What a love story! WowUpdate - 6
Maine aur nakul ne ek sath hi khana khaya. Nakul baar baar yahi kahta ja raha tha ki maine bahut achha khana banaya hai aur usne lambe arshe ke baad ghar ka bana hua itna swaadist khana khaya hai. Nakul bahut khush dikhaai de raha tha us wakt. Main bhi khush thi ki wo mere banaye khane ki itni tareef kar raha tha aur khud bhi khush tha.
Kitchen me aa kar main sare bartan dho rahi thi. Nakul ne mere paas aa kar kaha bhi tha ki wo meri madad karta hai magar maine use ye kah kar mana kar diya tha ki ab se ye sare kaam main khud karugi. Maine use kamre me bhej diya tha aur ab khud bartan dho rahi thi. Mere man me is wakt bahut si baate chal rahi thi. Sabse pahle to yahi ki dad ravendra uncle aur sanjay uncle meri khoj me yaha mumbai aa rahe the. Dusri ye ki jane naina kaha gayab ho gai hai aur wo kis haal me hogi. Teesri baat ye ki aaj pahli baar main nakul ke sath ek hi kamre me aur ek hi bed par sone wali thi. Mere man me is baat ko le kar ajeeb si feeling aa rahi thi. Dil to is baat se behad khush tha magar man me ek jhijhak aur ghabrahat bhi thi.
Bartan dho kar main kitchen se baahar aai aur kamre ki taraf chal padi. Raat me pahanne wale kapde to the mere paas magar un kapdo ko pahan kar nakul ke saamne jane me mujhe sharm aur jhijhak dono hi ho rahi thi. Main jaanti thi mujhse kahi jyada bura haal nakul ka hoga. Kyo ki wo bahut hi sharmila aur jhijhakne wala ladka tha. Fir mere man me khayaal aaya ki nakul se kis baat ki sharm aur jhijhak. Aakhir aane wale dino me main uski biwi hi banne wali thi aur biwi banne ke baad to hamare bich koi sharm aur jhijhak nahi rah jayegi.
Kamre me aai to dekha nakul bed ke kinare par chup chaap baitha kuch soch raha tha. Mujhe dekhte hi wo fauran bed se niche utar kar khada ho gaya. Uske chehre par uljhan aur pareshani dikh rahi thi.
"Wo main ye kah raha hu ki main dusre kamre me so jata hu. Tum bhi thaki hogi is liye tum araam se so jaao yaha. Agar koi problem ho raat me to mujhe awaaj laga dena." Nakul ne ek hi saans me kah diya.
"Tum ye kaisi baate kar rahe ho nakul. Kya tumhara dil nahi karta ki ham ek dusre ke kareeb ho kar dher sari pyaar bhari baate kare." Maine uski aankho me dekhte huye kaha.
"Karta hai neelam magar is wakt tumhe araam karna chahiye. Kitna thak gai hogi na tum. Pyar bhari baate to ham baad me bhi kar lege na." Nakul ne haklate hue kaha to mujhe hasi aa gai. Mujhe haste dekh wo buri tarah jhep gaya.
"Maine kaun sa apne sir par pahaad rakha hua tha nakul jisse ki main thak gai hu. Sara bojh to tum hi le rakhe the. Agar tum thak gaye ho to chalo main tumhare badan ki maalish kar deti hu." Maine kaha.
"Nahi nahi neelam. Main ekdam thik hu. Achha ab tum araam se so jaao. Kal subah baat karege." Nakul ne kaha.
"Kya main itni buri hu nakul ki tum mere paas rah nahi sakte. Kya main itni buri hu ki mere sath baith kar mujhse pyaar bhari baate nahi kar sakte. Agar yahi karna tha to kyo laye ho mujhe yaha." Maine roni surat bana ke kaha.
"Ye tum kya bol rahi ho neelam. Tum janti ho ki main tumhe kitna pyar karta hu." Nakul ne hadbada kar bola.
"Jhooth bol rahe ho tum. Agar tum itna hi mujhse pyar karte ho to mujhse door kyo bhaag rahe ho. Kya main tumhe kha jaaugi." Maine kaha.
"Main kaha bhaag raha hu neelam. Main to bas ye chaahta hu ki abhi tum araam se so jaao. Baaki sari baate ham kal se karege." Nakul ne bahana bana diya.
"Ab baate na banaao tum. Chup chaap yahi mere sath raho. Kabhi mere bhi dil ka haal samjha karo jaan." Maine kaha aur jane kyo meri aankho me aanshu aa gaye. Ye dekh kar nakul fauran mere paas aaya aur mere chehre ko pakad kar meri nam aankho ko ponch diya.
"Maaf kar do neelam. Tum to janti ho ki main kaisa hu. Mujhe ye to pata hai ki main tumse itna pyar karta hu ki tumhare bina ji nahi sakta magar is baat ko kahne me pata nahi kyo mujhe jhijhak si hone lagti hai. Main har pal yahi sochta rahta hu ki main aisa koi bhi kaam na karu jisse tumhare dil ko thes lage. Is wakt bhi main yahi soch kar tumhare sath ek hi bed par nahi sona chaahta tha ki kahi tum ye na samajh baitho ki tumhe akela dekh kar main tumhare sath koi faayda utha raha hu." Nakul ne gambheer ho kar kaha.
"Tum ekdam se buddhu hi ho aur pagal bhi. Jane kya kya sochte rahte ho tum. Ham dono ek dusre se sachcha prem karte hain aur ham dono ka ek dusre par hak hai. Prem me jajbato ko chhupaoge to prem ka rang kaise khilega jaan. Tumhara dil jo bhi kahe use bas kar dala karo. Kisi baat ke liye jhijhak mat rakho apne andar." Maine kaha.
"Baat to tumhari thik hai neelam magar jane kyo main koi baat khul kar kah nahi pata. Jhijhak aur dar bahut jyada haavi ho jata hai mujh me aur fir main kuch bhi nahi kah pata. Jabki mera dil iske khilaaf rahta hai." Nakul ne udaas sa ho ke kaha.
Mujhe nakul par bahut jyada pyar aa raha tha aur main chaah rahi thi ki use bahut sara pyar karu. Jhijhak to mujh me bhi thi magar nakul jitni nahi. Maine socha ki ab nahi to fir kab. Aakhir wo mera hone wala pati hai. Ek din to hamare bich sab kuch khul to jana hi hai. Mere dil ki dhadkane tej ho gai aur main apne man ki uthal puthal ko kisi tarah samhaalti hui aage badhi aur nakul se ja lipti.
Nakul ko shayad mujhse itna jaldi is harkat ki ummid nahi thi is liye wo ekdam se shock ho gaya tha. Wo kisi but ki tarah aise hi khada raha jabki main usse lipti kahe ja rahi thi ki apne jajbaato ko main nahi samhaal sakti jaan. Mera dil kahta hai ki tumhare seene se aisi hi lipti rahu aur tumhe bahut sara pyar karu. Tum bhi apne jajbaato ko jabardasti mat dabaao nakul. Apne armaano ke dwaar khol do aur mujhse khul kar pyaar karo.
Meri baato ka asar der se hi sahi magar nakul par hua jarur. Pahle wo shock sa ho kar khada tha aur jab maine ye sab kaha to usne bahut dhire se apne dono hath uthaye aur meri peeth ke niche kaste huye mujhe apni aagosh me le liya. Mere pure jism me mithi mithi si lahar daud gai. Shayad yahi haal nakul ka bhi tha. Mujhe apni aagosh me liye wo kuch der tak bilkul hi chup raha.
"Aisa pahle kyo nahi kiya tha neelam. Tum to jaanti ho ki main sharm aur jhijhak ke kaaran ye nahi kar sakta tha is liye kam se kam tum hi kar deti. Agar tum karti to shayad main bhi tumhe aise hi apne se chhupka leta. Aahhh kitna sundar ahsaas hai neelam. Main bata nahi sakta ki is wakt mujhe kaisa mahsus ho raha hai. Bas ji karta hai ki sari jindagi main tumhe aise hi apni aagosh me liye rahu." Nakul maano apne jajbaato ko ek ek kar ke baahar nikaal raha tha. Uski ek ek baat mere dil me utar rahi thi aur mujhe mitha sa ahsaas de kar mere andar khushiya bhar rahi thi.
"To kisne roka hai jaan. Main to chaahti hu ki tum mujhe yu hi saari umar apni aagosh me le kar pyar karte raho." Maine nakul ko aur jor se kaste huye kaha.
"Tumhe pata hai neelam mera dil kya kya karne ko kaha karta hai." Nakul ne is baar kaampti si awaaj me kaha.
"Haa batao na jaan ki tumhara dil kya kya karne ko kaha karta hai." Maine dhadakte dil se usse puchha. Meri aankhe mithe ahsaas se band thi aur jubaan apne aap hi khul rahi thi.
"Jab tum mere paas hoti thi to mera dil kaha karta tha ki main tumhare sundar se chehre ko bas nihaarta rahu aur tumhare gore gore sundar gaalo ko choom lu." Nakul ne kaha.
"Aur kya kaha karta tha tumhara dil. Mujhe sab kuch bataao na jaan." Main jaise utaavli si ho rahi thi.
"Aur ye ki tumhare gulaab ki pankhudiyo jaise hotho ko choom lu aur ye bhi ki tumhe apni baaho me bhar lu magar kabhi himmat nahi hui aisa karne ki." Nakul ye kahte huye jaise udaas sa ho gaya. Jabki uski baate sun kar mere man me sangeet sa bajne laga tha aur uski aakhiri baat par jaise main bhi udaas ho gai. Jajbaat machal se gaye.
"Koi baat nahi jaan. Jo gujar gaya use bhool jaao. Aaj aur is wakt main fir se tumhare saamne hu aur tumhari baaho me bhi hu. Is liye tumhara jo bhi dil kare kar lo. Main chaahti hu ki tum apni chaahato ka bedardi se gala na ghoto. Pyar ka ijhaar pyar se karo magar khul kar." Maine ye kah kar jaise nakul ko kuch bhi karne ki chhoot de di.
"Kya tum sach kah rahi ho my love. Kya sach me main tumhare gaalo ko aur hotho ko chhu sakta hu aur kya main unhe choom sakta hu." Nakul ne mujhse alag ho kar meri taraf dekhte huye kaha tha. Uski aankho me bepanaah pyar jhalak raha tha. Wo kisi masoom bachche ki tarah lag raha tha is wakt.
"Main tumhari hu jaan. Meri har cheez tumhari hai aur tumhari har cheez meri hai. Tum jo chaaho kar sakte ho." Maine kaha. Nakul meri taraf hi dekh raha tha aur mujhe apni hi kahi baato par sharm bhi aa rahi thi. Mere hoth halke halke kaampne lage the.
Ham dono bed ke paas hi khade the. Nakul meri baato ko sun kar chup chaap sirf mujhe hi dekhe ja raha tha aur main uski aankho me dekhte rahne ki jaddo jahad kar rahi thi. Dil to joro se ye soch kar dhadke ja raha tha ki nakul kuch hi der me mere gaalo aur hotho ko chumega. Man me mithe mithe ahsaah ki tarange rah rah kar mujhe kahi aur hi ghuma deti thi.
"Ab kya aise hi dekhte rahoge mujhe." Nakul ko ektak mujhe hi dekhte dekh mujhse raha na gaya to main puch baithi thi. Meri is baat se nakul ko jaise hosh aaya aur muskura utha.
"Kitna khush naseeb hu main jo mujhe tum jaisi hoor ki pari mili hai. Meri viraan si jindagi me tum bahaar ban kar aai ho neelam. Agar tum mujhse juda hui to main ek pal bhi ji nahi paauga." Nakul ne bhaari awaaj me kaha.
"Nahi jaan main tumse kabhi juda nahi hougi. Kyo ki tumse juda ho kar main bhi ek pal ji nahi paaugi. Main hamesha tumhare sath hi rahna chaahti hu. Fir chaahe jaisi bhi situation aaye." Maine nakul ke sundar chehre ko apne hatho me lete huye kaha.
"Main wada to nahi kar sakta my love kyo ki sab kuch insaan ke hath me nahi hota magar main puri koshish karuga ki sansaar ki har khushi tumhare kadmo me daal du." Nakul ne is baar aise lahje me kaha jisme ek dridhta thi aur ek yakeen tha.
Nakul ki baato ne mujhe bhaav vibhor kar diya tha. Main andar se bahut khush thi. Mera dil kar raha tha ki main uske un hotho ko choom lu jin hotho ne aisi mithi baate ki thi aur maine is baar khud ko roka bhi nahi. Apni ediyo ko utha kar maine nakul ke gulaabi hotho ko jaldi se choom liya. Nakul bhale hi mere choomne par hairaan hua tha magar mujhe bahut achha mahsus ho raha tha.
"Kya karu jaan. Tum to baate hi karte ja rahe ho jabki mujhse bardaast nahi hua. Is liye tumhare hotho ko choom liya." Maine muskurate huye kaha to nakul bhi muskura utha.
"To choomte rahna tha na. Mujhe to kuch samajh hi nahi aaya ki achanak kya ho gaya hai." Nakul ne muskurate huye kaha.
"Mujhse jitna ho sakta tha maine kar diya jaan. Waise bhi tumhe samajhna chaahiye ki ek ladki kabhi pahal nahi karti balki hamesha ladke ko hi pahal karni hoti hai." Maine kaha.
"Ho sakta hai magar hamare maamle me aisa nahi hai neelam. Ladki agar sharm aur jhijhak ki vajah se pahal nahi karti to samajh lo ki hamare maamle me main ek ladki hi hu aur main sharm aur jhijhak ki vajah se ye sab nahi kar pa raha to tum ladka ban jaao aur pahal karti raho." Nakul ne muskurate huye kaha. Main nakul ki in baato ko sun kar khil khila kar hasne lagi thi.
"Agar main ladka hoti to is wakt tumhe apni majboot baaho me utha kar bed par le jati aur fir tumhe bahut sara pyaar karti. Magar na to main ladka hu aur na hi meri baahe itni majboot hain ki main tumhe utha kar bed par le jaau. Is liye janaab ye khayaal apne man se nikaal dijiye aur mard ban kar mardo wala kaam kijiye." Maine bhi muskurate huye kaha.
"Tumhare khayaal se mardo wale kaun se kaam hote hain." Nakul ne meri aankho me dekh kar kaha.
"Kitchen me khana banana. Bartan dhona aur kapde dhona ye sab mardo wale kaam hain." Maine kaha aur khud hi apni hasi nahi rok paai. Jabki nakul meri baat sun kar hairaani se mujhe dekhne laga.
"Kya tum mujhe chidha rahi ho." Nakul ne aankhe dikhate huye kaha.
"Nahi main tumhe ullu bana rahi hu." Maine haste hue kaha.
Nakul samajh gaya ki main uski khichaai kar rahi hu is liye wo pahle muskuraya fir achanak hi usne mujhe apni god me utha liya. Main ek pal ko to ghabra hi gai thi jab usne mujhe ek jhatke se utha liya tha. Jabki nakul mujhe uthaye bed ke is taraf aaya aur fir mujhe bed par gira diya. Usne mujhe uchaai se nahi giraya tha warna meri sach me cheekh nikal jati.
"Ab batata hu tumhe. Bahut ullu bana rahi thi na mujhe. Ruko ek ek ka hisaab luga main." Nakul bed par aa kar aur mere dono hatho ko pakad kar alag alag side par kar diya. Main seedha leti thi aur meri taange ghutno se mud kar upar ko thi. Jabki nakul majbuti se mere hatho ko pakde mere kamar ke left side ghutno par baitha tha. Uski is harkat se main hairaan bhi thi aur thoda ghabrane bhi lagi thi. Aisa usne kabhi nahi kiya tha magar aaj shayad uske andar ki jhijhak nikal gai thi.
"Ullu ko ullu na banaau to aur kya banaau." Maine apni ghabrahat ko door karne ka prayaas karte huye kaha. Mujhe lag raha tha ki nakul mere hatho ko pakde mere upar aa jayega magar usne aisa kiya nahi. Wo bas mere kamar ke paas hi bed par ghutno ke bal baitha mere hatho ko pakde huye tha. Main apne hatho ko chhudane ki koshish kar rahi thi magar chhuda nahi pa rahi thi.
"Ab bataao kya kya karu tumhare sath. Bahut ullu bana rahi thi na mujhe." Nakul ne apni bhaunho ko upar ki taraf karte huye kaha.
"Main kyo bataau ki tum mere sath kya kya karo. Main to itna jaanti hu ki tum ullu ho." Maine muskurate huye kaha.
"Achha ruko fir. Ab ye ullu kya kya karta hai." Nakul ne kaha aur mere chehre ki taraf jhukne laga. Meri saanse to pahle se hi tej thi ab uske is tarah jhukne se aur bhi tej ho chali thi. Main samajh gai ki wo ab kya karne wala hai. Main bhi chaahti thi ki wo apni chaahto ko pura kare.
Nakul mere chehre ke ekdam paas aa chuka tha. Uski tej tej chalti garm saanse mere chehre par pad rahi thi. Mera dil buri tarah dhadke ja raha tha. Wo meri aankho me dekhta aur fir mere kaamp rahe hotho ko dekhta. Main is wakt uski aankho ka saamna nahi kar paai aur meri aankhe band ho gai. Nakul ko laga jaise maine use ijajat de di ho. Usne abhi bhi mere dono hath pakad rakhe the. Jabki ab main apne hatho ko chhudane ki koi koshish nahi kar rahi thi balki maine khud ko dheela chhod kar uske hawale kar diya tha.