Ankitarani
Param satyagyani...
- 2,959
- 12,553
- 144
Ohhhh...to actress inspector hai...or usne apne bhai ko shoot kiya....whyy...Kahani ke kuchh ansh (Saar Sankshipt)
Sarita JEEWAJ JYOTI HOSPITAL ke Operation Teater Ke parisar me pareshani ki halat mein yahan se waha chakkar kaat rahi thi. Uske Sharir par khaki rang ki Vardi thi aur chehare par Pasina Tha. Uski aankhhe Aanshuo se bhari hui thi. Pasine se uski khaki Vardi Bheegkar Uske jism se chipak gayi thi. Vardi par jagah jagah khoon laga huwa tha, Lekin use is baat ka hosh nahi tha. Wahi paas ki bench par 2 police wale aur bhi baithe huwe the. Jo Sarita ko Idhar Udhar Chakkar lagate huwe dekh rahe the. Wo kabhi kabhi Apni Hatheli Maslne lagti to kabhi kabhi Apni Mutthiyan bheej leti. Uske chehre ke bhav Har second badal raha tha. Paas baitha police wale se jab ye na dekha gaya to unme se ek ne Sarita se kaha.
Police 1- Madam Aap pareshan mat hoiye. Aapke bhaiya ko kuchh nahi hoga. Wo bilkul thik ho jayenge. Aap himmat se kaam lijie madam.
Sarita- Kaise Himmat se Kaam loon main haan kaise himmat se kaam loon. Main kaisi bahan hoon. Maine apne inhi hantho se apne bhaiya ko goli mari. Jis bhaai ke hantho me har saal rakhi bandhti thi, jiski salamti ki bhagwaan se duwa mangti thi. Usi bhaai ko maine apne inhi hanto se shoot kiya hai. Jis bhaai ko dhoondhne ke liye maine kya nahin kiya. jis bhaai se milne ke liye din-raat main thik se soyi nahin. usi bhaai ko maine apne inhin hanthon se goli mari hai. Main bahan kahlane layak nahi hoon. Bahan ke naam par kalank hoon main.
Itna kahkar Sarita ghutanon ke bal jameen mein baith gayi aur jor jor se rone lagi. Ye dekhkar ek police wala uske paas aaya aur uske kandhe par apna hath rakhkar kaha.
Police 2- Nahi madam. Aap aise mat roiye. Aap chup ho jaiye. Aapne kuchh galat nahi kiya. Aapne apna Farj nibhaya hai.
Sarita- Are aisa farj kis kaam ka Jisko nibhane ke liye mujhe apne haantho se apne jaan se pyaare bhaiya ko goli maarni padi. Dhikkaar hai mujhe apne aap par. Agar mere bhaiya ko kuchh ho gaya to main khud ko kabhi maaf nahin kar paungi. Mar jaungi main.
Tabhi hospital ke bahar ek auto aakar rukta hai us auto se Auto driver, ek mahila aur ek ladki utarkar bhaagti hui Hospilat me aati hai, Mahila ne aate hi Sarita ke gal par ek jhannatedar thappad mara aur rote huwe bolne lagi.
Mahila- Ye kya kiya Sarita tumne Ye kya kar diya. Mere bete ko maar diyaa tumne. Apne bhaai ko goli maar di tumne. Meri mamta ka khoon kar diya tumne. Meri Khokh ujaadane ki koshish ki hai tumne. Are wo mera beta hi nahin tera bhaai bhi hai. Aur tune apne bhaai ke upar hi goli chala diii. Agar mere bete ko kuchh ho gaya na Saritaa to main tujhee jeewan bhar maaf nahi karungii.
Auto Driver- Ye kya kah rahi hoo tum bhagyawaan. Tumhe to apni beti par garv hona chahiye ki wo kitni bahadur hai. itni kathinaiyon aur Pareshaniyon ke bawjood bhi wo apne Farz aur Sachhai ke raaste se nahi bhakti. Usne apne Farz aur rishte me farz ko ahamiyat di. Aur tum usko hi dosh de rahi ho. Ek baar pahle ye to jaan leti ki Sarita ne aisa kyon kiya. Mujhe Sarita ne phone karke pahle hi sab kuchh bata diya tha.
Mahila- Are aisi kaun si baat ho gayi jo isne mere bete ko goli maar di. Are wo iska bhai hai. Jiski yaad mein din raat roti rahti thi. Jisko kaha kaha nahin dhoondha hamne. Kam se kam ek baar ise apne bhaaii se baat to karni chahiye thi. Lekin nahin ab to ye inspector ban gai hai na to apne man ka hi karegi ye. Tumne bahut galat kiya hai Sarita. Main tujhe kabhi maaf nahi karungi.
Ladki- Ye kya bol rahi ho mummy. Aap didiya ko dekho. Inko dekhkar aapko lagta hai ki inhone Jaanbujhkar bhaiyaa par goli chalai hai, bhaiyaa ko jaan se marne ki koshish ki hai. Are Bhaiya ko sabse jyada pyaar didiya hi karti hain. Fir bhi aap aisa bol rahi hain. Are kuchh to majboori rahii hogii didiya ki. Mujhe apniii didiya par puraa bharoshaa hai. Didiya koi galat kaam karr hii nahii sakti.
Itna kahkar wo ladki jakar Sarita ke gale lag jati hai. Sarita apni bahan ke gale lagkar phoot phoot karr rone lagti hai. Tabhi Opration Teater ka darwaza khulta hai aur doctor bahar aate hain aur jo batein batate hain. Use sunkar sabhi rahat ki sans lete hain.
Doctor- Ghabrane ki koi baat nahi hai. Mareej ko do goli lagi thi. Hamne dono goli nikal di hai aur ab mareej khatare se bahar hai. Abhi unhe injection de diya hai. To abhi wo aaram kar rahe hain. Neend se jaagne ke baad aap sab log unse mil sakte hain.
Itna kahkar doctor waha se chale jate hai. Sarita air uske gharwale bahar lagi bench par manish aur hatash hokar baith jate hain.
Sath Bane Rahiye.
Ek imandar police wale k lie esi situation tbhi aati hai jb samne wala kisi illigal kaam me ho ya kisi gunehgar ko bchane ki koshish kr rha ho...wo alag bat hai ki sitaution kuch bhi bnayi ja skti hai...sarita apne bbai ko pahle se dhund rhi thi...to shayad uska bhai bchpn me bichhad gya ho or fir julm ke daldal me fas gya ho...
Khair ye bs anumaan hai...suspanse kya hai...ye to bs writer ji janti hai...
Anyway mahi ji starting bahut achhi hai...great...apne itni story likh di hai...apne fan following bhi bahut hai...yakeen aap ek bahatreen writer ho...islie log apko itna pasand krte hai...sbbi story ki trh...balki lgta hai ye sbhi se achhe jane wali hai...
Great statting...mja aagya...
Waiting for next...