• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhare Liye... (Completed)

amita

Well-Known Member
6,870
16,736
144
Update - 14

Akhbaar me chhapi khabar se ham bahut jyada chintit ho gaye the. Kaha nakul ki job lag jane se main uske sath jindagi gujaarne ke sapne bunne lagi thi aur kaha mere wo sapne is khabar ne do pal me chaknachoor kar diye the. Hame samajh nahi aa raha tha ki hamare sath ye sab kya ho raha tha. Bhagwan ye kaisa imtehaan le raha tha hamara. Ek taraf to wo har baar hamari madad ke liye kisi na kisi ko bhej deta tha aur dusri taraf fir se ek raasta band kar deta tha taaki ham aage na badh sake.

"Mujhe nahi lagta nakul ki mere dad ne akhbaar me ham dono ki photo ke sath aisi khabar chhapwaayi hogi. Main unhe achhi tarah janti hu. Wo sir to kata sakte hain magar ijjat ke liye sir jhuka nahi sakte. Ye kaam jarur kisi aur ne karwaya hai." Maine nakul se kaha to usne meri taraf dekha.

"Bhala aisa kaun karwa sakta hai aur kyo." Nakul ne pucha.
"Mujhe lagta hai ki ye kaam sanjay uncle ne dad ki chori se karwaya hoga. Aakhir unki beti naina bhi to gayab hai. Ho sakta hai ki unhone apni ijjat se jyada apni beti ko mahatwa diya ho aur beti ko jald se jald talash karne ke liye unhone police ko apni beti ke sath sath hamari bhi khabar chhapwa di ho." Maine kaha.

"Haa khabar to naina ki bhi chhapi hai akhbaar me. Waise ye khabar to tumhare ratan bhaiya bhi akhbaar me chhapwa sakte hain. Sambhav hai ki unhone ye sab tumhare chacha ji ke kahne par kiya ho." Nakul ne kaha.
"Nahi nakul. Ratan bhaiya aisa nahi kar sakte aur na hi chacha ji unhe aisa karne ko kah sakte hain. Kyo ki wo log mere dad se puchhe bina aisa koi kadam nahi utha sakte. Ye jarur sanjay uncle ka kiya dhara hai." Maine kaha.

"Ye bhi to ho sakta hai ki tumhare dad ne apne dost yaani ki rohan ke dad se aisa karne ko kaha ho." Nakul ne kaha.
"Dad na khud aisa karege aur na hi wo kisi aur ko aisa karne ko kahege nakul. Unhe apni ijjat sabse jyada pyari hai aur wo aisa koi kaam nahi karege jisme unki ijjat par jara si bhi aanch aane ki sambhavna ho." Maine kaha.

"Fir to sanjay uncle ne bhi aisa nahi kiya hoga neelam. Unhe bhi pata hai ki agar wo aisa karege to tumhare dad ko pata chal hi jayega aur wo is baat se bahut gussa hoge." Nakul ne kaha.
"Kisi ne bhi kiya ho nakul magar is baat se ab ek baat to ho hi gai hai ki ham ab kahi bhi nahi ja sakte aur agar kahi gaye bhi to pakde jayege. Uske baad khel khatm. Sab kuch barbaad ho gaya nakul. Lagta hai ye duniya hame ek nahi hone degi." Maine kaha aur meri aankho se aanshu chhalak pade.

Meri aankho se aanshu chhalakte dekh nakul ne mujhe apne se laga liya aur mujhe shaant karne laga. Mere dil aur dimaag me bhawandar sa chal raha tha. Mujhe aisa lag raha tha ki main nakul se lipat ke kitna rou magar bhala rone se kya ho sakta tha. Ham jis sankat me fas gaye the usse nikalne ka koi na koi upaay to karna hi tha warna wo din door nahi jab ham is kiraye ke ghar se baahar nikaal diye jayege. Makaan maalik hame muft me to yaha nahi rahne dega.

Kafi der tak main aur nakuk kamre me is bare me sochte huye aur dukhi hote huye baithe rahe. Udhar nakul ke job par jane ka time bhi ho raha tha. Ham dono jante the ki agar nakul yaha se job par jata hai to koi na koi use jarur pahchaan lega aur fir wo police ko uske bare me inform kar dega.

Nakul me deepak ko phone kiya aur use akhbaar me chhapi khabar ke bare me bataya. Nakul ki baat jab puri hui to deepak ne bhi use bataya ki usne akhbaar padha hai aur uske makaan maalik ne bhi. Uske makaan maalik usse puch rahe the ki ye sab kya hai. Usne to kaha tha ki wo dono kisi kaam se yaha aaye the jabki news me to likha hai ki wo dono ghar se bhaag kar aaye hain. Deepak ne majburi me apne makaan maalik ko sab kuch sach sach bata diya aur usse request ki ke wo is bare me police ko na bataye. Aakhir deepak ke jor dene par uska makaan maalik maan gaya magar usne ye bhi kaha ki wo jyada dino tak chhupe nahi rah sakege.

Nakul ne deepak se kaha ki aise me wo job par kaise ja sakta hai is liye ab use ye job chhodna padega. Nakul ki is baat par deepak ne usse kaha ki thik hai tum aaj ghar me hi raho. Wo company ja kar waha ka maahaul dekhta hai aur agar waha kisi ne akhbaar me nakul ki khabar ke bare me puchha to wo samhaal lega.

Dopahar ho gai thi aur ham dono isi tension me chup chaap baithe huye the. Ham dono me se kisi ko bhi bhookh pyaas ka abhaas nahi hua. Fir bhi nakul ki jabardasti par maine thoda bahut khaya aur usne bhi. Shayad wo nahi chaahta tha ki main is tension me bhookhi rahu. Khaate wakt usne kaha bhi ki ab sochne se ya chinta karne se kya hoga. Jo hona tha wo to ho hi chuka hai.

Khana khane ke kuch der baad nakul uncle ji ke bulane par neeche chala gaya jabki main kamre me hi bed par aankh band kar ke let gai thi. Mere dil aur dimaag se aaj akhbaar me chhapi khabar ja hi nahi rahi thi. Baar baar usi ke bare me sochti aur fir dukhi ho jati. Nakul ke sath apne naye jiwan ke kya kya sapne sajaye the maine jo ab is news ke chalte choor choor ho gaye the.

Udhar nakul uncle ji ke paas jab pahucha to unhone use chair par apne paas hi baithaya aur fir usse kaha ki wo akhbaar me chhapi khabar se jyada chintit na ho. Akhbaar me chhapi news abhi taaji taaji hai is liye logo ke dimaag me bhi rahegi. Aise me achha yahi hai ki kuch din kahi baahar na jaao balki apne kamre me hi raho. Shahar ke log jyada kisi se matlab nahi rakhte hain aur na hi unke paas itna wakt hota hai ki wo akhbaar me chhapi is news ke bare me sochte rahe aur jo log sochte bhi hain wo kuch dino me is news ko bhula bhi dege. Is liye yahi thik rahega ki hapte do hapte apne kamre me hi raho. Uske baad dekhege ki kya karna hai.

Uncle ji ne nakul ko is bare me achhi tarah samjhaya bujhaya jisse nakul ke man se is news ki tension thodi kam hui. Uncle ji ki is baat par aunty ji ne bhi nakul ko chinta na karne ki baat kahi aur ye bhi kaha ki kisi cheej ki chinta na karo. Aaj bura wakt jarur hai magar ye hamesha aisa hi nahi rahega. Uncle ji ne nakul ko ye bhi kaha ki iska ek upaay ye bhi hai ki jab kuch dino me maamla shaant pad jaye to dono shadi kar lo. Shadi kar lene se ek faayda ye hoga ki kisi ka dar nahi rahega. Waise bhi tum dono baalig ho aur kanoon bhi tumhare hi paksh me hoga.

Nakul ko uncle ji ka sujhaav thik laga aur usne mujhe bhi is bare me bataya to maine usse kaha ki agar shadi karne se problem door ho jati hai to thik hai ham shadi kar lete hain. Uncle ji ne nakul se kaha tha ki unki jankaari me ek pandit hai jo shadiya karwata hai. Coart marriage bhi ek option hai magar is wakt akhbaar me chhapi news ke chalte wo police ki najar me aa sakte hain is liye kuch din intjar karna padega.

Uncle ji ke kahne par hamne yahi faisla kiya ki kuch din intjar karte hain aur jab maamla kuch thanda ho jayega to ham shadi kar lege. Maine bhi soch liya tha ki ab jo hoga dekha jayega. Shadi ke baad agar ham police dwara pakde bhi jate hain to ham kah dege ki ham baalig hain aur hame apni marji se jiwan sathi chunne ka adhikaar hai.

........

Ek bade se kamre me chaar ladke kursiyo me baithe huye the. Charo ke beech me ek table thi jisme sharaab ki ek badi si bottle aur chaar kaanch ke glass rakhe huye the. Chaaro glass me aadhi aadhi sharaab bhari hui thi. Table me hi do plate me se ek me tale huye kaaju aur dusre me ande ki bhujiya rakhi hui thi. Chaaro ladko me se ek neela coat pahne huye tha jabki baaki ke teen ladke jeens aur paint me the.

"Kya lagta hai bhai. Wo waapas aayege yaha." Ek ladke ne coat wale ladke se kaha.
"Jarur aayege bhai. Sale jayege kaha. Ghoom fir kar isi gareeb khane me aayege." Coat wale ladke ne halke nashe me kaha to baaki ke teeno muskurane lage.

"Akhbaar me news isi liye to chhapwaai thi taaki unke aage ka raasta band ho jaye aur wo waapas aa jaye." Coat wale ne kaaju ka ek dana muh me daalte huye kaha.
"Sahi game khela bhai. Magar ek problem hai aur wo ye ki agar sach me wo police ke haath lag gaye to kya hoga." Dusre ladke ne kaha.

"Isne sahi kaha bhai. Aise me to sare kiye karaye par pani fir jayega. Waise bhi ek hamare hath se nikal gai hai. Pata nahi saali kaha chhup gai hai." Teesre ladke ne nashe me kaha.
"Tum logo se koi kaam sahi se nahi hota. Aaj das din ho gaye aur tum logo ko uske bare me abhi tak kuch pata nahi chala. Agar koi gadbad hui to dekh lena. Chhoduga nahi tum logo ko." Coat wale ladke ne gusse se kaha.

"Ye sab iski galti se hua hai bhai. Usne pyar se do baate kya kar li isse ye to pura flat ho gaya us par. Uske baad jab isne uski baato me aa kar uske bandhan khole to furr ho gai wo." Dusre ladke ne teesre wale ki taraf ishara karke kaha tha.

"Mujhe kya pata tha ki wo pyar ki baate is liye kar rahi thi taaki main uske bandhan kholu aur wo furr ho sake. Mujhe laga shayad usne ab ja kar mere pyar ko accept kar liya hai is liye main bhi khush ho gaya tha aur usi khushi me maine uske bandhan khol diye the. Agar mujhe uski neeyat ka pata hota to main uske bandhan kholta hi nahi." Teesre wale ne kaha.

"Agar usne tujhe pahchaan liya hoga to samajh le tu to gaya kaam se." Pahle wale ladke ne kaha.
"Are aise kaise pahchan legi wo mujhe. Main uske saamne kabhi bina nakaab ke gaya hi nahi. Waise man to karta tha ki use apna chehra dikha du magar darta tha ki agar usne mera chehra dekh liya to wo nafrat karne lagegi mujhse. Abhi tak to use pata hi nahi tha ki nakaab ke andar usse pyar se baat karne wala kaun tha." Teesre ladke ne kaha.

"Apni ye bakwas band karo tum log aur use dhudho. Mujhe har kimat par wo ladki chahiye aur tum apne dil se uske liye ye pyar wali feelings nikaal do warna achha nahi hoga samjhe." Coat wale ne gusse se kaha to teesre ladke ne sir hila diya.

"Waise ek baat puchhu bhai." Dusre ladke ne coat wale se kaha.
"Ab kya puchna chaahta hai." Coat wale ladke ne kaha.
"Yahi ki agar unhe waapas yaha bulana hi tha to bheja hi kyo tha us bhai ke sath." Dusre ladke ne kaha.
"Tu nahi samjhega sale. Har kaam bahut soch samajh ke kiya jata hai. Unko waha bhejne ka matlab ye tha ki unhe bhi lage ki main unke liye wafadaar hu aur mujhe unke liye chinta hai. Ab apne faayde ke liye news me khabar chhapwa di taaki unka raasta fir se band ho jaye aur wo mere paas waapas aane ke bare me soche. Itna to unhe bhi samajh aa hi jayega ki wo waha par nahi balki yaha par jyada safe rahege. Is liye wo jarur yaha aane ke liye apne bhai se baat karege. Kuch samjhe ki nahi." Coat wale ne jahrili muskaan se kaha.

"Samajh gaya bhai. Maanna padega kya dimaag lagaya hai. Wo soch bhi nahi sakte hain ki is sab ke pichhe ye sab karne wala kaun hai." Dusre ladke ne kaha.
"Wo sab chhodo aur us ladki ki talaash karo. Tum logo ko ek hapte ka time deta hu. Kahi se bhi khoj kar use yaha laao." Coat wale ladke ne kaha.

Kuch der baad teeno ladke kursiyo se uth kar chale gaye. Coat wala ladka wahi baitha raha. Un ladko ke jane ke baad usne apni jeb se mobile nikala aur kisi ko call karne laga. Phone par usne kisi se kaha kya position hai. Pata nahi us taraf se kya kaha gaya jiske jawaab me usne thik hai kah kar phone kaat diya. Mobile ko waapas jeb me daalte huye wo ajeeb tarah se muskurane laga tha.
Jabardast
 
VIKRANT

Active Member
1,486
3,377
159

Greattt job neelam ji. Such a mind blowing update and your writing skill. :applause: :applause: :applause:

Problem to sach me khadi ho gai hai neelam and nakul ke bich. Us uncle ne achha suggestion diya hai nakul ko ki wo dono shadi kar le. Afterall dono hi baalig hain to kanoon ka bhi support milega inhe and filhal inhe kahi baahar nahi nikalna chahiye. Shadi karna best option hai. :coffee1:

To news me chhapi khabar neelam ke dad nahi balki is coat wale ladke ne chhapwai hai. Koi lamba chakkar chala raha hai ye. Ye coat wala ladka rohan ya deepak ho sakta hai. Beshak rohan hi hoga bcoz uski baato se jaahir hota hai ki usne pahle neelam and nakul ko deepak ke sath bheja ek achhe dost ke taur par and ab ye chaal chal ke waapas bulana chaahta hai. Ye to sala bada wala kamina lagta hai. Uske sath ye teen ladke uske gurge ho sakte hain jo uske kahne par kaam kar rahe hain and in logo ne naina ka apharan bhi kiya tha but naina inke changul se faraar ho gai hai. Ab sawaal hai ki naina kaha chhuo gai hogi. Wo khule me to ghoom nahi rahi hogi bcoz news me uski bhi khabar chhapi hai jo usne bhi kahi na kahi se padh li hogi. :coffee1:

Overall update was superbb neelam ji. Story me ab romanch badh raha hai. So let's see what happens next. Great job and keep it up. :thumbup:

:celebconf::celebconf::celebconf::celebconf::celebconf::celebconf::celebconf::celebconf:
 
Good review
 
Mr. Pandit

SAB KUCH JAYAZ HAI....
1,764
3,880
144
Thank you so much for your valuable commemt
Btw mr pandit ji meri story ke sare update ka ek baar me hi sara nichod likh diya aapne wo bhi aisi style me. Main samajh nahi pa rahi hu ki ye tarif ki aapne ki byang baan chalaye hain aapne. Anyway nice to read this thank you
Na ji na ye byang nahi hai. Ye to maine dil se tarif ki hai aapki story ki. Sach me kamaal ki story hai....

Pyar ke chakkar wali story kafi dilchasp hoti, khaas kar tab jab real wali jo....:hot:
 
Mr. Pandit

SAB KUCH JAYAZ HAI....
1,764
3,880
144
Awesome updates....

Situation badi vichitra type ki ho gayi hai do pyar karne walo ki. Kisi ne thik hi kaha hai ki ye ishq nahi asaan bas itna samajh lijiye ki aag ka dariya hai aur tair ke jana hai. Ek jagah thikana mila aur laga ki sab kuch thik ho gaya hai magar news ki khabar ne wo sukh chain bhi chheen liya. Bhala ho uncle aunty ji ka jinki vajah se ghar se baahar nahi nikalna pada warna kaha bhatakte....

Uncle aunty bhi wahi gyaan de rahe hain jo kabhi unhone khud kiya tha. Wo bhala ye kaise kah sakte hain ki beta apne maa baap ko dukh na do aur waapas laut jaao. Jis sankat se joojh rahe ho wo ghar wapas laut jane se door ho jayega. Lekin na uncle aunty ye salaah dege aur na hi ye do premi aisa sochne wale hain. Matlab saaf hai ki aag ke dariya me chalna hi gawara hai....

Maine to us din hi apne comment me kaha tha ki is raah me jo bhi dost mile wo sab to achhe hi mile magar inki neki kitne dino ki mehmaan hogi ye bhagwan hi janta hoga. Last ke update me inka haramipan nazar aa hi gaya. Ye pakka rohan hi hai. Yahi game khel raha hai. Waah beta achha sila diya hai dosti ka. Saamne se waar karta to itna dukh na hota magar patthe ne bujdilo ki tarah peeth me chhura bhonka hai. Ab jab is baat ka pata un do premiyo ko chalega tab samajh aayega ki insaan duniya me apne ghar se zyada mahfooz kahi nahi hai. Par shayad pyar kiya to darna kya wali baat hogi....

Chalo naina ke bare me kuch to khulasa hua. Peeth par chhura to bhonka hi tha magar sath me naina ko bhi kaid kar rakha tha. Waise sawaal ye hai ki naina kaise inki pakad me aa gayi thi. Ye to achha hua ki mauka mila ladki ko to wo fauran udan chhu ho gayi warna na jane kya ho jata bechari ke sath....

Behtareen story likh rahi hain neelam ji aur ab kahani me maza bhi aane laga hai. Bas kadar macha dijiye ab....
 
9,985
41,779
218
बाप रे ! आप की बायोग्राफी तो सच में फिल्मी स्टोरी जैसी है । पढ़कर ही लग रहा है कि आप ने कितना कष्ट भोगा होगा । आप के साथ साथ आपकी सहेली नैना की भी तो जान पर बन आई थी । उसे किडनैप कर लिया गया था और बड़ी मुश्किल से उनके चंगुल से भागी । अभी वो कहां और किस हालत में है , पता नहीं ।
लेकिन ये सारा प्लान नीलम के लिए किया गया था । इसका मतलब नीलम के दिवाने और भी थे । लेकिन क्या उन्हें पता नहीं कि नीलम का बाप एक दबंग और पावरफुल आदमी है । नैना का बाप भी तो कम नहीं है , वो भी एक रसूखदार व्यक्ति है फिर भी किसकी हिम्मत हो गई ऐसी वाहियात हरकत करने की ।
आप की स्टोरी में रोमांस के साथ साथ रोमांच भी आ गया है ।
अगले अपडेट का बेसब्री से इंतजार रहेगा नीलम जी ।
 
9,985
41,779
218
Friends mere chhote bhai ki shadi hai next month so main busy rahugi to update nahi de paugi. But ek update half se thoda kam likha hai to use pura karke de dugi kal parso tak.
मेरे तरफ से बधाई आप के छोटे भाई और उसके होने वाली पत्नी को ।
 
Top