- 38,760
- 55,142
- 304
Update 41
Yash avi ko samjha raha tha ke wo apne man me se ye guilt nikal de ke wo komal ki jagah sanjana ko de raha hai ya wo sanjana se pyaar karne laga hai komal ko chhod kar
Yash- avi ab time aa gaya hai jindagi me aage dekhne ka, ha mai manta hu ke tere liye komal ko bhulna mushkil hai, par bhulna hi kyu hai ? use ek sukhad yaad bol ke apne paas rakh aur sabse important ki tujhe tera pehla pyaar nahi mila isliye kya tu sanjana se uska pyaar chinega kya, nahi na, then move on
Avi ko bhi yash ki baate sahi lag rahi thi, uske baad kuch samay shanti me bita, avi ka chehra ab normal lag raha tha aur yash ne dobara bolna shuru kiya
Yash- sorry wo maine tera aur sanjana ka jhagda chip kar suna, sach batau to pehle mujhe laga ke sanjana ko tere liye bas ek attraction hai par ab jab gaurse socha to samajh aaya ke nahi, kahi na kahi wo ab bhi tere se pyaar karti hai bas fark itna hai ke ke abhi wo gusse me hai aur pyaar kya chiz hai ye use sahi se samjha nahi hai, hame aisa kuch karna chahiye ke use ye sab ache se samajh aaye
Avi- par kaise samjhaye use yahi samajh nahi raha, tune to dekha na maine use bolne ke baad bhi use kuch samajh nahi aaya
Yash- anya kab kaam aayega, uska kurafati dimag bahut chalta hai isme apan usse baat karte hai
Aniket- nahi bhai, mai hafte bhar pehle milke aaya hu usse, bahut khush tha wo aur ab ye sab bataya to bahut bura lagega use, usne bola nahi par kahi na kahi use bhi bahut bura laga tha jab maine use apne pehle pyaar ke bare me nahi bataya tha to, maine jaise taise wo baat tali hai par ab wapis sanjana ke sath jhagde ki baat use pata chali to wo wapis purani baate nikalega aur aisa mai nahi chahta, mai nahi chahta ke mere aur sanjana ke beech ka ye tufan mai uski jindagi me le jau.. mujhe un dono ko in sab se dur rakhna ai..
Yash- to ab gaon nahi jana hai ?
Avi- nahi
Yash- to theek hai mere sath mere ghar chal, waha chal ke dekhte hai aage kya karna ai
Avi- nahibhai, priya bhabhi bhi hogi waha aur unse anya ko pata chal jayega
Yash hasa aur bola
Yash- maa papa aur priya europe tour par gaye hai, priya office ka kaam kar rahi hai aur maa papa enjoy.. to agle aath din mai akela hi hu matlab sari line clear hai, chal mast aish karenge aur ab chup chap chalne ka nakhre dikhaya to yahi utha ke nadi me fek dunga
Fir dono apna stock leke yash ke ghar pahuche.. upar se shant dikhne wala avi apne ander ek tufan samete huye tha aur yash ka to simple sa fanda tha ke chahe kuch ho jaye avi ko akela nahi chhodna hai, yash ne wfh liya aur avi par najar rakhne laga aur ek din achanak yash bola
Yash- avya mere anubhav se batata hu teko, insan ko pyaar ki parakh jitna sath me nahi hoti na utna virah me hoti hai, ek kaam kar, ab jab tak sanjana khud tujhe dhundhte nahi aati tu uske samne ja hi mat
Avi- idea to acha hai par mai mil nahi raha hu to wo sabse pehle ani ke paas jayegi fir ?
Yash- wo ek locha hai, isiliye bola tha anya ke paas chalte hai par fir komal wali baat bahar aane ka darr hai
Avi- aur agar mai mil nahi raha hu aisi baat bahar aayi to koi dhundhe na dhundhe anya mujhe dhundhe bagair nahi manega, wo patal me bhi mera picha nahi chhodega aur chahe kuch ho jaye mai un dono ko takleef nahi dena chahta
Yash- ye bhi sach hai, waiseto halkat dunak ka galla chhod ke kahi nahi jata par tujhe dhundhne jayega ye confirm hai
Avi- ha na, kaka ka sara kaam sambhal liya hai usne isiliye to honeymoon pe bhi nahi gaya
Aur bolte bolte avi ekdum chillaya
Avi- ideaaa !! agar aisa kare to… mujhe dhundhna bhi ho jayega anya ka honeymoon bhi aur sanjana ko bhi pyaar kya hota hai samjha denge
Yash- idea to nahi hai par is sab ka mel kaise milayega, aur sanjana aayegi tujhe dhundhte huye ?
Avi- uska pyaar saccha hoga to jarur aayegi
Yash- aur honeymoon ka kaisa karega ? wo honeymoon manayenge ke tujhe dhundhenge ?
Avi kuch soch ke bola
Avi- honeymoon matlab ye bhi hota hai na ke apni pasand ki jagah ghum aaye.. komal ki bahut icha hai mathura vrndavan dekhne ki.. hamari is bare me baat bhi huyi thi college me
Yash- shabash, thoda vichitra hai par perfect hai, komal aur anya ka tour bhi ho jayega aur shri krishna jo khud prem ke devta hai waha jakar sanjana ko pyaar ka ehsas bhi ho jayega par main sawal ab bhi hai, tereko dhundhne me honeymoon kaise hoga ?
Avi soch raha tha aur yash bola
Yash- ek ho sakta hai, agar aniket aur komal ko ye pehle hi malum ho ke tu gum nahi hua hai balki kahi chipa hua hai to maja aayega isme
Avi- yes, yash tere sawal ne hi jawab de diya bhai, luka chipi, matlab gali gali sim sim
Uske baad avi ne yash ko gali gali sim sim kya hai bataya
yash- matlab ye code aniket tak pahucha to wo relax ho gayega aur samajh jayega ke ye ek game hai, matlab problem solve, good, ab mai sab samajh gaya, matlab mai aisa bataunga ke mai tujhe dhundh raha hu par asal me mai unhe tujh tak pahuchane me guide karunga, par ye sab tab jab sanjana tujhe dhundhne aaye nahi to ye game pehle stop par hi khatam
avi hasa aur bola
avi- jab anya ko pata chalega ki mai gayab hu to wo sabse pehle sanjana ke paas hi jayega aur sanjana wahi se sab samajhne lagega.. sabka fayda hai bhai is khel me.. to shuru kare fir..?
yash-sahi hai beta, aise hi tujhe dus dimag wala nahi kehte, par ye gameapan nahi anya shuru karega tab tak wait and watch, par ek bata ye khatam kaha hoga ?
avi hasa aur bola
avi- yash bhule mat bhai anya shamil hai isme.. apan usko jyada topi nahi pehna sakte, wo bhoot hai sala.. usko jyada samay nahi lagega samajh ne me, mujhe ache se pata hai bhale ye khel hum shuru kare par khatam anya hi karega
*CURRENT LOCATION, FLASHBACK END*
Yash bata raha tha aur sab dhyan se sun rahe the par ye flashback batate huye yash ne ek samajhdari ki ki jaha komal ka naam tha waha uska naam na lete huye use bas wo ladki aisa bola aur aniket has raha tha
Yash- par anya mere ek baat samajh nahi aay ye ye sab teko kaise pata chala, kyuki agra aur tajmahal hamare plan ka hissa nahi tha
Aniket- abe teri hi wajah se sab samajha mai
Yash- wo kaise ?
Aniket- tu har time hamare contact me tha, gadi bhale mai chala raha tha par direction tu de raha tha par tune ek galti ki.. avi jab pehli baar sanjana ke samne aaya tab mai uske piche bhaga, ye sala hoshiyar hai isne jhat tujhe call kiya aur tune mujhe, tujhe ache se pata tha mai tera call uthaunga aur aisa hua bhi par tune jaldi me puch liya ke “bhag gaya kya wo?” .. ab teko kaise pata chala ke wo hamare samne aake bhaga hai.. tune mujhe isiliye call kiya tha ke avi ko bhagne ka samay mile, us waqt to ye baat mere dhyan me nahi aayi par baad me ye mere dhyan me aaya, agra tumhara plan nahi tha wo maine tumhare dimag me dala, jab tak hum tumhare direction me chal rahe the tab tak theek tha par jab maine agra bola tu gadbada gaya, mujhe pata tha ke tu bhi isme shamil hai isiliye maine agra jane ke bare me tujhe bataya ke tu ye avi ko jarur batayega, is baar maine tere directions na lete huye tujhe aur indirectly avi ko directions diye, shuruwat me mai thoda sure nahi tha par jabtu priya koleke waha pahucha to mujhe yakin ho gaya ke avi waha jarur aayega, actually wo message tere liye nahi avi ke liye tha ke ab natak khatam karne ka samay ho gaya hai.. tum mujhe confuse kar sakte ho, pagal nahi banasakte, barabar na avya
Aniket ki baat sunkar sab hasne lage….