- 38,785
- 55,166
- 304
Update 35
Avi ne jaldi se ek haar sanjana ke gale me dala aur ye sab kya hua abhi abhi ye sanjana samajh pati isse pehle hi avi us gardi me kahi gayab ho gaya, sanjana use awaz lagati hua us taraf bhagi par waha logo ke awaj me sanjana ka awaj kahi kho gaya, sanjana bhagtew huye jab bahar aayi tab tak avi dobara gayab ho chuka tha
Darshan ke pat band hote hi sare log bahar nikalne lage, sanjana avi ko awaj lagaye ja rahi thi par wo gardi me gayab ho gaya ttha, udhar komal aur aniket ko bhi dhyan me aaya ke sanjana kahi dikh nahi rahi hai to wo use dhundhte huye bahar aaye to unko sanjana avi ko awaj lagate huye dikhi aur wo bhag kar sanjana ke paas pahuche
Aniket- kya hua sanjana ?
Sanjana ne ekdum exited hote huye kaha
Sanjana- avi!! Wo yahi tha ! hamare sath
Aniket- kya ? avi yaha tha
Sanjana- ha wo mere piche hi khada tha
Aniket unko wahi rukne ka bolke avi ko dhundhne bhaga aur sanjana ko dekh kar komal use shant kare huye boli
Komal- puri baat batao sanjana ?
Sanjana- maine avi ko dekha, wo hamare sath hi tha
Komal- hamare sath hota to wo hame bhi to dikhta na sanjana, tum shant ho jao pehle tumhe bhram hua hoga, warna hame bhi to dikhta wo, tumhe hi kyu dikha
Sanjana- mai sach keh rahi hu komal wo sach me avi tha usne mere kaan me I love you kaha mujhe
Par komal manne ko tayar nahi thi
Komal- par ye kaise possible hai, waha itni gardi itna awaj tha, usme tumhe ye kaise sunai diya, theek hai waise agar wo sach me yaha tha to aniket gaya hai use dhundhne wop use le aayega
Sanjana mano kisi sapne se jagi ho wo badbadaye ja rahi thi aur achanak uska dhyan us haar par gaya aur wo haar sanjana komal ko dikhate huye boli
Sanjana- ye dekho, ye dekho, usne mujhe I love you kaha aur ye haar mere gale me dala
Ab komal ko bhi yakin ho gaya tha ke sanjana sach keh rahi hai, avi waha tha
Komal- arey to fir jane kyu diya use ?
Sanjana- wo itna achanak aaya ke mai kuch nahi kar payi
Komal- theek hai, matlab avi lagbhag mil hi gaya hai,
Thodi der baad aniket waha hafte huye aaya
Aniket- nahi, nahi mila wo kahi bhi, ye tumhara weham hoga sanjana
Fir komal ne aniket ko sara kissa sunaya aur do minute tak aniket sanjana ki taraf dekhta raha aur fir achanak nachne laga
Aniket- arey hathi ghoda palki jai kanhaiya laal ki
Komal- ani kya kar rahe ho, yaha hame tension ho rahi hai aur tumko nachna hai
Aniket- arey kammo avi aaj na kal mil hi jayega par usne kya kiya hai samaj rahi ho kya tum
Aniket ne fir jabardasti sanjana ka hath pakda aur bola
Aniiket- Congratulations..!!
Komal- stop it nai, sahi se batao baat kya hai
Aur aniket to full mood me tha, usne apni nautanki style me ek hath kamar par rakha aur dusre hath se komal ka gaal khichte huye bola
Aniket- haay mere bhole sanam itna bhi nahi samjhe ke avi ke sakshat radha krishna ke samne apne pyaar ka ijhar kiya hai aur na sirf pyaar ka ijhar kiya hai balki ye haar sanjana ko pehna kar usne sanjana ke sakshat gandharva vivah kiya hai, ab samajh aaya kuch mai kyu nach raha tha
Ab kahi jake komal ke dimag ki tube jali aur wo sar par hath rakhte huye boli
Komal- hey bhagwan kaha kaha dimag chalate ho tu log
Aur aniket ka tark sunkar sanjana ekdum khush ho gayi, bole to ladki sharmane lagi, aur fir aniket ne apna morcha sanjana ki taraf badhaya
Aniket- to fir sanjana bhabhi
Aur aniket ke muh se bhabhi sunkar to sanjana aur bhi jyada sharmane lagi aur aniket ki nautanki wapis shuru par is baar komal bhi uske sath nach rahi thi,
Aaju baju ke log unki taraf dekh rahe the par unko duniya ke kuch lena dena nahi tha aur kuch pal ke liye hi kyu na hi wo log bhul gaye the ke avi dobara gayab hi gaya tha
Teeno wapis apne gadi ki taraf jane lage, sanjana to apni hi duniya ke khoyi huyi thi aur aniket ne gadi me baithte hi sanjana se kaha
Aniket- bhabhi chinta nahi karne ka, mai dekhta hu ab kaha aur kitna bhagta hai wo
Komal- par ab use dhundhe kaha
Aniket- ab to wo uparwala hi rasta dikhayega, ab return to mathura wahi chal ke dekhte hai aage kya hota hai
Sanjana man hi man uski aur avi ki mulakat ko yaad karne lagi aur achanak uske kuch yaad aaya aur wo ekdum se boli
Sanjana- Ek minute mujhe abhi yaad aaya ke ye haar pehnane ke yaad avi ne barsana kaha tha
Aniket ne jyada dhyan nahi diya aur bola
Aniket- kya ? Farsana ? Ab kya isko tekri par jana hai kya ke tu beer la mai farsana lata hu karke
Komal ne aniket ke sar oar tapli maar ke usko roka
Komal- arey bhukkad farsana nahi barsana hamara agla stop barsana hai yani, avi ab barsane ko gaya hai
Aniket- tumko kaise pata ? aur hai kaha ye barsana
Komal- mujhe pata hai

Aniket- shabas, tumhare crime pertrol dekhne ka yahi fayda hai sab pata rehta hai tumko sbabas mere female anup soni, nikalo fir map aurt batao rasta
Komal ne maps shuru kiya aur kuch samay me wo barsana pahuche
Bhanugarh parvat par wo mandir bana hua tha jiske niche ki ek bade se gate ne unka swagat kiya, wo shubhra mandir niche se saaf dekha ja sakta tha, 200 seedhiya pahuch kar wo log mandir me pahuche.. sanjana us jagah ki khubsurti me kho gayi thi, unhone mandir me darshan kiya, radha ki murti dekh kar hi aap samajh sakte ho ke jinhone sare jagat ko mohit kiya wo inke diwane kyu the, pyar ki ek nayi paribhasha, nischal niswarth prem ko aaj sari duniya me pujniya hai.. waise dekha jaye to dono ka vivah kabhi nahi hua par aaj bhi krishna ke sath rukmini ya satyabhama ka nahi radha ka hi naam liya jata hai wo bhi krishna se pehle
Sanjana man hi man soch rahi thi ke radha yani prem ki parisima, wo apni antim saas tak krishna se prem karti rahi par kabhi apna adhikar nahi jataya, bas unki raah dekhti rahi par kabhi pyaar karna nahi chhoda aur amar ho gayi, pyaar ko duniya me puri tarah koi samajh nahi paya hai par avi ne pichle kuch dino me sanjana ko pyaar ke kayi rang dikhaye the, sanjana ko apne aap par hasi aane lagi ke aath din pehle usne avi ko kya kya nahi kaha tha wahi radha ne kabhi ek uff tak nahi ki wo bas krishna ki khushi me khush rahi, premi ko pa lena hi sab kuch nahi hota
Idhar komal aur aniket har taraf avi ko dhundh kar thak gaye par wo unko nahi mila aur achanak sanjana ne kaha
Sanjana- chalo wapis, mai uski raah dekhne ko tayar hu, mera pyaar saccha hoga to wo jarur aayega warna mai to jindagi bhar uski raah dekhne ko tayar hu
Aur wo aage nikal gayi
Fir teeno wapis matura aane ke liye nikle, din bhar ki bhagdaud se teeno thak gaye the aur gadi me koi kuch nahi bol raha tha aur achanak aniket chillaya
Aniket- shiiiittt !
Komal- kya hua ani ?
Aniket- nahi kuch nahi mai abhi aaya
Itna bol ke aniket ne ek jagah gadi side me lagayi aur thoda dur ek kone me jake ek cigarette jalayi aur aaram kash lete huye kuch sochne laga
Aniket jab gadi ke paas wapis aaya to wo ekdum khush tha aur wo gadi me baithte hi bola
Aniket- bhabhi maine to tumko shadi ka koi gift hi nahi diya, boli kya chahiye
Aur sanjana ne achanak kaha
Sanjana- avi
Sanjana anjane me bol gayi aur aniket bhi utni hi tatparta se bola
Aniket- theek hai done, kal chahe kuch ho jaye mai tumko avi se mila ke rahunga wo bhi hamesha ke liye
Sanjana aur komal ne ekdusre ko dekha aur fir komal boli
Komal- tumko pata hai wo kaha hai
Aniket- nahi
Komal- fir
Aniket- ye khel usne shuru kiya hai khatam mai karunga wo bhi kal hi…