• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
26,372
54,605
304
ग्यारहवाँ भाग
बहुत बढ़िया।।
तो बवाल हो ही गया। सुगंधा ने बवाल मचा ही दिया। सोम उठकर तैराकी स्थल पर चला गया। कुछ देर बाद मिश्राजी भी वहां पर आ गए। दोनों देसी दारू का आनन्द लेने लगे। मिश्राजी भी चाहते हैं कि दीक्षा की शादी सोम से ही हो। वो सोम को बोलते हैं इसके लिए, लेकिन सोम मना कर देता है।
उनके जाने के बाद अमित और मधुरिमा आते हैं। दोनों सोम को बताते हैं। दीक्षा के प्यार के बारे में। सोम के न रहने पर दीक्षा की तड़प और दर्द के बारे में। अचानक सोम को क्या हो जाता है दोनों को पानी मे डुबो देता है। दोनों निस्तेज हो जाते हैं।। क्या सच में सोम ने दोनों को मार दिया🤔🤔🤔
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
26,372
54,605
304
बारहवाँ भाग
बेहतरीन सर जी।
दोस्ती के नाम पर कलंक निकले मधुरिमा और अमित तो। इतनी बड़ी साजिश रची दोनों ने मिलकर। मिश्राजी की संपत्ति हथियाने के लिए इतना बड़ा खेल खेला दोनों ने। लेकिन दीक्षा के मजबूत इरादों और फैसले के कारण दोनों को मुँहक़ी खानी पड़ी।।
इनकी साजिश के बारे में सोम को कैसे पता चला ये सोचने वाली बात है।।🤔🤔🤔
सोम की बात सुनकर दोनों के पैरों तले जमीन खिसक जाना लाजिमी है। मिश्राइन ने भी पूरी बात सुन ली और दोनों के गाल लाल कर दिए।। सोम सच में एक अच्छा दोस्त जो वो है और साथ मे अच्छा जीवनसाथी साबित हो सकता है दीक्षा के लिए।।
 
nain11ster

Prime
23,612
80,657
259
इनकी साजिश के बारे में सोम को कैसे पता चला ये सोचने वाली बात है।

Mujhe bhi pata nahi bus call laga raha hun lekin afsos Som me pass phone na hai... :( Ek kaam karta hun usse phone dilwata hun fir puchhta hun
 
nain11ster

Prime
23,612
80,657
259
3rd update m proper fighting scene ke baad yeh Jana dilchasp hoga how Som n Sia connected
Kaise yeh do alag alag disha mein rehne wale log love birds bane....
Great waiting for more in upcoming updates of Som and Sia.

Subah ke 3 baj rahe honge. Sia ka lappy on tha, ek notification ke sath wo happy ho gayi. Som udhar se apna chehra dikha raha tha jise dekh'kar Sia hawa me apne bhai ko kisses bhejti.…

Update 3 edited ...... Sia aur Som brother and sister hai :D

Hota hai anjaan se kisi ladka aur ladki ko dekh kar hum real life me confuse kar jate hain... Jo aapne feel kiya wo yahan ke har darsak feel kare rahe the so I thought ki change kar dena hi jyada achha hai...
 
Mr. Nobody

Active Member
1,517
5,271
143
Update:-12

Pani me chhap chhap ki tej awaj aa rahi thi jo har bit'te waqt ke sath aur tej hote ja rahi thi. Dhire dhire wo chhatpatahat shant sa hone laga tha. Dum poori tahar se ghunt chuka tha...

Tabhi Som ne dono ko utha kar bahar fenka.... Dono khanste huye tej-tej shwans le'kar apni shwans samanya karne lage. Muh poora khula tha. Jaldi jladi fefdon me shwans bhar rahe the... Bilkul marne jaisa haal tha... Dono ki shwans samanya hote hi wahin pool side me dono baanhen faila'kar let gaye aur dhimi-dhimi shawans lene lage… aur un dono ko dekh kar Som itminan se unke samne palthi lagaa kar baith'te huye apni baat kahna shuru kiya.….

"4 sal pahle Mishra ji ko 2 mahine ki jail ho gayi thi. Unki sari sampatti loot lee gayi aur poora political carrier mitti me mil gaya. Varansi ke uss ilake ke log aaj bhi nahi samjh pa rahe ki jail jane ke baad aisa kya ho gaya jo Kapendra Mishra ne raato raat MLA ke pad se istifa de kar wo jagah chhod dee, jabki gire huye netaon ki ab kya hi main yahan tulna kar dun, jo kya sab karne ke baad bhi besharmon ki tarah apne ilake me tike rahte hain"..

"Diksha mujh se aksar kaha karti thi, uski sari sampatti to uske cousins ki hi hai. Mere papa jo mujhe dahej denge uske baad main ek rupya unki sampatti ka nahi lungi aur na hi dahej me koi property accept karungi"…

"Basically Diksha ke liye wo cousins nahi the. They are bloods.. Uske papa ke apne bade bhai ke bete. Uske khud ke 2 bade bhai. Fir ek din achanak 2 gidhh pahunche uss sanyukt pariwar me, naam tha Amit aur Madhurima. Dono Diksha ke best friends. Haan Som se Diksha ka lagaav alag leval ka hai, lekin iska matlab ye nahi ki un dono se Diksha lagaav nahi rakhti thi."

"Un dono gidhh me se ek gidhh Madhurima ne pahle to Diksha ke sath Amit ko le kar uski bhavnayen jaan'ne ki kosis karne lagi. Indirect proof karne ki kosis karne lagi ki Amit uske liye best hai, jaise abhi mujhe kar rahi thi. Lekin Diksha ne saaf shabdon me apni best friend Madhurima ko suna diya... "Dost ko dost rahne do. Husband to papa hi mere dhundhenge aur wo mere liye best dhundh denge, lekin best friends wo thode na papa dhundh sakte hain"…

"Yahan ek gidhh ki dal nahi gali. Issi bich unhe pata chala ki Diksha ke mata-pita uski shadi uske ek dusre best friend Som ke sath karna chahte hain. Diksha ki Maa Lata Mishra aur Pita Kapendra Mishra ko Som itna pasand tha ki dono tule the ussi se shadi karwane. Shayad unhe bhi apni beti ke aanshu dikhe ho... Jo wo Som ke bina bahaya karti thi."

"Diksha ke mata-pita ko laga ho ki Disksha ke 2 close dost, Madhurima aur Amit yahan aaye hain. Yadi un dono ke samne Diksha aur Som ke shadi ki baat hui to shayad kahin Diksha haan kah de. Kabhi boarding school ke summer vacation me jo baat shuru hui thi… Diksha aur Som jis baat ko sun kar poori tarah se chidh jate the, wo ek baar aur shuru ho chuki thi, lekin iss baar galti se ye baat 2 giddhon ke bich shuru hui"…

"Immature 2 doston ki mentor rahi uski Kalpna madam ne Diksha ke papa ko samjhaya tha ki dono class 1 se sath hain. They are like family jahan 2 hum-umr ke bacche grow karte hain. Dono ke ander kahin se bhi dur-dur tak koi couple wali feelings hi nahi hai aur na hi kabhi aane wali hai."

"Diksha wahi poorani baat dohra kar ek baar aur, apne aur apne bestie Som ke bich ka rishta apne mata pita ko yaad dilwayi. Haan lekin Diksha kafi soft heart ki thi na. Usse 2 log, Sia aur Som ki garibi yaad aa gayi. Kisi karan vash wo dono boarding school chhod rahe the aur unke papa ne in 2 bacchon ke padhai kharch uthaya tha. Diksha bhi yahan galti kar gayi. Ussi sabha me jahan wo dono gidhh khade poori baat sun rahe the. Diksha apne mata pita se jid kar lee ki cousins ko jo pahle property dene wale the uska 25% Som ko dene. Wo bhi pariwar hai."

"Mishra ji udar dil ke aadmi. Ek samajsewi ko logon ne sir par bithaya. Apne kshetr ka MLA banaya. Eklauta aadmi jo nirdaliya se jit'ta tha aur wahan community ke sare ganit fail ho gaye the. Unke liye 60% voting hua karti thi. Mishra ji ko sampatti se to lobh kabhi waise bhi nahi tha. Bhagwan kayi lakh rupyon ki aamdani har mahine dete the, taki dono hath se wo kharch kar sake. Ishwar ki aisi kripa hai unpar, loot jane ke baad bhi kabhi kisi ke samne haath failane ki naubat na aane diya"

"Khair main kyon itna bhawuk ho raha hun. Bahut rare tha ye ek samajsewi jo lokpriya neta bane aur kabhi ruchi nahi raha ki desh ke bade politics ko deal kare. Har political party unki ijjat karta. Acche aadmi hai na. Aur kabhi kisi political party ko ye nahi kaha... "Aa jao mere kshetr me dekh lenge".. Vinamrta se hi hath jod kar kahte the… "Ek jagah ko chhod do bus. Kya chahiye City ke chhote bade sare contracts hi na, sab le lo... Bus yahan thoda kam profit me kaam kar lena"..

"Mishra ji ne jabhi kisi ko naraj nahi kiya. Na hi kabhi kisi se kisi prakar ke labh ki ummid rakhi. Aise aadmi ke yahan 2 gidhh ghuse the wo pahchan nahi paye. Dono giddhon ne mil kar Pahle uske bade bhai ko bhadkaya.… "Uska chhota bhai Kapendra Mishra sari sampatti ek ajnabee ko dene wala hai". Jhagda karwa diya dono bhaiyon ke bich. Ek bahu ne apne sasur par rape ka case kar diya... 2 mahine ki jail tak hui. In sab ke pichhe kaun, wo 2 gidhh"

"Sale wo 2 gidhh marne jaisi haalat me le aaya ek acche aadmi ko. Mishra ji Izzatdar aadmi hai yaar. Pahle bhi property apne bhai ko hi deta... Chahte to Mishra ji poore mamle se yun chutki baja kar nikal sakte thr... Apne bhai ko muh tod jawab de sakte the. Lekin bahu ne aisa iljam lagaya ki izzat ghar ki uchhalti."

Mishra ji ne apne hisse ke 40 carore ki purkhon ki sampatti, jiske khet se har mahine lakhon ka income hota tha wo de diya. 20 carore cash. 15 lakh mahine ke income wala factory. Sab daan kar sahar hi chhod diya"..

"Lagbhag 70 carore ki sampatti daan kar aaya wo admi jis me se un 2 giddhon ko 10 carore cash mila tha. Waise Mishra ji ek jimmedar pite hain. Sab kuchh chala jaye to chala jaye, apni beti ke shadi ke paise kaise jane deta. 5 carore wo FD ke sath apne ek dost ke flat me rahne pahunche Mishra ji mumbai."

"Hatash the bechare. Khud ke bhai ne property lene ke liye apni hi bahu se rape case dalwaya tha. Poori tarah se toot chuke the. Lekin karam mere dost karam. Iss sab khel me sabne uski beti ko bhula diya. Uss beti ko laga uske pita atmhatya na kar le isliye 5 carore me usne ek kiraye ka school khulwaya. Jiska rent hi 50 lakh lagta."

"Diksha apne papa ka poora dhyan iss baat par lagwa di ki 5o kah har mahine nahi laye to school band. Mishra ji samajsewi aadmi. Sala yahan busnessman 50 lakh ka profit na nikal paye. Mishra ji ka poora dhyan aur soch kahin aur kendrit hua. Uski beti ne bhi chhod diya kyonki usse yakin tha apne papa par."

"Wo aadmi poore 3 mahine Mumbai ki khak chhan liya. Swarth se bhade uss nagri me na sirf apne uss school ke liye doner dhoondhe, balki 2000 students bhi dhundh liye… jante ho kya concept tha... "Make your social profile"…

"Batao apne office, factory aur ghar me kaam kar rahe 4th grade kramchari ke bacchon ko padhane ke ke liye jin amiron ke pass se 1 rupya nahi nikalta. Wo apne social profile ke liye achha khasa donation dene lage. Dono Mishra dampatti khud hi shurwat me padhate rahe. Baad me to school me donation dene walon ki bhid lagne lagi, kyonki media attention milne laga na. Bus Mishra ji ne ek kaam kabhi nahi kiya, apna naam nahi aane diya."

"Unka koi social profile uncha nahi hua. Wahan ke politician bhi khush. Mishra ji ko kaam bhi mil gaya. Ander se sab jante the ki wahan kiski mehanat hai lekin sab garib, amiron ko hi credit dete rahe. Wahin zero se shuru karne wali Diksha ne to aag hi laga diya. Junoon.. mere dost junoon... Uss ke dil me ek hi kahani thi... Apne cousins ko afsos me lana... "Dekho jis mamuli sampatti ke liye tune mehnat ki uss se kahin jyada to humne kuchh saal me khade kar liye."

"Diksha ne kiya bhi aisa hi kuchh. Mahaj 4 sal me 150 carore ka business. Jo har din fail raha hai. Latest update mila hai. Ab mumbai me 3 school chalte hain. Yani ye log jo bhi profit earn kar rahe, uska bada hissa wahan ke kaam karne wale 4th grade ke bacchon me ghusa dete hain. Sab kuchh pahle se behtar ho chala tha. Issi bich un 2 giddhon ki fir se najar pad gayi."

"Ek baar fir dono gidhhon ne jaal bun'na shuru kiya. Jo itne salon se gayab the, achanak hi Mel jole aisa badhaya, Diksha apne company me 2 barabar ke parner banane ke liye raji ho gayi. Iss baar bhi funda wahi tha na, shadi me koi paitrik sampatti accept nahi karna. Aur Diksha ki ye private farm to pahle se unke mata pita ke naam thi."

"Diksha ke concept bahut clear the aur ye baat wo dono gidhh jante the. Ek baar wahi sab kuchh repeat ho raha tha. Haan lekin iss baar mehnat ki jaroorat nahi padi dono giddhon ko. Kyonki Diksha akeli thi. She was hell missing her friends aur iss baar jab 2 dost samne aaye to wo jane nahi dena chahti thi."

"Tum dono gidhh iss din ko sunhare akshron me likh lena, jab itne salon me Som pahli baar tum dono se itni sari baaten kar gaya. Now closing point.. Uss gidhh ne 2 galti kar dee. Ek to mishra faimily ko bewakoof samjha, jabki Diksha ki maa ko uss gidhh par shuru se doubt tha. Dusra wo yah sunischit kar baitha ki Som kabhi wapas nahi aayega. So here I am mere dost. Mishrayan ji bahar aao… Pichhe baith kar kya sunti hi rahogi. Mera ho gaya"…

Wahin pichhe thodi duri par jhadiyon kee fencing thi. Uske pichhe jaan bujh kar andhera rakha gaya tha aur Diksha ki maa Lata Mishra wahi baith kar sab sun rahi thi. Diksha ki maa Lata Mishra bahar aayi...

Amit aur Madhurima ki haakat luti piti to pahle se thi. Som aur Lata Mishra ko poori sacchai pata hai ye baat jaan kar hakke bakke the. Lata aate hi dono ko jhannatedar thappad lagati….. "Mere Mishra ji ko rulaya hai tum dono ne. Bhagwan tumhe kabhi khush nahi rahne dega. Carorepati to tumhare pita bhi the. Fir dusron ki sampatti par najar kyon gadaye ho. Ek hi parivar ko kitni baar barbaad karoge"

Som:- Mishrayan ji dono corrupt sarkari officers ke bacche hai na. Inke baap ne zindgi bhar dusron ke sath froud hi to kiya hai, paitrik gun to aayenge. Mujhe pata na kyon ander se aag lag rahi hai jaldi batao kya karna hai dono ka?

Suchitra:- Dono ki parchhayi bhi meri beti par nahi padni chahiye…

Som:- Shadi attend karo. Diksha ka dost laut aaya hai, isliye ab tum jaison ki jaroorat nahi hai... Agli baar main wo 2 second ka fark bhi nahi rakhunga. Lash pani me tairti najar aayegi dono ki... Aur haan Diksha ke sath bilkul pahle jaise pesh aana... Yadi usse feel hua to mujhe feel hoga. Baat khul gayi to uska gussa sah lunga par tumhari kahani close kar jaunga... Chal bhag yahan se dono...

Lata wahin round table par apna sar rakh kar phoot phoot kar rone lagi... "Tu pahle kyon nahi aaya Som. Kyon sab se dur gaya tha. Tujhe mehsus nahi hua kya hum kitne dard me hain."

<---------------{ }------------>

Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye

<---------------{ }------------>

Dammm.. It's awesome...
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
26,372
54,605
304
Mujhe bhi pata nahi bus call laga raha hun lekin afsos Som me pass phone na hai... :( Ek kaam karta hun usse phone dilwata hun fir puchhta hun
अरे फ़ोन दिलवाने की का जरूरत।।

जैसे उसे सब बुलाते हैं वैसे ही आप उसे यहीं बुलवा लीजिए। लगे हाथ बातचीत भी हो जाएगी। और उसे दीक्षा से शादी के लिए मना भी लेंगे।😂😁😂😂
 
nain11ster

Prime
23,612
80,657
259
अरे फ़ोन दिलवाने की का जरूरत।।

जैसे उसे सब बुलाते हैं वैसे ही आप उसे यहीं बुलवा लीजिए। लगे हाथ बातचीत भी हो जाएगी। और उसे दीक्षा से शादी के लिए मना भी लेंगे।😂😁😂😂
Som bitwa :peep: dekho Mahi aunty kuchh puchhna chahti hai... Jaldi se chilam phoonk kar aabo... 😂😀😂😀😂😀
 
Last edited:

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,992
173

Jabardast update dost
Som ne jinda chhod kar galti kar di in dono peeth me chura ghopne waale dosto ko
Itihaash se sabak lo dost jaichand aur meer kaashim do badnuma daag ish dhara ke
 
Top