" mene tumse kaha tha ki is situation ko mujhe handle karne do "
" tumhe engage karne se mana kiya tha mene " vikrant ne rajendra ko bich mein rokte hue kaha. Rajendra ko sar aur hathon mein choth ayi thi jiska treatment ek medical officer kar raha tha.
" this is it, i am not listening to you anymroe " rajendra jhallaya.
" jada time karne ki jarurat bhi nahi hai " vikrant ka phone bajne laga jise usne uthate hue speaker par daal diya taki har koi unki baat sun sake.
" 2 officers are confirmed dead " ajay ne rajendra ko bataya. Chopper mein aag nahi lagi thi jis wajah se kuch log bach gaye jisme rajendra bhi shamil tha jo chopper ke crash hone se pehle ladder se kud gaya tha. " rest all are severly injurjed, we need to get to them to hospital as soon as we could " ajay ne apni baat khatam ki.
" how do we do this, we need another chopper ... or this fence to go down " rajendra phir jhalla utha, uske sar par patti bandhi jaa rahi thi.
" saxenaji " vikrant phone uthate hi bola.
" vikrant what has just happened, we are under-attack by devdoot, they destroyed our chopper and rajendra "
" zinda hai saxena ji aur abhi tak devdoot ne attack nahi kiya hai, hamare rajendraji ko jada jaldi hai engage karne ki ye uska nateza hai "
" rajendra ne engage karne ko kaha tha? "
" kuch kuch, par baat abhi ye jaruri nahi hai, baat abhi ye jaruri hai ki devdoot ko humse kuch chahie "
" unhone demand rakh di "
" han "
" aur vo kya hai "
" mei "
" what? "
" vo mujhe chahte hai "
" but why? "
" purani gand sulagi hui hai saxenaji, hath ayi gand ko kaun chhodta hai bhala? aap chhodte hain ? " vikrant ne sawal par apni baat khatam ki.
" unhone kuch aur demand nahi ki " saxena ne sawal ko andekha kar diya.
" filal to yahi, aur kareeb 2 minute baad vo apne jawab ke liye phone karenge "
" hum unki demand puri nahi karenge sir " rajendra ne vikrant ki jagah jawab diya. " sir these are terrorist and we don't negotitate with them, abhi kuch manga hai next kuch manegege, honestly mujhe bilkul bura nahi lagega agar vikrant unke pas jayega lekin mei un devdoot ki koi demand puri nahi karna chahta, they want us to be played like him "
" hmm, you are right rajendra "
" thank you sir " rajendra vikrant ki taraf dekhne laga.
" vikrant i think, hume unki demand itni asani se puri nahi karni chahie "
" apko pata hai ki aap yahan kyun nahi hai aur mei yahan kyun hun? " vikrant ne jawab ke badle sawal kiya.
" matlab ? "
" apko pata hai ki aap yahan kyun nahi hai aur mei yahan kyun hun? " vikrant ne apni baat dauhrai jise saxena fauran samajh gaya.
" kyun? "
" kyun ki mei logon ki baton se influence nahi hota. Aap khud sochiye ki agar mei andar jaunga to kitne chizon ki intel capture kar sakta hun jo hamare kaam aa sakti hai. "
" so what do you suggest "
" mei andar jaunga "
" aur tumhe kuch ho gaya to "
" meri entry aur exit mei khud chunta hun saxenaji " vikrant ne bina jawab diye phone cut kar diya. Rajendra use ghure jaa raha tha, jise vikrant ne ek pal dekha aur phir ignore kar diya.
" gaurav tumhe vo morse code mila? " vikrant ne gaurav se pucha.
" still trying to find sir "
" ajay, local police se koi information? aur employee list ka kya hua "
" they are still searching for the location sir "
" employee list ajay ? "
" i am trying to get it sir "
" ok " vikrant ek pal shant khada raha aur phir simran ke pass aur uske kaan mein dhire se bola " simran ek kaam karo, policitians, buerocat aur phir har bada admi is waqt kahan hai aur kya kar raha hai uski ek detail nikalo " vikrant ki baat sunte hi simran chaunk uthi.
" par " vo kuch bolti use pehle vikrant ne use rok diya.
" mei janta hun tum kar sakti ho, use the survillance system, hack it "
" aap survillance system ko hack karne ki baat kar rahe hain, agar rajendra sir ko malum hua to "
" ye mera order hai, jo bhi hoga meri responsibility hogi "
" par aap aisa kyun chahte ho "
" dutta case yaad hai tumhe? "
" yaad hai "
" to phir tumne ye bhi pada hoga ki devdoot uske sath mile hue the, mujhe kisi par bhaorsa nahi hai, devdoot koi bhi ho sakta hai.. koi bhi.. "
" got it sir, i will do it "
" good " vikrant aur simran ko itne aram se baat-cheet karta dekh rajendra khisia gaya.
" tumhe koi farak nahi padta na ki officer mar gaye ya injured ho gaye " rajendra ek dum se bol utha. " tum kabhi nahi badal sakte, tumhari wajah se akhri baar bhi i lost my team aur is baar bhi "
" tumhare officers ki death tum par hai rajendra mujh par nahi, ye mera karma nahi hai " vikrant ko gaurav ke bolne par rukne pada.
" i think i got the morse code " gaurav ke kehte hi sabhi usi ki screen par dekhne lage. " morse code to hai par encrypted hai, hume ise pehle decrypt karna hoga tabhi vo jo message dena chahte hain vo samne ayega "
" decode kar sakte ho "
" han but it will take time, mei first time ek morse code ko encrypt dekh raha hun, reality mei to morse already encrypt hota hai jo sirf wahi samajh sakta hai jo sender ko janta ho "
" but tum isme kyun dimag laga rahe ho, unke code se hume kya fayda " rajendra bola.
" kyun ki vo hume kisi chiz ke bare mein batana chahte hai " jawab vikrant ne diya.
" par aisa vo kyun karenge "
" kyun ki yahi unka tarika hai. Tum is morse code ke message code ko decrypt karo aur dekho kya kehna chahte hai ye, jarur isme koi hidden answer ho "
" on it sir "
" sir its devdoot " simran faural boli aur vikrant ne headset laga liya.
" detective "
" mei tayar hun " vikrant ne chhutte hi kaha.
" bahut khub, agle 8 minute mein tum bank ke entrance gate ke samne milo. Theek 8 min baad "
" theek hai " vikrant ke kehte hi phone cut ho gaya aur usne headset utar kar wahin rakh diya. " everyone " vikrant ki awaz se sas uski taraf dekhne lage jaise vo koi baat batane wala ho " kuch khane ko milega kya? "
" trasmitter hai jo itna chota hai ki vo kabhi ise pakad nahi payenge. Isme ek chota camera laga hai jo 2.4 Megapixel ka hai jise apki feed hume milti rahegi "
" hmm " simran ne kalle coat ke uppar button ki jagah use laga diya aur bahar nikal gaya.
" tumse bada chutiya insan koi nahi hai " rajendra ne vikrant ko jane se pehle kaha.
" hoga bhi nahi " vikrant ek pal chup hua " dusra chopper ata hi hoga tumhare officer ko le jayega aur kuch naye officer aa jayenge " aur us jagah ke bare mein jaldi khojna warna .... " vikrant ne apni baat bich mein roki aur bank ki taraf chal diya. Usne apne pajame ke andar hath dala aur wahin se apna lund khujane laga.
" team, focus on him, koi bhi devdoot bahar nikle, shoot them "
" sir ye kya kar rahe hain " ajay ne fauran toka.
" wahi jo karna chahie "
Vikrant dhire-dhire aage badh raha tha aur vo ath minute pure hone se pehle wahan jaa khada hua. Sabhi bechaini se vikrant ko dekh rahe the aur vikrant bas gate khulne ke intezar mein khada tha aur tabhi entrance gate dhire-dhire khulne laga.
" all team alert, bank ka darwaja khul raha hai " rajendra ne radio kara lekin vo kuch samajh pata use pehle devdoot ki army bahar nikli aur jis tarah se nikli thi use dekh kar ek baar ko rajendra bhi ghabra gaya.
" sir we have eyes on suspects but don't have any shot, i repeat civillians involved " sabhi devdoot ke aage civillians ko bandha dekh officer radio par bola. Rajendra phir dant pis kar reh gaya. Is baar civillians vo log the jinhe unhone bank mein bandhak bana rakha tha.
" do not shoot, drop it " rajendra ne fauran kaha aur usi ke samne sab vapis andar chale gaye aur unhi ke sath vikrant bhi. " they have taken vikrant "
" ab kya hoga sir? " ajay ne rajendra se pucha.
" we will follow the lead, us jagah ko khojna hai jahan inhone apna base banaya tha wahan se hume jarur kuch mil jayega "
Vikrant andar ghusta use pehle hi devdoot ne use gher kar uspar kapda daal diya tha aur hath piche se bandh diye the isliye vo andar jo kuch chal raha hai use dekh nahi paa raha tha. Na hi andar baithe kisi bhi shaks ne uski shakal dekhi thi. Uske kano mein logon ki hal-chal ki awazein padh rahi thi. Devdoot use pakad kar sidiyun se uppar le gaye.
" lagta hai kisi ko kabze mein liya hai " kishan ne uspar nazar jamaye rakhi hui thi jab tak vo wahan se ojhal nahi ho gaya.
" par vo hai kaun? "
" koi jaruri shakd hoga jo inka sabse bada dushman hoga jiske liye inhone ye sab kiya " kishan ke dimag mein ek plan ban raha tha vo kisi bhi tarah yahan se chhut kar kisi tarah us admi se mil jaye to devdoot se ladh sakta hai.
Vikrant ko devdoot ek kamre mein khada kar ke bahar nikalte waqt darwaja band kar gaye. Vikrant ke samne pratiksha aur akshad khade the jinhone devdoot ka mask laga rakha tha. Pratiksha ne akshad ko ishara diya aur akshad ne akar vikrant ke pehle hath khole aur phir uske chehre se kapda hata diya. Andhere mein hone ki wajah se ankhon par aseem roshni padne par usne ek baar apni ankh michi aur unhe phir khola.
" welcome detective, hume to bhule nahi hoge tum? "
" kaise bhool sakta hun, tum to wahi log ho jo muth nahi marte " vikrant ne shant lehaze mein kaha aur ek pal ke liye kamre mein shanti bani rahi fir pratiksha aur akshad dono ne apne chehre se mask hata liya.
" hum tumhara hi intezar kar rahe the " pratiksha ki baat sunte hi vikrant uski taraf badha aur phir use dekhte hue wahan rakhi kursi par baith gaya.
" its time for phase 2 " vikrant ne apna lund khujaya aur angdaiyan lete hue piche kursi par sar rakh kar baith gaya.