Aryan s.
Active Member
- 828
- 1,503
- 139
Nice update....Update 40
Yash- anya pagal ho gaya kya ? maine kya kiya be
“sataakk”
Ek aur fatka pada aur aniket bola
Aniket- harami neech halkat mere ko bahut baad me pata chala ke ye sab ka mastermind to tu hai bsdk…………..
Aniket ka avatar aur avi ki halat dekh ke yash waha se bhagne laga aur komal ne aniket ko roka aur boli
Komal- bas karo ani, ye kya baccho jaisi harkate laga rakhi hai
Aniket- kammo tu aaj ruk ja, mai aaj inko chhodunga nahi
Itna bol ke aniket gana leke yash ke piche bhaga aur ab apne bachne ke chances kam hai ye dekh ye yash paas ke ek ped par chadh gaya aur aniket use niche se ganna dikhate huye bola
Aniket- chup chap niche aa yash, nahi to mai upar aaya to bahut marunga
Yash bhi upar se hi bola
Yash- abe tu pehle meri baat to sun fir aata niche
Par aniket full gusse me tha usne ganna dusre hath me liya aur aur ek pattar uthaya aur yash ko marne laga itne me komal waha aayi aur boli
Komal- ani bas ho gaya ab y kya bachkani harkate hai, lag jayegi use, tum bacche nahi ho, baap banne wale ho kuch dino me samajh aa raha hai kuch
Komal ne barabar aniket ko shant kiya aur uske hath me ka patthar feka aur bola
Aniket- bol yash
Yash ne bhi rahat ki saas li fir bhi wo ped par se hi bola
Yash- anya majburi thi bhai, mai agar ye nahi karta to ye bsdk avi sahi me gayab ho jata aur fir isko dhundhna bahut mushkil hota, avi haramjade kuch bol be ab thobda kyu band hai tera
Avi ne bhi ha me gardan hilayi aur aniket ko bhi yash ki baat jam gayi
Aniket- theek hai tu niche aa pehle aur puri baat bata
Yash- nahi, pehle wo ganna fek aur wada kar ke marega nai, fir aaunga niche
Aniket se ganna fek diya
Aniket- theek hai nahi marunga ab niche aa
Aur fir aniket aur avi ne yash ko ped se niche utara aur aniket k yash ki halat dekh ke hasi aa rahi thi aur usko dekh ke sab hasne lage
Teeno wapis bench par baithe aur fir yash ne bolna shuru kiya
Yash- ye sab bas ek ittefaq tha ke mai avi ke college me kuch kaam se gaya tha aur mere paas avi ka naya number nahi tha aur tere ko (aniket) call kiya to tu utha nahi raha tha isiliye mai iske bare me puchte puchte iske hostel ke paas pahucha, avi to room par nahi tha par uska roommate shubham mujhe mila aur usme pujhe sari situation batayi, mai waha se bahar nikla to mujhe parking me hi avi dikha, uska aur sanjana ka jhagda shuru tha aur mai chup chap wahi khada hokar dekhne laga par jab avi bola ke mai ja raha u aur ye mat samajhna ke sab khatam ho gaya hai aur tumko pyaar ka ehsas karaunga chahe mujhe uske liye jaan de deni pade, bhai ye sun ke meri hawa tight ho gayi, avi gusse me waha se pair patakte huye nikal gaya aur mai uske piche jata itne me mujhe ek important call aaya jo receive karna jaruri tha isiliye mai phone par bolte huye iske hostel ke gate ke paas hi ruka raha aur itne avi mujhe gusse me apni bag le jate huye dikha…
*FLASHBACK*
Avi ke chehre par kamal ka tension aur gussa dikh raha tha aur yash pehli baar avi ko is tarah se dekh raha tha, pichli baar jab dono tekdi par mile the (last update hateli lovestory) tab us paristithi me bhi avi shant tha par aaj aisa nahi tha, yash ne man hi man decide kiya ke wo use kuch pata nahi hai aise jatayega aur ye decide karke wo avi ke samne jakar bola
Yash- arey avya, ye kya bhai yaha hum tere se milne aaye hai aur tu kidhar ja raha hai ?
Yash ko samne dekhte hi avi thoda hadbadaya aur jitna ho sakta tha utna chehra normal karke bola
Avi- nahi, kahi nahi bas aise hi bahar ja raha tha, tu bata tu yaha kaise aaya
Yash- kuch nahi re bas teko hi milne aaya tha aur tu kya aise hi maje me bag leke bahar jata hai kya ?
Avi ko samajh aa gaya ke usse bolne me galti huyi hai fir bhi wo baat sambhalte huye bola
Avi- nahi aisa kuch nahi hai wo bas gaon ja raha tha..
Yash- arey waah, ye to badhiya ho gaya, mai bhi anya se milne hi ja raha tha aur socha sath me teko bhi mil lunga, chal sath hi chalte hai
Par avi ke dimag me to kuch aur hi chal raha tha
Avi- nahi tu ja mujhe kuch aur kaam hai time lagega usme, tu nikal aage kal milte hai apan
Par yash ab avi ko akele chhodne ko tayar nahi tha
Yash- t usme kya hai mai to bas aise hi ja raha tha tu le bhai kitna time chahiye to, sath me hi chalenge fir, mujhe koi jaldi nahi hai aurisi bahane tere sath baate ho jayengi bahut dino baad mulakat huyi hai, ab nakhre mat kar
Itna bol ke yash ne jabardasti avi ki bag li aur uske kandhe par hath rakh ke gadi ki taraf jane laga
Yash- kya yaar.. mana mai tera aniket jitna gehra dost nah hu par dost to hu?
Avi- waisa kuch nahi hai yash ? tu bhi mera utna hi khas dost hai, ya yu kahu ke anya se jyada tune pehchana hai mujhe
Avi ke uske baad yash ko ek kitabo ke dukan par gadi rokne lagayi, yash uska picha nahi chhod raha tha aur majburi me avi wapis gadi me aake baitha aur yash bola
Yash- to.. ho gaya kaam ? chale gaon ab
Aur avi ekdum se “nahi” bola
Avi- arey sorry mujhe achanak dhyan me aaya ke kal ek iportant lecture hai, tu mujhe hostel par chhod de
Yash- bhai agar waisa hota to tu bag leke nahi nikalta, sorry par parking me maine teri aur sanjana ki baate sun li thi…
Avi ne ek jhatke se yash ki taraf dekha aur jo ab tak roka hua tha wo aansuo ka bandh tuta, yash ne baithe jagah se avi ko gale lagaya, aur fir huyi aansuo ki barsat, yash kuch nahi bola, waha bolne ki jarurat hi nahi thi, use apni halat yaad aa gayi jab wo aise hi hospital me aniket ko gale lag ke ro raha tha jab priya ke pitaji ne use maar ke fek diya tha, avi us samay kya feel kar raha tha ye yash ache se samajh raha ta aur wo bas avi ki pith thapthapa ke use santwana de raha tha, kuch pal aise hi bite aur ab jab wo aansuo ki barsat ruki to sab kuch saaf tha, avi ka sara gussa aansuo ke madhyan se nikal gaya tha aur fir wo uski seat par ache se baith gaya, yash ne gadi shuru ki aur sidhe ek nadi ke kinare shant jagah par pahuche.. suraj dub raha tha aur nadi ke kinare ek alag ki shanti thi, koi shor nahi tha awaj tha bas behte huye pani ka aur apne gharto me laut te huye panchiyo ka
Ye to scientifically proven hai ke insani sharir me 70% pani hota hai aur aise pani wali jagah par aakar shant baithne se man wo ek alag hi shanti mehsus hoti hai, dono bahut samay tak us behte huye pravah ko dekhte raheaur fir yash bola
Yash- avi mere anubhav se mai samajh sakta hu ke tu is waqt kya feel kar raha hai par itna dhyan me rakh ke gusse me liye gaye nirnay ghatak hote hai
Ab avi chidha
Avi- to kya karu mai tu hi bata, nahi sehan hote bhai aise ghav dil par, sala kya naseeb paya hai maine, tu bata pehla pyaar bhulna itna asan hai kya ? kaise samjhau ye sanjana ko.. sala jisse pyaar karta hu use bata nahi sakta, jo mujhe pyar karti hai use ha nahi keh sakta, tu bata kaise de du komal ki jagah sanjana ko
Yash- pehle puri baat batayega > fir mai kuch madad kar paunga
Aur uske baad avi bolne laga, pehle din se leke to wo aniket se mila wo kissa aur fir ye aakhri jhagda use yash ko sab bataya
Yash gehan soch me duba hua tha, kyuki uske samne do sankat the, ek to avi kokuch galat karne se rokna tha aur dusra sanjana ke bare meaage kya karna hai wo sochna tha, wo kuch soch ke bola
Yash- avi gussa mat hona par ek baat hai.. tu mrigjal (mirage) ke piche bhag raha hai mere bhai, sabse pehle to tu ye baat dimag se nikal ke tu komal ki jagah sanjana ko de raha hai, aisa bilkul nahi hai, komal ki jagah tere dil me fix hai aur waha se khud komal bhi apne ko nahi hata sakti, par iska matlab ye nahi hai na ye sanjana waha apne liye jagah nahi bana sakti ? avi bhai apna dil bada karo aur apne man se ye guilt nikal ke tune sanjana ko komal ki jagah di hai ya use pyar karne laga hai….
Yahan par Yash ne bohot achhe tareeke se Avi ko sambhala hai aur samjhaya hai....
Ek achhe dost ki farz ko nibhaya hai....
Keep it up ur good works ...