Baarish bahut tezz gir rahi thi, paton par pani ke shor ke sath vo dono andhere mein bahut tez bhag rahe the. Baarish aur andhere mein kisi tarah vo jungle ke bich mein tehniyun ko hatate hue bhag rahe the.
" dad, dad" jungle mein awaz gunjti par baairsh mein kahin dab jati.
" keep running son, keep running " piche se chillane ki awaz ayi to mei phir tezzi se bhagne laga. Sansein chadd rahi thi pani palkon par gir raha tha. Hum Dono kuch der se is kharab mausam mein bhagte hue kahin pahunchna cha rahe the. Bhagte bhagte mei achanak ek jagah aa ruka jahan baarish se pani jama ho chuka tha aur zor-zor se sansein lene laga.
" dad idhar, meri awaz ko follow karo " mei jungle ki jhadiyun ki taraf dekh raha tha, baarish ke shor mein jese awaz gum ho rahi ho yahi mehsus karke mei phir chillaya " dad mein idhar hun, meri awaz ko follow karo " par jab jhadiyun mein kisi ke ane ka ehsas nahi hua to mei khud us taraf tezi se bada aur jhadiyun ke pas pahunchte hi mei takra gaya aur hum dono zameen par aa gire.
" dad " mene apna sar jhatka aur khada hua, " dad, aap theek ho " aur apne dad ko uthaya.
" yes son.. i am " mei janta tha ki vo theek nahi hai, baarish mein itni der se bhigne ki vajah se unka sharir thanda padne laga hai aur agar jald hi kuch garmi unke sharir ko nahi mili to unka dil jada der shair ke girte tapman mein dhadak nahi payega. Mei dad ke kanpte hathon ko dekh kar is baat ko samajh raha tha.
Asman mein badal bahut tezi se garaz rahe the, tufaan apne charam par tha. " locator kharab ho gaya hai girne ki vajah se "
" sorry dad " ise jada kuch nahi bol paya.
" give me your map " mene dad ko map dia aur torch jala kar map ko dekhne mein madad karne laga aur phir usi map ke uppar magnet rakh kar vo hamari position dekhne lage.
" son, hum sahi jagah par hai bas use pehchanna hai "
" par is badhte tufan mein hume pehle kahin sar chupana hoga varna "
" i know, i know par you know about this mission, iska risk, hum itna pass akar use kho nahi sakte, samajh rahe ho ? "
" ji dad "
" good, mujhe bhaorsa hai ki vo yahin kahin hai hume bas use pehchanna hai " dad asman mein dekhne laga, baarish ki bundon ke alawa bich bich mein bizli ki chamak se unkaa chehra chamak raha tha.
" dad, dad " mere awaz sunte hi vo mere pas aye to mene unhe ishare se samne kuch dikhane ki kosish ki. Unhone torch jala kar dekhne ki kosish bhi ki par andhere mein girti baarish ke alawa kuch nahi dikha.
" kuch samajh nahi aa raha "
" wait dad, bizli kadakne ka wait karo " mera yakeen tha ki jo mene abhi dekha vo sahi tha aur tabhi bizli kadki aur roshni ke hote hi pehle mere chehre par muskan ayi aur phir dad ke chehre par.
" ye wahi hai, ye wahi hai.. " light padhte hi jungle ke bich chamak dekh dono ke chehre khil uthe. " humne kar dikhaya, ye aaj tak ke insani ithias mein sabse badi discovery hogi, well done son " khushi zahir karte hue dad meri pith thap-thapane lage " jaldi chalo ab mujhse intezar nahi ho raha " ankhon mein ek chamak thi aur phir hum dono us taraf badh chale.