- 3,965
- 10,672
- 144
Safalta pane ki khumari aur begairat logo ko lagaya tamga unhe wapas dene ke liye sarita din duniya se kinare kar ji jaan se jut gayi. Uske dhirn nishchay aur athak priyaso ka pahla fal jab use mila. Yah bat jankar lns ki bibi phir se ek bar jahar u gone lagi lekin shukr hain uske ugle jahar sarita ke kano tak nehi pahicha nehi to kuch bhi ho sakta tha.UPDATE- 09
Aanand ji se permission milne ke baad kuchh hi dino me Sarita ne Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) ke liye Aawedan kar diya. Uske baad Sarita padhai me jhut gayi. Abhi 4-5 mahine pahle hi usne Post graduation ki padhai khatam ki thi to padhai se abhi uska nata toota nahi tha. Wo poore man se padhaai me jhut gayi. Jut kya gayi usne apne aapko kamre me band kar liya aur apne aapko kitabon ko samarpit kar diya.
Isi bich jab inspector apne ghar wapas aaya to use apni patni ki kartoot pata chali to use bahut gussa aaya apni patni par. Chunki inspector bhala manush tha to Usne apni patni ko Aanand ki family ke sath bura bartav karne ke karan bahut dantaa aur Aanand ji ke paas jakar aanand ji, Raani ji, Sarita aur Manisha se apne patni ke Bartav ke liye marji mangi.
Chunki Aanand ji bhale aur suljhe huwe insan the, isliye unhone Inspector ko maffi mangne se manaa kar diya.
Idhar Sarita apni padhaai mein juti hui thi. bahut hi jaroori kam hone par hi wo ghar se bahar jati thi. Dhire dhire aaspas ke logo, jinke sath Aanand ke ache sambandh the ko pata chal gaya ki Sarita Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) ke exam ki taiyari kar rahi hai. Ye baat udate udate Inspector ki wife ko bhi pata lagi. Uski bhi jisase pat-ti thi usne use bataya to usne kaha.
Lady- Are suna hai ki Aanand ji ki beti ne abhi kuchh saal shadi ke liye mana kar diya hai aur Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) ki taiyari kar rahi hai. Bahut Achha hai uski naukari lag jaye. Bechare aanand ji ka bojh kam ho jayega.
Ins. Wife- Itna aasan hai kya Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) ki padhaii karna. Mere pati bhi iski bahut taiyari kiye the lekin huwa nahi. Aur ye kal ki laudiya chali hai iski taiyari karne. Ye Sab chonchle hain uske taki kuchh din aur rangreliya mana sake wo apne Yaar ke sath.
Lady- tum kaisi bat karti ho. Ham log use bachpan se jante hain. Wo aisi bilkul bhi nahi hai, wo bahut sanskari aur Achhi ladki hai.
Ins. Wife- Main inspector ki biwi hoon. Itna to kisi ko bhi dekh kar bata sakti hoon ki kaun kaisa hai. Wo tum logo ke samne apne sanskar dikhati hai aur bahar apne premi ke sath gulchharre udati hogi. Main ache se janti hoon in lower class logo ko. Fans liya hoga kisi ameer jade ko.
Lady- main hi bevkoof hoon jo pattharr per sir patak rahi hoon. Acha main chalti hoon mujhe bahut kam hai.
Wo lady waha se uthkar chali gayi. Inspector ki wife bhunbhunate huwe apne ghar me chali gayi. Sarita to jaise padhai ke chakkar me deen duniya ko bhul gayi thi. Uske dimag me bas 2 hi cheej ghoom rahi thi aur wo tha apne papa se kiya huwa wada. 2 sal ke samay ka wada Aur Inspector ki wife ki khari khoti.
Yahi baat apne dimag me baithakar Sarita padhai kar rahi thi. Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) form bharne ke kuchh mahino baad hi prelims ka paper ki date aa gayi. Exam ke din Sarita Raani ji ka Ashirwad lekar pariksha dene gayi. Aanand ji khud use auto par baithakar pariksha kendra par le gaye. Auto se utarne ke baad Satita ne Aanand ji ka pair chukar aashirwad liya aur andar chali gayi. Paper dene ke baad Sarita ko andaza ho gaya ki paper uski ummeed ke mutabik achha gaya tha.
Exam se wapas aane ke baad wo mains ki padhai me jut gayi. Kuchh din baad Prelims ka result aaya to wo paas thi. Sabhi gharwale Bahut khush huwe. Aise hi din gujarte rahe zindagi Apne hisab se chalti rahi. Dekhte hi dekhte Mains ki date bhi gayi. Sarita ne poora man lagakar mains ki bhi pariksha di. Mains ki pariksha bhi Achhi hi gai thi. Sarita ko poora bharosha tha ki wo paas ho jayegi.
Ab Use tension thi to Interview ki. Usne Youtube se Interview ke video dekhe. Manisha ke samne interview ki training karti. Jitna sambhav hota wo apni taraf se poora seekhne ki koshish karti thi.
Kuch mahine baad mains ka bhi result aa gaya tha aur Sarita Mains me bhi Achhe number se paas hui thi. Poora pariwar Khushi se jhoom utha. Paas padosh ke logo ko bhi jab pata chala to jo shubhchintak the unko Khushi hui aur jo Shubhchintak nahi the unko koi fark nahi pada.
Sarita ka Interview aaj se 1 Hafte baad ka tha. Wo bahut hi nervous the. Use samajh me nahi aa raha tha ki wo Interviewer ka samna kaise karegi. Inhi sari bato ko sochkar vo bechain thi. Aanand ji ne jab Sarita ki ye halat dekhi to wo Sarita ke paas baithate huwe bole.
Aanand ji - Kya baat hai beta. Tum kuchh pareshan si dikh rahi ho.
Sarita- papa mujhe interview ko lekar bahut ghabrahat ho rahi hai. Mujhe bahut dar lag raha hai papa.
Aanand ji- Isme ghabrane wali koi baat nahi hai. Aur tu kab se darne lagi. Tu to meri bahadur beti hai na. fir kyon dar rahi hai jo bhi hoga Sab Achha hi hoga.
Sarita- wo to thik hai papa lekin main interviewer ka samna kaise karungi. Maine kabhi interview face nahi kiya hai papa. Kaisa hota hai. Kya sawal pochote hain. Kuchh bhi nahi maloom mujhe.
Aanand ji- dekho beti main jyada padha likh to hoon nahin ki main isme tumhari koi madad kar paaun, lekin fir bhi Zindagi mein milne wali Thokron ne itna gyan jaroor diya hai ki main tera hausla badha sakun. Achha ek baat batao Sarita. Kya tumne kabhi Isase pahle Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) ka exam diya tha kya.
Nahi na, lekin tumne than liya tha ki 2 sal ka tumhare paas jo samay hai usi samay me tumhe iski pariksha paas karni hai. Iske liye tumne kitabe jaroor padhi lekin tumhe ye nahi pata tha ki Question kaun se aayenge. Kiss type ke honge. Kitab padhkar bas hamko andaza hota hai ki isi tarah ke Question exam me ate hain, lekin kaun sa Question exam me aayega ye pata nahi rahta. Thik usi tarah tum interview ke liye Youtube par jo Interview dekhthi ho wo bas ek dhancha hai ki interview aise hota hai, lekin Question kya hoga ye usi samay pata chalega.
To jis tarah tumne Prelims Aur mains Cleare kiya hai usi tarah tum Interview bhi clear karogi. Ye mujhe maloom hai beti. Isliye tum apne man se dar nikal do.
Sarita- wo sab thik hai papa. Main poori koshish karungi apna best se best dene ki. Lekin interviewer kaise honge. Unka swabhav kaisa hoga. Wo 3-4 log bhi rahte hain waha par. To mere answer se sabko satisfaction milega ya nahi milega.
Aanand- Tumhe yaad hai beti ki jab maine tumhari mummy se tumhari shadi ke Vishay me baat kar raha tha tab tumne kya kaha tha. Ki main Abhi shadi nahi karungi. Aur mere poochne par tumne bataya tha ki tumhe do sal ka samay chahiye uske baad main tumhari shadi jisase bhi karunga tum man logi.
Us samay tumne bina dare tumko jo sahi laga tumne kaha. Thik waise hi. Interview ke samay tum bas ye samajh lena ki samne tumhara baap yani ki main baitha hoon. Kai roop me. Koi hansi wala roop, koi sanjida roop, koi majak wala roop. To ye samajh lena ki samne jo 4-5 log baithe hain wo main hoon.
To jo bhi sawal tumse poochha jaye. Bina dare aur bina hichak ke jaise us din tumne mere sawal ka uttar diya tha. Jo tumhe us samay sahi laga tha. Thik usi tarah jo bhi sawal poocha jaye.uska jo bhi uttar tumhe sahi lage. Bina dare aur bina jhijhak ke apna uttar dena. mujhe poora bharosha hai ki tum jaroor safal hogi.
Aanand ki baat sunkar Sarita ko thoda bahut hausla mila. Apne papa ki baat sunkar uske andar ek nai urja ka sanchar huwa aur wo interview ki taiyaari me jut gayi. 15 din baad interview ki date fix ho gayi. Jaise jaise interview ka din nazdeek aata ja raha tha waise waise Sarita ka confidence badhata ja raha tha.Aakhirkar wo din aa gaya jab Sarita ko interview ke liye jana tha.
Sarita subah Achhe se taiyaar hokar raani ji ka Ashirwad lene gai. Raani jii ne use Aashirwad ke sath Dahi chini khilakar bheja. Manisha ne bhi apni didiya ki safalta ke liye bhagwan se prarthana ki. Aanand ji khud Sarita ko lekar interview ki jagah gaye. Andar jane se pahle Sarita na Aanand ka pair chukar aashirwad liya to aanand ji bole.
Aanand ji- Beti ekdam bindas hokar, bina kisi dar aur jhijhak ke har sawal ka jawab dena. Mera aashirwad sada tumhare sath hai beti. Tum jaroor safal hogi.
Sarita- ji papa main poori koshishi karungi.
Itna kahkar Sarita Andar chali gayi. Aanand ji bahar Sarita ke intezar me baithe rahe. Sarita se unhone kah to diya tha jo unke man me tha, lekin wo khud nahi jante the ki interview hota kaise hain, is liye vo bhi bahar baithe nervous ho rahe the. Lagbhag chaar ghanta ke baad Sarita bahar aate huwe dikhai padi.
Sarita ka chehra kuchh utra huwa dikh raha tha. Uske aane ke baad aanand ji ne usase poocha.
Aanand- Kya huwa beti. Tumhara chehra kyon utra huwa hai.
Sarita- Papa. Main unke do sawalo ka thik se jawab nahi de pai. Mujhe lagta hai ki main fail ho jaungi
Aanand- Aise nirash nahi hote beta, jab tak Result nahi aa jata. Tab tak Safalta aur Asafalta ka Aanklan karna galat hai. Mera dil kahta hai ki tum jaroor paas ho jaoti. Chalo ab iski chinta chhodo aur ghar chale. Tumne is pariksha ke karan apne aapko ekdam samet kar rakha hai. Ab jab tak result nahi aa jata tab tak ekdam bindas hokar raho.
Fir aanand ji Aur Sarita wapas ghar ko aa gaye. Sarita ne Raani ji aur Manisha ko bhi ye bata diya ki uske paas hone ki ummeed kam hai.
Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Adbhut atulniue update