• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,286
304
Update ke naam par sirf ek demo part chhap diya :sigh:
Chalo story shuru to ho gayi dekhte hai agey kya hota hai
:waiting: for 1st update
uff nischal aur hella ke bare mein janne ke liye ye ju ki excitement :sip:
 

Golu_nd

Proud INDIAN 🇮🇳
1,617
4,868
143

Namaskar Mitro Aur Pathko.

Main ek Chhoti si prem kahani prastut karne ja rahi hoon aap sab doston ke liye. Jisme bharpoor pyaar, nafrat, tyaag, ruthna, manana Sab kuchh milega. Meri is kahani me prem/pyaar ke sath thoda bahut Suspense aur thoda bahut Thriller bhi padhne ko milega.


Is Kahani Ka Naam Hai

TUMHAARE LIYE- EK PREM KAHAANI

Pics-Join-2021113225422965

Ye kahani Ananya Ji ki kahaani se prerit hai. Is kahani ke Sabhi Patr Aur ghatnaye kalpanik hain. sath hi sath is kahani me likhi gayi jagah bhi kalpanik hai, jinka kisi bhi vyakti ya ghanta se koi lana-dena nahi hai. Agar kahi bhi Is kahani ke patr ya ghanta ya sthan kisi vyakti vishesh ya sthan se mel khate hain to aap khud samajhdar hain ki aapko kya karna hai. Are mitro. Use ignore marna hai.


Kahani shuru karne se pahle Sabhi Mitro/Pathko se ek baat kahna chahti hoon ki Update dene ke liye wo mujhe force nahi karenge, kyonki jin pathkon ne meri pichhali Sabhi kahaniya padhi hain. Unhe pata hoga ki mere updates niyamit aate hain, haan yadi kabhi updates dene me vilamb hota hai to main pahale se hi suchit kar doongi aur yadi kisi karanavash agar main suchit na kar paun to aap sabhi samajh jaiyega ki main kisi ati aawashyak karya me busy hoon.



To mitro. Kahani shuru karte hain Aap sab ki Anumati ke baad.


Sath Bane Rahiye..
Congratulations Mahi Maurya Ji....🎉🥳👏
 
Last edited:

Kala Nag

Mr. X
4,136
16,111
144
आपकी इस कहानी के लिए अभिनंदन
ना हम अपडेट के लिए बाध्य नहीं करेंगे पर अनुरोध अवश्य रखेंगे
नई कहानी के लिए शुभकामनाएं
 

Lover_boy143

Powerful People makes Places Powerful🔥
335
1,186
139
धन्यवाद आपका महोदय।।
काफी सोच विचार के बाद सोचा कि शुरुआत सस्पेन्स से की की जाए, क्योंकि कहानी तो साधारण ही है, हो सकता है सस्पेन्स पाठकों को कहानी तक खींच कर ले आए।😁😂😁🤣
गोली लगने के बाद सरिता खुद परेशान है कि उसने क्या कर दिया है, लेकिन माता श्री का भी दोष नहीं है इनमे कुछ भी। माँ आखिर माँ ही रहेगी चाहे बेटा नालायक ही क्यों न हो।।
डॉक्टर को ऐसे केस दिन भर आते रहते हैं तो वो कितना रिएक्शन दे।😃😃😂
बाकी का आगे आने वाले भागों में पता चल जाएगा ।

साथ बने रहिए।।
Ap english font me likhi hoti
to kuch to behje me gusta😁
ye jo thora bht hindi k words ko
jan paya hu wo b just english font
me stories se hi
is liye sorry to say mujhe nhi pta
ap kia boli😊
per jo b ho ga acha hi ho ga❤
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,119
56,347
304
Ap english font me likhi hoti
to kuch to behje me gusta😁
ye jo thora bht hindi k words ko
jan paya hu wo b just english font
me stories se hi
is liye sorry to say mujhe nhi pta
ap kia boli😊
per jo b ho ga acha hi ho ga❤
Hamne ye likha hai.
Kafi soch vichar ke baad maine ye socha ki kyon na kahaani ki shuruaat suspense se ki jae, kyonki kahaani to bahut sadharan hai kam se kam isi bahane pathko ka dhyan hamari kahaani ki taraf aayegaa.😂😁😂

Sarita goli marne ke baad khud bahut pareshan hai. Ki usne he kya kar diya hai. Lekin maa bhi kya kare aakhir maa to maan hi hoti hai chahe santan kitni hi nalayak kyon n hon.
Doctor ke paas aise case din bhar aate rahte hain to wo kitna reaction dein.😃🤣

Baki aur batein aapko kahaani ke sath hi pata chalti jaegi.

Sath bane rahie..
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,119
56,347
304
आपकी इस कहानी के लिए अभिनंदन
ना हम अपडेट के लिए बाध्य नहीं करेंगे पर अनुरोध अवश्य रखेंगे
नई कहानी के लिए शुभकामनाएं
बहुत बहुत धन्यवाद आपका मान्यवर।
वैसे तो इसकी जरूरत नहीं पड़ेगी, क्योंकि कहानी में निरंतरता बनी रहेगी। कुछ दिन का ठहराव आएगा बीच मे जो हम पहले ही बता देंगे।

साथ बने रहिए।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,119
56,347
304
Ye counter reply itne hisso mein kahe :D
ek hi baar mein de deti aap :popcorn: chhota sa hi to revo tha... :lollypop:
छोटा सा था।🤔🤔🤔
जितना हमने लिखा उससे ज्यादा तो आपकी टिप्पणी थी।🤣
एक बार में नहीं हो पाया इसीलिए तो दो बार में पूरा किया।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,119
56,347
304
Kahaani ki shuruaat karne se pahle kahaani ke mukhya patron ke bare mein jaan lena jaroori hai.


Patra Parichay In short.


Aanand Joshi- peshe se Auto Driver hain aur Heroin ke pita hain. Bahut hi imaandar aur Usoolon ke pakke insan. Sabhi se mel jol badhakar rahna pasand karte hain.


Raani Joshi- House Wife Aur Heroin ki maa hain. Pati ki Kam kamayi mein bhi poora ghar achhe se sambhalti hain. Apne bete se bahut pyaar karti hain. betiyon ke liye bhi inke dil mein pyaar hai.


Abhishek Joshi- Aanand Joshi aur Raani Joshi ka bada beta hai. Apni dono bahano se bahut pyaar karta hai. Bahut hi shararati aur natkhat hai. Iske sath hi bachpan se hi jaldi gussa aur chhoti si baat ko dil par laga lena iska swabhaav hai. Jiske karan poore pariwar ko pareshani ke daur se gujarna pada.


Sarita Joshi- Aanand joshi aur Rani joshi ki badi beti aur kahaani ki Main heroin. Khoobsurti aisi ki chaand bhi sharmaa jaye. tikhe nain naksh wali ladki. Honth ke niche kala til Sarita ki sundarta mein char chand lagate hain. Ghar mein sabhi se pyaar karne wali, lekin Sabse jyada pyaar wo Apne bhaai Abhishek se karti hai. Abhishek mein uski jaan basti hai. Padhaai mein bahut hoshiyaar aur swabhav se tez gaddar ladki hai.


Manisha- Aanand Joshi aur Raani joshi ki chhoti beti aur kahaani ki doosri heroin. Apni Bahan aur bhaai se bahut pyaar karti hai. Ye bhi apni bahan ki tarah khoobsurat hai. ye bahut hi chulbuli aur shararati hai.



Iske baad jitne bhi Paatr hain sabka introduction short mein hai. Vistrit introduction kahaani ke bich mein aapko pataa chalega.


Mahendra Singh Rathod- Bahut bade business man aur Hero ke pita ji. Dhan Daulat ki koi kami nahi fir bhi sadharan Jeevan jeene wale nek insan. Samaz mein achhi khasi pakad rakhne wale Prabhavshali Vyakti.


Naina Singh Rathod- House wife aur Hero ki maa. Ghar mein inki hi chalti hai. Ye apni Beti aur Apne doosre bete se bahut pyaar karti hain.


Savita- Mahendra aur Naina ji ki Eklauti beti aur Kahani ki tisri heroin. Pyaar se sabhi ise Savi bolte hain. Bahut hi milansar aur saral swabhav ki ladki. Apne ghar mein sabse jyada ye apne Doosre bhaai Ragav se pyaar karti hai.


Nishchal Singh Rathod- Mahendra ji aur Naina ji ka eklauta beta aur Kahani ka main hero. Savita se bahut pyaar karta hai. Sath mein Raghav ko jaan se jyada chahta hai.


Raghav- Ye Kahani ka doora Hero hai. Iske bare main kahani ke Madhya mein details main pata chalega.


Shanno devi- Ye hain kahani ki sabse interesting patra. Ye Mahendra ji ki buwa aur Savita, Nishchal aur Raghav ki buwa dadi hain. Purane khayalo ki hain. Inke samne Naina ji aur Mahendra ji jyada nahi bolte. Inka bahut samman karte hain. Jyada Jankari kahani ke madhya mein pata chalegi.


Anant- Kahani mein inka jyada role nahi hai lekin ye Kahani ke tisre hero hain. isliye inka jikar hona jaroori hai.


Charu- Anant ki bahan. Kahani mein inka bhi jyada role nahi hai, lekin ek karan hai jiske liye inka jikar hona jaroori hai.


Sub-Inspector- Mohit Singh, Ranjana Pathak, Vikas kumar & Jawed Akhtar.


Assistant Sub Inspector- Janhavi Kapoor. Kaushal Shukla aur Amit Rawat.


Rawat Sir- Sarita Joshi ke Office Incharge. Kahani mein inka bahut hi Important Role hai.


Boss & Sarkar- Kahani mein main Villene.


Bachha Singh- Kahani ka khalnayak. Isne jeewan mein bas ek hi achha kaam kiya hai. Details kahani ke bich mein pata chalegi.


Raghu- Bachha Singh ka bhaai. Bahut hi handsome aur Atractive Person. Details kahani ke bich mein jab iska role aayega tab pata chalega.


Kaluwa- ye bhi kahani mein villene hi hai. Bachha Singh ke niche kaam karta hai. details baad mein pata chalega.


Neta- Kahani ka villane. Iski koi details nahi hai. Bas ye ek local neta hai, lekin iske kaam bahut bade hain.


Inspector Pradhan- CBI Officer.


Is kahani mein aur bhi patra aayenge. Jinke chhote chhote role rahenge, jinke introduction ki jaroorat nahi hai. unka jikar kahani mein hi ho jayega.


Ek baat Aur Pathko. Kahani poori tarah se kalpnik hai, isliye iski ghatnayein aur patro ka work bhi kalpnik hi hai. Poori kahani Police officers ke ird gird ghoomti hai to work profile policiya hi hai, lekin us work profile mein kuchh work writer dwara dala gaya hai. to ho sakta hai mere wo Pathak bandhu jo police ki Naukri karte ho ya jinhe police ke work profile ka knowledge ho. kahani padhne ke baad wo ye objection na uthaye ki ye kaam aur ye ghanta to police ki work profile se match hi nahi karti. Ye sirf kahani ke hisab se dala gaya hai isliye wo ise anyatha na le. Kahani poori tarah se saaf suthri hai. Na hi isme sex ka koi seen hai aur na hi koi Abuse language hai.


Kahaani ka pahla bhag kal aayega.



Sath Bane Rahiye..
 
Top