wala plot de diya aur badle me ye le liya... Complete evaluation ke baad wahan ke plot ki kimat jyada nikli isliye yahan ke poore counstruction ka kharch unhone hi utha liya..


Som:- Hmmm !!! Kaisa makan banwa rahe hain wo to dikhayi hi nahi aab tak...


Sia, poora makan complete hone ke baad ki tasveer dikha di. Dono boundry ke bahar khade ho kar hi kalpnao me apne makan ko dekh rahe the... Tabhi wahan ek mahila pahunchi aur dono ka dhyan bhang karti... "Tum dono kaun ho?"


Som aur Sia thode aaschrya se unhe dekhne lage.… "Main aap ke sawal ka matlab nahi samjhi? Kya koi yahan khada nahi ho sakta?"


Mahila:- Anjaan log jab kisi khali plot ko aise dekhe to ek baar jaankari leni banti hai


Sia:- Chinta na kare iss plot ke hum owner hain..


Mahila:- Kya???


Som:- Malik hai hum iss ghar ke.


Wah mahila fiki pratikriya deti... "Oh.. Main Gungun Shrivastava hun. Sadak ke uss paar ka makan mera hai.


Mohalle-Ka-Chauraha-1

(Som ka ghar exact aise counstruction hone wala hai. Jahan Som ka makan hai wo ek chaurahe ka nirman karti hai. Samjhne ke lihaj se 4 section me ilake ko baant diya gaya hai.

Section A aur B bhi sadak ke 2 kinaron par hain lekin ye 1 hi row me bane makan hai. Jabki Housing colony C aur D ke section me hai. Chaurahe ke 3k row me thik chaurahe par ek ore Som to dusri ore Gungun ka makan tha)..


Sia:- Haan maine aap ko aate dekha tha. Maaf kijiyega hum jarra counstruction dekh le.


Sia apni baat kah kar Som ke sath boundery ke ander gayi. Sia thodi chinta jahir karti... "Som uss aurta ne aisa fika responce kyun diya."


Som:- Kab..


Sia:- Jab usse pata chala ki hum owner hain..


Som:- Charo ore dekh nahi rahi. Jamin ka ye prati tukda tha wo bhi chaurahe se laga hua. Ho sakta hai uski najar ho iss plot par ho.


Sia:- Chhod usko.. kaisa laga makan...


Sia ban rahe makan ke bare me poora batane lagi. Kisi bacchi ki tarah chahak rahi thi. Khush'numa sa apne ander wo mehsus kar rahi thi. Som wahin bani sidhiyon par baith kar Sia ki tasveeren lene laga, aur Sia apni khushiyan jahir kar rahi thi...


Sia:- Kya photo khinch raha hai Som... Bata na koi kamra apne hisab se desine karwana hai...


Som:- Nahi main deewaron ko desine karwaunga... Uss par humare bahut se happy momemts kis tasveeren bani hongi...


Sia:- Oh no...

Som:- Kya hua?


Sia:- Happy moment se yaad aaya, teen log tumhare pass ho na to moment hamesa happy hi rahta hai. Vyas, Asif aur Riaz... Haan hasane ke kram me bhul jate hain ki kya bol gaye lekin koi na, itni imaturity jachti hai...


Som:- Haan to chalo unki bhi tasveer le lete hain. Duniya me aise hi logon ki to jaroorat hai...


Sia:- Chalo chalte hain...


Aaj to jaise Sia ke khushiyon ke pankh lage the. Dono bhai bahan ho gaye bike par sawar, aur chal diye nukkad tak. Dono ki motercycle bilkul parellel chali aa rahi thi. Ek ladki biker ko dur se hi dekh kar laundon ke dil ke taar jhanjhana jate. Ab Gf me kaun nahi Sia jaisi hi-fi model chahta ho.


Jaise hi bike nukkad ke chay ki dukan par ruki, wahan maujood sabhi ladke kabhi bike to kabhi helmet helmet utarti ladki ko dekhne lage. Najren thami si aur jaise hi baal ko jhatakte Sia ne helmet hataya... Sabhi ladke apne sathi se dhime-dhime baaten karne lage.


Jo ladkon ka dhyan ab tak kewal Sia par tha, jaise hi Som ne apna helmet nikal kar baal ko teji se sameta aur teji ke sath poore bal ko gol baandh kar wo jatayen banaya... Ladkon ki najren khinch gai. Sitam itna kam tha jo agle hi pal Som aur Sia jaise hi sath huye..


Fir to ladke kabhi ek hi model ke 2 alag rang ke stylish bike aur 2 stylish biker ko sath dekh kar wahan to alag hi rumour aapas se batiyane lage... Som ek jhalak charo ore dekhte... "Naah inme se koi nahi tumhara dost. Phone kar ke bula lo na"…


Sia:- Som tumhe kaise pata inme se koi mera dost nahi. Ye bhi to ho sakta hai tumhe dekh kar samjhne ki kosis kar raha ho ki kaun mere sath hai?


Som:- Sun liya maine logic. Chalo abhi phone karo...


Canteen ke uss propose ke baad Sia sidha mumbai nikal gayi thi aur laut kar jab aayi to Diksha ki shadi me online present thi. Iss wajah se Sia, Vyas ka haal hi nahi le payi, jo usse pata hota ki teeno apna mobile guma liye hain. Sia teeno ke number try karti nukkad se kuchh duri par nikal gayi. Kuchh der kosis ki lekin teeno me se kisi ka number nahi laga. Contact na ho pane ki sithiti me Sia muh latkaye palat kar jaise hi chay ke dukan ke ore dekhi, uska dimag hi sann rah gaya.


Darasal Som dono hath me chay le kar Sia ko dekh raha tha. Itne me hi chay ki dukan par paise de kar ek ladka muda, jiska dhakka Som ko pichhe se laga. Uss dhakke ka natija yah hua ki samne se aa rahe Vyas ke upar chay gir gaya aur pratikriya me Vyas ne Som ko itna tej dhakka diya ki Som bench se takra kar poora aniyantrit ho kar niche jamin par ludhak gaya. Aur ye poori ghatna Sia ke najron ke samne ghat rahi thi...






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Behtreen update
 

Tiger 786

Well-Known Member
6,239
22,634
173
Update:-38




Darasal Som dono hath me chay le kar Sia ko dekh raha tha. Itne me hi chay ki dukan par paise de kar ek ladka muda, jiska dhakka Som ko pichhe se laga. Uss dhakke ka natija yah hua ki samne se aa rahe Vyas ke upar chay gir gaya aur pratikriya me Vyas ne Som ko itna tej dhakka diya ki Som bench se takra kar poora aniyantrit ho kar niche jamin par ludhak gaya. Aur ye poori ghatna Sia ke najron ke samne ghat rahi thi...


Sia jaise hi mudi, ye poora najara pal bhar me uske samne se gujra. Sia, jor se Som chillati hui usse uthane bhagi aur idhar Vyas.… Chay garam thi aur jaise hi wo garam chay badan ke najuk hisse par giri, swath hi gusse ki pratikriya Vyas ne diya tha. Usse khud pata nahi tha ki usne chay girane ke karan kisi ko itna tej dhakka diya. Bus ye garam chay ke girne ki pratikriya me ho gaya.


Vyas ko bhi afsos sa ho raha tha. Wo iss se pahle ki Som ko uthane ke liye jata, Sia chillati hui pichhe se pahunch gayi. Sia ko dekh kar to Vyas aur dang. Ek to pahle se galti hui upar se wo Sia ke pahchan ka.


Som turant hi khad hua. Sia bhagti hui pahunchi... "Kahin chot to nahi lagi"…


Som:- Nahi main thik hun.


Sia, Vyas ko ghurti najron se dekhti hui, Som se kahne lagi... "Chal Som, mujhe in jahilon ki basti me tumhe lana hi nahi chahiye tha"..


Som:- It's ok, kyun panic ho rahi ho..


Sia:- It's not ok Som... Chal rahe ho ya main jaun.. .


Bahut kam aise mauke hote the, jab Sia public me apne gusse ko dikhati thi. Som, Sia ke sath jaise hi wahan se nikla ek ore se Riaz to dusre ore se Asif uske kandhe par latakte... "Chay teri teesri taang par giri thi kya?"


Vyas:- Haan bhai... Kuchh jyada hi tej dhakka lag gaya. Jab wo ludhkate padte gir raha tha tab ehsas hua...


Riaz:- Haan aur wo Sia ke pahchan ka bhi nikal gaya... Teri kismat jhand hai Shastri…


Asif:- Abe jali hi aisi jagah thi ki koi bhi aisa hi react karta… lekin gaur karne wali baat ye hai ki Sia yahan aayi kyon thi aur uske sath ye junior bhola baba kaun tha?..


Riaz, ki mahan samiksha yahan par aati hui... "Abe aur kaun, Bf tha. Sia yahan Vyas ko dikhane layi thi. Sia Dil jalane ke irade se aayi aur sath wale ne to mardangi par hi garam chay dal diya. Thik kiya Vyas tune..."


Vyas:- Sia kyun aayi thi wo to wahi jane, lekin baba kahte hain, anjaane me huye kisi kaam se dil me afsos hone lage to jaroor koi galti hui hai, kosis karo sudharne ki.


Asif aur Riaz:- Matlab..


Vyas:- Uska pata lagao ki wo akela kahan milega… Kam se kam apni baat bata to dun ki dhakka anjane me laga..



Khabar tea party wale gange me fail gayi. Huliya ke sath uska unique bike ke bare me bhi sab ko suchna mil gayi thi. Bahut jyada mehnat nahi karni padi teeno ko. 2-3 ghante baad, yahi koi raat ke 9 baje khabar mili ki, Vyas ke explain kiye huye huliye aur Kale rang ki ek sandhar bike wala aadmi Lucknow ke 5 sitara hotel ke samne chhote se kopche me hai...


Jis 5 sitara hotel ki baat ho rahi thi wo lagbhag 4-5 kilometre ki duri par thi. Thoda ekant ilaka tha aur Vyas ka iss ore aana lagbhag naa ke barabar hi hota tha. Wahin pass me hi Som baith kar chilam ke lamba kas khinch raha tha, jab Vyas aur uske dost pahunche...


Som ke chehre par to dhuyen ka badal tha lekin apne pass kisi ke baithne ki aahat mehsus kar Som ne apne hath ka chilam aage badha diya. Ganjeriyon ki ye aapsi bhai chara hoti hai... Koi pass baithe to apni kimti chilam badha hi dete hain...


Vyas:- Main ye nahi pita…


Som uski baat sun kar apna chilam Asif aur Riaz ke ore bhi badhaya. Un dono ne bhi manaa kar diya. Kuchh der sabhi khamosh rahe. Som apne hath ke ishare se unke aane ka karan puchhne laga...


Vyas:- Wo aaj sham ko maine hi tumhe dhakka diya tha... Darsal..


Som, bich me hi usse rokte.… "Tumhara niche jyada jala to nahi na."..


Vyas:- Nahi bus uss waqt thoda dimag kharab ho gaya tha... Aur maine kuchh jyada hi tej dhakka de diya ..


Som, apni aankhen khol kar teeno ko bade dhyan se dekhte... "Yahan tak sirf yahi baat kahne aaye the"..


Vyas:- Haan... Dil me afsos ho raha tha ..


Som:- Aao mere sath, aur wo bag apne pass rakho...


Som isharon me apna bag uthane ke liye kaha. Iske purv Som, Sia ko chhod kar iss 5 sitara hotel me pahuncha tha. Ek elligal fight ke irade se to pahuncha tha lekin organisers ne saaf hath khade kar diye ki... "Yahan kisi fighter ko payment nahi milti. Log paisa lagate hain aur apne fighter le kar aate hain. Fir wo fighter aur paisa lagane wale ke bich ki deal hai"…


Som ka dimag hi ghum gaya. Shilong ki fight huye lagbhag 1 mahine ho gaye the. Bina maar khaye badan uska bhi toot raha tha. Som ke account me 20 lakh to the, lekin duniya idhar ki udhar ho jaye, apne iss emergency balance se wo paise nahi nikal sakta tha aur 20 lakh ke alawa matr 20 hazar the uske account me.


Som, Diksha ko call milaya aur 1 din ke liye 25 lakh maang liya. 25 lakh ka naam sun kar Diksha thodi hairan ho gayi. Jab usse paise maangne ke pichhe ka karan pata chala, jo hi wo Som par bhadki. Lambi si bahasbaji. Ek dusre par ulahana ki bauchhar aur anth me Diksha bol di...


"25 lakh maange, main de rahi hun. Ye mujhe tab wapas chahiye jab tu finally apne iss fight ko alvida kah dega. Jo karna hai kar lekin dobara mere kaan me ye teri fighting ki baat aayi na to dekh lena"…


Bhar pet Diksha se jhagda karne aur uske bheje poora cash nikalne ke baad Som chal diya 5 sitara hotel ke basement. Chakachak raushni se bhade iss mahal numa nirman ke niche andhere section me khun-kharabe ke khel ka aayojan har hafte, 10 din par hota tha. Som ja to raha tha lekin ander se awaj aa rahi thi ki...


"Fight to lakh, 2 lakh ke liye karne aaya tha. Wo rahega fight me aur betting ke 25 lakh le kar koi bhag gaya to usse pata bhi nahi chalega. Fir wo kisi don ka hi paisa kyun na ho. Ek baar paisa gaya to badi muskil se kuchh hissa wapas aaye to aaye, warna paison ke liye haddi todna, aur jaan lena chalte rahta hai par paisa recover karna muskil. Kaun itni tension pale... " Bus unhi sab khyalaton ke sath Som aadhe raste laut aaya aur chilam khinch raha tha, tabhi ye teeno pahunch gaye...


Som ke liye wo connecting sa moment ho gaya jab Vyas ki bhavna uske kano tak pahunchi… "Usse dhakka dene ka afsos hai aur kewal yahi baat kahne aaya tha"… Bilkul positive vibes jaise nikle ho. Yahan Som thoda tulnatmak bhi tha jab Diksha ki shadi me kuchh chhote ladkon ne usse pita aur Som ke lambe clarifications ke baad unhe ehsas hua ki unse koi galti hui hai...


Idhar ye teeno ek anumanit pratikriya ki ummid se aaye the. Khuli sadak par kayi logon ke bich dhakka dena, uss hisab ye ye log Som ke reaction ka soch aaye the. Kintu Som ne sidha apne pichhe aane bola. Ye kuchh jyada hi ajib tha.


Vyas, Asif aur Riaz ko kuchh bhi samjh me nahi aaya lekin fir bhi teeno Som ke pichhe chal diye. Teeno jaise hi basment me pahunche aur wahan ke fighting arena ko dekhe, teeno kafi jyada hairan ho gaye. Riaz to isharon me hi kahane laga.… "Ab ye ring me ek-ek kar ke hum teeno ko dhakka marega. Sale ye apni jagah par le aaya"..


Vyas:- Bhai tum hume yahan kyon laye ho. Mere dhakka dene ke badle kahin ring me le ja kar fight to nahi karne wale...


Riaz:- Bhai apna bacchan ke fan hai, angry young man, kewal aankhon se jawab dete hain.


"Tum mujhe Som pukar sakte ho. Screen name pheonix hai. Tumhe jo bag diya hun usme 25 lakh hain. Wahan apne left me dekho, sidhiyan first floor par jati hain... Wahan ja kar mujh par paise lagao"…


Vyas:- Kya 25 lakh???


Riaz:- Som bhai tum kya yahan fight karoge?


Asif:- Hume betting ka koi anubhav nahi hai...


Som:- Jao betting karo... Jaise mann ho waise karo... Yahan ke sare fighters ko main dekh chuka hun isliye kuchh bhi ring me kyun na najar aaye paise kewal mujh par lagana.


Teeno jaise hi upar jane lage, Som unhe rokte huye… "Kuch bhi gadbad lage to bag me licence wali 2 pistol rakhi hai... 2 aadmi sab ko gun point par le lena… aur koi ek bus sise par khade ho kar hath thok dena"?


Vyas:- Koi gair kanooni kaam hai kya ladna?


Som:- 2 log marji se lad rahe, log marji se paise laga rahe hain. Haan lekin kabhi-kabhi logon ke mann me baimani aa jata hai fir unke liye kya kare… kah de ki kar lo baimani... Baat ko samjho.. aur haan ek baat aur, lage ki mamla bhadi hai to gun mat nikalna balki chup chap unhe paise de kar nikal lena... Jaan bachna pahla dhram hota hai... Kya samjhe?


Teeno ek sath sar hilate... "Haan samjh gaye" aur Som ka bag le kar upar ke ore nikal gaye.


Riaz, ne jaise hi suna ander pistol hai, hanth ander dal kar check karne lagaa. Wakai me ander gun rakhi hui thi. Gun ke sath ander rakha mobile bhi mil gaya. Riaz utsukta se Som ka mobile nikal kar screen on kiya... "Teri harkaten shuru hai... Rakh de uska mobile"..


Riaz:- Abe iske mobile screen dekh...


Jaise hi sab ne screen dekha, aankhen badi... "Sia, Som ke gaal chum rahi thi aur Som hanste huye selfi le raha tha"…


Asif:- Sala competitor nikla.… Iski gun kahan hai.. nikal aur goli maar kar 25 lakh ujhal aayenge thane. Mamla settle...


Vyas:- Abe bus bhi kar... Kyun khun jala raha hai. Tasveer dekh kar dil me to mere bhi chubh raha hai par kya kar sakte hain, ab Sia ko wahi pasand hai to wahi sahi... Achha admi maloom padta hai. Ab Sia usse pasand karti hai isme uski kya galti...


Riaz:- To hum kya bure log hain... Khair ladki ke liye violence thik nahi...


Teeno baat kar hi rahe the itne me ek aadmi pahunch gaya. Unke yahan aane ka karan puchhne laga. Vyas ne apna fighter dikhaya aur apne fighter par betting ki ikchha jahir kar diya. Amount 25 laakh sun kar in logon ne bhi apna ek fighter utara...


Som aur wo fighter jab aamne samne huye tab aisa lag raha tha ki Khali ke samne Rey Mysterio ko ladne utar diya ho. Haan bus Som ki hight lagbhag barabar thi. Dono ke shape me itna anter tha ki Som ko uss fighter ke pichhe khada kar do tab pata hi na chale pichhe koi khada bhi hai...


1 ka 2 rate open hua pahle… yani Som jita to 1 rupye ke badle 2 rupya milega… teeno kuchh vichar karne ke baad 2 lakh rupya laga diya aur token le'kar apni jagah par baith gaye. Managment ko 25 lakh ki betting dikh rahi thi lekin ladkon ne matr 2 lakh rupya lagaya tha. Betting management ne ek ati kamuk ladki ko teeno ke table par bhej diya drink serve karne...

Ati kamuk dress. Tight ghere wali chhoti si frock thi jisme chikne taang ka poora najara mil raha tha. Upar poora kandha khula. Gala itna bada tha ki satn ki poori gahrai dikh rahi thi. Ab jab itna sab kuchh koi dikha raha ho fir chehre par najar kiski jaye...


Teeno ne ek sath ye sexy najara dekha. Ati kamuk libas me ek mahila hath me tray liye hui thi. Tray ke upar ek poori bottol aur aur teen kaanch ki glass… Unke pass pahunch kar uss mahila ne tray table par rakhi aur table par dono hath tika kar poora jhuk gayi...


Stan ke kinaron se khule ubhar, bich ki poori clavase dikhta.. stan kuchh dikh rahe the aur bache biye hissa itna tight kapdon ke pichhe tha ki kabootar jaise pinjra todne ko taiyar baithe ho. Teeno ki ek jhalak dekhte aur fir najren chura lete…


Wah mahila inke haav-bhaav se teeno ko pakad lee. Sidha jakar Asif ki gode me baith'ti... "Aap ke liye drink serve kar dun"… Asif miyan ki haalat patli. Chehra thik uske bade bhadi stan ke karib tha aur najre baar-baar stano par…


Vyas uss mahila ke aankhon me jhankte... "Humare liye red wine le kar aao. Aur suno tum mat aana. Kisi launde ko bhejo..."


Mahila:- Kyon tumhe ladke pasand hai kya?


Riaz:- Katto rani tumhara sexy badan dekh kar mann hara bhara ho gaya hai… lekin kya hai na abhi mamla paise ka hai... Badkau badan to porn me bhi dekh lenge isliye launde ko bhej aur dhyan hume fight par lagane de..


Mahila:- Jaise aap chaho sir... Main yahin hun. Milna ho to kah dena sharmili se milna hai...


Asif:- Mohtrama aap itni jyada sharmili hai ki hum bharkile ho rahe hain. Tasreef uthao apna...


Uske jate hi teeno ek sath gahri shwans khinche... Riaz thoda chidhte... "Ab sala koi poora aise bhadkila badan le kar chala aaye to jante ho kitna muskil hota hai usse nahi dekhna..


Vyas:- Fight shuru ho gayi... Counter par najar diye rah...


Niche ring me jaise hi vissel baja, uske agle hi pal Som ko uske pratidwandi ne utha kar patak diya.… Teeno ke muh se ek sath... "Aaooo bechara..." Nikal gaya...


Jaise hi Som niche gira uska pratidwandi sidha ja kar pith par baith gaya aur dhapa-dhap mukke barshane laga. Teeno Som ko dekh kar... "Abe ye bhaisa na bhi maare to bhi uske wajan se papad ho jayega Som bhai. Abe uth ja bhainse"…


Tabhi board par rate change hua. Som ke upar 1 ka 2.5 bhaw aa gaya. Asif ja kar 2 lakh aur laga aaya. Fight jaise-jaise aage badh rahi thi, Som ka pratidwandi uski ek-ek haddiyan chatka raha tha. Sabse aakhri 1 ka 7 rate aaya. Teeno ke pass uss waqt 5 lakh bache the. Poora dav khel gaye. Betting par poore paise lagane ke baad teeno aankhen fade bus iss intzar me thi ki kab Som hare aur wo iss jagah se nikle, kyunki jis hisab se match tha Som kahin se bhi jit nahi raha tha...


Tension aisi thi ki teeno 3 large peg pi gaye the. Tabhi aisa laga jaise teeno ne chamatkaar dekh liya ho... Som jo jamin par leta maar kha raha tha. Usne opponent fighter ko jhatka aur teji se khada hua. Opponent ke hath ke humle ko apne forearm se rok kar turant hi ek jhannatedar punch kaan ke niche right se diya aur agle hi pal dusra punch left kanpatti par.


15 second ka wo kashn tha, jab Som khada hua samne wale ke punch ko rok kar ek punch right aur dusra punch left side kanpatti me rakh kar diya. Dono punch padte hi wo bail sarir wala niche jamin par gir chuka tha. Kuchh der tak uthane ki kosis hoti rahi aur jab wo nahi utha tan rafree ne Som ka hath utha kar vijayi ghoshit kar diya...


Jaise hi vipakhi party haari, wahan upar ka betting mahol hi badal gaya... Vyas, Asif aur Riaz ko 10 log gher chuke the. 9 logon ke hath me koi hathiyar nahi tha lekin ek ke pass pistol thi jo teeno ke samne tani thi aur 9 log bhid ki takat dikha rahe the. Gun pakda aadmi ne sidhe bol diya... "Paisa bhool ja aur nikal yahan se"..






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Lazwaab update
 

Kala Nag

Mr. X
Prime
4,342
16,933
144
Update:-85




Bahut se logon ki maujoodgi me ek ladki dwara hath pakda jana, uss officer ne kuch jyada hi dil par le liya. Fir to usne Sia ko aisa dhakka diya ki wo ladkhdati hui ja'kar sidha deewar se takra gayi. Uska dakka thoda tej tha. Sia ka hath chhil gaya aur kisi nukili chij se sir takrane ke karan bleeding shuru ho gayi thi.…


Sia ke mathe se jaise hi khun ki dhar nikli wahan maujood har koi hairan rah gaya. Hairan to wo officer bhi tha, kyunki usse bhi andesha ho gaya tha, ki uss se galti hui hai. Iss se pahle ki Sia ki haalat par koi pratikriya deta, wah police officer lipa-poti karte.… "On duty police wale ko harash karegi. Shukla thane se lady constable bulao aur iska trearment karwa'kar le chalo thane"…


Ek to uss officer ne badtamiji kiya, upar se chinkhte huye ulta ilzaam lagaa'kar Sia ko thane bhi le jane ke liye kah raha tha. Sia, Shashtri family ki manodasha samajh rahi thi. Sia wahan sab ko shant rahne ke liye kahti hui.… "Neerav mbbs group me Vyas ki haalat ki suchna do aur logon se kaho 2 unit AB+ blood arrange kare, turant"…


Itna kahi hi thi ki Nirali aur Jannat uss police officer ko ghurti, Sia ke zakhm ko dekhne lagi... Sia dono ko hausla deti... "Chinta ki baat nahi hai. Sabko le'kar lounge me intzar karo, uncle ko bus yahin rahne do"…


Pandit ji:- Sab meri hi galti hai. Beta jawan ho gaya hai aur mujhe iss baat ka ehsas tak nahi.… Vyas se kah dena baba ab kabhi gussa nahi karenge, bus thik ho'kar wo jaldi aa jaye... Ek hi to beta hai, usse bhi aisi haalat me dekhunga... Upar se Police wale... Zinda ko bhi nochte hain aur mare huyo ko bhi... Ek jarra tamij nahi aur na hi inhe kisi ke bhavnao ki kadar hai... Koi Sia ka ilaz karwao. Ab kya iss bacchi ka bhi khun bahte dekhun...


Alka Shashtri, apne pati ke aanshu saaf karne lagi. Yun to wo pandit ji ke aanshu saaf kar rahi thi, lekin khud ki aankhen aanshuon me aisi dubi thi ki najren dhundhli ho gayi thi. Ek baar fir kafi gamgin mahol tha. Apne abhibhawakon ke aanshu ko dekh'kar Nirali aur Jannat ke aanshu bhi chhalak aaye.


Idhar Neerav ke samne se ek tralli ja rahi thi. Jisme dressing ka sara saman tha. Neerav ne saman le ja rahe ward boy ko 100 rupya diya aur usne Neerav ko sabhi jaroorat ki chijen de dee. Neerav Sia ke khun ko cotton se saaf kar'ke uske zakhm ko dekhne laga... "Kisi nukili chij ka tip aapke sir par laga hai. Mamuli ghav hai. Ek tetnus ka injection bus lagwa lijiye"…


Neerav sir par cotton ke upar tape chipka'kar isharon me Shastri family ko sambhalne ke liye kahne laga. Sia Shashtri family ke aansu pochhti sabko bahar le aayi. Issi bich uss officer ke pass uske senior ka call aaya. Pahle to uss police officer ke senior ne charge-sheet ke bare me puchha. Police officer ka jawab bhi kamal ka aaya, "Investigation complete ho gayi hai. Ghayal ladke ki medical report ke baad charge-sheet taiyar kar lunga"….


Charge-sheet taiyar karne ki baat par CI sahab bade hi naatkiya dhang se kahne lage... "Kamal hai FIR ke mahaj 2 ghante me complete investigation. Bade teji se case solve kar liya... Lagta hai promotion ki jyada jaldi hai"… Uske baad FIR ki baat hone lagi. Jaise hi FIR ki baat hui, uska senior uss police officer ko aade hath lete.… "Tu charge-sheet file karne ki soch raha aur poore department ko teri FIR hi fake lag rahi. Kisne likhwayi wo FIR"


Police Officer:- Wo pirit ladka Nausad ka cousin, Sorab ne CI sahab...


Senior:- Kamal hai ye to... Ussi ladke Sorab ka written confession mere hath me hai. Isme likha hai, "mauke par pahunchi police ne, jabadarsti ek man-gadhant FIR mujhse likhwaya. Mbbs kar rahe 400 student ne likhit gawahi Thane me jama karwayi hai, jante ho kya hai usme... Hostel me koi goli nahi chali. Aur wo ladka Vyas khelte waqt tab ghayal ho gaya, jab wo fisla aur pichhe se uske paun me sariya ghus gaya."..


Wo officer:- Sir, saaf dikh to raha hai goli lagi hai. OT se nikal'kar doctor bhi apne medical report de dega...


Senior:- Lucknow ke private University. Usme bhi medical kar rahe 2 Student ke bich ki jahadap hai... Doctor ki report tak wahi hogi jo main bata raha. Samjha tu chutiye... Tujhe kya lagta hai University management itni badi baat accept kar lenge. Wo internally iss matter ko resolve karenge...


Wo officer apne sir ka pasina pochhte... "FIR kya kare sir"…


Senior:- FIR ka kya karoge wo to chhota sa kaam hai. Tu to pahle bhi aise FIR ko manage kar chuka hai. Main janta hun tu manage kar lega. Main uske liye thode na phone kiya.…


Wo officer:- Thanks sir, wo to aap jaise guru ka sikahaya hai, isliye aise FIR manage karna sikh gaya hun.. Phone kisliye kiye the CI sahab...


Senior:- ye bata ki hospital me pirit ke abhibhawak par hath kyun uthaya? MC paise khane ke baad kya pirit ke parivar ko pareshan karne ka koi riwaz hai....


Wo officer:- Nahi sir aap ilzam laga rahe..


Senior:- Bc baap ko chodna sikha raha hai. Janta bhi hai wo master kaun hai. Sala teri tarah koi corrupt govt employee nahi hai aur na hi uss se padhe students, jo Lucknow me hi kayi govt. department me hai. Unme se ek high court me hai. Kamaal ki baat janta hai, tere chutiyapanti me high court ke judge ka call DC office aaya hai aur usne commissioner sahab se hi written explanation maang liya... Abhi aayega DC office se phone Mc.


Police officer:- Sir, wo.. wooo


Senior:- Ye tum wo, wo karte rah... Aur kis ladki ko dhakka diya re MC, kabhi kisi ka background check bhi karta hai ki na bsdk. Pata na wo kaun ladki hai, uske liye alag se mujhe SP office se danda ho raha hai. Sala SP office me desh bhar se kayi officer ke call aa gaye. Aur MC koi bhi call teri tarah SI ka nahi tha, balki IPS ke calls aa rahe...


Police:- Sir lekin yahan ki baaten sabko pata kaise chali...


Senior:- Mc aaj kal log apne mobile ko hi court room banaye hai, tujhe samajh me nahi aata. Tu Facebook par live hai. Poora desh teri harkat dekh raha hai, aur niche comment me itna thuka hai, ki tujhe ussi me duba'kar kahin maar na de. Chutiye apni to marwai hi hai, humari bhi maarva diye. Hostel ke lafde me jitno ko arrest kiya hai usse turant release kar aur station ja'kar apni gun jama kar. Agle aadesh tak tu suspend. Aur dua kar ki wo ladki tere khilaf FIR na kare, warna aur lamba ghusega... Sale suar, harami.. madarchod khali ghus lene aata hai. Bc public place me public ke sath behave kaise karte hain wo pata nahi... Mc roj police walon ki video leak hoti hai, fir bhi chaman chutiye bane ho...


Police officer:- Sir, please, please... Ek mauka de do...


Senior:- Ja'kar gun jama kar. Baad me dekhte hai… Abhi mamla bahut garam hai. Aur haan special update aaya hai, tere khilaf uss ladki ka FIR bhi aa gaya...


Police Officer:- Lekin wo to mere samne hai sir…


Senior:- Complaint uske bhai ne kiya hai aur saboot me Govt hospital ki Cctv image ke sath Facebook Live ka video evidence bhi aa gaya... Ab bacha le wardi…


Police officer:- Sir, madad karo galti ho gayi...


Senior:- Gayi teri vardi. Aam public ke live video par tu suspend hua tha, fir ye complaint to DISI Acadamy ka boss Som Malhotra ka hai, wo bhi SP office me... Ab to department bhi tera sath nahi dega.... Ja'kar master aur uss ladki ke paun pad ja aur apne favour me statement le, tabhi teri vardi bachegi…


Officer ke to chehre se hawaeyan udd chali thi, lekin aage aur bhi muskil ho gaya, kyunki medical college ke students poore hospital me hi bhid laga chuke the. University prabandhan khud wahan pahunchi thi aur Vyas ko blood transfusion ke sath hi apne hospital me shift karwa dee, jahan usse vip kamra allot hua tha. Hospital passage me bhid hone ke karan wo officer Shastri family aur Sia ke pass tak nahi pahunch paya. Aur idhar Sia, Shastri family ke sath nikal chuki thi...


3 baje ke karib Vyas ko hosh aa gaya. Uske pass uska poora parivar baith'kar ro raha tha. Vyas kisi se bhi najren milane me asamrth tha. Gamgin sa mahol aur marmik pristithi. Sab kuch samanya hone me lagbhag ghante bhar lag gaye.


Asif wahan se har kisi ko jane bol diya. Raat ko bhi wahi ruk raha tha. Sabhi vida le chuke the. Asif, Sia se bhi uske ghar chale jane kaha... Tabhi pahle Vyas ki ummid bhadi najar Sia ko takne lagi, aur Vyas ki ye ummid bhari masoom si shakl dekh'kar.… "Asif tum ek kaam kyon nahi karte, ghar ja'kar apne ye maile aur fate kapde badal lo. Kyunki tumhe to apni haalat ka andaza nahi hai lekin mujhe lagta hai ki maar-pit ke baad tum ghar nahi pahunche"…


Asif khud ki haalat ka jayja lete... "O' teri itne kautuhal ke mahol me kuch yaad hi nahi raha. Thik hai main ghar ho'kar aaya".


Asif nikal gaya, wahan rah gaye bus Sia aur Vyas. Vyas hasrat bhari najron se Sia ko dekhne laga aur Sia.… Vyas ko apne ore dekhte Sia muh fer'kar pichhe mud gayi. Sia ki ye harkat Vyas ko chubhi ho jaise... Apne priyasi dwara andekha karna jaise akhad gaya ho.… Dil me tej chubhan fir bhi chehre par muskaan... "Kya ho gaya meri sweeto ko. Ab kya main itna bura ho gaya ki muh fer lee. Ae sweeto.…"



Sia ke dil me bhi jaise tis utha. Wah teji se bhagti hui pahunchi... Jitna dil me tis utha tha utna hi gusse me bhi shayad dikh rahi thi. Ankhen bhingi thi aur sath me gusse me laal bhi... Pahunchte hi 4-5 thappad rasid kar di aur Vyas ke sir se sir tika'kar chinkh-chikh kar rone lagi... Vyakulta ne jaise gher liya ho.…


"Kya jaroorat thi Vyas… Aakhir kya jaroorat thi aise ladai karne ki."…. Bolte bolte jaise shwans upar chadh gayi ho. Poori tarah se besudh thi… Awaz rukne lagi fir bhi hichkiyan leti kisi tarah kahti rahi.… "Daraa diya mujhe Vyas… Bilkul dara diya"….


Bahut din ke baad Sia royi thi. Logon ki bhid me jis ladki ne apni sabhi bhawnao ko daba'kar muskurati rahti thi. Jo ab se kuch der pahle apne sath huye abhadr vyaywahar ke liye koi pratikriya nahi di, wah Sia chinkh-chinkh kar ro rahi thi... Vyas, Sia ke pith par apni baanh daal'kar usse khud me samet liya. Wah siskiyan leti rahi. Madhyam madhyam aanshu bahte rahe...


"34 hoga kya? Sine me daba kafi mast feel de raha hai"…. Vyas mazakiya lahze me kaha... Sia fir bhi bina koi pratikriya diye bus uske sine se lagi rahi. Rona to kabka band ho gaya tha bus khamoshi hi thi. Vyas ne mahol halka karne ke liye kaha lekin Sia ka mann shayad abhi halka nahi hua tha. Iske baad Vyas ne fir baat karne ki kosis nahi kee, bus Sia ke pith par pyar se haath ferte, dilasa dene laga.


Waqt bit'ta gaya aur dono khamosh hi rahe. Jaise in khamoshiyon ki bhi apni ek juban ho. Vyas ki bahon me Sia ko dard se sukoon mil gaya tha aur uski dhadkano ko sun'na aisa tha, maano kisi madhur sangeet me kho gayi ho... Dono ek dusre ko bahon me bhar'kar dharkano ki madur awaz me apni aankhen munde the.


Khamoshi me kuch pal aur bita. Sia, Vyas ke haath ko hata'kar, apne chehre ko Vyas ke chehre ke upar leti, Vyas ka chehra dekhna lagi... Sia bilkul khamosh aur utni hi gambhir bhaw se Vyas ka chehra dekh rahi thi. Aisa lag raha tha jaise mehsus karne ki kosis kar rahi ho ki goli lagne ke baad Vyas kis dard se gujra hai. Ek baar fir Sia ke aanshu chhalak aaye... "Sweetoooo... Sweetoooo"… ruwasi awaz me wah Vyas ko paukarne lagi. Vyas thoda muskuraya. Apna hath badha'kar Sia ke aanshu pochhte huye apne sir ko uncha kar ke Sia ke sir se tika diya. Sia ke aankhon me aansu ab bhi the aur apni nam aankhon ke sath hi wo Vyas ke hont se apni honth laga'kar chumne lagi...


Behatasha Vyas ko chume ja rahi thi. Vyas surakshit hai, iss khyal se hi wo apna pyar dikha rahi thi aur aanshu bhi baha rahi thi. Uss kiss me itni bhavna thi mano apne pyar ki poori bhawna Sia dikha rahi ho. Bus chumti hi ja rahi thi... Besudhh si hui. Poori bekhayali me thi aur bus chume hi ja rahi thi.…


Tabhi darwaja khat se khulne ki awaz aayi, lekin Sia to Vyas ko chumti hi rahi. Usse surakshit dekh apni bhawna jatati hi rahi... Wahin Vyas "uuuuunnnn... Uuuuunnn" karte Sia ko apne upar se hatane laga...


Sia ek baar fir Vyas ke upar chehra laati usse ghur'kar dekhne lagi. Vyas apni putliyon ko baar-baar bayen ore karte, uss ore dekhne ka ishara karne lagi... Sia, Vyas ki najron ka pichha karti jaise hi bayen ore dekhi... Jhatke se Vyas ke upar se uthi... "Soooomm... Wooo, main.." Sia itna hi kah payi aur fir khamosh ho'kar apni najren niche kar lee... Wahin Som kabhi Sia to kabhi Vyas ko ghur raha tha...


Waise ek ore jahan Som, Vyas aur Sia ko ghur raha tha, wahin issi waqt me kahin koi aur bhi bade aascharya se ghur raha tha.… Din somvar, sham ke lagbhag 6 baj rahe the. Aankh ke samne English me likha ek board tha, jisme Falana bazar, Haidrabad likha tha... Riaz ghur'kar kabhi uss angreji me likhe board ko dekh raha tha to kabhi dukano ke upar lage sthaniya bhasha ke board ko... Bada hi ajib chehra bana'kar Riaz khud se hi kahne laga.… "Ye Haidrabadi angreji ya telgu me likhte board. Bc ye kya ghotala hai. Sare board angreji aur urdu me likhe hai"…


Ab Station Road, Allahabad ke aage India likhne ka to koi culture hi nahi. Thik waise hi shayad padosi mulk ke yahan bhi culture tha. Falana bazar, Haidrabad ke aage Pakistan likha hota to na Riaz ko samjh me aata ki wo kaun se Haidrabad me hai... Wo to bus Haidrabad me hai...






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
भाई इस अपडेट पर कुछ भी लिख नहीं सकता वाकई लाज़वाब अपडेट
 

Tiger 786

Well-Known Member
6,239
22,634
173
Update:-39




Jaise hi vipakhi party haari, wahan upar ka betting mahol hi badal gaya... Vyas, Asif aur Riaz ko 10 log gher chuke the. 9 logon ke hath me koi hathiyar nahi tha lekin ek ke pass pistol thi jo teeno ke samne tani thi aur 9 log bhid ki takat dikha rahe the. Gun pakda aadmi ne sidhe bol diya... "Paisa bhool ja aur nikal yahan se"..


Som chunki yahan ke mahol se wakiff tha isliye turant hi bhaag kar wo upar aa gaya... Som ke najron ke samne kafi khincha sa mahol tha aur buddhimani yahi kah rahi thi pahle un teeno ko iss khatarnak mahol se bahar nikaala jaye. Khyal to yahi tha. Som ne teeno ko sab chhod kae jane ke liye bhi kah diya lekin ye teeno bhi bail buddhi, wahin baithe rahe aur sath nikalne ki mansa jahir kar diye...


Khair paise baimani par utaru to the hi wahan ka prabandhan, sath me na maan'ne ki sitithi me jaan bhi le sakta tha. Som apne chir parichit andaj me, itne prachand se mahol me bhi apna chilam ka dhuwan udaate huye kahne laga...


"25 lakh tera malik baimani kar raha hai. Main ek street fighter hun aur jitna najdik se tum mujhe ye banduk dikha rahe ho, mera wada hai 1 goli nahi maar paoge. Aur yahan main maarne par aaun to faltu ka khun kharaba hoga. Pichhe se 100 log aur bahar se aayenge. Anth me tera malik aa kar compromise karega. Lekin in sab ghatnao ke bich, tum me se kayi Bahubali sahid ho jaoge. Kisi ki biwi sadak par bhikh mangegi ya yahin ke baar me sexy sa dress pahan kar logon ko daru serve karegi."


"Yadi yahan ladai ke dauran main mar bhi gaya to bhi tera malik uss 25 lakh baimani ke paise me se futi kaudi nahi dene wala. Haan lekin uss paristithi me bhi main tum 10 logon me se 7-8 ki lash to gira hi chuka rahunga aur baki ka kaam pichhe se aane wale log kar denge. Ab aage tumhari marji hai, pahla mauka tumhe hi diya"


Som apni baat kah kar aaram se charo ore dekhne laga. Wahan ka manager, malik ko line par liya. Som bilkul apne bhadi se aawaj me... "Dekh bhai ya to juye ka khel, khel le, ya sidha paise loot kar khun kharaba kar le. Ye betting ke naam par cheating tujhe bhadi na par jaye. Kya tere staff ne bataya hai ki koi naya yahan paise lagane aaya hai, to sun le.… ye paise Nirbhay Singh ke club se aaya hai. Apne staff ko bol note ke bundle ke upar ka jo paper hataya hai usse dhyan se dekhne. Aur maine usse sandesh bhej diya hai ki hum jit gaye. Aage teri marji hai"…


Som ne wahan ke owner ko baaton se aisa uljhaya ki wo compromise karne ko taiyar hua. Teeno ne milkar takriban 80 lakh jite the. 40 lakh par baat final hui. Som wahan se sara cash uthaya aur sabhi ke sath bahar aa gaya. Som jaise hi bahar aaya sidha Vyas ka gala pakad kar hawa me upar uthate... "Ander film chal rahi thi kya, jab wahan se jane ko kaha fir ruke kyon the"…


Som apni baat poori kar ke usse niche utara. Vyas apna gala pakde khasns laga... Asif aur Riaz dono usse sambhalne pahunche..


Vyas:- Jab jagah itni khatarnaak thi to laana nahi chahiye tha aur jab le aaye to sath niklenge. Kabhi humne bhagna nahi sikha...


Som:- Kya fayda aise dedication ka... Haan !!! Tum teeno wahan se nikalte to main shayad free hand hota… lekin tumhare vajah se free hand nahi tha. Jab sath wala khud bol raha hai jao to wo kewal mahanta nahi dikha raha ki usse tum sab ki kewal fikr hai... Usse pata hai ki wo akele wahan se aaram se nikal sakta hai par teeno ke sath phans jayega ..


Riaz:- Baat to fir bhi wahi hui Som bhai... Tumne bhi to nahi chhoda na... Akele wahan se aaram se nikal sakte the lekin nahi nikle na... Baat khatm karo. Aage kabhi aisa hua to hum nikal lenge...


Aisf aur Vyas bhi haami bhar diye aur charo chalne lage. Teeno apne chir parichit andaj me baaten karte huye ja rahe the. Som teeno ko sunte huye badh raha tha. Mukhya marg par jaise hi pahunche... "Thik hai bhai hum chalte hain"… Asif ne kaha..


Som:- Apne paise to lete jao...


Teeno ek sath thoda aaschrya dikhate... "Kaise paise"…


Som:- Tumhari mehnat ke...


Jaise hi teeno ne suna, ander se poora khush aur bahar utni hi hairani se bhi... "Bhai aap ye paise lagbhag daan hi kar rahe ho"… Vyas ne jigyasavash Som ke paise dene ke pichhe ka motive tatola...


Som:- Main daan karne me viswas nahi karta. Tum teeno ke mehnat ke paise hai....


Vyas:- Bhai, paise hum le to lenge. Lekin kabhi itne paise kharch karne ki aadat nahi hai. Mere baba ek sadharan se shikshak hain. Kabhi iss tarah se paise kamana nahi sikhaya. Ander se khush to bahut hun ki bina koi gair kanooni kaam kiye ye paise maine kamaye. Lekin baba nahi manege...


Asif:- Meri ammi mall me naukri karti hai, lekin itni badi umr me aaj tak kabhi mujhe paise kamane nahi boli. Sirf itna hi kahti hai ki apne carrier me settle ho jao. Jo bhi aur jitna bhi income aayega hum ussi me khush rahenge.


Riaz:- Ab apne ghar ka kya bata dun. Ghar ke kuchh log khush honge to kuchh log samjhayenge. Par apna mitr mandali ko sankoch yani apne ko sankoch...


Som apne bag se ek contract paper nikala. Uss par naam ke liye khali jagah par teeno ka naam likhte.… "Freelance service contract hai. Paise tumhe kaam ke evaj me mil rahe. Kaam contract par likha hai. Baki jab ye paise tumhe gair kanooni nahi lage to mujhe yakin hai ki inhe kharch karne aur apne gardian ke pass kitna paise dikhana hai, wo tum teeno ko pata hoga. Chalo tumhe nukkad tak chhod dun"…


Som jaise hi apne bike par baithne laga, Asif... "Bhai bike bahut mast hai"


Som:- Mere pitaji ne mujhe gift kiya hai. Bike nahi ye mere pitaji ki khushiyan hai...


Riaz:- Tab to jaldi se apni girlfriend ke bare me bhi bata hi do Som bhai.. uncle ki khushi chaugni ho jayegi...


Som:- Kaun girlfriend..


Riaz:- Wahi jiski tasveer aapke phone ke wall par hai...



Som ne hath ke ishare se Riaz ko apne pass bulaya… jaise hi Riaz uske karib pahuncha, Som ek thappad chipkate... "Phone maang kar liya karo, aise chori se nahi. Aur haan wall par meri girlfriend nahi hai. Meri khuhsiyan aur meri zindgi hai. Meri pyari bahan Sia. Auto lo teeno nukkad tak sath chalunga"


Som teeno ko uske hisse ke 20 lakh de kar nukkad tak sath aaya, uske baad sidha apne ghar. Ye teeno un paison ko dekh kar aascharya karte…


Vyas:- Yaar ye Sia ka poora khandan hi itna vichitr hai kya?


Asif:- Koi hume itni tej dhakka diya hota tab to... Aur ye hume paise de kar ja raha hai..


Vyas:- Batao kamino, tumhare galat info ki wajah se kha-m-kha Sia aur bade bhaiya ki tasveer dekh kar dil jala liya...


Riaz:- Bade bhaiya... Kya baat hai Shashtri… rishta jode ja rahe hain...


Riaz ki baat sun kar Vyas thoda gum ho gaya. Teeno nukkad se alag huye. Riaz apne ghar ko aur ye dono apne ghar ko... "Kya hua Shashtri, Sia dil se ja nahi rahi kya?"


Vyas:- Dil se jane wali hai kya wo. Kisi waqt wo mere itne karib thi ki main apni poori zindgi uske sath mehsus karta tha. Dur hui hai jab se, ander kahin na kahin chubhan bani hui hai..


Asif:- Sia se mil kar baat karen kya?


Vyas:- Nahi yaar, rahne do. Jab Sia se milenge hi nahi to itna akhdega nahi. Waise bhi 2 din baad se humari classes shuru ho rahi hai... Medical par hi focus karenge… jaise humne wada kiya tha, sari mastiyon ko alvida kar ke kewal aur kewal carrier par focus...


Asif:- Waise tum aur Riaz kisi padhne wali doctor ko bhi dekh sakte ho... Sath padhne wali ladki ke sath carrier par focus karte raho. Dono ek dusre ki madad karte rahna…


Vyas jab ghar pahuncha Nirali jaag rahi thi, Maa Baba soye huye the. Dono bhai-bahan ghar ke hall me hi baithe... "Fir pi kar aaye ho bhaiya. Tumhara pina kabhi-kabhi se jo shuru hua tha so har dusre din ka natak ho gaya hai"..


Vyas:- 2 din baad se class shuru ho rahi hai, ye shikayat nahi milegi...


Vyas apni baat kah kar kuchh sochne laga. Nirali bade dhyan se Vyas ka chehra padhne ki kosis kar rahi thi.… "Kya wo ladki tumhe itni pasand hai..." Nirali bade dhyan se apne bhai ka chehra padhti, Sia ke bare me puchh di...


Vyas, Nirali ka hath thamte... "Pata nahi kya hai par jo bhi hai sab khatm hai. Usne aaram se mujhe manaa kar diya hai."


Nirali:- Bhaiya koi ladka mujhe propose karne aaya hota aur wo mujhe achha lagta to main bhi wahi kahti jo meri bhabhi ne kaha tha. Apne papa se wo bhi bahut pyar karti hogi aur nahi chahti ki unki marji ke bagair shadi kare. Mujhe to sun kar hi wo pasand aa gayi bhaiya...


Vyas:- Oye nautanki... Maine sirf manaa karne wali baat kahi thi, uske papa ka kissa tujhe kaise pata...


Nirali:- Oppsss !!! Ye meri juban kaise fisal gayi. Ab chhodo bhi kahan se kaise pata chala. Mudda ye hai ki bhabhi ko aap pasand ho. Jaldbaji me kuchh bhi mat faisla lo. Thoda dhairya rakhna sikho...


Vyas:- Yadi ye kahun ki jis din usne manaa kiya aur apne papa ka number de rahi thi, maine galti se uske muh par kah diya tha.. "do apne papa ka number unhone manaa kiya to main unhe gali de kar bhadas nikal lunga". Aur aaj uske aankhon ke samne uske bhai ko itna tej dhakka diya ki Sia ki chikh nikal gayi aur wo bhagti hui apne bhai ke pass pahunch kar usse vyakulta se dekh rahi thi, kahin chot to nahi aayi...


Nirali, dhime se... "Awara kahin ke"


Vyas:- Kya boli..


Nirali, chidhti hui.… "Awara boli main. Chappal se nahi maari ganimat hai. Mujh se kisi ne aisa mazak me bhi kaha hota to chappal se maarti. Jao khana le lo khud se, main ja rahi hun"..


Vyas:- Areee comedy karne ke chakkar me nikal gaya... Sorry baba...


Nirali:- Mujhe nahi usse yakin dilao apne sorry ka... Aur haan sab se pahle uss badbole Riaz ka sath chhod do. Ussi ki sangat me juban kharab ho rahi hai...


Vyas:- Aree ab kahan tu Riaz ko le kar baith gayi...


Nirali:- Raat jyada ho gayi hai. Kya chahte ho maa baba jaag jaye chillane se... .


Vyas:- Nahi..


Nirali:- To ja kar chup chap khana khao... Aur jo wada kiya hai na... Medical ke class me kadam rakhte hi purani sari bedhangi baten alvida, uss par kayam rahna… Kyon apni ginti faltu ke ladkon me karwane par tule ho... Sabse garv se kahti hun... gusse me mere baba mere dono bhai ko kuchh bhi saza de de wo juban khol kar bol nahi sakta hai, aisa kyun baba... Mera bhai kewal logon ko hansata hai.. Mere ander ki apni image kharab na karo bus itna hi kahungi…


Nirali poore gusse me apni baat kah kar wahan se nikal gayi. Comedy ke dauran to wo pitaji ki gali wali baat utni feel nahi hui thi, lekin Nirali ne jaise react kiya uss se Vyas samajh chuka tha ki koi chhoti baat to katai nahi thi. Haan lekin ab kuchh kiya nahi ja sakta tha, kyunki Sia ab apne bhai ke sath thi, aur kisi bhai ke samne kaise uske bahan se milne chala jaye. Anth me Vyas ne yahi maan liya ki.… "Nahi... Sia ke liye shayad mai sahi ladka nahi... Chhodte hain ab isse.. Shayad yahi kismat hai..."


Ek nayi subah. Armano ke pankh lagaye subah. Teen dost jinse sab ne ummiden chhod dee thi. Sach to ye tha ki teeno ne khud se bhi ummiden chhod di thi, lekin jab wapas zindgi sanjone ki shurwaat kiye, uske ghar ke logon ne sath khade rah kar bus bina soche aage badhne ki himmat di, aur aaj ki subah uss manjil par pahunchne ke surwaat ki pahli subah thi. Vyas, Asif aur Riaz ke medical college me welcome ki subah thi.


Ek ladki apne Prem moh me, apne kayi varshon ki chahat se ek jhut bol dee. Jhut kah gayi ki wo doctor ban'na chahti hai. Fir khyal aaya ki iss jhuth se prada uthega fir kya hoga. Kabhi jisne science ke kitab me kabhi ruchi nahi lee, lekin apne kahe jhoot ko sach karne ke liye din raat ek kar dee. Haan Meera ko bahut si chijen science ki nahi samjh aati thi, lekin uske 3 dost sath khade rahe, Neeraj, Akansha aur Paali. Teeno ne apne dost ka kabhi sath nahi chhoda.


Paali aur Akansha ghar ke hathon majboor the. Rank lagne ke baad apne ghar walon ko samjhate rahe ki MBBS hai ye, Lucknow se kare ya AIIMS se bahut jyada fark nahi padta. Aage wo duniya ke top medical university me honge. Lekin unke gardian nahi maane.


Maane to Neeraj ke gardian bhi nahi the, lekin exam dene se le kar admission tak apne maata pita ko Neeraj roj manate raha. Manaa ke hi chhoda. Ye the medical toppers 3 dost Neeraj, Paali aur Akansha ke liye apne ek pichhde dost ko sath le kar chalne ki subah... Meera aur Neeraj ek sath Lucknow se, Akansha aur Paali ek sath AIIMS se shurwat ki subah...






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Shandaar update
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

Tiger 786

Well-Known Member
6,239
22,634
173
Update:-40




Nayi subah ke shurwat ke sath hi Vyas, Asif aur Riaz bilkul alag lay me the. Teen mastikhor lekin yaaron ke yaar. Apno ke liye naale me kud jaye to gairon ke liye utne hi attitude aur tashan wale boys. Achhe ladke jo waqt padne par achhe achhon ke tel nikal de.


Vyas, Asif aur Riaz college ke hi raste par the, aur teeno thode achambhit, kyonki ummid nahi thi ki unka admission ussi campus me hua hai jahan Sia padh rahi thi. Teeno campus ke bade se darwaje par khade ho kar upar wale ko ek baar naman karte... Teeno ikattha hath milaye…


Asif:- Kismat kah dun isse Vyas, hume to aaj se pahle pata bhi nahi tha ki hum yahin padhne wale hain, jahan Sia hogi...


Vyas:- Jab kismat me hai to hume alag kaun kar sakta hai, lekin wo wada yaad hain na, ab se carrier hi zindgi hai aur pichhe jo hua usse alvida kah kar aage badhna hai...


Riaz:- Aur Sia ka kya?


Vyas:- Hum apne hisab se sochte hain na Riaz... Yahi sochte hain na ki ek baar haan kahne me kya jata hai... Maine apni feeling bata di.. Sia ko jab feel hoga to bata degi warna koi baat nahi... Lekin abhi matter kya hai...


Vyas, Asif aur Riaz teeno ek sath.… "Ye duniya hi serious hai isliye carrier ko pahle seriously dekhenge. Uske alawa waqt mila, fir hum se jyada bhi koi mauj masti kar sakta hai kya?"


Teeno issi jumle ko ek baar aur dohraye aur fir aankhon me sapne liye chal pare. Chalne ka haav-bhaav badla sa. Logon ko dekhne ka andaj badla sa aur ladkiyan, kaun aayi kaun gayi hume kya?


Teeno medical college ke auditorium me pahunche. Bahut sare students baithe huye the. Tabhi un sab ke liye ek aur surprise ho gaya jab Meera aur Neeraj bhi pichhe se unke pass baithe. Thode achambhit to thodi khushi thi.


Meera apni aankhen badi kiye... "God damnnn, tum teeno lukkhe bhi idhar ho"…


Riaz:- Kosis karenge ki ye lukkhe ka tag hat jaye. By the way mera naam Riaz Abdullah Khan hai. Ye hai mere jigri dost, Vyas Prasad Shashtri aur Asif Zafar Sheikh.


Meera hansti hui apni hath aage badhati... "Meera, MBBS first year. Ye hai mera chhotu Neeru, ye bhi mere sath MBBS first year me hai"..


Paanchon ki kafi formal mulakaat thi. Meera ke liye yakin kar pana muskil tha kya ye wahi 3 ladke hain. Lagbhag 1 ghante ke ubau aur pakau bhashan ke baad welcome session over hua...


Jaise hi unki sabha tooti…. "Chal ragging de kar aate hain"… Neeraj ne bola..


Meera:- Vyas sir ke sath rah. Yahan ke bahubali hain. Fir kiski majal ki ragging le le.


Vyas:- Sorry Meera, yahan main sirf aur sirf student hun aur padhne aaya hun. Kyun na sab sath me ragging dete hain. Waise tum dono ko yahan dekh kar achha laga...


Riaz:- Kya hum combined study kar sakte hain. Hum log average student hai aur kayi saal ke mehnat ke baad yahan admission mila hai..


Meera:- Ek shart par. Riaz sir aise chup na rahenge, achha nahi lagta hai...


Asif:- Har waqt ki apni ek kahani hoti hai Meera. Tab jo 3 dost the wo life ko aawara ki tarah ji rahe the, kyonki professional life me aane se pahle hum poora jina chahte the. Masti mazak honge lekin pahla ek mahina tay karega. Padhai ne waqt diya to sab karenge lekin pahle padhai karenge...


Riaz:- Bahut ummiden hain humare poore samaj ko hum se. Abhi se aasha lagaya hain ki humare bich se ek doctor hoga to ilaz me kitni suhuliyat hogi.


Neeraj:- Impressive sir, lekin wo kal se shuru hoga na... Aaj to ragging ke sath thodi masti ho jaye.


Vyas:- Haan kyon nahi...


Paanchon nikle bahar canteen ka pata puchhte. Jaise hi canteen ke darvaje par pahunche, ek ne puchh liya... "First year"…


Panchon ne haan me sir hila diya. Uss ladke ne fir awaj lagayi… "Doston lagta hai naye doctor ka bada batch aaya hai. Jarra welcome to karo inka"…


Itne me hi Sagar wahan pahuncha... "Mere dost hain inhe jane do"…


Vyas:- Sagar tu jane de.. Sir aap bolo..


Ladka, ek najar Sagar ko dekh kar apna sar jhukate… "Sorry sir pata nahi tha aap ke dost hain"..


Sagar:- Vyas chal canteen…


Vyas:- Ye dono bhi humare sath me hai...


Sagar:- Haan to unhe bhi sath le le...


Paanchon ander aaye. Sagar ne sab ke liye coffee ka order kiya. Dravaje ke thik samne captain ki najron ke samne se ye sabhi gujar rahe the. Jaise hi paancho settle huye... Captain paancho ko sambodhit karte... "Hello tum paancho first year"…


Neeraj:- Yes sir...


Captain:- Kyon be pahle se ek baap set kiye hai jo yahan ke ragging se tum sab ko bacha raha hai...


Meera:- Sir, hum to ja hi rahe the juniors welcome ke session me. Ab ye daddy ji humare ragging lene walon ke senior nikal gaye aur hum daddy ji ke junior ke junior. Inka kaha maan kar yahan aa gaye. Aap bhi jo bologe wo hum maan lenge sir, koi bahut badi issue thode na hai...


Captain ke sath Nisha bhi baithi hui thi... "Tum yahan aana. Naam kya hai"..


"Meera naam hai maim"… Meera unke samne jati hui kahne lagi...


Nisha:- Tujhe murgi ban'na aata hai?


Meera:- Maim deshi ya poltery farm wali...


"Hahahah hahaha hahaha... Haha hahha haha haha".… Charo ore thahakon ki awaj gunj gayi...


Nisha sabko hath dikha kar rukne kahti... "Murgi ban kar baang lagaa"…


Meera ek jhalak charo ore dekhi... Diwar ke ek kinare ja kar wo murgi banti hui baang dene lagi"… Nisha 2 minut baad utha'ti hui... "Ye bata yahan sab se jyada khubsurat kaun hai"..


Meera:- Kya senior update nahi hui hain kya? Ye to ghisa pita sawal hai...


Nisha:- Chal upadte kar mujhe...


Meera:- Yahan par sab se jyada hot aur sexy kaun hai? Waise ye ajib sa puchh-tachh wala sawal hai… ragging me boaring hota hai... Task to aisa hona chahiye ki jao professor falana ke chehre par gobar maar kar aa...


Captain:- Ladki me talent hai. Isse baad me dekhte hain… baki tum log re...


Neeraj:- Present sir aa raha hun... Batao kis par gobar maarna hai…


Nisha:- Ye to pahle wale se bhi jyada josh me aa gaya hai...


Captain:- Ye teri dost hai ya girlfriend…


Neeraj:- Dost hai sir...


Nisha:- Kyon be fattu, aaj tak propose nahi kiya kya...


Neeraj:- Ye ragging hai. Abhi kar deta hun. Kuku, mujh se extra affair kar le, agle 5 sal yahi rahna hai... Lo sir ho gaya..


Captain:- Kiss kar ke propose kar...


Meera hansti, gardan thoda tirchha kar lee aur gaal upar kar di... Neeraj gaal ko chumte… "kar le extra affair"..


Nisha:- Oye ye bhai bahan wala kiss kyon kar raha hai.. lip to lip...


Meera:- Kamine ek thappad kha le seniors ki, lekin sochna bhi mat ..


Neeraj:- Pagal virtual appearance hoga...


Meera:- Haan to Paali ki tasveer bana...


Neeraj bina sune apna bag nikala. Bada sa card board. Tarah tarah ke scatch aur lagbhag Meera ki tasveer draw karne laga... Ye bhai draw me busy aur Meera ne call lagaa diya Paali ko. Wo aur Akanksha dono abhi-abhi ragging se fursat hui thi.


Meera ne video call laga kar sidha Neeraj ke samne…. "Kiski tasveer bana rahe ho Neeru"..


Neeraj aawaj sun kar hadbarate huye… "Paali, kaisa raha ragging session"..


Paali:- Sale thake huye senior... Kisi ko dhang se ragging hi na aati...


Akanksha:- Pagal wo kisi ki tasveer draw kar raha tha. Neeru tujhe baton me uljha raha hai Paali..


Paali:- Oooooo... Senior sir, maim hum dono ka namaskar. Mere love se kaun si ragging karwa rahe ho...


Nisha:- Iski Kuku dost ko lip kiss lene. 3 baar propose kar diya hai, wo bhi sidha nahi, extra affair offer kar raha hai..


Paali:- Sale kutte ki dum Neeraj. Tu yahi karne ke liye AIIMS me admission na liya hai. Sun Chhachunder kiss to dur ki baat hai, agar tune Kuku ki tasveer bana lee na fir main batati hun. Ruk tere pitaji ko hi line par leti hun..


Neeraj:- Areee jahilon... Main to senior ki tasveer bana raha tha, ye dekho..


Sab ek baar tasveer dekte... "Ye ki hai"..


Neeraj:- Ye meri Paali ka natija hai... Dimag ki batti fuse kar di, andhere me sab kala-kala aa raha...


Paali:- Raat ko khabar leti hun... Extra affair chahiye na... Taiyar rahna aunty (Neeraj ki maa) ke sath confrence me rahungi… teri to main chaddi utarwake pichhwada laal na karwayi to mera naam Paali singh na...


Meera:- Paali baad me phone karti hun...


"Ruko, ruko, ruko meri sweetos, itni jaldi bhi kya hai?"… In dono ke juaglbandi bhade mahol me darvaje se Sia ne dastak diya.…


"Oh My God... Siaaaaaaaaa didi... Woohoo"… itne josh aur utsaah se bhada hua reaction tha ki sabhi chauk gaye. Apna-apna kaam chhod kar awaj ke ore hi dekhne lage... Aur idhar Meera aur Neeraj dono lagbhag uchhal kar Sia ke pass pahunche...


Ek kinare se Meera to dusre kinare se Neeraj aa gaya. Udhar live screen se Paali aur Akansha ki hooting aur seety bhi shuru thi...


Meera:- Sia didi aap laut aayi ek baar inform to kar deti...


Paali:- Hum sab ko pata hai Sia didi ke bare me... Apna mail check karegi tab na tujhe pata chale Kuku…


Akasnha:- Haan lekin Sia didi aap Lucknow me kyun admission lee. Yahan Delhi me aana tha na... Ye galat hai...


Sia:- Maine UK me hi apply kiya tha. Tum dono (Paali aur Akansha) ko isliye nahi batayi kyunki dono sath me thi aur Paali ko pata chalta ki main Lucknow me hun to wo apne love Neeru ko to bata hi deti… aur main ye surprise ka reaction khona nahi chahti thi. Haan par iss Kuku ko maine kitne mail kiye ek ka bhi jo reply kar deti...


Akansha aur Paali.… "Kuku ko jane do didi 2 saal uske humne dekhe hain. Neeru sab explain kar dega"…


Sia:- Kyun na abhi sab ke samne explain ho jaye. Koi tum teeno me samjhayega ki jis Kuku ko science ki kitab se utna hi uthana hota tha jitne me wo pass kar jaye. 5th class se hi jo management ki taiyari kar rahi ho wo achanak medical me kaise? Ek baat aur, uss se pahle main tum teeno ke entrace exam ke result me intrested hun... Teeno ko kaun si rank lagi thi..


Neeraj:- Mera 4th rank aur un dono ke 2nd rank..


Sia hansti hui.… "Kya baat kar rahe ho. Neeru ko fourth rank. Paali to bilkul coller uncha kar ke ghum rahi hogi..."


Paali:- Aur nahi to kya didi… apne rank par bahut akadta tha.


Akansha:- Areee mazak kar rahi hai Paali..


Sia:- Meera mujhe lagta hai ki ye teeno topper hote hai. Teeno me se Neeru ka to confirm hi tha...


Meera:- Teeno ne poore 11th aur 12th me apni taiyari ke sath meri bhi taiyari karwayi thi. Aur issi vajah se teeno ke study me impact kiya. Mere vajah se school ke poratal par inke naam hall of fame me aate aate rah gaya...


Paali:- Sia didi aap samjhao Kuku ko... Har baar ye issi baat ko chhed deti hai.. hum chalte hain, aap thik se usse samjha do..



Sia:- Dhyan rakhna dono. Dilli aungi to mulakat karti hun...


Meera ne call disconnect kar diyaa. Sia, captain se izazat le kar uske juniors ko apne sath le kar nikal gayi. Teeno campus ke ekant hisse me baithe the. Achanak hi Meera, Sia ke gale lag gayi. Pichhe se uske aanshu bah rahe the... Sia, Meera ke pith ko thapthapati.… "Meri Sweeto kis se dil laga baithi hai jo itni lambi taiyari ko kinare kar ke medical me aa gayi?"…


Meera:- Sia didi main nahi bata sakti. Bus kuchh der aise hi rahne do. Ye aanshu sukoon me nikal aaye hain… aap ko dekh kar kafi sukoon me hun bus khud ko rone se rok nahi pa rahi...


Sia:- Sambhalo khud ko Kuku. Kahin kisi ne tumhe dhoka to nahi diya...


Meera:- Nana Sia didi. Ek baat main unke liye kah sakti hun ki log unke sath dhoka kar sakte hain, lekin wo kisi ke sath dhoka nahi kar sakte...


Sia:- Ohhh hooo .. baat yahan tak pahuch gayi ki dil se usse sab kuchh maan liya. Ab ek baat batao ki usse bhi tumhare dil ka haal pata hai ki nahi...


Meera:- Abhi kah nahi sakti didi... Kuchh waqt baad jab unse mulakat hogi tab hi bata paungi...


Sia:- Kya main bhi tumhare Unse mil sakti hun...


Neeraj:- Iska ek hi jawab aayega... Jis din wo haan karenge.. sab se pahle 5 logon ko pata chalega. Hum teen dost ek aap aur dusri madam.…


Sia:- Ab to bus karo Kuku… kitna royegi ab tak sukoon nahi mila kya?


Meera:- Haan mil gaya...


Meera, Sia se alag hui. Neeraj aur Sia dono Meera ke ke chehre ko saaf karti… "Sab ko rulane wali Meera ke chehre par aanshu achhe nahi lagte."


Sia:- Aur haan tu apne Unke bare me bhale na bataye lekin yadi koi help ki jaroorat hogi to jaroor batana...


Meera:- Help ki jab jaroorat hogi to pakka maang lungi. Chalo Sia didi, canteen chalte hain… Aaj pahla din hai aur yahan hum dono ke kuchh naye dost bane hain… So unhe main bata deti hun ki main aur Neeru aaj tumhare sath ghumne chalenge…


Sia:- Ye kab decide hua. Fir se meri class bank karwa rahi hai...


Meera:- The Great Anusia class ka bahana kar rahi hai ya fir class me humare koi jija ji hai hain...


Sia:- Pagal.. thik hai chalte hain...


Neeraj:- Waise Sia didi Kuku ne jab baat chhed hi diya to thoda uss ore bhi prakash daal hi do..


Sia:- Senior ko chhedne ki aadat gayi nahi dono ki. Waise ek treat deni to banti hai. Tum dono ne Devanshu ke bare me nahi bataya hota to Jugnu didi ki shadi uss mentally corrupt se jaroor ho jati... Aur iss ek info se maine madam ko blackmail kar ke Diksha ki shadi me jane ke liye raaji kar liya tha…


Meera:- Dadi ko aap waise bhi raaji kar leti Sia didi. Aap ko mere information ki jaroorat nahi thi. Haan lekin Devanshu achha ladka nahi tha. Chalo utho treat to de hi do...


Teeno wapas se canteen me pahunche. Sia aate hi coffee ka order deti, ek jhalak Vyas ko dekhi aur fir Nisha se puchhne lagi.... "Kyon juniors, mere in juniors ne poori ragging to dee na"…


Nisha:- Senior maine bahut se juniors dekhe, lekin ye dono alag hi level ke hain…


Sia:- "Oh officially introduction karwana bhul gayi. Ye hai Neeraj. Pyar se my Sweeto Neeru. Medical entrance me 4th rank laya hai. Waise rank 1 aati iski, lekin apne dost Meera ko taiyari karwane ke chakkar me ye, Akasnha aur Paali teeno ne apne rank gira liya".

"Aur ye meri dusri sweeto Meera. Pyar se hum sab isse Kuku kahte hai. Abhi 12th passout hai lekin IIM ke paper le aao ye top 10 me hogi. Graduation clear karne tak to iski ranking 1 hi hoti. Class 5 se hi science ko ratta maar kar kewal pass hone matr ke liye padhi. Haan lekin last moment par apni poori mehnat ko drop kar ke medical ka sochi. In charo ko dekh kar ander se proud type feel ho raha hai.."


Sia apni baat kahti dono ko gale se lagati... "Thankooo soo much for creating a proud moment. Nisha iski ragging complete ho gayi ho to chhod do please. Aaj hum teeno ghumne jayenge"?


Vyas, Asif aur Riaz teeno pass hi baithe the. Sath me Sagar bhi tha jo kafi gusse se wahan ke poore mahol ko hi ghur raha tha. Vyas, ja kar Sia ke pass khada ho gaya. Sia ek jhalak Vyas ko dekhi aur dono ko chhod kar apna hath aage badhati... "Congratulations Vyas"…


Meera:- Sia didi aap inhe janti hai... Vyas sir kafi rochak aur utne hi talented bhi hai. Infact inka poora group.


Sia:- Ek chhoti si pahchan hai. Thanks Meera inke vishesta batane ke liye..


Vyas, apna hath aage badhate... "Thanks a lot Sia. Free ho kya kuchh baat kahni hai"..


Sia:- Hmmm !!! Kuku, Neeru apne seniors se jaan pahchan badhao aur koi shararat nahi. Chalo Vyas…


Dono tahalte huye khali sunsan jagah par pahunche... Vyas apne dono hath jodte... "Kuchh nadaniyan hui thi. Parso ke vyavhar ke liye maaf kar do"…


Sia:- Koi baat nahi hai.


Vyas:- Main ek average student hun aur maine un dono (Meera aur Neeraj) ko combined study ke liye raaji kiya hai. Vishwas mano jab main padhta hun to kewal padhta hun. Asif aur Riaz ka bhi similar case hai. Hum Meera aur Neeraj ke pass huye aur wahan tum nahi baithogi to wo dono humare sath nahi baithenge. Sorry, janta hun ki ab bhi apne bare me hi soch raha hun. Thoda sa swarth hai aur chhoti si ummid. Aage tumhari marji.


Sia:- Koi baat nahi. Tumhare aane par main Meera ke pass se apne karno se uthungi, tumhare karan nahi.... Ab main chalti hun...


Vyas:- Sia, ek aur baat ka guilt hai ander. Bus uss waqt funny moment creat karne ke liye mere muh se wo tumhare papa ke bare me nikla tha… tum jahan kahogi main wahan sab ke bich maafi maang lunga. Janta hun chhoti baat nahi hai. Shayad tum dil se maaf nahi karo haan lekin pachtava to ho hi raha hai…


Sia:- Lagta hai mujhe chalna chahiye...


Vyas:- Hmmm !!!


Sia apni baat kahti palat gayi. Jaise hi 2 kadam aage badhi... "Sia kya hum anjaane ho gaye?"..


Sia, Vyas ki baten suni lekin bina palte wahan se chali gayi. Vyas kuchh der wahin ruka raha. Gahri shwans lete khud se kahne laga... "Ek khwab jiske pass kam se kam rah sakta hun"..






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Awesome update
 

Tiger 786

Well-Known Member
6,239
22,634
173
Update:-41




Sia canteen ke darvaje par hi thi jab Neeraj aur Meera mil gaye. Sia dono ko leti sahar bhraman ko nikal gayi. Vyas wapas aa kar sidha captain ke pass gaya... "Sir, Chaturvedi humara bachpan ka dost hai, lekin hum college ke kisi bhi group se nahi hain. Aap mujhe aam students hi maan sakte hain?"


Captain:- Jaa bhai tu koi aam nahi hai... Waise bhi shanti varta paratav chal raha hai isliye hum yahan ke mahol ko kharab nahi kar sakte…


Vyas, chehre par halki muskaan liye, dono ke pass pahuncha... Jaise hi pass pahuncha, Asif aur Riaz kinare lete... "Kya boli"…


Vyas:- Jante to ho... Bolti hi bahut kam thi. Thodi si khuli thi lekin fir se bahut kam bolne lagi hai. Aage shayad anjano ki tarah humare sath pesh aaye. Haan lekin usne kaha hai hum Meera aur Neeraj ke sath huye to wo uth kar nahi jayegi..


Asif:- Chal ghar chalte hain…


Vyas, Asif aur Riaz ke gale lagte… "Itni mehnat aur muskhkil ke bavjood.. naya safar Mubarak ho. Ab bus jaroorat hai, pichhe na mud kar dekha jaye"..


Asif:- Haan lekin kisi ko pichhe bhi na chhoda jaye...


Riaz:- Aur tea party gange jindabad... Jarra mahine din me settle ho len fir padhai aur masti poora balance kar ke chalenge... Aur jab tak ek mere liye bhi kisi doctor ko dekh lena...


Vyas aur Asif:- Aur ye Meera...


Riaz:- Bhai ye senior junior ki gange ko dur se pranaam. Medical se jatil hai inko samjhna. Uss Meera ko dekh yun aise gaal aage badha di... Waise dikhti badi kamal ki hai...


Vyas:- Kamal ki to Sia bhi hai.. ab to sath baith kar aag lagayegi aur main jalta rahunga..


Asif:- Chhod na thoda najar niche rakhega to pass baithne ka afsos bhi chala jayega..


Riaz:- Ye apne liye bhi ab valid hoga na... Launde ne to sara connection cut kar liya..


Vyas aur Asif dono ek sath.… "Thuuu sala bin pendi ke lota. Abhi to senior-junior se dur tha na"..


Riaz:- Ab upar upar kuchh bhi bol dun... Ander ke purje to wahi poorane honge na..


Zindgi ek aisi paathshala hai jahan har umr hum student hote hain aur har mod ek naya adhyay judta chala jata hai. Haan waqt ke sath bahut sare badlav sarthak hain, lekin kuchh vishestayen sadaiv ander nihit rah jati hai.


Teeno karm path par chal to chuke the. Teeno ke padhne ki aadat bhi ek jaisi thi... "Bako dhyanam"… bilkul bagule ki tarah dhyan laga kar. Lekin kya sirf in baton se teeno ke mul gunn jo the wo dab jate... Bada sawal tha jiska jawab to teeno bhi nahi jante the bus kuchh wada jo khud se kiya tha usse nibhane ki kosis chal rahi thi.


Sham ke 7 baj rahe honge. Meera aur Neeraj phone par the. Dono ke bich bahas ka daur chal raha tha...


Neeraj:- Thoda dhiarya se kaam le... Sab kuchh itni harbadi me mat kar...


Meera:- Mujhe dekhna hai matlab dekhna hai. Main yahan koi ummid le kar nahi aayi thi. Bhagwan ko bolo aise situation hi kyun laye. Bus unhe ek jhalak dekhna hai Neeru..


Neeraj:- Dekh Kuku hum aaram se iss par plan kar lenge aur milne ka koi dhang ka tarika dhundhte hain...


Meera:- Ban gaya plan... Chal phone rakh, message karti hun...


Neeraj line ke dusri ore se Kuku, Kuku karta raha lekin kaun sune. Meera apni Soni kaki (house survent) se kuchh baten samjhayi aur thodi chinta me Vyas ke darwaje par pahunchi.… Aur aate hi... "Vyas, Vyas..."


Vyas:- Ji Meera ji, kahiye...


Meera:- Vyas, Soni kaki (House servent) ki tabiyat achanak kharab ho gayi hai. Unhe shwans lene me nahi ban raha...


Vyas:- Oh doctor ke pass chalte hain…

Meera:- Hospital hi chalte hain, kya pata kahin kuchh serious hua to...


Vyas:- Thik hai jao ye night dress change karo jab tak main sabhi arrangements karta hun...


Meera apne ghar me pahunchi aur pajama kurta change karne lagi pichhe se Soni... "Kuku, beta mujhe kuchh samjh me nahi aa raha hai."


Meera:- Aree Kaki padosi kaise hain uska pata to lagana hai na... Ab jao aur hall me lage sofe par chhati pakad kar let jao aur karrahne lago...


Soni:- Kuku, doctor ko kya bolenge...


Meera:- Bol dena kisi bed par shift karke, glucose aur injection wahiarah laga dega...


Soni poori chaunkti hui.… "Kya injection, glucose... Ae beti mujhe chhod de na"..


Meera:- Soni Kaki mujhe lagta hai ki pandit ji ke ladke (Vyas) ko main aap ke jamai hone ke liye parakh rahi hun...


Soni par to jaise bijli par bijli gir rahe ho.… "Kuku abhi aaye 2 din nahi huye, tumne ladka pasand bhi kar liya. Beta apni maa se aur poore khandan se jhagda karne ke waqt kya boli thi jarra yaad kar"…


Meera ke dimag me samay chakr ulta ghumne laga aur kuchh waqt poorv ke yadon me jati... Bhada poora mahol. Ghar ka hall logon se bhada aur bich me khadi Meera….


"Poora gaanv kaan khol kar sun le... Iss ghar ke bacche padhne jate hain to unhe ishq ho jata hai. Naukri karne jate hain to ishq ho jata hai. Party function me ishq ho jata hai. Koi-koi to ghar me bataye bina love marriage kar lete hain aur apni kartoot chhipane ke liye ussi se dhum-dham wali arrange marriage bhi karte hain. Batao 2-2 baar shadi."


"Main ja rahi hun medical karne. Padhai matlab padhai karungi. Aap sab free hain mere liye ladka dekhne ke liye. Jab tak main MBBS karun dhundh lo ladka, lekin yadi kisi ne bhi iss waqt mujhe rokne ki kosis ki to iss ghar ki parmpara ko barkarar rakhte, main agle 1 ghante me kisi se bhi shadi kar lungi. Fir mujh par na to aap sab ki koi jor jabardasti chalegi aur na hi aise gher kar mujhe manaa karoge. Shadi karungi aur sidha medical karne nikal jaungi... Choice is yours"


Apni baat yaad kar ke Meera ke badan upar se niche tak hil gaya.… "Soni Kaki, ghar ko baad me dekh lungi. Bol dungi meri palne wali maa yani Soni kaki ne ladka final kiya hai. Hua na arrange marriage"…


Soni, ki aankhen fail kar bahar ko aa gayi... "Kuku tum pakka mere chhati me dard utha dee. Beta main hospital chal rahi, par mujhe apne kaarnamo se dur rakho, warna ghar par poori sacchai bata dungi"…


Meera, chahkti hui Soni kaki ko gale se lagayi. Kuchh der baad stracher ke sath hi Vyas, Asif ne entry maara... Soni kaki sofe par leti thi aur Meera uske sar ke pass baithi Soni kaki ke sar daba rahi thi...


Asif:- Abe ye to matha dard hai...


Meera, Asif ko ghurti... "Comedy chal rahi kya idhar. Main hi pagal thi jo Vyas se kuchh boli"..


Idhar Soni kaki ko teji ke sath strecher par lita kar ambulance me load kiya gaya. Pichhe se Meera bhi aayi. Vyas, Meera ko rokte... "Hum teeno hai na, tum ghar par raho. Main phone se poora haal bata dunga"…


Meera, chidh kar thoda uncha bolti.… "Pagal to nahi ho gaye, maa hai wo meri, aur khud hi to dress change karwaye the..."


Vyas:- Haan thik hai samajh gaya chalo tum bhi..


Teeno chadh gaye ambulance me. Nukkad se Riaz bhi pahuncha.… Ambulance me chadhte hi ek jhalak Meera ko dekhte... "Ye to mobile me ghusi hai aur chest pain wala marij shanti se so rahi"…


Meera:- Baap baap chillane ki aadat nahi hai na isliye shant hai.


Meera mobile me hi ghusi hui hi jawab dee aur Neeraj ko dher sara angry emoji bhej kar niche type kar dee... "Sia didi ko inform kar aur city hospital ko bhi tu hi manage karega. Distrub mat kar ab"…


Meera apne massage bhej rahi thi, issi bich Vyas , Meera ke mobile ko dekhne laga... Meera teji se khisak kar kone me ghusti... "Kya badtamiji hai ye"…


Vyas:- Tumhari maa Ambulance me hai aur tum kiske sath mobile me lagi ho...


Meera:- Mera boyfriend hai.…


Soni kaki ki tej khaansi nikal gayi... "Ek aur boyfriend"…


Teeno ek sath chaunkte... "Ek aur boyfriend"..


Meera apne jhujhlaye chehre par fiki muskaan laati... "Soni Kaki main Neeru ko bula rahi thi. Ab Vyas mere phone me ghus raha tha to gusse me bol di"…


Asif:- Mujhe to kuchh samjh me hi na aa raha hai Shashtri. Chest pain tha to nausad sahab ya fir K. P Chandra se dikha lete wahin, sidha ambulance bulane ki kya jaroorat thi..


Meera:- Risk nahi le sakte the na... Kahin heart attack hua to...


Riaz:- Maine to aaj tak na suna kisi aurat ko heart attack aaya hai. Bahut rare hota hai unka heart attack...


Vyas:- Sab shant ho jao... Ab jab ja hi rahe hain to itni panchayat kyun...


Sia aur Som dono aaram se baith kar settle hone par charcha kar rahe the. Issi dauran Som ne Sia ko bataya ki wo hi-speed internet service ka poora set-up lagaane wala hai. Sara saman Nirbhay ke cottage me hi rakha hua hai. Jis din grih prawes hoga ussi din office ka inaugration bhi hoga. Uss par kaam shuru ho gaya hai.


Sia kafi khush thi. Lata Mishra pahle hi bata chuki thi ki Som ne kisi se shadi ke liye haan kah diya hai aur Sia apne armaan jahir karti... "Som, please dad ke liye shadi kar le. Warna unke dil ko chot pahunchti rahegi. Tu shadi kar le fir dad ko VRS le lene bol dungi."


Som:- Shadi ko le kar dara sa hun Sia... Kya ye jaroori hai...


Sia:- To kya dad ko feel karwate rahe ki unki shadi naakam rahi iss vajah se uske bacche shadi nahi karna chahte. Soch kar dekh dad ki haalat.


Som:- Hmmm !!! Mujhe uss Sugandha ke hi fi ghar me shadi nahi karni. In bade logon aur unche armano walon se dar lagta hai. Koi simple si ladki ho rishte nibhane wali wo dekh le...


Sia:- Kyun Diksha ne uss ghar me shadi nahi ki hai kya? Jija ji mujhe achhe swabhav ke dikhe. Achha parivar hai Som…


Som:- Haan lekin hum unke hasiyat aur status ke barabar to nahi...


Sia:- Tu maa, pitaji ki bejjati kar raha hai. Tu Diksha ki bejjati kar raha hai. Jadeja family ne pahle samne se approch kiya hai. Poora jaanch aur parakh kar tumhe pasand ki hai... Hum wahi ladki dekhenge...


Som:- Lekin Sia…


Sia:- Bus bahut hua… Hum ek tour plan kar rahe hain. Wahan wo ladki bhi hogi. Wahin samjh lenge fir baat aage badhayenge... Samjha..


Som iss se aage kuchh kahta uss se pahle hi Sia ka mobile bajne laga. Sia call pick karti.... "Sia didi Kuku hospital me hai"..


Sia:- What???


Neeraj:- Chaunkiye mat, Kuku ko kuch nahi hua hai. Uski Soni kaki ko heavy chest pain tha to hospital le kar aaye hain....



Sia:- Kaun sa hospital...


Neeraj:- City hospital..


Sia:- Thik hai main pahunch rahi…


Som:- Kya hua??


Sia:- Sweeto ki relative hospital me hai. Wo akeli hogi...


Som:- Chal fir chalte hain...


Idhar se Sia aur Som taiyar huye aur udhar Neeraj jab baat kar raha tha uske pitaji ne sab sun liya. Wo bhi latak gaye Neeraj ke sath. Neeraj jaise hi pahuncha, lobby me Meera fikarmand ho kar tahal rahi thi. Vyas, Asif aur Riaz kinare baithe huye the... Tabhi Meera samne se Neeraj ke sath uske mammi-papa ko aate dekh kar uski aankhn badi ho gayi..


Dur se hi najron ke samvad se Meera jaise puchh rahi ho... "Pagal, uncle aunty ko kyun laya?"


Neeraj, najron ke ishare se hi jawab dete... "Kya karun aa gaye"?


Meera unke pass pahunch kar dono ke paun chhu kar pranam ki. Thoda bahut Soni kaki ka haal chaal liye. Inki baten chal hi rahi thi ki...


Dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak


Bekabu si dharkane aise vyakul ho rahi thi mano samne se armaan chale aa rahe ho. Meera, Neeraj ko bhinchti, ruwasi aawaj me kaan me bade dhime se boli... "Neeru wo aa rahe hain"…






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Meera to som bhai ki dewaani hai
Or som ki ek jalak dekhne ke liye
Itna natak😂😂
 

Tiger 786

Well-Known Member
6,239
22,634
173
Update:-42




Bekabu si dharkane aise vyakul ho rahi thi mano samne se armaan chale aa rahe ho. Meera, Neerav ko bhinchti, ruwasi aawaj me kaan me bade dhime se boli... "Neero wo aa rahe hain"…


Neerav ek jhalak pichhe mud kar dekha aur hath pichhe le ja kar kisi tarah Meera ke aanshu pochhne ki kosis karne laga. Hath pahunchne me asamrth the. Iss visvsta ko Sia bhi dekhi. Sia lagbhag daud hi gayi. Apne hath badha kar Meera ke aanshu pochhte… "Aise roti kyun ho. Hum sab hai yahan par. Dekh to state ke ADG (survilense) khud aaye hain…


Neerav:- ADG ke aane se kya hoga...


Sia:- Aree jo admi apne biwi, bacchon par survilense laga sakta hai, fir uske liye doctor kya chij hai. Free me ilaj hoga dekhna...


(Kuchh varsh purv ki ghatna thk jab Neerav ke pita ko kisi ki dhamki mili thi aur uss waqt Neerav ki maa wahin boarding me thi. Ussi waqt hua ye ki Paali aur Neerav ke bachpan ka prem ujagar ho gaya tha)


Meera rote rote hasne lagi…. "Kishori aunty (Neerav ki maa) ke boyfriend dhundhne ke badle J.P uncle ne apni bahu hi dhundh liya tha"..


Neerav ke pita J.P. Jatav.… "Bus bhi karo tum dono. Kyun 1o din tak jhagde ka mahol bana rahi ho"..


Sia:- Kishori aunty dekh lijiye. Poora calculate kiye baithe hain kitne din tak gussa chalta hai...


Kishori Jatav:- Dhit ho gaye hain beta. Ab to mera ruthne se bhi J.P ko fark nahi padta. Waise ye tumhare sath kaun aaya hai..


Sia:- Kya aunty aap Som ko aaj tak nahi dekhi thi kya?


Som ka naam sun kar J.P pichhe mudte... "Aree Som sir, kaise hain aap?"..


Som:- Badiya Sir... Dr ne kya kaha Meera..


Meera:- Don't know sir, chaliye counter tak, pata karte hain...


Som, Meera ko kandhe se thoda kinare karte, Asif, Vyas aur Riaz ko dekhte ... "Kya teeno tumhare sath hain"


Meera:- Haan sir..


Som:- Vyas what is the status..


Vyas:- Bade bhaiya sab kuch thik hai. Ander Ecg waigrah kar rahe hai. Koi bahut chinta ki baat nahi hai chest pain hai kewal...


Yun to Sia, Vyas ko aate hi dekh lee thi, par poora dhyan chal rahe mahol par lagayi hui thi. Jaise hi Vyas ne jawab diya, Sia usse kha jane wali najron se ghurne lagi. Sia ke sath Meera ka bhi wahi reaction tha. Kahan wo Som ke sath counter tak jati, bich me Vyas ne adanga daal diya. Meera, Neerav ko ghurti hui isharon me hi kah di... "Bhagao teeno ko"


Wahin Sia ko ghurte dekh, Riaz thuski lagaate… "Bhai to maan gaya hai lekin uski bahan tujhe kaccha chaba jayegi"..


Vyas:- Kamino confuse mat karo. Sab pahle tay ho gaya hai na ab se only medical to ussi par strict rahne ka himmat dete raho.


Riaz:- Pagal bus bhi kar ye aatitude. Sia ke liye to 100 baar kasam le kar tod dun...


Asif:- Haan wo 1 January ki raat li gayi resolutions ki tarah hi samjh le... Samne hai besharmon ki tarah try karte rah. Kaun sa uske ghar ja kar taak jhaank karne kah rahe..


Riaz:- Sale tere se na hoga main hi ab try karunga... Bhag yahan se...


Riaz apni baat kah kar pahunch gaya char kadam aage bhid me. Usse aate dekh Meera, Neerav ko ishare ki...


Neerav:- Kuku ye teeno (Vyas & comp) paresan ho rahe honge. Hum sab yahin hai unhe bhej do wapas...


"Abe iska kaam ho gaya to hume hi bhaga rahi. Pagal ladki Vyas ka ghar basne de"… Riaz apne mann me sochte, pichhe mud kar hasrat bhari nigaahon se dono ko dekhne laga...


Asif, uth kar unke karib pahunchte… "Hum to yahan pahle aaye hain aur humare guruji ne hume kabhi ye nahi sikhaya ki kisi kaam ko bich me chhor kar chale aao"..


Meera gusse se Neerav ko dekhti isharo me hi... "Bhid kam kar yahan se jaldi"…


Neerav:- Mere guruji ne ek baar kaha tha ki "Akela chana bhad nahi phodta" wahin kuchh din baad bole... "Bade se bada kaam ke pichhe koi ek akela hi hota hai jo pahle chalta hai, baki log apne aap hi judte chale jate hai"… Guruji to kisi ek particular situation ke liye aise kahawten batate hain jo har jagah apply nahi hoga. Ye hospital hai Riaz sir aur yahan bhid achhi baat nahi...


Asif aur Riaz ek dusre ko dekhte... "Ye to bhagane par tula hai"…. Fir pichhe mud kar Vyas ko dekhte... "Abe tu apne chhote sale ko sambhal jarra. Hum teri gristhi basane me lage hain aur ye to tujhe Sia ke pass hi nahi rahne de raha"…


Vyas muskurate huye, sab ke karib pahuncha… "Hum sirf landlord nahi hai balki close padosi bhi hain. Chahti to Meera kahin bhi kiraye se rah sakti thi, lekin mere baba ke pass unke kisi mitr ka phone aaya tha… Unhone itna hi kaha tha ki samjho meri beti tunhare yahan rahne aa rahi hai, tumhare pass rahegi to Meera ke gardian sukoon me rahenge ki uski bacchi apne ghar me hai. Ek viswas ki dor hai".


Vyas apni baat kah raha tha aur Neerav, Meera ka hath kas ke tham liya. Usse dar satane laga kahin vyakulta me Meera, Vyas ke sar ke baal na noch le... Meera gusse se Neerav ko dekhti... "Bhagao inhe… vishwas ki dor se caring ki patang bolo fir kabhi uda le, poora mauka dungi"…


Neerav, Meera ko shant rahne ka ishara karte… "Thanks Vyas sir. Lekin ab vishwas maniye ki Meera apne ghar me hi hai. Aap chinta na karen. Hum aap sab ko aur pareshan nahi kar sakte"..


Vyas, Asif aur Riaz aapas me najron ki sangoshthi karte... "Yaar chhote-chhote mauke to hai Sia ke samne rahne ke, kyon bhaga rahe ho"..


Idhar Neerav, Meera ko dekhte... "Achhe log hain yaar, jane nahi wale. Rahne dete hain. Abhi pahli jhalak le to lee, aage kya karna hai uss par aaram se baat karenge"..


Inke najron ki sangoshthi hoti rahi aur pichhe se Soni kaki pahunch gayi.… "Chalo chalte hain. Dr ne bol diya sab thik hai?"


Riaz:- Admit nahi kiye???


Neerav ke papa J.P Jatav… "Sab thik hai to le kar jao inhe. Jabardasti kyun admit karwana."


Som:- Chalo Sia.. inhe bhi jaana hoga...


Kishori:- Chal Neero. Meera beta kisi bhi chij ki jaroorat ho to hume call karna. Aur apne doston se to milwao. Kafi jimmedar ladke hain...


Meera:- Haan so to hai aunty. Vyas hai humare land lord ke ladke aur ye dono uske dost Asif aur Riaz. Teeno humare sath hi medical first year me hain. Vyas ye hain Neerav ki mammi Kishori aunty aur J.P. uncle, UP ke Aditional Director General hai Servilence department me.


Teeno ek najar upar se niche J.P ko dekh kar namaste kiye. Tabhi Neerav bol diya... "Hum sab ka to samjh me aata hai Vyas sir, lekin aap Som sir aur Sia didi ko kaise jante hain"…


Sia:- Lucknow me main sab se pahle inhi teeno se mili thi. Kuchh din pahle Som ko inhi se milwane le kar aayi thi, jab in me se kisi ne Som ko dhakka de diya. Chal Som…


Som:- Hmmm !!! Chalo chalte hain. Neerav tum Meera ko chhod aao aur tum teeno humare sath chalo...


Sia:- Som no...


Som:- Sia please...


Sia:- Hmmm !!! Thik hai...


Som:-JP sir main baad me milta hun. Kya aap bhi inke sath chale jaoge drop karne?


J.P un logon ko le kar nikal gaye. Som, Sia ke sath teeno ko le kar nikla. Car chal rahi thi aur ander poori khamoshi...


Som:- So tum teeno bhi doctor ban'ne wale ho. Koi future plan...


Aisf:- Som bhai, kabhi iss par humne baith kar socha hi nahi kewal ek baat ko chhod kar...


Som:- Kya?


Vyas:- Duniya me doston ko alag uska profession kar deta hai. Humne medical chuna. Ek chhota sa hospital banawayenge jahan main physician, Asif pediatrician aur Riaz E.N.T. Wahin ek saath kaam bhi karenge aur zindgi sath bitayenge.. bus itna hi hai future plan..


Baten samapt hone ke baad ek baar fir khamoshi chhayi rahi. Chand seconds bite honege... "Som bhai aap dono bhai bahan ki delevary kahan hui thi?"


Riaz bechara ne sawal to puchh liya lekin koi jawab hi nahi aaya udhar se. Vyas aur Asif dono dhime se "thuuu" kahte... "Kuchh bhi haan"..


Riaz hath utha kar shant rahne kahte... "Shayad aap dono ne intrest nahi liya sawal me lekin wakai meri jaan'ne ki ikchha hai. Wo kya hai na ye sab mujhe badbola kahte hain. Pata chal jata ki aapko janm ke waqt Dr ne kaun sa tika lagaya tha to main bhi apne bacchon ko wahi lagwa deta"..


Riaz ki baat sun kar sabhi hasne lage. Som car ko kinare roka. Jaise hi car ruki... Sabhi bahar nikle. Samne hi sadak ke kinare ek chay ki dukan thi. Som ne sab ke liye chay bola...


Sia:- Som mujhe kuchh bhi samjh me nahi aa raha hai. In logon ko humare sath kyun liye ho. Inki apni life hai, inka apna jine ka tarika hai...


Tabhi Vyas dono ko chay badhate... "Bade bhaiya, madam bahut bhadki hui lagti hai."


Som "Thanks Vyas…" kahte uske hath se chay liya aur ek cup Sia ke ore badhaya.. jaise hi Sia ne hath aage badhaya, Som ne jaan bujh kar thoda sa chay Sia ke hath par gira tha.


"Ouchhhhhh" karti Sia apne hath jhatak di aur jab sar utha kar dekhi to Som ke dono hath ka chay uske poore badan par tha...


"Sia, exactly uss waqt yahi hua tha. Vyas ka koi intention nahi tha. Ye to humare sharir ka autonomous response hai. Hope you understand. Yahi dhakka mujhe Diksha ne diya hota to shayad uss waqt tum kahti ki dekh kar nahi chay badha sakte, bechari ko jala diya. Hello boys tea party is over. Aur maine tumhari dost ko samjha diya hai ki jo bhi hua wo natural tha. Chalen ab"..


Sia:- Kuchh baton me logic nahi kaam aati Som. Diksha ne bhi tumhe dhakka diya hota to shayad main uss se bhi baat nahi karti... Fact se sahi-galat ki pahchan hoti hai, na ki feeling ko shanti milti hai...


Som:- Haan thik hai samjh gaya... Chal wapas chalte hain...


Sab apni-apni manjil tak pahunch chuke the. Vyas aur uske doston ko sath lane ke chalte Sia, Som se naaraj chal rahi thi. Har chhoti baat par ek hi baat kah rahi thi... "Jab hospital me usne No kah dee thi, fir teeno ko kyun sath laye"… Som 2-4 baar shanti se sunta raha... Lekin uske baad bhi Sia ne chidh kar fir se wahi dohra dee...


Som:- Sia mujhe clear batao... Tumhari baat na maan'ne ke liye mujh par gussa ho ya teeno ko sath le kar aaya isliye...


Sia:- Meri baat na maan'ne ke liye. Wo teeno mere dost hain. Unhe approch karne do. Tumhe kyun bich me mediator ban'na hai... Tum un teeno ki itni pairvi kyun kar rahe the..


Som:- Achha isliye bhadke mahol me ye tak bol gayi ki Diksha ne mujhe dhakka diya hota to tu uss se bhi baat nahi karti...


Sia:- Main logon ko dikhane ke liye Diksha ko le kar, koi bhi statement publically de sakti hun.. "Dekho jab main Diksha ki nahi sun rahi fir tum kya ho"... Aur sab se hairani ki baat abhi ye hai ki iss baat ko mujhe tumhe samjhana pad raha hai... Aaj irritate kar rahe Som..


Som:- Samjh gaya mujh se galti ho gayi. Ab ye baat dhyan rakhunga ki Sia naa boli to nahi karna hai... Ab khush..


Sia:- Naah... Pahle jao society ke kisi ghar ka kaanch tod aao fir main manugi...


Som:- Pagal… kisi ka nuksan karne se kya fayda.. aur kaanch kisi ko lag gayi to…


Sia:- Ye sab sochna tumhara kaam hai...


Dono ke bich bahas chhid gayi. Som jitna mukda Sia utni hi kaanch todne ki sankhya badhati rahi. Som jab maan nahi raha tha tab Sia ja kar cottage ke bahar hi muh fula kar lawn me baith gayi. Sia jiti Som haara. Anth me bhai ne 8 ghar ke kaanch chori se tod dale...


Wahin Soni kaki ko dikha kar lautne ke baad Meera ne Neerav ko apne pass rok lee. Dono hall me hi baithe the.… Meera poori chahkti hui.… "Tune dekha kya mast lag rahe the Som sir. Aahhhhh !!! Ab to pahle se bhi khatarnak look me hai"…


Neerav:- Mujhe lagta hai unki shadi ho gayi hai.


Neerav ki baat sun kar Meera jhapatta maar kar uske baal ko mutthi me daboch lee... "Kuku didi baal chhod do... Pleaseeeee.. warna maine jo tasveer lee hai wo delete kar dunga"…


Meera baal chhodti... "Kiski tasveer liya hai. Neero jhoot bola to achha na hoga. Som sir ke matter me main inch bhar ka majak pasand nahi..."


Neerav:- Kismat wala hai Som Malhotra jise tum jaisi bhakt chahne wali mili hai. Lekin ati srwatr varjayate... Excess of anything dengerous. Ladkiyon ke mamle me wo kaisa hai tumhe pata hai na...


Meera:- Ladke aur ladki ke mamle me jyadatar dhokebaaj to ladkiyan hi hoti hai... Kyonki ya to wo apne aas pass sacche chahne wale ko najarandaj kar deti hai, ya fir samne se dil se khel jati hai. Mere Som sir bhi ussi ka shikar hain bus. To kya hua jo thodi mehnat karni padegi…


Neerav:- Pagal kahin ki... Chalo ab batao ki plan kya hai?


Meera:- Mujhe Som sir se akele me milna hai...


Neerav:- Kal class bunk kar de aur ghar pahunch ja.


Meera:- Great idea.. chal ghar ka pata laga unka...


Neerav:- Subah hi pata kar liya tha... Bus tu thoda khud ko sambhalna...


Meera:- 4th class me 45 minute ki unki ek class me dil hari... 7 sal baad 11th me mujh se 10 minute ke liye mile aur 2 saal baad aaj dekh rahi thi... Kitna aur sambhal lun Neero…


Neerav:- Fir bhi emotion kabu me rakhegi tabhi to baat kar payegi. Aur jab baat karegi tabhi to baat banegi duffer...


Meera:- Haan ye baat to hai... Fir thik hai main poori kosis karungi sambhlne ki. Neero lekin meri medical ki class...


Neerav:- Pagal main hun na... Extra samjh lunga uss visay ko. Tum uski chinta chhod do Kuku, poora focus Som sir par laga de...


Meera:- Chal issi khushi me nachte hain..


Neerav:- Pagal raat ke 11 baj rahe hain…


Ab 11 baje ya 12, khushi se jhumna tha matlab jhumna tha. Neerav aur Meera nachte rahe. Nachte khushi ka izhar karte aur hall me hi baat karte-karte ludhak gaye. Subah khushnuma thi aur ander ek dridh sankalp liye Meera poore siddat se taiyar ho rahi thi...


Itne salon baad aisi subah aayi thi jab Meera pahli baar Som se akele me milne ja rahi thi. Dil joron se dharak raha tha. Ander kee bhawnayen poori tarah se bekabu thi. Akele me apni dil ki bhavna Som ko samjha payegi yah ek uljhan baar-baar Meera ke ander chal raha tha. Khyal bahut vichlit karne wale the aur Meera kisi tarah khud ko samjhati taiyar ho chuki thi...






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Behtreen update
 

Tiger 786

Well-Known Member
6,239
22,634
173
Update:-43





Subah ke lagbhag 8.30 baj rahe the. Sia ke college pahunchne ki pakki information Meera ke pass pahunch chuki thi. Meera gahre laal rang ke libas me taiyar aaj apne premi par bijli girane ko taiyar thi. Aisa lag raha tha aaj poore itminaan se apni chahat ko rijhane ke irade se saji-snwari thi. Ander ki utsukta aur chehre ki ghabrahat Meera ko ati vises roop de rahi thi…

images-2021-06-30-T104805-385

Ghar ke samne cab laga. Meera cab me baith kar apne sajan se milne chal di. 9 sal ke dil hi dil ka prem aur ek aisa mauka nahi jo sath baithe ho. Aaj pahli baar thi. Dharkan kabhi tej to kabhi dhime ho rahi thi. Vyakulta se hath paun kaanp rahe the.


Tabhi driver ne fm lagaya. Aur ek pyari si dhun kaan me sunai dene lagi...





Paalki Mein Ho Ke Sawaar Chali Re

Main To Apne Sajan Ke Dwaar Chali Re

Paalki Mein Ho Ke Sawaar Chali Re

Main To Apne Sajan Ke Dwaar Chali Re



Mushkil Se Maine Ye Din Nikaale

Mushkil Se Maine Ye Din Nikaale

Chal Tej Chal Tu Wo Gaadi Waale

Mann Mein Lagi Hai Aisi Lagan

Aisi Lagan.. Haay Aisi Lagan..



Hoke Main Badi Bekaraar Chali Re

Hoke Main Badi Bekaraar Chali Re

Main To Apne Sajan Ke Dwaar Chali Re

Paalki Mein Ho Ke Sawaar Chali Re

Main To Apne Sajan Ke Dwaar Chali Re




Madhyam se aati awaj me jo sangeet baja wo to jaise aaj Meera ke liye hi baj raha tha. Chehre par bikharti muskaan aur hoton par wahi geet gungunane lagi. Kuchh der baad, Meera bade se darvaje ke bahar Nirbhay Singh ka name plate padh rahi thi.


Utsukta aur ghabrahat ke bich phansi Meera ke paun achanak se kuchh jyada hi tej kaanpne lage. Meera gahri shwans poore ander tak khinchti hu... "Shant Meera... Baat karne se hi baat banegi"….


"Kin se milna hai madam"… Bahar khade guard ne puchha...


Meera:- Som sir aur Sia didi se milne aayi hun..


Guard:- Aap ka naam..


Meera:- Kya yahan aane wale ko aise hi bahar khade rakh kar puchh-tachh karte hain…


Guard:- Madam kya karun duty hai... Aap naam bataeye main sir ko call kar deta hun...


"Sala dimag ki dahi kar raha" ander se chidhti, upar se unchacha muskurahat deti... "Ji Meera naam hai"…


Kuchh der Meera bahar khadi rahi. Chhoti si window se Som ko aate huye dekh rahi thi. Haalaat bekabu ho gaye. Armaan aahen bharne lagi. Paun me ek baar fir pankha lag gaye. Ander se dharkane itni tej thi ki tej-tej shwans le kar khud ko kabu karne ki kosis kar rahi thi...


"Are you alright Meera"?…. Kaan me Som kee awaj sunai di. Meera najren utha kar dekhi, fir najron ne jaise himmat haar lee ho. Khud-v-khud palken nichi ho gayi... "Meera, kya tum thik ho"?.. Ek baar fir Som ne puchha…


"Aa .. haaan .. Sir, main thik hun."… Kisi tarah Meera apni baat kah kar wapas se khud ko niyantrit karne lagi.


Som:- Sia to college hi gayi hai...


Meera, hadbadati... "Wo main aap se hi milne aayi thi"..


Som:- Come on in... Ab kya bahar hi khadi rahogi...


Meera, ek baar fir najar utha kar dekhi. Dhime se poori gahri shwans apne ander khinch kar Meera, Som ke pichhe kadam badha dee. Som aage chal raha tha, Meera pichhe-pichhe… "Aahhh yun hi har safar ke humsafar rahna sir"… khayal kafi khushnuma tha, soch kar hi Meera ke chehre par muskaan failne lagi.


Kadam badhati Meera cottage ke darwaje se ander praves ki. Kinare hi diwar par ek bahut bada board tha, jis par Meera aur uske doston ke sath Sia ki kayi sari tasveer lagi hui thi. Meera bade dhyan se sabhi tasveren dekh rahi thi. Wahan Som ki bhi kayi tasveeren thi. Un tasveeron ko dekh kar Meera aise khoyi ki uske hath apne aap hi un tasveeron ko sparsh karne ke liye uth gaye..


"Tea or coffee"… Khoye se uss mahol me Som ki awaj sunai dee. Meera vastavik sthiti me pahunchi… "Sorry main wo tasveer dekh rahi thi"..


Som:- Tea or Coffee...


Meera:- Kuchh nahi sir rahne dijiye. Waise Som sir kya aap ko main yaad hun...


Som:- School days ke bare me puchh rahi ho..


Meera:- Haan Sir...


Som:- Sorry Meera, mujhe utne junior class ke bare me yaad nahi... tum aaram se baith kyon nahi jati?


Meera ab bhi un tasveeron ko hi dekhti hui baat kar rahi thi. Shayad samne se dekhne par armaan iss kadar bekabu hote ki baat na ho pati, isliye Meera, Som ko face hi nahi karna chahti thi...


Meera:- Main thik hun sir. In tasveeron me kuchh purani aur pyari yaden hain, unhi ko sanjo rahi hun.


Som:- Koi nahi ye poora board hi tum rakh lo. Jo tasveeren tumhare kaam ki na ho usse lauta dena.


Meera:- Thanks Sir.. Sir 2 sal pahle 11th ki ek ladki ne aap ko ground me propose kiya tha... Uske bare me kuchh yaad hai kya?


Som:- Kya wo tumhari dost hai? Yadi haan to uss se meri baat karwana. You know life me first time kisi ko thappad marne ka afsos hua tha..


Meera, ki bhavna to wahi samjh sakti thi. Som ke kahe ye aakhri shabd usse asim sukh de rahi ho jaise. Meera apni bhavnayen apne ander dabati... "Aap ne to kayi ladkiyon ko thappad maara hai sir. Fir uske liye afsos kyun?"


Som gahri shwans lete.... "Achha sawal hai. Jara mera huliya dekho, ye kisi ladki ko attrect bhi kar sakta hai kya? Mujhe yaad bhi nahi ki kisi ladki ne aaj tak mujhe muskura kar dekha ho. Ya to mere bedhange look ya fir main unhe kyon nahi dekhta, ya unko ore ruchi kyun nahi leta, inhi sab baaton ka aaklan karti mujhe dekha karti thi ya mere bare me jaan'ne ki ikchha rakhti thi. Ab soch sakti ho school me mile proposal kis maksad ke honge..


Meera:- Apne bare me aisa kyun kahte ho sir... Ladkiyan aap ko pasand karti thi..


Som:- "Mujhe utne hi log pasand kar sakte hain jo mujhe samjhte hain. School me ladkiyon ke liye main matr ek object tha. Aisa object jise apne pichhe ghumane ke liye kayi ladkiyon ne shart lagayi thi. Wo Som ko dekh kar attrect nahi thi, balki Som, Diksha aur Sia ke sath kewal hota tha, iss wajah ladkiyan ego me propose karti thi."

"Tumhe nahi pata jab main unhe thappad marata tha to kaise sobhniya shabdon se mera swagat kiya karti thi. Ek thappad kafi tha uski bhavna juban tak lane ke liye. But the last girl... Thappad marne ke baad na to wo kuchh boli aur na hi uski aankhon ki bavna badli. Wo aankhen jinme kuchh to sapne the... Kuchh to arman the. Bacchi thi, kuchh jyada shakti kar di. Mujhe aaram se baith kar usse samjhana chahiye tha"…


Meera bade dhyan se Som ki baten sun rahi thi. Chehra bata raha tha ki wo kitni khush hai. Aankhen bata rahi thi ki wo Som ko sun kar kitni bhav vibhor ho rahi hai...


Dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak.. apne bekabu dharkano ki aawaj wo saaf sun sakti thi.


Meera kisi tarah himmat juta kar saamne mud gayi. Meera ke aanshu dekh kar Som apne kadam aage badhaya. Meera apne hath aage dikhati... "Nahi sir, wahin khade rahiye... Varna main kuchh kah nahi paungi."..


Som:- Meera listen...


Meera:- No you listen Som Malhotra... Main hi wo ladki hun jise bacchi bol kar thappad mar diye. Now tell me kya main tumhare sath khadi rahungi to unmatched lagaungi...


Som:- Meera take a deep breath, calm down. I really apologize. Kyun uss waqt ki baat ko dil se lagaye baithi ho...


Meera:- Shut upppp !!! Main thappad ke clarification nahi maangne aayi hun. Main to kahna chahti hun, meri aankhon me ab bhi wahi chahat hai... Som Molhotra main tumhe apna sab kuchh maan chuki hun, bus ye batane aayi hun...


Som:- Meera main tum se itna friendly kewal aur kewal Sia ke wajah se hun. Tum jo baat kar rahi wo galat hai...


Meera:- Sia didi baat karegi to baat karoge, nahi karegi to nahi karoge. Aur mera kya jo tumhe dekhne ke liye itni vyakul thi ki kal apni Soni kaki tak ko admit karwa dee...


Som uski nam aankhen aur gusse se nikalti awaj sun kar hans diya.. "Meera it's just an attrection. Aise chhote umr me apne seniors ya teacher ko dekh kar ho jata hai. Tum itni kamal ki khubsoorat ho ki tumhe to koi prince charm milega. Abhi bhi bachpana aur hat hi hai"…


Meera:- Bachpana hi sahi… Main tumhe pasand karti hun. Maar kar thappad bhaga do. Mai sadak par baith jaungi aur ye baat kahungi. Tab tak kahti rahungi jab tak tunhe samjh me nahi aa jata ki main wakai tumhe chahti hun aur tum hi mere sab kuchh ho... Koi attrection nahi hai... Bahut clear hai life ke concept…


Som:- Meera main kya karun jo tumhe samjh me aayega ki main tumhare se ye rishta nahi nibha sakta...


Meera:- Accept me... Mat bahar lao apni feeling. Ban jao bhola bhandari. Meri feeling to samjh sakte ho... Mere sath to ho sakte ho..


Som:- Meera tumhe abhi nahi pata ki tum kya kah rahi ho. Vatsvik duniya me jab tum mere sath hogi to issi Som se tumhe nafrat ho jayegi. Apni chahat me tum 1 sal ya 2 sal kaat logi lekin uske baad fir tum ghut jaogi...


Meera, mano poore thak aur haar kar kahin baith rahi ho, thik waise hi bistar par baith kar, kinare hath ka tek lagati... "Som sir main aap ko kaise yakin dilaun, maine aap ke liye 9 sal bita diye, kya aage ke 40-50 sal nahi bitaungi aur yakin maniye main koi adjustment nahi karungi. Aapke sath jaisi bhi life rahe khushi se accept kar lungi"..


Som:- Meera main Lucknow me rahne aaya hun. Aisa mahol mat banao ki main Lucknow chhodne par majboor ho jaun. Aur ek baat pyar me pagal log suside karne ki sochte hain, tum bhi aisa soch sakti ho fir tum mere liye sirf aur sirf ghrina ke patr hogi...


Meera:- "Meera naam hai mera Som Malhotra. Tum mere chhaliya aur main tumhari Meera. Main sath jine me viswas rakhti hun. Bhale kosis karte-karte meri poori umr nikal jaye aur matr ek lamha hi sahi, tum mere sath mujhe apni jivan sangni maan kar kyun na raho... Main uss ek lamhe ke aane tak kosis karti rahungi... Ye hoga likh lo..."

"Tum mujhe baby, sweeto aur anya pyare naam se manoge... Main Ruthi na jaun iss baat se ghabraoge... Main apni maa ke pass jaungi to naaki dhunte kahoge, mat jao abhi to gayi thi... Hoga, ye sab hoga... Likh lo.… Aur haan jo gyan atmhatya ke liye mujhe de rahe the wahi gyan khud me jagao. Ek ladki se thik se 10 line baat nahi kar paye aur kuchh na sujhne ki paristhiti me bhagne lage, shahar chhodne ki dhamki dene lage.

"Kayar log bhagte hain Som Malhotra. Main to atmhatya ki soch nahi rahi kyunki meri chahat tumhare sath judi hai, lekin mujhe mere poore parivar aur upar wale ki kripa se kuchh ajij chahne wale mitr mile hain. Ek ladke ke liye atmhatya kar ke main unhe aanshu de dun aisa soch bhi kaise liya Mr Som Malhotra. Pahle hi batayi thi mere life ke concept bahut clear hain. Main atyhatya to katai nahi kar sakti, tum bhi achhe bacche ki tarah yahin Lucknow me raho… ... Chalti hun Som sir... Love you sweety..."


Meera apni baat kah kar poore vishwas ke sath uthi. Deewar se apna gift utha kar Som ke samne hi uski tasveer ko chumti, ek baar pichhe mudi aur honth ko gol banati... "Bye bye Sweety kal subah fir aaungi. Bhagna mat."…






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Wow nainu bhai meera ne to som ki bolti band kardi
Superb update
 
Top