Asman mein zordar bizli kadki aur ek pal ke liye mein sihar utha, par manzil karib thi shayad utni karib jitni hum dekhna cha rahe the. Ki tabhi ankhon ke samne se dad ojhal ho gaye, " dad... dad " mei chillaya, jitni tez chal sakta tha utni jaldi aage badha aur phir mein bhi pani ke andar dub gaya. Achanak jese jameen hi hata di ho, pani ke andar jatte hi mene torch on ki aur idhar-udhar dekhne laga par andhere mein dad kahin kho se gaye the, mei pani ke andar hi chillaya par usi pal mujhe bahar khinch liya gaya.
" unnghhh.. dad.. " mein sans durust karte hue bola.
" i am here son "
" dad "
" relax, darne ki jarurat nahi hai, its me "
" ok.. uhhhh ok.. " mei ek pal ke liye bahut dar gaya tha.
" lets go, hum bas phuchne wale hain " dad mujhe khinchte hue le jane lage aur jab mene us imarat ki deewar chui tab jakar mujhe thodi rahat mili.
" we need to find the entrance "
" par hum surface se uppar hai to entrace kholte hi andar pani bhar jayega " hum dono sath khade the par baat chilla kar karni padh rahi thi.
" you are wrong son, there must be something to drain out this water, jo yahan ke mausam ko dekhte hue banaya gaya hoga, we just need to find out that liver and pull it "
" but how ? "
" hume surface tak jana hoga "
" ok, i'll go " mei dad ko bhej nahi sakta tha aur ye kaam jaldi bhi karna tha.
" are you sure ? "
" offcourse dad " . Mene bag se oxygen kit, rope aur belt nikali. Ek belt dad ne pehni aur rasi ka ek hissa unke hook mein dal kar dusra apne mein laga liya. Oxygen mask laga kar mein ready tha, ek torch sar par thi, ek chest par aur ek mein apne sath le jaa raha tha.
" listen to me son, liver khinchte hi pani force ke sath drainange system ki taraf jayega, tumhe kisi majbut chiz ko pakdna hoga, understood ? " mene ishare se unhe bataya ki mein samajh gaya hun " good luck " mene ek gehri sans bhari aur pani ke andar ghus gaya. Baarish ki bundein mere sharir par padni bandh hui aur mein pani ki gehrai mein utrata gaya. Nahi janta tha kitna gehra hai par itna pata tha ki mujhe ye kaam jaldi karna hai, dad itni der pani mein rahe to hypothermia ka shikhar ho jayenge. Mein puri takat se aage badh raha tha aur bich bich mein rassi check kar raha tha. Takreeban 15 minute mujhe lage satha tak pahunchne mein. Mei pahunch chuka tha lekin kuch bhi samajh nahi aa raha tha, bade bade pathar ke tukde aur sirf andhera. Mene charon taraf nazar ghumai lekin kahin kuch nahi. Kya karun ? zindagi aur himmat dono tut gayi to ? Man mein sawal aya par agle hi pal dad ka sikhaya sab kuch yaad aa gaya. Mein imarat ke kareeb idhar udhar khojne laga, deewar par hath maar kar dekhne laga ki kahin kuch mil jaye, tab meri nazar ek aakar par gayi jispar kuch bana hua tha par kya ? samjhna mushkil.
Shayad isme kuch mil jaye, mene bari bari se us chakr jese akar mein hath marna shuru kiya aur tabhi mere hath mein kuch aya, jo khinch sakta tha par kya ye sahi liver tha ? agar ise kuch aur ho gaya to ? par iske alawa mere pas aur kaun sa rasta tha ? dheron sawal ke bich mene liver khinch dia jisme meri puri takat lag gayi aur phir