Update - 5
Main nakul ki awaaj sun kar jaag gai. Pata nahi kab meri aankh lag gai thi. Main jaldi se uthi aur samne dekha to nakul niche se meri taraf hi dekh raha tha. Usne bataya ki ham mumbai pahuch gaye hain aur ab hame train se utarna hai. Uski baat sun kar maine apna huliya sahi kiya aur sirhaane par rakhe bag utha kar use pakdane lagi. Dono bag nakul ko dene ke baad main bhi samhal kar niche aa gai. Aas paas ke log ek ek kar ke gate ki taraf ja rahe the.
Nakul ne dono bag le liya tha. Maine usse kaha bhi ki ek bag main le leti hu magar usne kaha ki halke hi to hain bas tum araam se aao mere piche. Uski baat sun kar main uske piche piche chalne lagi. Kuch hi der me ham dono gate se baahar aa gaye. Baahar kafi shor tha. Main nakul ke piche piche hi chal rahi thi. Mere dil ki dhadkane apne aap hi tej ho gai thi.
Station se baahar aane me hame kuch time laga jarur magar aakhir ham baahar aa hi gaye. Nakul ek side par dono bag ko jameen me rakh kar khada ho gaya. Main bhi uske paas hi khadi ho gai. Nakul ne apni jeb se mobile nikala aur kisi ko phone karne laga. Maine dekha ki nakul ke hath me koi dusra mobile tha. Main uske mobile ko pahchaanti thi. Par is wakt uske hath me koi dusra hi mobile tha. Maine socha ki usse puchu is bare me magar fir main ye soch kar chup rah gai ki baad me puchugi.
Nakul kisi Rohan naam ke aadmi se baat kar raha tha mobile me. Uski baato se hi mujhe pata chala tha. Usne phone par bataya ki wo station se baahar kis jagah par hai. Baat karne ke baad nakul ne mobile waapas jeb me daal liya.
"Ye rohan kaun hai nakul." Maine utsuktawas puchha nakul se.
"Rohan vikram ka dost hai. Vikram ne usse baat ki thi aur mujhe rohan ka mobile number diya tha aur kaha tha ki mumbai pahuch kar main usse baat kar luga." Nakul ne kaga.
"To kya wo yaha aa raha hai." Maine pucha.
"Haan maine use bataya ki ham dono yaha pahuch chuke hain. Usne kaha ki wo bas kuch hi der me aa jayega." Nakul ne kaha.
"Kya wo yahi kahi paas me hi rahta hai." Maine hairani se pucha.
"Nahi paas me to nahi rahta magar maine use tab bhi phone kiya tha jab tum train me so rahi thi aur ham yaha pahuchne wale the." Nakul ne kaha.
"Tumne to kaha tha ki yaha pahuch kar ham pahle kisi hotel me rukege aur araam karege. Uske dusre din hi tum baat karoge apne dost ke dost se." Maine kaha.
"Haa par jab maine rohan se us wakt baat ki to usne pucha ki yaha kaha rukoge to maine use bata diya tha ki hotel me ruk jaauga aaj to usne kaha ki hotel me rukoge to kharcha jyada lag jayega is liye isse achha hai ki ham dono uske flat me ruk jaye." Nakul ne kaha.
"To kya wo bhi hamare sath usi flat me rukega." Main nakul ki in baato se thoda asahaj ho gai thi.
"Wo to rukega hi aakhir flat usi ka hai magar chinta ki koi baat nahi hai neelam. Hamare liye to filhaal yahi bahut badi baat hai ki yaha aate hi hame rukne ke liye achhi aur safe jagah mil gai hai. Warna kisi ajnabi jagah par rukte to sukoon se so bhi nahi pate." Nakul ne kaha.
"Haa ye to hai." Maine bas itna hi kaha. Uske baad nakul ne mujhse paani wagaira pine ke liye pucha to maine mana kar diya. Aakhir kuch aur intjar ke baad achanak hi nakul ka mobile baja to usne mobile nikaal kar dekha. Shayad rohan ki call thi. Nakul ne usse baat karke bataya ki wo kis jagah par hai.
Rohan se baat karne ke baad nakul ne dono bag uthaye aur mujhe sath chalne ka ishara kiya to main uske piche chal padi. Kuch doori par ek ladka safed rang ki car ke paas khada najar aaya. Shayad rohan hi tha wo. Ham dono jab uske paas pahuche to usne nakul ko dekh kar use nakul kah kar pukara to nakul ne bhi use rohan kah kar pukara. Jab confirm ho gaya ki wahi rohan hai to nakul ne usse hath milaya.
Rohan ne mujhe dekh kar namaste kiya to maine bhi sir ko halka sa hila diya. Uske baad rohan ne apni car ka pichla gate khola aur mujhe baithne ko kaha to main baith gai. Jabki nakul uske sath car ke piche side ja kar dikki me dono bag rakhe aur fir rohan ke sath aa kar aage ki sheet par baith gaya.
Car chal padi aur nakul rohan se idhar udhar ki baate karne laga. Main pichhli sheet par chup chaap baithi car ki khidki par lage glass se baahar dekh rahi thi. Waha par badi badi buildings najar aa rahi thi mujhe. Aisi buildings maine tv me dekha tha magar aaj yaha dekh rahi thi.
Main najaro me hi khoi hui thi aur mujhe wakt ka pata hi nahi chala. Car ruki aur nakul ki awaaj mere kano me padi to maine chaunk kar uski taraf dekha. Wo mujhe utarne ke liye bol raha tha. Main hadbada kar jaldi se gate khol kar niche utar aai. Charo taraf najar ghumai to pata chala ki ham kisi society ke andar the aur yaha bhi ek kataar se badi badi building dikh rahi thi.
Nakul ne car ki dikki se jab bags nikaal liya to rahan ne nakul ko wahi par rukne ka bol kar car ko aage badha diya. Shayad wo car ko parking me khadi karne gaya tha. Thodi der me wo aaya aur ham dono ko apne sath chalne ko kaha. Kuch door chalne ke baad ham jis jagah pahuche waha par ek side lift thi. Rohan ne diwaar ke bagal se lage ek button ko dabaya to usi button ke upar laal rang me dikha ki lift upar tenth floor se niche ki taraf aa rahi hai.
Lift ke andar ham teeno aaye aur rohan ne 9th floor ka button daba diya. Kuch der me ham teeno rohan ke flat me pahuch gaye. Rohan ne bataya ki ye flat uske personal use ke liye hai magar filhaal ham tab tak ruk sakte hain jab tak ki hamare rahne ka intjaam nahi ho jata. Rohan ne ye bhi bataya ki flat me jarurat ka sara samaan rakha hai jise wo bahut kam hi use karta hai magar ab ham use kar sakte hain.
Rohan ki ye baat sun kar hame thoda sukoon mila. Usne kaha ki aaj ham dono araam kare. Kal wo subah 8 baje aayega aur nakul ko apne dad se milwane le jayega. Sab kuch samjha bujha kar rohan chala gaya. Main uske chale se raahat feel karne lagi thi. Ab is flat me sirf ham dono hi the.
"Kitna sundar ghar hai na nakul aur kitna bada bhi." Maine charo taraf najar ghumate huye kaha.
"Sahi kaha magar mahga bhi to bahut hoga. Aise ghar ki ham kalpana nahi kar sakte neelam. Hamare liye to filhaal yahi bahut hoga ki rahne ka koi thik thaak intjaam ho jaye kahi." Nakul ne kaha.
"Sab ho jayega nakul. Achha sochoge to achha hi hoga." Maine kaha.
"Achha tum jaldi se fresh ho jaao uske baad main bhi fresh ho jaauga." Nakul ne kaha.
"Thik hai nakul. Tab tak tum jara kitchen me dekho khana banane ka sab samaan hai ki nahi. Fresh hone ke baad main garma garam khana bana dugi. Fir ham sath hi khana khayege." Maine kaha.
Nakul meri baat sun kitchen ki taraf chala gaya aur main apna bag le kar ek kamre me chali gai. Kamre me aa kar maine apne bag se apne kapde nikale aur bathroom me chali gai fresh hone ke liye.
Back to home side...
Shaam ho chuki thi aur ravendra uncle ghar waapas aa chuke the. Is wakt sab hall me hi baithe the. Dad sanjay uncle aur ravendra uncle bhi.
"Iska matlab hamara shak sahi tha ravendra. Hamari wo namuraad beti us do kaudi ke chhokre ke sath mumbai gai hai." Dad ke chehre par gussa tha.
"Haan bhaiya us wakt wahi ek train thi jo mumbai ja rahi thi." Ravendra uncle ne kaha.
"Fir to naina bhi mumbai hi gai hogi surendra. Isi liye yaha aas paas uska kahi bhi pata nahi chal saka." Sanjay uncle bhi bol uthe.
"Chalo maan liya sanjay ki naina bhi mumbai gai hogi magar kyo. Aakhir uska un dono ke sath jane ka kya matlab ho sakta hai." Dad ne kaha.
"Matlab chaahe jo bhi ho surendra magar itna to ab pakka ho gaya hai na ki wo un dono ke sath mumbai hi gai hai. Is liye ab hame un sabko khojne ke liye mumbai jana hoga. Pata nahi kis haal me hogi hamari bachchiya. Jamana bahut kharaab hai dost. Mujhe to rah rah kar ye andesha ho raha hai ki un dono ke sath kahi kuch bura na ho jaye." Sanjay uncle ne kaha.
"Fikar mat karo sanjay. Mujhe bhi unki chinta hai. Us ladke ne apne prem ke jaal me fasa kar neelam ko aisa kaam karne par majbur kiya hai. Ham aaj hi mubmai ke liye niklege aur un sabko har haal me khoj nikalege." Dad ne kaha.
"Main mumbai jane ke liye tickets ka intjaam karta hu bhaiya." Ravendra uncle ne kaha aur wo uth kar baahar ki taraf chale gaye.
"Tum bhi mumbai jane ki taiyari kar lo sanjay. Ho sakta hai ki hame waha par kuch din lag jaye is liye us hisaab se taiyari kar lo." Dad ne kaha to sanjay uncle ne haa kaha aur fir uth kar wo bhi apne ghar nikal gaye.
Sabke jane ke baad mom dad ke paas aai. Unka chehra abhi bhi aisa lag raha tha jaise wo roi ho. Dad ne ek najar unhe dekha magar bole kuch nahi.
"Agar wo waha par mil jaye to unhe kuch mat kahiyega. Pyar se ghar le aaiyega aur fir yaha jo marji kijiyega aap." Mom ne halki awaaj me kaha.
"Mujhe achhi tarah maloom hai ki mujhe kab kya karna hai. Is liye gyaan dene ki jarurat nahi hai tumhe. Tumhari beti ne jo kiya usse hame ye seekh mil gai hai ki bachcho ko itna bhi laad pyar nahi karna chahiye jiski vajah se kabhi aisa din bhi dekhna naseeb ho jaye." Dad ne gusse se kaha aur uth kar kamre ki taraf chale gaye.
Back to my side...
Bathroom se fresh ho kar aur kapde pahan kar main kamre me aai to dekha nakul bed par hi baitha hua tha. Use dekh kar main ek pal ke liye ruki aur fir muskurate huye bed ke paas hi aa gai.
"Wo main ye batane aaya tha ki kitchen me har samaan maujood hai aur maine safaai bhi kar di hai." Nakul ne meri taraf dekhte huye kaha.
"Thik hai tum bhi fresh ho lo. Tab tak main jaldi se khana bana deti hu." Maine halki muskaan me kaha.
"Thik hai main dusre kamre me ja raha hu fresh hone ke liye." Nakul ne kaha aur uth kar apna bag utha liya. Uski is baat se main muskuraai.
"Dusre kamre me kyo. Is kamre me bhi to fresh ho sakte ho." Maine kaha.
"Haa par main soch raha hu ki jab tak hamari shadi nahi ho jati ham dono alag alag hi rahe aur alag alag kaamre me hi soye." Nakul ne sakuchate huye kaha.
"Tum aisa kyo sochte ho nakul. Badi mushkil se to ham ek dusre se mile hain aur itne kareeb aaye hain. Fir alag alag sone ki baat kyo nakul. Nahi nahi ham ek hi kamre me aur ek hi bed par sath sath soyege aur dher sari baate bhi karege." Maine kaha.
"Par neelam kya ye thik rahega. Kahi hamare bich...
Nakul bolte bolte ruk gaya tha magar main uski baat ka matlab samajh gai thi aur sharm to mujhe aai lekin ye jaan kar achha bhi laga ki nakul itna kuch soch raha tha.
"Agar hamare bich aisa kuch ho bhi gaya to kya ho jayega nakul. Mera sab kuch to tumhara hi hai. Chaahe aaj apni amaante le lo ya fir shadi ke baad. Mujhe isse koi fark nahi padega magar haa is baat se jarur bahut fark padega ki yaha par ham itne kareeb hote huye bhi alag alag kamro me soye. Kya tumhe nahi lagta nakul ki ham dono ek dusre ki baaho me samaye huye soye." Maine kaha.
"Lagta hai neelam bahut lagta hai. Mera dil to har pal tumhe apne sath lagaye rakhne ki hasrat karta hai magar main nahi chaahta ki hamare prem ke bich ek pal ke liye bhi hawas aa jaye jisse tumhare dil ko thes pahuche." Nakul ne kaha.
"Oh nakul itna kuch mat socho jaan. Main achhi tarah janti hu ki tum kabhi bhi mere dil ko thes pahuchane ka soch bhi nahi sakte. Ab ye baate chhodo aur isi kamre ke bathroom me fresh hone jaao. Ham ek hi kamre me sath sath rahege. Waise bhi nai jagah par akele kamre me mujhe dar hi lagega. Tum mere paas rahoge to mujhe sukoon rahega." Maine muskurate huye kaha.
"Thik hai neelam. Ab tum jaao main bhi fresh ho leta hu." Nakul ne kaha aur fir wo apne bag se kapde nikaalne laga.
Main kitchen ki taraf chali gai. Mere man me nakul ki masumiyat se bhari baate goonj rahi thi. Mujhe uski baato par man hi man hasi aa rahi thi. Wo aisa hi tha. Nature se sharmila aur jhijhakne wala ladka. Apne se kabhi bhi wo mere kareeb nahi aata tha aur na hi aisi baate karta tha jo jara sa bhi sex se related ho. Yaha tak ki wo ye bhi nahi kahta tha ki mere hoth kitne rasile hain aur dil karta hai ki inhe choom lu. Agar kabhi main usse aisi baate kar ke chhedti to wo buri tarah sharma jata tha aur najre jhuka leta tha. Fir badi mushkil se wo ye kahta ki main usse aisi baate na karu. Mujhe uski is baat par bahut hasi aati thi. Main socha karti thi ki jo baat ladki ko kahni chaahiye thi wo baat khud ek ladka ladki se kahta tha.
Kitchen me khana banate wakt main yahi sab soch rahi thi. Fir main past ki sari story ke bare me bhi sochne lagi. Sochte sochte us jagah par pahuch gai jaha par ratan bhaiya mujhe achanak se mil gaye the. Mujhe yaad aaya ki unhone mujhe ek packed dibba diya tha aur kaha tha ki ise rakh lu. Mere man me sawaal ubhra ki aakhir kya ho sakta hai us dibbe me.
Gas ko dheema kar ke main waapas kamre me gai aur apne bag se us dibbe ko le kar kitchen me aa gai. Kisi gift ki tarah packed tha wo dibba. Mere man me ye janne ki utsukta aur bhi badh gai ki usme kya hai. Is liye main jaldi jaldi dibbe ke upar lagi hare rang ki panni ko kholne lagi. Kuch hi der me wo panni nikal gai to main ye dekh kar chaunki ki wo packed dibba waastav me ek mobile ka tha. Samsung company ka screen touch mobile tha wo.
Mobile ko dekh kar main hairaan thi aur soch rahi thi ki ratan bhaiya ne ye mobile mujhe kis liye diya hoga. Kya is liye ki wo iske jariye mujhse baat kar sake aur mera haal chaal jaante rahe. Platform par jis tarah se unhone mujhse baat ki thi usse to yahi laga tha ki unhe meri fikra hai aur wo mujhse bahut pyar karte hain. Magar is situation me mere man me khayaal aaya ki kahi iske pichhe unki koi chaal to nahi hai. Maine khud se sawaal kiya ki kya wo mujhe kisi bhi tarah ka nuksaan pahuchane ka soch sakte hain. Mere andar ke har jarre se ye awaaj aai ki nahi. Unhone iske pahle bhale hi kabhi ye nahi dikhaya tha ki wo mujhe bahut pyar karte hain magar ye bhi sach tha ki unhone kabhi bhi mujhe kisi baat ke liye na daata tha na hi mana kiya tha. Wo awaragardi karte the aur usi me lage rahte the magar hamare bich kabhi kisi tarah ki takraar nahi hui thi.
Maine apne dimaag se in sari baato ko nikala aur us mobile ko dibbe se nikaal kar dekhne lagi. Mobile naya hi tha aur uska sara samaan bhi usi dibbe me tha magar mujhe khayaal aaya ki mobile ke sath sath sim card bhi diya hoga bhaiya ne. Ye dekhne ke liye main dibbe me dekhne lagi magar sim card na mila. Fir mujhe khayaal aaya ki ho sakta hai ki sim card mobile me hi laga diya ho bhaiya ne. Kyo ki dibbe ki seal open thi. Maine mobile ke button ko dabaya to pata chala wo abhi off hai. Mere man me sawaal ubhra ki kya mujhe mobile ko on karna chahiye.
Kitchen ke baahar se kisi ke aane ki aahat hui to maine jaldi se mobile aur dibbe ko kitchen ke platform ke niche chhupa diya aur uske rapper ko dustbin me daal diya. Thodi hi der me nakul kitchen me aa gaya aur mujhse puchne laga ki khana ban gaya ki nahi to maine use bataya ki bas kuch der aur time lagega. Meri is baat se nakul thik hai kah kar waapas laut gaya.
Nakul ke jane ke baad maine mobile ko nikala aur use on karne ke liye button daba diya. Mera dil joro se dhadakne laga tha. Main ye soch kar hairaan bhi thi ki main nakul se mobile ke bare me chhupa rahi thi. Mujhe khud nahi pata tha ki main aisa kyo kar rahi thi. Mobile on hua to maine sabse pahle uske valume ko bilkul hi band kar diya. Mobile me hi sim card laga tha aur jaise hi sim card network me aa kar show hua to usme messages aane lage. Message tone ki jaga beep beep ki awaaje hui. Kuch message network company wale the aur kuch whatsapp wale. Whatsapp me ratan bhaiya ka naam add tha aur unke hi messages the.
Apni badhi hui dhadkan ko kaabu me karte huye maine whatsapp messages ko dekhne ka socha. Usme ratan bhaiya ke kai sare messages the. Jinme wo starting ke message me kah rahe the ki i hope tum dono sakushal pahuch gaye hoge. Ek message me likha tha ki subah jaise hi sabko tumhare jane ka pata chala to ghar me hangama shuru ho gaya tha. Dad bahut gusse me the aur mom ka ro ro kar bura haal tha. Dad ravendra uncle aur hamare aadmi tumhari khoj me nikal chuke hain. Ek message ko padh kar main buri tarah shocked ho gai. Wo message ye tha ki naina ka kahi pata nahi ki wo raat se kaha gayab hai. Naina ke dad uski khoj kar rahe hain.
Naina ke bare me jaan kar main shocked thi. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki naina kaha gayab ho gai. Ek message me ratan bhaiya ne kaha ki mere kisi message ka reply kyo nahi de rahi tum. Last ka message padh kar meri dhadkane aur bhi badh gai. Us message me likha tha ki dad ko pata chal gaya hai ki tum mumbai gai ho is liye tum dono ke sath sath naina ki bhi khoj me dad ravendra uncle aur sanjay uncle mumbai aane wale hain.
Ratan bhaiya ke in messages ko padh kar mujhe samajh hi na aaya ki main ab kya karu. Sabse jyada pareshaan to main naina ke bare me jaan kar ho gai thi. Aakhir wo kaise gayab ho gai. Kahi aisa to nahi to nahi ki ratan bhaiya naina ke bare me aisa bol kar mujhe kisi jaal me fasa rahe ho. Magar mera dil kahta tha ki bhaiya aisa nahi kar sakte. To kya sach me naina gayab ho gai hai magar kyo aur kaise. Kya wo khud gayab hui hai ya kisi ne use gayab kar diya hai. Sochte sochte mera sir chakrane laga.
Badi mushkil se maine khud ko samhala aur ratan bhaiya ko message karne ka socha. Maine unhe message me type kiya ki naina ke gayab hone ki baat kya sach hai bhaiya. Aakhir kaha gai wo. Plz uska kahi pata chale to mujhe bhi batana kyo ki mujhe uski bahut fikar ho rahi hai.
Ratan bhaiya ko message kar ke maine mobile ko off kar diya aur usi dibbe me daal kar use kitchen me hi chhupa diya. Kuch der me khana ban gaya to main khane ko thaali me sajane lagi. Mere man naina ke gayab hone ki baat hi ghoom rahi thi. Rah rah kar khayaal aata ki wo kaise gayab ho gai.