Update 37
Wo taj najro ke madhyam se dil me utar raha tha aur priya wo wo tajmahal yaad aaya jo yash ne use unki pehli mulakat me gift kiya tha, komal to taj ko dekh kar itni khush thi ke uske aniket ka hath pakad ke use gale laga liya wahi sanjana ko avi ki yaad aa rahi thi aur wo man hi man boli
Sanjana- is jagah tumhe mere sath hona chahiye tha avi, ab bas bhi karo samne aa jao, ab ye virah mujhse sehan nahi hota, bairi piya……
Jab sabne taj kojee bhar ke dekh liya to ab sab waha patapat photo lene lage, sach kaha jaye to sab wo khuhi ke pal photo me kaid kar rahe the, kyuki samay ko rokne ki takat bas photo me hi to hoti hai, jab kai salo baad wo photo dekhte hai to apne aap ko fir usi samay me feel karne ka maja hi alag hai, wo pal photo ke madhyam se kayam rehte hai hamare chehre par smile lane ke liye
Yash aage bola
Yash- arey chalo ab aage kab tak yaha dur se dekhte rahoge
Sach tha kyuki taj ko kitna hi dekh lo man nahi bharta tha
Beechobeech ek lamba pond aur usne fawaro ki line, baju me thode thode distance par lage huye ped sab ek aakar me kate huye, sab taraf lawn me faili hariyali aur unke beech se jata laal pattharo ka rasta aisa lag raha tha mano ye swarh ka rasta hai, dono couple ek dusre ka hath pakde taj ki taraf ja rahe the, aur ye dono kya waha jitne couplemaujud the sabne apne jeevansathi ka hath pakda hua tha
Wo shubhra sangmarmari taj aur uske paas char gagan chumbi minar.. wo sab taj ke paas pahuche aur jaise hi unhone tajmahal ki diwaro ko chua ek alag hi feeling se sabka dil bhar aaya, ek pal ko to aisa bhi laga ke isko hath lagane se kahi ye maila na ho jaye, sangmarmar aur uske upar ki gayi sunder nakkashi, phool vel bane huye the aur bahut kuch urdu me likha hua tha, shuruwat me laga le ye phool pattiya color se bahaye gaye honge par karib se dekh kar dhyan me aaya ke wo paint na hokar alag alag rang ke patther the wo us sngmarmar ke fitkiye gaye the.. apratim aisa khubsurti ka wo avishkar tha, ander jakar dekha to ucha bada ghumat aur sab taraf nakshikam kiya hua tha par usme bhi sadgi saaf jhalak rahi thi, upar se dekha to niche beecho bich mumtaj ki kabar thi aur uske baju me shahajahan ki kabar
Waha samay kaise bita pata hi nahi chala aur jab bahar aaye to najro ke samne thi kal kal behti shant yamuna nadi.. us shant pani me taj ka pratibimb mohak dikh raha tha aur dur ek kila najar aa raha tha.. koi bata raha tha ke us kile se shahajahan apne aakhri samay tak taj ko dekhta rehta tha
Ye sab khubsurti aankho me samete sab wapis aane ko nikle par sanjana ki najre har taraf bas avi ko talash kiye ja rahi thi, taj ki ek visheshta ye hai ye bhale dinbhar safed dikhne wala tajmahal suryast ke samay dubte suraj ki kirno me sunehra najar aa raha tha
Wo sab hotel wapis aane ke liye nikle to sanjana boli
Sanjana- ani, avi kaha hai ? tumhe to kaha tha ke aaj use mu;lakat hogi?
Aniket- ha bola tha aur let me remind you my dear bhabhiji ke aaj ka din khatam nahi hua hai
Sanjana ka chehra utar gaya tha wahi komal aur priya ne bahut sari shopping ki thi
Sab hotel pahuche aur badhiya fresh hokar khana khane gaye, komal yash priya sab aniket ko baarbaar sawal kiye ja rahe he
Komal- avi kaha hai ani ? wo sach me milne wala hai ya tum bas aise hi fek rahe the ?
Aniket- arey nahi komu tumhari kasam aisa kuch nahi hai, avi aaj raat ko mil jayega aisa mujhe pura yakin hai
Komal- raat me ? ab kya raat me use dhundhne jana hai kya ? aur raat me hi kyu ?
Aniket- kyuki aaj puranmasi ki raat hai
Ab komal chidh gayi
Komal-ab agar tumne sahi se nahi bataya to mai tumhara gala daba dungi
Uski baat sunkar priya hasi aur boli
Priya- ye log bahut nalayak hai komal, ant tak kuch nahi batayenge aur ain mauke par baji palat denge, mujhe bahut acha anubhav hai is nautanki ka, meri shadi ka kissa to tumko pata hi hai, so chill aur jo ho raha hai bas uska maja lo aur is ani ke dimag me kab kya aa jaye koi nahikeh sakya
Aniket- thank you priyu
Aur aniket ke aisa bolte hi komal ne aankhe badi karke use dekha
Aniket- bhabhi priya bhabhi
In sab me sanjana shant thi aur komal aur priya use samjha rahe the aur jaise hi khana khatam hua ekdum aniket bola
Aniket- thoda aaram karo, theek dus baje apne ko bahar jana hai
Komal- itni raat me ? kaha ?
Aniket- avi se milna hai to chup chap chalne ka fir
Avi se milne ka sunte hi sanjana ka mood ekdum sahi ho gaya aur room me jate hi komal boli
Komal- ab bas bhi karo kya jaan hi leke manoge sanjana ki
Komal ki baat sunkar aniket use baho me bharte huye bola
Aniket- jitna virah jyada utna hi milan ka aanand atut aur adwitiya, aur pehle hi sab bata dnga to surprise ka maja kaise aayega ?
Paune dus baje ye sab log lobby me jama huye aur bahar jane ke liye nikle, kuch samay baad raste me priya ekdum se boli
Priya- arey ye to taj ki taraf jane wala hi rasta hai
Aniket- my dear bhabhi, sahi jawab, hum taj ki taraf hi ja rahe hai kyuki aaj pournima ki raat hai aur aaj hum taj ko raat me bhi dekh sakte hai
Sab log wapis se tajmahal pahuche aur waha bench par baith kar tajmahal ko dekhne lage, aniket ne yash ko kuch ishara kiya aur sanjana ko bola
Aniket- sanjana hum sab yahi aas paas hai, chinta nahi karne ka aur ghabrane ka bilkul bhi nahi, be ready for surprise
Sanjana ke dil ki dhadkan ekdum se badh gayi thi, yash aur priya ek taraf to aniket aur komal dusri or chale gaye the, dono couple alag alag bench par jakar baith gaye hatho me hath liye, komal aniket ke kandhe par to yash priya ke kandhe par sir tika kar taj ki or dekh rahe the
Aur achanak sare lights band ho gaye aur pournima ke chand ki chandni ke sara taj chamakne laga, chand ki chandi me taj ki khubsurti ka varnan nahi ho sakta itna sunder
Light band hote hi pehle to sanjana chauki par fir chandni me dube taj ko dekh kar uski khubsurtime kho gayi, wo bagair palke jhapkaye taj ki or dekh rahi thi aur tabhi kisi ne piche se uski aankho par hath rakha, sanjana ne jhat se us sparsh ko pehchan liya aur isi ke sath uske kano me kuch shabd pade
“sanju, my love my life, I love you so much”
Us pal ko mano uska dil dhadakna bhul gaya ho, wo samne aaya aur snjana I aankho par se apna hath hataya, sanjana ko apni aankho par viswas nahi ho raha tha, ek hi samay meuski aankho ke samne uska pyaar aur ek pyaar ki nishani the, wo stabdh khadi thi, uske anand ki koi sima nahi thi aur uska apne aap par se niyantran hata, itne virah ke baad avi ko apni aankho ke samne dekh kar sanjana ko kuch sujh nahi raha tha, ye stya hai ya swapna
Avi ko sanjana ka halat ka andaja hua aur usne halke se sanjana ki kamar me hath daal ke use apne kareeb khicha, sanjana ab bhi uski aankho me sudh budh khokar dekh rahi thi aur fir wo moment aaya, avi ne apne hoth sanjana ke hotho se milaye aur puranmasi ki us raat taj ke samne dono premi ekdusre se mil gaye
Wo pal wo feeling apratim thi jiska varnan shabdo me karna mushkil hai, agar kiya bhi to shayad adhura reh jaye kyuki in feeling ko shabdo me bayan karna thoda mushkil hai, sara virah, gussa vivanchanaye sab ek pal me khatam ho gaya, do premi nahi to do aatmao ka milan hua tha, aur unka pyar dekh kar to shayad aaj chand aur wo taj bhi khush ho raha hoga, aaj taj ke un sangemarmaro me bhi us pal ka anubhav kiya tha… wo pyaar dekh ke chand bhi badlo me chip gaya hoga aur taj ke galo par lali hogi, dono ekdusre ki baho me kho gaye the, yaha shabdo ki jarurat hi nahi thi, bol raha tha bas sparsh aur dil ki dhadkan, jisme bas sanjana aur avinash the, dono ekdusre me khoye huye the..
Sara virah, takleef, purani galtiya jhagde sab sab us ek pal me samapt ho gaya tha bacha tha bas anant aur atut prem
Kuch pal baad jab hoth alag huye aur sanjana ko thoda hosh me aayi aur ekdum bol
Sanjana- I love you Avi
Aur itna bol ke usne dobara avi ko gale laga liya
Aaj fir do premi dop aatmaye prem bandhan me bandh gaye the, aisa lag raha tha ke ye pal kabhi khatam na ho samay yahi ruk jaye aur aaj is baat ki gawahi khud chand de raha tha aur uske sath tha Tajmahal…….
Btw avi se zyada to ye aniket ant tak sanjana ko tadapne ke liye majboor kiya... sanjana kya even komal bhi ...
Komal ko to gusse mein ubal rahi thi jaise.... waise uski bhi koii galti nahi.... sanjana ka murjhaya hua chehra dekh ushe bhi achhi nahi lag raha tha...
So finally sabhi khoj bin, lukka chupi ke khel ke baad pyar ke pratik ko sakshi maanke avi sanjana ke saamne aake us pyar ka izhaar kar hi diya....
baakeyi mein kaafi romantic mahol bana update ke ant mein...Do pyar karne mil gaye ....
lagta hai ab in dono ke pyar aur chahat puri jor pe honge .... ..
hope ki dono aise hi sath rahe zindagi bhar chahat ke tale hanshte muskuharte in pyar ke palo ko jeete huye ..
Khair... Kaafi dilchasp aur dikash update tha sath hi kirdaaro ki bhumika bhi...
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills
